• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Pyaar mohabbat sab kismat ka khel hai

ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,407
28,436
218
Update 17
Jaise hi aman ke mooh se annu ne ye suna ki aman usko lout jane ko bol raha hai annu to ek pal ke liye bilkul sadme me chali gayi lekin turant usne apna dimag doudaya aur boli dekho judge ne bola hai agar mujhe tumse divorce chahiye to pahle 3 mahine saath rahna hoga....nahi to wo hume divorce nahi dega....
Aman kuch der kuch socha fir bola- judge ko aap bol dijiyega ki mai out of city hoon ya koi bahana bana dijiyega...
Annu- ye ye nahi ho sakta tumko chalna hoga mere saath...
Aman- dekhiye mere pass paise bilkul bhi nahi hai aur agar mai nahi kamaunga to bhukhe mai jaunga...please were aap meri baat samajhiye....
Ye sunkar annu ek baar fir kuch sochi aur boli - dekho maine college badal liya hai aur mai ab naye jagah rahti hoon wahan mujhe bahut kaam rahta hai agar tum wahan meri help kar doge to mai tumhe paise bhi dungi....kyonki mujhe apne help ke liye koi na koi to chahiye hi hoga aur kisi aur ko paisa dene se achha hai tum hi mere liye kaam kar do....
Aman- dekhiye mai sirf 12 pass hoon aur mujhe jyada kaam bhi nahi aata hai mai bahut kar paunga to bhi apke ghar me saaf safai khana bana bartan dhona se jyada nahi kar paunga....
Yahan mai mehnat karke mahine kaa 8000 se 9000 kama leta hoon ghar ke noukar ko log 5000-6000se jyada nahi dete hai...
Ye sunte hi annu ko laga ki isse achha mouka nahi milega aman ko apne pass le jane ka..kyonki abhi annu ye soch rahi thi ki kisi bhi tarah pahle aman ko is jagah se nikalna hai...itne dukh me aman ko wo nahi dekh paa rahi thi...isliye annu turant hi boli mai tumhe 10 hazar dungi...dekho tum mere saath rahoge to dono ka fayda hai...mujhe divorce mil jayega....aur tumhe paise mil jayenge....
Aman- lekin mujhe aapse paise nahi chahiye...ulta mujhe aapko paise dene hai...wo bhi 10 hazar...
Ye sunte hi annu ko thoda gussa aa gaya kyonki annu jo plan bana ke aayi thi wo fail ho raha tha...aur annu ko fail hona bilkul bhi pasand nahi tha apne life me....
Annu thoda gusse me boli- dekho tumko mere saath chalna hi hoga aur agar nahi gaye to mujhe abhi ke abhi mere paise chahiye aur mai court me case bhi kar dungi ki tum mujhe bahut pareshaan karte the shaadi ke baad...fir saari jindagi bitana jail me....
Itna sunte hi aman dar ke annu ka pair pakad liya....
Aman-please aisa mat kijiye sirf tin mahino ki baat hai na to mai taiyaar hoon mujhe aapse paise bhi nahi chahiye...bas mai jitna kaam karu uske badle kuch khane ka de dijiyega....
Annu- thik hai chalo....
Fir aman wahan se godaam ke piche gaya jahan se ek lootane jamane ka jhola le kar aaya ...
Annu- ye kya hai...
Aman- isme mere saare kapde aur kuch saman hai....
Iske baad dono train se wapas aa gaye is sahar mr jahan unki kismat likhi jaani thi....dekhte hai jindagi aman ko kis ore le jati hai.....
Nice update
 
Chinturocky

Well-Known Member
4,398
12,813
158
Wakai me yaar Aman ki Dasha pe bahut taras aa raha hai. Dekhate hai dono ka relation kaise aage badhata hai. Ab bhool to ho hi gayi hai Annu se, intzaar hai wo kaise Ise sudharati hai.
 
Piyush kumar

New Member
8
15
3
Superb update.... Pura Hila ke rakh diya.... Dekhte h in 3 mahino ne kya hota h..
 
