- 4,422
- 1,976
- 143
Update 44
Thodi der tak aditya baitha rahtaa hain. donon khaamosh bahar ki taraf dekh rahe hote hain ki kab aage ke log chal pade par kuchh aisa kuchh unko dikhai nahin de raha hota hain. aditya ghadi men waqt dekhtaa hain to 8:30 baj gaye hain. aditya ke chehare par bechaini aa jaati hain.. wo dekhkar deepa puchhti hain “kyaa hua?”
Aditya “kuchh nahi”
Deepa “bataao bhi”
Aditya “8:30 baj chuke hain” Deepa “haan fir kya hua?”
Aditya “main soch rha thaa ki aage ek dhaabe par aaloo paraathe bade acche milte hain wahaan khaa rahe hote”
Deepa “to thik hain thodi der baad khaa lenge”
Aditya gaadise bahar jaakar sigratte light kar detaa hain aur khade khade smoke kar raha hota hain. Tabhi deepa bhi bahar aa kar dekhti hain. Aditya kuchh disturb hi dikhai detaa hain.
Deepa “kyaa baat hain aakhir?”
Aditya bhi aakhirkar tang aakar kah detaa hain “mujhe bahut jorse bhukh lagi hain”
Deepa “abhi?”
Aditya “haan abhi bahut jorse bhukh lagi hain kuchh aaspaas hain bhi nahin”
Deepa “rahne do mere paas kuchh hain tumhare liye” aisaa kahkar wo car ki backside ki seat kholti hain. idhar aditya apne haathmen ki cigratte fenk detaa hain aur dekh raha hain ki wo nikaalti kyaa hain.
Deepa apni perce nikaal kar us ki zip kholti hain aur usmen kuchh dhundh hi rahi hoti hain. aditya thoda aage jhukkar dekhne ki koshish kartaa hain ki wo kyaa nikalegi. Wo uske perce men se ek buiscuit ka packet nikaalti hain. aur aditya ki taraf badhaa deti hain. aditya aage haath badhhakar uske haathmen se wo packet lekar dekhne lagta hain aur puchhta hain “deepa ye kya hain?”
Deepa “buiscuit”
Aditya abhi bhi us packet ko haath men pakad kar use kisi ajoobe ki
tarah dekh rahaa thaa.
Deepa ka jawaab sunkar wo ek baar deepa ki taraf dekhtaa hain. deepa kuchh samjh nahi pati aur puchhti hain “kya hua tumhe bhukh lagi thi naa khaa lo”
Deepa ki ye baat sunkar wo kahtaa hain “aisee chije main kabhi bhukh lagne par khata nahin hun” aditya ka ye jawab sunkar deepa hans padti hain.
Deepa “khaa lo aam aadmi khaate hain”
Aditya yeh sunkar kahta hain “kahin sunaa tha wo sach hi thaa” yah kahkar deepa ke haath mrn packet kholkar usmen se pahla bite letaa hain.
Deepa puchhti hain “kya?”
Aditya “bhukh lakdaa khati hain” aur donon hansne lagte hain. Ab aditya wo puraa packet apne haath men lekar 2-3 buiscuit khaa hi chukaa thaa ki deepa uski taraf kuchh alag hi najaron se dekhne lagti hain.
Usko aisaa ghurte dekh aditya puchh leta hain “kya hua ab?”
Deepa yahaan wahaan dekhte huye usko jawaab deti hain “mujhe bhi bhukh lagi hain”
Aditya packet aage badhaakar kahtaa hain “all yours madamji
hichkichaaiye mat” deepa sharmaate huye hi usmen se buiscuit leti hain. Buiscuits khaane ke baad aditya puchhta hain “agar aapke paas buiscuit thaa deviji iskaa matlab paani bhi hogaa?”
Deepa han men sir hilaati hain aur firse car men se apni bag nikaalkar usmen se pani ki botal nikaalkar aditya ko thama deti hain. Aditya binaa kuchh soche bas 2-3 ghunt chhod puraa paani pee jata hain. Deepa to
use paani pite dekh aisa muh kholkar dekhti hain jaise koi alien ho. Aditya ye samjh jaataa hain aur paani ki botal thamate huye kahtaa hain “kyaa hua?”
Deepa paani ki botal men bachaa hua paani dekhte huye kahti hain “aap bade dayaalu hain jo itnaa paani mere liye chhod diyaa” aditya ye sunkar hansne lagtaa hain.
Wo saamne jahaan ki taraf jamm tha wahaan dekhtaa hain to use lagta hain ki jald hi traffic khulne waali hain. wo deepa ko kahtaa hain “chalo gaadi men baith jaao” wo donon gaadi men baithte hain ki 2 minute ke intejaar ke baad traffic khuli ho jaati hain. 5 minute gaadi chalaane par wo open road par aa jata hain tabhi wo deepa ki taraf dekhtaa hain aur puchhta hain “bhukh to bachi hogi naa abhi bhi?”
