Update-8
Aur iske baad papa ne mujh se Kaha ki ab tum gaddi par betho aur aaj pure 4 Saal baad me yaha bethne Bala tha.mere Dil bhari ho Raha tha but me to Nahi paa Raha tha.
Aisa hi toh ho Gaya tha me 6saal pehle uss din ke baad se.
Ab aage
Abhi hum dukaan pahooche hi the ki Ghar se phone aa Gaya ki hamme abhi mama ki shadi me Jana hai Jo aaj Raat ki hi thi.abhi dopahar ho rahi thi toh time toh kafi tha shaadi me jaane ke liye toh papa ne sabhi ko jaane Ka pakka Kar diya. Iss samay hamare Ghar me 9 family members the.
1 hour baad hum sab Delhi Jane ko Ghar se nikle BMW me akele itne log na aa pate toh papa be 2 gaadi se Jane Ka tay kiya ek me mein,papa,mammi aur driver the dusri me baaki ke log the chacha-chachi Ka man Nahi tha Bo Nahi Aaye par unka ladka AARAV Jo ki ab 5.5 years Ka ho Gaya tha Bo dusri gaadi me dusre driver ke sath the unki gaadi me ek bodyguard bhi tha Jo ki papa ne meri missing ke baad hire kiya tha family ki security ke liye subh ko Bo apni wife ki hospital le Gaya tha toh papa me Saath police station Nahi aa paya Verna Bo inspector toh mujhse Kuch pooch bhi pata kyu ki bodyguard (shera)ek ex militaryman tha Jo ki turant pehchan Gaya tha ki inspector ye sab Bina court ke order ke Kar Raha tha.
Udhar jab hum police station se nikle the ki inspector ne Kisi ko phone milaya.
Phone Bala aadmi ko me PA likhoonga.
Ranveer- hello sir Bo ladka abhi Kuch Der pehle hi Nikal Gaya yaha se.
PA- toh roka kyu Nahi us harami ko?
Ranveer- sir uske khilaf koi saboot Nahi tha apke kehne par lie detector test bhi Kar diya agar ye baat bahar leak hui toh bahut gadbad ho jayegi.
PA- Tu uss sab ki chinta chod aur ye bata abhi Bo Kaha par hai.
Ranveer- mujhe Nahi pata yaha se to jaa chuka hai Bo.
Iske baad uss aadmi ne Bina koi jabab diye phone kaat Diya.
Idhar car me maa ne mujhse poochna chaha.
Maa- beta ek bata.
Mein- bolo mammi
Maa- Kaha tha ab tak yaad Nahi aayi tujhe hamari?
Janta hai kitne toot chuke the hum sab tere Bina par na jane kyu hamesha ek umeed Hoti this Dil me ki Tu bapas aayega Kaha Chala Gaya tha Tu.aur ye itne saare nishan kaise hai tere sarir par?
Mein- mammi yaad toh bahut aati this aapki par kya karu uss island par koi Nahi jata tha infact Kisi ko pata hi Nahi tha ki samundar me uss jagah koi island bhi hai mujhe jab hosh Aaya toh me baha tha bilkul Akela aap log soch bhi Nahi sakte Kitna Kuch hua hai mere saath baha par khane ko Kuch bhi Nahi mila tha Kai din tak phir haar Kar janwaro ko maar Kar Khana padta tha isse me Kabhi Kabhi chot lag jati thi par baha ki hawa Kuch alag thi mere ghaav jaldi thik ho Jate the baha.suru mein toh mujhe laga ye Mera beham hai par jab bade bade ghaav bhi thik hone lage toh mujhe yakeen hua.itna dard Mila tha mujhe baha jiski koi seema nahi thi,yaad bhi Nahi Karna chahata hu me use dobara,mammi toh ab us jagah la koi naam bhi mat Lena ab se.
(Baise to me pichle 6 Saal se Apne dukh ko dikhata Nahi tha Kisi ko par aaj Mene thoda sa dukh-dard dikha Diya taaki isske bajah se sab ki Jaan bachi rahe,aur Kisi ko koi khatra bhi naa Chu saake)
Maa- (rote hue) itna Kuch Saha mere bete be aaj ke baad Ghar me iss baat ka Kabhi jikra Nahi hona Chahiye.
Papa-( Jo ab tak chup the) Bo bhi rote hue kehne lage aisa hi hoga bhagbaan aisa hi hoga ab koi jikra Nahi karega un beete 4 saalon Ka koi bhi Nahi Kabhi bhi Nahi.
Isle baad sab Sant ho Gaye aur me kho Gaya apni poorani yaadon me.
Thanks for reading...
And Bhaiyon sorry for delay!