• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Pyaar mohabbat sab kismat ka khel hai

Arjun Singh 72

Well-Known Member
8,137
15,028
143
Awesome update
Lagta h waqt badalne Wala h
Keep posting
 
Riverman

Member
259
3,295
123
Update 23
Aman to ye soch kar khush ho gaya ki use ab sarkari noukari mil jayega..wahi annu ye confirm ho chuki thi ki bewkoofi annu ne hi ki hai...isliye wo turant apne ek dost ko phone ki jo vakil thi aur kuch baat ki taaki inka divorce ki arji jo annu ne bheji thi wo cancell karaya ja sake saath hi usne soch liya tha ki annu ko kaise samjhana hai....iske liye wo apne pati yaani ki annu ke bhai se kuch baat ki aur use bhi bula liya urgent kaam bolkar....
Shaam ko aaj annu jaldi aa gayi thi....aa u ke aate hi nikita ne aman ko kuch saman lane bhej diya...
Annu- nikita se- ab bataiye aapne kya socha ... Aman ko kaise fir se college me padhaya jaye....
Nikita- dekho maine bahut socha to mujhe laga ki tum dono ko ab alag hi rahna chahiye jaisa ki tum chahti ho...saath hi aman ko ab tumhe padhane ki jarurat nahi hai...
Annu- kyon...
Nikita- dekho maine sab pata laga liya hai...tumhe sirf is baat ka afsos hai na ki tum aman ko 25 hazar nahi de payi jiske chalte uske maa papa ki death ho gayi to ye sach nahi hai...us samay pawan ne help kar diya tha aman ka...is hisab se tumhari koi galti nahi hai...aur tumhara divorce bhi ho gaya hai ye dekho papers....ye bol kar nikita ne ek paper dikhaya jo ki nakli tha....
Nikita- haan agar abhi bhi tumhe lagta hai ki tumhari galti hai to tum pawan ko 25 hazar de dena jo aman ko use lautana hai baat khatm....
Annu- thank you bhabhi...aapne mujhe ek bahut bade guilt se bacha liya....mujhe humesha lagta tha ki aman ke maa papa ke mout ka jimmedar mai hoon...
Nikita- nahi annu wo bas kismat ka khel tha...
Annu- mai aaj hi pawan se baat karke use 25 hazar de dungi...
Nikita- uski jarurat nahi hai maine de diya hai use...ye bhi ek jhooth hi hai jo nikita annu se bol rahi hai...
Annu- thik hai to mai aapko paise de dungi...
Nikita- mujhe tu baad me de dena...abhi sabse important kaam hai gaav chalna maa papa ke pass...
Annu- lekin aman...
Nikita- aman ka kya...mai use kuch paise de dungi wo chala jayega bombay....
Annu- nahi bhabhi wahan uski halat bahut kharab thi....
Nikita- thik hai mai tumhare bhaiya se bolkar ise kahi naukari lagwa dungi ...ab khush ho jao....
Ye sunkar annu bahut khoosh ho gayi...aur nikita ke gale kag gayi...
Ab nikita ne ke bomb foda annu par...
Nikita- chalo ab papa ko phone lagao aur bol do ki tumne aman ko divorce de diya...
Annu to ye sunte hi chup ho gayi...
Nikita- kya ho gaya papa maa ko to batana hi padega na....aur tumhari dusri shaadi bhi to karani hai...
Annu- dusri shaadi matlab....
Nikita- matlab shaadi..waise bhi aman ne tumko chua tak nahi hai....aur shaadi to karni hi padegi na ..... poori jindagi akele thode bitaogi....maine to ek NRI soch bhi rakha hai tere liye....pichli baar jo hua so hua is baar khoob dhoom dhaam se shaadi karayenge tumhari...
Itna hi nahi maine to aman ke liye bhi ek ladki dekh rakhi hai uski shaadi bhi karayenge...
Annu- uski shaadi aap kyon karayenge...
Nikita- mai thode na karungi...tumhare papa karayenge....akhir wo aman ke papa ke sabse achhe dost the...itna to wo kara hi denge aman ke liye...akhir aman unki jimmedari bhi to hai...kyonki tumne use divorce de diya hai...
Ye sab sunkar to annu ko jhatke pe jhatka lagta jaa raha tha....
Nikita- to suru karte hai kaam...
Maine tumhare bhaiya ko bhi bula liya hai wo bas kuch der me aate hi honge....unko sabse pahle divorce ki baat batana....uske baad maako phone karke fir papa ko...
Ye sunte hi annu kafi dar gayi...kyonki usne ye decision to le liya tha apne se wo bhi us samay jab wo aman ko galat samajh ti thi aur socha tha maa papa kuch puchenge to bol dungi ki aman achhe se nahi rahta hai padhai likhai nahi karta hai khali badmashi karta hai....aur bhi kuch bol dungi...maa papa maan jayenge...lekin aaj ki condition bilkul alag thi...use pata tha aman ne koi aisa kaam nahi kiya hai jo galat ho...sivay ek ki ek baar wo uske room me ghus gaya tha bina puche....aur aaj aman ka kharab time chal raha hai....
