- 4,422
- 1,976
- 143
awesome update bhai ji
good update
thank you for appreciatingnice update
awesome update bhai ji
good update
thank you for appreciatingnice update
good updateUpdate 47
Dusare din subah deepa ghadi dekhti hain. ghadi men 8 baj chuke hain. kal subah 7 baje taiyaar aditya ka phone bhi nahin lag raha tha aur naa hi wo intercom ko uthaa rahaa thaa. Deepa faisalaa kar leti hain ki ab wo aakhir maajra kyaa hain yah aditya ke room men jaakar dekh aayegi.
Deepa jakar aditya ke room ka darwaja khatkhataati hain. andar se kuchh halchal nahin hoti wo ab dusari baar jor se dastak deti hain. kuchh aur dastakon ke baad darwaj khul jata hain. aditya apni aankhon ko masalte huye darwaj kholtaa hain.
Jaise hi aditya darwaja khol deta hain deepa ke naak ko sharaab ki tej gandh jaati hain. wo apne haath se turant rumaal nikaal kar apne naak par laga deti hain. aditya ko yah samajhte der nahin lagti ki usko
sharaab ki gandh aa chuki hain wo turant pichhe hat jata hain. deepa ko kuchh samjh nahin aata ki ab aditya ko kyaa bole.
Aditya seedha apne room ke andar chala jata hain. Deepa uske pichhe
andar chali jaati hain. Aditya binaa der kiye brush nikaal kar uspar tooth paste lagaa deta hain. Deepa uspar najare gadaaye rakhti hain, deepa ke isprakaar se dekhne se aditya thoda nervous ho jata hain aur wo apni najare neechi kar letaa hain.
Deepa ko lagta hain ki aditya raat men wapas jaakar firse sharaab piya hain. Par darasal wo kahin aur hi gayaa thaa par wahaan usko unkaa saath deneke liye thodi aur peeni padi thi.
Deepa room service men call karke chaay mangwaa leti hain. Aur idhar aditya brush karne ke liye andar bhaag jata hain. Kuchh der baad aditya jab brush karke aataa hain tab saamne ke table par chaay rakhkar koi bahar nikal rahaa thaa. Aditya deepa ke saamne aakar baithtaa hain, par wo deepa se najare milaa nahin sakta thaa.
Wo aise hi niche najare kiye saamne ka chay ka cup uthaa letaa hain. chaay ki sip lekar ab wo thodaa sa dhiraj baandh kar deepa ki taraf dekhta hain to wo paata hain ki deepa uski hi najaron men najare dale baithi hain. uske ek haath men chay ka cup pakdaa hua hain aur wo use kuchh thandaa kane ke liye uspar foonk maar rahi hain.
Aditya ab chaay ki ek aur sip lete huye use najaron se hi puchh letaa hain ‘kya?’. Deepa sar ko hilaa kar ‘kuchh nahin’ ka ishara kartaa hain . Darasal men deepa ke man men kaafi sawaal umad rahe the par wo use kaise puchhe yah soch soch kar hi nervous hoti jaa rahi thi.
Chaay ka cup khatam karke aditya saamne ki diwar ki ghadi dekhtaa hain. time dekhte hi uske maathe par shikan aa jaati hain, wo turant hi
ek haath apne sir par maar letaa hain. Wo turant bed ke nichese apni bag nikaal leta hain. Aur deepa se kahtaa hain “chalo main ab nahaane ko jata hun”
Deepa kuchh kah nahin paati wo apni chay khatam karke cup saamne rakhkar apne room men jaane ke liye uth jaati hain. deepa jaise hi mudti hain aditya ko kuchh yaad aata hain isliye wo deepa ko aawaaj deta hain “deepa…”
Deepa pichhe mudkar uski taraf dekhti hain par kuchh kahti nahin. Tabhi aditya hi agala sawaal puchh leta hain “itni der ho gayi tumne mujhe uthaaya kyun nahin”
Deepa “mujhe laga tum ready hoge isliye main nahin aayi”
Aditya “thik hain” sirf itnaa kahkar aditya bathroom ki taraf bhaagta hain aur deepa uske room men se bahar nikal aati hain.
Deepa apne kamre men aakar bed par baith jaati hain. Is waqt uske man men kai sawaal umad aate hain. Par wo unko apne man men hi dabaaye rakhkar sochti hain ki baad men iske jawaab maangengi. Wo kuchh der aise hi apne aap se unke jawaab jaanne ki koshish karti hain par unmen wo asafal rahti hain. Ant men wo in sawaalon ka jawab khudse dhundhnaa band kar deti hain.
