• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Teri Meri Love Story (Completed)

Kya aap firse is story ko padhne me interested hai?

  • Total voters
    11

mashish

BHARAT
8,032
25,910
218
Update 32

Udhar deepa apne mobile par aditya ka sms padhkar man hi man men khush ho jaati hain ki aditya to bas so raha thaa isliye usne koi reply nahin diyaa aur uske dil ko sukun mil jaata hain. wo sochti hain ki aditya se phone par baat kiyi jaaye par use lagta hain is waqt karna munaasib nahin hogaa lunch time men karenge yeh soch kar wo apne kaam men lag jaati hain jismen itni der se uskaa man nahin lag raha thaa.
Uske baad aditya, Pratap aur abhiman teenon doctor ke paas jaate hain wahaan par aditya ko doctor dawaaiyaan bhi likh ke deta hain. aur luch kaa time hone ko thodi der baaki thi ki aditya aur baaki sab subah men kuchh nashta na milne ki wajah se bhuke pet hi the to ek restaurant
mrn ghus jaate hain aur lunch ke liye order dete hain.
Unki kuchh gapshap hi chal rahi hoti hain ki deepa ka phone aata hain Deepa “hello”
Aditya “haan ji bolo ji” saamne baithe abhiman aur Pratap us ajeeb tone ko sunkar hi hansne ke kagaar pe aa jaate hain par bas muskuraa
dete hain kyunki unko maalum thaa ki aditya ki phone par majaak karne ki aadat hain aur wo hameshaa iske liye bakare dhundhta rahta hain. aur upar se abhi kuchh kaam bhi nahin hain aur order kiya hua khana bhi nahin aaya hain to aise men usko free fund ka time paas chhaiye hain aur wo use mil gaya hain.
Deepa “hello kaun?” deepa ko aisa lagta hain ki kisi dusare ne hi call utha li hain isliye wo puchh leti hain
Aditya “aapne phone kiyaa hain aapko hi pata hoga naa ki aapne kisko
phone kiya hain” aditya usi tone ko continue karte huye bolta hain Deepa “kyaa yeh aditya ka hi number hain naa”
Aditya “aditya naa haan yeh to unka number hain par aap kaun?”

Deepa “main , main deepa bol rahi hun aap unko phone de dijiye” Aditya “wo abhi to aapse baat nahin kar sakte ji kyun ki wo deepa se hi baat kar rahe hain”
Deepa “kya matlab?” deepa jor se puchhti hain
idher ab aditya bhi jor se hans deta hain aur usko hansata dekh abhiman aur Pratap bhi hanste hain.
Deepa “hanste hi rahenge yaa kuchh bologe bhi?”
Aditya apni hansi ko control karte huye “are main aditya hi bol raha hun wo jara kuchh time pass nahin thaa naa isliye bas aur kuchh nahi” Deepa “matlab”
Aditya “hum log khaana khaane ke liye bahar aaye hain to abhi tak food nahin aay ahin aur hum bore ho rahe the aur tumhara phone aa gaya to maine sochaa ki”
Deepa aditya ki baat kaatate huye “ek minute hum matlab?” Aditya “hum matlab main, Pratap aur…”
Deepa “aur kaun hain?”
Aditya “aur koi nahin hain abhiman hi hain” Deepa “matlab sir wahaan hain?”
Aditya “haan abhiman saamne baitha hain kyun?”
Deepa “kuchh nahin abhi kaam hain phone rakhti hun baadmen call karungi bye”
Itna kahkar wo full jorshor men phone rakh deti hain aur aditya firse hansane lag jaata hain aur idher teenon hansane lag jate hain.inka hansana khatam hote hi aditya ke mobile par massage aata hain ‘call me when u reach home’. Usko dekhkar aditya firse hansane lag jaata hain.

