• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Teri Meri Love Story (Completed)

Kya aap firse is story ko padhne me interested hai?


  • Total voters
    11

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 57


Subah deepa uthkar ready hoti hain aur bahar ki taraf nikalti hain
vaishnavi aur smruti se milne to wo dekhti hain aditya bhi ready hokar baitha thaa aur un donon se baaten kar raha thaa. Deepa ko aate dekh teenon hansne lag jate hain. deepa ye sochne lag jati hain ki yeh teenon kyun hans rahe hain.
Deepa un sab ke paas aati hain to aditya use kahta hain “good morning deepa ji aapki nind puri hui ya nahin?”
Deepa kuchh samajh nahin paati to aditya use saamne lagi ghadi dikhata hain, jismen subah ke 9:30 baj chuke hain. aur firse sab hansne lag jate hain.
Deepa “aaj aankh jaldi khuli hi nahin”
Aditya “thik hain chalo nashta kar lo hamen nikalna hain aaj jyada dur
nahin jana hain”
Deepa “kahaan jana hain?”
Aditya “jyada nahin bas yahaan se 100km dur hi jana hain”
Sab saath men nashta karte hain aur jab deepa ghar se nikalane lagti hain to vaishnavi use ek saari gift karti hain. deepa use lene se mana kar deti hain par vaishnavi yah kah deti hain ki “tum hamaare ghar pahali baar aayi ho hum tumhe aise nahin jaane denge tumhe ye lenaa hi hogaa nahin to hum tumhe jaane nahin denge”
Sab hans dete hain aur deepa usko accept karke nikal padti hain. aaj ke din bhar men deepa aditya se kuch jyada baat karti nahin hain. usi din sham ko aditya ko us shahar men accha hotel na milne ki wajah se aditya ye decide karta hain ki wo agale city ke liye abhi hi nikal pade jo ki bahut hi paas men thaa.
Gaadi chalaate waqt aditya beech men ek call aa jaane ki wajah se gaadi beech raste men side ko rok kar baat karne lagta hain. kuchh der baat karne ke baad aditya deepa se puchh leta hain “bhukh lagi hain kya?”
Deepa “haan”
Aditya “bas 10 minute aur city men hum pahunchane hi waale hain” Deepa “thik hain”
Itnaa kahti hi hain ki gaadi ki kaanch koi knock karta hain. aditya saamne dekhta hain to use samajh men aata hain ki ek van uske saamne aakar aise ruki hain ki wo gaadi nikaal na paaye.
Aditya apni gadi ki kaanch niche karta hain to uske saamne ek 35 ke aage ka saamne pet aaya hua ek police hawaaldar khada tha.
Aditya binaa waqt daudaaye maajra samajh jata hain. wo bahar utar ke

usse kuchh baat karta hain darasal wo use ghus ke liye rok raha thaa. Aditya use dene ke liye manaa kar deta hain. unmen kuchh anban ho jati hain. ant men wo hawaldar use gaadi police station le chalne ko kahta hain.
Aditya man hi man sochta hain ki chalo iske thane jaakar hi iski aur iske sahib logonki dekh lenge par uske man men yah bhi aata hain ki deepa bhukhi hain. khair wo soch leta hain ki aise ya waise city men to jana hain hi to jaate jaate ek call se hi iski utaar denge aur wahin khana khaa lenge.
Wo hawaldar uski gaadi men aakar pichhe baith jata hain taaki wo bhaag naa jaaye. Uske baithte hi saamne ki gaadi nikalti hain aur aditya bhi unke pichhe pichhe gadi dauda deta hain.
5-7 minute ki driving ke baad donon gaadiyan police station ke bahar aakar ruk jati hain. aditya, deepa un sab ke pichhe pichhe andar chale jate hain. wohi hawaldar unko saamne ki do kursiyon ki taraf ishara karke baithn eke liye kah deta hain aur wo inspector se baat karne ke liye andar chala jata hain. deepa man hi man men dar jaati hain par agale hi pal use yaad aata hain ki aditya kaafi unche contacts rakhta hain wo jarur yahaan se bahar nikalne ka raasta nikal hi lenga.
Aditya hawaldar jis inspector ke cabin men gayaa thaa wahaan wo name plate padhta hain ‘varun joshi’. Ye naam padhkar wo man hi man hansta hain aur deepa ki taraf dekhta hain. wo dekhta hain ki deepa ke chehare par ke rang bikhar gaye hain so wo use kahtaa hain “tum chinta mat karo main hun naa saath men” aisaa kahkar uske haath ke upar hath rakhkar use dilasa deta hain.
Deepa aditya ke kahne par thodi sambhal jati hain. kuchh der baad

hawaldar bahar aakar aditya se kahta hain “sahib aapko bula rahe hain” Aditya “chalo” aisa kahkar uthkar uske pichhe chal padta hain. wo us hawaaldaar ke pichhe pichhe us cabin men andar chala jata hain to wo dekhta hain ki saamne police ki kadak wardi men ek jawaan aadmi baithaa hain. wo niche dekhkar kuchh likh raha thaa. Uske kandhe par lage huye teen chamchamate stars se aap aaram se uskaa ohada pahchaan sakte hain ki wo ek inspector hain.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 58