Kuch der baad aditya uski room kaa darwaja kahtkatata hain. Deepa darwaj khol uske saath bahar aane lagti hain. Donon saath men bahar ki taraf nikal padte hain. aaj aditya binaa der Karen road ki side par hi ek restaurant men nashte ke liye gaadi rok detaa hain.
Waiter se kuchh mangwaane ke baad aditya ab deepa ki taraf dekhtaa rahtaa thaa aur soch men dub jata hain ki kal raat use akelaa chhodkar bahar jana nahin chahiye thaa. Aditya apne hi khaayaalon men gum ho
jata hain. idhar deepa apni kashmkash se baahar nikal kar faisalaa kar hi leti hain ki wo aditya se sawaal puchh hi legi.
Deepa “aditya……” is aawaaj se aditya ki soch jarur tut jaati hain par
uske man tak kahaan baat pahunchti hain. wo deepa ki aankhon men aankhe daal dekhtaa hain. deepa firse apna puraa sahas jutaa kar use puchh leti hain “kal raat tum kahaan gaye the?”
Aditya niche gardan kiye kuchh soch hi rahaa hota hain ki deepa ko kyaa jawaab de, tabhi waiter magwaya hua dosa lekar aataa hain. aditya pahale to kuchh uthaataa nahin bas uske saath diye huye saambar men chammach gol gol ghumata hain. deepa ki aankhe to aditya ki taraf hi lagi hui thi. maano unhe kisi explaination ki jarurat thi, aur wo unkaa haq bhi thaa.
Aditya ek tukadaa todte huye upar deepa ki aankhon men dekhtaa hai to wo unmen chhupi baat jaan letaa hain. wo us niwaale ko chabaate huye kahtaa hain “deepa tum jitnaa sochti ho ye dunia usse kai gunaa jyaadaa kharab hain”
Deepa “matlab?... aur iskaa tumhaare rat ko bahar jaane kyaa tallukaat?”
Aditya samjh jata hain deepa ne dunia ke abhi pure rang tang dekhe hain nahin yaa fir wo aisaa dikhaana chahti hain. Aditya badi asamanjas men pad jata hain wo deepa se kahtaa hain “saamne ka dosa khaao main samjata hun” aisaa kahkar apna niwala sambar men bubaakar muh men daaltaa hain. Deepa ek niwaala lekar shuru jarur ho jaati hain par uske man men yahi thaa ki aditya ab kyaa batata hain .
Aditya sir ko niche hi jhukaaye huye kahtaa hain “tumhe kyaa lagtaa hain ye bhukhe bhediye jinke haath men sab kuchh hain ye sirf ek
dinner aur kuchh mithe bol inpar hi kaam ki line dete hain?”
Deepa ki to kuchh samajh men nahin aataa wo apni maasumiyat se kahti hain “par tumne unhe sharaab bhi to pilaai thi aur ye tumse paise lenge bhi kaise?”
Aditya ko to ab sachmuch men aisi situation men hansi aa rahi thi ab wo baat taalne ke liye hanste huye kah detaa hain “unko wo bhi kam hui thi isliye aur pilaane le gayaa thaa”
Ye sunkar deepa ki jaan men jaan aayi ki usne jo bhi sochaa thaa wo sahi thaa. Ab wo yah sunkar bol padti hain “aditya itni jyada sharaab pinaa accha nahin hotaa hain”
Aditya ab tak pure speed se khaane par tut padaa thaa wo sir uthaakar kahtaa hain “main roj thode hi pitaa hun… par aisi jagah par naa nahin kah sakte isiliye problem ho jaati hain”
Deepa ki bhi samajh men aa jata hain wo bhi kuchh kahti nahin. Breakfast karke ab nikal padte hain. par aaj deepa man men than leti hain ki sham ko wo akeli dinner karegi par aditya ke saath party men nahin jaayegi.
nice updateUpdate 48
4 dinon tak yahi routin follow hone ke baad ek sham ko kaam khatam karne ke baad aditya deepa ko kahtaa hain “aaj hum kisi guest house men nahin rukenge balki aaj ham kahin aur jaane wale hain”
Deepa ko to kuchh samjh hi nahi aataa wo to bas aditya ka muh hi dekhti rahti hain. aditya jaise taise aaj ke is company men ke logonki party taal kar car ki taraf nikal aataa hain. deepa pahle se hi car men baithi hui thi. aditya aate hi car ki dash board par ke packet men se cigratte nikaal kar lite karte huye car start karta hain. car daudti hui high way par daakhil hoti hain.
