UPDATE - 65
Ab tak
Margret ruth gayi thi mere ko usko manana tha. B.S ne bola tha ke Saifali jo meri bahen thi usse akele mein millu uske pass kuch tha mere liye.Wahi dusri taraf Maarcuss ne iss baar Jordon ko bheja tha Earth ke shield ko todne ke liye.
Aage
Chaliye pahle hum Margret ke pass chalte hai jo muh fullaye apne room mein badbada rahi thi.
Margret(Khud se)- Ek to madad ki upar se mujhe hi sunna raha hai main hi pagal thi jo iske saath yaha aa gayi isse accha na main bhi Dadu ke saath rahti...Pata nahi main isko pasand kaise karne lagi iss gadhe ko haa wo sach mein attraction.....
Maine ussi wakt darwaja khatkhataya.
Margret(gusse mein) - Kon hai
Main- Margret main hu tumhara dost.
Margret - Dekho chale jao abhi nahi to main tumhe...tumhe ... pata nahi kya karungi tumhare saath issliye jao abhi aur main dost wost nahi hu tumhari.
Main- Arre yaar sorry ab nahi bolunga kuch tumhe ek baar darwaja to kholo plz.
Margret- Bola na nahi, Abhi jao yaha se tum
Main- Arre baba sorry bola naa maan bhi jao aur agar darwaja nahi khola to ghumne kaise jaogi yaar.
Margret(Kuch soch kar)- Mujhe nahi jaana kahi ghumne tum jao akele main yahi thik hu.
Main- Sach mein naa fir baad mein bolna mat mujhe ke ghumaya bhi nahi.
Margret- Thik hai nahi bolungi tum jao.
Main- Thik hai fir main jaata hu.
Main wahi chup chap khada raha aur mann mein counting karne laga.
Meri counting 3 tak hi pahuchi thi ki gusse mein tamtamati Margret bahar aayi aur binna meri oor dekhe nicche chali gayi chillate hue.
Margret- Saurya agar tum mere binna gaye naa to mein tumse kabhi baat nahi karungi.
Main- Arre par tum to nahi jaane wali thi naa.
Margret ne aoni chadi nikali aur meri oor karke ghumma di. Main jaha khada tha waha ek ke baad ek sadde hue tamatar ki barsat hone lagi aur main ussi se pura ganda ho gaya.
Main- Ye kya kiya tumne main bas majaak kar raha tha naa.
Margret- Tumne mujhe daata tha ye ussi ke liye hai upar se tumne mujhe pareshan bhi kiya hai uska abhi baaki hai.
Main- Arre par maine sorry bhi bola tha naa.
Margret- (Haste hue) Haa to main bhi ye karne ke baad naa sorry bolne hi wali hu.
Usne fir se chadi ghumayi aur iss baar sade hue anndo ki barshat ho gayi mere upar.
Mere pure body se itni gandi badbu aa rahi thi ke pucho hi maat. Issi badbu ki wajah se Rita aur N.mom bhi hamare pass aagaye.
N.mom- Saurya ye kya haal banna rakha hai apna kar kya rahe the tum.
Main- Ye sab iss Margret ne kiya hai dekho kya banna diya mujhe.
Margret- Haa to mujhe daanta kyun tha maine to bas tumhari help ki naa.
Main- Thik hai ab se nahi daantunga aur naa hi kuch kahunga tumko thik hai naa.
Main itna bol waha se nikal gaya iss baat se anjaan ki ye ladkiyan hamesha hi baato ka galat matlab hi nikalti hai.
Rita-(Margret se) Tujhe aisa nahi karna chahiye tha Margret dekh wo naaraz ho gaya.
Margret- Kya par main to bas... kya sach mein vo naaraz ho gaya.
Rita- Haa dekha nahi usne kya bola ab wo tujhse kabhi kuch nahi bolega.
N.mom- Arre par wo gussa nahi tha maine dekha tha usko.
Rita- Nahi aapne dhyaan se nahi sunna sayad usne bolla Margret ko ki ab se wo isko kuch nahi bolega matlab wo naraaz hai.
Rita pata nahi kya kya samjhati rahi Margret ko wahi mein chala gaya bathroom waha acche se ready hua naha do kar aur fir chal diya Pradeep ke office ki oor jaha se mujjhe Saifali(Bahan) ke baare mein pata karna tha.
Jab mein nikal raha tha uss waqt Margret aur Rita mujhe jaate hue dekh rahi thi. Maine bhi dono ki oor ek baar dekha bas aur nikal gaya.