Riverman

Member
259
3,295
123
Update 18
Ab aman aur annu dono ghar pahuche to raat ho gayi thi...annu is safar se kaafi thak gayi thi to wo aate hi so gayi lekin ab problem ye tha ki annu ka ghar 1bhk tha...matlab sirf ek room tha aur ek chota sa hall jo hall kum verandah jyada lagta tha...aur annu so gayi thi bed par to aman wahi jamin par so gaya....ab suru hui raat jo aman ke liye bahut badi hone wali thi kyonki is room me laga hua tha AC jo room ko dheere dheere karne laga thanda aur aman kampne laga jab use jada thanda lagne laga to wo apne bag se ek fata hua chadar nikala use odh liya fir do tin purane shirt aur pant nikala usko ek ek karke ek ke upar ek pahan kar jamin par sikud kar so gaya...
Subah jab annu ka nind khula to jamin par aman ko sote hue dekhi...aur uski halat dekhkar annu ko rona aa gaya...aisa lag raha tha jaise koi bhikhari thand me apne kapde pahan fati chadar par so raha ho....wo bhi aisa ladka jo aaj se 3-4 mahine pahle tak gadde dar bed par makhmal ki chadar odh kar sota tha...aaj wo jamin par sikud kar so raha tha....
Annu apne ashoon ko poch kar dheere se boli aman....
Lekin aman to so raha tha....
Annu fir se boli aman....lekin aman fir bhi nahi utha....to annu thoda jor se boli amannnn to aman hadbada kar utha....use laga sayad wo annu ke room me so gaya hai isliye annu gusse me hai....
Aman- sorry mam mai wo galti se yahan so gaya...mai bhool gaya tha ki aapke room me koi aur aata hai to aapko achha nahi lagta.....ye bol kar aman jaldi se apna chadar aur jhola uthaya aur room se bahar chala gaya aur fir jaldi se apne upar ke 3-4 kapde khol kar use jhola me dala aur jhadu lagane laga..fir ghar me pocha lagaya aur breakfast banane laga....ye dekh kar to annu ke dil par ek aisa jhatka laga ki wo bas dekhti rah gayi...aman aisa behave kar raha tha jaise wo annu ka koi naukar ho jise subah subah malik ne khub data ho.....idhar aman breakfast me roti aur aalo ka sukha sabji bana kar table par rakh diya aur khood bahar veranda me baith gaya...jab annu table par baithi to dekhi aman veranda me jamin par baitha hai..
Annu-tum bhi khalo aman....
Aman- ji mam...
Ye bolkar aman pahle kitchen gaya apna hath dho kar aaya aur do roti apne haath me liya uspar kuch sabji dala aur jamin par kone me baith kar khane laga....
Annu ko samjh hi nahi aa raha tha ki wo kya kare....usne kabhi socha hi nahi tha ki koi ladka 2-3 mahine me itna kaise badal sakta hai....kal tak jo malik bankar rahta tha nidar hokar ghumta tha..aaj wo naukar bankar dar dar kar ji raha hai....
