Update 21
Baahar nikalkar gaadi chalaate huye apne office ki or jaane lagti hain tabhi usko pichhe ke ek tapari par se aawaaj aati hain “deepa”
Wo rukkar wahaan dekhne lag jaati hain aur usko dikhta hain ki
wahaan aditya khadaa hokar usko aawaaj de raha thaa uske ek haath men chai kaa glass tha aur dusare haath se wo wave kar raha thaa Deepa apni roni shakal lekar aditya ke paas chali jaati hain aur aditya jaate hi ekdum anjaan banker usse puchhtaa hain “kyaa huaa shakal pe 12 kyun baje hain ?”
Deepa apne aap ko rone se rokte huye kahti hain “kuchh nahin”
Aditya uske aankhon men aankhen dalkar kahtaa hain “kyaa tumhe kisi ne bataaya nahin ki tumhe thikse jhuth bolnaa nahin aataa”
Fir bhi uski shakal par 12 ke 12 hi baje hote hain aur wo ronaa chahti hain kyunki bhale aditya usko apna mane naa mane par deepa aditya ko apnaa maanti thi aur uske saamne ronaa chahti thi par khud ko sambhaal leti hain. Tabhi aditya ek table par usko baithne ko kahta hain aur chai ki order de detaa hain.
Chai aa jaati hain aur chaay ke saath deepa jo bhi huaa wo aditya ko sab bata deti hain. Aditya usko sahaaraa detaa hain aur usko samjhaa bujhaakar apne saath apne company le jaata hain.
Apne office jaate hi aditya seedhe usko lekar apne partner ke cabin
jaakar usse deepa ki maafi mangwaata hain. Saath hi men kuchh thode se bol bacchan unko de detaa hain.
Udhar se wo usko lekar apne cabin men aa jaata hain. Us cabin ke
darwaaje se hi deepa cabin ki haalat dekh leti hain yahaan wahaan files rakhi hui hain kahin pe kuchh padaa hain kahin pe kuchh aur saath men hi table par ashtray aur baajumen computer. Dekh kar hi maalum hotaa hain ya to is cabin ka maalik yaa to bahut busy rahtaa hain yaa
fir idher jyaadaa dhyaan nahin detaa.
Aate hi aditya kisiko bulaakar chaay lane ko kahkar fir files mangwaa letaa hain aur jaldi se deepa ka kaam niptaa detaa hain. Kaam niptne ke baad aditya thodi idher udher ki baaten kartaa hain aur ghadi men waqt dekhtaa hain to lunch kaa waqt ho chalaa hain to aditya deepa se puchh leta hain “deepa chalo lunch karne ko jaate hain”
Deepa “nahin sir meraa tifin mere office men rakhaa hain”
Aditya “rahne do usko mere yahaan pahali baar aayi ho to mere saath lunch to karnaa hi hogaa”
Aditya bilkul bhi usko yah pata nahin lagne detaa ki wo aaj deepa ke
saath hi lunch karnaa chahtaa hain aur isiliye use yah sab plan banaayaa thaa bas uskaa partner is plan men nahin thaa kyun ki aditya ko pata kar rakha ki wo jarur kisi baat par ultaa seedha karegaa aur aisaa maukaa haath lagegaa hi
Aditya deepa ko lekar paas ke hi ek acche se restaurant chalaa jaataa hain. Restaurant jaate hi ek waiter daud kar aataa hain aur unko ek table par le jaataa hain. Aur unke haath men menu card thamaa detaa hain aditya wo menu card deepaa ke haath men dedetaa hain usse kahtaa hain “jo marji ho order karo yahaan ki sabhi chijen kaafi tasty hain”
Deepa menu card leti hain aur usko dekhne lag jaati hain thodee der dekhne ke baad wo waiter ko ekhte huye order dene lagti hain “aisa karon ek daal makhni, roti aur raaytaa le aanaa”
Order dekar wo waiter ki taraf dekhti hain to wo waiter aditya ki taraf dekh rahaan hotaa hain tab wo bhi aditya ki taraf dekhti hain
Aditya “kyaa tumhe akeli ko hi lunch karnaa hain”
Deepa thodaa sharmaakar aditya ki taraf dekhti hain use samjh men nahin aataa ki is baat par kaise react Karen to deepa menucard aditya ki taraf badhaa deti hain aur kahti hai “main samjhi nahin aapki baat kaa matlab”
Aditya “madam itne se khaane se aapkaa pet to bhar jaayegaa par meraa kyaa?”
Itnaa kahkar aditya menucard dekhtaa hain aur binaa der lagaaye order
karta hain “1 panner, 1 veg *******, 2 kofta aur madam ne kahin hui daal makhni par saath men butter roti hi laanaa” itna kahkar wo menucard waiter ki taraf badhaa detaa hain aur firse rok kar kahtaa
hain “raaytaa bhi le aanaa”
Waiter chalaa jaata hain aur aditya deepa ko ghurte huye kahata hain “kuchh khaaya piyaa karon deepa “
Deepa “mujhe to bas aisa ahi khaana khaane ki hi aadat hai Aditya hansne lag jaata hain
Deepa “kyaa huaa kyun hans rahen hain aap?”