Main pahuch gaya Pradeep ke office jaha par wo akela tha usse Saifali(Bahan) ke baare mein baat ki usse pucha ki wo kaha milegi.
Saifali ghar par nahi rahti thi uski naukri lagi hui thi kisi university mein wahi padhati thi wo.
Pradeep ne mujhe uska address diya aur pucha ki wo bhi chale kya to maine manna kar diya.
Main Pradeep ke diye hue address par chala gaya. Address Saifali ke ghar ka tha jaha wo akele rahti thi apne Maa papa se dur pata nahi kyun.
Main jab ghar ke pass pahucha to talla laga tha. Wo to accha hua ek padosi ne mujhe batta diya ke wo university mein millegi.
Main bhi chal diya university waha gaya to abhi classes chal rahi thi. Par wo hotte hai na har collage ya university ke wo launde jo class mein kam aur bahar jyada hote hai unhi mein se ek ko maine pakda aur usse Saifali ka pata puccha.
Ladke ne mujhe bola ki wo chemistry lab mein hogi.
Main chal pada chemistry lab ki oor waha pahucha to dekha bahut saare students ek ghera banna kar khade the aur ek tube ko dekhe jaa rahe the ki acchanak bahot hi khoosbudar smell fail gayi chaaro oor aur main wahi dher ho gaya yaani behosh ho gaya.
Jab meri aakhen khulli to main ek room mein ek bistar par pada tha.
Deewar par ek ghadi lagi thi jo tic tic tic karti jaa rahi thi abhi koi 3 baje the uss ghadi mein yaani mein 5 ghante se yahi pada hua tha.
Main jaldi se utha aur idher udher dekhne laga kuch samajh naa aaya to maine portal khol wapas jaane ki soonchi par portal khulla hi nahi.
Maine Mohini se Alex se Pradeep se sab se contact karne ki kosis ki par kuch bhi nahi hua. Thodi der baad darwaja khula uss room ka aur Saifali(Bahan) waha se ander aayi.
Saifali(Gusse mein)- To waqt mil gaya mere liye ??
Main- Saifali kya tum mujh....
Saifali- Chup ekdum chup rahna aaj sirf main bolungi aur aap nahi tum sunnoge.
Main chup ho gaya.
Saifali- Tum logo mein jarra bhi sayam naam ka chiz to hai nahi naa har chiz jaldi honi chahiye bas yahi dimmag mein rahta hai tum logo ke. Kya jarurat thi uss Pihu ki bacchi ko tumhari yaaddast wapas laane ki itni jaldi sab kuch ussi ki wajah se shuru hua aur fir wo tumhari pyaari Shilpa usne bhi kam kaand nahi kiye... Par inn dono se bhi jyada doshi to wo bhudda hai ussko rokna chahiye tha tum logo ko par nahi wo to saath deta raha tumlogo ka aur dekho uska natiza sab kuch idher udher bikhar gaya hai pata nahi ab kaise sambhalungi sab kuch.
Itna bol wo baith gayi aur fir meri oor dekhne lagi.
Saifali- Ab chup kyun ho bolo bhi kuch.
Main- Main kya bolu mujhe to tumhari koi baat samajh naa aayi.
Saifali ne ye sunte hi apna sar pit liya.
Saifali- Oo Mother Elika kis musibat ko mere bhagya mein likh diya aapne ab isko kaise samjhau main.
Saifali- Haa par inn logo ne to sab bigad diya hai naa ab batao aap hi kya karu main.
Saifali- Thik hai par main innlogo ke saath nahi rahungi plz Mother Elika plz plz.
Saifali- Ye aap galat kar rahi ho mere saath aisa mat karo naa plz.
Main- Tum kisse baatein ka.....
Saifali- Chup raho tum dekh nahi rahe baat kar rahi hu main.
Main fir se chup ho gaya.
Saifali- Thik hai Mother Elika par iske baad aap mujhe kuch naa kahogi main khud dekhungi ki ye kaabil hai mere ki nahi samjhi aap.
Saifali fir khush ho gayi aur mere pass aa gayi main usko hi dekhe jaa raha tha.
Saifali- Ab kya dekhte hi rahoge yaa kuch bologe bhi.
Main- Tum thik to ho naa matlab tumhe koi pares....
Saifali- Thik ho naa se kya matlab hai tumhara.
Main- Kuch nahi main to bas aise hi puch raha tha par ye tum kya sach mein Mother Elika se baat kar rahi thi.
Saifali- Haa unhi se kar rahi thi.
Main- Par wo to mera matlab wo to nahi rahi naa.
Saifali- Accha aur ye kisne bol diya tumse.