Annu ne to socha tha wo use college me admission karwa degi aur hostel me rakhwa kar paise de degi aur sab chije thik ho jayegi....lekin aman ne to jab 10 hazar bhi lene se mana kar diya annu se wo bhi kaam karne ke baad to wo saal ka ek lakh kaise lega wo bhi bina kaam ke padhne ke liye ....aur to aur aman ki halat dekhkar annu soch rahi thi ki akhir jindagi kitne rang dikha sakti hai logon ko....
Uske baad annu college chali gayi aur aman fresh hokar apne kapde pahankar ghar me baith gaya aur apne jhole se kuch kitab nikal kar padhne laga...ye kitab exam ke taiyari ki thi kyonki aman jald se jald kisi sarkari noukari me jana chahta tha jo 12th pass logon ko leta ho...post koi bhi ho us se fark nahi padta...aur aman din bhar kitab padhta raha....aur jab shaam hui to kitab apne jhole me rakh kar annu ke aane ka intezar karne laga....aur jab thoda andhera hua to annu bhi aa gayi...annu ke aate hi aman raat ka khana banane laga...idhar annu ne dekha ki aman ne uske ghar ko achhe saaf suthra kar diya tha...fir raat hui aur raat ke khane ke samay bhi wahi hua...annu table par khayi aur jab usne aman ko bola to wo jamin par baith kar khaya....ab aayi sone ki baat....kyonki aman jamin par soye ye annu ko achha nahi lagta tha aur annu abhi bhi aman ko apne bed par sulane se hichak rahi thi kyonki wo use na hi pati maanti thi aur naa hi pyaar karti thi.use bas aisa lagta tha ki usne galti ki hai jise wo sudhar rahi hai...
annu bahut der sochi to use kuch idea aaya...jo kal hi kiya jaa sakta tha isliye wo so gayi lekin aaj usne AC band kar diya tha lekin kya fayda kyonki aman to aaj verandah me soya tha....agle din annu subah 5 baje hi uth gayi aur chupke chupke aman ke pass gayi aur aman ke jhole se uske kapde dekhkar uska size dekha aur apne mobile me likh kar chali gayi
..aur baki din waise ho bita bas shaam ko annu pahle mall gayi aur do set kapde jute underwear baniyan kharidi fir ek furniture ki dukan jakar ek bada wala sofa kharidi taki uspar aman aram se so sake saath hi ek kambal bhi kharid li....aur raat ko ghar pahuchi...raat me aman khana bana chuka tha...furniture dukan wale ne furniture lakar annu ke room me laga diya tha...wo bhi bed ke ek bagal me....ab annu aman ko bulati aur use kuch kapde diye...
annu- ye kapde le lo tumhare saare kapde purane ho gaye hai...
aman- mam aapko mere liye ye sab karne ki koi jarurat nahi hai...agar aapko kuch karna hi hai to jaldi se jaldi divorce ke saare kaam karwa dijiye .annu ye sunkar chup ho gayi...bas itna hi boli ki dekho kapde le aayi hoon ab lautana muskil hai isliye please ye le lo .....
aaj pahli baar annu ke mooh se please nikla tha wo bhi aman ke liye....lekin aman maan hi nahi raha tha to annu boli-dekho mai chati hoon tum ab saman ki shopping khud se kiya karo aur uske liye tumhe kapde chahiye honge kyonki in fate kapdo me ghumoge to meri beijjati hogi isliye ye kapde le lo ise pahan kar kal se sabji aur saman lane jana....annu ye bolna nahi chahti thi lekin use koi aur idea sujha hi nahi isliye usne ye bol diya...
