Update : 36 (Time Paradox)
Avi sawaliya bhari najro se mayank ki aur dekhne laga “common sir, ab aap itne bhi bewkoof naa baniye, time-machine aur time-travel ke side-effects ke baare me aapne hi muje bataya tha..aap yeh ache se jaante hai ki time-travel karne par kya ho sakta hai” manthan ne avi ki aur dekhte hue kaha
Yeh sunkar avi apna sar juka deta hai, Pathik “koi hume bhi samjayega ki yeh sab ho kya raha hai”
Ab aage…
Mayank “pathik..time travel karne ki bahut si side-effects hoti hai, aaj hamare pass..physics ke pass esi bahut si theories maujud hai jo time travel se hone vaale nuksaan ke baare me batati hai, haalaki time-travel karne par reality me exactly kya asar hoga uska andaaaza hum nahi laga sakte, hamari koi bhi theory khud ko proof nahi kar paa rahi hai..voh khud hi contradict theories hai, voh khud ko sahi ya galat saabit nahi kar sakti…abhi tak mai sure nahi tha ki hamara time kis vajah se tuta hai”
Pathik “abhi tak se tera kya matlab hai..??”
Avi “manthan jaan gaaya hai ki mere time-travel karne ke baad bhi mai apna future kyu change nahi kar paaya”
Mayank “bilkul sir” usne avi ki aur dekhte hue kaha
Manthan “lekin agar inhone past me jaakar apna atit badal diya tha, toh voh voh experiment kabhi hua hi nahi..matlab disha aur mayank kabhi mare nahi..toh doc ne time-machine kabhi banayi hi nahi”
Pathik “agar time machine banayi nahi toh doctor ne time-travel kabhi kiya hi nahi, time travel nahi hua toh voh experiment me dhamaka hua”
Manthan apne sar ke baal khujate hue kehta hai “yeh kya logic hua..yeh toh fir hamesa ek continuous loop me chalta hi rahega, hum yeh kabhi nahi jaan payenge ki aakhir me hua kya tha”
Mayank “are shant dosto, time-travel kehne me jitna chota hai..asal me yeh bhi utna hi complex hai, mai aap sabko time-travel ki kuch theories samjata hu”
Paradox..yeh shabd sunte hi hamare dimag me Time Paradoxes ka khayal aata hai, par kya paradox sirf time-travel tak hi simat hai..?? iska jawab hai naa..toh fir aakhir me paradox kya hota hai..??
Pathik “virodhabhas” ne mayank ki baat ko bich me kaat diya, toh saare log uski aur dekhne lagte hai “kya..?? muje itna hi pata hai..mai tere jesa padha likha nahi hu, ganwar hu mai” pathik thoda jepte hue kehta hai mayank ki aur dekhkar kaha
Manthan “haa bhai, yeh toh tune sahi kaha” usne pathik ki baat ka samarthan karte hue kaha “so please jara hindi me samjana..taaki hum sabhi ko samaj me aaye”
“hahaha, thik hai mere bhai..koshish karunga” mayank ne haste hue jawab diya
“jesa ka pathik ne kaha Virodhabhas, paradox ka sahi matlab hota hai koi esi baat koi aisa sentence jo khud ke hi astitav par bhi sawaal uthata hai, paradox kuch bhi ho sakta hai..voh sentence sahi bhi ho sakta hai, galat bhi ho sakta..yaa fir dono hi ek saath sahi aur galat bhi ho sakta hai, like agar koi kehta hai haa..mai paagal hu, nahi..mai pagal hu” fir thoda rakkar kehta hai “par agar yeh kehne vala insaan sach me paagal nahi hai toh yeh dono hi sentence uske liye galat honge, par agar yeh koi mental condition vala insaan kehta hai toh uske liye sahi hota hai..par yeh kis had tak sahi hai yaa galat hai, hum nahi bata sakte..jab tak hum uss baat ko puri taraf se jaan nahi lete, jab tak hum inn dono hi sentence ko proov nahi kar lete tab tak yeh ek paradox hi hoga”
Khair, filhaal hamari ladayi time ke saath hai toh mai kuch aisi paradoxes ki baat karunga, jisme sabse pehla Paradox aata hai THE GRANDFATHER PARADOX
Jyada tar logo ko iss paradox ke baare me pata hota hai, iss me yeh kaha gaya hai ki kya hoga agar aap apne samay me piche jaakar apne hi grandfather ko unki shaadi se pehle maar dete hai toh kya hoga..?? Maan lijiye ki aapne time machine banakar past me uss waqt me chale jaate hai jab aapke dadaji young the, aur aapne kisi tarah se unhe maar diya
Ab agar aapke dadaji mar jaate hai toh unki shaadi kabhi aapki daadi se nahi hogi, aapke father kabhi janam nahi lenge, aapke papa ka janam hi nahi hua toh voh kabhi apki mummy se shaadi nahi kar payenge..aur naahi aap kabhi iss duniye me aayenge..duniya aur timeline me aapka koi astitva hi nahi rahega
