• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)


  • Total voters
    22

Milan2010

Well-Known Member
4,855
3,649
159
Update : 47 (Kaun ho Tum..??)

Paridhi ne aarav ke sawal ka jawab nahi diya, aur Mayank ki aur dekhte hue kaha “tuje iss tarah dekhkar muje lag raha hai shayad hum pehle mil chuke hai…yaaa..yeh hamari pehli mulakat hai..??” usne thoda sochte hue kaha

Ab aage..

Mayank ki aur se koi jawab naa paakar Paridhi khud hi jawab deti hai “shayad, haa..yeh hamari pehli mulakat hai”

Iss baar Mayank haklate hue bolta hai “kese…??”

Paridhi “mere marne ke baad..I mean officially marne ke baad” voh thoda haste hue kehti hai

Sam ne Mayank aur Paridhi ki baat par dhyaan naa dete hue apna sawal rakha “tum ho kaun..??” voh itna bolkar ruk jaata hai

Paridhi “yehi janna chahta haina ki meri shakal Pari se kese milti hai..??”

Akshita “exactly..aur tumne yeh kyu kaha tha ki tum samay me jinda ho..?? aur tumhare alag hone se kya matlab tha..??”

Paridhi muskurate hue mayank ki aur dekhti hai aur fir akshita ke jawab dete hue boli “jese ki maine pehle bhi kaha tha..mai manthan ki hi Pari hu..bas thodi si alag hu” aur fir voh thoda rukkar kehti hai “ab mai tumhe batati hu ki mere alag hone ka kya matlab tha, mera naam Paridhi Bhatt hai, jo uss raat ko hue experiment me insaano ke liye hamesa ke liye mar gayi thi”

Sam “hum yeh kahani jante hai, aur yeh bhi jaante hai ki..”


“Dexter ko rokne ke liye manthan ne muje apne haatho se maara tha” Paridhi ne sam ki baat ko khatam karte hue kaha “yahi baat haina..??”

Akshita “agar uss din tum mar gayi thi toh aaj tum hamare samne kese..??”

Paridhi “yahi toh problem hai, insaan waqt ko kabhi samaj hi nahi sakta” ne Mayank ki aur dekhte hue kaha

Paridhi ki baato ko gaur se sunte hue Mayank ek tak uski aur dekhe jaa raha tha, vahi Akshita “yeh naa bhulo ki tum bhi ek insaan ho” ne kataksh bhare swaar me kaha

Par shayad Sam samaj gaya tha ki Paridhi ab insaan nahi rahi, isiliye voh akshita ki baat ka jawab dete hue Paridhi se puchta hai “nahi aksh, yeh insaan nahi hai..I mean ab yeh insaan nahi rahi..yeh kuch aur hai..?? par kya..??”

Paridhi ne sam ke sawal ka jawab nahi diya aur voh chalte hue Mayank ke samne aati hai aur puchti hai “yahi soch raha haina ki mai tere samne kese khadi hu..?? aur maine tuje khud ko maarne ke liye kyu kaha..??”

Mayank haa mein apna sar hilate hue bolta hai “haa, kyu kiya tune aisa..?? tuje pata bhi hai ki mujpar kya gujari thi..??” ne thoda ruthte hue kaha

Mayank ki iss tarah ki baat sunkar Paridhi muskurati hai jise dekhkar Mayank aur bhi Jayda gussa ho jaata hai “kya..?? ab yeh pagalo ki tarah kyu has rahi hai..??”

Paridhi “mai uss waqt tuje bata bhi deti toh shayad tu kabhi samaj hi nahi paata”

Mayank “samaj toh mai abhi bhi nahi paa raha hu”

Paridhi iss par kuch nahi bolti aur voh aarav ke pass chali jaati hai, aur pyaar se uske sar par haath firate hue kehti hai “bhaiyu, I am very proud of you”

Aarav shayad abhi tak sadme me tha isliye voh kuch pratikriya nahi de paaya aur bas Paridhi ke gale lagkar rone laga, vahi Paridhi bhi bina koi harkat kiye aarav ko apne seene se laga deti hai, yehh pehli baar tha jab Paridhi ki aankhe thodi nam ho gayi thi
Paridhi “bhai, yeh waqt rone ka nahi hai” aur voh aarav se alag hote hue pari ke pass jaati hai aur usse kehti hai “thanks pari..mere is paglu ka khayaal rakhne ke liye” usne Mayank ki ishara kiya “aur mai khush hu ki tuje apne puri family vaapas mil gayi”

Pari “aakhir tum ho kaun..?? aur aisa kyu kar rahi ho hum sab ke saath”

Paridhi “kuch sawalo ke jawab agar naa hi mile toh acha hota hai, kudrat ke aage sab ko jukna hi padta hai..aap chaho ya naa chaho”

Mayank “agar tumhe jawab dene hi nahi the toh tumne hume kyu bachaya..??” ne kuch sochte hue paridhi se sawaal kiya

Paridhi “chalo kuch toh pata chala tuje” usne muskurate hue kaha

Sam “kya pata chala..??”

Mayank “paridhi ab ek time-wraith ban chuki hai..jese voh dexter tha”

Paridhi apne sar par haath pitte hue kaha “gadha kahi ka..tu itni jaldi bhul jayega yeh maine nahi socha tha”

Mayank ne sawaliya bhari najro se Paridhi ki aur dekha toh kehti hai “yaad hain maine uss din tujse kya kaha tha..??”

Mayank “yahi ki tu time-wraith ke saath jud chuki hai aur mai isiliye dexter se bacha hua tha”

Paridhi “exactly, maine yeh jarur kaha tha ki mai time-wraith se judi hui hu..lekin yeh kabhi nahi kaha tha ki mai khud time-wraith hu”

Akshita “meri toh kuch samaj nahi aa raha”

Paridhi “uss din earth-2 ko dexter ke aatank se bachane ke liye Manthan ne muje maarkar Dexter se alag jarur kar diya tha..par tachyons particles mere se jude hue the..isi vajah se mai time me amar ho gayi”

Pathik “kyunki tachyons samay me piche travel karte hai”

Paridhi “correct, uss waqt jab mai mari..toh meri life force time se pehle se hi judi hui thi..aur bhala koi chiz agar time se jud jaati hai toh use khatam nahi kiya jaa sakta”

Mayank “yeh kese possible ho sakta hai..??”

Paridhi “jawab tu jaanta hai”

Mayank “mai nahi janta”

Paridhi halke se gusse me kehti hai “seriously..?? muje laga tha ab tak tu samaj gaya hoga”

Mayank ne halki si ruansi awaaz me kaha “kese samajta pari..?? mai..bas..mai, I just miss you so much”

Mayank ko dekhkar aur uski baat sunkar ek pal ke liye Paridhi thodi si mayus ho jaati hai, Mayank “kyu kiya tune aisa..?? mujse aisa kyu karwaya”

Paridhi “mai ab teri pari nahi rahi Manthan, mai ab kuch aur hu..meri kuch zimmedariya hai” ne khud ko sambhalte hue kaha

Aarav “kesi zimmedari di..aur aap hamare samne kese ho, mere toh abhi bhi kuch samaj me nahi aa raha”

Paridhi “bhai, time se judna koi aam baat nahi hai, ek baar agar aap waqt se jud jaate ho toh apke upar bahut si zimmedariya aajati hai, ab meri duniya insano ki duniya se kaafi alag hai, yeh tumhari duniya, tumhara saurya mandal, tumhara brahmand kudrat ke aage bahut chota hai”

Aarav “mai janta hu di, manthan ne hume sab kuch bata diya hai, par aap hi kyu..?? aur koi bhi toh ho sakta hai”

Paridhi “voh kisi ke bhi saath ho sakta hai” fir usne pari ki aur dekhte hue kaha “isiliye maine tumhe Manthan ka saath dene ke liye kaha tha, aur mere bhai ko bhi ab tumhe hi sambhalna hai”

Pari “thanks toh muje kehna chahiye, tumhari vajah se muje apna pyaar aur mera bhai vapas mila hai”

Paridhi ne halka sa muskurate hue use dekha, tab pari ne kaha “voh tum hi thi jisne hume uss pipeline se nikala tha, haina..??”

Paridhi ne haa mein apna sar hilate hue kaha “muje toh yeh karna hi tha..samay ke liye”

Mayank “yeh tu kya keh rahi hai..?? mai kuch samja nahi” ne hairan hote hue pucha

Sam “pari sahi keh rahi hai manthan, uss raat ko hume isne hi bachaya tha” ne Paridhi ki aur ishara karte hue kaha

Mayank “par kyu..??”

Akshita “iss sawal ka jawab tu janta hai”

Akshita ki baat sunte hi Mayank ko yaad aata hai, “ohh f””k, yeh mai kese bhul sakta hu..itni badi galti”

Pathik “muje aisa kyu lag raha hai ki ab tu koi bada sa science ka lecture dega jo hume samaj me nahi aayega”

Manthan gehri saans lete hue bola “haaassshh, chalo koi toh hai jo meri tarah hai”

Siddhi ne ajeeb najro se manthan ki aur dekhti hai toh manthan jepte hue kehta hai “kya..?? mai yeh science vience nahi samjta”

Ispar sab log haste hai, aur manthan kehta hai “bhai, hindi me samjana, varna fir mai helmet leke aajata hu”

Fie ek baar unn sab ke chehre par muskurahat aa jati hai, jo mahol ko thoda halka kar deti hai, fir sam kehta hai “humara plan acha tha, lekin humne yeh nahi socha tha ki agar voh uss waqt vala Avi agar hamare samne aajayega tab kya hoga..?? aur usme bhi do option the”

Mayank “agar hamara mission pura hone se pehle Avi se samna hota hai toh timeline ko kuch nahi hoga, lekin agar voh hamare mission khatam hone ke baad samne aata hai toh hum timeline ko puri tarah badal denge”

Aarav “aur tune yeh nahi socha tha ki aisa hua toh kya hoga..??”

Mayank “haa, kyunki muje pata hi nahi tha ki Avi vaha par itni jaldi aajayega”

Sam “pata toh tha ki voh itni jaldi aayega…lekin hamare mission khatam hone par aayega yeh nahi malum tha”

Siddhi “duniya bhi kitni ajeeb haina..hum chahe kitna bhi sahi plan bana le, waqt hamesa apni maujudgi ka ehsaas dila hi deta hai”

Paridhi “insaan iss duniya ka ek mamuli sa jeev hai, jab tak insaan khud ke liye sochega tab tak unke saath aisa hi hote rahega”

Mayank “par tumne hume bachaya kyu tha..?? aur kese..?? aakhir tumhe hume bachane ki jarurat hi kyu padi..??”

Sam “Mayank ke saaath saath mere bhi yahi sawal hai, aur agar tumne hume bachaya tha toh hume vapas apne samay me kyu bheja..?? aur uske baad hum dono ko hi vapas kyu lekar aayi..?? uss waqt me mera dost, hamare commander unn Zorians ke samne akele hai..aur tum sirf hum dono ko hi kyu vaapas lekar aayi..??”

Akshita “voh tumhare kuch nahi lagte..par voh hamare dost hai, hamari family hai”

Paridhi ne sabkuch sunne ke baad narmi se kaha “maine vahi kiya jo muje karna chahiya tha..aur maine pehle bhi kaha tha..insaan jab tak apne baare me sochega waqt uski madad kabhi nahi kar sakta”

Akshita “yeh hamare sawal ke jawab nahi hai”

Paridhi ne iss baar halke gusse me kaha “waqt tabhi tumhari madad karega..jab tum waqt ki madad karoge” itna kehne ke baad Paridhi vaha se gayab ho jaati hai

Paridhi ke gayab hote hi sab log chaunk jaate hai, Pathik “ab hum kya kare..??”

Mayank kuch sochte hue upar asmaan ki aur dekhta hai “hume wahi karna hoga Pathik, jo Paridhi ne kaha hai..hume apne sawalo ke jawab khud dhundh ne honge” iske baad voh chup ho jaata hai aur sab log use dekhte rehte hai

Aarav “muje toh kuch samaj hi nahi aa raha hai”

Manthan “kabhi sapne me bhi nahi sochta tha ki duniya me aisa bhi kuch ho sakta hai”

To be continued…
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 15 (Do Ladkiyo ka Rahasya)

Tab tak samne se aarahi ladki ab tak inn sabhi ke pass aa chuki thi “tu muje ghur kyu raha hai..??” aur voh Pathik se sawal karti hai “pathik..yeh log kaun hai..??”

Sam apni aankhe band karte hue kehta hai “nahi..yeh ho kya raha hai mere saath, nahi..yeh nahi ho sakta, it’s impossible, no way it can be true”


Ab aage….

Uss ladki ko dekhkar sam kisi putle ki tarah khada ho jaata hai, voh ektak bina apni palke japkaye hue uss ladki ko hi dekhe jaa raha tha, use yeh tak ehsas nahi tha ki Akshita aur baaki log usse kuch puche jaa rahe the
Sam khud ko sambhal nahi paata aur voh do kadam piche chale jaata hai “how is this possible, it can’t be”

Akshita sam ko jandodkar use sambhalte hue kehti hai “sam..aakhir tuje hua kya hai..??”

Vaha maujud koi bhi shaks sam ke iss bartav ko samaj nahi paa raha tha, aur vahi voh nayi aayi hui ladki bhi sawaliya bhari najro se Sam ko ghure jaa rahi thi, voh pathik se puchti hai “pathik, kaun hai yeh log”

Sam kabhi akshita ki aur dekhta toh kabhi uss ladki ki aur, voh haklate hue hi “t..tt..tttum..tum jinda kese ho..??”

Voh ladki “what do you mean by that..??” halke gusse se sam ko jawab deti hai


Vahi akshita bhi aisa sunkar shock reh jaati hai, voh sam ke chehre ko apni aur karti hai aur uski aankho me dekhte hue kehti hai “sam, sam, tu yeh kya bol raha hai..?? tu theek toh haina..?? please kuch toh bata”

Sam akshita ki aur dekhte hue kehta hai “aksh, I don’t know, yeh impossible hai"

Akshita “kya impossible hai..??”

Sam “agar maine tuje bata bhi diya, tab bhi tu meri baat ka yakeen nahi karegi”

Akshita sawaliya bhari najro se Sam ki aur dekhti hai aur firse puchti hai “sam..baat kya hai..?? please bata muje”

Sam aksh ki aankho me dekhte hue kehta hai “m…mmuujeee..muje vo..vvooohhhh ladki dikhayi de rahi hai, vohi ladki jo mere aankho ke samne mari thi” aur voh uss aayi hui ladki ki aur ishara karta hai

Yeh sunkar sabhi log ajeeb najro se Sam ki aur dekhte hai, jabki akshita kabhi sam ki aur dekhti toh kabhi uss ladki ki aur dekhti, voh sam se sawaal karti hai “yeh kese ho sakta hai sam, yeh koi aur hai”

Sam “yeh vahi ladki hai jo meri aankho ke samne mari thi, maine kaha thana, yeh impossible hai”

Akshita “sam, yeh impossible hi hai, tune jis ladki ko dekha voh 31st century me thi, aur yeh ladki 21st century se belong karti hai”

Tabhi voh ladki kehti hai “wait wait wait wait, kya tumne abhi abhi 31st century kaha..??” fir voh pathik ki aur dekhte hue kehti hai “pathik, muje janna hai ki aakhir yanha par ho kya raha hai..?? aur yeh dono kaun log hai..??”

Sam uss ladki se sawaal karta hai “maine khud dekha tha, you have die infront of my eyes”

Toh voh ladki kehti hai “aapke kehne ka matlab kya hai..?? you mean to say I am dead..??”

Pathik uss ladki ke sawaal ka jawab deta hai “yeh dono time-travellers hai, yeh future se hamari madad karne ke liye aaye hai”

Voh ladki ko kuch bhi samaj me nahi aa raha tha ki voh kya kahe, time travel ke baare me sunkar uska dimaag chakrane lagta hai toh voh pathik se ishare me puchti hai ki yeh sab kya ho raha hai, uske baad pathik uss ladki ko sabkuch bata deta hai jo vo janta tha
Yeh sunkar voh ladki ajeeb se najro se kabhi pathik ko dekhti hai toh kabhi unn dono ko, kyunki yeh jo pathik ne abhi kaha voh use kisi sci-fic film se kam nahi lag raha tha, kyunki aisa kuch iss haal me sunna kaafi ajeeb tha

Aksh “sam are you sure ki yeh vahi ladki thi jise tumne marte dekha tha..??”