Aditya ko pata chal jata hain ki deepa ko usse kya puchhna hain. itne men khana aa jaata hain aur teenon khana khaa lete hain. wo donon aditya ko ghar drop karke chale jaate hain kyunki aditya ko doctor ne rest lene ko kaha tha.
awesome update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 33

Aditya ghar par aate hi apna mobile nikalta hain aur deepa ko phone lagata hain
Aditya “hello”
Deepa “ha hi kahaan ho ab?” Aditya “ghar aa gaya hun ab” Deepa “doctor ke paas gaye the” Aditya “haan gaya tha”
Deepa “kya kaha doctor ne?”
Aditya “kya kahta bechara prescription likh diya aur kaha ki 2-3 din aaram kijiye aur hafte bhar men firse aa jaaiye aur roj dressing karne ko kaha hain”
Deepa “aur kuchh to nahin kahaa” Aditya “kuchh nahin”
Deepa “accha to medicines le aaye”
Aditya “haan wo to bahar nikalte hi le liye the” Deepa “waqt pe le lenaa unko”
Is waqt pe jo tone men deepa medicines waqt pe lene ko kah rahi thi use lagaa jaise ki uski
mummy hi kah rahi ho
Aditya “ek baat kahun” Deepa “haan kaho” Aditya “nahin jaane do”
Deepa “nahin ab kya bolna chahate ho wo bataao” Aditya thodi der ka pause le leta hain aur kahata hain
Aditya “tum jis tarah se mujhe medicines lene ko kaha rahi thi naa”
Deepa “haan”
Aditya “mujhe aisa laga ki meri mummy hi mujhe kah rahi ho” Deepa is baat samjh hi nahin paati ki kyaa jawab diyaa jaaye so wo sochane lag jaati hain ki kyaa kahe tabhi aditya hi kuchh puchh leta hain
Aditya “wo tumne dopahar ko achanak phon kyun cut kar diya?” Deepa “tumhaare saamne abhiman sir baithe the naa”
Aditya “wo to kaafi baar mere paas baithaa hota hain to kya ahr baar tum mujhse baat nahin karogi”
Deepa “no main unke saamne tumse baat nahin karungaa” Aditya “kyun yeh main jaan sakta hun?”
Deepa “aapke boss ke dost se aap wo saamne hote huye phone karke
gapshap ladaayenge yeh accha dikhta hain kyaa?” Aditya “haan tumhaari liye to samjhna hi accha hain” Deepa “matlab?”
Aditya “jaane do tum naa samjho to hi accha hain”
Deepa “mujhe bataao kya kah rahethe tum?” deepa ekdum se bachhe ruth jate hain us taah puchh rahi thi
Aditya “deepa” Deepa “kya?”
Aditya “mujhe doctor ne aaram karne ko kaha hain aur meraa khana bhi kab ka ho chukka hain to agar ab ijajat do to main so jaau?” Deepa “tumhe doctor ki kahi baat sahi samay hi sujhti hain?”

Aditya kuchh kahta nahin bas hans detaa hain Deepa “log jo kahte hain wo sach hi kahate hain” Aditya “kya kahate hain log?”
Deepa “yahi ki tum ek bade acche business man ho jo ki kabhi kahi fans bhi jaaye to baaten bana kar ya paristhiti ka laabh utha kar nikal jaate ho”
Aditya “haan wo to main hun hi nahin to main kis kaam ka?” Deepa “par mujhe to lagta hain kit um naa galat jagah par ho” Aditya “main samjha nahin”
Deepa “politics men chale jaao business man se jyada successful hoge”
Aditya kya kahtaa usko ki wo jab chaahe tab wo jaa sakta hain
aditya “madam agar ab aapki baaten kahtam ho gayi ho to main aaram karne jaau wahaan par ab abhiman bhi aata hi hogaa”
Deepa “thik hain par raatko khaane men doctor ne jo bataya hain wo
care lenaa”
Aditya “yeh tum khana banane waalon se kaho yaani ki manisha se” Deepa “ab tumhaare ghar manisha kahaan se aa gayi khaana banane? wo uske ghar pe tum apne ghar pe”
Aditya “main aaj raat ko khana khane abhiman ke ghar jaa raha hun aur shaayad kal bhi”
Deepa “ wo kyun ?”
Aditya “hamaare ghar ki kaamwaali bai 2 din chhutti par hain” Deepa “to kal haamare ghar aa jaao naa khaane par”
Aditya “us din raat ko dekha naa tumhaare daddy ko meri baaten pasand nahi aati aur agar main unke ghar khana khane aa jaau to kal

tumhare ghar khana nahin jhagda ho jaayega”

