• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Raja

chaudhari

Member
178
137
43
Update 27

Jab kal mahaguru ke samne prakat hota hain tabhi wo hasta huya kahta hain

Kal- hahaaaa mahaguru utho dekho kon aya hain?

Mahaguru ki tantra nhi tutti dekh kal ko gussa ane lagta hain.

Kal phir ek bar dhahadta huya kahta hain.

Kal- uth jaa mahaguru varna achha nhi hoga

Lekin phir bhi mahaguru ki tantra nhi tutti tabhi kal shaitan ki talwar ko nikal chillate huye kahta hain.

Kal- main akhiri bar kah rha hun uth jao mahaguru

Lekin mahaguru ki ankhe nhi tutti

Kal gusse me aa shaitan ki talwar ko hawa me utha mahaguru ke sir ko kalam kar deta hain.

Lekin wahan kuchh aisa ho jata hain jiski apeksha kal ne bhi nhi ki thi.

Idhar


Mahesh us kitab ki gufa se nikal bahr aa jata hain jab wo himalayan ke nicche pahunchta hain to use. Dhumketu mil jata hain or wo dono kitab le jhinjha grah rajmahal me pahunch jate hain.


Idhar

Kala saya apne picche devi ko khada paa thodi rahat ki sans leti hain

Devi- jald hi tumhe sab kuchh pta chal jayega

Itna bol devi wahan se nikal raja ke pass pahunchti hain jo achambhe se mayasur ke sarir ke tukde ko dekh rha tha.

Devi -kya huya raja ?

Raja - devi ap pranam.

Devi- pranam ap kis soch me pade hain?

Raja - is mayasur ko wadh kisne kiya?

Ye swal sun devi sarojni ki trf dekhne lagti hain or ankh hi ankhon me madad ki guhar laga rhi hain.

Devi ko bolne se pahle sarojni bolti hain.

Sarojni- iska. Wadh rajkumari ne kiya

Ye sun raja or rajkumari soch me pad jati hain.

Raja - lekin kaise ? Achmabhe se

Rajkumari ye sun binti ke guhar me sarojni ki trf dekhti hain or sath hi sath ankho me gusse the

Sarojni- rajkumari ne apni sari shakti aktrit kar uska. Wadh kiya

Raja khush hokar - wah

Rajkumari raja ko khush hote dekh sarojni se badla lena ka mouka mil jata hain or wo age badh raja ko gale lagati hain or kiss karna suru kar deti hain.

Kiss karne ke bad wo raja ke gale lag sarojni ki trf mud kar usko ankh marti hain .

Sarojni rajkumari se jal bhun jati hain or gusse me rajkumari ko dekhne lagti hain. Rajkumari sarojni ki halat ko dekh mand hi mand muskurane lagti hain.


Sarojni man me -main tujhe dekh lungi kamini.


Kuchh der bad rajkumari raja se alag hoti hain

Devi rajkumari or sarojni ko dekh mand hi mand muskurati rhti hain.

Devi-apka shukriya rajkumari.

Rajkumari- isme shukriya ki kya bat ye to mera kartabye tha. Ye bol rajkumari sarojni ko ankhbmar deti hain.

Devi- ap teeno ka ye jungle sada sada rini hoga. Rajkumari main apko kuchh dena chahti hun is madad ke liye.

Devi ek anguthi rajkumari ko dete huye kahti hain .

Devi- rajkumari ye kisi ka bhi itihas bat degi bas ap us shaks ka name lijiye.

Rajkumari- ji shukriya.

Rajkumari anguthi ko sarojni ke trf kar usko chidkate huye anguthi ko apni anguli me pahan leti hain.

Sarojni rajkumari ko bacche jaisa karte dekh apne gusse ko bhul kar mand mand muskurane lagti hain.

Uske bad teeno devi se vida lete hain or mani ke sath ek roshni me gayab ho jate hain.

Tabhi pathar ke pichhe se kala saya bahar niklti hain or devi ke pass pahunch puchhti hain.

Kala saya - main kon hun ? Mere janm mani se huya hain ye pta hain lekin kyun huya ? Main kiske sarir ka saya hun?

Devi- ye sare swal ke jawab us anguthi me hain jo maine rajkumari ko diya hain tumhe tumhare swal ke sare jawab jaldi hi mil jayenge or tumhe sahi or galat ka bhi abhash ho jayega.