Sam ko lag raha tha ki voh uss mari hui ladki ko dekh raha hai..jabki sachayi yeh thi voh ladki mari nahi thi..balki voh zinda thi aur uske aankho ke samne khadi thi
Sam “akhir yeh sab ho kya raha hai..??”

Pathik ko achanak se kuch yaad aata hai toh voh sam se sawaal karta hai “wait a second, tumne Siddhi ko marte hue kab dekha tha..??”

Sam sawaliya bhari najro se pathik ki aur dekhta hai, toh pathik use uss ladki ki aur ishara karte hue kehta hai “I mean ki ise tumne marte hue kab dekha tha..??”

Sam iss baat ka jawab deta hai “karib 1 hafte pehle, muje yaad hai ki mai mission par tha, aur apni team se alag ho gaya tha”

Tabhi aarav use bich me rokte hue kahta hai “guys, agar yeh baate hum thode alag jaakar kare toh jyada behtar rahega, mere khayal se yeh baate inn logo ko naahi pata chale” voh baakiyo ki aur ishara karte hue kehta hai

Aarav ki baat par sabhi log haami bharte hai aur voh log baakiyo se alag hokar side me aajate hai aur uske baad Sam uss din ki ghatna suna tha jis se voh puri tarah tut chukka tha aur apni position se resign tak de diya tha

Ek Hafte Pehle

Sam apni team ke saath ek mission par tha, mission unn logo ko bachana ke tha jo Zorians ke Coronal City par kiye gaye hamle ke dauran bach gaye the
Same raat ke karib 11 baje apni team ko lekar Coronal City me ghum raha tha, akshar humne dekha hai raat ke iss waqt bhi seher ki sadako par logo ki kaafi bheed jami rehti hai..lekin aaj aisa nahi tha, Zorians ke dwara kiye gaye hamle me pura Coronal City tabah ho gaya tha..lekin kuch jagah esi thi ki jaha par nuksaan kam hua tha..matlab ki vaha par logo ke zinda hone ki ummid jatayi jaa rahi thi
High Command se order milte hi Sam apni team lekar Coronal City ke uss ilake me pahuch gaya tha..aur unke report ke anusar yaanha par bhi bhi kuch log the jo jinda toh bach gaye the lekin unke haalat jyada ache nahi the, aur kahiyo ki haalat bahut hi jyada naajuk the

Sam aur baakiyo ko kaafi muskile aa rahi thi, ek taraf raat ko ghor andhera aur sehar ke tabah hone ki vajah se gira hua malba unhe kaafi dikkate de rahe the, lekin fir bhi yeh log haar mane bina apna pura jor lagakar logo ko vanha se nikal rahe the
Sam apni team se kehta hai “okay listen team, as per our reports, yanha par logo ke jinda hone ki ummid thi, and we have found them, but I think shayad sehar ke andar bhi aur koi ho sakta hai, toh mai aur andar jaa raha hu” fir vo ruk kar kehta hai “jald se jald inn logo ko meditown transfer karwaye, aur yaad rahe, kahi par bhi..kuch bhi harkat ho, fauran yanha se bahar nikal jaana, is that clear..??”

Team “yes sir”
aur itna kehte hi sam apni team se thoda dur aagaya

Sam chalte hue apni charo aur dekh raha tha, par abhi tak use koi bhi zinda insaan nahi mila tha, voh iss ummid se aage badh raha tha ki shayad koi bacha ho, lekin use har raste par sirf nirasha hi mil rahi thi, janha se bhi voh gujar raha tha har jagaho par insano ki laashe hi giri hui thi
Sam chalte hue kaafi dur nikal aaya tha aur use bhi ab yeh lagne laga tha ki shayad ab iss sehar me aur koi nahi bacha hai “muje nahi lagta ki yaha par koi hoga, ab muje vapas jaana chahiye” aur voh vaha se jese hi piche muda uski najar samne daudte hue aa rahi uss ladki ki aur gayi

Achanak se iss ladki ko dekh voh chaunk jaata hai, kyunki jab voh vanha se aaya tab use koi nahi dikh raha tha, lekin achanak se iss ladki ko dekh voh thoda hadbada jaata hai
Sam ektak uss ladki ko hi dekhe jaa raha tha, use yeh toh pata chal gaya ki voh ladki apni jaan bachane ke liye bhaag rahi hai, aur voh kuch karta uske pehle hi vahi pass me rahi ardh tuti hui imarat ki voh deewal, achanak se uss ladki ke upar gir gayi, aur deewar ke saath uss ladki ki dard bhari chikh charo aur gunj uthi
Sam iss haadse ko dekh nahi paaya, voh vahi par apne ghunto ke pal baith gaya aur usne apni aankhe band kar li

Sam kaafi der tak vahi par baitha rahta hai jabtak Akshita vanha par nahi aa jati, voh Sam ko dhundte hue yanha par aa pahuchi thi aur use sam vaha par raste me baithe hue dekh gaya, toh voh turant daudte hue sam ke pass gayi aur usko pakadte hue kehti hai “sam..sam, are you okay..??”

Lekin sam ko toh jese hosh hi nahi tha, akshita ne use hilate hue firse pucha “sam..tuje ho kya gaya hai..?? aur tu calls ka respond kyu nahi kar raha tha..upar se tera GPS tak kaam nahi kar raha tha, aur naa hi tune pichle 1 ghante se hum mese kisi se bhi contact karne ki koshish ki”

Sam ne fir uske samne giri hui building ki aur ishara karte hue kaha “aksh..mai yahi par tha..voh ladki, voh mujse madad mangne aayi thi aur mai..mai kuch nahi kar paaya, Akshita..voh samne mari hai..meri aankho ke samne, aur mai bas sirf use dekhta hi reh gaya, mai usko bacha sakta tha Aksh..lekin, lekin mai use nahi bacha paaya” kehte hue voh rone laga


Back To present

Sam ki puri baat sunkar sabse jyada shock Siddhi aur Aarav ko laga, kyunki jo kuch bhi Sam ne abhi bataya voh kuch kuch Siddhi ke saath ghati ghatna ke saman tha, siddhi puchti hai “kya uss ladki ne mehendi colour ke kapde pehne hue the..?? aur usko kuch chot lagi thi..??”

Sam turant hi siddhi ke sawal ka jawab deta hai “haa, aur uske haath me chot bhi lagi hui thi”

Siddhi usse kehti hai “aapki baat ekdum sahi hai” voh apna haath dikhati hai jispar pattiya lagi hui thi “mere saath asi hi ek ghatna ghati thi, par voh building naa hokar ek pole tha, aur voh pole mere hi upar girne vala tha, lekin akhri waqt par aarav ne muje bacha liya tha, aur usi dauran meri chikh bhi nikal gayi thi”

Pathik ko iss waqt kuch samaj me nahi aa raha tha, voh turant bol padta hai “ek min, Siddhi yeh jo hadsa tere saath hua tha” usne siddhi ki aur ishara kiya “toh yeh sam ko kese dikhayi diya..??” fir Pathik apni hi bat ko samjate hue kehta hai “mera matlab tha ki aap dono 31st century se belong karte hai, aur humsab” voh sabki aur ishare karte hue “21st century me jee rahe hai, toh yeh kese possible ho sakta hai”

Aksh “wait wait, kuch toh gadbad hai yanha, shayad yahi vajah thi ki muje voh hada asadharan sa lag raha tha”


Sam akshita ki aur sawaliya bhari najro se dekhte hue kehta hai “kya matlab..??”

Akshita “sam, ek baat hai jo maine tuje nahi batayi, muje uss waqt hi yeh mehsus ho gaya tha ki kuch toh gadbad hai, par tujpar itna yakeen tha ki maine laaparwahi kar di”

Sam “laaparwahi..?? tu kehna kya chahti hai” ko kuch samaj me nahi aa raha tha

Akshita “sam, jab tere kehne par hamari team ne unn malbo ko hataya tab maine dekha tha..uss ladki ne pink top aur black jeans pehna hua tha, aur usski lash..voh deewar girne ki vajah se kuchal gayi thi..lekin fir bhi maine ek baat notice ki thi..uske sharir ke kuch hisse halke se jale hue lag rahe the, par uss waqt muje teri fikar ho rahi thi, so maine iss baat par jyada dhyaan nahi diya, par siddhi ki baat sunkar aur jab tune uske kapdo ke baare me bataya, now I am definitely sure ki tune jis ladki ko marte hue dekha tha, uski maut building ke girne ki vajah se nahi hui thi”

Sam “yaani voh ladki pehle se hi mari hui thi”
voh kuch sochte hue “haa, muje ache se yaad hai ki jab mai vanha se gujra toh koi bhi zinda nahi tha, bahut si laashe vaha par thi, aur jab muje kuch naa mila toh mai vapas aane ke liye muda tha..aur uss waqt maine siddhi ko bhagte hue dekha”

Akshita “iska matlab samaj raha haina tu..??”
voh sam ki aur dekhte hue kehti hai

Sam “haa aksh, voh portal Coronal City ko Mumbai se jodta hai”

Pathik “par yeh kese ho sakta hai..?? it’s impossible, kyunki siddhi ya humne kabhi time-travel nahi kiya, naa ese koi hadse hamare saath hue hai”

Sam “haa pathik tum log ne nahi kiya, lekin mai kahi baar Mumbai aa chukka hu, aur shayad uss raat bhi mere saath yahi hua tha”


Akshita “haa, infact sam ko yaha ke local transport bus ki ticket bhi mili thi, some like Dadar to Panvel” aur fir voh sam ki aur dekhte hue kehta hai “sam, mere khayal se inhe dinosaurs ke baare me bhi bata dena chahiye”

Siddhi thoda chillate hue kehti hai “dinosaurs..??”

Aksh “haa..dinosaurs”

Siddhi “yaani mai sahi tha..maine sach me dinosaurs ko dekha tha, lekin meri baat par kisine yakeen nahi kiya”

Akshita “sam, jese tum galti se kahi baar aagaye the, toh kya aisa possible nahi ho sakta ki dinosaurs bhi galti se apne waqt se hamare aur inke waqt me aa rahe hai”


Sam “bilkul ho sakta hai, aur shayad hamare Pruthvi ki yeh haalat dekhkar voh samaj nahi paate aur voh bekaabu ho jaate hai”

Siddhi asamaj bhav se darte hue puchti hai “iska kya matlab ho sakta hai”

Sam “mai nahi janta”
voh rukte hue bolta hai “filhaal toh sabse bada sawal yah hai ki iski shuruwat kaha se hui, aur yeh waqt ke saath aisa kyu ho raha hai..??”

Sab log chup chap baithe the, sam ne ek aisa sawaal kiya tha jiska jawab kisi ke bhi pass nahi tha, Siddhi “kya aapko lagta hai ki hum kabhi zorians se zinda bach paayenge”

Sam “vese toh yeh ladayi hamari thi, kyunki zorians ka humla humare waqt me hua tha, par ab lagta hai ki hume yeh zung saath milkar ladni hogi”

Siddhi “aap log toh future se aaye hai, agar aapko hi nahi pata ki yeh sab kyu aur kese ho raha hai toh” voh aage kuch nahi bol paati

Pathik “kaash ke aaj manthan zinda hota, sirf vahi ek tha jise inn sab chizo ke baare me knowledge tha, kaash ke voh zinda hota..toh aaj hume bahut madad mil jaati”

Manthan ka naam sunte hu aarav ka gussa satve asmaan par pahuch jaata hai, voh gusse me chillate hue kehta hai “voh ek kaatil ke alawa aur kuch nahi hai, agar voh zinda bhi hota toh mai khud use apne haatho se maar deta”

Sam ajeeb sa chehra banate hue kehta hai “mai kuch samja nahi”

Aarav vese hi gusse me kehta hai “he bloody killed my sister”

Pathik “aarav, yeh sach nahi hai..tu bhi jaanta hai ki Manthan Pari se bahut hi jyada pyaar karta tha..apni jaan se bhi jyada, voh Pari ko kabhi nahi maar sakta, voh sirf ek hadsa tha aur kuch nahi”


Lekin aarav kuch nahi sunta aur vanha se chala jaata hai, iske baad Pathik aur siddhi ke kehne par Sam aur Akshita unn dono ko saari baate bata dete hai ki kese Zorians ne unn par hamla kiya aur kese voh dono yanha par aa pahuche

To be continued….
Mohak update bhai
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 16 (Prithvi par Ho kya Raha hai)

Pathik “aarav, yeh sach nahi hai..tu bhi jaanta hai ki Manthan Pari se bahut hi jyada pyaar karta tha..apni jaan se bhi jyada, voh Pari ko kabhi nahi maar sakta, voh sirf ek hadsa tha aur kuch nahi”

Lekin aarav kuch nahi sunta aur vanha se chala jaata hai, iske baad Pathik aur siddhi ke kehne par Sam aur Akshita unn dono ko saari baate bata dete hai ki kese Zorians ne unn par hamla kiya aur kese voh dono yanha par aa pahuche

Ab aage…

Raat ne apni pakad puri tarah se jama li thi, Sam aur Akshita apne waqt ke haalat inn logo ko bata chuke the, haalat itne jyada bure ho jayenge yeh sam ya akshita kisine bhi nahi socha tha
Isiliye hamesa kaha gaya hai, kudrat ke saath hume kabhi bhi khilwaad nahi karni chahiye, chahe kuch bhi ho, kudrat hamesa se insaano se ekdum aage rahi hai aur hamesa voh insaasno se aage hi rahegi

Sam, Akshita, Siddhi aur Pathik charo hi log chup-chap uss chand ki roshni ke niche baithe the, halaki kisi ko kuch bhi samaj me nahi aa raha tha ki akhir ab kya kiya jaaye, Siddhi uss chuppi ko todte hue kehti hai “agar hum unhe nahi rok paaye toh..?? agar Zorians se hum haar jaate hai toh sab kuch khatam ho jayega”

Siddhi ki baat ki gambharita ko samajte hue Akshita bhi Sam se ek sawaal karti hai “sam, kuch toh bol, koi toh rasta hoga jisse hum yeh ladayi jeet sakte hai”

Sam bhi kya kehta hai, voh toh yeh soch soch kar pagal hue jaa raha tha ki waqt ke saath Zorians chedchad kese kar sakte hai, esi toh kya vajah rahi hogi ki Zorians ko time-travel karna pad raha tha, “aksh, hum kuch bhi nahi kar sakta, atleast tab toh kuch bhi nahi jabtak hum yeh maalum naa chal jaaye ki aakhir voh time-portals kese bane”

Akshita “sam, agar aisa hi chalta raha toh yanha par sab kuch khatam ho jayega, aaj ke saath hamare aane vaala kal juda hua hai”
voh sam ki aur dekhte hue kehti hai “tu samaj raha haina sam, agar aaj yanha par sab log maare jaate hai, toh hum kabhi janam hi nahi lenge”

Akshita ki baato ko sochte hue sam kehta hai “godfrey ko bahar laana hoga, sirf vahi ek hai jo ab hamari madad kar sakta hai”

Akshita “sam, par kya yeh thik hoga..??”