Deepa “hey shut up haan agar mere papa ko jhagdaalu kahaan to” Aditya “maine kahaan unko jhagdaalu kahaan wo to tumne hi kah diyaa accha hain”

Deepa “bas karo ab”

Aditya “ye waisa nahin hain tumhare papa dil ke acche insaan hain par jara unke aur mere wichar jamate nahin bas aur kuchh nahin”

Deepa “haan yeh better hain tum ab aaram karne jao main thoda kam kar leti hun”

Aditya “ok bye”

Aditya seedhe uthke apne room men aaram karne chala jata hain.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 34

Raat ko Aditya aur Pratap abhiman ke ghar khana khaane chale jaate hain. khana khaate waqt ghar men aditya ke pichhe bahaduri ke kisse par kaafi baatchit hoti hain. Par is ko sunkar Abhiman ki mummy aur Manisha usko kaafi kuchh bolti hain aur saath hi men kaafi kuchh salaah deti hain. Aditya wo sab sunkar bas haan bol deta hain. Khana khatam ho jaane par bahar lawn me teeno baaten karte huye baithe hote hain hain ki aditya ko deepa ka call ata hain par wo usko cut kar deta hain aur sms bhejta hain ‘can’t receive phone at abhiman’s home’ uske jawab men bas ‘ok’ ka reply aata hain.
Idher abhiman ko pooja ka call aata hain Pooja “hello”
Abhiman “hi kaisaa raha din?”
Pooja “kuchh khaas nahin tumhara?”
Abhiman “mera bhi kuchh khaas nahin gaya bas subah aditya ko lekar doc. Ke paas gaya thaa baad men din bhar kam kam aur kam”
Pooja “aditya ko kya hua jo usko doc ke paas le gaye ?”
Abhiman “aditya ne kal raat ko bada parakram kiya hain aur uske haath par cut baitha gaya isliye le jana pada aur wo mere yahaan khaane par bhi aaya hain”
Pooja “kya kiya kya aditya ne?”
Abhiman “akele ne kal raat ko 4 logon ko maara jo usko lootne ki koshish kar rahe the usmen hi 1 ke paas chaku tha to usse cut lag gay usko”
Pooja “ghaav jyada gehra to nahin hain naa?” pooja ki aawaj men apne
bhai ke liye chinta saaf wyatit ho rahi thi
Abhiman “nahin to gahara bilkul nahin hain bas bandage baandhna pada”
Pooja “ruko abhi aditya ko phone karke pahale usse baat karti hun” Abhiman “are ruko”
Pooja “pahale usse baat baadmen tumse”
Abhiman “ye accha hain apne future husband se nahi baat karni aur aditya se bat karni hain?”
Pooja “wo meraa bhai hain aur usi bhai ki wajah se hamari shaadi tay
hui hain yah mat bhulo tum”
Abhiman “nahin bhulaa meri maa par mera bhi to dost hain” Pooja “baaki baaten baadmen pahale usse baat kar leti hun” Abhiman “are ruko wo mere saamne hi baithaa hain”
Pooja “matlab uske saamne tum mujhse private baaten karne baithe
ho?”
Abhiman bas hans deta hain
Pooja “kuchh shram hain yaa nahin?”