Kisi ke aane ki aahat sunkar wo apni najar uthaata hain to hawaaldar ke saath aaye aditya ko dekhta hain. darasal men wo aditya se thoda unchai men chhota hi thaa par body structure donon kaa ekjaisaa hi thaa. Par uski umr aditya se jyada thi. lagbhag 28-29 ke aaspas ka wo officer pahale dikhne men hi ek kadak officer pratit hota thaa.
Jaise hi wo aditya ko dekhta hain wo apni kursi pichhe karke jagah par uth jata hain. aur aditya ki taraf badhne lagta hain aur aditya bhi apni chehare par muskurahat laakar uski taraf badhne lagta hain. donon beech men aakar seedhe gale lag jate hain aur ye dekhkar us hawaaldar ka chehara binaa pite lal ho jata hain aur wo binaa kuchh kahe bahar khisakane lagta hain. tabhi varun use aawaj dekar rokta hain aur use kahta hain “shinde chaay pani ka intejam karna”
Aditya “are nahin yaar saath men koi hain use bhukh bhi lagi hain to main chalta hun”
Warun “are aaj itne saal baad milaa hain aise hi kaise jaane du tujhe chal ab saath men khana khaayenge”
Aditya “are yaar sath men deepa hain” Warun “kaun hain ye deepa?”
Aditya “are yaar couligue hain saath me hum log official tour par aaye
hain yahaan”
Warun “mujhe sab pataa hain tere tours…”
Aditya hanste huye “are nahin yaar jab se perfect spm kharidi hain tab se sab aise waise kaam band”
Warun “chal thik hain use bhi saath men le chal ghar par” Aditya “ghar par? Kahin tune shaadi to nahin kar li?”
Ab hansne ki baari varun ki thi “haan yaar pichhale saal kar li” Aditya “aise kaise achanak? Aur bulaya nahin?”
Warun “are yaar ghar waale kaafi force kar rahe the to kar li aur rahi
tujhe bulaane ki baat to ghar par invitation card bheja thaa par tu hi aaya nahin”
Aditya “are yaar ab main wahaan aata jata kam hi hun”
Warun “haan pataa hain jab se tere mummy papa ki death hui aur tu us haadse se gujraa main samjh sakta hun ki koi bhi firse aisee city men rukna nahin chaahega” itne men aditya apne jeb men se cigratte ka packet nikaalkar usmen se ciggrate nikal kar use varun ko paas kar deta hain.
Aditya “par kar bhi kyaa sakte the na mummy papa ki death roknaa kisike haath men thaa, naa hi humen aisi baton ki khabar jaldi lag paayi aur uske baad men jo hua wo karna behad jaruri thaa”
Warun “par tu itne aage jaakar yah kadam uthaayega yah mujhe laga nahin thaa”
Adiitya “mere papa hameshaa kahte the ‘maut to bas ek shuruat hain’
papa ki death mere liye ek shuruat thi. uski wajah se hi nilofar ki maut hui Aur nilofar ki maut ne jo shuruat kiyi uski wajah se aaj yahaan
aise khada hun”
Varun aditya ko upar se niche tak dekhte huye “waise aaj agar koi dekhe aur use tumhe us waqt dekha hota to koi nahin manta ki ye donon ek hi aadmi hain”
Aditya hansne lag jata hain uski baat ka koi jawaab nahin detaa. Varun “par tujhe usi din aane ki kaise sujhi?”
Aditya “yaad rakh usi wajah se teri jaan bhi bachi hain aur saath men
agar aisaa tere ghar hua hota to tu kyaa karta?”
Varun lambaa kash lete huye “haan tu thik kah raha hain main bhi agar tere jagah hota to main bhi shayad wahi kartaa”
Aditya “chal jane de jo hona thaa so ho chuka chal ab ghar pe bhabhi ke haath ka khana khaaunga”
Varun “sirf khana hi yaa kuchh aur bhi….” Aisa kahakar apnaa
anguthaa uthaate huye kahta hain .
Aditya “are yaar dekhenge pahale ghar to chal…”
Varun “ruk teri bhabhi ko kah dun ki tum donon bhi aa rahe ho waise khana taiyar karke rakhe aur kahin aur jane ki tujhe jarurat nahin hain raat ko mere ghar ruk ja”
Aisa kahkar wo apne jeb se apna mobile nikaal kar phone karta hain
aur kuchh baaten karne ke baad aditya ko kahta hain chalo aur donon saath men bahar nikalte hain.
Aditya ko bahar aate dekh deepa ke chehare par aise bhaav hote hain ki ab kyaa hua hoga… par aditya aue Varun hanste huye bahar aate hain. yah dekhkar deepa ki sari uljhane dur ho jati hain. un donon ko apni or aataa dekh deepa apni kursi par se uth khadi hoti hain.
Aditya jab deepa ke pas pahunchta hain to deepa ka warun se parichay karwate huye “deepa inse milo ye hain Varun joshi inspector hain is

thane ke aur warun inse milo ye hain Ms. Deepa garg meri coligue hain”
Aditya deepa se “chalo humen iske ghar khana khaane ke liye invitation
hain”
Deepa kuchh samajh nahin paati aur haan men sir hila deti hain. jate jate Varun hawaldar se ye kah deta hain ki subah jeep lekar use lene ke liye aa jaaye wo aditya ke saath ja raha hain. Varun ke ghar jate huye Varun aditya ke saath aditya ki gadi men baith jata hain aur deepa pichhe baith jati hain.
Jate jate warun ek liquor shop ke age gaadi rokne ko aditya ko kah deta hain. aditya wahaan ruk jata hain aur varun utar ke dukan ki taraf jata hain.
Deepa “ye ab kaun hain aditya?”
Aditya “dost hain meraa, aaj milnaa hua to samjha ki yahaan inspector hain aur isne khane par bulaya…”
Deepa “aur tum naa nahin kah saken..”
Aditya “samjha karo iski shadi hone ke baad isse main milaa nahin hun aur naahi iski shadi men thaa to iskaa aise rokna to lajmi banta hain naa”
Deepa is baat par kuchh kahti nahin aur aditya ki najar men saamne ka pan ka thela aa jata hain aur wo gaadi se nikal kar ciggratte lane udhar nikala jata hain. tabhi 2 minute men varun haath men black colour ki panni me kuchh liye aa raha thaa. Wo aakar driver ke side wali seat ka darwaja kholkar andar dekhta hain to use aditya dikhta nahin. Wo pichhe baithi deepa se puchh leta hain ki aditya kahaan hain? to deepa use saamne pan ke thele par khade aditya ki taraf ungali kar deti hain.