aman-ji mam...
Uske baad annu khana khayi table par lekin aman aaj bhi jamin par hi khaya ab sone ki baari aayi to annu ne aman ko daat kar bola sofe par so jana samjhe... jamin par verandah me sone ki koi jarurat nahi hai...kyonki use pata tha pyaar se bolne par sayad aman na maane...isi tarah ab din gujarne lage the lekin annu ko koi idea nahi mil raha tha ki kaise aman ko padhne ke liye raji kiya jaye... .aise hi din bit rahe the ki ek din achanak annu ki mulakaat uske bachpan ke ek friend se hui jo is samay isi ilake me inspector tha aur uska naam suNil tha...aur dono baat karte karte annu ke ghar aa gaye....jahan verandah me aman apne fate purane kapde me baitha hua tha....sunil abhi civil dress me tha police wale dress me nahi tha lekin jab wo aman ko dekha to use ajib laga....
sunil annu se bola- ye koun hai tumhare ghar me koi noukar hai kya....
Ab annu kaise bolti ki ye aadmi koi aur nahi uska pati hai...isliye annu koi jawab nahi diya...
Sunil-ise mahine ka kitna rupya de deti ho...
Annu- kya...
Sunil-ise kitan rupya de deti ho mahine ka...
Annu hichkichate hue boli-wo wo 10 hazar...
Sunil-chouk kar- 10 hazar lekin ye to jada hai...
Annu- nahi ye mere jaan pehchan ka hai na isliye...
Ye sab baat aman sun raha tha saath hi wo dekh raha tha ki annu kitna uncomfortable hai aman ki baat karne me
Idhar sunil aman ke pass aya aur robdaar awaz me bola- suno e ladke...achhe se rahna aur annu madam ka achhe se khyaal rakhna ...agar teri sikayat aayi yo jan le ki mai is area ka inspector hoon...jail me dalkar aisi dhulayi karunga aur itne case tere naam kar dunga ki poori jindagi jail me bitayega...ye sunkar aman bahut dar gaya...
Sunil-aman ko-tujhe pata nahi hai jab koi annu mam ke saath aata hai to tujhe unki baat nahi sun ni chahiye ghar se bahar darwaze par baithna chahiye..naukar hai na tu...to achhe naukar ki tarah rah aur achhe se ghar me kaam kar samjha....
Ye sun kar to aman bahut dar gaya tha aur uske pair kaamp rahe the....jab ye annu ne dekha to use bahut boora laga...aur wo sunil se thodi der baat karke use kisi bahane se bhej di....
Annu aman se- sorry wo mujhe nahi pata tha ki wo tumse aise bartaav karega...
Aman- isme uski kya galti...mai noukar hi to hoon...is ghar ka...bas aapse request hai meri sikayat mat kar dijiyega aap unse...
Fir aaj ka din bhi bit gaya aur aaya agla din jab annu late se uthi...aur hadbadi me bina breakfast kiye main gate ko lock karke chali gayi....aur kismat dekho aaj ghar me khane ka chawal daal bhi khatm tha..aaj shopping ke liye jana tha aman ko........
 