Sam “aur koi rasta nahi hai aksh, hume har ek chiz ko firse dekhna hoga, kahi par kuch toh hai jo chut raha hai, kuch aisa hai jo hum abhi bhi nahi samaj paa rahe hai”

Akshita “kya tuje lagta hai ki Godfrey yaanha kaam karega”


Sam “pata lagan aka ek hi tarika hai” ek baar akshita ki aur dekhta hai, aur uske baad voh apni watch me kuch buttons dabakar kehta hai “Godfrey, search the time-line, kahi par bhi..I repeat kahi par bhi time-travel hone ke baare kuch bhi details milti hai toh muje fauran batao”

Uske baad uski watch me data analysing ki notification blink karne lagti hai “it’s working” aur sam uss watch ki screen ko band kar deta hai, aur uske baad voh pathik se kehta hai “tumhara dost..manthan, kaun hai voh”

Par pathik kuch kehta uske pehle aarav daudte hue vaha aata hai aur haanfte hue kehne laga “pathik, yaha se 2 km dur, kuch gadbad hai bhai”

Pathik “ohhh shit..vaha par toh food stalls hai, agar voh khatam ho gaya toh bahut badi problem ho jayegi, ab hum kya kare”

Aarav “hume kisi bhi haalat me vaanha jaana hoga, agar Zorians ya dinosaurs hue toh..?? sab kuch tabah ho jayega” aur voh dono hi base se bahar jaane lage

Unhe jaata dekh Akshita aur sam bhi unke piche chale jaate hai aur sam Pathik se kehta hai “we are coming too”

Pathik sam ki aur dekhte hue kehta hai “thanks, hume madad mil jayegi”

Voh sab malbo ki aad lete hue aage badh rahe the, sabhi ke chehre par darr saaf dikhayi de raha tha kyunki unhe vaha ke haalat ke baare me koyi jaankari nahi thi
Voh bas aaram se bina koi shor kiye dheere dheere aage badh rahe the, abhi tak unhe aisa kuch nahi dikhata..lekin dik me ek darr jarur tha ki agar voh hamla Zorians ne kiya hoga toh voh kya karenge
Kuch der chalne ke baad voh charo uss jagah pahuch jaate hai aur Vaha pahuchte hi Pathik sawaal karta hai “yeh kya..?? yanha par toh kuch bhi nahi hai, sabkuch ek dum shaant hai” voh charo aur dekhte hue kehta hai

Aarav “yeh kese ho sakta hai, maine khud suna tha, radio telecast ho raha tha ki yaanha par…” voh bolte hue ruk jaata hai

Pathik apne haatho se ishara karte hue kehta hai “aarav, par mere bhai yanha par kuch bhi nahi hai”

Aarav isspar kuch nahi bolta, lekin Akshita ek sawaal karti hai “pathik, yeh nishan…yeh kis chiz ke nishaan hai” apne daaye taraf ishara karte hue kehti hai

Pathik uss taraf dekhkar kehta hai “pata nahi, yeh nishaan maine bhi kahi jagaho par dekhe hai, lekin aajtak kabhi samaj nahi paaya”

Akshita chalte hue uss nishan ke karib jaakar kehti hai “sam yeh ajeeb haina, iss nishaan ka baar-baar hamare samne aana, tuje kuch ajeeb nahi lag raha..??”

Sam “aakhir yeh sab chal kya raha hai, meri tu kuch bhi samaj me nahi aa raha”
aur fir uski najar ek chamakdaar chiz par padti hai “voh kya hai” kehte hue voh uss chiz ki aur jaane laga ki achanak se voh roshni ek dum badi gayi aur teji se inn sabhi ki aur aane lagi

Sam turant hi chillate hue kehta hai “get down” kehte hue usne akshita ko pakada aur side me kud gaya
Uss roshni ki raftaar itne tej thi ki palak japakte hi voh vaha se gaayab ho gayi, Sam khudko sambhal kar khada hua aur uss roshni ko dhundhne laga par use voh dur-dur tak kahi bhi nahi dikhayi di

Pathik chaunkte hue kehta hai “akhir voh kya chiz thi”

Sam “itni raftaar, maine aajtak kisi bhi chiz ko itne tej jaate hue kabhi nahi dekha”


Akshita bhi ab tak khud ko sambhal chuki thi “voh jo kuch bhi tha, yeh nishan usi se bann rahe hai” voh uss naye bane nishan ke pass baith the hue kehti hai

Sam yeh sunkar Akshita ke pass aata hai aur voh dono bhi vanhi par aajate hai, Sam halke gusse se kehta hai “akhir voh hai kya..?? Zorians karna kya chahte hai”

Aarav kehta hai “tum dono ko Zorians ke baare me toh sab pata hai, voh kya chiz ho sakti hai”

Sam “yakeen maan mere bhai, mai khud uss chiz ko pehli baar dekh raha hu”


Isspar koi kuch nahi bolta, voh charo hi log aaspass dekhne lagte hai, tabhi achanak se Sam ki watch awaaz karne lagi, toh sam apni watch ki screen ko activate karta hai
Watch se ek animation bahar aaya aur usme ek notification pop-up hone laga “no records found”

Sam “are you sure Godfrey..??”

Godfrey “positive sir”

Sam “kya lagta hai yaar, yeh sab kya ho raha hai, aur voh chiz..voh kya ho sakti hai”

Godfrey “sir, yeh toh mere liye bhi naya hai, uski energy kaafi alag thi, aur iss tarah ki energy source ke baare me mere system me koi data available nahi hai”


Godfrey ki baat sunkar Sam bhi soch me pad jaata hai, tabhi akshita kehti hai “ek min, kya tumne unknown energy kaha..??”

Godfrey “yes mam”


Akshita bhi kuch sochte hue kehti hai “sam, yaad hai yanha aane se pehle bennet ne bhi kisi unknown energy ke baare me bataya tha”

Sam ko bhi bennet ki voh baat yaad aajati hai jo bennet ne kahi thi, “koi unknown energy mili-seconds ke liye samne aati hai aur fir gayab ho jaati hai” sam akshita ki aur dekhte hue kehta hai

Akshita “agar yeh vahi hai toh..?? jo chiz itne tej rafter se ghum rahi hai usko trace kar paana bahut muskil hai”

Sam kuch sochte hue khada hua, thoda side me aakar turant hi kehta hai “godfrey, tumhe mera ek aur kaam karna hoga”

Godfrey “mere liya kya task hai sir”

Sam “time-portals, janha se hum dono aaye the vanha par bhi koi unknown energy detect hui thi, aur uss energy ko bennet study kar raha tha, ho sakta hai ki shayad bennet ne apna data tumhare system me update kiya ho, I want you to verify all these energy, and also try to compare with each and every data available of Zorians, inn sab ke bich me kuch toh connection hona chahiye”


Godfrey “I am on it sir”

Tabhi achank se Sam ko kisika dhakka lagta hai toh voh apne pait ke bal gir jaata hai, yeh sab itna jaldi me hua ki baaki log kuch samaj nahi paate, aur turant hi vahar ek dum se charo aur bhayankar tarah ki safed roshni fail gayi..uss roshni ki takaat itni jyaada thi sabhi log apni aankhe band kar dete hai

Kuch der pehle
Khair yeh group aapass me baat kar raha tha, iss baat se anjaan ki unse thodi hi dur par ek asadharan si ghatna ghat rahi hai
Ek khuli si jagah me achanak se bicho bich ek roshni dikhayi dene lagi, voh roshni bhi ajeeb si thi, uska kad kariban ek raai ke daane ke jitna hoga, jo dheere dheere karte hue badhne laga, voh roshni dheere dheere karte hue ek bade golakar me tabdil ho gayi aur usme koi daudte hue bahaar aagaya

Voh shaks jo uss roshni se bahar aaya tha voh aakhe sidhe apne ghutno ke bal baith gaya, aur uske baad voh apni aankhe upar karte hue kehta hai “finally..I am Home” aur fir voh roshni achanak se hi gayab ho gayi

Voh shaks jab samne ka najara dekhta hai toh uski ruh kaamp uthti hai, charo aur ekdum ghor sannata tha, roshni ke naam par bas kuch jagaho par aag jal rahi thi
Lekin yeh aag sadharan aag nahi thi..yeh aag thi barbadi ki, hamari prithvi ki barbadi
Charo taraf voh dekh raha tha ki sabkuch tabah ho chukka hai, kahi par bhi insaan ke hone ki maujudgi use nahi dikh rahi thi..yanha tak ki use ek parinda tak naa jameen par aur naa hi asmaan me dikhayi de raha tha

Voh “yeh..yeh…”


To be continued…
Jakash update dost
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 17 (Bhavishya Sach tha)

“thanks jaan” paridhi apne aakhri waqt me chehre par ek pyaari si muskaan liye Manthan ki aankho me dekh rahi thi

Manthan ke liye yeh ek aisa pal tha jiski voh kalpana tak nahi karna chahta tha, lekin Pari yeh baat ache se jaanti thi ki usne jo bhi apne manthan se maanga hai use voh dena hi hoga, varna sabkuch khatam ho jayega
Paridhi “please manthu..pagal mat ban” voh apne haatho ko manthan ke chehre par rakhkar uski aankho me dekhte hue kehti hai “manthan, mai tujse hamesa pyaar karungi..but please, iske alawa hamare pass aur koi option nahi hai..tuje meri kasam hai..tuje hamare pyaar ka vasta, tuje yeh karna hi hoga, inn sab ke liye, hamare liye”

Kahi naa kahi Manthan bhi yeh baat jaanta hai ki Dexter ko rokne ka iske alawa aur koi rasta nahi hai, par fir bhi voh apne pyaar ki kurbaani apne haatho se kese de sakta tha
Usne badi muskilo se apni jaan ko dekha tha, aur pal bhar me hi voh usse hamesa hamesa ke liye dur chali jayegi..yeh sochkar hi uski ruh kaamp uthti hai, uske dilo ka dard aansuo ke roop me aankho se bahar aaraha tha, voh lagatar apne sar ko naa me hilate hue Paridhi ko manaa kiye jaa raha tha “please pari, please mujse yeh nahi hoga, please” isse jyada manthan aur kuch nahi keh paata, voh ekdum se paridhi ko apni baanho me bhar leta hai

Manthan ne paridhi ko jitna ho sake utne kaske apne baanho me bhar liya tha, Paridhi ko iska ehsaas ho jaata hai ki manthan usse kitna jyada pyaar karta hai, manthan ke pyaar ki vajah se uski aankhe bhi halki si nam ho jaati hai, par voh jaanti thi ki agar usne iss waqt khud ko nahi roka toh shayad aane vali tabaahi ko koi nahi rok paayega, voh apna dard peete hue manthan ko khud se alag karti hai, aur manthan ke aansuo ko rukne ka naam nahi le rahe the unhe saaf karte hue “manthan, please mana mat karna..maine apna aakhri teri inn baanho me gujarne hai, par mai yeh bhi nahi chahti ki tu muje iss tarah se vida kare, please manthan, chup hoja”

Manthan iss baar kuch nahi kehta, voh firse Paridhi ko apne gale laga deta hai, aur Paridhi bhi manthan ke baanho me aajati hai, voh manthan se bina alag hue Pari ki aur dekhte hue kehti hai “please, pari..promise me”

Pari ki aankhe bhi halki si naam ho gayi thi, voh thodi ruansi awaaz me kehti hai “I promise you”

Paridhi ko ehsaas ho chukka tha ki ab dexter uske karib hai “it’s time manthan..and remember I will always love you”

Manthan “I love you too”
aur tabhi manthan ki najar dexter par padi..jo bahut hi teji se uski aur aa raha tha

Paridhi “do it manthan, you have to kill me..for me..for all us” iske aage manthan kuch nahi bola, apne dil par chura ghopte hue usne pari ki gardon ko modkar tod diya


“kyu pari, kyu kiya tune mere saath aisa..?? mai kese jee paunga tere bina” manthan ke samne aaj bhi vahi pal uske samne aa rahe the jo usne Pari ke saath aakhri baar bitaye the, aur uss pal ke yaad aate hi manthan ki aankho se aansu apne aap behne lagte hai

Voh apne haatho ki aur dekhte hue kehta hai “inn hi haatho me tune apna dum toda tha, aur mai..mai tuje bacha ne ke liye kuch bhi naa kar saka” lagatar uski aankho se aansu beh rahe the jise voh hatane ka prayas tak nahi karta “nahi pari, jo promise tune paridhi se kiya hai, voh mai nahi kar sakta, mujse yeh nahi ho payega, mai chala jaunga yaanha se, haa chala jaunga mai” kehte hue voh jor jor se rona lagta hai

“uss hadse ko aaj ek hafta beet chukka hai, uss din se manthan ne khud ko uss kamre me band kar rakha hai, ek second ke liye bhi voh apne kamre se bahar nahi aaya” manthan ne Siddhi aur Pathik ko mayank ke baare me bataya

Pathik “tune usse baat karne ki koshish ki..??”

Manthan “ha bhai, maine bahut baar koshish ki lekin usne ek bhi darwaja nahi khola, bas hamesa yahi kehta ki please isse muje akele rehna hai”

Pathik “par bhai, yeh waqt use akele rakhne kaa nahi hai”


Manthan “haa, mai janta hu bhai, par voh kisi ki baat tak nahi sunna chahta, yanha tak ki voh mom dad ne bhi usse baat karne ki koshish kit hi, lekin usne unhe bhi yahi kaha ki use kuch din ke liye akela chod de” apni chinta vyakt karte hue manthan sabhi se kehta hai

Siddhi “manthan, pari se baat hui..??”

Manthan naa mein apna sar hilate hue siddha ka jawab deta hai, toh Pathik bola “uss bichari ko toh kuch bhi samaj me nahi aa raha, voh khud pagal hue jaa rahi hai ki voh kese mayank ko sambhale”

Manthan “haa, main janta hu, par voh hai kanha”

Siddhi “pata nahi, voh shayad Kruti ke saath bahar gayi hai, maine hi usse kaha tha ki Pari ko bahar le jaaye, voh kaafi pareshan hai”
thoda rukkar kehti hai “voh baar baar bas yahi kahe jaa rahi thi ki voh nahi jaanti ki usne jo vaada paridhi se kiya tha voh kese nibhayegi”

Pathik “usne ek hafte se thik se khaana tak nahi khaya, voh mayank se bahut pyaar karti hai”


Manthan “haa bhai, kyunki kahi na kahi unn dono ki life ek dusre se judi hui hai, maana ki hamari pari alag hai, lekin jo ehsaas inn dono ke pyaar ka hai voh Pari bhi mehsus sakti hai”

Siddhi “haa, shayad yahi vajah hai ki manthan ke iss dard ko voh ache se samaj paa rahi hai”
fir voh manthan ki aur dekhte hue kehti hai “yeh pyaar bhi kitna khubsurat haina, Pari kabhi mayank se nahi mili, lekin fir bhi voh use itna jyada pyaar karti hai” uske baad vanha koi kuch nahi bolta, kamre me ekdum se sannata cha jaata hai

Uss sannate ko chirte hue Pathik bola “common guys, aisa kab tak chalega, hume mayank se baat karni hi hogi, iss tarah se toh voh apne saath saath Pari ko bhi takleef de raha hai”

Manthan “shayad tu sahi keh raha hai, chal”
uske baad yeh tino mayank ke kamre ki aur chale jaate hai, par vanha pahuchte hi andar ka najara dekhkar voh sab chaunk jaate hai

Siddhi “yeh..yeh kya kar raha hai tu..??”

Mayank unn sab ki aur dekhte hue kehta hai “vahi, jo shayad muje ussi din kar dena chahiye tha”

Manthan sawaliya bhari najro se dekhte hue kehta hai “kya matlab hai tera”

Mayank “mai vapas jaa raha hu, ab mai yanha nahi ruk sakta”

Siddhi “tu pagal toh nahi ho gaya na..?? tu hosh me nahi hai hai..tu kya bol raha hai”


Mayank “nahi siddhi, mai pure hosh me hu, mai yanha ab nahi ruk sakta, muje apne ghar vapas jaana hi hoga”

Manthan bhi thoda gusse se kehta hai “toh kya yeh tera ghar nahi hai..?? kya hum sab tere dost nahi hai..?? kya mom aur dad, kya voh tuje pyaar nahi karte..?? aur pari…kya pari ka pyaar jutha hai”

Mayank “mai yeh nahi keh raha hu, infact muje jitna pyaar tere mom-dad se mila hai utna muje shayad hi mere mom dad se milta, aur tum sab mere utne hi ache dost ho jitne meri earth par mere dost hai”
fir voh thoda sa runasa si awaaz me kehta hai “aur pari..pari ka pyaar kabhi jutha nahi ho sakta, fir voh mai chahe kisi bhi earth par kyu naa chala jaau, voh muje hamesa apne dil se pyaar karegi”

Siddhi use samjate hue kehti hai “fir kya problem hai manthan..?? kyu tu vapas jaana chahta hai janha ab tera koi nahi bacha..?? kya tune ek baar bhi yeh socha hai ki tere jaane ke baad Pari ka kya hoga..??”