Aditya ko dekh wo apne seat par pichhe ki taraf jhul jata hain aur saamne ki taraf dekhne lagta hain. kuchh der baad aditya wapas aa jata hain. aur firse sab log nikal padte hain.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 59

Kuchh der baad gaadi ek bungale ki bahar aakar rukti hain. bungale ka darwaaja ek bahut hi sundar aurat aakar kholti hain uski umr deepa se thodi hi jyada hogi par uskaa yauwan us saree men kuchh jyada hi najar aa raha thaa. Aditya us par darwaaje men hi ek upar se niche tak ek baar dekhta hain.
Darasal aditya varun ke saath darwaaje par khada thaa. Darwaja jab wo kholti hain tab aditya use isi tarah se dekhta hain aur deepa aditya ko aise kisiki traf dekhta dekh insecure ho jaati hain aur wo aditya ko pichhe se kuchh dhakka de deti hain.
Pichhe ka dhakka lagte hi aditya pichhe dekhne lagta hain to deepa aditya ko kahati hain “andar nahin jana hain?”
Aditya bas sir ko haan men hilaakar aage badh jata hain. andar jaane
ke baad varun un donon ko apne kamre dikha deta hain aur fresh hokar aane ko kah deta hain.
Fresh hokar bahar aane par deepa dekhti hain ki aditya aur varun to
sharaab pakad kar baith gaye hain. wo pahale se hi bhukhi thi upar se ye dekhkar uske pet ke chuhe udham machaane lag jate hain. aditya dekhta hain deepa bahar aa gayi hain. wo turant varun se kuchh kahta hain.
Deepa kuchh sun to nahin paati ki aditya ne varun se kyaa kahaa par agale hi pal varun apni biwi ko bulaakar kah detaa hain “humen kitni der hogi pataa nahin tum donon khana khaa lo aur hamara khana dining table par hi rakh do”
Deepa aur varun ki biwi khana khaa lete hain. kuchh der usse baten karne ke baad deepa jab room men sone ke liye ja rahi thi tab deepa dekhti hain ki donon abhi tak lage huye hain. wo un donon ko kuchh bolnaa laajmee naa mante huye apne room men sone ke liye badh jaati hian.
Thakaan ke mare use kab nind aa jati hain use kuchh pataa hi nahin chalta. Raat ko 2:30 baje ke aaspas uski nind pyaas lagne ki wajah se khul jati hain. wo dekhti hain aaspas par pani na hone ke karan wo kitchen ki taraf nikal padti hain.
Kitchen ke liye jate waqt deepa jab hall men ja rahi thi tab dekhti hain ki hall ki lights jail hui hain. uske man men na ajaan ekya kya khayaal aa jate hain. jane ke galiyare se baju men dekhti hain to aditya ka karma khula hua thaa usmen koi nahin thaa. Wo ab seedhe hall men jane ka sochti hain.
Hall men jate hi deepa ki najar saamne ke table par jati hain jahan varun aur aditya saath men pine baithe the. wahaan ab ek chess lagi hui thi. side men ash tray aur daru ki botal aur baaki ki chije rakhi hui hain. wo aur paas jati hain to dekhti hain ki wahaan aditya baithkar akele hi chess khel raha thaa.
Deepa “aditya…..”
Aditya apani najare upar uthaate huye deepa ko dekhta hain. deepa “aditya itni raat ho gayi hain soye nahin tum”
Aditya apni daru ke glass par haath fairte huye kahta hain “neend nahin
aa rahi thi”
Deepa ab aage badhkar aditya ki taraf badhte huye aati hain aur aditya ke saamne ki kursi par baithkar saamne ki pani ki bottle lekar pani piti

hain. use rakhkar saamne ke chess ke daanv par najar daudati hain. Aditya ab apna glass uthakar ek ghunt letaa hain. aur wo bhi saamne dekhta hain seedhe deepa ki aankhon men. Deepa kuchh samajh nahin pati aur aditya se puchhti hain “tum chess khelte ho ye mujhe pataa hi nahin thaa”
Aditya “haan…. Khelta hun” Deepa “aur aise akele?”
Aditya “jab tum bhi khud se khelnaa sikh jaogi tab tum bhi bahut badi ban jaogi” aisaa kahte huye saamne ke ek ghode ko lekar khelta hain. Deepa “kuchh samajhi nahin…. Tum kisi ek side ko jitaane ke liye khel rahe ho…”
Aditya firse ek ghunt lete huye kahata hain “mere liye donon sides ek hi baraabar hain…. main to bas khel raha hun”
Deepa “aisaa kaise ho sakta hain?”
Aditya “ho sakta hain …… ho sakta hain, jaise main kar raha hun” yah kahte huye saamne ke side ki ek aisi chal chalta hain jisse ki haarne ki situation paida ho jaaye.
Deepa kuchh kahne ke liye muh kholne se pahle hi aditya use apne
muh par ungali rakhkar chup rahne ko bolta hain. deepa saamne dekhne lagti hain. aditya firse ek aur ghunt peekar apni side se cheque karke aisee halat karta hain ki saamne wali side ab haar chuki hain wo koi bhi chaal nahin chal sakti.
Ab aditya saamne padaa glass peekar khali kar deta hain aur deepa se kahta hain “ab so jaao deepa subah humen bahar bhi jana hain shayad kal humen yahi rukna pad jaaye”
Deepa kuchh kah nahin paati aditya ab apni kursi par se uthata hain

aur saamne ki side ka king ko usi jagah gira deta hain aur seedhe nikal padta hain. deepa bhi us chess table ko ghur kar dekhti hain aur fir uthkar apne glass men nikal jati hain.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 60