Last edited:

ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,407
28,436
218
Update 18
Ab aman aur annu dono ghar pahuch chuche to raat ho gayi thi...annu is safar se kaafi thak gayi thi to wo aate hi so gayi lekin ab problem ye tha ki annu ka ghar 1bhk tha...matlab sirf ek room tha sur ek chota sa hall jo hall kum verandah jyada lagta tha...aur annu so gayi thi bed par to aman wahi jamin par so gaya....ab suru hui raat jo aman ke liye bahut badi hone wali thi kyonki is room me laga hua tha AC jo room ko dheere dheere karne laga thanda aur aman kamine laga jab use jada thanda lagne laga to wo apne bag se ek fata hua chadar nikala use odh liya fir do tin purane shirt aur pant nikala usko ek ke upar ek pahan kar jamin par sikud kar so gaya...
Subah jab annu ka nind khula to jamin par aman ko sote hue dekhi...aur uski halat dekhkar annu ko rona aa gaya...aisa lag raha tha jaise koi bhikhari thand me apne kapde pahan fati chadar par so raha ho....wo bhi aisa ladka jo aaj se 3-4mahine pahle tak gadde dar bed par makhmal ki chadar odh kar diya tha...aaj wo jamin par sikud kar so raha tha....
Annu apne ashoon ko poch kar dheere se boli aman....
Lekin aman to so raha tha....
Annu fir se boli aman....lekin aman fir bhi nahi utha....to annu thoda jor se boli aman men to aman hadbada kar utha....use laga sayad wo annu ke room me so gaya hai isliye annu gusse me hai....
Aman- sorry mam mai wo galti se yahan so gaya...mai bhool gaya tha ki aapke room me koi aur aata hai to aapko achha nahi lagta.....ye bol kar aman jaldi se apna chadar aur jhola uthaya aur room se bahar chala gaya aur fir jaldi se apne upar ke 3-4 kapde khol kar us jhola me dala aur jhadu lagane laga..fir ghar me pocha lagaya aur breakfast banane laga....ye dekh kar to annu ke dil par ek aisa jhatka laga ki wo bas dekhti rah gayi...aman aisa behave kar raha tha jaise wo annu ka koi naukar ho jise subah subah malik ne khub data ho.....idhar aman breakfast me roti aur aalo ka sukha sabji bana kar table par rakh diya aur khood bahar veranda me baith gaya...jab annu table par baithi to dekhi aman veranda me jamin par baitha hai..
Annu-tum bhi khalo aman....
Aman- ji mam...
Ye bolkar aman pahle kitchen gaya apna hath dho kar aaya aur do roti apne haath me liya uspar kuch sabji dala aur jamin par kone me baith kar khane laga....
Annu ko samjh hi nahi aa raha tha ki wo kya kare....usne kabhi socha hi nahi tha ki koi ladka 2-3 mahine me itna kaise badal sakta hai....kal tak jo malik bankar rahta tha nidar hokar ghumta tha..aaj wo naukar bankar dar dar kar ji raha hai....
Annu ne to socha tha wo use college me admission karwa degi aur hostel me rakha kar paise de degi aur sab chije thik ho jayegi....lekin aman ne to jab 10 hazar bhi lene se mana kar diya annu se wo bhi kaam karne ke baad to wo saal ka ek lakh kaise lega wo bhi bina kaam ke padhnr ke liye ....aur to aur aman ki halat dekhkar annu soch rahi thi ki akhir jindagi kitne rang dikha sakti hai logon ko....
Uske baad annu college chali gayi aur aman fresh hokar apne kapde pahankar ghar me baith gaya aur apne jhole se kuch kitab nikal kar padhne laga...ye kitab exam ke taiyari ki thi kyonki aman jald se jald kisi sarkari noukari me jana chahta tha jo 12th pass logon ko leta ho...post koi bhi usse fark nahi padta...aur aman din bhar kitab padhta raha....aur jab shaam hui to kitab apne jhole me rakh kar annu ke aane ka intezar karne laga....aur jab thoda andhera hua to annu bhi aa gayi...annu ke aate hi aman raat ka khana banane laga...idhar annu ne dekha ki aman ne uske ghar ko achhe saaf suthra kar diya tha...fir raat hui aur raat ke khane ke samay bhi wahi hua...annu table par khayi aur jab usne aman ko bola to wo jamin par baith kar khaya....ab aayi sone ki baat....kyonki aman jamin par soye ye use achha nahi lagta tha aur annu abhi bhi aman ko apne bed par sulane se hichak rahi thi kyonki wo use na hi pati maanti thi aur naa hi pyaar karti thi.use bas aisa lagta tha ki usne galti ki hai jise wo sudhar rahi hai...