Mayank “mai pari ke baare me sochkar hi vapas jaa raha hu”


Siddhi asamaj ke bhav se uski aur dekhti hai “kya matlab hai tera”’

Mayank “vahi jo tu samaj rahi hai”

Siddhi “manthan, yeh tu bhi janta hai ki voh sirf ek hadsa tha, jo tere saath hua hai”


Mayank “haa, par har hadse ki kimmat hamesa hi Pari ko chukani padti hai” itna kehti hi mayank ki aankho se aansu nikal aaye

Manthan “kya matlab..??” voh siddhi ki aur dekhte hue kehta hai “yeh tum dono kya bol rahe ho..?? muje kuch bhi samaj me nahi aa raha”

Siddhi manthan ki aur dekhte hue kehti hai “yaar, yeh uss hadse ke liye bol raha hai jisse isne dexter ko roka tha”

Mayank “sirf uske liye nahi siddhi”

Siddhi “fir..??”

Mayank “har ek hadsa jo Pari ke saath hua hai, har ek dard jo Pari ki zindagi me aaya hai, unn sabka zimmedar kahi na kahi mai hu”

Pathik “yeh tu kese bol sakta hai”

Manthan “toh tuje yeh lagta hai ki Pari ke mom dad ke saath jo hua voh teri vajah se hua..?? voh dexter ne kiya tha manthan”


Mayank “haa, kiya toh dexter ne hi tha, par dexter yaanha aaya kese..?? mere hi vajah se “ voh apni aankhe band karte hue kehta hai “agar mai jidd karke uss din pari ko apne saath CDC lab naa le gaya hota toh voh hadsa kabhi naa hota, aur naa hi dexter kabhi yaanha aata aur naa hi voh pari ke life ke saath aisa karta, aur naa hi muje apni pari ko maarna padta”

Siddhi “yeh sach nahi manthan, yeh tu bhi jaanta hai ki jo kuch bhi hamari pari ke saath hua hai voh teri vajah se nahi hua, aur yeh tu kese keh sakta hai ki agar pari tere saath naa aayi hoti toh voh hadsa nahi hota..?? manthan pagal mat ban, Pari tujse bahut pyaar karti hai, voh tere bina nahi reh paayegi”

Mayank “nahi siddhi, use rehna hoga, kyunki agar mai uske saath raha toh voh zinda nahi reh paayegi, aur please, tum sab ko milkar use sambhalna hoga”

Manthan “yeh nahi ho paayega, pari tut jayegi, Pari jo abhi itni khush reh rahi hai voh tere hi vajah se hai, agar tu chala gaya toh voh bikhar jaayegi”


Mayank “aur agar voh mere saath rahi toh uska bhi vahi haal hoga jo meri pari ke saath hua hai” aur voh unn sabhi ke samne rone lagta hai

Shayad sab samaj jaate hai ki Mayank kyu yanha se vapas jaana chahta hai, voh log aage kuch nahi bol paate, kyunki voh sabhi jaan gaye the ki mayank ab rukne vala nahi hai

Manthan “mayank, tu sach me nahi rukna chahta”

Mayank “nahi manthan, mere safar yahi tak tha, ab waqt aagaya hai ki mai apne ghar vapas jaau”

Siddhi “aur pari..uska kya hoga..??”


Mayank “tu use sambhal legi..mai janta hu”

Siddhi ek baar aakhri koshish karti hai “paridhi ne kaha tha ki worm hole sab kuch apne andar khich raha tha, toh tuje lagta hai ki teri earth abhi bhi hogi..??”

Mayank “pata nahi, shayad naa bhi ho..lekin muje vaha jaakar dekhna hi hoga”

Siddhi “thik hai, agar tu jaana hi chahta hai toh hum tuje nahi
rokenge, lekin tu mujse ek promise kar”

Mayank sawaliya bhari najro se dekhte hue “kesi promise..??”

Siddhi “agar teri earth vaha nahi hui toh tu sidhe yaaha vapas aayega..tab hi hum tuje yaaha se jaane denge”

Mayank “thik hai, I promise you, and I am sorry..tuje maine bahut hi galat samja, aur shayad mere vaali siddhi bhi itni buri
nahi hogi jitna maine uske baare me socha hai”


Today

Jo roshni ka gola yanha par dikhayi diya tha voh ek worm hole tha, jisse Manthan Earth-1 se apne ghar aata hai, Worm hole se bahar aate hi voh sidhe apne ghutno ke bal baith gaya, aur uske baad voh apni aankhe upar karte hue kehta hai “finally..I am Home” aur uske baahar aate hi voh worm hole band ho jaata hai

Par shayad Manthan yeh nahi jaanta tha ki voh apne ghar toh vapas aagaya hai, par uska ghar..uska planet tabahi ke kagar par khada hai, usne jese hi apni najar samne ki aur daudayi toh voh najara dekhte hi uski ruh kaamp uthi, charo aur ekdum ghor sannata tha, raat ko jo sehar hamesa Dhadakta tha voh ekdum shaant pada hai aur janha roshni puri raat rehti thi uske bajay aaj roshni ke naam par kuch nahi tha

Voh turant hi bhagte hue apne charo aur dekhne laga, par use apne ghar ki tabahi ke alawa kuch bhi nahi dikhayi de raha tha, naa shor-sharaba, naa roshni aur naa hi koi zinda insaan, kuch tha toh sehar ke andar bikhra hua buildings ka malba, aur unn malbo me kahi kahi par thodi si aag jal rahi thi Lekin yeh aag sadharan aag nahi thi..yeh aag thi barbadi ki, hamari prithvi ki barbadi

Voh iss ummid me bhage jaa raha tha ki use kuch toh milega, lekin use tabahi ke alawa aur kuch bhi nahi mila, aur naa hi use kahi par bhi insaan ke hone ki maujudgi mehsus hui..yanha tak ki use insaano ke alawa bhi ek parinda tak naa jameen me aur naa hi asmaan me dikhayi de raha tha

Manthan “yeh..yeh ho kya raha hai yanha par..?? Earth ki yeh haalat kese hui..?? kya yeh meri hi prithvi hai..??” voh apne charo aur dekhte hue kehta hai

“par yeh kese ho sakta hai..??”
use voh yaad aata hai jab uski bhidat dexter se hui thi “toh kya jo maine dekha tha voh sach tha..?? nahi nahi nahi nahi, yeh kese ho sakta hai, voh toh maine” uska chehra par darr ke maare pasina aa gaya tha “dammit, iska matlab jo maine uss waqt dekha tha, voh..voh bhavishya sach tha, uss din maine Earth-1 ki tabahi nahi balki maine earth-2 ki tabahi ko dekha tha, maine apne hi planet ki tabahi ko dekha tha”

Voh jese jese chalte hue aage badh raha tha, uske dimaag me bhi uss manjar ki har ek tasweer ubhar ke uske aankho ke samne aa rahi thi, jo manjar usne dexter ke andar dekha tha voh ek-ek pal aaj uski aankho ke samne mandla raha tha, use kuch bhi samaj me nahi aa raha tha ki voh iss waqt kese react kare

Tabhi use achanak se voh chiz dikh jaati hai, jise dekhkar uska pura sharir hil jaata hai, use itne jyada gussa aata hai ki voh chillakar kehta hai “naaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii”


To be continued….
Nice update bhai
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 18 (Ek aur Baar)

Voh jese jese chalte hue aage badh raha tha, uske dimaag me bhi uss manjar ki har ek tasweer ubhar ke uske aankho ke samne aa rahi thi, jo manjar usne dexter ke andar dekha tha voh ek-ek pal aaj uski aankho ke samne mandla raha tha, use kuch bhi samaj me nahi aa raha tha ki voh iss waqt kese react kare

Tabhi use achanak se voh chiz dikh jaati hai, jise dekhkar uska pura sharir hil jaata hai, use itne jyada gussa aata hai ki voh chillakar kehta hai “naaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii”


Ab aage….

Yanha ke haalat dekhkar Manthan ka dimaag chakrane laga tha, kabhi voh is taraf dekhta toh kabhi uss taraf dekhta..lekin har baar use sirf aur sirf tabahi hi dikhayi de rahi thi
Aur iss tarah ke haalat ko dekhkar uske dimaag me bahut saari baate ghum rahi thi, kahi dimaag me kahi sawaal umad rahe the lekin uske pass kisi bhi sawal ka koi jawab nahi tha “mere toh kuch bhi samaj me nahi aa raha hai, aakhir yeh..yeh kese ho sakta hai” ekak use voh yaad aata hai jab usne Dexter ko chune ke waqt dekha tha “yaani uss din jo Dexter ne muje apna bhavishya dikhaya tha, voh sahi tha” fir voh apne haath me rahi watch ki aur dekhte hue kehta hai “kaash ke iss waqt mere pass Gideon hota, muje voh laptop vanha chodkar nahi aana chahiye tha”
Manthan ke pass Gideon ki chip jarur thi, lekin voh use istemaal nahi kar sakta tha, kyunki Gideon ka pura software Manthan (Earth-1) ke laptop me tha

Rajendra “ek min, tu yeh bhul raha hai” usne Gideon ki chip dete hue kaha

Manthan “nahi papa..yeh maine aapke liye hi rakhi thi”

Rajendra “thanks beta, par sach kahu toh yeh earth abhi Gideon ke liye taiyaar nahi hai, hum jese hai hi vese thik hai”


Manthan samaj jaata hai ki Rajendra ne aisa kyu kaha tha, isiliye voh bhi jyada behas nahi karta aur uss chip ko lekar apni watch me fit kar deta hai


Iss tarah ki tabahi dekhne ke baad uske mann me ek hi khayaal aata hai “muje kisi bhi haal me jald se jald CDC lab pahuchna hoga, sirf vahi ek jagah hai jaha se mai Gideon ko dubara access kar sakta hu” lekin jo nazaare uske samne the use dikhkar ek baar uska dil thoda sa dagmaga jaata hai fir voh apne charo aur dekhte hue kehta hai “iss haalat me mai CDC lab kese pahuchunga..?? aur agar CDC lab bhi ke bhi yeh halaat honge tab kya..??” fir voh apni aankhe band karte hue “mai toh yeh bhi nahi janta ki iss waqt me kanha par hu..?? yeh bhi toh ho sakta hai ki mai apne earth par naa aakar kisi aur hi earth par aagaya hu” sawaal toh kahi saare the, lekin kisi ek ka bhi jawab Manthan ke pass filhaal nahi tha

Uski aankho ke samne jo najaare the thik vese hi tasweer usne apne bhavishya ki dekhi thi “Jo kuch bhi dexter ne muje dikhaya tha voh aaj sahi saabit ho raha hai, Hamari prithvi ka ant ese hoga yeh muje Dexter ne bahut pehle hi dikhaya diya tha, par kyu..?? Dexter muje yeh kyu dikhana chahta tha, ya fir kuch aisa hai jo mere ke samaj ke bahar hai”

Ek pal ke liye uske maann me yah bhi vichar aata hai “kya muje yanha se vaapas jaana chahiye..??” kuch sochkar voh extrapolator ko press karne hi jaa raha tha ki achanak se uski najar ek roshni par padi

Uss roshni ki raftaar ko dekhkar Manthan ko yeh samajne me der nahi lagi ki voh kya chiz hai, Manthan ko gussa bhi aa raha tha aur uske dimaag me kahi saari baate ghum rahi thi, voh uss roshni ko dekhkar fauran uske aur jaane laga, tabhi uski najar thode dur par khade Sam par padi jo iss baat se bekhakar tha ki voh uss teji se aati hui roshni ke raste me khaada hai
Manthan daudte hue hi teji se chillata hai “nnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnoooooooooooooooooooooooooooooooooooooooo” aur usne Sam ko dhakka markar gira diya aur voh khud uss roshni ke bich me aagaya

Yeh vahi roshni thi jo kuch der pehle Sam aur baakiyo ke samne se gujari thi, Manthan apni pura taqat lagakar uss jeev ko rokne ki koshish kar raha tha jo uss roshni ke andar thi, Manthan ke iss tarah se uss jeev ko rokne ki vajah se vaha ekdum se charo aur tej roshni fail jaati hai, uss roshni ki tivrata itni jyada badh gayi thi ke vanha maujud har kisiko apni aankho ko band karna pada

Lekin shayad manthan ka uss jeev ko rok paana bahut hi jyada muskil tha, uss jeev ki taqaat itni jyada thi ki manthan ke pair ladkhadane lage aur voh apne ghutno ke bal aagaya, lekin fir bhi manthan haar mann ne ko taiyaar nahi tha
Par kehte haina ki insaan ke taqat ki ek had hoti hai, voh jeev apni taaqat se Manthan ko piche ghasine laga..dheere dheere karte hue uss jeev ki rafter badhne lagi thi..aur jeev manthan ko thik uss aur ghasit raha tha janha abhi bake le log maujud the

Manthan ab uss jeev ke aage kamjor padne laga tha, use ehsaas ho gaya tha ki ab voh jyada der uss jeev ko nahi rok paayega, voh vese hi bina piche dekhe chillata hai “get away, gooooo, mai ise jyada der tak nahi rok paunga, go noww” voh chillate hue sabko vaha se jaane ke liye kehta hai

Manthan ki awaaz sunkar Sam turant khud ko sambhal leta hai aur voh akshita ko pakad kar vaha se dur jaane laga, manthan ki awaaz sunkar pathik aur Aarav bhi yahi karte hai
Pathik muskil se uss roshni ke aage apni aankhe khuli rakh paa raha tha, iske bawjood bhi baar baar uss ladke ki aur dekh raha tha jo iss waqt uss roshni ki chapet me the, uss ladke ki awaaz sunkar Pathik ke mann me bas yahi chal raha tha “yeh..yeh awaaz, yeh manthan hi hai” ki yeh shaks aur koi nahi balki uska dost Manthan hai

Jese hi sablog thode dur ho gaye, manthan ne apne hathiyaar daal diye, uske aisa karte hi vaha par ek tej dhamaaka hua aur uske saath hi Manthan hawa me uchal kar gir pada aur voh jeev 1 second ke andar hi vanha se gayab ho gaya
Kuch der ke liye hi sahi par uss jagah ko dhamake ki roshni ne apni chapet me le liya tha, jab voh roshni dheere dheere kam hui toh Sam daudte hue uss shaks ke pass gaya jisne abhi uski jaan bachayi thi
Sam “thank you so much” kehte hue voh Manthan ko khada karta hai

Akshita, pathik aur Aarav tino hi yanha aajate hai, aur Manthan ko dekh Aarav ka gussa fut padta hai, aur vahi apne dost ko dekhkar Pathik ki khushi uske chehre par jalakne lagi

Sam “kaun ho toh tum..?? aur vo..vvohhh kya chiz thi..??”

Manthan “yakeen kar mere bhai, agar maine keh bhi diya tab bhi tu yakeen nahi kar paayega”


Pathik turant hi aakar Manthan ke gale lagta hai “bhai, tu zinda hai..?? muje laga tha ki…” voh iske aage kuch nahi keh paata

Manthan ne abhi tak Pathik aur Aarav ko nahi dekha tha, kyunki voh sab uske piche se aate hai, vahi Pathik ki yeh harkat dekhkar Sam aur akshita kuch samaj nahi paa rahe the, Pathik fir usse alag hote hue Sam ko kehta hai “yeh manthan hai, jiske baare me maine bataya tha”

Koi kuch kehta uske pehle aarav aakar gusse me ek mukka Manthan ke chehre par jad deta hai “kyu..?? kyu maara meri behan ko” aur voh manthan ka gala dabane laga

Aarav ko dekhkar Manthan samaj jaata hai ki usne aisa kyu kiya, voh bas haklate hue itna kehta hai “I am sorry, I am really sorry”

Aarav ke iss bartav ko dekhkar voh Manthan ko chudata hai, aur aarav ko samjate hue “aarav, shant hoja, please mere bhai yeh waqt aapass me ladne ka nahi hai, hume saath milkar yeh ladayi ladni hogi”

Aarav “mai ek khooni ke saath kabhi kaam nahi kar sakta”
kehte hue voh vanha se jaane lagta hai

Manthan usko rokne ki koshish karta hai, lekin Pathik ne Manthan ko rok diya aur use kahi saare sawaal karne laga “nahi bhai, iss waqt use jaane de, par tu bacha kese..?? aur tu..tu 1.5 saal se kaha tha..??”

Pathik ko vapas dekhkar Manthan bhi kaafi khush tha, lekin Pathik ki aakhri baat sunkar manthan puri tarah se hil jaata hai “kya kanha tune..?? 1.5 saal..??” fir voh apne mann me kehta hai “1.5 saal..yeh kese possible ho sakta hai, mai toh vanha par sirf 8 mahine hi ruka tha” filhaal voh iss baare me jyada nahi sochta, “yaani yeh meri hi earth hai, aur maine apni hi earth ki tabahi ko dekha tha, par kese..?? kya hua tha uss raat ko..??” fir voh pathik se sawaal karta hai “bhai, yeh sab ..yeh sab kese hua..?? kahi yeh sab hamare experiment ki vajah se toh nahi hua..??”