Dusare din subah deepa jab ready hokar room ke bahar aati hain to dekhti hain aditya saamne ke sofe par baithkar news paper padh raha hain. deepa ko aata dekh varun ki biwi use seedhe nashte ki table par hi bulaa leti hain jahan varun already nashta kar raha thaa. Varun ki biwi ab aditya ko bhi aawaj de deti hain.
Deepa ko ye samajh jata hain ki aditya ne kal ki chhoti si hi meeting men apni is nayi bhabhi ke dil men acchi khaasi jagah banaa li hain. Varun uth jata hain aur aditya aakar baith jata hain. Varun apni biwi aur aditya ko bataakar jata hain ki wo police station ja raha hain. aur wo gate ke saamne khadi police jeep men baith kar chala jata hain. Ab aditya varun ki biwi ko kahta hain “bhabhi aap bhi nashta kar lo hamare saath warnaa kahaan akele karongi?”
Aur wahaan varun ki biwi naashte par baithne ke baad jo aditya aur uski bakbak ka daur shuru ho jata hain deepa bas unki baaten hi suni jati hain. deepa beech men kuchh bolne ki himmat nahin jutaa pati par sath sath men is baat se wo aakarshit ho jati hain ki aditya kitna accha aadmi hain jo kitne kam samay men logonko apnaa banaa le.
Nashta hone ke baad aditya aur deepa nikal jate hain. din bhar kaam karte karte unko wahin der ho jati hain to aditya aaj raat ko travelling karne ka idea drop karke aaj raat yahin rukne ka faisala karta hain.
Us raat ko varun ke ghar rahkar subah aditya unse bidaa lekar apne aakhri padav par nikal padta hain. wo jab us city men enter karta hain tab kaafi der ho jane ke karan wo sidhe company men chala jata hain.
Din bhar kaam ke chakkar men wo kisi aur ko room book karwaane ko kah deta hain. sham ko kaam khatam hone ke baad jab wo hotel jata hain.
Ye hotel us shahar ka sabse badaa hotel tha. Us hotel ka badak pan dikhte hi najar aa raha thaa.
Wo hotel men jata hain to saamne se use hotel kaafi accha lagta hain.
wo aage badhkar reception par dekhta hain to use ek shakal se hi khadus aadmi reception par baitha najar aata hain. wo aage badhkar usse baat karta hai.
Aditya “hello main aditya jahagirar mere naam se yahaan 2 rooms book hogi”
Hotel manager “ek minute main check karke aapko bataata hun”
Wo kuchh der yahaan wahaan dekhta hain aur ek chabi nikaal kar aditya ke saamne rakh deta hain. aditya ye dekhkar ki sirf ek hi chabi haath men lekar puchhta hain “dekhiye mere naam se 2 rooms book hain”
Manager “nahin sir aapke naam se sirf ek hi room book hain”
Aditya “aisaa kaise ho sakta hain maine to 2 rooms ke liye baat kiyi thi” Manager “sir aapke liye kisi mr. mukund ne room book karwaayi thi naa?”
Aditya “haan…”
Manager “to unhone aapke liye 1 hi room book karwaayi hain” Aditya “mujhe ek aur room chahiye” is baar aditya apni baton par thodaa jor dekar kahtaa hain.
Manager “sir baaki saari rooms book hain aapko koi aur room nahin mil sakti”

Aditya “dekhiye aap meri baat ko samjhiye mere saath koi aur bhi hain unke liye mujhe ek alag room chahiye”

Manager “par sir mere paas koi aur room khali hain hi nahin to main

aapko aur 1 room kahaan se du?”

Aditya “aap kahin se bhi arrange kijiye par mujhe ek aur room chahiye” Par is baat par kaafi bahas ho jaane ke baad bhi koi solution nahin nikaltaa. Aditya ke picche khadi deepa is beech kuchh bolti nahin.

Aditya pichhe palat kar deepa ke paas aa jata hain aur usse kahta hain “chalo deeepa hum kisi aur hotel men chalte hain”

Deepa aditya ka haath pakad kar use baaju men khinch leti hain aur bahut dhimi si aawaj men kahti hain “aditya agar yah bhi room nikal gaya to pataa nahin kahin aur room milega ya nahin aur waise bhi kaafi raat ho aayi hain kahaan kahaan ghumenge hum donon?”

Aditya deepa ki baat maan leta hain aur manager ke paas chalaa aata hain. aditya “room ki chabi dijiye hum yahi thaharenge” uske yah kahte hi saamne khada room boy aditya ur deepa ka saman lekar nikal padta hain. aur aditya aur deepa uske pichhe.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 61


Room men aa jane ke baad aditya sidha jakar pair jameen par rakhe aur ghutnon se upar bed par jakar aise gir jata hain jaise ki wo kai sadiyon kaa thakaa haaraa ho. Deepa jkar fresh ho aati hain. deepa ko aise dekh aditya turant bed par se uth jata hain aur deepa se kahta hain “main fresh ho jaau hum dinner karne bahar jaayenge”
Deepa uljhan men pad jati hain ki roj ki taarh aaj aditya bahar kyun nahin ja raha. Wo aditya ko pucchti hain “aaj kahin party men nahin jaana?”
Aditya abtak sofe par aakar baith gaya thaa aur apne shoes nikalte huye kahta hain “haan jana hain naa. Is co. ke CEO shudh shakahari bahut acche insaaan hain. unki family ke saath dinner par jana hain” Deepa “oh mujhe lagaa aaj achaanak kaise break?”

Aditya ek second men sab kuchh samajh jata hain aur hanste huye kahta hain “main koi roj pitaa nahin par ye tours men alag alag kaam nikaalne ke liye jana padtaa hain” itnaa kahkar ek smile pass kar detaa hain.
Aditya aur deepa saamthmen dinner pe nikal jate hain. dinner ke baad wapas aate hain to deepa ko kaafi neend aa rahi thi par aditya TV lagaa kar baith jata hain. deepa change karke aati hain par aditya to sofe par baithe TV men hi ghusaa hua thaa.
Deepa “aditya main sone ja arahi hun” Aditya “han thik hain so jaao”
Deepa bed par girte huye puchhti hain “tum kaise sone wale ho?” Aditya ke dimaag men ek minute men tube light jal jati hain wo kuchh naughty si muskaan ke saath kahta hain “mujhe odhne ke liye kuchh nahin lagtaa tum waise hi so jaao main side men so jaaunga”
Deepa padi thi wo ye sunkar hi uth jaati hain. aditya uski harkat ko dekh kar jor jor se hansne lagtaa hain deepa confuse ho jati hain. uske chehare ki udi hawaaiyaan dekhkar wo kahta hain “tum jahan ho so jaao main sofe par so jaaunga bas mujhe ek pillow paas karnaa” Deepa aditya ke upar ek pillow uthaakar fenk maarti hain. aditya firse
hasnte huye kahtaa hain “maarti kyun ho? Majak bhi nahin kar sakta kya?”
Deepa chid jati hain aur gusse men niche padi hui chaddar apne upar khinch kar sone ko gir jati hain. aditya “good night… kal Sunday hain

