- 4,422
- 1,976
- 143
Update 53
abki baar aditya deepa ko ek aadhe ghante ki bike riding ke baad ek bade se mandir men le jata hain.
Deepa samajh hi nahin paati ki aditya ye kahaan le aaya hain. darasal yah mandir ek nadi ke kinaare banaa hua thaa. Us mandir men darshan karne ke baad usi mandir ke garden men wo donon ghumne chale jaate hain. saath men bane boating club men aditya aur deepa kuchh der ke liye ghum bhi aate hain.
Kul milaakar kaafi accha waqt bitaane ke baad wo dono usi park men bane huye ek bench par baithe the. aditya “bhukh nahin lagi hain kya tumhe?”
Deepa bas aditya ke chehare ki taraf dekhte huye haan men sir hilaa deti hain. aditya “fir kahaan jaaye khana khaane ghar ya kahin aur?” Deepa kuchh sharmaa kar hi kahti hain “ghar par kaafi ….”
Aditya “samajh gaya chalo bahar chalte hain…. aaj umhe aisaa lajeej khana khilata hun ki tum ungliyaan chaat jaaogi” itna kahkar wo chal
deta hain.
Us city ke ek mashhur hotel men khana khaane ke baad aditya firse deepa ko gaadi par bithaakar nikal padtaa hain. uske man men kuchh aa rahaa thaa. Wo usi waqt usi shahar ke main market men se jaa raha thaa. Deepa ek baat notice karti hain ki aditya jab jaa raha hain tab kaafi saare log usko haath de rahe hain.
Deepa ko darasal ye kuchh ajeeb hi lagta hain ki aditya ko itne saare log kaise pahchaante hain. aditya aakhirkar ek saari ke bade se dukan ke bahar gaadi rok deta hain. deepa kucch samjh nahin paati.
Deepa aditya se puchh hi leti hain “yahan kya kaam hain?”
Aditya “tumhaare liye saadi leni hain… ab jyada waqt nahin hain chalo” Aditya andar chala jata hain. jab aditya aur deepa saadi ki dukan men andar jaate hain to deepa dekhti hain ki dukaan ka malik jo ki samne hi cash par baitha hua thaa wo khada hokar aditya ko haath jodkar Namaste karta hain. aditya bhi jawaab men Namaste kartaa hain. maalik turant ek ladke ko aawaj dekar bulata hain aur use aditya ko kyaa chahiye yah dekhne ke liye kah deta hain.
Kuchh der baad saadi lene ke baad aditya jab paise deneke liye aage badhta hain to wo aadmi paise lene ke liye raji nahin hota hain par aditya jaise taise use paise de hi deta hain. bahar aane ke baad aditya kahtaa hain “ab sadi ho gayi ab aur kyaa chahiye tumhe?”
Deepa kahti hain “sadi le li hain to aur abhi kaafi chije leni padegi…” Aditya apne sir pe haath maarke kahtaa hain “yeh matching kaa bhut bhi naa” deepa uske chehare par ke bhaav dekhkar hans padti hain. deepa ko hansta dekh aditya bhi hansta hain aur kahta hain “chalo ab puri market ghumni hain”
Aur wo ab paidal hi chal padta hain 1 ghante ghumne ke baad aditya use kaafi chije kharidwaa deta hain. par deepa ye baat notice karti hain jahaan kahin deepa shopping karne ke liye rukti thi aditya ko koi naa koi milta tha aur usse baaten karte thaa. Kaafi khariddari karke aditya aur deepa ab wapas apni gadi ke paas aa jate hain.
Aditya “ho gaya sab kuchh?”
Deepa bas na men ssar hilati hain. saamne se sawaal taiyaar hi thaa “kyaa rah gaya ab?”
Deepa “sadi le li sab kharid liya par blouse silwana to baaki hain”
Aditya firse maathe ko haath lagaaye huye kahtaa hain “tum ladkiyon ke bhi naa itni chijen kharid li fir bhi kuchh baaki hi rah gaya hain… tumhara hamare jaisa kyun nahin hain shirt aur pant ka number bata diya aur jo pasand ho lelo aur pahn lo”
Deepa apne chehare par ek naughty si muskaan laakar “kaash aisaa hotaa….. par nahin hain to ab blouse silwana padega ….. par ab kaun dega itne short notice par?”
Aditya gaadi par baithtaa hain “chalo baitho abhi aadhe ghante men mil jaayega aisi ek jagah par chalte hain”
Aditya ab deepa ke saath market men hi thodi aage bani huyi ek ladies tailor ke dukan ke bahar ruk jaate hain. aditya aur deepa donon saath men us dukan men jate hain. aditya andar jaate hi saamne khade aadmi ko kah deta hain urgent kaam hain aur deepa ki taraf ungli karta hain. deepa usse baat karti hain ki kya aur kis tarah banana hain tailor uskaa naap lene lagta hain.
Aditya tailor se kahtaa hain “jaldi se jaldi taiyar karo….” Aisa kahkar deepa ko kah deta hain “tum yahi ruknaa main bahar hi hun” aisaa
kahkar aditya bahar aakar gadi par baithkar ciggratte nikaalkar smoke karne lagta hain.
Deepa dekhti hain ki kuchh hi der men wahaan 3-4 log khade hain aur
aditya se baaten kar rahe hain. kaafi der tak deepa dekhti rahti hain ki koi gaadi rokkar aditya se milkar 2-3 baaten karke jaa raha hain. 2-3 ladke uske side men hi khade rahkar majaak kar rahe hain.
Kucch hi der men tailor deepa ko khata hain “madam aapka blouse taiyar hain”
Deepa aditya ko aawaj deti hain. donon ab firse ghar ki or laut chalte
hain. raasten men deepa kaafi bakbak karti rahti hain par aditya to shaant thaa uske man men kuchh aur hi chal raha thaa. Wo to soch raha tha ki raat ko jab itne saare mahmaan aayenge to wo unko kaise sambhaal paayega wo bhi deepa ke saamne.
Donon ko ghar aate aate sham dhal jati hain.deepa dekhti hain ki ghar ke main gate ko acchi tarah se sajaya gaya hain. bahar ke lawn par acchi khaasi taiyaari ho rahi thi ekka dukka aadmi aapas men baaten karte huye khade the. ghar men ghuste hi aditya aur deepa apne rooms ki taraf chal dete hain. room men jaate waqt aditya deepa ko kahta hain “ab shayad main tumhaari taraf kam hi dhyan de paau”
Deepa kuchh kahti nahin aur apne room men ready hone ke liye chali jaati hain.