Pathik naa mein apna sar hilate hue kehta hai “nahi bhai, yeh CDC lab ke experiment ki vajah se nahi hua” voh thoda rukkar “hum par hamla hua hai, Aliens ka, yeh sab unhi ne kiya hai, bhai unhone sabkuch tabah kar diya, sirf gine chune log hi ab iss duniya me bache hue hai”

Manthan par yeh baat kisi bomb ki tarah lagti hai, voh apne charo aur dekhta toh kabhi Pathik ki aur dekhta, fir voh sam ki aur dekhte hue kehta hai “yeh dono kaun hai”

Sam “agar maine bata diya toh tuje yakeen nahi hoga”


Yeh sunkar manthan sam ki aur ajeeb najro se dekhne lagta hai, toh pathik use samjate hue kehta hai “haa bhai, yeh sach keh raha hai, hamare saath bahut kuch hua hai, jispar yakeen karna bahut hi muskil hai”

Manthan “try me, kyunki jin haalat se mai gujara hu, usse toh jyada namumkin aur kuch nahi ho sakta”

Pathik “bhai, base par chalkar tuje sab kuch bata denge, par tune mere sawaal ka jawaab nahi diya”

Manthan apne haath par jo chot lagi thi, uspar rumaal lagte hue kehta hai “yeh bahut hi lambi kahani hai bhai, baad me bataunga”

Fir voh sab chalte hue base ki aur jaane lagte hai, toh mayank kehta hai “aliens, yeh kab aaye yanha par..?? aur kya sach me muje yanha se gaye hue 1.5 saal ho gaya hai..??”

Sam “yeh bhi bahut lambi kahani hai”
jaahir hai sam ko manthan ka iss tarah se aana aur kuch naa batana use pasand nahi aaya tha, isiliye voh baar baar vahi baate dohraye jaa raha hai jo Manthan insa kehta hai

Manthan fir ek baar sam ki aur dekhta hai lekin kuch kehta nahi, Pathik sochte hue kehta hai “haa manthan, tuje yanha se gaye hue karib 16 mahine beet chuke hai”

Akshita “thanks, sam ko bachane ke liye”


Sam fir apna sawaal dohrate hue “par voh tha kya..?? uss roshni ke andar kuch toh tha”

Manthan haa mein apna sar hilaata hai “haa, voh ek aisa jeev hai jiske baare me jaanna humare insaani dimaag ke bahar hai”

Sam “kisi bhi chiz ki raftar itni tej nahi ho sakti, aur jo cheez itne teji se chal rahi hai use rokna ek aam insaan ke baas ka nahi hai”
voh manthan par shak jatate hue kehta hai

Manthan haste hue sam ki baat ka jawaab deta hai “ha sahi kaha bhai, par yakeen maan mai insaan hi hu, bas thoda sa alag hu isiliye shayad tuje yeh ajeeb lag raha hai”

Kuch der chalne ke baad yeh sab base par aajaate hai, Manthan vanha ke haalat dekh nahi paata, yanha ke halat toh itne jyada kharab honge voh sapne me bhi nahi soch paa raha tha, use bas ab sabkuch janna tha ki aakhir me yanha par hua kya tha
Pathik sabko side me aane ke liye kehta hai aur kuch der ke baad Siddhi vanha par aajati hai
Siddhi ke aate hi Manthan ki najar uss par jaati hai, Unn dono ki hi najre ek pal ke liye aapass me mil jati hai, par Manthan jyada der uski aankho me nahi dekh paaya aur apni najre Siddhi par se hata deta hai

Manthan ke jinda hone ki khabar Aarav ne use pehle hi de di thi, aur jab usne Manthan ko apni aankho ke samne dekha toh uski khushi ka thikana nahi tha, unn dono ke bich me jo kuch bhi hua tha uske baad bhi kahi na kahi Siddhi ke mann me aaj bhi Manthan ke liye feelings thi, shayad isi vajah se manthan ke iss tarah ka bartaav voh sehan nahi kar paati hai, use samaj me gaaya tha ki Manthan aaj bhi usse utni hi nafrat karta hai jitni pehle karta tha, aur iss baat ka usse bahut hi jyada dukh ho raha tha
Voh chalte hue Manthan ke pass aati hai, aur uska haath pakad te hue kehti hai “I am sorry” lekin manthan kuch nahi bolta “ab tak naaraz hai mujse..??”

Manthan naa mein apna sar hilaate hue kehta hai “kyu..?? kyu kiya tha tune aisa”

Manthan ki awaaz jab uske kaano me padi toh Siddhi khud ko sambhal nahi paayi, uski aankho se aansu nikal aate hai “I am sorry manthan..really sorry, par mai majboor thi, maine kabhi bhi nahi socha tha ki tu mujse pyaar karne lagega, muje laga tha ki hum sirf achche dost hai”

Manthan “yeh baat tu pehle bhi toh muje bata sakti thi”

Siddhi “I am sorry manthan, mai jaanti hu ki tune yeh baat muje kabhi nahi batayi thi, par kya karu..mai bas darr gayi thi, uss waqt muje aur kuch nahi suj raha tha, par tere jaane ke baad muje realise hua ki maine kitni badi galti kar di thi..I am really sorry, janti hu maine tuje bahut hurt kiya hai, par kya tu muje kabhi maaf kar paayega..??” usne ek sawaal manthan ke liye choda

Manthan “haa siddhi, maine tuje kabka maaf kar diya hai, shayad galti meri bhi thi, muje iss tarah se react nahi karna chahiye tha” aur voh apne haath se Siddhi ke chehre se aansuo ko hata deta hai

Uske baad Siddhi ek baar Manthan ke gale milti hai “I am very happy ki tu zinda hai”

Sam kehta hai “ab agar tumhara milan khatam hua hai toh kya hum kuch kaam ki baat kare..??”

Manthan “thik hai, mai sabkuch bataunga, par pehle muje yeh janna hai ki what the hell is going on here”


To be continued…
Vishesh update dost
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 19 (Earth-2)

Sam kehta hai “ab agar tumhara milan khatam hua hai toh kya hum kuch kaam ki baat kare..??”

Manthan “thik hai, mai sabkuch bataunga, par pehle muje yeh janna hai ki what the hell is going on here”

Ab aage…

Pathik kuch kehta uske pehle Manthan kehta hai “bhai, sabkuch janna hai muje, uss din se jab voh hadsa hua tha”

Pathik “thik hai bhai, uss din jab voh dhamaka hua, uss dhamake me karib 150 se jyada log maare gaye the, aur 300 se bhi jyada log ghaayal the, kisiko choti moti chaute aayi thi toh kisi ki haalat critical thi, jab uss dhamake ke baare me hume pata chala toh humne police se madad maangi”
voh thoda rukkar apni baat aage badhata hai “tere aur Paridhi ko dhundne ki unhone aur humne bhi bahut koshish ki, lekin voh bas...” voh aage nahi bol paa raha tha

Siddhi uski baat ko pura karti hai “manthan, sabne tum dono ko dhundne ki bahut koshish ki, lekin kuch nahi mil raha tha, yanha tak ki police ne har ek jagah chaan mari, par naa toh unhe tum mile aur naa hi tumhare sharir” yeh kehte hue Siddhi ki aankho me thodi si name aa jati hai ”lekin fir bhi unn logo ne haar nahi maani thi, voh apni aur se pura prayash kar chuki thi, uske baad unhone hume yeh bataya ki jaha par tum dono the, voh dhamaka bhi thik usi jagah par hua tha, toh ho sakta hai ki tumhare sharir naa rahe ho..kyunki voh dhamaka itna jyada powerful tha ki vaha kuch bhi nahi bacha tha, not a single thing”

Pathik “jab yeh baate hume batayi gayi toh hum samaj nahi paa rahe the ki kese react kare”

Siddhi “aur aarav..voh toh bichara tut hi gaya jab use yeh pata chala ki ab voh apni behen ko dubara fir kabhi nahi dekh paayega”

Pathik “hum sab jaante hai ki aarav apni behen se bahut pyaar karta hai, yeh kehna galat nahi hoga ki uski jaan Paridhi me basti thi, lekin uss hadse ne sab kuch badal diya tha”

Siddhi “aarav bahut roya hai, yeh hum dono hi jante hai ki use sambhalana kitna jyada muskil tha”

Pathik “haa manthan, tu jaanta voh tujse itni jyada nafrat kyu karta hai..??”
iss sawal ka jawab manthan kuch nahi deta “uski ek vajah yeh bhi hai ki voh apni behen ko aakhri baar bhi nahi dekh paaya tha” pathik ne khud hi apne sawaal ka jawab diya

Iss waqt sabhi log bina kuch bole Pathik aur Siddhi ki baat sunn rahe the, Pathik “dheere dheere din beet rahe the, hum uss hadse ko bhulne lage the, lekin aarav uss hadse se ubhar nahi paaya tha, use khud ko sambhalne me kaafi waqt chala gaya, dheere dheere hum sabhi ki life normal hone lagi thi..lekin”

Siddhi “lekin pichle mahine achanak se Zorians hamari prithvi par aaye, koi nahi jaanta tha ki voh kyu aur kaanha se aaye hai, bas achanak se voh hamare samne aaye aur sabkuch tabah karne lage”

Pathik “lekin voh akele nahi the, unhe saath koyi aur bhi aaya tha”


Sam samaj jaata hai ki Pathik kiski baat kar raha hai “dinosaurs”

Pathik naa mein apna sar hilate hue kehne laga “nahi sam, dinosaurs ke alawa bhi koyi aaya tha..aisa lag raha tha jese koi special type ke army hai, par voh kaafi ajeeb log the, I mean unn sab ke kapde, unke weapons aur unke ladne ki style..voh kaafi alag thi”


Akshita sawaliya bhari najro se pathik ki aur dekhte hue kehti hai “alag the matlab..??”

Siddhi “matlab yeh ki hamare pass uss tarah ki army ki koi details nahi thi, matlab kisi bhi country ke pass uss tarah ki army nahi thi, lekin fir bhi hum unka saath dene ko taiyaar the, kyunki hamare pass aur koi option nahi tha..sirf vahi ek army thi jo Zorians ka datkar muqabla kar rahi thi”

Pathik “haa, aaj tak yeh samaj me nahi aaya ki voh army kab aur kaha se aayi thi..lekin unke log Zorians ko kadi takkar de rahe the, yanha tak ki unhone kaafi Zorians ko maar bhi giraya tha lekin..”
voh bolte hue ruk jaata hai

Sam “lekin kya..??”

Pathik “kuch hi dino me unn logo ke marne ki khabar aane lagi, koi kuch samaj paata ki unn logo ke saath aisa kyu ho raha hai uske pehle hi voh puri army khatam ho chuki thi”

Manthan “achanak se puri army kese khatam ho sakti hai”

Pathik “bhai, yeh toh hume bhi nahi pata ki yeh kese hua”


Manthan jo abhi tak sab sunn raha tha, voh kuch yaad karte hue kehta hai “aur yeh dinosaurs ka kya lafda hai..??” usne akshita ki baat yaad dilate hue kaha

Siddhi “manthan, yaha jo ghatna ae ghat rahi hai voh kaafi ajeeb hai, sabse pehle maine dinosaurs ko dekha tha”

Akshita “pehle toh hume bhi yakeen nahi hua, hume laga ki ho sakta hai ki voh Zorians ki koyi nayi chal ho, but yanha aane ke baad hum sure ho gaye ki voh dinosaurs hi the”

Manthan “yeh kese ho sakta hai..?? I mean dinosaurs ko toh mare hue laakho saal beet chuke hai”


Sam iss waqt kuch nahi bol raha tha, uske maann me kuch chal raha tha, usi ko sochte hue usne pathik se sawal kiya “ek min, voh army..kya voh Zorians se pehle aayi thi yaa uske baad”

Pathik “mere khayal se voh dono karib karib ek saath hi aaye the”

Sam “kya tumhare pass unki koi tasweer hogi..??”

Akshita “sam, kya soch raha hai tu”


Lekin sam iss waqt akshita ke sawaal ka koi jawab nahi deta, aur voh pathik ke device me voh tasweer dekhne laga, jise dekhte hi Akshita bhi samaj jaati hai ki Sam ne yeh kyu pucha tha
Sam “pathik, voh hamari army thi..matlab voh sabhi log mere waqt se aaye the”

Akshita “iska matlab toh yeh hua ki hamare satellites sahi se kam kar rahe hai”

Sam “haa aksh, Bennet hamari army se contact isliye nahi kar paa raha tha kyunki voh kabhi vaha par the hi nahi”


Akshita gehri saans lete hue bolti hai “haa sam, isiliye hume unke heat-signatures nahi mil rahe the” fir voh kuch yaad karte hue “aur voh jo ek soldier jiske heat-signatures hume mile the..?? tab tune hi kaha tha ki hamari satellites thik se kaam nahi kar rahi”

Sam “haa, galat tha mai, ab muje samaj me aa raha hai ki hume apni amry ke heat-signatures kyu nahi mil rahe the” thoda rukkar kehta hai “aur voh soldier, muje lagta hai ki voh aanjaane me hi shayad yanha se vapas hamare waqt me aagaya hoga, bilkul vese hi jese mai kahi baar mere saath ho chukka hai”

Siddhi “iskya kya matlab ho sakta hai..??”

Akshita “mere toh kuch bhi samaj me nahi aa raha”

Sam “iska matlab toh sirf yahi hai ki kisine time ke saath bahut bada khilwaad kiya hai”


Manthan bhi yeh baato ko sunkar kaafi shocked ho gaya tha, lekin saath me uska dimaag bhi kaafi tej daudne lagta hai, voh har ek kadi ko aapas me jodne ki koshish kar raha tha, voh janta hai ki jab tak use puri baate nahi pata chalegi voh kuch nahi kar paayega “sam, tum dono aakhir hamare waqt me aaye kese..?? I don’t think ke tum dono yanha apna past change karne aaye ho”

Sam uski aur dekhte hue kehta hai “nahi manthan, mai aur akshita history badalne nahi aaye hai”

Manthan ke mann me jitney bhi sawaal the voh ek-ek karke sam se puchne laga “agar yeh jo Pathik aur siddhi ne kaha voh sach hai, toh I guess ki tum dono ne iss waqt me aane ke liye time machine ka istemaal nahi kiya, kyunki puri army time machine se toh nahi aa sakti..atleast ek se toh nahi”


Sam samaj jaata hai ki manthan kya janna chahta hai, isliye voh use sabkuch bata deta hai jo use aur akshita ko pata tha, Sam ki kahani sunne ke baad manthan “3146, amazing, teri baat sunne ke baad ek baat toh sure ho gayi hai, yeh Zorians, voh tere hi waqt se aaye hai, par kyu..??” fir voh kuch sochte hue pathik se bola “pathik, kya hum CDC lab jaa sakte hai..??”

Pathik “nahi bhai, CDC lab toh usi waqt khatam ho gaya tha, aur uss hadse ke baad Government ne uss jagah ko puri tarah se seal kar diya tha, ab vanha par kuch nahi bacha”


Yeh baat sunkar manthan thoda nirash ho jaata hai, Pathik yeh dekhkar usse puchne laga “bhai, par tuje CDC lab kyu jaana hai..??”

Manthan “muje Gideon ki madad chahiye thi, and I don’t think ki mai use yanha par bina kisi supporting device ke use activate kar saku”

Pathik “I am sorry manthan, lekin Zorians ke aane baad hamare ek bhi AI kaam nahi kar rahe, yanha tak ki hume ek dusre ko contact karne ke liye voh purana tarika hi apnana pad raha hai”


Sam jo inn logo ki baate sunn raha tha, unhe rokte hue usne manthan se apna purana sawal firse dohraya “kya hum yeh baate baad me kar sakte hai..?? muje janna hai ki voh kya tha jisse tune muje bachaya”

Manthan “haa jarur, yeh sab baate sunne ke baad shayad ab uske baare me batana utna ajeeb nahi hoga”
usne sam ki aur dekhte hue kaha “time-wraiths ke baare me kabhi suna hai..??”