mujhe uthaane ka sochna bhi mat.. jitni der tumhe sona hain so jana” Deepa darasal men ye baat bardasht bhi nahin kar sakti thi ki koi aur mard uske saath uske bistar par shadi se pahale soye bhale hi wo uska pyar hi kyun naa ho. Yah uske andar ki sanskruti thi jo use auronse alag banaaye rakhi thi. yun to kai titliyaan aditya ke paas se gujar jati thi aur kai kaliyon ko dekhne ke baad bhi aditya ek deepa ko chata thaa.
Deepa ko aditya ke khaatir uskaa pyaar usko chup rakhta hain. raat ko deepa apna gussa dil men dabaaye neend ke aagogh men chali jati hain. Subah aditya ke kaanon par kuchh halke halke rone ki aawaj aati hain aur wo us aawaj se kuchh jag jata hain. jab wo jag jata hain hain tab
wo apne sir ke upar ka pankha dekta hain. usko turant samajh jata hain ki wo kisi alag jagah par hain. kyun ki wo jahaan soya thaa wahaan uske sir ke upar pankha jarur nahi hain.
Wo jaise taise apni neend ko control karke uthne ki koshish karta hain
to use firse wo subak subak kar rone ki aawaj firse sunai deti hain ab wo us rone ki aawaj ki wajah se puri tarah se jag jata hain. wo apni jagah se uthta hain to wo pata hain ki wo ek bed par soya hua hain . Usko tabhi yaad aata hain ki wo to sofe par soa thaa. Wo apni aankhon ko malte huye uthta hain. wo apni aankhonse subah ki aati hui roshni se chakachaund hone se bachaane ke liye apne aankhon ke saamne apni hatheli rakhkar dekhta hai.
Use apne saamne ki taraf bed ke ek aur kone par pillow ko apni donon taangon men liye uspar apnaa sir rakhe huye roti hui ek ladki dikhaai deti hain. wo yaad karta hain ki wo to darasal men deepa ke saath tour pe aaya hua hain.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 62


Wo aage jaakar us deepa ke sir ko lekar apne sine se dabaa deta hain. deepa apne aap ko sambhaal nahin paati aur jor se wo sulagne lag jaati hain. aditya uske baalon men haath daalkar use sahlaate huye yah anubhuti dena chata hain ki jaise ‘main hun naa, mere rahte huye tumhe is dunia men kabhi bhi darne ki koi jarurat nahi hain’
Deepa kisiko apne aap ko paas lete dekhkar ek pal ke liye wo kaun hain ye bhul kar uske gale se lipat jaati hain aur uski baahon men khud ko chhupaane ki koshish karte huye apne aasu rokti hain.
Deepa ke aansu rukte dekh aditya kuchh bolne ki himmat karte huye
use puchhta hain “mummy papa ki yaad aa rahi hain kya?” Deepa uski majboot baajuon men hi sir ko dhakte huye kahti hain “nahin”
Aditya is baat ko sunkar kuchh andaja nahin laga sakta ki deepa kyun subah subah subak rahi hain jabki use apne mummy papa ki yaad bhi nahi aa rahi wo use apne seene se hataa kar uskaa chehara apne chehare ke saamne late huye usko puchhta hain “ fir kyaa baat hain deepa mujhe khulkar bataao”
Deepa is baat ko sunkar ab to aditya ko chhod firsre sirhaane ki taraf jaate huye ek pillow ko apne chehare ke saamne lete huye firse sansu bahana shuru kar deti hain. par ab ki baar deepa ki yah haalat dekhkar aditya man hi man kuchh ghabra saa jata hain.
Ab aditya apnaa amogh shstr uthaate huye deepa ke upar chilla uthtaa hain “come on…. Speak out deepa aakhir hua kya hain?”
Deepa is baat se naa jaane aur naaraj hokar firse subakne lag jati hain. ab adity akuchh der ruk kar fir uske paas jata mhain “deepa aakhir tum mujhe kuchh kahogi nahin to main kaise jaan paaunga ki aakhir hua
kya hain?”
Itnaa kahkar wo firse deepa ko apne seene se lagaa leta hain. deepa kuchh kuchh apne aasuonko apne wash men karte huye apne hothonse kuchh shabd nikaal kar kahti hain “ab mujhse koi shaadi nahin karega…..” aur firse aditya ki baaaju ko pakad kar wo rone lag jati hain.
Aditya ki to pahale se hi samajh nahin aa raha thaa ki wo sofe par soya thaa wahaan se bed par deepa ke paas kaise aaya? Aur upar se ye deepa ka rote huye kahnaa ki deepa se koi shaadi nahin karga. Wo ab deepa ko pane se thoda dur karke apne sir ko haath lagaaye sochne lag jata hain ki aakhir wo yahaan pahuncha kaise?
Aditya ko ekdum se yaad aa jata ahin ki raat ko 4 baje ke aaspas wo toilet jane ke liye utha th aur wo waapas aakar bed par so gayaa. Wo usi waqt deepa ki taraf sir uthaa kar dekhne lagta hain ab tak deepa ki subak kuchh kam ho gayi hti. Ab wo deepa ke paas jaakar uskaa chehara apne haathon men letaa hain. uski aankhon se kuchh aansu nikal kar uske gaalon se hote huye neeche aakar such gaye the aur kuchh uski badi badi aankhon se nikalne ki taiyaari men the.
Aditya us bhole bhaale aur pyaare chehare par aansu dekh nahin sakta thaa par uske jahan men ye jarur thaa ki usko akhir samajhaya jaaye to kaise? Wo apne ek haath men deepa ka chehara thaam kar aur dusari haath se wo deepa ke aansu pochhta hain.
Deepa ke aankhon men kuchh der dekhkar wo deepa ke kuchh kahane ka intejar kar raha tha ki achanak fir se ek aur aansu uske aankh se aata hain aur wo kahti hain ki “ab main kisi ko muh dikhaane layak nahin rahi…”