Jab aapka koi astitva hi nahi raha toh future me aapne kabhi time-machine banayi hi nahi..toh fir aapne apne grandfather ko kese maara..?? time travel hua hi nahi toh aapke dada kabhi mare nahi..voh mare nahi toh aapke parents ki shaadi hoti hai aur aapka janam hota aur bade hokar aap time-travel karne jaate hai aur apne dada ji ko maar dete hai
Pathik “bhai, yeh toh maine bhi sunn rakha hai, aur abhi abhi mai aur mera dost manthan, hum aisi hi kuch baat kar rahe the..lekin iska doc avishkar ki kahani se kya matlab”
Pathik ki baat sunkar manthan thoda sa ruansa ho gaya tha, kyunki use apne earth vale pathik ki yaad aati hai, ise dekhkar mayank kehta hai “sach me, tuje manthan ke jesa hi dost chahiye tha”
Pathik “haa vahich toh, pata nahi mere nasib tu kese aagaya, saala hamesa mera dimaag kharab kar deta hai”
Iss baat par sab hasne lagte hai, Pathik “so iss baat se kya pata chalta hai”
Sam ne pathik ki baat ka uttar diya “doc avi ke kahani ke anusar hum yeh maan lete hai ki unhone time-travel karke particle accelerator ka experiment nahi hone diya, agar voh experiment nahi hua toh uss raat ko disha ki maut nahi hui, uss raat disha mari nahi toh avi ne kabhi time-machine banaya hi nahi, aur voh time-machine kyu banata..kyunki ab voh disha ke saath happily reh raha hai, so ab Avi apne atit me kabhi vaapas gaya hi nahi, agar voh vaapis nahi gaya toh particle accelerator ka experiment kisine roka nahi aur uss dhamake me disha mar gayi”
Paridhi “vahi toh mai bhi keh rahi hu..agar avi aur disha happily apne life jee rahe hai toh use time machine banane ki jarurat hi kyu padegi..??”
Mayank “pari..aisa tab hota jab avi aur disha aaj ek saath hote, lekin aisa nahi hua, jab avi sir apna past change karke vaapis aaye toh disha tab bhi mari hui thi..voh jinda hi nahi thi”
Siddhi “toh iska kya matlab ho sakta hai”
Mayank “grandfather paradox ke bhi kahi limitations hai, like voh ek closed loop me chalta hi rehta hai..par usko puri tarah se justify nahi kar sakte..kyunki voh always ek continuous loop me hi chalte rehta hai”
Manthan “iska matlab toh yeh hota hai ki hum apna past kabhi change kar hi nahi sakte”
Mayank “iska jawab hai haa bhi aur nahi bhi, kyunki past change karne par kya ho sakta hai uska anumaan laga paana impossible hai..but yes there are two effects of changing past”
First effect, well ise samjane ke liye mai ek example deta hu, yeh sab jaante hai ki mai aur pathik bahut hi ache dost hai, maan lo ki ek din pathik ki car accident me death ho jaati hai..aur mai iss haadse se puri tarah se tut jaata hu, lekin fir muje khayaal aata hai ki mere pass toh time machine hai, mere dimaag yeh idea aata hai ki mai past me jaakar apne dost ko uss haadse se bacha lu toh voh kabhi nahi marega
Toh mai time-machine ki madad se time-travel karke uss time me aagaya jab pathik ka car accident hone vala tha, mai pehle se hi jaanta tha ki pathik ka accident kese hone vaala hai, toh uss jagah jaldi se pahuchne ke liye mai kisi ki car leta hu aur use teji se daudate hue vaha se nikal gaya, kuch der me mai uss jagah pahuchne vaala tha ki achanak se meri car ke samne ek ladka aajata hai aur mai use uda deta hu…lekin jab maine iss haadse ko khud se karte hue dekha toh yaad aaya ki Pathik ki maut bhi aise hi kisi car accident se hui thi, toh mai car se utarkar uss ladke ke pass aaya toh pata chala ki voh ladka koi aur nahi balki khud Pathik tha..yaanki maine hi apne dost ko maara hai
Past me aane ke baad bhi mai iss accident ko nahi rok paaya, toh maine socha kyu na mai ek din pehle jaakar pathik ko iss accident ke baare me bata du, yahi sochkar main fir ek baar time travel karke samay me aur piche jaata hu aur pathik se milkar yeh batata hu ki uske saath aane wale waqt me kya hone vala hai, yanha tak ki mai use sahi time aur place bhi bata deta hu..taki mai apne dost ko uss haadse se bacha saku..yaani ki pathik ko toh pehle se hi pata tha ki uske saath kya hone vaala hai..lekin kisi unknown reason ki vajah se use usshi raste se kahi jaana padta hai, mai chahe apne dost ko bachane ki kitni bhi koshish ae kar lu..lekin har baar voh meri hi car se maara jaata hai
Manthan “yaani ki chahe kuch bhi ho jaaye hum apne past ko change nahi kar sakte”
Siddhi “aur voh dusra effect kya hai..?? kya voh bhi isi tarah se hai..??”
