Update 24
Idhar niraj aman ko lekar gaav jaa raha tha ki use nikita ka phone aane laga...niraj ne car rok kar pahle nikita se baat kiya....
Niraj- hello nikita kya hua kyon baar baar call kar rahi ho car chala raha hoon na...
Nikita- arey shaant ho jaiye pati dev...aur pahle aap car se bahar aaiye...aman se thoda door...
Niraj ne waisa hi kiya..wo car ko road ke kinare park karke car se thoda door aa gaya
.. fir nikita use short me saari baat batayi ko kya hua hai annu aur aman ki life me
..saath hi ye bhi bata di ki divorce nahi hua hai wo papers nakli hai lekin ye bhi bata di ki annu ne divorce ke liye aaply kar diya tha...
Niraj- ab batao mujhe kya karna hai...
Nikita- aaj aap ghar mat jaiye kahi hotel me rook jaiye..aur pata kijiye aman aisa kyon kar raha hai...wo choti moti noukari ke piche kyon bhaag raha hai...aur kya wo abhi bhi annu ke saath rahna chahta hai ya nahi...aur haa abhi koi bhi baat maa papa tak na jaye....
Baaki baat mai aapse kal karungi....
Niraj- thik hai...uske baad niraj aram se car chalate hue ek hotel ke pass pahucha diya...
Idhar annu ro rahi thi....
Nikita- arey annu ab kyo ro rahi ho ...jo ho gaya so chodo...dekho ab tum ajad ho....
Annu kuch nahi boli....
Nikita- wo jo box hai pack usme kya hai....ye nikita ne jaan bujh kar pucha tha jabki wo din me hi jhaak kar dekh chuki thi kya hai....
Annu- wo box me aman ka kuch saman hai...
Nikita- chal dekhte hai kya rakha hai aman ne...
Annu- mujhe koi matlab nahi...
Nikita- aise kaise matlab nahi...chalo dekhte hai ....ye bolkar nikita wo box khol kar dekhne lagti hai...usme pahle to kuch kapde mile fir 2 sukhe hue flower mile aur saath hi ek love card jisme likha hua tha I love you mam......
Nikita- Arey dekh na isme date bhi likha hai 5 September...matlab teachers day....ye date ka naam sunte hi annu ko yaad aa gaya ki isi din aman subah subah uske room me aaya tha...use ye love card dene aur annu use galat samajh kar daat kar bhaga di thi....
Nikita- iska matlab samajhti ho annu....aman tumse pyaar karta tha...aur haan kal raat tumne pucha tha na ki aman ne tumko divorce kyon de diya tha...usne isliye de diya tha kyonki usne apne marte hue maa papa se promise kiya tha tum jo mango gi wo dega....aur tumne us se manga divorce to wo de diya....
Ye sunte hi annu ko bahut boora lagne laga...
Nikita- achha ab mai chali sone aur tum samjho tumne sahi kiya ya galat...bolkar so gayi...lekin ab annu ki ankhon se nind gayab tha kyonki usne jin jin baton ke liye aman ko galat samjha tha un saare mamle me aman bekasoor tha...
Idhar aman niraj ko car me hi apna ek shirt pant de diya pahan ne ko..aman mana kar rahaa tha lekin niraj ne usko pahna hi diya aur saath lekar hotel ke room me baitha diya...
Niraj- chal aaj daru pite hai...
Aman- ji maine pina chod diya....
Niraj- kya yaar tune chod diya ab mujhe company koun dega...koi baat nahi chal kuch khate hai ye bolkar menu aman ko thama diya...niraj gour se aman ko dekh raha tha...aman menu me sabse sasti chij dhundh raha tha....ye niraj dekh liya....
Niraj- lao mai order de deta hoon ye bolkar wo bahut saara khana order kar diya...ab chuki doNo hotel ke restaurant me the to aman ko bhi majboori me table par hi khana pada niraj ke saath....
Fir dono room aa gaye...
Niraj - dekh bhai maine pata kar liya hai ki tere papa ki ghar bank me girvi hai aur tujhe uske liye paise chahiye....mujhe pata hai tum humse paise loge nahi aur utne paise to sayad mai de bhi na pau....lekin mere pass ek mast idea hai jo tumhare sapne poore kar sakta hai...
Aman- kaise...
Dekh mere papa bahut saalon se ek store room is sahar me kholna chahte hai lekin hume wahan koi bharose ka banda mila hi nahi...aur tum to jante ho ki mai banglore se ye sab kaam nahi kar sakta.....dekh tu ek kaam kar jahan annu padhati hai wahi admission le le aur saath saath humare store room ka bhi kaam dekh le..wahan jada kaam nahi rahta shaam me daily ek ghante jakar hisab kar lega to bhi bahut hai....iske do fayde hai...pahla ki teri padhayi jo ruki hui hai wo bhi suru ho jayegi...aur dusra ki tum kuch paise bhi kama loge....
Aman- lekin aap meri help karna kyon chahte hai...
Niraj- iske bahut saare reason hai...dekh mai tumse jhooth nahi bolunga...pahla ye ki mujhe maloom hai meri bahan ke liye tumse achha koi ho hi nahi sakta....aur in 6-7 mahino ne to ye proove kar diya hai...
Aman- lekin humara to divorce ho chuka hai...
Niraj- arey paper ko aisi ki taisi....
Aman- lekin annu to mujhse divorce chahti hai aur maine apne papa ko promise kiya tha ki use jo chahiye hoga mai de dunga...
Niraj- arey baba tumhare papa ne kaha tha na ki tum annu ko khush rakhoge....to uski khushi isi me hai ki wo tumhare saath rahe...
Aman- aisa nahi hai...humara divorce ho chuka hai...
Niraj- mai use bachpan se janta hoon uska padhayi chod ke baaki sab chijo me bilkul bewkoof hai...mai gurantee leta hoon 2-3 din ke andar wo tere pass aayegi aur bolegi mujhe divorce nahi chahiye...
Aman-mai in sab chijo ko nahi maanta...
Niraj- tum darte bahut ho...
Aman- jisne ek raat me pyaara bhai kho diya...ek din me maa baap kho diya...ek pal me apni biwi kho di...apne maa papa ka ghar kho diya wo dar kar nahi jiyega to kaise jiyega...
Niraj-chalo mana ki tumne bahut kuch khoya hai...leki fir bhi aaj tumhare saath mai hoon, nikita hai, maa papa hai tumhare dost hai..tumhe yaad bhi hai kitne dino se tum apne dost pawan se baat bhi nahi kiye ho ....dekho dukh ko apne andar chupa kar rakhoge to wo badhega....hum sab se bato wo ghatega....baat rahi annu ki to wo bewkoof hai samay ke saath use dimag aa jayega...uske liye tum kyon apni jindagi barbaad kar rahe ho...