Aditya pahale to usko dilasa dene ka man banaa kar use puchhta hain “deepa…. Aakhir kya hua hain bataao to sahi..”
Deepa apne aansuonko ko control karte huye kahti hain “aditya …..
main tumhaare saath raat ko ek bistr par….” Itnaa kahkar wo aage ka kuchh kah hi nahin paayi aur firse rone lag jati hain.
Abki baar aditya firse uske chehare ho pakad kar saamen utha let hain.
aur kahta hain “deepa ek bistar par sone se kabhi kuchh ho hi aisa nahin hotaa…….. tum….. deepa main tumse ek baat saaaf bataa dun ..” Itna kahkar aditya bed se niche utar kar apne ghutnon ke bal baith jata hain. ek haath men apnaa haath thaamen aur dusare haath men uska chin aur uski aankhon men aankhen daal kar wo apne man ki baat kahne nikal padta hain
“deepa…. Mujhe samajh men nahin aa raha main kaise kahun…..” aisaa kahakr wo 2 minute ka pause le leta hain par uski aankhen jaise deepa ko hipnotise karti jaa rahi thi. wo uski aankhon se najare hataane ki
soch bhi nahin saktaa thaa. Wo uski aankhon men aankhen daal kar uski gaharaai men kho jana chaahta thaa.
Deepa bhi khud chah kar bhi uski aankhon ki kashish dekhkar usse
najaren chura anhin paa rahi thi. uski aankhen deepa ki aankhon ko barbar unmen dekhne ko protsahit kar rahi thi. deepa uski aankhon men jhaanka kar dekh sakti thi ki aditya bhale upar se kaisa bhi ho par wo dil se saaf hain.
Aditya ke man men aa jata hain ki deepa ko sab sacchai bataa de par wo uski aankhon men dekhkar jaise apne hosh hi kho baithtaa hain aur uske dil ki baat uske jubaan par aa jati hain “deepa I love u”
Deepa uske muh se ye 3 word sunkar jaise simat hi jaati hain usmen

naa jaane kahaan se himmat aa jati hain aur wo apnaa chehara aditya se chhudakar aur usse najare bachaakar aditya se muh fer leti hain. aditya second bhar ke liye kuchh samjh to nahin paata wo fir se bed par chadh kar deepa ki najaron ke saamne aana chahata ahin . par is baar deepa apnaa chaand sa mukhda apne donon haathonse chuupa leti hain.
aditya uske haathon men chhupe huye chaand ko dekhkar aisee kalpana karta hain jaise ki purnimaa ka chandr baadal ghir aane se chhup jata hain. wo apne haathonko upar uthaa kar uske haathon ko pakadta hain aur unko niche sarkaane ki koshish karta hain. aditya ki taraf se jor lagta dekh deepa haar maan leti hain aur aditya ki haathon ke khilaaf taakad lagan band kar deti hain.
aditya is baar us chandrama ke darshan karta hain to us chandrama ki aankhen band hain. darasal men yah swabhawik lajja thi jo ki usmen aa rahi thi. pahali baar aise anubhav se gujarati deepa aur aditya inkaa mel bas prakruti ki hi den thi.
aditya 2 minute ke liye uske aankhen munde huye chehare ko dekhkar uski masumiyat ki taraf dekhta hi rah jata hain. 2 minute baad wo apni hothon se un do sharaab ke pyaalon par hawaa chhidktaa hain. hawa ko aane ke baad kuchh der men deepa apni aankhen khol leti hain. deepa ki aankhen jab khulti hain tab aditya ab uske aur najdik jaakar uske chehare ko apne donon haathon men pakad leta hain aur kahta
hain “deepa main tumse pyar karta hun …… ye koi aakarshan nahin jo ki mujhe kewal tumhaare deh se ho….. main tumse pyaar karta hun ….. tumhe pane ke liye kuchh bhi kar sakta hun…. Dunia ki har ek shaks se takkar le sakta hun… par main aisee koi giri hui harkat nahin karungaa”

deepa uski baton ko sunkar hi samajh jati hain ki aditya jo kuchh kaha raha hain wo sa ch kah raha hain. aditya aage badhkar kahta hain “deepa apne man men se ye nikaal do main to abhi subah utha thaa tab wapas sofe par jane ki bajay galti se yahaan aakar gir gaya ismen tumhara koi dosh nahin hain”

deepa apni najare niche kar leti hain aur kuchh kahti nahin aditya kuchh intejaar karke kahta hain “deepa tum utni hi nirmal ho jitni ki I tum mere saath aate waqt thi….. aur rahi baat shadi ki to yeh aaj naa kal hone hi wala thaa ”

kamre men ekdum itni shanty thi ki agar koi pin bhi gir jaati to bhi uska aawaj wo donon sun sakte the. par achaanak aditya koi saanse tej ho gayi aur deepa ki bhi ki aage kyaa hone wala hain.

aditya aage kahata hain “deepa........... will u marry me?” deepa kuchh

uske uttar deneke mansthiti men nahin thi wo to bas ek putala ban ke wais eke waise hi rah jaati hain. aditya apni baat ko firse kahte huye usse kahtaa hain “kya tum mujhse shaadi karogi?”
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 63





deepa to jaise but banker aditya ki aankhon men hi dekhti rah jati hain. deepa ko isbaar kuchh alag uski aankh men dikhta hain. usko dekhkar achaanak se deepa ki muh par lali aati jati hain aur wo apni aankhen niche kar leti hain. deepa ki aankhen niche hote hi aditya jo samjhna thaa wo samjh jata hain.

ab wo deepa ke saamne se uthkar wapas sofe par baith jata hain. wo wahin baithkar deepa ki taraf dekhta rakhta. Aur deepa abhi bhi lajja men apna sir niche jhukaaye huye aur chehare par wo surkh lali. Aditya ko aisaa lagta hain ki waqt unhi tham jaye aur wo isi lamhe ko kayamat tak jeeta rahe.