annu bahut der sochi to use kuch idea aaya...jo kal hi kiya jaa sakta tha isliye wo so gayi lekin aaj usne AC band kar diya tha lekin kya fayda kyonki aman to aaj verandah me soya tha....agle din annu subah 5 baje hi uth gayi aur chupke chupke aman ke pass gayi aur aman ke jhole se uske kapde dekhkar uska size dekha aur apne mobile me likh kar chali gayi
..aur baki din waise ho bita bas shaam ko annu pahle mall gayi aur do set kapde jute underwear baniyan kharidi fir ek furniture ki dukan jakar ek bada wala sofa kharidi taji uspar aman aram se so sake saath hi ek kambal bhi kharid li....aur raat ko ghar pahuchi...raat me aman khana bana chuka tha...furniture dukan wale ne furniture lakar annu ke room me laga diya tha...wo bhi bed ke ek bagal me....ab annu aman ko bulati aur use kuch kapde diye...
annu- ye kapde le lo tumhare saare kapde purane ho gaye hai...
aman- mam aapko mere liye ye sab karne ki koi jarurat nahi hai...agar aapko kuch karna hi hai to jaldi se jaldi divorce ke saare kaam karwa dijiye .annu ye sunkar chup ho gayi...bas itna hi boli ki dekho kapde le aayi hoon ab lautana muskil hai isliye please ye le lo .....
aaj pahli baar annu ke mooh se please nikla tha wo bhi aman ke liye....lekin aman maan hi nahi raha tha to annu boli-dekho mai chati hoon tum ab saman ki shopping khud se kiya karo aur uske liye tumhe kapde chahiye honge kyonki in fate kapdo me ghinone to meri beijjati hogi isliye ye kapde le lo ise pahan kar kal se sabji aur saman lane jana....annu ye bolna nahi chahti thi lekin use koi aur idea sujha hi nahi isliye usne ye bol diya...
aman-ji mam...
Uske baad annu khana khayi table par lekin aman aaj bhi jamin par hi khaya ab sone ki baari aayi to annu ne aman ko daat kar bola sofe par so jana samjhe...jamin par verandah me sone ki koi jarurat nahi hai...kyonki use pata tha pyaar se bolne par sayad aman na maane...isi tarah ab din gujarne lage the lekin annu ko koi idea nahi mil raha tha ki kaise aman ko padhne ke liye raji kiya jaye....aise hi din bit rahe the ki ek din achanak annu ki mulakaat uske bachpan ke ek friend se hui jo is samay isi ilake me inspector tha aur uska naam suNil tha...aur dono baat karte karte annu ke ghar aa gaye....jahan verandah me aman apne fate purane kapde me baitha hua tha....sunil abhi civil dress me tha police wale dress me nahi tha lekin jab wo aman ko dekha to use ajib laga....
sunil annu se bola- ye koun hai tumhare ghar me koi noukar hai kya....
Ab annu kaise bolti ki ye aadmi koi aur nahi uska pati hai...isliye annu koi jawab nahi diya...
Sunil-ise mahine ka kitna rupya de deti ho...
Annu- kya...
Sunil-ise kitan rupya de deti ho mahine ka...
Annu- wo wo 10 hazar...
Sunil-chouk kar- 10 hazar lekin ye to jada hai...
Annu- na nahi ye mere jaan pehchan ka jai na isliye...
Ye sab baat aman sun raha tha saath bhi wo dekh raha tha ki annu kitna uncomfortable hai aman ki baat karne me
Idhar sunil aman ke pass aya aur to daar awaz me bola- suno e ladke...achhe se rahna aur annu madam ka achhe se khyaal rakhna ...agar teri sikayat aayi yo jan ke mai is area ka inspector hoon...jail me dalkar aisi dhulayi karunga aur itne case tere naam kar dunga ki poori jindagi jail me batayega...ye sunkar aman bahut dar gaya...
Sunil-aman ko-tujhe pata nahi hai jab koi annu mam ke saath aata hai to tujhe unki baat nahi sun ni chahiye ghat se bahar darwaze par baithna chahiye..naukar hai na tu...to achhe naukar ki tarah rah aur achhe se ghar me kaam kar samjha....
Ye sun kar to aman bahut dar gaya tha aur uske pair kaamp rahe the....jab ye annu ne dekha to use bahut boora laga...aur wo sunil ko se thodi der baat karke use kisi bahane se bhej di....
Annu aman se- sorry wo mujhe nahi pata tha ki wo tumse aise bartaav karega...
Aman- isme uski kya galti...mai noukar hi to hoon...is ghar ka...bas aapse request hai meri sikayat mat kar dijiyega aap unse...
Fir aaj ka din bhi bit gaya aur aaya agla din jab annu late se uthi...aur hadbadi me bina breakfast kiye main gate ko lock karke chali gayi....aur kismat dekho aaj ghar me khane ka chawal daal bhi khatm tha..aaj shopping ke liye jana tha aman ko....lekin ab ghar
?AWESOME UPDATE
 