Abhiman “ab usse kyaa sharmana wo to jigri yaar hain” Pooja “thik hain pahale usse baat kar lu fir dekhti hun tumhe”
Abhiman “baap re abhi se jhagada karne ki taiyaari shaadi ke baad to
tum meri jaan le logi” aur abhiman hansne lagta hain
Pooja “haan karungi kaam hi aise karoge to jhagda hoga hi naa?” abhiman aur hansne lagta hain aur uski hansi dekhkar aditya aur Pratap bhi hansne lag jaate hain aur un teenon ki hansi sunkar Pooja “aditya ko phone do tumhe baadmen dekhti hun”
Abhiman aditya se “le pooja se baat kar mujhpar aadhi firing ho gayi hain ab teri baari hain” yeh kahkar hanste huye aditya ki taraf phone badha deta hain
Aditya hanste huye phone le leta hain
Aditya “haan hello”
Pooja “han hanso tum bhi” Yah sunkar aditya aur jorse hansne lagata hain
Pooja “kaisaa pati dhundh kar diya hain tumne kuchh sence hi nahin hain”
Aditya “ab tumne hi kaha tha ki yahi chahiye to ismen ab meri kya galati
maine bas rasten men ki adchane dur kar di” Pooja “haan ab choice to meri hi buri hain naa?”
Aditya “aisee baat nahin hain par wo mera dost hain aur mujhse kuchh nahin chhupata”
Pooja “sachmen?”
Aditya “haan”
Pooja “kuchh bhi nahin chhupata?”
Aditya “haan sab kuchh bata deta hain mujhe”

Pooja “fir to dekhna padega iski taraf wo chhodo ye batao ki tabiyat kaisee hain?”
Aditya “mast hamen kya hone laga?”
Pooja “abhi abhiman bata raha thaa naa ki kal raat ke baaren men” Aditya “ab please tum shuru mat ho jana haan already abhi Manisha aur aunty se kaaafi suna hain”
Pooja “thik hain fir kal sunaaungi” Aditya “thik hain kal sunaa dena”
Pooja “aur aaj achanak abhiman ke ghar kaise?”
Aditya “aaj mujhe yahaan dinner pe bulaya thaa”
Pooja “wo kyun tum to jaldi kahin bahar nahin jaate naa tumhe der raat tak company ki padi rahati hain?”
Aditya “wo aaj main aaram hi kar raha thaa aur hamare yahaan ki naukraani 2 din chhutti par hain to aaj hamen khana khilaayega kaun?” Pooja “kitne din wo nahin hain?”
Aditya “aaj aur kal chhutti par hain aur hamare khaane pine ka koi bandobast nahin hain so hum dono bhukkad aa gaye yahaan khana khaane” aur kahkar jor se hans deta hain
Pooja “ab thode din rest lo” Aditya “haan rest par hi hun”
Pooja “fir tumhaare kal ke khaane ki kya wyawstaa hain?” Aditya “abhi kuchh socha nahin”
Pooja “fir kal main tumhare ghar aati hun dopahar men wahi rukungi
aur raat ko tum donon mere ghar khana khaane aa jaana” Aditya “thik hain aa jaao”
Pooja “aa jaaungi aur sunaao kya chal raha hain tumhar us ladki ke

saath kaafi chipak rahe the kal?”
Aditya bas hansta hain aur kahta hain “ab kaafi der ho gayi hain main ghar chala jata hun tum abhiman se baaten karo”
Pooja “ye to taalne waali baat ho gayi kya hain wo bataao main tumhari bahan hun agar tum mere man men kya hain wo padh sakte the to wo main bhi padh sakti hun”
Aditya “thik hain padh lo”
Pooja “sach sach bata do baat kahaan tak pahunchi hain nahin to tumhaare pichhe jaasus laga dungi”
Aditya “ab kis jaasus ko mere pichhe lagaogi?”
Pooja “yaad rakhna haan usko agar ye baat bata di to fir mujhko kuchh mat bolna”
Aditya “ab kya abhiman ko bataogi bata do main usse nahin darta” Pooja “nahin main usko nahin tumhaare pichhe lagaungi”
Aditya “fir?”
Pooja “Manisha” Aditya hans deta hain aur udhar se pooja bhi hansne lag jaati hain
Aditya “usko kuchh mat batana wo puraa rayta failaa degi”
Pooja “fir batao kya khichadi pak rahi hain?”
Aditya “haan khichadi pak rahi hain par birbal ki khichadi hain” Pooja “thik se batao”
Aditya “kal to tum aa rahi ho naa to kal bata dunga bas” Pooja “thik hain kal taiyar rahna sab kuchh kahne ko” Aditya “ab kaafi der ho chuki hain good night”
Pooja “good night”
Idhar aditya phone rakhkar saari baaten un donon ko batata hain wo

donon hansne lag jaate hain. baad men aditya aur Pratap apni ghar aa jaate hain.