High way par aate aate aditya ki ciggratte khatam ho jaati hain wo deepa ki taraf dekhte huye kahtaa hain “deepa tum kal kyaa karnaa chahogi?”
Deepa aditya ki baat ka matlab samjh nahin paati. Use kuchh samjhe iske pahale hi aditya ek aur sulgaa deta hain. Deepa puchhti hain “main kuchh samjhi nahin”
Aditya “kal tumhe chhutti hain. kal sham ko main ek fuction attend kar raha hun tum mere saath aaj se hi wahaan chalogi”
Deepa “main tumhaare saath kyaa karungi wahaan? Aur ye kaunsa
function hain?”
Aditya “hain ek birthday wahaan jana hain mujhe aur fir wahaan main rahungaa kai aur logonse tumhaari pahchaan bhi ho jaaogi aur saath men kisi star wagairaa ko dekhne ki khwahish ho to wo bhi shayad puri ho sakti hain”
Deepa kuchh samajh nahin paati par wo than leti hain ki wo aditya ke saath function jarur attend karegi. Aditya ke gaadi ab high way par hawaa ki raftaar se baaten karne lagti hain.
Gaadi jaise chalne lagti hain deepa ko baithe baithe kuchh nind si aane
lagti hain au wo nind kr aagosh men khoyi chali jaati hain. 2 ghante aditya lagataar gadi chalaate jata hain. kuchh der baad jab gaadi ek shahar men ghusti hain deepa ki nind tut jaati hain. deepa dekhti hain ki aditya badi hi saawdhani se gaadi chalaa rahaa hain.
Kuchh hi der men aditya city ke dusare chhor par bane ek bahut bade haweli ki taraf daudtaa chalaa jataa hain. deepa dekhti hain ki ek bahut hi haweli ke bahar bane gate se kuchh 2-3 car ke picche unki car khadi hain. yah haweli aur gate ke baach men bhi bahut badaa faaslaa thaa
par fir bhi us domanjali haweli ka aakaar dekhkar hi bantaa thaa. Deepa dekhti hain ki 3-4 aadmi haathon men banduk liye shayad security guards sabse aage waale gadi ki andar jane ke liye talaashi le rahe hain. unmense ek aage badhkar unke saamne ki gaadi men
dekhta hain. aura age aakar wo unki gaadi ki taraf aataa hain. usko aate dekh aditya apni taraf ke window kholta hain.
Wo aadmi sidhe aakar aditya ki window ki taraf dekhta hain. aditya ko dekhte hi wo salam kartaa hain. Aditya bas najar se hi gate ki taraf dekhta hain. wo aadmi sir hilaakar haan ka ishara kartaa hain aur wo deepa ki taraf dekhta hain.
Aditya “mere saath hain” itnaa kahkar gaadi ka accelerator dabata hain. wo security guard side ko ho jata hain aur gate kholne ko kahtaa hain. aditya apni gadi side se nikaal kar andar ghus jata hain. deepa to kuchh samjh nahin paati ki kyun unki gaadi bina checking huye andar
aa gayi? Yeh itnaa badaa ghar hain kiskaa aur aditya ka yahaan aane ka kyaa kaaran hain? bas wo aate aate name plate par likha hua ‘pandurang niwas’ yah naam padh leti hain.
Gaadi jaise hi andar ghusati hain to wo dekhti hain ki wo jis raaste se
jaa rahi hain uske ek or badaasa lawn thaa aur dusari or ek accha khasa garden tha. Deepa saath men yah baat bhi dekhti hain ki puraa area ko ek uncha compound banaa hua thaa. Haweli sachmuch men bahut badi thi dur se jitnaa dikh rahi thi paas jaane par uskaa sahi andaja ho rahaa thaa.
Aditya gaadi sidhi laakar haweli ke seedhiyonke saamne rokta hain. gaadi se utarkar aditya pichhe ki dicci kholta hain. wahaan se ek naukar daudta hua aataa hain aur aditya use apni bags dikhakar kahta
hain ki ye uski hain aur baaki 2 madam ki. Aur seedhe aage badhkar seedhiyan chadhne lagta hain. deepa kuchh samajh nahin paati hain so wo aditya ke pichhe nikal padti hain.