Itna bol devi wahan se gayab ho jati hain .

Devi ke jane ke bad bhi kala saya ke man me ye swal ghumte rhte hain or kuchh der tak wahin sochti rhti hain

Uske bad use raja ki yaad ati hain or wo wahan se chal deti hain raja ke pichhe.

Uske jane ke bad devi ati hain jo pathar ke pichhe chhup kar uski harkat ko dekh rhi thi.

Devi- jald hi tumhe tumhare sarir mil jayega or tumhara pati bhi

Itna bol devi bhi wahan se wapas chal deti hain jungle ki or.


Kon hain kala saya ka sarir ?
uska janm mani se kaise huya ?
Uska pati raja kaise bana?
Kaise wo kal ke chungul me fas gyi?
Ye sabhi swal ka jawab jald hi milega sath bane rhe raja ke adventure ke sath
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Vaibhav

chaudhari

Member
178
137
43
Update 28

Kal jaise hi apni talwar se mahaguru ka sir dhar se alag karta hain to wahan ek bhavisyavani hoti hain

akashwani- kal tumne ek mahapurush ko mara hain jald hi tumhari maut hogi. Ab tumhare jindagi ke kuchh hi din shesh hain.

Kal-main kisi se darta nhi main amar ho jaunga us kitab se hahahaha

Ye sab sun akashwani khatam ho jati hain


Kal wahan se chal deta hain apne rajmahal me

Jab kal rajmahal pahunchta hain to use dhumketu or mahesh dikhta hain jiske hathon wo golden kitab thi jisase wo srap se mukt ho jayega .

Kal jaise hi kitab ko dekhta hain to wo turant unlog ke hathon se wo kitab le apne kaksh me chala jata hain or us kitab ko padhne lagta hain.


Idhar

Raja apni satvi mani ko hasil kar apne agle athave mani ko pane ke liye wo ek aisi jagah pahuch jata hain jiska naam tha maut ka dariya.

Ji haan ye mani ka athva praw hain ye wo jagah hain jahan us mani ka kuchh ans rakhne wala hi jaa sakta hain.

Jaise hi wo teeno us jagah jiski suruwat ek bhayankar andhkar maye gufa se hoti hain

Jaise wo teeno us gufa ke daur ke pass pahunchte hain tabhi un teeno ke chrno ke pass ek teer ati hain jisase rajkumari or sarojni thodi dar kar raja ka hath pakar leti hain .


Jaise wo teeni apna sir upper uthate hain tabhi unhe apne samne do log jiski ankhe lal thi or rang kala tha or jangli manusye ke bhesh me the jise dekh koi bhi insan dar ke mar jaye apne apne gale ka thuk nigal thode darte huye raja puchhta hain.


Raja - ap kon hain?

Tabhinun dono ke pichhe se ek budha insan bahar nikal raja ke chrano me gir kar.

Admi- maharajjjjjjj.
 
  • Like
Reactions: Vaibhav

chaudhari

Member
178
137
43
Update 29



Raja chankit ho - main koi maharaj nhi hun main raja hun or main apni shakti ke talash me aya hun .

Admi - ap.hi humare maharaj ho agar apko vishwash nhi hota to chaliye mere sath.


Wo admi jaise hi raja ke uper se apni najar hata sarojni ko dekhta hain to kahta hain.

Sarojni dar jati hain or rajkumari ke trf dekhti hain binti ke guhar me rajkukari uski man ki bat samjh jati hain.


Admi- ap ma....

Wo admi age kuchh kah pata usase pahle hi rajkumari bich me bol padti hain.

Rajkumari - ji main thak chuki hun kya main thodi der aram kar sakta hun or ap kon hain or ap raja ko maharaj kyun kah rhe hain?


Admi- main is jungle ka sardar hun or ye humare maharaj hain. Maharani ji ap chaliye humare sath.

Sardar- sevak palki lao maharaj or maharani ke liye.

Sardar ki aa gya man do log turant lakdi ke bane huye ek bahut bada palki late hain.

Sardar- maharaj ap kripya kar is palki pe baith is palki ko anugrahit kare.

Raja- ji sardar.

Uske bad raja rajkumari or sarojni us palki me baith jate hain.

6 log us palki ko utha le age badh jate hain.

Wo sabhi insan palki ko le ander ghane jungle ki trf badhte chale jate hain. Jaise jaise wo log age badh rhe the jungle or ghana hota jaa rha tha .