Aditya bas deepa ko ‘good nigt sweet dreems’ masaage dal deta hain

jiske jawab men waisaa hi msg aata hain….
 
good update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 35

Subah subah chaya pine ke baad pratp company chala jaata hain aur aditya to ghar par aaram karne hi baitha jaata hain
Thodi der bad darwaje par ki ghanti bajati hain. aditya ghar kaa darwaj kholtaa hain to saamne pooja khadi thi.
Aditya “aao…… andar aao”
Pooja “haan aaungi hi meraa ghar hain”
Pooja ghar men andar aa jaati hain aur thodi der aditya se idhar udhar ki baaten karti hain.
Baadmen wo aditya ko puchhti hai “tumhe bhukh lagi hain?”
Aditya “haan par ghar men kuchh khaane laayak jyaada kuchh milegaa nahin”
Pooja “chalo fir main hi lunch bana deti hun”
Aditya “thik hain banao waise bhi ab lunch ka samay ho chala hain” Aditya aur pooja donon kitchen men jaate hain aur wahaan pooja khane ki taiyaari karne lagti hain jab ki aditya baaju men khadaa rahkar bas dekh raha hotaa hain ki wo kya kar rahi hain
Tabhi aditya ke phone par deepa ka sms aa dhamaktaa hain ‘good morning’
Aditya dekar hanstaa hain aur uski hansi sunkar pooja uski taraf dekhti
hain aur bas najr se hi puchhti hain ki kyaa huaa? Aditya apni gardan naa men hilata hain
Tabhi pooja ki najar aditya ke haath men ke mob par jaati hain. Aditya
ab bas hans deta hain Pooja “kiska sms hain?” Aditya “deepa ka” Pooja “kyaa aaya?” Aditya “good morning”
Pooja apne sar par haath maarti hain aur aditya bas hanstaa hain Aditya “ruko jawab detaa hun” aur aditya type karne lagta hain Pooja “kya jawab diya?”
Aditya “very good morning but it’s nearly time to lunch”
Pooja yeh sunkar has padi aur kahaa “tumse kisine baat karnaa bhi paap hain”
Aditya hasta hain “aisa kuchh nahin hain main to bas tp kar rahaa
thaa”
Tabhi aditya ke phone par sms aata hain ‘bhukh lagi hain kyaa?’ Aditya wo sms pooja ko dikhata hain wo bhi hasti hain padhkar
Pooja “shayad use tum kya kahanaa chahate ho yeh samajh gayi wo” aur hansane lagti hain
Aditya sms bhejta hain ‘very hungry’
Aditya “pataa chalnaa bhi chahiye”
Pooja “waise kyaa tum thikse bataaoge ki tum donon ke beech kya chal raha hain?”
Aditya “tumhe abhiman ne kuchh bataya nahin?” Pooja “usne kahaa ki tumko hi puchh lu”
Aditya “accha hain fir”
Tabhi aditya ke phone par deepa ka call aata hain
Aditya pooja ko haathse hi chup rahne ka ishaaraa kartaa hain aur