Aditya hansnaa rokte huye “kuchh nahin kuchh nahin” kahkar firse hansne lag jaata hain aur deepa aditya ke hansne ki wajah disturb ho jaatee hain aur idher udher dekhne lag jaati hain usko aisaa lagtaa hain ki aditya ki aisaa hansne ki wajah se log uski taraf dekh rahen hain
Wo aditya ko kahti hain “aap aise hansiye mat sab log hamen ghur rahen hain” aur wo neeche dekhne lag jaati hain. Uski baat maankar aditya hansnaa band kar detaa hain
Aditya hansna band karne ke baad usko puchhtaa hain “ab thik hain madam”
Deepa upar sar karke aditya ki najaron men dekhne lag jaati hain aur dekhte dekhte donon ek dusare ki aankhonmen kho jaate hain aur unkaa dhyaan to khaana aajane ki wajah se tut jaata hain aur wo duniaa men laut aate hain
Khaanaa khaate waqt deepa aur aditya kaafi idher udhar ki baaten karti hain baaten aate aate family par aa jati hain
Aditya “tumhari family men kaun kaun hain?”
Deepa “main , mere paa, mummy aur ek badaa bhai aur aapke ?” Aditya "mummy papa to ab rahen nahin ab to bas Pratap aur main hi ek saath rahte hain”
Deepa “sorry”
Aditya “don’t say sorry usmen koi bhi kyaa kar paataa undononki ek car accident men maut hui thi”
Deepaa ki aankhen bhar aayi thi wo apne aap ko roknaa chahti thi par
wo pucch hi baithti hain “kab ?”
Aditya “main tab 19 saal kaa thaa tab unkaa yah accident huaa thaa” Deepa “aap to bade bahadur hain”
Aditya “ismen bahaduri waali kyaa baat uswaqt sab log saath the isliye main hun meraa sabse jyaadaa dhyaan to Pratap ne rakhaa hain un dino nahin to main to tut hi jaataa”
Itnaa sab sunne ke baad deepa to kuchh bol nahin paayi par aditya chitchat ke mood men hone ke kaaran bakbak kartaa jaa rahaan thaa aur deepa usko bas dekhte khaana khaa rhi thi. Deepa ne ek chij notice kiyi ki aditya sachmen kaafi petu hain 2 aadmiyonkaa khaanaa aaraamse khaa jaataa hain.
Khaana ho jaane ke baad aditya waiter ko bulaakar desert mangwaataa hain par khaanaa khaakar hi deepa kaa pet bhar gayaa thaa usmen to desert ke liye jagah bhi nahin thi par aditya ke force karne par khaa leti hain. Aditya bill dedetaa hain aur donon baahar chale jaate hain.
Baahar paan kaa thelaa dekhkar aditya udharse masaalaa paan lekar khilaa detaa hain aur khud bhi khaata hain…
Thodee der baad wahin khadaa hokar aditya cigrate nikaalkar pite pite deepa se kuchh bol rahaan hotaa hain tabhi aditya ke mobile par Abhiman ka phone aataa hain to aditya call kaat detaa hain aur apni chitchat jaari rakhtaa hain. Aur thode timepass ke baad aditya company par chale jaata hain thodi der wahaan ke chitchat ke baad deepa bhi apni office chali jaati hain.
Deepa ke chale jaane ke baad aditya Abhiman ko phone kartaa hain “hello”
Abhiman “haan ho gayaa kyaa lunch wagairaa yaa kahin use hi to khaa
gayaa?”
Aditya “are yaar khaana ho gayaa aur jaisaa sochaa thaa waisaa hi huaa”
Abhiman “matlab???”
Aditya “yaar budhhe ne jaisaa sochaa thaa waisaa hi kiyaa” Abhiman “kyaa kiyaa ab budhhe ne ?”
Aditya “are usne kaafi nikaali yaar deepa ki” Abhiman “o teri fir”
Aditya “kuchh nahin sab sambhaal liyaa aur baadmen luch karne bhi
baahar gayaa thaa” Aur yah sunkar idher Abhiman hansane lag jaataa hain
Aditya “are yaar kal Sunday sham ko pooja k ke ghar jaanaa hain haan”
Abhiman “kitne baje?” Aditya “sham ko 5 baje”
Abhiman “aur yah jaanaa kyun hain ?”
Aditya “kuchh nahin tumhaare mummy papa ko ladki dekhni hain ekdam arrange marriage ki tarah”
Abhiman “matlab kyaa hamaare love marriage ko ye log arrange marriage men to nahin badlane ki koshish kar rahe hain ?” Aditya “right guess”
Abhiman hansate huye kahta hain “matlab sab ne mehnat pe paani fer diyaa ab to bacchonko bataa bhi nahin paaungaa ki maine love marriage kiyi hain”
Ye sunkar aditya hansane lagtaa hain aur kahtaa hain “jaane de unko yah kah denaa ki shaadi unke aditya mama ne tay karwaai thi” Donon hansane lag jaate hain aur aditya kahtaa hain “thik hain kal sham 4 baje tere ghr aa jaataa hun wahaan se saath men challenge” Abhiman “haan thik hain chal rakhtaa hun”
Aur Abhiman call cut kar detaa hain