Update 28
Donon gaadiyaan police station ke baahar aakar ruk jaati hain. costrables aditya aur deepa bahar hi ek bench par baithne ko kah dete hain aur un chaaron ko aditya ke saamne ke bench par bithaa dete hain. wahaan ka head constrable ki gaadiyon ki aawaj se nind tut jaati hain aur wo dekhne ko baahar nikal aata hain ki maajraa kyaa hain. wo aditya ko dekhkar pahchaan jaata hain. isi instance par aur ek police ki
gadi aakar ruk jaati hain aur usmen se ek sub inspector bahar nikaltaa hain.
Aur seedhe apne cabin ki taraf jata hain aur uske pichhe pichhe wo
contrable andar jata hain jo ki aditya ki saath unki gadi men aaya thaa aur wo andar jaate hai. Thodi hi der men wo constrable bahar aakar aditya ko kahta hain ki use andar bulaaya hain.
Aditya andar jaate hi uske pichhe pichhe head constrable bhi andar jaata hain. deepa yeh dekhkar aur bhi ghabraa jati hain aur sochne lagti hain ki uska bhai ab tak aaya kyun nahin ?
Thodi hi der men deepa ka bada bhai aa jaata hain aur wo deepa ko bahar bench par baitha dekh kar uske paas jaakar puchhta hain ki kyaa huaa to deepa usko sab baatbata deti hain.
Idher aditya andar jaate hi uske pichhe pichhe aayaa hua h.c. inpector ko baaju men bulaakar usse dhire se kahta hain “saab ye jo ladka hain wo koi aam aadmi nahin hain wo ek minister ka pota hain accha yahi hain ki usko jaane de aur isne jinko maaraa hain unko bhi rafa dafa kar de”
Inspector “tum kaise jaante ho ise?”
H.C. “saab yah is city men tadipar ho kar aaya tha hain tab iske dadaji ke kuchh political dushmanonne ise tadipar bana diya tha par baadmen wo bhi uth gaya thaa”
Inspector “thik hain main dekh letaa hun”
Inspector ab aditya ke paas aata hain awagur usko thik dhang se bithaa kar kyaa hua puchhta hain aur kahin kuchh dukh to nahin rahaa?
Wagairaa usse baaten kartaa hain. lagbhag 10 minute baad teenon hansate huye aate hain tabhi aditya dekhtaa hain ki deepa ka bhai aa
gayaa hain.
Aditya fir police station men se bahar nikalta hain aur uske saath men deepa aur uskaa bhai hotaa hain. aditya apni car men baith kar nikalne lagta hain aur wo deepa ko kahta ki wo usko aur bhai ko ghar drop kar degaa par uska bhai to bike lekar aaya hota hai. To aditya nikalne lagta hai par deepa usko rok leti hain aur kahati ki ghar chalo dressing karni hain.
aditya usko samjhaane ki koshish karta hain ki wo kar legaa par deepa aur uske bhai ke jid ke aage jhuk kar deepa ke ghar ke liye nikal padta hain. ab aditya aur deepa aditya ki car men hote hain aur wo deepa ke bhai ki bike ko follow kar ke deepa ke ghar pahunch jaate hain.
Idhar deepa ke ghar par uske mummy papa bade hi tension mne baithe the. Wo teenon jab aate hain tab jaraa unki jaan men jan aa jaati hain.wahaan par deepa aditya ko intro apne mummy papa se kara deti hain. saath men deepa ka bhai puraa huaa waakiya bhi bataa detaa hain.
Aditya apne mobile se Pratap ko phone karke usko deepa ke ghar aane ko kahta hain. Deepa ghar men medicins wagairaa lane chali jaati hain. Aditya ab baith kar apane jakhm ko thik tarah se dekhne lagta hain.
Deepa ke papa “are beta itni raat gaye sadak par kisi ke saath ladaai karne ki koi jarurat nahin hoti, unhen jo chaahiye ho wo dekar nikal aane men hi apni bhalaai hoti hain”
darasal deepa ke papa thode middle class ke ghabraane waale type ke
hote hain aur wo aisee hi salaah aditya ko dena chahate hain, par yeh salaah sunkar to aditya jara khaul hi jaata hain.
darasal yeh farak tha aditya aur deepa ke gharon ke beech ka jo aditya
abhi face kar raha thaa.
Adita ek political background waale businessman pariwar se tha aur uski nason men daudne waala wo jawaan aur aggressive khoon aur uske sanskaar ye baaten bhi nahin sun sakte the ki koi usko aisee koi salaah sunaaye aur wo sune. Adityako aisee salah agar kisi aur ne diyi hoti to aditya uska muh tod deta par yeh to uske pyaar ka pitaa tha to usne unko thode soft words men kahne ki sochi.
Aditya “uncle, maaf kijiye par mujhe aisee sikh mili hain ki jo mard apne khud ke daulat, aurat aur jaan ki raksha har halat men nahin kar sakta use mard nahin kahlaanaa chahiye”
Aditya ki yah baat sunkar deepa ke papa, mummy aur bhai teenon ka chehare par jara alag hi tarah ke bhaav aa jate hain ki ‘kahan se yah bol diya’