Sam “haaa, voh ek ese jeev hote jo time-line ko protect karte hai”

Pathik “haa par voh toh sci-fic movies me hota hai”

Manthan “haa, hota toh usi me hai but…”
voh bolte hue ruk gaya

Akshita uski baat ko samajte hue kehti hai “you mean to say ki voh roshni..voh ek time-wraith tha..??”

Manthan haa mein apna sar hilata hai “yup, it is”

Pathik “manthan, yeh tu keh raha hai..?? tu pagal toh nahi ho gaya”


Sam kuch sochte hue “tu itna sure kese ho sakta hai ki voh time-wraith hi tha..??”

Manthan “kaaha tha na, agar maine tumhe bata bhi diya tab bhi tu believe nahi kar payega”


Pathik bhi kaafi shocked tha “bhai, believe kese hoga, tu uss jeev ke baare me baat kar raha hai jiske existence ka hamare pass koi proof nahi hai”

Sam “but how..??”

Pathik “par kese ho sakta hai, manthan, muje aisa kyu lag raha hai ki, kya hua tha tere saath”


Akshita sawaliya bhari najro se dekhte hue puchti hai “tu usse pehle bhi mil chukka hai, right..??”

Manthan iss baar halki si muskaan ke saath apna sar haa mein hilata hai, jise dekh Sam ekdum narmi se puchta hai “how..?? and who are you..??”

Manthan “I am just human, like you all, bas ek chota sa change hai”
fir voh pathik ki aur dekhte hue kehta hai “mai uss din mara nahi tha, infact mai kabhi mara hi nahi”

Yeh baat Pathik aur siddhi par kisi bomb ki tarah futi thi, voh dono hi asamaj bhari aankho se manthan ki aur dekhe jaa rahe the, Pathik haklate hue puchta hai “toh tu itne din kanha tha..??”

Manthan unn sabhi ki aur dekhte hue dheere se bola “main kaha tha” usne apna chehra niche ki aur juka liya “dusre Earth par, more preciously on EARTH-1”

Ab baari sabhi logo ke chaunkne ki thi, voh saare ek saath kehte hai “kyaa…??”

Akshita “yeh impossible hai”

Sam “maana ki hum dono future se hai, lekin hamare waqt me bhi multiverse ke baare me koyi pata nahi laga paaya”

Pathik “manthan, kese.?? Kya sach me tu dusre dimension me chala gaya tha..??”
Voh aur kuch nahi bol paata

Pathik ki aur dekhte hue “tuje kya lagta hai, uss dhamake se mai kese bacha hounga..??” manthan ne ek sawaal pathik se kiya

Pathik “kese..?? how..?? tu dusre earth par kese gaya..??”

Sam “tu time-wraith se kese mila..?? aur uski raftaar..kese tune use, I mean uska tujpar koi asar kyu nahi hua..??”

Manthan “kyunki mai ese pehle bhi kar chukka hu, jab mai Earth-1 par tha..tab mai usse lada tha, Dexter naam tha uska”

Sam “muje abhi bhi yakeen nahi ho raha..kese..?? tune dimension barrier kese cross kiya..??”


To be continued…
Jaandaar update bhai
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 20 (Kudrat ki Taaqat)

Manthan “kyunki mai ese pehle bhi kar chukka hu, jab mai Earth-1 par tha..tab mai usse lada tha, Dexter naam tha uska”

Sam “muje abhi bhi yakeen nahi ho raha..kese..?? tune dimension barrier kese cross kiya..??”

Ab aage…


Manthan “hamara experiment kaafi had tak kamiyaab ho gaya tha, almost 10 minutes tak saare system stable the, but shayad Dr. Avi ki calculations me kuch gadbad ho gayi thi..hum jaante the ki hamare experiment se kuch esi chize samne aayegi jise control karna hamare bas ke baahar hoga, lekin hum sab ne uske liye bhi taiyaariya kar rahi thi..but fir bhi hamare calculations galat hue aur tachyons unstable ho gaye” voh saans lete hue kehta hai “hum sab ne milkar bahut koshish ki ke hum vapas tachyons par apna control vapas hasil kar sake, lekin hum jo bhi command dete voh system accept nahi kar raha tha, yanha tak ke hamare system ne EMERGENY SHUTDOWN aur hamara FAILSAFE ka command bhi accept nahi kiya”

Pathik “fir..fir kya hua..??”

Manthan “hum kuch samaj paate uske pehle hi pipeline me ek dhamaka hua aur uski vajah se sare electrical equipments me short-circuit hua aur pure lab me aag lag gayi”
voh bolte hue ruk gaya

Manthan “aag lagne ki vajah se muje pari ki fikar ho rahi thi, toh bina kuch soche mai siddha cabin se bahar nikalkar Pari ki aur bhaga, lekin shayad bahut der ho chuki thi, Pari aag ke ghere me fas gayi thi..mai hi use Lab ke andar lekar aaya tha..yeh sochkar ki jab experiment pura hoga toh mai use surprise dunga, par uss aag ne sab kuch jalakar rakh kar diya tha” yeh bolte hue uska gala bhaari hone laga tha “mere samne Pari madad ke liye bheekh maang rahi thi..vanha aag itni jyada fail gayi thi ki koi bhi uski madad ke liye kuch bhi nahi kar paa raha tha..muje bas apni Pari ki fikar ho rahi thi..mai uski aur dekhte hue uss ramp par gaya jo vanha par tuta hua pada tha, ussi ramp ke sahare mai uss aag me bhagte hue pari ke pass pahucha..iss baat se anjaan ki hamari zindagi me kuch aisa hone vala hai jo insaan ki soch ko badal kar rakh dega”

Siddhi “aisa toh kya hua tha..??”

Manthan “mai bhaag raha tha, pari ke karib pahuch raha tha..hum dono hi ek dusre ko dekh rahe the..ki achanak se thik mere aage ek bahut hi bada dhamaaka hua aur dhamaake ne muje hawa me piche ki aur dhakel diya..mai kuch samaj paata uske pehle hi mai ek paid se jaa takraya aur fir behosh ho gaya..jab aankh khuli toh pata chala ki mai ek gaanv me hu”


Vaha maujud kisiko bhi kuch samaj nahi aa raha tha, Siddhi “aivay, matlab dhamaka hua aur tu dusre earth par chala gaya..?? kese..??”

Manthan “mai batata hu, jab mai dusre earth par tha, tab maine iss baare me study kiya ki mai vanha kese pahucha”

Pathik “ab tu kuch aisa kehne vala hai jisme hamare dimaag ki battiya ghul hone vali hai”


Manthan haste hue uski aur dekhta hai, “tachyons ki speed ko hume light ki speed par control karna tha aur uss speed par tachyons particles ka kya behaviour rehta hai use study karne ka tha, hum yeh jaante the ki jab tachyons ki speed hum light ki speed tak le aayenge toh pipe line me bahut jyada matra me heat generate hogi, toh uss heat ko counter kanre ke liye humne cooling systems install kiye hue the..lekin uss raat baha teji si bearish ho rahi thi aur saath me bijli kadak rahi thi, pata nahi kese par tachyons ke itni rafter ki vajah se voh bijli ko apne aur kheech rahi thi..shayad isliye aisa ho raha tha ki tachyon particles mese koi unknown energy bahar nikal rahi thi, ab hua yu ke jab bijli jameen se takrayi toh usne hamare primary cooling system ko tabah kar diya, aur uss vajah se pipline me temperature itna jyada badh gaya ki voh single particle jo pipeline me tha voh blast ho gaya aur CDC lab me pehla dhamaka hua, lekin usne baaki ke particles unstable ho gaye”

Sam “kese..?? I mean baaki ke particles kaha tha”

Manthan “voh underground bunker me store kiye hue the, jab particle pipeline me destroy hua, tab usme se nikal rahi unknown energy har jagah fail gayi thi..usi energy ne baaki rahe tachyons ko bhi unstable kar diya”

Akshita “yeh toh samaj me aagaya, lekin tera dusre earth par jaana, yeh abhi bhi koi nahi samaj paa raha”


Manthan ne ek aur baar firse bolna chalu kiya “jab mai pari ko bachane ke liye uske pass gaya, thik usi waqt jo tachyons unstable hue the, usme se ek tachyon underground se mere aur aaye, saath me bahar bijli bhi bhayank tarike se kadak rahi thi, and according to newtons third law, agar kisi bhi do chiz ko same speed aur same energy se ek dusre se takrayenge..toh ek force create hoga, jitni jyada energy..utna bada dhamaka, tachyons ki speed ko counteract sirf vaha maujud radio waves kar sakti thi..aur radio waves ka eklauta device mere jeb me tha...mera cell phone”

Sam aage ki baat ko pura karte hue bola ”cell phone ek particular frequency band par kaam karta hai, aur radio wave continuously satellite ke contact me rehti hai, aweomse”

Mayank saans lekar “exactly..basically radio waves ek type ki electromagnetic waves hi hai, jo light ki speed se travel kar sakti hai, but uske andar tachyons ke jitni energy nahi hoti, so lightning bolt yaani bijli ne radiowaves ke liye as a booster ka kaam kiya, so radio waves ki speed aur lightning bolt ki energy ka combination ne tachyons ko counter kar diya”

Pathik “yaani tachyons aur radiowave plus lightining bolt ke takrane se dhamaka hua aur uss dhamaka se vaha ek worm hole open ho gaya..??”

Manthan “haa, thik yahi hua”
ajeeb si shakal banate hue pathik ki aur dekhta hai

Pathik “kya..??”

Manthan “nothing”
use earth-1 vale pathik ki baat yaad aajati hai, kyunki thik yahi baat uss Pathik ne bhi kahi thi

Siddhi “manthan, yeh sab toh thik hai, par black hole me tu zinda kese raha..??”

Mayank “actually jis point par dhamaka hua, voh point khud mai tha, worm hole ke open hote hi mai uske andar khicha chala gaya, par mere saath tachyons ke particles bhi andar khiche aaye aur wormhole hole ke andar voh mere body ke saath fuse ho gaye”

Siddhi “wow, it’s amazing”

Pathik “seriously, tune sahi kaha tha, believe karna impossible hai”


Sam bhi utna hi shocked tha jitna Pathik aur Siddhi the, kyunki iss tarah ki baate unke samay me bhi hona impossible tha

Sam “hum dono ki hi kahani ek jesi hai..mera matlab ki kisi bhi kahani par believe karna..it’s almost like impossible”

“Dimension Travel aur Time-Travel, yeh dono ese shabd hai jise sunkar har insaan ke maann me bas ek hi khayaal aayega..IMPOSSIBLE”
manthan sam ki aur dekhte hue kehta hai “agar yeh koi aur waqt hota toh shayad yeh mai kabhi nahi manta ki tum dono future se aaye ho, lekin aaj haalat ese hai ki muje yeh bilkul bhi ajeeb nahi lag raha”

tabhi Pathik manthan se puchta hai “manthan, kya mai puch sakta hu..??”

Manthan “haa bhai, puchna”


Pathik atakte hue puchta hai “jo tere saath hua, voh…kya yeh ho sakta hai ki..I mean teri tarah” voh ruk ruk kar bol raha tha “PARI bhi jinda ho..??”

Manthan “mai nahi jaanta”
usne bahut hi ruansi awaaz me kaha, voh pata nahi kyu par sach nahi baata paa raha tha, yaa fir use sach batane ki himmat nahi ho rahi thi

Sam “fir kya hua..?? voh time-wraith ke baare me tuje kese pata chala..??”

Manthan “mai karib 8 mahine ke liye Earth-1 par ruka tha, pehle toh muje laga ki maine time-travel kiya hai, kyunki maine firse apne mom-dad se mila, pathik..pari…siddhi..kruti..aur khud se mila”
uske baad voh apni puri kahani sabko bata deta hai ki kese usne Dexter ke baare me jaana aur kese usne Dexter ko harakar Earth-1 ko bachaya, lekin jo aakhir me Dexter aur Pari ke saath hua usne iss baare me kisi se kuch bhi nahi kaha

Pathik “wow, vishwaas nahi ho raha, yaani ki mai..I mean ke universe me ek aur mai hu”

Siddhi “toh kya manthan, pari vanha par bhi teri girlfriend hai”


Manthan naa mein apna sar hilate hue kehta hai “nahi siddhi, vaha par manthan aur pari dost hai..vese toh unn dono ki apas me kabhi nahi bani thi..lekin pari ke saath hue hadse ne unn dono ke bich ki ladayi ko khatam kar diya tha”

Pathik thoda sochte hue puchta hai “toh fir vaha par teri gf kaun hai..?? I mean vaha vale manthan ki”

Manthan kuch bolta nahi hai, voh bas siddhi ki aur dekhta hai, toh voh dono hi samaj jaate hai ki manthan kya kehna chah raha hai

Pathik “bas ek aur sawal, agar tu vaha 8 mahine ruka tha, toh yanha par 1.5 saal ke baad kese aaya…??”

Manthan “muje nahi pata, and I don’t know ki mai yeh kese pata laga paunga”

Pathik “mere khayal se aajke liye itna kaafi hoga, hum kuch der aaram kar lena chahiye”

Akshita “haa..mere khayal se tu sahi keh raha hai”
kyunki voh aur sam bhi kaafi thake hue the

Uske baad Pathik, sam aur akshita ko lekar andar chala jaata hai, aur vahi manthan aur siddhi dono kuch der ke liye vahi par baith te hai
Kaafi der ho gayi lekin dono mese koi bhi kuch nahi bola, Manthan aankhe band kiye hue baitha tha aur siddhi pyaar se uski aur dekh rahi thi

Siddhi “manthan” voh bas itna hi bol paayi, manthan apni aankhe kholte hue uski aur dekhta hai

Manthan “haaa”

Siddhi “kya tu muje maaf kar paayega..??”

Manthan “siddhi, mai uss hadse ko bhul chukka hu, aur maine tuje maaf kar diya hai, so tu bhi bhul jaa”

Siddhi “thanks manthan, and I am sorry once again”


Manthan uski aur dekhte hue kehta hai “tune sahi kaha tha, tu itni bhi buri nahi hai jitni maine socha tha”

Siddhi apni aankhe chadte hue uski aur dekhti hai, jese puch rahi ho ki maine aisa kab kaha, ise dekh manthan hasne lagta hai “I mean, tune dusre earth me mujse kaha tha”

Siddhi “tune sach me vaha vali siddhi ko gaali di thi..?? itna jyada naaraz tha tu mujse..??”


Manthan haa mein apna sar hilata hai “haa, but anjane me, lekin tuje pata hai, usne meri bahut madad ki, pata hai usne mujse kya kaha”

Siddhi naa mein apna sar hilati hue dheere se puchti hai “kya kaha tha”

Manthan ko aaj bhi siddhi ke saath bitaye hue paal yaad the, voh pyaar se uski aur dekhte hue kehta hai “yahi ki manthu, mai itni bhi buri nahi hu jitna tu muje samaj raha hai, muje pura yakeen hai ki meri kuch majburi rahi hogi jiski vajah se maine tere saaath aisa kuch kiya”

Siddhi “kya mai uss manthan se..”
voh aage nahi bol paati hai

Manthan samaj jaata hai “haa siddhi, voh usse bahut jyada pyaar karti hai”

Siddhi yeh sunkar apna chehra niche juka deti hai, uski aankho se aansu ki bund nikal aayi thi, jise manthan dekh leta hai..toh voh siddhi ke chehre ko apni taraf karta hai aur uske aansuo ko hata deta hai

Siddhi yeh sahan nahi kar paati aur voh jor se manthan ke gale lagkar rone lagti hai, manthan bhi pyaar se use apne seene laga deta hai aur kuch der use ese hi rone deta hai

Siddhi rote hue “I am sorry manthan, I am really sorry”

Manthan pyaar se uske baalo ko sehlate hue kehta hai “sssshhhhh, jo hua voh bhul jaa, aur dosto ke bich sorry nahi hota”

Siddhi usse alag hote hue kehti hai “kya sach..?? kya hum dono sach me dost hai..??”

Manthan “haa siddhi, hum hamesa dost rahenge, vaada karta hu”


Yeh sunkar siddhi ekdum pyaari si smile deti hai, jise dekhkar manthan kuch der ke liye siddhe ki uss pyaari si aankho me dekhta rehta hai
Siddhi bhi apni najre manthan se milaye hui thi, kuch der ke liye vaha par ekdum se shanti ho jaati hai, siddhi dheere se kehti hai “manthan, kya mai tuje kuch puch sakti hu..??”