Achanak sarojni ko aisa lagta hain koi unka kafi der se piccha kar rha hain wo ek do bar pichhe mud kar dekhi bhi lekin use koi bhi dikhai nhi diya.


Achanak sarojni ki najar ek adimanav ke parchhai pe jo kuchh alag dikh rhi hain lekin sarojni us pr jyada dhyan nhi deti or ishare se sardar ko akele me milne ko kahti hain jo ki sardar thik usi waqt sarojni ko ascharye se dekh rha tha.


Sardar sarojni ka ishara samjh jata hain or sarojni ko hami bhar deta hain.


Kuchh dur or chalne ke bad unhe ek kabila dikhta hain jo bahut bade bade ladki ke madad se ghera huya tha us kabila ka sima.


Kabile ke sima pe do log ek machan numa jo ki do ped ke bich me bana huya tha wahan apne aujar ke sath pahra de rhe the.


Sardar ko dekh kar wo admi kabile ke ander ane deta hain thik usi samaye ek vyakti bigul bajata hain jise sun kabile ke sab log bacche budhe naujawan or aurtein sabhi raste ke dono kinare apne sir jhukaye khade the.


Sardar or unka kafila sardar ke ghar ke samne rukta hain.


Sardar adar purwak raja ko apne singhashan pe baitha deta hain jise dekh logon me chahal pahal ho jati hain.


Tabhi sardar kahte hain .
Sardar- mere kabile wasiyon ab hume darne ki koi jarurt nhi hain humare maharaj laut aye hain wo hum hamari musibat se bachayenge


Ye. Sun sabhi kable wasi khush ho kar maharaj ki jayejaykar karne lagte hain
.

Tabhi sardar jo kahta hain use sun raja soch me pad jata hain ?
 

chaudhari

Member
178
137
43
Update 30


Kal us kitab ko shaitan ki di huyi shakti ki madad se kholne me kamyab ho jata hain or use padhne lagta hain us kitab pe likhi huyi lipi bahut hi purani hain jise aaj ke jamane ke log nhi jante.


Kaksh ke bahar dhumketu or mahesh baith kar batein kar rhe hain.

Dhumketu- tum us kitab ko kaise paa sake?

Mahesh- ji bahut mushkil tha lekin maine paa liya.

Dhumketu- mujhe suru se jannana hain kaise ?

Mahesh- to phir suniye.


Flashback


To search golden magical book


Yahan pr me mahesh ko main likhunga.


Jab main himalye ke najdik pahuncha to dekha ki uske charo taraf sirf or sirf barf hi tha mujhe kuchh samjh nhi aa rha tha main himalaye ko achhi trh se check kiya lekin mujhe wo gufa kahin nhi dikh rhi thi tabhi mujhe yaad aya ki malik ne mujhe ek shakti punj diya tha jiske madad se main wo gufa dekh sakunga.


Maine wo shakti punj nikala wo shakti punj achanak hawa me uth age badhne laga main samjh gya ki wo shakti punj mujhe us gufa tak lejayegi or main bhi us shakti punj ke pichhe ho chla kuchh dur age badhne pr mujhe barf ke nukile nukile tukde dikhe jis pr main chal nhi sakta tha isliye maine apne aag ki madad se un sabhi ko pighlate huye age badhta chala jaa rha tha tabhi wo shakti punj ek barf ke khai ki or chal padi to mai bhius khai me kud pada bina soche samjhe.


Jab main nicche pahuncha to dekha wo shakti punj ek bishal barf ke pathar ke upper mandra rha tha or us shakti punj dheere dheere khatam hoti jaa rhi thi.


Tabhi main samjh gya tha jaisa malik ne kaha tha ki wo shakti punj us gufa ke samne ate hi uski shakti dheere dheere khatm ho jayegi huya bhi aisa hi wo shakyi punj dheere dheere sampt hoti gyi or kuchh chhan paschat wo gyab ho gyi.
 

chaudhari

Member
178
137
43
Update 31


Flashback

To search golden magical book


Uske bad main jaise hi age badha kuchh log wahan pahunch gye dekhne me wo insan lag rhe the prantu unke pair nhi the wo bina pair ke hi chal rhe the.


Dhumketu-. Bina pair ke koi kaise chal sakta hain siwaye devta or shaitan ke.