Aditya sofe par baithe baithe deepa ko nihar raha hota hain tabhi achanak aditya ka mobile baja jata hain. aditya apna mobile uthakar baat karne ke liye nikal jata hain. yahaan deepa apna saman uthakar bathroom men chali jati hain.

Aditya jab wapis aata hain to wo dekhta hain ki deepa room men nahin hain. uska dimag ek minute ke liye chakra jata hain. tabhi usko bathroom se ati hui pani ki aawaj aa jata hain. wo samajh jata hain ki deepa andar nahaane ke liye gayi hain. aditya firse sofe par baithkar saamne ke bed ki or dekhne lag jata hain.

Abhi bhi wo apne man hi man men wahi pal ke bare men soch raha thaa. Achaanak se uske chehare par muskaan aa jati hain aur wo gana gungunaane lagta hain. par uski najar us jagah se hilti nahin hain. aur uske man men achanak se ek khayal nikal aata hain. wo turant apna mobile nikal kar Vikram ko call karta hain.

Vikram se kuchh der baat karne ke baad aditya bade hi haste huye bye kahkar phone kaat deta hain. aditya phone apne haath men liye firse us lamhe ko jeene laga thaa. Par is baar uske man men ek chah thi ki is lamhe men wo jab apni iccha ho jiye aur shayad isi liye usne Vikram se baat kiyi thi.

Darasal men aditya ne Vikram se baat kiyi thi ki wo is hotel ko kharid le. Aur Vikram ne kaha thaa ki wo usse jald hi uske baaren men baat

karke kuchh acchi khabar batayega. Aditya firse yahi sochte sochte bed ki taraf dekhte huye kho jata hai.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 64





Deepa bahar aati hain to dekhti hain ki Aditya haath men mobile chehare par muskan liye huye bed ki taraf dekhe ja raha hain ja raha hain. aditya ka dhyan khinchne ke liye wo apni haath chalne lagti hain

jisse ki kuchh aawaj ho aur aditya uski taraf dekhe par aditya ki saadhna bhang nahin hoti aakhir kar wo aditya ko kuchh kuchh sharmate huye aawaj deti hain “aditya….aditya”

Ab aditya ka dhyan deepa ki taraf aa jata hain. aditya ko pahale to khud ka hosh us lamhe men jine ki wajah se nahin thaa ab deepa ko dekhte huye wo firse apnaa hosh kho baithtaa hain. deepa aditya ke ektak uski taraf dekhte dekh sharmaa kar niche dekhne lag jati hain.

Aditya deepa ko upar se niche tak dekhta hain uske wo bheege baalon par kuchh rahi hui paani ki bunde aur chehare par aayi hui sharm ki lali. Haath men tauliya liye huye uska ek haath ko dusare haath se pakad kar khada rahna. Uskaa wo rup dekhkar to aditya bas nidhaal ho jata hain upar se uske abhi abhi nahakar aane ke baad aane wali uske badan ki mahak bas aditya ko pagal kiye ja rahi thi.

Deepa sharmaakar niche dekhne lagti hain. firbhi aditya bas uski taraf hi dekhe jata hain. deepa se ab raha nahin jata wo aditya ko kahti hain “aise mat dekhiye”

Aditya “kyun?”

Deepa “sharam aati hain”

Aditya ab ki baar kuchh nahin bolta sidhe uthta hain aur apne bag men se saman nikal kar bathroom men chala jata hain. deepa apne khayaalon men kho jaati hain. wo sapne sajane lag jati hain.

Aditya jab ready hokar bahar aata hain dekhta hain ki bedpar baithi deepa apne hi khayaalon men dubi hui hain. wo use aise dekhkar kuchh sochne lag jata hain. achanak se use yaad aata hain ki bahut bhukh lagi hain.

Wo aawaj deta hain “deepa….deepa”



Deepa to bas jaise ek sapane se jaagi ho. Pahale to samajh men nahin aata ki kisne aawaj diya hain. wo idhar udhar dekhti hain to use aditya dikhta hain. aditya haath men gadi ki chaabi ghumate huye khada hain. Deepa kuchh kahti nahin. To aditya hi kahta hain “chalo utho, aaj chhutti hain”

Deepa kuchh samajh nahin aati sawaliyaa najaron se uski taraf dekhe jaati hain. aditya kahta hain “chalo bahar jaayenge, ghumenge, aish karenge”

Deepa yahan uski line pakad leti hain “kyaa kaha? Aish karenge ? fir

tum akele hi jaao”

Aditya “are yaar ab aise bhi mat kaho”

Deepa “kyun tumhara kuchh bharosa hain kya?”

Aditya “are tumhare hisaab se aish hongi, bahar jaayenge, ghumenge, agar kuchh shopping karni ho to bolo”

Deepa “nahin mujhe kuchh shopping nahin karni”

Aditya “fir kya yahan aise hi akele baithkar bore hone ka irada hain kya?”

Deepa “tumhare sath ghumne se yahaan baithne jyada safe hain”

Aditya “ab aisa mat kaho tum yahan baithkar bore ho jaaogi aur main akele ghum nahin sakta. Main bhi bore ho jaaunga”

Deepa kuchh sochti hain. fir kahti hain “kyun aau bahar ghumne” Aditya “tumne isse pahale ye city dekhi hain?”

Deepa “nahin”

Aditya “fir chalo tumhe ye city dikha laata hun”

Ab deepa is baat par to naa kah nahin sakti thi to uthkhadi ho jaati hain. donon bahar ghumne chale jaate hain. lunch bhi saath men karte

hain. lunch ke baad aditya deepa ko us city se kuchh dur bani hui ek jhil par le jata hain.

Deepa aur aditya gaadi park karke us jhil ke kinare bane huye garden

men chale jate hain. Aditya ka dil thaa ki kuchh baat shuru kare. Deepa aur aditya tahalte tahalte us jheel ke ek kone men jaate hain. aditya ab us jhil ke paas jaakar apne jute utaarne lagta hain. deepa sirf

dekhe jaati hain ki aditya kyaa kar raha hain. wo usko dekhe jaa rahi thi. aditya apne shoes utar kar aur jeans thodi upar lekar paani men pair dubokar baith jata hain.