Main(Shocked)- Kya matlab hai tumhara wo abhi bhi jinda hai.
Saifali- ummm ye naa thoda complicated sawal hai aur mujhe aisa lagta hai ki tumhe ye samajh mein bhi nahi aayega lekin fir bhi kosis karti hu wo jinda hai bhi aur nahi bhi.
Main- Maltab ???
Saifali- Puri duniya ke liye wo maar chuki hai par mere liye wo jinda hai wo mujhse baat karti hai mujhe dikhayi deti ha....
Main- Saifali tum kabhi kahi giri thi kya aur tumhare sar mein chot lagi ho aisa kuch hua tha kya.
Saifali- Nahi to pa...tum mujhe pagal kah rahe ho thik hai jao main bhi mada...Par Mother Elika ye mujhe pagal bol raha hai.
Main- Dekho saifa.....
B.S- Chutiye wo sach bol rahi hai usko Mother Elika dikhti hai ab agar tu chup nahi raha naa to main tere upar hawi ho kar deewar par tera sar maar maar kar maar jaunga samjha ab chup chap sun usko.
Saifali- B.S tum bhi ho yaha.
Main- Tum B.S ko bhi sun sakti ho tum ho kaun.
Saifali- Tum mujhe nahi jaante B.S tumne isko nahi bataya mere baare mein.
B.S- Mauka hi nahi milla mujhe aur sach kaho to main bhi ek baar bahak gaya tha.
Saifali- B.S tumse ye ummid nahi thi Mujhe. Saurya main hu Mother Elika ki jaadui chadi.
Main- Kya jaadui chadi par wo to unke school mein hai naa jo gayab ho gayi hai.
Saifali- Haa main wahi thi par jab Manjulika ki maut hui thi naa jisko Maarcuss ne marwaya tha ussi waqt main uss School se bahar aa gayi taki aage se uski raksha ka jimma mein le aur maine waisa kiya bhi uske agle janam main maine jitna mujhse ho sakka usko bachaya par tum logo ki jaldbazi ke kaaran sab bigad gaya.
Main- Tum Mother Elika ki jaaduyi chadi ho thik hai par tum aur Saifali dono ek tarah hi kyun dikhte hai.
Saifali- Main usko bacchane aayi thi naa to socha tha ki agar uski jaisi dhikhungi to dusmano ko chakma de sakti hu par tum saare itne bade bewkoof nikloge maine soocha bhi nahi tha.
Main- To ab aage ka kya socha hai tumne.
Saifali- Aage ka nahi abhi meri baatein khatam nahi hui hai ab ye batao kisne wo jaadu kiya jisse Shilpa aur Saifali ki kuch taakatein unko mill gayi hai kon tha wo murkh.
Maine usko sab bataya ki kaise Margret meri help karna chah rahi thi aur ye sab ho gaya.
Saifali- Hmm thik hai ab ye galti jab tum saare kar hi chuke ho to jaldi se unn sabhi ko unki puri yaadast wapas lao.
Main- Thik hai par wo Saifali aur Shilpa hai kaha.
Saifali- Dekho uss Saifali ka naam badal gaya hai uska naam Shuhani hai aur wo mere hi university mein padti hai aur wo tumhari Shilpa ek number ki nakchadi ho gayi hai wo bhi mere hi university mein padti hai dono ko jaldi se sab yaad dilao aur mujhe mukt karo.
Main- Mukt karo par tumpe to mera addhik...
Saifali- Aaee jyadaa uchlo mat samjhe Mother Elika se baat ho gayi hai meri. Main tabhi tak tumhare saath hu jab tak tum unn sabhi ki yaadast wapas naa le aao uske baad ka mere mood par depend karta hai agar mera maan hua tabhi main rahungi tumhare saaath haa ek baat aur hum dono ke bich kuch nahi hone wala samjhe.
Main- Kuch nahi hone wala ?? Matlab.
B.S- Abbe ye wo baat bol rahi hai s...
Saifali- B.S tumhe sharam nahi aati mere saamne ye sab bolte hue.
B.S- Sorry Saifali ji sorry aage se nahi bolunga.
Saifali- Chalo ab Deep ko bulao.
Main- Deep ko par wo to soo raha hai na
Saifali- Aaee tum kya pagal wagal ho akal naam ki chiz hai hi nahi naa tumme. Wo soo raha hai to usko jaga nahi sakte kya.
Main(Chillakar)- Deeeeeeep.
Saifali- Chilla kyun rahe ho ab dhere se nahi utha sakte usko.
Main- Arre wo Alex ne bola tha jor se chillane par aata hau ye.
B.S hasne laga aur Saifali gusse mein bolne lagi.