Abhi annu ye soch hi rahi thi ki aman saman lekar aa gaya bajar se sab chijo ko achhe se kitchen me rakha aur naya kapda jo pahan kar bahar gaya use kholkar achhe se rakh diya kitchen ke drawer me aur apne fate kapde pahan kar verandah ke ek kone me baith gaya...Ki tabhi annu ke bhaiya aa gaye ghar....jinka naam tha niraj...
Niraj- bolo annu kya important baat karna hai...Nikita boli ki urgent kaam hai aaj hi aana hoga...dekho papa ka urgent kaam chod kar aaya hoon....
Annu- bhaiya baat darasal wo hai ki mai aman ko divorce de diya hai....
Ye sunte hi niraj ka to dimag hi fir gaya waise bhi wo thoda garam khoon ka tha...
Niraj- dimag to thik hai ki nahi tera ki padh padh ke pagla gayi hai...
Annu- bhaiya wo...
Niraj chillakar kar bola- kya bhaiya ...haa...kya bhaiya...itna bada decision lene se pahle ek baar bhi sochi ki bhai se baat karni chahiye...
Aur ye aman kahan hai...use to mai chodunga nahi....ek to uske bhaai ne jindagi barbaad ki fir ye aaya jindagi barbaad karne...ye bolkar niraj aman ko dhundhne laga lekin use aman mila hi nahi....
Niraj - nikita se ye aman kahan hai...
Nikita use verandah ke kone par ishara karti hai....niraj jaise hi aman ko dekhta hai wo hairat me pad jata hai...use verandah ke kone me dar se kampta hua ek bhikhari dikhta hai...
Niraj- ye ...
Nikita- haa ye aman...aur iski is halat ka jimmedar hai tumhari ladli bahan annu...
Ye sunkar to niraj ko bahut gussa aata hai annu par....
Niraj-annu ko - mai aman ko le jaa raha hoon yahan se aur bhool jana ki mai tumhara bhai hoon...ye bolkar wo aman ka haath pakadata hai...
Aman-mujhe maaf kar dijiye sir meri koi galti nahi hai...aman ye baat isliye bol raha tha kyonki usne aman aur annu ki poori baat nahi suni thi usne bas niraj ko gusse se apna naam lekar dhundte hue dekha tha...
Niraj - bhai mere tujhe mujhse darne ki koi jarurat nahi hai...mai tumhe yahan se le jane aaya hoon...meri bahan ne tumko divorce de diya hai...
Ye sunkar aman ko yakin nahi hua jo nikita samajh gayi...
Nikita use bhi nakli divorce ke paper dikha di....jo dekh kar aman ko ek rahat mili ki chalo usne jo promise kiya tha maa papa se wo poora ho gaya...ab use bas sarkari noukari ki talash karni hai aur jab tak noukari nahi milti tab tak kahi noukari karna hai...
Nikita-niraj aman ke pass paise bhi nahi hai aur noukari bhi nahi...
Niraj - mai sab dekh lunga...
Niraj - aman ko bola - chal mere saath...
Aman - ji kahan...
Niraj- meri ek company me jaan pahchan hai bangalore me wahan tujhe paise bhi achhe milenge aur kaam bhi jyada nahi rahega...
Aman ye sunkar apna jhola uthaya aur ek baar annu ke pass aaya- mam mere pass paisa aate hi aapke 10 hazar mai de dunga...please complaint mat kijiyega apne dost se...ab to aapko divorce bhi mil gaya ab aap khush rahiyega....
Ye bolkar aman niraj ke piche piche chal diya...niraj gusse me apni car me baitha aur ek baar nikita ko awaz diya...
Niraj- nikita tum chalogi ki yahi rahogi....
Nikita- mainkal aaungi...
Niraj- jab rook hi rahi ho yo thoda akl dena is pagal ladki ko....ye bolkar niraj gaadi se nikal gaya....annu jo ye sab bas dekhti rah gayi....
 
Akkialex

New Member
86
136
48
Bhai shandar update with awesome writing skills ???
Waiting for next update Keep posting
 
  • Like
Reactions: Chinturocky

Chinturocky

Well-Known Member
4,398
12,813
158
Bahut hi badhiya kiya Annu ke Bhaiya Bhabhi ne ab Aman ki jindagi sudhar Jaayegi, aur dheere dheere Annu ko bhi sabak seekhaya jayega jisase use usaki galti ka ahasas ho sake aur aman ke pyar ko wo samajh sake.
 
  • Like
Reactions: ABHISHEK TRIPATHI

ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,407
28,436
218

Superb update
 
  • Like
Reactions: Chinturocky

Rajroyal

Member
286
629
108
Very nice and emotional story.
 
kartik

Member
327
557
108
Annu mam apne aapko samjti hai ke jo woh kar rahi hai woh sab sahi hai Jo woh kar rahi hai woh usse sahi lagta hai aur apna hi khudka sochti hai ab pata chalega usse ke woh kitna sahi hai...
 
Top