Mahesh- mujhe kuchh samjh nhi aya

Jab maine unse puchha ki ap log kon hain?

Log- main is gufa ka pahredar hun.

Main- to main kya karun ?

Main itna bol jaise hi age badha usne ek tez barf ka chaku bana mujhpr hamla kiya.


Main us war se to bach gya lekin mujhe bahut gusa aya or maine us pr aag ka war kiya maiine dekha ki mera aag use chhu nhi paa rha tha phir maine laser ka war kiya lekin dubara wahin laser ka war bhi khali gya .


Phir wo haste huya bola.

Pahredar- tumhara koi bhi war mujhe chhu nhi sakta ab tum mujhe batao tum yahan kya karne aye ho?

Main- main us golden magical book ko hasil karne aya hun


Pahredar- haahahha laut jayo aaj tak kisine bhi us kitab ko hasil nhi kar paya.


Main- main hasil kar lunga ab tum mujhe batao main wahan kaise jaa sakta hun.


Pahredar- thik hain agr tumhe marne ka itna hi sauk hain to isme main kya kar sakta hun.


Main- batao jaldi kaise jaa sakta hun wahan tak.


Pahredar -tumhe wo jo samne dikh rha hain barf ka dher use tumhe uthana padega bina kisii shakti or hath ke or wo bhi ek bar me agar aisa nhi kar paye to wo samne dekho us kankal ke dher me tum bhi samil ho jayoge hahahaha
 
  • Like
Reactions: Vaibhav

chaudhari

Member
178
137
43
Update 32


Flashback

To search golden magical book


Pahredar - jaldi karo samaye nhi hain mere pass

Mahesh- aisa kyun?

Pahredar- wo kya hain na aaj meri or meri patni ka 1500 sal girh hain .jaldi karo .

Mahesh- hmm.

Uske bad maine apni tez awaj ki madad se un sabhi braf ke dher ko hawa me uthane ki kosis ki thode or paryash ke bad maine use kuchh had tak utha diya.


Jaise hi maine pichhe mud kar dekha wo apni talwar ko us braf ke pathar me ghusha deta hain .


Uske bad wo braf dheere dheere pighalne lagti hain.jab wo braf ka pathar pure tarike se pighal jata hain or samne jo dikhta hain use dekh kar ankhe chankit ho jati hain.

Dhumketu- aisa kya dekh liya?

Mahesh- Maine wahan golden se bane gufa dekha use abhi main dekh hi rha tha ki tabhi pahredar kahta hain.

Pahredar- aa tum jaa sakte ho lekin yaad rhe age ka rasta bahut kathin hoga .

Itna bol wo or uske sathi wahan se gyab ho jate hain.

Un log ke jane ke bad main us gufa ke ander chla gya jab ander pahuncha to or bhi achmbhit ho gya.


Jo gufa bahar se golden ki thi wo ander se sirf kankalon ka bana huya hain.


Mano jaise bahut sare logon ka bali di gyi ho yahan or gufa ki deewaron pe sirf khoon hi khoon lage huye the ab bhi lag rha ho ki kuchh der pahle hi in sab ki bali di gyi ho.



Main darta huya age badh rha tha tabhi mere samne do darwaje dikhai dete hain jo alag alag disha me jaa rhe the.


Mujhe kuchh samjh nhi aa rha tha ki tabhi wahan ek ardh sanp or insan wahan aa jata hain or kahta hain.


Ardh sanp- ruk jao manav age tum nhi jaa sakte.

Main- kyun nhi jaa sakta?

Ardh sanp-tumko mere prashno ka utar dena hoga.

Main - puchho phir.

Ardh sanp- batao phir wo kya hain jise jhutlaya nhi jaa sakta?


Main- wo ?

Ardh sanp- soch samjh kar jawab dena warna tum bhi in lashon ke dher me samil ho jayoge.hahahaha aaj mujhe khane me phir insan milega


Main- wo kya ho sakta hainjise jhuthlaya nhi jaa sakta
 
  • Like
Reactions: Vaibhav

chaudhari

Member
178
137
43
Update 33

Flashback

To search golden magical book


Main - maut jise koi jhutalaya nhi jaa sakta hain ek din sabko ani hain.

Ardh sanp- sahi jawab.
Ardh sanp- agla swal jo antim swal hoga.
Wo kya hain jiski gardan nhi hain wo sab kam kar sakti hain wavjud iske uske pair nhi hain? To wo kya hain?