Mayank naa mein apna sar hilate hue kehta hai “haa bhi aur nahi bhi”
Dusra effect yeh kehta hai ki hum apna past change kar sakte hai..hum apne grandfather ko maar bhi sakte hai..voh bhi bina apne vajood ko mitaye, mai pathik ko bhi marne se bacha sakta hu..lekin jab mai apna kaam khatam karke vapas apne waqt me aaunga tab meri life pehle jesi hi hogi..yaani mere grandfather abhi bhi jinda hi hoge..pathik already mara hua hi hoga, maine apna atit badal diya tha lekin iske bawjood bhi uska koi bhi asar meri present life par nahi pada
Manthan “lekin tune toh abhi kaha hi hum apne past ko badal sakte hai, past ko change karna possible hai”
Mayank “haa, bilkul possible hai”
pathik “yaar yeh game khelna band kar”
Mayank “pathik yeh game nahi..balki haqiqat hai, jo hum sabpar beet chuki hai, doctor avi par beet chuki hai”
Avi jo abtak chup baitha tha voh kehta hai “time-travel karke hum apna past change kar sakte hai..lekin aisa karne par har baar ek nayi alternate timeline banegi..ek alternate universe banega”
Mayank “exactly, aap ke saath bhi yahi hua hai”
Manthan “iska matlab toh yeh hua ki kisi alternate earth par avi ne uss experiment ko rok diya hai aur usme voh disha ke saath khushi se apni life bita raha hai”
Mayank “haa manthan”
Pathik “toh fir hamari time-line kese tut sakti hai”
Sam “kyunki time jo hai voh hamare 10 dimensions me ek hi jesa hai, past change karne par uska effect timeline par jarur hota hai, fir voh chote se chota change hi kyu naa ho..uska effect har pal ke saath future me multiply hote rehta hai”
Mayank “doctor avi ke liye apne uss experiment ko rokna unke liye ek galti sudharne ke jesa tha, uss experiment ke naa hone par uska bahut se jeev ki life par asar padta hai, yaanha tak ki khud time par bhi asar padta hai…kyunki time-wraiths bhi toh usi time ka ek hissa hai, agar aap waqt ke saath chedchad karoge toh waqt aapko nahi chodega, aur uss experiment ka hamare time par bahut hi bada effect padta hai” voh thoda rukkar “agar hum apna chota se chota decision bhi dekhe toh uska asar hamare future me kahi na kahi jarur dikhata hai..uss decision se sirf hum hi nahi balki hamare pura universe usse jud jaata hai”
Pathik “pura universe kese..??”
Mayank “apne sar par gira hua sheb agar newton ne bina kuch soche khaa liya hota toh kya hum gravity ke baare me jaan paate…?? Tab shayad aaj hamari duniya itni aage nahi badh paati, newton ka voh ek decision ne aaj hamari puri duniya hi badal daali hai”
Manthan “chote se chota decision bhi future me badhkar bahut bada impact karta hai, ise butterfly effect bhi kehte hai”
Pathik “lekin yeh experiment already bahut se chizo se juda hua tha, yaaha tak ke tachyons se bhi”
Mayank “haa, bas isiliye particle accelerator experiment ke naa hone par uska time par itna jyada asar hua hai ki voh khud ko bacha nahi saka aur puri tarah se bikhar gaya”
Aarav “toh fir yanha aane ka fayda kya hua..?? itna toh hum bhi jaante the ki jo kuch bhi multiverse ke saath ho raha hai voh time-travel karne ka hi asar hai”
Mayank “aarav, yeh toh hum jaante hi the..lekin exactly kya hua tha kis vajah se hua tha yeh hum nahi jaante the, iss time travel ki aakhir me sach kya hai yeh hume ab maalum ho chukka hai”
Avi “maine apni life me bahut si galtiyaa ki hai, lekin shayad kismet ne muje ek mauka diya hai jisse mai apni ki hui galityo ko sudhar saku”
Sam “kese..??”