Hall men samne hi kuchh tasweeren lagi hui thui jin men se ek men ek accha khaasi body rakhne wala aadmi haath menki talwar jameen par tikaaye huye saamne dekh rahaa hain. uske baju men hi ek aur tasweer lagi hui thi jismen usi aaadmi ke saath koi aurat bhi thi. yah saaf saaf pratit hotaa hain ki wo donon pati patni hain par us tasweer par ki maalaa dekhkar samjh jaaoge ki dono ab is dunia men nahin rahe hain. saath men ek aur photo bhi lagi thi jismen ek aur aadmi kuchh aise hi pose men apni patni ke saath khada thaa. Par is photo par mala nahin thi yaani ye jinda hain.
- seedhiyaan chadhkar aur saamne ka baramadese aage jaakar jab wo ghar ki chaukat ki taaraf jaati hain uski najare ye kaafi aaram se dekh leti hain ki yah chaukat par kiyi gayi kalaakari jitni naajuk hain utnaa hi yah darwaja majbut hain. wo aage badhkar saamne ke hall men hi aa jati hain.
Wahin side par lage ek photo ki taraf uski najar jaati hain yah photo ek 32-35 ke darmiyaan ke jode kit hi. Uspar bhi maala lagi hui thi. par naa jaane kyun deepa ko usmen kaa aadmi ki shakal men aur aditya ki shakal men kuchh kuchh similarity najar aati hain. par is baat ko jyada man par naa liye wo aage badh chalti hain.
Wo thodaa aage najar daudaati hain dekhti hain ki deewar par kuchh ek sher, tendua aur 2-3 sambar hiranon ke sir lage huye hain. saath hi men wahaan 2 jagah par 2 talwaaren aur dhal bhi lagi hui thi. deepa ki najar ab upar ki taraf jaati hain to ek bahut hi bada jhumar uski
shaan badhaa raha thaa.
Wahaan saamne sofe par ek budha par kaafi raubdar aadmi baitha tha aur uske saath baithe koi 4-5 aadmi kuchh baatchit kar rahe the. aditya aage jaakar unke pair padta hain aur wo aadmi usko uthaakar sine se lagaa leta hain. 2-3 minute ki baatchit ke baad aditya wahaan se deepa ke paas aakar aage badh chalta hain. us budhe aadmi ko dekhkar pataa nahin kyun deepa ko aisa lag raha tha ki usne use kahin to dekha hain, par use wo yaad nahin aataa.
Tabhi saamne se ek kuchh 27-28 umr ki shashuda aurat aati hain. wo aati hain to aditya uske saamne jaakar khada ho jata hain. usko dekhkar hi wo aurat puchhti hain “aao aditya safar kaisa raha?” Aditya “accha hi thaa vaishnavi koi jayada takleef nahin hui”
Deepa yahaaan wahaan dekh hi rahi thi. ki vaishnavi ki najar uspar padti hain aur wo aankh se hi aditya ko puchh leti hain ki ‘ye kaun hain?’
Aditya “deepa” deepa ko aawaj deta hain tab deepa aditya ki taraf dekhti hain wo uske dekte hi saamne vaishnavi ki taraf haath dikhate huye kahtaa hain “inse milo ye hain vaishnavi Jahagirdar, is ghar ke sabse badi bahu” aur ab usko deepa ki pahchaan karwaate huye “ye hain deepa, abhiman ki company ki hi accounts manager hain aur official tour par aayi hain”
Deepa aur vaishnavi ek dusare ko Namaste karte hain. vaishnavi kahti hain “safar se kaafi thak gaye hoge tum to jaraa upar kamron men jaakar fresh ho jaao” aur donon vaishnavi ke pichhe pichhe chalne lagte hain.
