Update 51
Subah wo uthkar taiyaar ho jaati hain aur raah dekti hain ki koi aaye. Kuchh der baad hi darwaje par khatkhataahat ki aawaj sunai deti hain. is baar darwaaje par vaishnavi thi. wo deepa ko chaay ke liye bulaane aayi thi.
Vaishnavi “good morning” Deepa “good morning”
Vaishnavi “niche aa jaao chay taiyar hain”
Deepa “aditya kahaan hain?”
Vaishnavi samajh jaati hain ki deepa kuchh nervous hain kyunki itne bade ghar men wo ek aditya ke saath aayi hain aur use saamne nahin dekhkar wo nervous ho rahi hain. par wo aditya ki baat sunkar hansne lagti hain. deepa ke man ki haalat aur bhi kharab ho jaati hain.
Vaishnavi “laat sahib abhi tak uthe nahin honge” Deepa “kuchh samajhi nahin”
Vaishnavi ek muskaan ke saath jawab deti hain “aditya jab bhi yahaan
aata hain to tension free rahkar jeeta hain, jo man men aaye wo chij wo kartaa hain. aur aisee halat men iti jaldi uthna naamumkin hain”
Deepa “main jaakar uthaau?”
Vaishnavi “maine jitna jana hain uske hisaab se ‘aditya ko nindse uthana badaa hi mushkil kaam hain’”
Deepa “dekhti hun firbhi”
Vaishnavi bas smile dekar “best of luck” kahti hain aur use aditya ke room ka rasta bata deti hain.
Deepa aditya ke kamre ke bahar khdi rahkar darwaja knock karti hain.
lagatar kai knocking ke baad jaakar darwaja khulta hain. aditya apni aankhe malte huye darwaja kholta hain aur andar chala jata hain. is baar deepa aditya ko dekhti hain to wo night pant aur upar to bus vest pahane huye thaa. Usmense deepa ko aditya ki body kaafi acchi tarah se dikh rahi thi.
Aditya andar jaate hi deepa bhi uske pichhe andar chali jati hain. wo room dekhti hain to usmen sachmen ek side men usne jaise kahaa thaa TV, PS, Cpu aur usse related chijonka ambaar laga hua thaa room men ek side men punching bag aur boxing gloves tange huye hain. ek kone men bed hain uske side men book shelf, study table wagairaa rakha hain. Ek side men wardrobe banaa hua hain wo room ko dekh rahi thi.
Firse aakar aditya apne bed par ludak jata hain. deepa saamne ki kursi khinchkar uske saamne baith jati hain. deepa soye huye aditya ko dekhti rahti hain aur kuchh sochne lag jati hain.
Wo achanak se aditya ko puchh leti hain “ye room hain aakhir kiska?” Aditya sote huye hi jawab deta hain “meraa hain”
Deepa soch men pad jati hain ki ki is ghar men aditya ka kamra kaise? Wo aditya ko apne jahan men uthne wala sawaal puchh hi leti hain “is ghar men tumhara kamra kaise?”
Deepa soch men pad jati hain ki ki is ghar men aditya ka kamra kaise? Wo aditya ko apne jahan men uthne wala sawaal puchh hi leti hain “is ghar men tumhara karma kaise?”
Aditya ki isi sawal se nind ud jati hain wo apni jeebh apne hi muh men kaat leta hain aur uth kar deepa ki taraf dekhte huye kahta hain “dekho jaise tum jis kamre men thahari ho wo tumhara waise hi ye mera” Deepa ke muh par kuchh kuchh samajh aane ke bhaav dekhkar aditya sukun ki saans chhodta hain. deepa khati hain “utho bhabhi bula rahi hain nashte par”
Aditya “thik hain main abhi thodi der men aataa hun tum jaao” Deepa “main kaeli nahin jaungi wahaan naa jaane kisse saamna ho jaaye is ghar men?”
Aditya hansta hain aur kahtaa hain “to kya hua tumne hi kahaa tha na ki meri kafi unche contacts hain to tum bhi banaa lo”
Deepa yeh sunkar muh latkaa deti hain aur uske aise chehare ko aditya
dekh nahin pata aur wo kah deta hain “thodi der ruko main abhi ready hoke aata hun”
Kuchh der baad breakfast ke table par deepa ki pahchaan anna sahib
unke do bête yaani aditya ke donon bade chacha aur saath men chachiyonse hoti hai. Breakfast karte waqt deepa kuchh dar hi jaati hain par aditya sab sambhal leta hain.
Breakfast ke baad aditya deepa se kahta hain “chalo kuchh kaam karle aur thodaa ghumkar aayaa jaaye”
Deepa kuchh sochti hain use akele is ghar men rukne se accha aditya ke saath bahar jaane men hi bhalai najar aati hain so wo aditya ko haami bhar deti hain. aditya turant kisiko gaadi nikaalne ke liye kah deta hain.
Deepa aur aditya ab ghar ke saamne khade rahkar dekh hi rahe hote hain ki gaadi ek aadmi le aataa hain. wo ek kaalaa baadaa saa sand tha
jo ek bahut hi purani jamane ki bullet le aataa hain. us aadmi ke saamne wo bullet bhi koi aam bike ki tarah najar aati hain. wo aadmi gaadi saamne lagakar aur aditya se kuchh 2-3 minute baat karke chala jata hain.
Deepa us gaadi ko dekhkar soch hi rahi thi tabhi aditya aakar gaadi par sawaar ho jata hain. deepa ko kahta hain “baitho”
Itnaa kahte hi wo dekhta hain ki uske dadaji aur bade chacha ghar ke bahar khade hokar aapas men baaten karte huye aditya ki taraf hi dekh rahe hain. aditya tabhi niche gardan karke dhimi si aawaj men kahta hain “one side bathnaa haan”
Deepa kuchh samajh nahin paati aditya gadi start kar deta hain aur deepa uske kahe anusar one side baith jaati hain. aditya seedhe gaadi ko dauda deta hain. deepa yah dekhkar bhi achambhit hoti hain ki ghar men jitni bhi gaadiyan thi sabhi ke number 9999 the, is bullet ka bhi.
Kuchh der gaadi chalaane par aditya open road par aa chukka thaa. Kuchh aur 15-20 minute gaadi chalaane par aditya ek bade se company office ke bahar gate par gaadi rokta hain aur security guard
ko darwaja kholne ko kahta hain. Security guard darwaja khol deta hain,
aditya gaadi andar le jaakar office ke gate ke saamne gadi rok deta hain. Deepa utar jati hain aur aditya gadi park karne saamne ke parking men chala jata hain.