Manthan “haa puch na”

Siddhi “tu..vanha vali pari se bhi pyaar karta haina..??”


Manthan yeh sunkar firse udaas ho jaata hai, use samaj me nahi aa raha tha ki voh kese bataye ki uske dil me kya chal raha hai

Siddhi “mai tuje kya ek dost ke naate kuch keh sakti hu..??”

Manthan haa mein apna sar hilata hai, siddhi “manthan, muje lag raha hai ki tune jo pari ke saath kiya voh galat tha, voh bhi toh tuje utna hi pyaar karti hai jitna hamari pari tujse karti thi” voh manthan ke chehre ki aur dekhte hue hi kehti hai “maana ki tera uss earth par jaana ek hadsa tha, par kahi na kahi tu aur pari ek dusre se jud chuke ho”

Siddhi “shayad ise pyaar kahte hai, agar aap kisi se sacha pyaar karte hai..toh aapka pyaar hamesa aapke saath rahega, fir chahe tum dusre dimension me hi kyu naa chale jao” voh rukte hue kehti hai “do insaan..jo kabhi ek dusre se mile kabhi mile hi nahi the, fir bhi voh dono hi ek dusre se itne jyada jud gaye hai ki unhe ab koi alag nahi kar sakta”

Manthan “nahi siddhi, mai shayad uske layak nahi hu, tune dekha nahi ki meri vajah se hamari pari maari gayi, meri vajah se uss pari ne apne family ko kho diya”

Siddhi “manthan, yeh sab teri vajah se nahi hua hai, bas yeh jo kudrat haina, voh bahut kamaal ki chiz hai, jab voh kuch humse chin leti hai toh vahi kudrat hume ais tohfa de jaati hai jiski hum kalpana bhi nahi kar sakte”

Manthan “mai kuch samja nahi”

Siddhi “tuje kya lagta hai, duniya me ese kitne log hoge jiska pyaar marr ke bhi laut aata hai..?? tune ek baar bhi yeh socha ki uss pari par iss waqt kya beet rahi hogi..?? voh toh bas ek sapno ke sahare hi tuje apna dil de baithi thi, lekin fir bhi uska pyaar utna hi sachcha tha jitna ki teri pari tujse karti thi”
voh manthan ke chehre ko apni aur karte hue kehti hai “manthan, mana ki tere saath jo hua voh bahut hi bura tha, par tuje ek aur baar kudrat ne mauka diya hai, usne tuje apne pyaar ko vapas lautaya hai, please ise aisa hi jaaya naa kar, tere iss kadam se ek nahi balki do-do zindagiya tabah ho jayegi”

Manthan ko shayad apni galti ka ehsaas ho raha tha ki usne jo pari ke saath kiya voh kitna galat tha, uski aankho se aansu nikal aate hai, siddhi “kya aisa koi tarika nahi hai jisse tu uske pass vapas jaa sake..??”

Manthan “haa siddhi, ek tarika hai, mai vaada karta hu ki pari ko uske hisse ka pyaar jarur milega, usne jo kuch bhi gawaya hai mai use voh sab vapas dunga”

Siddhi “kese..?? uske mom dad toh mar chuke hai”

Manthan “nahi siddhi, uske mom dad jinda hai, uska bhai jinda hai..mai pari ko yanha par lekar aunga..i promise mai hamari pari ko vapas jarur lekar aaunga”
uske aankho me ek chamak thi

To be continued..
Kadak update dost
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 21 (Naye Sawal)

Manthan “haa siddhi, ek tarika hai, mai vaada karta hu ki pari ko uske hisse ka pyaar jarur milega, usne jo kuch bhi gawaya hai mai use voh sab vapas dunga”

Siddhi “kese..?? uske mom dad toh mar chuke hai”

Manthan “nahi siddhi, uske mom dad jinda hai, uska bhai jinda hai..mai pari ko yanha par lekar aaunga..i promise mai hamari pari ko vapas jarur lekar aaunga” uske aankho me ek chamak thi

Ab aage….


Siddhi yeh dekhkar khush thi, aur manthan ke chehre par ek alag hi chamak dikhayi de rahi thi “ek baat kahu manthan..??”

Manthan haa mein apna sar hilata hai, Siddhi “tu chala jaa yanha se, hamari duniya me ab kuch nahi bacha hai, par tere pass mauka hai..ek achchi zindagi jeene ka, tu kyu use barbaad karna chahta hai”

Manthan uski aur dekhte hue kehta hai “mai kuch samja nahi”

Siddhi “Manthan, tuje kya lagta hai ki hum yeh ladayi kabhi jeet payenge..?? haalat badd se badtar hote jaa rahe hai”
voh uski aur hi dekh rahi thi “manthan, tune already bahut kuch kho diya hai..ab jab tuje dubara mauka mil raha hai..kudrat khud tuje khush rahne ka mauka de rahi hai, fir tu aisa kyu kar raha hai..??”

Manthan halki si muskaan ke saath bola “haa sahi kaha, par siddhi..hum apne farz se aise bhaag toh nahi sakte na..?? duniya me itne saare log hai, lekin sirf mai hi kyu..?? kyu muje voh taqaat mili jo aur kisi ko nahi mili..?? mai apne ghar ko ese chodkar nahi jaa sakta..atleast iss haal me toh nahi”

Siddhi “mai yeh nahi keh rahi manthan, mera yeh matlab nahi tha”

Manthan “haa main janta hu, mai toh bas itna keh raha hu ki yeh Earth mera planet hai..mera ghar hai, aur chahe kuch bhi ho jaaye mai apne ghar ko kisi bhi keemat me bachakar hi rahunga”

Siddhi “tu kya karne vala hai..??”

Manthan “yeh toh maine abhi tak kuch socha nahi hai, pichle baar dexter ne hi muje rasta dikhaya tha, toh muje yakeen hai ki iss baar bhi voh meri madad jarur karega”

Siddhi “kese..?? tune khud bataya ki tune hamare planet ko khatam hote hue dekha tha”


Manthan upar asmaan ki aur dekhte hue kehta hai “haa, shayad..par voh galat bhi toh ho sakta hai, maine uss waqt yeh socha tha ki voh Earth-1 ka ant hai, par asal me humne use rok diya tha, ho sakta hai ki jo maine dekha voh iss earth ka naa hokar kisi aur earth ka ho, ho sakta hai ki shayad voh isi earth ka ho..par lade bina mai kabhi haar nahi mann ne vala”

Siddhi yeh baat janti thi ki manthan nahi manega “lekin manthan, uss waqt teri ladayi ek time-wraith se thi..jo luckily tu jeet bhi gaya, lekin iss baar dinosaurs..zorions, yeh kese hoga” uski awaaz me pareshani saad dikhayi de rahi thi

Manthan “pata nahi, lekin hoga jarur..hume karna hi hoga” fir voh dono kuch nahi bolte

Dusre din subah ko sabhi log fresh ho gaye the, aur sab ek saath milkar plan bana rahe the ke akhir ab aage karna kya hai
Aaj aarav bhi vanha par maujud tha, Manthan use dekhte hue kehta hai “aarav, mai jaanta hu ki maine jo kiya hai uske baad tu muje kabhi maaf nahi karega, par kya hum yeh ladayi milkar nahi lad sakte..??”

Aarav vese hi ukhde hue bolta hai “muje khooniyo ke saath kaam karne me koi dilchaspi nahi hai”

Siddhi “common aarav, tu sab jante hue bhi yeh keh raha hai..?? voh ek hadsa tha aarav, uski saja manthan bhi bhugat raha hai”

Pathik “haa mere bhai, aur yeh waqt apsi ladayi kaa nahi hai”


Aarav vese hi gusse me manthan ki aur dekhte hue kehta hai “thik hai, lekin yeh mat samajna ki hamare bich sab sahi hai, nafrat karta hu mai tujse”

Manthan haste hue kehta hai “thik hai mere bhai”

Sam “so ab karna kya hai..??”

Pathik “itna sure ho gaya ki yeh jo Zorians yanha future se hi aaye hai, aru voh nishan..voh ajeeb sa jeev, uske baare me bhi hum jaan gaye hai ki voh time-wraith hai”

Aarav “agar manthan ne uss time-wraith ko khatam kar diya that oh voh yanha par kya kar raha hai..?? aur dinosaurs..unka hamare waqt me aane ka kya matlab ho sakta hai”

Siddhi “yeh baat bhi ajeeb haina, dinosaurs yanha aate jarur hai..par Zorians ke jese yanha nahi rukte..voh aate hi turant gayab ho jaate hai”

Manthan “shayad jese yeh Sam kahi baar yanha aaya hai..lekin galti se, ho sakta hai ki dinosaurs ke saath bhi aisa hi kuch ho raha hai”

Akshita “mai siddhi ki baat se agree karti hu, yeh baat toh ajeeb hai”


Manthan kuch sochte hue kehta hai “kya hum uss time-portals ke pass jaa sakte hai..??”

Sam “haa jaa sakte hai, janha se hum aaye the uss location ka data mere pass hai”

Manthan “thik hai, toh hum vahi par jayenge”

Pathik “tuje GIDEON ka kya kaam tha..??”

Sam “Gideon..?? voh kaun hai..??”

Manthan “voh mera AI hai, but bina kisi support system ke mai uska access nahi kar sakta”


Sam kuch sochte hue kehta hai “agar usse madad mil sakti hai toh shayad iss mamle me main teri madad kar sakta hu”

Manthan “kese..??”

Sam “hum dono ke pass watch hai”
ne akshita ki aur ishara karte hue kaha “toh tu apna AI akshita ki watch me use kar sakta hai aur mere pass bhi mere khudka AI hai, toh dono milkar kaam karenge toh hamare liye kaam asaan ho jayega”

Manthan yeh baat ke liye agree toh ho jaata hai, “par kya yeh watch Gideon ke data ko access kar payegi..?? I mean kya yeh watch iske capable hai..??”

Sam haste hue bola “future technology”

Manthan iske aage kuch nahi bola, akshita apni watch manthan ko de deti hai, aur manthan uss watch me Gideon ki chip ko insert karke uss watch ko chalu karte hi Gideon ka ek projection watch se sabke samne aagaya
Yeh dekhkar Manthan sam ki aur dekhkar use isharo me shukhriya kehta hai aur fir usne Gideon se kaha “welcome back GIDEON”

Gideon “thank you sir, sir yeh…yeh konsi earth hai..?? last time se kuch alag feel ho raha hai”

Manthan “relax Gideon, we are back to our home, aur tum future technology se jude ho, preciously from year 3146”

Gideon “amazing sir”

Manthan “filhaal muje teri madad chahiye, so start using master control”

Gideon “invalid entry, command not accepted”

Manthan “UNLOCK MASTER CONTROL, CODE 0000, ID NO. ML2005”

Gideon “Password Accepted, Master Control Activated”

Manthan “now listen carefully, pichli baar Dexter ke liye jitney bh algorithms par tumne kaam kiya tha, jo data Ajit se mila tha..uski madad lekar tumhe yeh pata lagana hai ki Dexter vapas kese aaya..?? dusri chiz..akhir yeh hamare planet ke saath ho kya raha hai..?? yeh tumhara primary task hoga”

Gideon “command accepted, sir iss kaam ke liye muje waqt chahiye hoga, shayad muje hamare satellites se connect karne me waqt lag jaaye”

Manthan “thik hai Gideon”


Sam kuch sochte hue “manthan, mere hisab se GODFREY ko bhi Gideon ki madad karne chahiye”

Manthan sawaliya bhari najro se dekh raha tha, sam “voh mera AI hai, hamare pass bhi kaafi data available hai jiski madad hum kar sakte hai”

Manthan “thik hai sam, yeh sahi rahega”

Sam bhi apni watch on karke GODFREY se baat karne laga “GoDFREY, akshita ki watch se connect ho jao, aur GIDEON se sync karke tumhe bhi vahi kaam karna hai, saath me Bennet ke diye hue data se yeh pata lagao ki iss waqt me kitne Time-Portals hai aur voh kanha kanha hai”
command milte hi dono AI ek saath milkar kaam karna shuru kar dete hai

Pathik apni pareshani sabko batata hai “great, yeh sab toh thik hai..but ek choti si problem hai”

Aarav “kesi problem..??”

Pathik “din ke samay me bahar jaana khatre se khaali nahi hai, agar Zorians ko jara si bhanak bhi lag gayi toh jo bacha hai voh sab khatam ho jayega”

Sam “toh kya hume raat hone ka intezaar karna hoga..??”

Aarav “haa, yahi ek option hai”

Manthan “utna waqt hamare pass nahi hai, ek saath 3 ladayi ya hume ladni hai”

Pathik “par hum kuch kar bhi toh nahi sakte”

Manthan “dammid”
voh jor se pass me rahe pathar par pair marte hue bola

Sam “bhai shant hoja, jitna gussa tuje aa raha hai, mai samaj sakta hu teri haalat”
Iske baad jyada koi kuch nahi bola, voh sab vahi par baithkar raat hone ka intezaar karne lagte hai, aur vahi dusre aur Gideon aur Godfrey dono hi milkar alag alag algorithms par abhi bhi kaam kar rahe the

Vahi yeh log apass me baithkar idhar udhar ki baate kar rahe the, sablog ke chehre par kuch der ke liye hi sahi..par sabhi ke chehre par ek khushi dikh rahi thi
Aur ese haalat me shayad yeh sab ke liye jaruri bhi tha, yanha ke haalat itne jyada kharab ho jayenge uski kalpana tak kisi ne nahi ki
Achanak se Pathik ko kuch yaad aata hai toh bola “manthan, tune abhi bhi yeh nahi bataya ki tu 1.5 saal tak kaha tha”

Manthan “sach kahu toh iss baat se mai khud bhi heran hu, filhaal mere pass iss sawal ka jawab nahi hai..aur nahi yeh baat iss waqt utni jyada mayne rakhti hai”


Raat ke karib 10:30 baj rahe the, Sam kehta hai “kya ab jaana safe hoga..??”

Pathik “haaa, ab jaa sakte hai..lekin sab ka ek saath vanha jaana muje abhi bhi sahi nahi lag raha”

Manthan “ek kaam karte hai, mai aur sam jaakar aate hai”

Akshita “mai saath chalungi”

Siddhi “aur mai bhi”

Manthan “nahi, vaha sabka jaana safe nahi hoga, and relax hum time-portals ka use nahi karenge, shayad hamare AI’s ko kuch aisa mil jaaye jo hume nahi dikh raha ho, mai bas isiliye jaana chahta hu”

Sam “haa, aksh, manthan sahi keh raha hai, hum dono jaakar aate hai”


Iss baat par sabhi log agree ho jaate hai, aur kuch der me hi voh dono uss jagah pahuch gaye janha se Sam aur akshita aaye the
Lekin vaha par aisa kuch tha hi nahi, ek aam jagah thi jaha sab tabah ho gaya tha

Manthan “well, yanha toh kuch bhi nahi hai”

Sam “GODFREY, scan the area”
manthan usko ajeeb se najro se dekhne laga

Sam kuch sochte hue kehta hai “manthan, agar tu bura naa maane toh kya mai tujse kuch puch sakta hu”

Manthan “haa bilkul, kya soch raha hai tu”

Sam “tune apni kahani me yeh bataya, jab tu dexter se juda tha uss waqt tuje apni zindagi ke alag alag pehlu dekhe”
iss par manthan haa mein apna sar hilata hai “aur agar tune jisse muje bachaya, agar voh bhi ek time-wraith hai toh iss baar tune kya dekha..?? aur please, sach batana”

Manthan ko issi baat ka darr tha, jo sam ne kaha voh baat uske dimag me bahut pehle hi aa chuki thi “yeh baat mere dimaag me pehle se hi chal rahi hai, sach toh yeh hai ki maine kuch dekha hi nahi”

Sam chaunkte hue puchta hai “kuch bhi nahi…??”

Manthan “not a thing, aur yeh time-wraith, voh kaafi alag tha”

Sam “kese..??”