Vaishnavi ke parichay ke bad kuchh kuchh deepa yeh samajh jaati hain
ki wo state ke minister annasaheb Jahagirdar ke ghar par hain, aur wo budhha aadmi annashaeb hi thaa. Par wo aditya ka vaishnavi ke saath ka bartaaw dekhkar yah kayaas bilkul bhi nahin lagaa sakti ki wo uski bhabhi hain aur aditya uskaa potaa. Par surnames ek hone se wo ye sochti hain ki aditya unka koi rishtedaar hogaa.
awesome updateUpdate 49
Vaishnavi ek kamre ke saamne aakar ruk jati hain tabhi us kamre se ek naukaraani bahar nikalti hain. Vaishnavi deepa se kahti hain “tumhaaraa sab saaman andar pahunch chukka hain kuchh chahiye ho to aawaaj de dena”
Iske baad aditya aur vaishnavi kuchh batiyaate huye aage ki galiyaare ki taraf badh jaate hain aur deepa room men chali jaati hain. wo room ki chamchamahat dekhkar hi fidaa ho jaati hain. usne aise kamre aajtak kabhi asali men dekhe hi nahin the bas sune hi the ya filmon men
dekhe the.
Deepa ko aditya ka vaishnavi ke sath ka wyawhar kuchh kuchh ajeeb lagta hain. wo uske baaren men sochte huye fresh hone chali jaati hain. Wo fresh hone ke baad bed par baith kar soch hi rahi thi ki wo kyaa Karen tabhi daraaje par dastak hoti hain. deepa darwaja kholti hain to saamne aditya khada thaa. Wo ab firse uske saamne waise hi khadaa thaa jaise ki use wo pahali baar milaa thaa.
Aditya dipa ke room men aakar uske bed par hi baith jata hain. room ka interior dekhtaa hain aur usse puchhta hain “room ka interior guest room ke mukaabale bahut hi accha hain nahin?”
Deepa saamne se kursi khinchkar uski taraf muh karke baith jaati hain aur kahti hain “haan …. Kaafi accha hain… infact aise kamre maine aajtak real men dekhe hi nahin hain…. lagta hain ki jiase main kisi
sapne men hi hun”
Aditya ye sunkar hanstaa hain. aditya ko hanste dekhe wo kahti hain “tumhaare liye to ye kuchh tajjub ki baat nahin hogi naa… tum bhi ek bahut bade aadmi ho… par hamaare jaise middle class walonko to ye naseeb men nahin hain”
Aditya muskuraakar kahta hain “main badaa aadmi jarur hun ar wo apne vicharonse aur dimaag se par rahane men main bhi middle class ke jaisaa hi hun”
Is baat deepa jaraa apne facial expreccions se ye dikhati hain jaise ki
wo kaafi dhyaan se sun rahi hain. tabhi aditya ko samjh men aata hain aur wo usko coreect karte huye kahtaa hain “accha chalo upper middle class” aur ek smile pass kar deta hain.
Deepa usse puchhti hain “mujh jaise binaa pahchaan waale ko itnaa alishan kamraa diyaa hain to tumhaare liye to isse bhi koi accha kamraa hogaa?”
Aditya “nahin… ye sab sochne ki baaten hain darasal men mujhe store room men jagah diyi hain. kahaan hain koi aur room khaali nahin hain to yahi bas jaao ab” itnaa kahkar wo shararati si muskaan detaa hain Deepa “funny haan mujhse is baaren men jhuth mat bolo”
Aditya “are jhuth kahaan tum aakar hi dekh lo main jis room men rukaa hun. Wahaan yahaan wahaan saaman padaa hain. kai jagah par kai saare posters lage huye hain aur bed to double wala hain par saamne ps ki cds bikhari padi hain… man kare to tum aakar dekh lo”
Deepa “ab to pataa lag gayaa ki tum kitne jhuthe ho main to ab kitne kahne par bhi wahaan aaungi nahin”
Aditya “thik hain mat aao tum aaogi ye sunkar hi koi wo kamraa saaf
karwaa dega aur kai chije wahaan jis handy situation men hain wo naa jaane kahaan chali jaayengi”
Deepa uski baat sunkar bas hans deti hain. aditya use saath men
garden men ghumne ke liye kahtaa hain. deepa thodi naanukur ke baad aane ke liye maan jaati hain. aur wo donon bahar nikal aate hain.
Bahar aakar garden men ghuste hi aditya apni jeb se ciggratte nikaalkar
lite kar detaa hain. ise dekhkar deepa kuchh gusse se hi aditya ki taraf dekhti hai aditya sab samjh jata hain.
Aditya “are yaar 1 to smoke kar lene do subah se ye teesari hi hain.
waise bhi vaishnavi ne dekh liya to wo bhi pravachan sunaane lag jaayegi”
Deepa “accha yaani tum kam kar rahe ho” aditya is baat par ek
gaharaa kash lete huye apni gardan haan men hilata hain.
