• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Teri Meri Love Story (Completed)

Kya aap firse is story ko padhne me interested hai?

  • Total voters
    11

Rahul

Kingkong
60,514
70,680
354
superb update bhai ji
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 37

Deepa “sir wo aditya sir ka sms thaa” deepa ekdumse bol deti hain aur
apraadhi ki tarah apna sir niche jhukaa deti hain Abhiman “to ab kaisaa mahsus kar rahaa hain wo?” Deepa “ji sir wo ab accha hain”
Abhiman “fir thik hain abhi phone karke puchhta hu ki kyaa kar raha hain?” abhiman apnaa phone bahar nikaal kar deepa ki taraf dekhta haian tabhi deepa bhi uske taraf dekhtaa hain
Deepa “sir aditya movie dekhne ja araha hain”
Abhiman “aditya… aur akele movie dekhne jaa hi nahin saktaa” Deepa “sir… wo pooja ke saath movie dekhne ja raha hain” Deepa uljhan men hoti hain ki ab abhiman kaise react karegaa par abhiman to jor jor se hansane lagtaa hain
Abhiman “accha hain waise bhi pooja hameshaa pichhe padi rahti hain ki main use kahin movie dekhne wagiraa nahin le jataa”
Deepaa yeh bilkul expect nahin karti hain
Abhiman “tumhe pataa hain jab hum collage me the tab bhi pooja meri girl friend thi aur aditya ke saath bhi bahar ghumti thi aur movies dekhne jaate the aur jinko pata nahin thaa ki aditya pooja ka bhai hain wo usko hi aditya ki girl friend samjh leta thaa”aur kahakar hansate huye apni jeb men se cigrate nikaal kar usmen se ek nikaal kar lite kartaa hain.
Deepa thoda darte huye puchhti hain “sir…..ek baat puchhu?” Abhiamn “haan puchho”
Deepa “sir aditya collage me kaisaa tha?”
Abhimna hanste huye “aditya .. wo to collage men bas maje karne aata thaa. Collage ka sabse popular aur chahetaa thaa bilkul ek chocolate boy thaa wo bas manmauji ki tarah thaa”
Deepa “fir padhaai..”
Abhiman “wo itnaa honhaar hain ki usko padhaai karne ki kabhi jarurat hi nahin padi wo bas paper ke aakhari raat ko padhaai kartaa thaa par firbhi kaafi acche marks lata thaa”
Deepa “sir..” Abhiman “haan ..”
Deepa “jaisaa aapka collage time se pooja se love raha hain kyaa uski bhi koi girl friend thi?”
Deepa yah kuchh jhijakate huye hi puchhti hain
Abhiman “are first year me to wo bas yahaan wahaan hi ghumta tha par second year ke end tak uska ek ladki se affair ho gyaa aur fir

baadmen uskaa usse kaafi gaharaa pyar thaaa par…..” Deepa “par kya sir?”

Abhiman “baadmen uski shaadi kahin aur ho gayi aur usi din aditya ka

badaa accident bhi hua jiski wajah se aditya 2 mahine ke liye komaa men gayaa thaa aur baadmen jab jis din wo coma se uthaa usi din aditya ke mummy papa ki road accident men maut ho gayi..”

Deepa “fir….?”

Abhiman “darasal apne mummy papa ke death ke baad jaraa disturb ho gaya thaa aur kuchh alag hi sa lagne lagaa thaa ..”

Deepa “matlab kaise sir?”

Abhiman “jaise ki jyada baahar nahin ghumta thaa aur sharaab jyad pine laga thaa aur saath hi men din jahaan 1 baar gym karne wala 2-3 baar gym kartaa thaa”

Deepa “fir??”

Abhiman “fir wo yahaan aa gaya taaki sab chijonko bhulaa sake par uske yahaan aane ke kuchh dinon men hi uski girl friend ki maut ho gayi baadmen ek company men kaam karne lagaa aur kaam karke jo paise kamaaye unhi se jis company men kaam karta thaa usi company ki partnership kharid li par yahaan aane ke baad wo kaafi badal gayaa collage men wo bilkul alag thaa par pichhle kuchh dinon se wo pahale jaisaa hone lagaa hain”

Deepa is bich men abhiman ko bilkul tokti nahin hain par baat khatm ho jaane par 2 minat shaanti ho jaati hain

Thodi der baad deepa “sir ab mujhe thoda kaam hain main jaau” Abhiman “haan jaao”..
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 38