Deepa uski aur dekhti hain par aditya ye baat kyun puchh rahaa hain yah samajh nahin paati. Wo aditya ki taraf dekhe hi jaati hain. aditya firse kahtaa hain “apne pet men ki bhukh bachaaye rakhnaa jald hi nashta karenge” itnaa kahkar wo agala gear daalta hai. Gaadi hawaa se baaten karne lagti hai.
Ab 20-25 minute ki tejtarrar driving ke baad aditya aur deepa ek dhaabe par rukte hain. aditya bahar aakar saamne lagi ek table par aa baithtaa hain aur deepa bhi uske peeche peeche aakar uske saamne baithti hain. tabhi wahaan ek aadmi order lene pahunch jata hain.
Aditya usko dekhkar kahtaa hain “are bhaiyaa jaraa 4 aloo paraathe, dahi, raayta, aachar lekar aaiye to” wo aadmi order lane chalaa jata hain. aditya deepa ki taraf dekhkar kahtaa hain “yahaan ke parathe bade famous hain”
Paraathe aane ke baad deepa dekhti hain ki aditya uske double ki
speed se khaa raha hain wo dusari baar bhi order dekar parathe mangwata hain aur deepa ko puchhta hain “tumhaare liye kuchh aur?” Deepa “kuchh nahin chahiye meraa pet bhar gaya hain”
Aditya “are aise kaise abhi to lassi aani baaki hain”
Sab khana pinaa hone ke baad deepa aditya ko kahti hain “mujhe nahin pataa thaa tum itne petu ho”
Aditya uski taraf ek baar dekhtaa hain aur kahtaa hain “aakhir kamaate bhi to isi pet ke liye hain khaao”
Deepa “meraa pet bhar gaya hain”
Aditya “baadmen mat kahnaa ki maine bataayaa nahin” Deepa “kyaa?”
Aditya “ab hum jahaan jaa rahe hain wahaan khaane ke time ka kuchh
andaja nahin rahtaa shaayad kaafi der ho jaaye” Deepa “rahne do meraa to pet ab bhar gaya hain”
Aditya “jaisee tumhaari marji” kahte huye paraathe khatam kiye aur
order bhi de di lassi ke liye.
Khana ho jaane par gaadi ki taraf jaate huye deepa aditya se kahti hain “mujhe nahin pataa thaa tum itne petu ho kabhi tumhe ghar pe khaane pe bulaaungi nahin”
Aditya ye baat sunkar usko bas smile pass kar detaa hain aur binaa kuchh kahe aage chaltaa jata hain. aditya ke saath car men baithkar wo open window mwn se bahar ka najaaraa dekh rahi thi. aditya apni ghadi men waqt dekhtaa hain aur deepa ko kahtaa hain “tum apni window band karo”
Deepa window band karke aditya ki taraf dekhte huye puchhti hain “kyun kyaa hua?”
Aditya “kuchh jyada hi der ho gayi hain hamen isliye”
Deepa “der hone ka aur window band karne ka kyaa sambandh?” Aditya gaadi ka accelerator dabaate huye kahtaa hain “window open ho to gaadi tej bhagane men problem ho jaati hain”
Deepa aage kuchh dekhti nahin wo ba saamne dekhte jaati hain ki kis tarah aditya jyada speed men bhi gaadi bahut aasani se overtake kar raha hain. wo kuchh waqt gujarne ke baad speedometer ki taraf dekhti hain to use pataa chaltaa hain ki aditya gadi 150+ bhagaa raha hain Deepa thodaa tence hokar aditya se puchhti hain “kahin gaadi kuchh jyada speed se to nahin chalaa rahe ho tum?”
Aditya saamne dekhte huye hi jawaab detaa hain “nahin to”
Deepa agalaa sawaal uspar daag deti hain “ye gaadi tum itni easily itni speed par bhagaa kaise rahe ho?”
Aditya hanste huye jawaab detaa hain “gaadi ke intek manifold modified hain aur is gaadi men kuchh khaas baat hain …… kyunki ye meri gadi hain”
Deepa agale mod par jab wo ek gadi ko overtake kar raha hotaa hain tab aankhen mund kar kahti hain “jaraa sambhaal ke…”
Aditya saamne se binaa najar hataaye kahtaa hain “tum ab chup baithe thodi der mujhe gaadi chalaane par concentrate karne do”
Deepa ab aise hi saamne dekhti rahti hai ki ab kuchh hogaa yaa badmen.
Atlast aditya city ke side men bani hui ek badi si company ke gate par gaadi rok detaa hain….