Deepa ki curiocity kuch kuchh badhne hi lagi thi. kuch pal gujar jaane par wo sidhe point par aakar puchh hi leti hain “ye bataao tum yahaan aaye kis liye ho?”
Aditya ab paidal chalte chalte bore ho chukka tha so wo ab ek garden men bane huye picnic table par baith jata hain. wahaan baith kar hi wo jawaab deta hain “anaa sahib ka kal birth day hain is liye aayaa hun” Deepa “anna sahib tumhaare kyaa lagte hain? I mean tum donon ke surnames…”
Aditya turant uski baat ko kaat kar kahtaa hain “dur ke rishtedar hain ab papa nahin rahe to mujhe hi sab jagah jana padta hain”
Deepa “oh…” kahkar kuchh samajhne jaisaa cheharaa banaa leti hain. par aditya apni hoshiyaar se use ye pataa nahin lagne detaa ki wo ek minister ka pota hain.
Ab wo baithe baithe hi yahaan wahaan dekhtaa rahtaa hain. raat ki is andhere men us garden ke lage huye mild light men wo deepa ki taraf dekhtaa hain. aur naa jaane use usmen kyaa dikhtaa hain..
Waise sach hi kahte ki agar aap kisise pyaar karte ho to uske aaankhon men ya uske chehare men aapko puri dunia dikhai dene lagti hain. aditya ki halat bas waisi hi thi wo bas ektak deepa ki taraf dekhe hi jaa rahaa thaa. Deepa ye dekhti hain ki aditya usi ki taraf dekh raha hain, wo sharmaa kar dusari taraf dekhne lag jata hain.
Kuchh palon ke baad ek naukar ki aawaaj se aditya ki ye priyaaradhnaa tut jaati hain. wo naukar darasal men vaishnavi ne khaane par bulaane ke liye bheja hua thaa. Aditya use kah detaa hain “hum aa rahe hain kah do”
Thodaa ghum fir kar aditya aur deepa ghar ki taraf badh jaate hain.
aditya dekhta hain ki vaishnavi darwaaje ke saamne hi uski raah dekh
rahi hain. aditya andar jaate hi vaishnavi aditya ko puchhti hain “ghum aaye”
Aditya ek smile ke saath “haan” kah deta hain. Vaishnavi “puraa ghar dikhaa diya?”
Aditya “ghar dikhana tumhara kaam hain… mejbaan tum ho… main to
bahar ka area dikha laaya”
Vaishnavi kuchh chidhhane ke liye puchh leti hain “dikhaa hi rahe the yaa fir?” karke haath se smoke ka ishara karti hain. deepa is baat par neeche gardan jhukaakar hanta hain aur aditya kuchh sharmaakar apna haath apne baalon par ghumaate huye sir niche jhukaye vaishnavi ko smile deta hain.
1 second men hi wo deepa ki reaction dekhne ke liye uski taraf dekhtaa
hain. deepa ko achanak se yah ehsas hota hain ki aditya uski taraf dekh raha hain wo seedhi khadi hokar bas aditya ki taraf dekhti hain.
Vaishnavi fir bol padti hain “tum sab Jahagirdar surname lagaane
waale naa bas …… tum sab ke aage bas ab maatha teknaa hi baaki rah gaya hain par koi sudhregaa nahin”
Aditya “are nahin vaishnavi ab kaafi control men hain din men bas 3
baar hi” aditya thodaa confidence men aakar chhati chaudi karte huye boltaa hain
Vaishnavi ka iske liye jawab taiyaar hi thaa “to ab kyaa aarti utaaru ya
kuchh aur?”
Aditya is baat par bas gardan niche jhukaaye hansta hain aur deepa ki taraf dekhta hain. vaishnavi ke chehare par bhi ek shararat bhari muskaan thi.
Aditya tabhi baat palataane ke liye kah deta hain “vaishnavi bahar se aayaa hun badi bhukh lagi hain kuchh apne haath ka banaa khilaa do… haan naa deepa?” aur deepa ki taraf dekhtaa hain.
Is apratyashit hamale ke liye deepa bilkul taiyaar nahin thi. ab vaishnavi bhi usi ki taraf dekh rahi thi. aditya tabhi pichhe hatkar dining room ki taraf khisak leta hain. usko nikaltaa dekh donon bhi usi ke pichhe ho jaati hain.
