Update 42
Deepa niche aakar dekhti hain to aditya apni gaadi ke paas khadaa thaa aur apni mobile men kuchh dekh raha thaa. Deepa aage badhkar uske paas jaane lagti hain par uske man men abhi abhi abhiman ki kahi baaten aa rahi hoti hain aur uski wajah se wo dar bhi rahi thi.
Aditya ke saath gaadi men puri der baat gaadi men kuchh baat nahin karti aditya bhi binaa kuchh kahe gaadi chalata jata hain aur uskaa ghar aa jata hain aur deepa ko uske ghar drop karke kahtaa hain ki wo 1 ghante baad wapas pikup karne aa jaayegaa.
Thodi der baad aditya apne kahe anusaar deepa ko uske ghar pikup karne aa jaata hain. Deepa ko saath lekar aditya sidhe city ke acche se shopping mall par chalaa jata hain. Aditya wahaan kaafi kuchh apne liye kharidtaa hain. par ab itni der aditya ke saath waqt bitaane ki wajah se ab deepa ka dar nikal jata hain aur wo aditya ke saath khulke baat karnaa shuru kar deti hain saath men hansi majaak bhi chalne lagta
hain. aditya kaafi der tak apni shopping karne ke baad kaaffi bags men bahut kuchh jamaa kar lete hain.
Apni liye shopping karne ke baad aditya apni sab shopping gaadi men
rakhtaa hain aur ghadi dekhta hain tabhi uski najar saamne ke ek ladies appreal ke showcase par chali jaati hain. usmen wo ek bahut hi khubsurat pile rang kaa suit dekhtaa hain.
Aditya “chalo bas ab ek chij rah gayi”
Deepa “shirts, trousers, jeans, tais, shoes even socks tak ki khariddaari kar li aura b kyaa baaki hain?”
Aditya “ek chij rah gayi hain jo ki main bhul hi gaya thaa”
Yah kahkar aditya sidha us showroom ki tarf dheeme dheeme paanv chal padtaa hain. deepa bhi uske saath chal padti hain usko abhi tak samjh nahin aata ki ab aur kyaa lenaa baaki hain?
Aditya jab showroom ki sidhiyaan chadhne lagta hain tab deepa aawaj deti hain
Deepa “yahaan?”
Aditya “to fir aur kahan?”
Deepa “aditya yah to ladies ke liye hain” Aditya “haan fir kyaa hua?”
Deepa “aap samjhe nahin yahaan gent’s ke liye kuchh nahin miltaa”
Aditya is baat binaa koi jawaab liye sidhe sidhiyaan chadhnaa jaari rakhtaa hain aur deepa ko upar jaake dekta hain deepa ab man men kashmkash liye wahaan chali jaati hain.
Aditya sidhaa jaakar wahaan ke ek aadmi ko wo showcase men ka dekha hua Punjabi suit nikaalneko kahtaa hain. usne wo nikaalte hi aditya usko dekhkar kahtaa hai
Aditya “deepa?.... yeh tumhaari hi size hain naa?”
Deepa “haan..”Deepa bina kuchh samjh men aaye jawaab de deti hain Tabhi wahaan ka sales man aake kahta hain ki sir agar aapko yah suit chahiye ho to perfect naap ka alter karke mil jaayegaa unkaa apna tailor hain jo ye kaam 15 minute men kar degaa .
Aditya kahataa hain ki bulaaiye unhe…………
Aadhe ghante baad hi aditya aur deepa haath men bag liye dukaan se bahar the. Aditya deepa ko kahta hain
Aditya “chalo ab dinner kar hain ab kaafi der ho chuki hain, apni
mummy ko fon kar ke bataa do ki tum bahar khana khaa rahi ho” Deepa “nahin nahin mere liye mummy ghar par wait kar rahi hogi mujhe ghar jana hain”
Aditya “ab to koi bhi nahin hain saathmain akelaa khana khau kya?” aur thodaa natak karte huye muh fula deta hain aur car ka door kholkar driving seat par baithtaa hain.
Deepa bhi uske paas ki seat par aake baith jaati hain. aur dekhti hain ki aditya ka muh kaise utraa hua hain to wo kahti hain
Deepa”aaj nahin kalse to 7-8 din dinner to tumhaare saath hi karnaa
hain naa?”
Aditya “thik hain” kahkar gaadi daudaa detaa hain
Thodi der baad deepa aditya ko puchhti hai “tumhe itni expensive dress mere liye nahin lenaa chahiye thaa”
Aditya “wo to kya kahte hain use…… haan shopping ke guidance ki fees
hain”
Deepa “par............... ”
Aditya baat kaatte huye bola “par war kuchh nahin ise rakh lo........ Chalo
ab tumhe ghar chhod du”
Deepa iske aage kuchh kah nahin paati aur aditya ke peeche peeche
car ki taraf chali jaati hain.
Aditya seedhe gaadi drive karke use ghar le jata hain aur utarte waqt use kahtaa hain “kal subah jaldi ready ho jana main pickup karne aa jaaungaa”
Deepa “ab ghar aa hi gaye hain to saath men dinner kar lijiye” Aditya “aage ke 7 din tumhare saath hi dinner karnaa hain, mere liye Pratap bhi raah dekh raha hoga” aditya muskuraake kahtaa hain.
Deepa “subah kitne baje ready rahu?”
Aditya “7 baje taiyaar rahna main thik us samaya aa jaaunga bag pack karke rakhnaa saath men”
Deepa “thik hain”
Itnaa kahte hi Aditya apni gaadi full speed men nikaal kar chalaa jaata hain.
Deepa bas yunhi khadi hokar uski jaati hui gaadi dekhti hain. uski aankhon men kuchh ajeeb hi chamak hoti hain. Tabhi gaadi ki aawaaj sunkar deepa ke pitaaji bahar aa jaate hain aur dekhte hain ki deepa bahar khadi hain aur jaati hui car ki taraf dekh rahi hain.
Deepa ke papa usse puchhte hain “kaun thaa?” Deepa “aditya sir the mujhe ghar chhodne aaye the” Papa “to unhe ghar bula leti khane par”
Deepa “nahin unkaa dost unkaa intejaar kar raha hogaa” yah kahte huye wo ghar ke chakhat ki taraf badhti hain
Papa “dost aur abhi?”
Deepa “haan unke mummy papa nahin hain naa aur naa hi Pratap ke to wo donon saath men hi rahte hain.. Bachpan ke dost hain donon”
Papa “waise Pratap?”
Deepa papa ke shabdon ko pura hone se pahale hi kahti hain “uske papa pahale aditya ke papa ke paas kaam karte the par unke gujar jaane par aditya ke papa ne use aditya ke saath badaa kiyaa … aaj wo aditya ki company men hi job kartaa hain”
Papa “oh…”
Deepa kahte kahte unke paas chali aati hain aur thandi saans chhodte huye kahti hain “naseeb bhi kaise kaise khel kheltaa hain dekhiye aditya ke papa ne usko sambhala aur baad men aditya ke mummy papa bhi ek accident men gujar gaye bas jab wo 18 saal ke the”
Papa “fir to kahnaa padegaa ki aditya ek kaafi accha ladkaa hain aur itne kam umr se business sambhalnaa koi chhoti baat nahin hain” Deepa “chaliye papa mummy khaane par wait kar rahi hogi… mujhe khana khaake taiyaari bhi karni hain kal ke liye”
Deepa aur uske papa andar chale jaate hain…