Avi “agar yeh jo kuch bhi hua voh particle accelerator ke experiment ke naa hone ki vajah se ho raha hai..toh, tu samaj raha haina mai kya kehna chahta hu” usne mayank ki aur dekhte hue kaha
Mayank “haa, samaj raha hu, we need to do one more trip to that night”
Avi “exactly tum sab ko yahi karna hai, maine already time ko bahut nuksaan pahuchaya hai, mai dubara time-travel karke haalat aur bigad naa nahi chahta, so manthan yeh kaam ab tuje hi karna hoga”
Sam “wait wait wait, ek aur baar time-travel..??”
Manthan “already hum itna toh sure ho gaye hai ki past me jaane par hum apna past toh change nahi kar sakte, toh fir time-travel karne ki kya jarurat hai..??”
Mayank “maine yeh kab kaha ki hume apna past change karna hai”
Avi “maine toh sirf time-travel karne ke liye kaha hai, uss experiment ko hone dene ke liye kaha”
Manthan “haa vahi, uss raat ko jaane ka matlab toh yahi hua na ki hume apne hi past ko change karna hai”
Mayank “nahi manthan, time ko bachane ka sirf yahi ek rasta hai, jis vajah se time tuta hai hume uss vajah ko hone hi nahi dena hai, matlab hum time-travel karke experiment ke baad vaale avishkar ko pehle vale avishkar se milne se rokna hai, bas sirf itna hi karna hai”
Sam “lekin isse hoga kya..??”
Mayank “isse hoga yeh ki jo kuch bhi past me pehle hua tha..jo mere saath hua hai voh sab fir dohraya jaayega, aur time-line intact rahegi..use koi nuksaan nahi pahuchega”
Pathik “par time travel karenge kese..?? tune hi toh kaha tha ki time tut chukka hai”
Mayank “maine yeh bhi kaha tha ki time ko naa toh toda jaa sakta hai aur naa hi moda jaa sakta hai, aur uske kahi roop bhi ho sakte hai”
Pathik “tu kabhi yeh bolta hai ki time tut chukka hai, kabhi yeh bolta hai ki time ko toda nahi jaa sakta, tu kehna kya chahta hai..??”
Mayank “agar yaad hai toh maine ek baat kahi thi, time-space ke bahar hum jo karenge uska action hamari time-line par effect nahi karega”
Pathik “haa yaad hai”
Mayank “same vese hi, hamara time tut chukka hai, toh hum abhi time-travel karenge toh uska asar hamari time-line par nahi padega, hume bas uss raat ke waqt me vaapas jaakar apna kaam karna hai aur kaam hote hi vaapas aajana hai, jo ki hum time-travel tute hue time se karenge toh hamare time travel karne ki vajah se time-line par koi nuksaan nahi pahuchega”
Sam “so basically dekha jaaye toh aisa lagega ki humne kabhi time travel kiya hi nahi hai”
Mayank “haa sam, lekin time ke tutne se pehle doc avi ne time travel kiya tha toh shayad kuch chote mote changes timeline me aa sakte hai..par usse jyada nuksaan nahi hoga”
Manthan “so, ateet me jaane ke liye kaun kaun ready hai..??”
Mayank “yeh kaam shayad mere akele ka nahi hai, toh mere saath kaun chalega”
Paridhi “mai saath chalungi”
Sam “aur mai bhi”
Mayank “nahi sam, tu hamare saath nahi chal sakta”
Sam “yeh ladayi time-travel karne se khatam nahi ho jayegi, yeh naa bhul ki Zorians se ladayi abhi baaki hai” ne chaunkte hue pucha
Mayank “haa isiliye mai keh raha hu, jab hum vapas lautenge toh jo jeev jis bhi time me hai voh vahi par trap ho jayega, voh time-portals apne aap gayab ho jayenge..tum dono apne waqt me kabhi vaapas nahi jaa paoge” usne sam aur akshita ki aur ishara karte hue kaha
Akshita “iska matlab ki jo Zorians iss waqt me hai voh yahi par reh jaayenge..??”
Mayank “haa akshita, aur mere khayaal se aapka jaana hi sahi rahega, kyunki 31st century se sirf aap log hi hai jise Zorians ki sachayi maalum hai, so mai request karta hu tumhe apne time me vaapas laut jaana chahiye”
Mayank ki baat sunne ke baad uss room me ekdum se sannata chaa jaata hai
To be continued…