Sham ko pooja ke ghar par khaanaq lagne se pahale chachaji, aditya,
Pratap aur abhiman ki mahfil jami hui hoti hai. Darasal jab ghar par Pratap aur aditya aane waale the to abhiman ko bhi pooja dinner par invite kar deti hain. wahaan baithe baithe sab baaten kar rahe the Abhiman “aaj tu aur pooja movie dekhne gaye the?”
Aditya “haan wo dopahar men ghar baithe baithe bore ho gaye the to chale gaye”
Abhiman “accha kiyaa”
Aditya “aur sunaa tere office men kyaa exciting huaa aaj?”
Abhiman “kuchh nahin wo deepa jara tumhaare baaren men puchh rahi thi to kuchh bata diyaa”
Aditya “kis baaren men?”
Abhiman “gujare huye kal ke baaren men”
Aditya “fir tune sab kuchh bataa kar kiye karaaye kaam par paani fer diya hoga”
Chachaji bich men takte huye “ye deepa kaun hain aur kyun aditya ki
puchhta taach se iska kyaa taallukhat?”
Is baat par abhiman aur Pratap hansne lag jaate hain aur aditya chup ho jata hain
Chachaji “are tum log kuchh bataayenge bhi yaa sirf hanste rahoge” hansi ko rokte huye abhiman “papa abhi to kuchh nahin lagti par shaayad jald hi jarur kuchh naa kuchh lagegi” aur kahkar firse donon jor jor se hansne lag jaate hain
Aditya “aap chhodo is baat ko aap ko baad men sab samjhaa dungaa” yeh sunkar abhiman aur Pratap to chup ho jaate hain par chachaji jo samjhnaa hain wo samajh jaate hain
Aditya Abhiman se “haan to kya kya bataya?”

Abhiman “kuchh jyada to bataya nahin par jo bhi bataya censored karke hi bataya”
Aditya “par kuchh pangaa ho jaaye aisaa to kuchh bataya nahin”
Abhiman “nahin to”
Aditya “fir thik hain nahin to mujhe lagaa ki aapne mere ghar rahte huye kuchh nayaa kaam taiyaar kar diyaa hain” is baat par sab hansne lagte hain
Chachaji “aditya wo tum kisi ke baaren men batane wale the” Abhiman “are yeh kya bataayega main batata hun aapko”aur aditya ke taraf dekhta ahain jo ki abhi usi ki taraf dekh raha hota hain
Abhiman adityase “to main kuchh bataau?” Aditya “ab tu hi bataa de”
Abhiman “to baat yah hain ki deepa badi hi acchi sidhi saadi ladki hain mere yahaan hi accounts manager hain aur…….aur…… hamaare sahabjaade ka dil uspe aa gaya hain” firse Pratap aur abhiman hansne lagte hain aur idher aditya bas shaanti se chachaji ki taraf dekhtaa hain Chachaji “yah main kya sun raha hun aditya?”
Aditya “aap jo sun rahe hain wo sahi hain”
Chachaji “to fir kya socha hain tumne uske baaren men?”
Aditya “ab aapse kya chhupana ……. Main to shaadi ke baaren men soch raha hun waise bhi ab umr bhi ho chali hain”
Chachaji “to kab baat karne jana hain ladkiwaalonke yahaan yaa tum akele hi jaaoge?”
Aditya “nahin chachaji abhi waqt nahin aaya hain aur main wahaan baat karne aapko jarur le jaaunga par pahale uske dil ki baat to jaan lene do”

Chachaji “le khayaali pulaaw pakaa liyaa aur aag bhi jalaai nahin” is baat ko sunkar firse sab hansne lag jaate hain

Aditya “main jald hi usse baat karunga aur aapko bataaungaa”

Chachaji “thik hain jab thik lage tab bataa denaa bas”

Tabhi ghar men se chachiji ki aawaaj aa jaati hain ki dinner taiyaar hain sab aa jaaye

Sab saath men hansi majaak ke saath dinner kar lete hain. khaana khan eke baad thodi der baaten karke teenon ghar nikal jate hain.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 39

Donon gaadiyaan saath nikal ke bahar ek mod par aake ruk jaati hain. Gaadiyaan rukte hi teenon bahar nikal aate hain. Abhimaan jaan letaa hain ki aditya kuch puchhna chahtaa hain.

Gaadi se baahar nikalte hain aditya sigratte nikaal kar jalaa deta hain aur packet aage carry karataa hain jismen se Pratap aur abhiman bhi sigratte lete hain.

Aditya “abhiman kya bol raha tha tu wahaan ki deepa kuchh puchh rahi

thi to kya kya bataya tune?”

Is baat abhiman office men hui sabhi baaten bataa detaa hain Aditya “yaar tune use itnaa bataana nahin chahiye thaa”

Abhiman “aaj naa kal to use sab kuchh pataa chalnaa hi hain naa” Aditya “haan hain hi par abhi is waqt?”

Abhiman “tu kab pyaar kaa ijhaar karne wala hain bhai aur us waqt ke liye yah to bas ground taiyaar kar raha thaa”

Aditya is baat ka koi jawaab nahin detaa aur apni dusari sigratte

jalaakar uske kash lene lagtaa hain Abhiman “are kuchh to bol”

Aditya “

wafaa nibhaane men sadiyaan nikal jaati hain

aur ijhaar e ishq karne men jindagi kam pad jaati hain”

Is baat par Pratap aur abhiman donon hans deta hain.

Pratap “yaara yeh tere hi ishq ki bate ho rahi hain kisi dusare ke nahin

jo tu yu is par sher mare” Aditya “jaantaa hun bhai” Pratap “fir kahegaa kab ?”

Aditya “jald hi” aisaa kahakar aditya abhiman ko aankh maartaa hain. Abhiman “yaar thik thik bataa tere man men kya hain?”