Riverman

Member
259
3,295
123
Update 19
Ab aman ko bhukh lagne laga lekin ghar me khane ko kuch nahi tha....wo bechara pet pakad kar baith gaya...fir socha fridge me dekhta hoon kya hai...aur uski kismat dekho fridge me ek chocolate rakhi hui thi...aman use uthaya hi tha khane ke liye ki uska daam dekhkar aman ne use wapas se fridge me rakh diya...wo chocolate ka poora packet 600 ka tha...aman ko yaad aa gaya wo din jab usne annu ko aisa hi ek chocolate lakar diya tha jiske liye use bahut daat padi thi....aman wo chocolate ko liye flashback ki duniya me chala gaya aur jab wapas aaya to wo turant wo chocolate fridge me rakh kar fridge band kar diya....lekin bhookh se aman ki halat kharab hone laga....fir bhi aman kisi tarah din bhar bhookhe pet leta raha shaam tak uski halat khrab ho gayi...idhar annu ka bhi aaj college me din achha nahi gaya tha kyonki aaj kuch students uske class me badmashi kar rahe the fir office me bhi aaj use kaafi kaam karna pada college ka kyonki aaj office boy nahi aaya tha...isliye annu bhi khrab mood me late ghar aayi aur use bhookh bhi lag gayi thi....wo gusse me ghar ka darwaja kholi aur table par daily ki tarah baith gayi khane ke liye lekin ye kya khane ko to kuch tha hi nahi...ye dekhte hi use gussa aa gaya aur gusse me wo aman par chillane lagi-dinbhar ghar me baith kar khali aram karte ho....khana bhi nahi banaya hai abhi tak....tum to ho hi ek number ke kaam chor...koi kaam nahi karna chahte....sochte ho madam to kama hi rahi hai...bas ghar me baith kar muft ki roti tod rahe ho....
Jab aman ye sab baat suna annu ke mooh se to wo chup chap apna jhola uthaya aur ghar se nikal gaya.....
Annu abhi bhi bahut gusse me thi isliye boli- jao jao waise bhi mijhe tumhari jarurat nahi hai...tumKo hi meri jarurat hai samjhe...garib tum ho...mujhe koi fark nahi padta...ye sab bol bol kar annu apni college ka frustration aman par nikalne lagi....lekin aman bechara ye sab sunte hue bhi ghar se nikal gaya...ab raat ho gayi thi to aman ko gaadi to milne se rahi aur bhookh se waise hi uski halat kharab thi..iskiye wo kuch door ek ground me jakar late gaya....idhar jab annu ka gussa shant hua to bhookh ke karan wo sabse pahle kitchen gayi...aur use pata chala ki ghar me to kuch hai hi nahi khane ka saman ...tab use yaad aaya saman to kal hi khatm ho gaya tha...lekin aman ne saman kyon nahi laya tab use fir se yaad aaya aaj subha wo hadbadi me gate lock karke chali gayi thi....
Annu apne sar par hath rakh kar boli- ohhhhhh myyyyy goddddddddddd....
Aman subah se bhukha hai....nahi nahi fridge me chocolate hai wo to kam se kam khaya hi hoga usne.....aur wo ye sochkar fridge mw dekhi....lekin fir use surprise hi mila kyonki chocolate bilkul sahi salamat rakha hua tha.....
Ab use aaya rona lekin annu turant ghar lock ki aur bhaagi aman ko dhundhne....lekin kahte hai na har dard ki ek inteha hoti hai...aur har marz ki ek dawa hoti hai....ab sayad aman ke dukh ke din jaane wale the aur annu ke dukh ke din aane wale the.....
Arj hai ye
Khoobsurat sa ek pal kissa ban jata hai...
Jane kab koun jindagi ka hissa ban jata hai.

Bane rahiye humare saath ...aur padhte rahiye pyaar mohabbat sab kismat ka khel hai.....???
 
❤️
 
Chinturocky

Well-Known Member
4,398
12,813
158
Aman agar is tarah dar dar ke rahega to kaise wo apna ghar bacha paayega. Agar sarkari naukari lag bhi gayi to usaka ye attitude dekh ke log use kha jaayenge.
 
  • Like
Reactions: ABHISHEK TRIPATHI
Top