Update 26
Idher aditya bahar aakar parking men lagaayi hui apni gaadi ki taraf
badh detaa hain jo ki bahut hi kam cars rah jaane ki wajah se alag thalag ek side men lagi hoti hain. Aage jaate jaate aditya apni jeb men se cigrate ka pecket nikaalkar usmen se ek cigrate nikaal kar light kartaa hain.
Kash lagaate lagaate wo gaadi tak pahunch jaata hain aur uske pichhe pichhe deepa bhi. Aditya gaadi kholkar andar baith jaataa hain. Deepa ke andar baith jaane ke baad car bahut speed se city ki taraf daudni lagti hain.
Aditya man hi man men duaa kar rahaan thaa ki kaash koi baat ho aur usko baaten karne kaa, thodaa time spend karne ko mile. Shaayad bhagwaan ko bhi yahin manjur thaa 15-20 minute ki driving ke baad aage ek chhote se sankare raaste par kisi accident ki Wajah se lambi line lagi hui hoti hain. Aditya bhi jaakar gaadi rok detaa hain par kaafi der tak kuchh haalchaal naa hone par wo ab apni seat comfort men set kartaa hain aur ek cigrate nikaal kar light kartaa hain.
Idher deepa bhi baithe baithe bore hui hoti hain to wo aditya se kuchh chitchat karne kaa sochti hain
Deepa “suniye” Aditya “haan”
Deepa “aap bahut great ho”
Aditya jaraa uljhan men hota hain ki yeh bol kis baaren men rahi hain “main samjhaa nahin”
Deepa “matlab mujhe lagaa nahin thaa ki aapne sir ki shaadi ki baat
kiyi hogi wo bhi un donon se jo ekdusare ko bilkul bhi pasand nahin karte honge”
Aditya “abhiman aur pratap mere sabse pyaare dost hain aur yah to
abhiman ke pyaar kaa sawaal thaa to usko aise kaise chhod detaa” Deepa “oh to aap pyaar kaa saath dene waalon men se hain” Aditya “haan sahi samjhaa aapne”
Deepa “aur fir aapne kabhi pyaar to kiyaa hogaa”
Aditya waise to apne pahale pyaar ko kabhi bhulaa nahin paaya tha par wo emotional hone waalon mense nahin thaa aakhir wo ek bourn businessman thaa
Aditya “nahin kabhi waqt hi nahin milaa”
Tabhi deepa idher udher kuchh dekh rahin hoti hain ki car men kyaa kya hain to jab wo sunguard ko niche karti hain to uske saamne aditya ka driving liacence aa jaata hain
Wo usko padhne lag jaati hain usmen kai vehicles kaa single liacence hotaa hain usko padhkar chaunk jaati hain
Deepa “aapko itne vehicles chalaane aate hain?”
Aditya muskuraane lag jaata hain “nahin sab to nahin chalaaye kabhi par mere paas jitney bhi type kaa vehicle liacence aataa hain unsab kaa hain”
Deepa samajh nahin paati hain “wo kaise?”
Aditya “jab collage men thaa tab mere ek dost ke papa hamaare yahan ke rto men acp ki post pe the. Ek din jab sabki checking chal rahi thi tab hamen pakadaa tab tak mere paas liacence bhi nahin thaa. To
unhone pakadaa maine unko pakadte hi kah diyaa thaa ‘main fine nahin bharungaa wo aapko hi bharnaa padegaa’ to unhone wo fine khud hi bhar diyaa aur uske baad agale din hum sab ke document le gaye aur hafte bhar men hamaare paas ye liacence aa gaye road par ki lagbhag har gaadi chalane ke”
Deepa to bas uske chehare ko dekh hi rahi thi “hunn you have such a high contacts hum jaisonko to ek simple liacence ke liye jaane kitne baar chakkar kaatne padte hain”
Aditya hansne lagtaa hain aur kahtaa hain “ye to kuchh bhi nahin hain mere paas to superbike chalaane kaa bhi licence hain”
Deepa sunkar hi excite ho jaati hain”matlab aapke paas koi superbike
bhi hain”
Aditya gardan hilaataa hain “haan hain par wo abhi mere paas nahin wo mere ghar par (yaani ki dusare shahar waale ghar par hain) hain. wo mujhe mere papa ne mere 18th birthday par gift kiyi thi ”
Deepa “kaunsi hain wo?”
Aditya “cbr hain” thodaa pause lekar “maine ekbaar uskaa puraa kabaadaa kar diyaa tha ”
Deepa “fir?”
Aditya “fir kya repair karwaa li”
Deepa “to ab usko kaun chalaataa hain?”