Saifali- Saare budhhu mere hi palle pade hai.
Itne mein mere haath mein Mother Elika ki talwar aa gayi thi.
Main - Ye lo aur mujhe ab budhhu bolna band karo accha nahi lagta hero hu main story ka.
B.S-(Haste hue) Ghanta hero hai tu
Issi baat par Saifali bhi hasne lagi.
Saifali ne talwar li aur fir usko ek baar dhyaan se dekha.
Saifali - Isko use bhi kiya karo ab dekho bechara kaise sookha hua hai.
Main- Par iske wo saare pathar unke binna kya ye kaam karenga.
Saifali- Haa karega wo saare pather naa bas iske shakti ko kayi gunna jyada badha dete hai baaki abhi jo iski takat hai naa mujhe nahi lagta tumse sambhal bhi paayega ye.
Main- Tum ab mera majak udda rahi ho.
B.S- Wo tab se wahi kar rahi hai
Saifali- B.S kaash tum iss budhhu se alag hote tumhara bhi koi wajood hota to hamare beech jaroor kuch ho sakta tha
B.S- Sacchi
Main- Arre tum dono kya kar rahe ho yaar.
Saifali- Kuch nahi ab se dhyaaanrakhna iss talwar kaa hi use karna samjhe.
B.S- Saifali iske paas Black sword aur Kappa ki talwar bhi hai.
Saifali- Waah chalo kuch kaam ki chijein bhi laaye ho tum chalo wo bhi nikalo.
Maine wo dono talwar bhi de diye usko. Saifali ne dono talwaron ko Mother Elika ke talwar ko upar rakha aur fir apni aakh bandkar usko chua. Jiske baad 3no talwar hi chamakne lagi aur dekhte hi dekhte hawa mein udne lage aur fir tinno hi ek ho gaye.
Main- Ye kya hua wo 3no 1 kaise ho gaye.
Saifali- Jaadu mere dost jaadu se chalo ab isko apne haath mein lo aur dekho iska kammal.
Maine jaise hi talwar ko haath mein liya uss talwar mein bilji bahne lagi aur dekhte hi dekhte ek tej bilji nikli talwar se aur shidde uss kamre se nikalte hue aasman ki oor chali gayi.
Saifali- Dekha kitna shaktishali hai ye abb bass wo saare manni isme lag jaayein uske baad to iski shakti ki koi seema hi nahi hogi koi bhi hathiyar nahi tikkega iss talwar ke aage.
Main- Waah ye to kammal ka hai Saifali tumne to kammal hi kar diya.
Saifali- Chalo ab ho gaya ye sab ab tum lag jao kaam par sabhi ki yaadast wapas le aao.
Main- Thik hai waise ek baat puchu kya tumse ?
Saifali- Dekho main jaanti hu tum kis baare mein baat karna chahte ho aur iska jawab ye hai ki mere liye bas Mother Elika hi sabse priya hai unke alawa koi bhi nahi
Main- Par massi aur Mausa ji ka bhi to kuch soocho.
Saifali- Soocha hai unke baare mein hi nahi balki sabhi ke baare mein soocha hai par uske liye abhi waqt nahi aaya hai. Ek baat aur agar unhe kabhi kuch hota hai to tum yaa koi aur jisko jaadu aata ho wo unki koi sahayata naa kare wo sab unki niyati hai aur wo sab unke liye accha bhi hoga.
Main- Thik hai main iss baat ka dhyaan rakhunga.
Saifali- Chalo ab tum jao yaha se aur ek baat aur abhi tumhare alawa kisi ko mere baare mein pata naa chale.
Main- Kyun ??
Saifali ne itna sunte hi mujhe gusse se ghurne lagi.
Main- Arre thik hai nahi bataiunga accha ab main jaata hu.
Maine fir se portal kholne ki kosis ki par fir se nahi khul saki.
Main- Yaar ye meri powers kaam kyun nahi aa rahi yaaha.
Saifali- Ye ghar mere magic se banna hua hai yaha mere alawa kisi ka bhi koi power kaam nahi karta.
Saifali ne ek portal khola mere liye aur main usse hote hue pahuch gaya ghar par jaha kuchh aur hi chal raha tha.
Main pahucha to Margret ne apna saaman pack kar rakha tha uska chahra aashuon se bhara hua tha. Wo Rita ko galle lagaye hue thi.
Rita - Arre Margret tum maat jao naa hum usko mil kar manna lenge.
Margret- Nahi Rita tumne bhi dekha tha naa kaise wo mujhse naraz ho gaya tha aur mujhse baat bhi nahi karna chahta ab. Main bhi ab....