Aditya “batata hun batata hun”

Pratap “yaar jaldi kuchh kar nahin to shaayad kuchh aur hi ho jana hain” Aditya “nahin hogaa mujhe puraa yakeen hain”

Abhiman “to bataa de tere dimaag men kyaa khichdi pak rahi hain?”

Is baat kaa jawaab dete huye aditya abhiman aur prataap ko kuchh bataane lag jata hain aur use sunne ke bad teenon hansane lagte hain aur aditya ke haath par taali dete hain.

Is baat ke baad sab log apne apne ghar chale jaate hain aur kuchh dinon ke liye kuchh shaanti chhaa jaati hain jo ki jaruri thi…
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 40

Kuchh din baad abhiman ke office men abhiman deepa ko bulaa letaa

hain aur deepa abhiman ke cabin men chali jaati hain

Abhiman “haan deepa baitho to jaraa main yah 1 chij dekh lun” aisaa kah ke abhiman apne computer screen par kuchh dekhne lagtaa hain. Thodi der baad abhiman “deepa office men agle 7-8 dinon tak koi important kaam hain kya?”

Deepa “main samjhi nahin sir”

Abhiman “dekho kal mujhe jo tour pe jana thaa wo tour pe main jaa nahin saktaa hun kyunki mujhe urgently aaj sham ko hi Chennai jana

pad raha hain”

Deepa “thik hain sir aap jaa aaiye office men koi itnaa urgent kaam to hain nahin”

Abhiman “mere kahne ka matlab yah nahin thaa darasal main nahin jaa saktaa hun is liye tumhe jana hoga idher paas waale tour par”

Deepa “sir lekin main kaise jaa sakti hun?”

Abhiman “kyun jinse kuchh a/c s ke kaam hain wo jadhav sahib se jake puchh lo wo bata denge tumhe aur …….”

Deepa “sir fir aap jadhav sahib ko hi kyun nahin bhej dete? Unhe to

sab pataa hain naa is baaren men”

Abhiman “wo agar chale jaate tour par par ab unki umr ho chali hain is liye unko doctor ne jyada naa ghumne ke liye kahaa hain aur jab unkaa samay thaa tab wo kaafi ghum chuke hain ab unse yah nahin hogaa isliye tumhen bayaa raha hun”

Deepa “thik hain sir waise kitne din ka tour hain sir”

Abhiman “7 dinon kaa hain waise to tumhe jyada official hi kaam hogaa par….”

Deepa “par kyaa sir?”

Abhiman “kuchh kuchh jagahon par technical issues bhi hain aur naye componants ke liye bhi milnaa hain”

Deepa “sir yeh technical related kam to aap hi dekhte ho to fir wo kaise hogaa?”

Abhiman “wohi main soch rahaa hun” tabhi abhiman ne mangaai hui

chai aa jaati hain aur wo apni cigratte nikaal kar uske kash lete huye sochtaa hain aur saamne deepa bhi chay ki chuskiyaan le rahi hoti hain. fir wo jaise achaanak idea aayi ho waise wo kahtaa hain

“aditya………haan aditya ko bhej detaa hun” Deepa “sir par aditya?”

Abhiman “haan usko hamaare production ke baaren men sab pataa

hain aur aaraam se logonse baaten bhi kar legaa tumhe kisise kuchh dimaag lagaane ki bhi koi jarurat nahin padegi par accounts related wo kuchh nahin kar paayega par wo logonko acchi tarah se tacal kar legaa”

Deepa is baat par sochne lagti hain ki sach men wahaan kai aise aadmi aur aise sawaalon se saamna honaa jinko wo sambhaal paayegi Deepa “thik hain sir aap jo thik samjhe wo kijiye”

Abhiman “ek minute main aditya se baat kar letaa hun” yah kahkar wo apna mobile nikaal kar aditya se baat kartaa hain thodi der ke liye aur unke beech kuchh baaten hoti hain aur uske baad abhiman ke chehare par muskuraahat aa jaati hain.

Abhiman “aditya maan gya hain tumhaare saath jaane ko par uska bhi ek din ka kam hain is liye tumhara tour bhi ek din badh jaayegaa” Deepa “thik hain sir ab main jadhav sir ko jaakar milti hun unse bhi baaten karni padegi”

Abhiman “haan thik hain jaao”

Deepa uthkar darwaaje ke paas jaati hain aur kholne hi waali hoti hain ki abhimaan pichhe se aawaj detaa hain “deepa”

Deepa “jee sir”

Abhiman “wo aaj jaldi ghar chali jana sham men jara aditya ko shopping par bahar le jaake usko formal banana nahin to wo tumhaare saath waise hi yahaan wahaan jeans T shirt men ghumegaa”

Deepa “ji thik hain sir”

Abhiman “main chala jata par aaj pooja ke saath sham ko bahar jana hain aur raatko flight bhi pakadni hain”

Deepa “ok sir koi baat nahin”

Abhiman “abhi lunch ke baad wo aata hi hogaa usse mil lenaa” Deepa “thik hain sir”
 
  • Like
Reactions: mashish

mashish

BHARAT
8,032
25,910
218

good update
 
Top