Arjun Singh 72
Well-Known Member
- 8,137
- 15,028
- 143
?Update 15
Ab annu ke naye sahar me aaye 5 din ho chuke the aur usne ek packers and movers wale company ko order de diya tha jo purane sahar se sara saman pack karke naye sahar me shift kar denge....tab annu is naye college me padhana suru kar di...aur 3-4 din me uske saare saman bhi purane ghar se is ghar me aa gaye...annu ne un sabhi box se saman nikal nikal kar ghar me achhe se rakh diya aur do box jisme aman ke saman the use ek kone me rakh diya tha...ab baari thi us kaam ki jiske liye annu himmat juta rahi thi aur wo kaam tha bombay jana.finally annu ne aaj raat ka plane ka ticket kata liya...aur din bhar bechaini me bit gaya....aaj annu dhadakte dil se flight me baithi aur 2 ghante me bombay pahuch gayi...raat bhar ek achhe se hotel me rooki aur agli subah wo chal padi aman ko dhundhne...aman main city se bahot door rahta tha to us godaam tak jiska adress amit ne diya tha wahan pahuchte pahunch te dopahar ho gaya....annu ac wali car se utri haraam ke samne....aur annu ki najre dhundhne lagi aman ko ki achanak se kuch door use aman dikha jo apne pith par 100 kg ka bora liye ek truck ki taraf badh raha tha....annu ek baar gour se aman ko upar se niche tak dekhi....upar ek white brown shirt tha jo 3-4 jagaho se fat chuka tha niche ek jeans jo bhi jarjar halat me tha aur niche khali pair jisme bahut jagah se kate fate hone ke nisan.....ab aman ek normal gira sa nahi balki ek saala sa ladka ho chuka tha jiska chehra murjha gaya tha....aman ko aisi halat me dekh kar annu ka to dil hi ek baar ko rook gaya aur wo aman ke saamne jaane ki himmat hi nahi kar payi aur ek diwar ke pass chup gayi aur adhe ghante aman ko bas dekhte rahi....aur is adhe ghante ke douran uske dil aur dimaag ne hazaro baar ye bola ki in sab ka jimmedar sirf aur sirf annu khud hai....ab dopahar ke ek van chuke the aman baar baar bori haraam se truck me chadha raha uske saath aur bhi 2-3 majdoor kaam kar rahe the...fir jab truck bhar gaya to wo chala gaya aur aman godaam se kuch door ek ped ke pass baith gaya aur roti me namak aur mirch daalkar khane laga....ye dekhkar to annu ka halat kharab ho gaya....kyonki wo to sapne me bhi nahi sochi thi ki aman itni boori halat me hai....aur wo sochne lagi ki kahi aman pooch dega ki wo yahan kyon aayi hai to annu kya jawab degi....