Main- wo jhadu hain


Ardh sanp- ab tum age jaa sakte ho lekin yaad rhe ek rasta maut ka bawndar hain to dusra rasta tumhara golden magic book ke trf jata hain agar tum glt raste pe chale to kabhi laut nhi payoge or bhookhe pyase tumhari maut ho jayegi. Hahahhaha jao insan jao.


Uske bad wo chala jata hain.


Kuchh der sochne ke bad main yunhi ek dwar ke najdik pahunch apni kan laga ander ki awaj sunane ki kosis karta hun jisase mujhe us gufa ke ander ka pta chla ki us gufa se ret ki awajein aa rhi thi

Isase ek gufa ka pta chal gya tha ki ho na ho yahi maut ki gufa hain or maine der na karte huye dusre gufa me ghush jata hun .


Ander jate hi mujhe ek nadi mila achambhe ki bat ye thi ki us nadi ke upper ek machhli tair rhi thi lekin wo machhli kam sher jyada lag rha tha




Main use ignore kar jaise hi age badha or nadi ke pass pahuncha to wo dheere dheere mere karib aa jata hain or nadi se bahar nikalta hain jise dekh ekdam dar gya tha.


Dhumketu - aisa kya dekh liya tha tumne?


Main- jise main sher samjh rha tha asal me wo ek jalpari thi jiska chehra sher jaisa tha.


Wo mere pass akar bolti hain

Jalpari-he manav main is nadi ki jalpari hun or tum jis kitab ki khoj kar rhe ho wo is nadi ke uspar ek kali gufa me hain lekin us kitab ko pahchan pana mushkil hain.


Main- aisa kyun ?


Jalpari- kyunki wo kitab croron kitabon ke dher me hain or sab kutab ek jaisi hain.



Main- to phir main use kaise pahchan sakta hun?


Jalpari- tumko mujhse sadi karni padegi.


Main- agar na kiya to?


Jalpari- to tum is nadi ke uspar kabhi nhi jaa sakte or agar chale bhi gye to tum us kitab ko nhi dhundh nhi paoge jab tak tum mujhse sadi kar mujhe us gufa me le jaa mera singhashan nhi de paye to.


Main- to isme badi bat kya hain lo abhi kar lete hai sadi.


Jalpari - haahhahaahaha
 

chaudhari

Member
178
137
43
Update 34

Flashback

To search golden magical book

Jalpari- itna asan nhi hain manav tumoo mujhse sadi karne ke liye tumhe mere dushman jo mere bacchon ko bandi banakar kuchh kshan bad bali dene wala hain uske khoon se mujhe nahalana hoga


Main- ye to asan hain main use chutki me masal dunga.batao kahan milega wo


Jalpari- itne utawale na ho manav. Ye lo.


Main- ye to mani hain.


Jalpari-yahin mani tumko us tak pahuchayegi. Ab tum jaa sakte hain tumhare pass sirf aaj ek pahar ka hi samaye hain.



Main us mani ko le age badh jata hun us mani se ek roshni nikal rhi thi jo mujhe ustak pahuncha rhi thi.



Ek pahad cross karne ke bad wo mani ek gufa ki or apni roshni bikherti hain or gyab ho jati hain.

Mai us gufa ke mukh pr jaise hi pahunchta hun mujhe ek lat padti hain or main dur jakar ek pathar se takra jata hun.


Jaise main uthta hun ki kisi ne mujhe pakr kar hawa me utha deta hain or mujhe hawa me kisi gend ki bhati fenk deta hain.


Mai tezi se hawa me se nicche girta hun or main kisi ke charno me gir jata hun


Mujhe kisi ke hasne ki awaj sunayi deti hain.


Main gusse me uth khada hota hun or jaise hi us hasne wale ko dekhta hun mera gussa or badh jata hain.


Vyakti- kya huya manav bada aye the kahe the ki chutki me masal dunga kya huya khud masale gye hahahahhahhaha.


Main- hosh me rah kar bat karo jalpari agar jyada kuchh boli to tumhare sath jabardasti kar lunga



Jalpari- murkh manav tum mujhe bina uske khoon ke tum chhu nhi sakte.


Main- aisa kyun?


Jalpari- kyunki wo mera pahla pati hain agar tum use mar doge to tum mere pati ban jaoge or koi dusra tumhe mar dega to main khud ba khud uski patni ban jaungi.