Khaanaa ho jaane ke baad kuchh der time pass hota hain. deepa apne room men sone ke liye chali jaati hain. aditya kuchh der baad sochta hain ki deepa ko dusare din ka kuchh program bataa diya jaaye.
lovely updateUpdate 50
Aditya ja pahunchta hain deepa ke room ke bahar aur uskaa darwaja khatkhatata hain.
Deepa darwaja kholti hain to dekhta hain ki saamne aditya khada hain
wo samjh jaati hain ki aditya kuchh jaruri baat kahne ke liye aaya hain. wo aditya ko andar bulaati hain. aditya uske pichhe andar chale jata hain aur samne rakhi kursi par baithta hain.
Aditya “kal koi jyada kam nahin hain tum yahaan ruk jaao mujhe kuchh kaam hain din men main wo jakar karke aaungaa”
Deepa “nahin mujhe yahaan akeli ko mat chhodo, akeli main yahaan
bore ho jaaungi main bhi tumhaare saath chalungi”
Aditya “thik hain fir kal bahar jaayenge aur din bhi jyadatar free rahega to tumhe yah city bhi dikhaa laaungaa”
Deepa bas “haan” itnaa hi kah paati hain tabhi wahaan dawaaje men se vaishnavi andar aa jaati hain.
Vaishnavi andar aate hi aditya se puchhti hain “tum kya kar rahe ho
yahaan?”
Aditya “kal kahaan kahaan jana hain ye bataane aayaa thaa …… tum kyun aayi ho?”
Vaishnavi aditya ke sawaal ko binaa jawaab diye deepa ki taraf muh karke puchhti hain “kuchh chahiye ho to bataa do”
Deepa “ji kuchh nahin chahiye sab hain yahaan”
Aditya firse ab vaishnavi par ek aur sawaal daag deta hain “tum yahaan ghum rahi ho, tumhara pati kahaan hain?”
Vaishnavi “tour par gaye hain kal aayenge”
Aditya “are kal unke ghar par function hain aur mehmaan aa gaye hain par mejbaan hi gayab hain”
Vaishnavi “main hun naa yahaan mejbaani karne ke liye” Aditya “mujhe tumhaari mejbaani nahin chalegi”
Vaishnavi “to fir daddy se kah deti hun ki tumhe khatirdari ki jarurat
hain”
Adityaa jara dara hua chehraa karke “are daraaogi kyaa? Chalo thik hain ham tumhaari hi mejbaani se kaam chalaa lenge”
Vaishnavi bas muskuraa deti hain
Aditya “Vikram ka to thik hain wo tour par hain… par Virat aur Vikas kidhar hain?”
Vaishnavi muh fulaakar jawaab deti hain “Virat uski biwi ko lene uske mayke gaya hain aur Vikas ka koi maalik hain kya?”
Aditya “hain naa..”
Vaishnavi “kaun?” Aditya “tum..”
Vaishnavi “dhat kuchh bhi … wo bhi aa jaayega kal uskaa bhi phone
aaya thaa ki wo kahin dostonke yahaan hain kal dopahar taka a jaayegaa”
Aditya “thik hain”
Vaishnavi “tumhe nahin lagtaa ki ab hum deepa ko kuchh jyada hi apni baaton se pakaa rahe hain?”
Aditya kuchh sochkar “haan thik kahaa tumne.. chalo tumhare kamre
men bahut saari baaten karni hain tumse mujhe” Vaishnavi “ab mujhse kyaa baaten karni hain?” Aditya “tum chalo main batata hun”
Deepa kuchh samajh nahin paati par donon firse ek baar uske saamne se nikal jaate hain wo bhi hanste huye aur joke karte karte. Deepa kaafi der raat tak yah sochti rahti hain ki aditya ko kyaa private baaten wo bhi vaishnavi ke saath karni hain? Par baad men wo sochti hain ki aakhir wo uski rishtedar hain kuchh naa kuchh khichadi pak rahi hogi un
donon men aur wok al iskaa kuchh pataa laga legi.
Ab mujhe apne readers ko koi bataane ki jarurat nahin hain ki agar aap kisise pyaar karte ho to use kisi aur ke saath aisee meethi baaten karo ya aisa wyawhar karne par aapko kyaa mahsus hota hain. Bas deepa yahi sab kuchh mahsus kar rahi thi.