phone uthaata hain Aditya “hello” Deepa “hi”
Aditya “haan kyun phone kiyaa?” Deepa “tumhe bhookh lagi hain?” Aditya “haan bahut”
Deepa “to fir jaake kuchh khaa lo”
Aditya “aaj bahar ka khana khaane ka man nahin hain” Deepa “fir khana kaise khaaoge?”
Aditya “dekhta hun tum apna tifin dogi khaane ke liye?” Deepa “haan aa jaao”
Aditya “par main to ghar par hun tumhe yahaan aana hoga”
Deepa “sorry main office chhod ke nahin aa sakati” Aditya “rahne do yah batao ki tifin men kya kya hain?” Deepa “sabji hain aur roti”
Aditya “sabji kaunsi hain?” Deepa “aalo gobhi”
Aditya “aur rotiyaan kitni hain?”
Deepa “2”
Aditya “itne se meraa kyaa khaak pet bharega?” Deepa “main bhul hi gayi”
Aditya “koi nahin yahaan lunch ban rahaa hain”
Deepa “par tumhaare ghar pe to khana banaane waali to aane waali nahin thi naa?”
Aditya “nahin aayi hain”
Deepa “fir kaun bana raha hain tum?”

Aditya “mujhe khana banana aata nahin” Deepa “to fir kaun bana raha hain?” Aditya “pooja”
Deepa “pooja kaun?”
Aditya “abhiman ki mangetar” Deepa “wo tumhaare ghar kaise?”
Aditya “aise hi aa gayi hain aur ab aayi hain to khana bana rahi hain” Deepa “kyaa wo abhi paas me hain?”
Aditya “haan”
Deepa “aur tumne phone uthaya?” Aditya “tumne kiyaa maine utha liyaa”
Ab to pooja apni hansi rok hi nahin paati aur hans deti hain
Deepa “kaun hain udhar?” Aditya “bataya naa pooja hain”
Deepa “main baadmen baat karti hun tum lunch karlo”
Aditya “thik hain bye”
Deepa “ratko kahaa khana kha rahe ho abhiman ke hi yahan?” Aditya “nahin pooja ke ghar jana hain”
Deepa “thik hain tum jaao bye”
Aditya “bye”aur phone rakh detaa hain
Phone rakhta hi pooja apni hansi rok nahin paati aur hasti hain aur uski hansi dekhkar aditya hanstaa hain
Apni hansi ko control karke pooja kahti hain “aditya tum to na bas”
Aditya kuchh kahtaa nahin
Pooja “abhiman aur tum sachmen dono itne pakke dost ho lagtaa nahin”

Aditya “kyun?”

Pooja “tum alag hi ho”

Aditya “haan kuchh na kuchh farak to hoga hi naa hum dononmen” Pooja “usko dinbhar kam kam aur kam aur tumhe dekh lo ……ishq ladaane ko fursat mil jaati hain”

Aditya yah sunkar hansane lagtaa hain

Pooja “sachmen aisaa mangetar paake meri kismet futi hain” Aditya “are nahin wo to ulta merese sach men kaafi accha hain” Pooja “kaise?”

Aditya “dekho wo tumhe chhodkar kisibhi ladki ki taraf sar uthaakar dekhta bhi nahin hain”

Pooja is baat par gardan haa men hilaati hain

Aditya “wo mere tarah thodi naa hain manmauji wo tum jaisi ke liye sachmen accha hain aur yah batao”

Pooja “kya?”

Aditya “main apni pyaari bahanaa ke liye koi aisaa waisaa ladkaa dhundhungaa kya ? aur waise bhi ab uspar jyaada bolo mat tumhaari hi pasand hain wo main koi photo leke chipkaaane nahin aaya thaa ghar par”

Is baat par pooja sharmaa jaati hain aur aditya hansanaa shuru kar detaa hain

Aditya “ab jaldi khaane ka dekho mujhe bhukh lagi hain”