Main- ab tumko to pana hi hoga.



Jalpari- agar tum mujhse sadi bhi kar loge to bhi tum mujhe chhu nhi sakte.


Main-aisa kyun?


Jalpari- kyunki tum mere pati banoge to jarur lekin tumhari ayu nhi hain isliye main unka wait kar rhi hun jinka ayu adhik ho or wo mujhse kayi guna shaktishali ho. Tum mujhse sadi kar us kitab ko hasil kar sakte ho na ki mere jism ko.



Main- to kon tumhara jism hasil karega?


Jalpari- jab mera janm huya tha to maine suna tha ki koi yogi hain jo mera pati banega. Ab baton me samaye barbad na karo or uska khoon lakar kitab ko hasil karo.


Uske bad main turant tezi se duadta huya uske pass pahunch gya or wo gufa ke daur pe hi mera intezar kar rha tha.


Or me chhip kar uspe humla karne laga kabhi idhar to kabhi udhar se jab uski halat bad se badtar ho gyi to maine uske samne ja ek pathar ko utha use mar dala



Or gufa ke ander pahunch jalpari ke bacchon ko azad kar deta hun jo janjiron me bandhe huye the or us dyate ko utha kandhe rakh leta hun or jalpari ke bacchon ke sath jalpari ke pass pahunch jata hun.
 

chaudhari

Member
178
137
43
Update 35



Flashback

To search golden magical book


Or main jalpari ke pass pahunch usko us dyate ke khoon se nahala deta hun


Is trh hum dono ki shadi ho gyi uske bad jalpari mujhe le us gufa me pahunch jati hain jahan wo kitab rakhi huyi thi.



Jalpari apni ankhe band kar un kitabon ke dher me se us kitab ko dhundhane lagti hain kuchh kshan pashchat wo us kitab ko dhundh leti hain or mujhe wo kitab la mere hathon me de deti hain or kahti hain.



Jalpari- ye lo tumhari amant lekin yaad rhe ek akhiri padao par karna hoga agar tum use par kar liye to yahan se bachkar jaa sakte ho.


Main- or wo kya hain?


Jalpari- is kitab ke upper likha huya hain main hun to sab hun yahin akhiri padao hain bas tumheye yaad rakhna hoga jaise tum is gufa se nikaloge tumko wo akhiri padao apneap hi mil jayega.



Main- hmm


Uske bad mai. Wahan se nikal jata hun jaise hi main us gufa se nikalta hun achanak bahar ka drishye sab kuchh badal jata hain jahan ped paudhe or nadi thi ab wahan ek bahut hi ghanghor drawana drishye ban jata hain.



Ab wahan pr ek market dikhta hain jahan insan ke jagah sirf janwar the tabhi dekhta hun ki kuchh janwar apne hathon me bhala liye mujhe gher lete hain .


Apneap ko ghera huya pakar main turant apni talwar se unko marte huye age badh jata hun


Abhi main mukhya daur pe pahuncha hi tha ki mujhe ek bahut bada bhaloo gher leta hain or mujhe ek punch mar ander dhakel deta hain.


Main jaise hi ander pahuncha wo tezi se daudta huya mere pass aya or dahadta huya kahta hain.


Bhaloo- tum is kitab ko lekar nhi jaa sakte . Ye kitab kisi shaitan ke liye nhi hain.


Main- hahaaha main to ise lekar jaunga hi or tumhe mar kar hi le jaunga


Bhaloo- sapne dekhte rhana.


Iske bad wo mujh pr hath uthane hi wala hota hain ki tabhi maine apni talwar ko tezi se uske aar par kar deta hun.



Iske bad wo bhaloo wahin dher ho jata hain. Or main use tadap tadap kar marta huya dekhta rha .jaise hi uske pran uske sarir se alag huya main wahan se nikal gya or us gufa se bahar nikal gya.



Bahar ate hi ap mil gye.

flashback end
 

chaudhari

Member
178
137
43
Update 36


Idhar


Sardar raja ko shinghashan pe baitha dete hain. Tabhi sarojni unhe ishara karti hain or apne pass akele me bulati hain.


Sarojni ka ishara paa sardar uske pass chla jata hain.


Sarojni- dekho sardar mana ki maine tumhari madad ki thi or ap mere bareme sab kuchh jante ho lekin main nhi chahti ki ap mere bare me raja ko kuchh bhi batao.