Manthan “I don’t know, mai jo soch raha hu voh shi hai ya galat, pichli baar jab bhi mai dexter ke kareeb jaata voh muje apne se dur faink deta tha, lekin iss baar aisa kuch bhi nahi hua”


Sam ke liye toh yeh sab kuch naya tha, isliye voh jyada kuch nahi samaj paa raha tha, lekin vahi manthan ko yeh baate aur bhi jyada pareshan kar rahi thi ki aakhir aisa kyu ho raha hai

To be continued….
Behtreen update dost
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Update : 22 (Khoon)

Sam chaunkte hue puchta hai “kuch bhi nahi…??”

Manthan “not a thing, aur yeh time-wraith, voh kaafi alag tha”

Sam “kese..??”

Manthan “I don’t know, mai jo soch raha hu voh shi hai ya galat, pichli baar jab bhi mai dexter ke kareeb jaata voh muje apne se dur faink deta tha, lekin iss baar aisa kuch bhi nahi hua”

Sam ke liye toh yeh sab kuch naya tha, isliye voh jyada kuch nahi samaj paa raha tha, lekin vahi manthan ko yeh baate aur bhi jyada pareshan kar rahi thi ki aakhir aisa kyu ho raha hai

Ab aage…


Sam ne iss baare me jyada naa sochte hue usne apni watch ki screen par kahi baar press kiya aur apne AI ko command dete hue bola “GODFREY, start the scan”

GODFREY “Scanning……..”


Sam ne AI ko task toh de diya tha..lekin saath me uske dimaag me iss waqt kaafi saari baate ghum rahi thi, lekin baar baar uski sui hamesa manthan ki aur aake atak jaati, aisa nahi tha ki jo manthan ne use bataya uspar use viswaash nahi hai, par fir bhi kahi na kahi uske dil me ek sawaal jarur aata

Manthan bhi yeh dekh raha tha ki Sam kaafi pareshan hai, “sam, mai dekh raha hu ki tune jabse meri aapbiti suni hai..tu uss baat ko lekar kaafi pareshan hai, akhir baat kya hai..??”

Sam “dekh bhai, muje galat naa samajna..aisa nahi hai ki muje teri baat par yakeen nahi hai, yaa fir aisa hai ki jo kuch bhi tere saath hua voh juth hai..par”

Manthan “par kya..??”

Sam “mere dimaag me baar baar yahi sawaal aa raha hai jo pathik tujse puch raha tha”


Manthan samaj jaata hai ki sam konsi baat ko lekar pareshan hai “yahi na ki maine 8 mahine bataye par usne 1.5 saal kyu kaha”

Sam “haa bhai, yahi baat hai”

Manthan “iss sawal ka jawab filhaal mere pass nahi hai, mai sach me nahi janta ki aisa kyu hua”

Sam “dekh bhai, agar tu yah nahi bataega toh shaq ki sui teri taraf hi jaayegi, kyunki tu uss waqt aaya hai jab duniya ke kahi saare niyam juthe saabit ho rahe hai..infact har ek baat galat saabit ho rahi ha jo insaan janta hai ya janta tha”

Manthan “mai samaj raha hu bhai, but I really don’t know”


“sir dexter is here”
Gideon ki awaaz unn dono ke kaano me sunayi de gayi

Voh dono kuch samaj paate uske pehle hi piche se ek roshni aayi aur thik unn do samne se hote unke bich se nikal gayi tez raftar se nikal gayi
Yeh itni jaldi me hua ki unn dono ke liye khud ko bachane ka waqt nahi tha, uski raftar ke karal Sam aur Manthan dono hi hawa me piche ki aur ichal kar gir pade
Sam khud ko sambhalte hue khada hua aur voh uss time-wraith ko dhundne laga, lekin use voh kahi par bhi najar nahi aa raha tha

Girne ki vajah se sam ko chot nahi aayi thi, lekin manthan ke liye aisa nahi tha..halki sic hot uske sar par lagi thi..fir bhi voh khud ko sambhalte hue khada hota hai “ahhhhhh” lekin uske muh se dard ki ek aah nahi nikal jaati hai

Manthan ki awaaz sunkar Sam turant uske pass jaata aur usko shara dete hue bola “tu thik toh hai..??”

Manthan apne sar par haath rakhte hue kehta hai “haa bhai…shayad”

Sam “yaar, isko rokenge kese..??”


Achanak hi Manthan ke sar me dard kaafi jyada badh gaya aur voh joro se chillane laga, uske sar me dard itna bhayank ho raha tha ki jiski badolaut uski aankho se aansu tak nikal aaye
Manthan ki yeh haalat dekhkar sam samaj nahi paa raha tha ki manthan ese react kyu kar raha hai..Sam ne usko pakad jarur rakha tha lekin fir bhi manthan khud ko sambhal nahi paaya aur voh vahi behosh hokar gir pada

Kuch der baad
“Dammit”
yeh kehte hue sam idhar se udhar ghum raha tha

Manthan ko hosh toh aagaya tha lekin Halki halki tasweer manthan ke aankho me thodi dhundli si dikhayi de rahi thi, use iss waqt bhi bahut hi joro se apne sar me dard ho raha tha
Voh badi muskil se khada hota hai aur sam se sawaal karta hai “kya hua..??” usne halkate hue pucha

Sam awaaz sunkar turant hi manthan ke pass aaya aur use sahara dete hue pucha “bhai tuje hua kya tha..?? yeh uss time-wraith ke aane par girne ke wajah se toh nahi ho sakta”

Manthan vese hi haklate hue kehta hai “k..kyyaa huaaa thaa”

Sam “pata nahi, tu apna sar pakadkar joro se chillane laga aur fir teri naak se khoon behne laga”


Manthan ko yeh sunna tha ki uski aankhe puri tarah se khul gayi “kya kaha..?? khoon” usne apne chehre par haath firate hue kaha

Sam “haa bhai, uske baad tu turant hi behosh ho gaya”

Sam ki baat sunkar Manthan samaj jaata hai ki uske saath kya hua tha “sssshhhiiiiiittttttt”

Sam “kya hua bhai..??”


Manthan ko abhi bhi halka sa sardard kar raha tha, lekin voh khudse khade rehne ke laayak ho gaya tha “tu kar kya raha tha..??”

Sam “kuch nahi, achanak GODFREY ka software band ho gaya”


Manthan fir apni watch dekhta hai, usme bhi same yahi tha..voh watch ka access nahi kar paaya..uske mann me jo sawal tha uska jawab use mil chukka tha, voh samaj gaya ki aisa kyu ho raha hai “muje earth-1 par vapas jaana hoga”

Sam chaunkte hue kehta hai “kyaa..?? par kyu..??”

Manthan apni watch ko dikhate hue kehta hai “yeh isiliye kaam nahi kar raha kyunki mai yanha par hu”

Sam “matlab..??”
voh ajeeb si najro se dekhte hue kehta hai

Manthan “itni badi galti mai kese kar sakta hu..??”

Aarav “kya chupa raha hai tu..??”


Aarav ki awaaz sunkar voh dono hi uss aur dekhte hai, unhone dekha ki Aarav aur Akshita vanha pahuche hai
Manthan “maine mana kiya tha yanha aane ke liye”

Akshita “haa manthan, lekin tumhe yanha aaye hue 1 ghante se jyada ho gaya tha, aur upar se hummese koi bhi tumhara contact nahi kar paaye, hume fikar ho rahi thi tum dono ki..isliye hum yanha par chale aaye”

Sam “I am sorry, actually voh time-wraith firse aaya tha, aur uske baad manthan behos ho gaya tha”

Akshita “kya..?? tu thik toh haina”
usne sam ke pass jaate hue pucha

Sam “relax aksh, hum dono bilkul thik hai”

Aarav “ispar muje bharosa nahi hai”
usne manthan ki aur dekhte hue kaha “par tune hume contact karne ki koshish kyu nahi ki”

Sam “mai tabse contact karne ki hi koshish kar raha hu, but hum dono mese kisi ki bhi watch respond nahi kar rahi”

Akshita “aise kese ho sakta hai..?? hamare waqt me toh aisa kabhi nahi hua.?? Kahi yeh hamare time-travel karne ke vajah se toh nahi ho raha..??”

Sam “pata nahi..shayad”


Vahi manthan ko firse apne sar me dard shuru ho gaya tha, voh kehna toh bahut kuch chah raha tha lekin uska sharir uska saath nahi de raha tha, uski aankhe ek dum se laal ho gayi aur aansu the ke rukne ka naam nahi le rahe the
Akshita ki najar manthan par padte hi uska dil behal jaata hai, iss waqt manthan dono haath ko joro se apne sar par dabaye hue tha aur uski aankhe lagatar aansu banha rahi thi, sirf itna hi nahi naak se khoon dubara behne laga tha

Akshita “iiss..issseee kk..kkyyaa….kyaaaa ho raha hai”

Akshita ke kehte hi aarav aur sam dono ki najar manthan par gayi, Manthan ka haal bhi dil dehla dene vale the, uske sar par rahi sari nashe bahar ki aur ubhar aayi thi, aisa lag raha tha maano sharir ke andar raha khoon usi nash me beh raha hai
Uss nasho ko dekhkar inn tino ko yahi lagne laga tha maano abhi uske sar ki saare nashe fat jayegi aur khoon funvare ki tarah fut kar nikal padega
Manthan bhi iss waqt uss dard se ladne ki laakh koshishe kar raha hai..par dard kam hone ke vajah har ek second badhe hi jaa raha tha
Manthan ki haalat dekhkar toh aarav ka bhi ek waqt ke liye dil pighal jaata hai “quick, we need to take him back”

Aarav ka itna kehna tha ki achanak se manthan ke naak se fuvaare ki tarah khoon fut pada aur voh ek teezz cheekh ke saath firse behosh ho kar gir pada

Akshita “yeh behosh hai” usne manthan ki nabhz dekhte hue kaha

Aarav “sam, hume turant base par jaana hoga”

Sam aur aarav milkar manthan ko uthate hai aur use base tak vapas le aate hai
Manthan ki yeh haalat dekhkar Siddhi aur Pathik bhi dono darr jaate hai, Siddhi daudte hue unke pass aati hai aur kehti hai “kya hua ise..?? jaldi se ise leta do”

Tabtak aarav ke mom-dad aur pathik ke papa vanha par aate hai, manthan ko dekhkar unhe yakeen nahi ho raha tha ki koi insaan markar bhi vaapas aasakta hai
Aarav’s Mom “yeh..manthan jinda kese hai..??”

Siddhi “please aunty, voh sab mai baad me bata dungi”
fir voh pathik ke papa se kehti hai “please uncle..aap iss waqt hamari madad kijiye” yeh bolte waqt uska gala bhaari ho chukka tha

Pathik ke papa, yaani Dr. Naresh…voh jaldi se manthan ko check karte hue use treatment dete hai
Manthan ki yeh haalat dekhkar Siddhi ki aankho me halke se aansu aa gaye the..uska dil bhi bahut joro se dhadakne laga tha, voh Naresh se puchti hai “uncle, yeh thik toh ho jayega na..??” uska gala abhi bhi bhari ho rakha tha

Naresh “haa thik toh ho jayega, par ise hua kya tha..??”

Sam “pata nahi, aisa lag raha tha ki maano achanak se uske sar me bahut bhayankar dard ho raha ho, mai kuch samaj paata uske phele hi iske naak se khoon behne laga aur turant hi yeh behosh ho gaya”

Aarav “aisa 2 baar hua hai, aisa lag raha tha jese abhi iska sar fat jayega, matlab iske sar ki naashe uss kadar ful gayi thi”

Naresh “strange..aisa toh maine aajse pehle kabhi nahi dekha”

Siddhi “kya yeh migrane ki vajah se ho sakta hai”

Naresh “nahi, muje bhi kuch samaj me nahi aa raha, filhaal abhi yeh safe hai, ise kuch der aaram karne de”

Aarav’s Mom “yeh manthan hi haina..??”

Siddhi “haa aunty”
fir voh unhe sab bata deti hai job hi manthan ne use bataya tha

Aarav’s Mom “kya..?? itni choti si umar me itna sab, bichara” voh pyaar se manthan ke sar par haath firate hue kehti hai

Aarav ko yeh dekhkar firse gussa aajata hai “mom, yeh koi bichara vichara nahi hai, yeh ek kaatil se jyada kuch nahi hai…aur aap yeh kese bhul gayi ki isine aapki beti ka khoon kiya hai..isi ki vajah se aaj Pari hamare saath nahi hai”

Aarav’s Mom “aarav, shant hoja, please beta”
lekin aarav kuch nahi sunta aur vanha se chala jaata hai

Siddhi yeh dekhkar puchti hai “aunty, kya aapko bhi lagta hai ki…” voh aage nahi bol paati

Aarav’s Mom “nahi beta, maana ki Pari ki maut ke waqt yeh uske saath tha, par mai yeh baat bhi ache se jaanti hu Manthan Pari se apni jaan se bhi jyada pyaar karta hai..uss waqt haalat ese rahe honge jiski saja hum sab ko mili hai” aur fir voh siddhi ke sar par haath firate hue apne pati ke saath vanha se chali jaati hai


Aarav ki mummy apne husband ki aur dekhte hue kehti hai “aapne suna..?? hamari beti jinda hai..toh kya hua ki voh koi alag duniya me hai..par voh jinda toh hai” voh dono hi iss baat se kaafi khush the

Aarav ke mummy papa ke jaate hi Siddhi turant manthan ke pass hi uska haath pakadte hue baith jaati hai, voh ektak bina apni palke japkaye hue Manthan ke chehre ko dekh rahi thi
Chot manthan ko lagi thi..lekin pata nahi kyu par Siddhi ko uss dard ka eshas ho raha tha..voh chahkar bhi apne aap ko rone se nahi rok paayi
Uski aankhe bhi unn aansuo ke bhaar ko nahi utha paayi aur aansuo ki kuch bunde uske aankho se behkar uske chehre par aagayi
Siddhi ko apne pyaar ka usi din ehsas ho gaya tha jab use Manthan ke maut ke baare me pata chala, uski khabar sunte hu voh tut si gayi thi..par yeh baat kabhi bhi usne jahir nahi hone di..lekin aaj manthan ko iss haalat me dekhkar voh khud ko rok nahi paati hai..voh ektak manthan ke chehre ko dekh rahi thi..aur pyaar se uske sar par apna haath firaye jaa rahi thi
Baar baar voh usi haatho se apne chehre par aaye hue aansuo ko haatati hai..lekin uski laakh koshisho ke baad bhi aansu the ke rukne ka naam nahi le rahe the, Pathik yeh dekhkar sab samaj jaata hai ki iss waqt Siddhi par kya beet rahi hogi

Pathik “tu aaj bhi manthan se pyaar karti haina..??” usne siddhi ke pass jaate hue kaha

Siddhi ne ruansi awaaz me haan mein sar hilate hue kaha “please yeh baat tu manthan ko naa batana”

Pathik “par kyu..??”

Siddhi “bas mere khatir..promise kar muje ki tu yeh baat kisiko nahi bataega”
voh isse aage kuch nahi keh paati hai

Pathik “thik hai, mai promise karta hu ki mai yeh baat kisiko nahi bataunga, bas itna kahunga ki tu khud ke saath galat kar rahi hai” voh iss baat se anjaan tha ki Manthan ne pari se dubara milne ka faisla kar liya hai

Akshita “sam, kya soch raha hai tu”

Sam “manthan ke behosh hone se pehle, usne mujse yeh kaha tha ki usse itni badi galti kese ho sakti hai”

Akshita “kesi galti jaan..??”

Sam “usne kuch bataya nahi..lekin kuch tha uske dimaag me”


Pathik yeh sunte hue kehta hai “aur kuch bataya”

Sam thoda sochte hue kehta hai “haa..voh yeh keh raha tha ki use Earth-1 par vapas jaana hoga”

Akshita “earth-1 par kyu..??”
usne asamaj bhare bhaav dete hue kaha

Sam “pata nahi..?? mai kuch samaj nahi paaya, aur ek aur baat kahi thi usne..keh raha tha ki hamari watch isiliye kaam nahi kar rahi kyunki mai yanha par hu” usne manthan ki aur dekhte hue kaha

Pathik “iska kya matlab ho sakta hai..??”

Sam “muje nahi maalum, ab yeh toh khud Manthan hi bata sakta hai”


Siddhi ka yeh sunna tha ki voh ab khud ko rone se rok nahi paati aur voh vanha se uthkar chali jaati hai

To be continued…
Laajwaab update bhai
 
  • Like
Reactions: Milan2010
Top