Ab aditya aage kuchh baaten ho isse pahale drawing room ki or khisak letaa hain aur tv baithkar dekhne lagtaa hain
 
lovely update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 36

Thodi der baad khana parosne par donon dining table par aakar baith jaate hain aur khana khaane lagate hain
Pooja “aditya…..” Aditya “haan”
Pooja “tumhaare aur us ladki ke beech…”
Aditya “kya puchhnaa hain seedhe puchh lo”
Pooja “wo tum aur wo ladki kitne kareeb hain…” darasal yah sawaal usne kaafi darte darte puchha thaa kyunki wo aditya ke kuch kuch chijonpar Jaldi gussa karne ki aadat ko jaanti thi.
aditya “main kuchh samjhaa nahin”
Pooja “matlab us ladki ko tum usse pyaar karte ho ye kahaa hain bhi yaa nahin?”
Aditya apne haath men ka khaane kaa niwala chhodkar bas deewar par ke ek photo ki taraf dekhe jataa hain jismen ki ek bahati hui nadi ke kinaare bane ek chhote se ghar ke baraamde men 3 ladke baithe huye hain. darasal ye 3 ladke yaani Aditya, Pratap aur Abhiman the. Achanak kuchh sochkar aditya pooja ko jawaab detaa hain ki
Aditya “abhi tak to kuchh batayaa nahin hain par jald hi bataa dungaa” Pooja aage kuchh puchhne ke liye muh kholne hi waali thi ki aditya ke dimag me jordaar idea aaya aur usne kahaa “ab khana khaa lo pahale waise tumne apni gaadi laayi hain naa?”
Pooja “nahin driver mujhe drop karke gaya hain” Aditya “waise abhi aage ka koi exciting plan hain kya?”
Pooja “nahin to......... baithenge aur baaten karenge aur kuchh nahin hain
… par kyun?”
Aditya “main tumhaare is exciting plan ko thodaa bore bana saktaa hun?”
Pooja “aaj to kaam pe mat jaao ya kisi business meeting men mat
jaao”
Aditya “nahin to main soch rah hun ki tumhe koi nayi movie dikhata hun”
Pooja “haan ye accha idea hain”
Aditya “to jaldi khana khaa lo aur chalo”
Dono jaldi jaldi khana khaa lete hain aur aditya bhi ready ho jaata hain. khana khaate waqt hi deepa ka sms aaya hota hain ‘mera lunch ho gaya tumhara ???’
Aditya khana khaakar use dekhta hain aur jawab deta hain ‘ho gaya aur
ab kuchh karne ki soch raha hun’
Deepa ka jhat se sawaal aa jata hain ‘kya???’ Aditya ‘goint to see a movie’
Deepa ‘that’s good enjoy it’
Aditya ‘thanks will call at night bye tc’ Deepa ‘you too’
Aditya aur pooja donon saathmen movie dekhne chale jaate hain aur wahaan se aditya seedhe uske saath hi uske ghar chalaa jaata hain Idher deepa ke office me deepa abhiman ke saamne khadi hoti hain ki uskaa phone par sms tune bajati hain. abhiman ko full confidence hotaa hain ki yah sms aditya ka hi hogaa isliye wo pahale usse kaam ki sab baaten kar letaa hain
kaam ki baaten khatam hone par abhiman usko kahta hain
Abhiman “dekho to kiskaa sms aay hain padh lo jawaab denaa hogaa” Pooja “nahin sir main baadmen dekh leti hun”
Abhiman “abhi dekho to” ab wo bechaari apne boss ki baat ko taal bhi to nahin sakti thi to wo

sms padh leti hain aur mobile rakh deti hain. Abhiman “kyun jawaab nahin denaa hain ?” Deepa “nahin”

Abhiman “kiskaa hain?” wo aise puchhta hian jaise use kuch pata hi nahi hain

Deepa “koi nahin sir ek friend kaa hain” yah kahkar wo abhiman ke

cabin se bahar jaane hi lagti hain

Abhiman “ruko…….baitho yahaan”deepa kuchh samajh nahin paati ki kyaa Karen to wo bas abhiman ki kahi orders follow karti hain aur abhiman ke saamne aakar baith jaati hain

Abhiman “haan ab bataao ki kiskaa sms aaya thaa”

Deepa “sir wo......... ” deepa asamanjas men hoti hain ki kaise bataaye ki

wo aditya ka sms thaa Abhiman “come on speak out”
 
  • Like
Reactions: Rahul and mashish

super update
 
good update but short
 
Top