Sardar- ji maharani ji or mujhe achhe se yaad hain wo ap hi thi jo achanak akar humlog ko us nagraj se bachay tha or apne kaha tha ki main jaldi hi maharaj ke sath laotungi or dekhiye ap laut ayi.



Sarojni- hmm mera janm usi samaye huya tha lekin main is samaye me aa gyi thi or aplog ki pukar sun main apke pass akr aplog kj madad kar saki. Or mujhe yahin pta chla tha ki mera pati aplog ka maharaj hain or wo mujhe adikal me milenge apni pahli shakti ke pass to main bhi unki pahli shakti ka pta kar us kal me pahunch gyi.



Sardar- maharani ji humlog chahte hain ki apki or rajkumari ki sadi maharaj ke sath ho yahan is kabil me taki humara jivan dhnye ho sake.



Sarojni- jaisi apki marji lekin kya wo manenge.



Sardar- ji jarur maharani ji hum sab unhe manayenge. Ab hume jane ki agya de.



Sarojni- ji jarur.


Uske bad sardar chla jata hain lekin achanak sarojni ki najar unki parchhai pe jati hain unki parchhai kuchh ajib lag rhi thi.



Sarojni ( man me ) - inki parchhai aisi kyun hain syad dhup or ped paudhon ke karan ban rha ho. Ho sakta hain.



Sarojni usko ignore kar age chali jati hain.
Or raja ke pichhe pahunch jati hain or khadi ho jati hain sarojni ko jate huye or ate huye raja nhi dekhta hain siwaye rajkumari ke.



Rajkumari ishare se sarojni se puchhti hain .

Rajkumari- kya huya?


Sarojni ishare se jwab deti hain- kuchh nhi.


Raja dono ko pichhe mud ishare me swal jawab karte dekh puchhta hain - kya huya ?



Dono - kuchh nhi ye dekhiye na kitne pyare log hain.


Raja -hmm



Iske bad sardar raja ke pass pahunch kahta hain.


Sardar- maharaj mainchahta hun ap teeno ki sadi phir se yahan is kabile me ho or humare is kabile ko anugrahit kare.



Raja - lekin kaise sardar hum teeno ki sadi ho chuki hain?



Sardar- kripya kare maharaj hum sabhi kabile wasiyon pr.




Raja kuchh sochkar - thik hain sardar.



Uske bad sardar apne kabile wasiyon ko kahta hain.



Sardar- sadi ki taiyari ki jaye aaj humare maharaj or maharaniyon ki sadi hone wali hain.



Ye bat sun sabhi kabile wasi chhum uthate hain or sadi ki taiyari me lag jate hain.



Idhar



Kal us kitab ko padhte rhta hain usko samaye ka kuchh gyat hi nhi rhta.


Kal ko kitab ke sath chhod dete hain .



Chalte hain jail me.


Devika- maharaj main apne mama ke vyahwar ke liye kshma prathi hun.


Suntaru- isme tumhari koi gakti nhi hain tum chinta na karo jald hi sab kuchh thik ho jayega.


Devika-pta nhi maharaj raja kis hal me hoga.


Suntaru- wo thik hi hoga.


Tabhi unhe kuchh sainikon ke apas me bat karte huye sunte hain.

Suntaru- ruko maharani kuchh awajein aa rhi hain dhyan se suno.


Dono sainikon ki bat sunane lagte hain.



Sainik1- suna tumne maharaj kal ne mahaguru ko mar dale.



Sainik2- haan maine bhi suna chalo achha hi huya budhha bahut bakbak karta tha



Sainik3- chalo ab is raja hi rh gya hain maharaj kal bhi use mar denge



Sainik4- suna hain ki maharaj kal ko wo golden magical book bhi mil gya hain.


Sainik5- haan mahesh senapati ne wo kitab lakar maharaj kal ko saup diya haain ab to maharaj kal ko koi nhi mar sakta. Ab raja bhi maaharaj kal ko nhi mar sakta.


Sainik6- ab is pure brahmand pe sirf or sirf humara shaitan ka hi hukumat hoga. Hahahahhaha rojana mauj karne ko milega jashn or swab dono milenge. Hahahahahha



In sainikon ki bat sun suntaru or devika rone lagte hain mahaguru ki maut ki khabar sunkar.
 
Top