Aditya “koi nahin usko to bas main aur Pratap hi chalaate hain ab to
bas garage ki shobhaa badhaati hain”
Deepa bhi yah sunkar chup ho jaati hain aur aditya bhi shant ho jaataa hain tabhi aditya firse kahtaa hain “mere papane mujhe gift kiyi thi jab main third year men gayaa thaa”
Deepa “wow agar aapke papa bade businessman ho to aapko bade hi mahange taufe milte hain”
Aditya uspar kuch nahin kahtaa bas hansne lagtaa hain
Deepa apne curiocity men puchhti hain “to perfect spm aapko apne papa se milaa hain?”
Aditya naa men gardan hilaataa hain “nahin, perfect spm to maine khud apne paisonse kharidi hain jo ki maine wahinpar 2 saal job se kamaaye the aur kuchh idher udher se the”
Deepa bas hil gayi thi is baat se wo firse question karti hain “aapke papa businessman the naa?”
Aditya “haan to?”
Deepa “agar perfect spm unki nahin thi to wo kya business karte the?” Aditya bas hanstaa hain aur kahtaa hain “unka business alag thaa maine aajtak unko nahin chalaya hai wo to ab chacha wagairaa sambhaalte hain”
Deepa kuchh samjh nahin paati tabhi uske mobile par uske mummy kaa call aa jaata hain. wo apne mummy ko bataati hain ki kaise unki gaadi fansi hui hain aur wo jald se jald ghar aa jaayegi.
Tabhi aditya dekhtaa hain ki samne ki gaadiyaan nikal padi hain. Aditya
bhi apne gaadi ko chalu karke unke pichhe pichhe jaane lagtaa hain. Gaadi chalaa kar aditya city men aataa hain aur uske area ke taraf chalaa jaataa hain. kaafi raat ho chuki hoti hain aur aditya road ke side
par gaadi chalaa rahan thaa tabhi wo dekhtaa hain ki raaste par 4 sharaabi ladke chal rahe hain aur wo raaste par ekdum bagiche ki tarah daud rahe hain. Aditya kaafi koshish kartaa hain ki unmense kisi ko kuchh naa ho aur wo ek ke paas aakar ruk jaata hain. darasal wo usko hit karne hi waalaa hotaa hain tabhi gaadi ko control kartaa hain. Uske rukane se hi sab bewde ikkathe ho jaate hain aur car ko saamne se gher lete hain. Chaaronke chaaron shakalse hi pure gunde lagte hain. Unmense ek aakar driver sida ka darwaajaa kholtaa hain to aditya gaadise baahar nikal aata hain. baahar aakar wo kuchh bole uske pahale hi ek ki najar deepa par padti hain aur wo kahtaa hain “kyaa maal hain bhidu”
Dusara ek uski baat sunkar deepa ko dekhtaa hain aur wo bhi kahtaa hain “sachmen maal hain bhai”
Jis aadmine darwaajaa khola thaa wo bhi usko dekhkar dekhtaa rah jaata hain to aditya firse car men baithne lagtaa hain to wo aditya ka hath pakad kar usko baahar roktaa hain
“apne paas ke paise aur mobile wagairaa jo hain wo de do” Aditya “chal hat be nikal yahaan se”
Yah kahkar usko dhakka maar detaa hain. jisko aditya ne dhakka maara thaa wo ekdamse pichhe jaakar roadke divider se takaraa jaata hain.wo dekhkar teenon aditya ko maarne ke liye attack kar dete hain. aditya thoda aage badhtaa hain to sabse pahale wo jo ki gaadise takraayaa thaa wo aataa hain aditya uske chehare par ek aisaa jor se ghunsaa maarta hain ki wo bhi jaakar side men gir jaataa hain.
Yah dekhkar dusaraa aur teesaraa bhi saathmen aditya ki taraf bhaagte huye aate hain aditya unki bhi haddi pasali ek kar detaa hain. Itne waqt
men unkaa bhai uth khadaa hotaa hain aur dekhtaa hain ki is aadmi ko wo haaath se maar nahin sakte to wo apni jeb men se chaaku nikaalkar aditya ki tarafa aataa hain.
Wo aditya ke najdik jaakar chaakuse aditya ko maarne ki koshish kartaa hain. WO chaakuse 5-6 waar aditya par karne ki koshish kartaa hain par aditya unko miss bana detaa hain. tabhi uska ek waar aakar aditya ke baajuko touch hokar jaataa hain aur wo aadmi pichhe hatkar aditya ki taraf ek kutil muskan ke saath dekhta hain jab ki aditya apne dusare haath se ghaav ko pakadta ahain.
Udher deepa aditya ke haath par laga ghyanv dekh kar ghabraa jaati hian aur uske muh se chhekh nikal aati hain “adityaaaaaa”