Main- Ooye kya chal raha hai ye Margret ye samman pack kar kaha jaa rahi ho.
Margret- Saurya mujhe maaf kar do aur ajj ke baad mujhse tumhe koi pareshani nahi hogi.
Main- Pareshani,Maafi ek min tum kya baatein kar rahi ho ye
Rita- Tum isse naraz ho gaye the naa bas issiliye ye jaa rahi hai Headmaster ke pass.
Main- Main naraz aur isse ye kab hua main kab naraz ho gaya isse ye to itni acchi dost hai meri.
Margret- Tum mujhse naraz nahi ho to uss waqt kabhi kuch naa bolne ka kyun kaha tha.
Itne mein waha Mohini aur Varsha aa gayi.
Mohini- Haa to ready ho naa sabhi ghumne ke liye...Margret tum kya kahi jaa rahi thi.
Main- Haa ye jaa rahi hai apne Daadu ke pass chalo main isko chod kar aata hu.
Mohini- Lar hamari training uska kya hoga.
Margret- ek min ruko Saurya tum sach mein mere se naraz nahi ho.
Main- Nahi pagal
Margret ne khusi se uchalte hue mujhe gale laga liya par maine usko khud se alag kiya aur ek portal khola.
Main- Chalo jao ab apne daadu ke pass.
Margret- Nahi main nahi jaa rahi kahi mujhe yahi rahna hai tumsabhi ke saath.
Main- Nahi ab to tumhe jaana hi ho...
Mohini- Kyun pareshan kar rahe ho usko ab chodo bhi aur hame late ho raha hai jaane ke liye.
Main- Thik hai Margret chalo ab jaldi se ready ho jao hum shoping ke liye jaa rahe hai. (Varsha se) Ye Alex nahi aaya kya.
Varsha- Nahi wo kisi kaam se gaye hai.
Main- Haa wo gadha bas kaam mein hi laga rahe yaha tum dono ki shadi karani hai uss gudiya ko nast karna hai par usko to inn sab ki paddi hi nahi hai.
Itne mein Alex bhi waha aa gaya.
Main- Alex chal aaj teri shaddi ki shoping karni hai.
Alex- Abhi ??
Main- Haa abhi chal ab jaldi se .
Hum sabhi nikal gaye waha se fir ghumne ke liye Mall ki oor P&P mall ki oor.
Chaliye insab ko yahi chod hum chalte hai Pritvi ke bahar uss kawach ke pass jaha Jordon thodi jakhmi haalat mein padda hua tha.
Hua ye tha ki Jordon Pritvi ke kawach ke charo oor ghum raha tha uski jaanch kar raha tha aur ussi waqt ek bijli ka tez jhatka laga usse aur wo ussi se jakhmi ho kar chaand ke satah par girra pada tha.
Ye wahi bijli thi jo Saurya ke talwar se nikli thi. Jordon ko jab hosh aata hai to wo turant yaha waha dekhne lagta hai par usko koi bhi nahi dikhta. Jordon fir se kawach ki oor jaata hai wo try bhi karta hai bahut kuch par kuch bhi kaam nahi aata ulata uski takat khatam hone lagti hai aur wo ussi jakhmi halat mein hi chala jaata hai Maarcuss ke pass. Jab Maarcuss uske wo jakhm dekhta hai to usko pata chal jaata hai ke ye jakham Mother Elika ke talwar se hi hua hai.
Maarcuss- Jordon jaao aur apni marham patti karwao.
Jordon chala jaata hai aur wahi Maarcuss baith jaata hai dhyaan mein pata nahi kyun par aaj uske chahre par ek ajeeb si khushi thi ek rahasyamayi muskaan jiska patta sayad sirf usse hi ho.
Wahi dusri taraf ek baat aur bhi hui thi. Jab chand ki satah par Jordon gira tha tab Headmaster ko uska pata chal gaya tha par ye patta nahi challa unko ki Jordon jakhmi hua to hua kaise. Headmaster master ne iska patta lagana chaha par wo naakam rahe aur ye naakamiyabi unko pareshan kar rahi thi.
Wo wapas apni jagah par jaa kar khud se hi baatein karte rahe bahut dair tak par unko kuch bhi samajh naa aaya unhone aise waar ke baare mein sunna to tha par waisa honna yaha par naamumkin tha unke annusar.
Annt mein pareshan ho kar unhone tay kiya ki iss baare main Alex se baat karenge
Aaj ke liye itna hi ek baat aur Saifali jo ki Hero ki maa thi pichle janam mein ab uska naam Shuhani hai