Deepa dekhti hain aur kahti hain “aditya ye kyaa kar rahe ho?” Aditya “kyun tumhe dikh nahin raha ki main baitha hun” Deepa “wo nahin ye paani men pair chhod kar…”

Aditya “come on tum bhi aao… baitho… kafi accha mahsus hotaa hain…. jab bhi pani ki lahare aakar chhuti hain ek aisaa ehsas hota hain ki bas use yun labjon men bayan nahin kar sakte”

Deepa “jaane do”

Aditya “nahin… aao yahan.. baitho mere side men”

Ab aditya ki baat ko wo taal nahin sakti thi to wo bhi aditya ke side men aakar baith jaati hain.

Aditya “yun baithe huye saamne dhalte suraj ko dekhne ka maja bhi

kuchh aur hain”

Deepa bhi us ehsaas ko lene men mashgul ho jaati hain. deepa aur aditya donon us dhalne waale suraj ko dekhe jaa rahe the ki achanak deepa bolti hain “aditya … mujhe aisa kabhi nahin laga thaa … ki tum ek businessman ho…. Dinbhar paise ke pichhe bhaagte rahte ho”

Aditya “to kyaa hua… main hamesha apne liye waqt nikaalta hun.

Business, paise kamana ye sab life ka ek hissa hain ye life nahin hain” Deepa “to fir kya hain life”

Aditya “life koi chhoti moti chij nahin hain…. life hain khud ko samjhna”

Deepa “khud ko samjhna… ye kya hota hai… main to khud ko acche tarah se janti hun”

Aditya hansne lagta hain “tum kahti ho ki tum khud ko acchi tarah se

jaanti ho naa?” Deepa “haan…”

Aditya “galat fahami hain madam…. Aadmi apne aakhri waqt tak khud

ko thik tarah se nahi samajh paata” Deepa “kuchh samjhi nahin main”

Aditya “rahne do. ye baat kabhi aur kisi samay thik se samajha dunga”

Ab firse donon us suraj ki taraf dekhne lag jaate hain. achaanak aditya ke man men deepa ko uchkaane ka khayaal aata hain.

Aditya “deepa…”

Deepa “ummm….” Deepa us suraj ko nihaare ja rahi thi. Aditya “tumne mere subah ke sawal ka jawaab nahin diya” Deepa “kya?”

Aditya “ki tum mujhse pyaar karti ho ya nahin”

Ab is baat par deepa Sharma jati hain. deepa ke chehare par ki sharm kaa laalpan dekhkar aditya hansne lagta hain.

Aditya “mujhe jawab pata hain deepa…. Tab se jab se main tumse milaa thaa”

Deepa kuchh der aise hi sharmaakar niche dekhe jaati hain aur aditya apnaa muskuraata chehara liye is kshan ko apne dil men hameshaa ke liye sanjoye rakhne ke liye koshish karta hain.

Aditya “aur deepa main bhi tumhe usi din se chaahne laga hun jis din tumhe pahali baar dekha thaa”

Deepa “fir kahne men itne din kyu lagaaye?”

Aditya ab apne haath men uski chin uthaakar uski aankhon men aankhen daalta hain aur kahta hain “maine kai baar kahne ki koshish kiyi par ye jo tumhari aankhen hain naa inmen jab bhi dekhta hun main bhul jata hun ki main kyaa kahne wala hun”

Itnaa kahte hi deepa sharmaa kar aditya ko lipat jaati hain. aditya aur deepa ek dusaere ki aankhon men kho jaate hain aur donon ke lab ek dusare ki taraf aakarshit hone lagte hain.



Kyaa kaha jaaye us andaaj ko Is guleguljar ke husn ko

Ye bata ye sham khubsurt ho yaa tum

Mere jaham men ab sab kuchh maan liya tum ko
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 65



Pyaar aur uske sath utpann hone wala wo meetha sa ehsas. Isi se aditya jhunj raha thaa. Usko khud samajh men nahin aa raha thaa ki wo kaise aage baadh raha hain. uskaa dimag is ke liye shayad raaji nahin thaa. Par dil kea age kisika jor nahin chalta.

Aaj shayad ye dusari baar thaa ki aditya ke dimag ke upar dil haavi ho raha thaa. Pichhali baar jab wo haavi hua thaa uski ek behad badi kimat use chukani padi thi. par is baar shayad wo kuchh khone ke kaabil hi nahin thaa. Balki wo aisaa kuchh pane ki taraf daud raha thaa jisko wo khone se dare.

Aditya ke dimag men jarur ek baar ye ehsas aaya tha ki wo deepa ko khone se daregaa. Par usse dur bhi to nahin wo rah saktaa. Shayad dur rahana uske liye ek aisi saja ho jo wo kaat naa paaye. Par wo sochta

hain aaj na kal kisike saath to umr gujaarni hain. aur apni mehboob se jyada aur koi khubsurat ho nahin saktaa.

Aditya apne dimag men ki nilofar ki chhavi ko mitaane ki koshish karte

huye. Deepa ke pyaar men bah padta hain. Uske labj deepa ke labjonke itne paas the ki kuch wo ekdusare ki saansonko apne chehare par mahsus kar sakte the. Aditya ki saans achaanak se garam ho jaati hain aur wo deepa ke labon par apne lab rakh detaa hain.

Deepa ko to kuchh pata nahin thaa. Aditya us rasile labon ka raspaan kartaa ja raha tha. Aditya ke dil deepa ke sath busy thaa par uskaa dimag kuchh aur hi bun raha thaa.

Use achanak uske ek dost ke labj yaad aaye jab wo sab kuchh tabah hone ke baad ghum raha thaa. Tab uski mulakat isse huyi thi. US shaks ne aditya ko sirf ek hi salah diyi thi





“pick up a cause,



fall in love,



life will be beautyful again”





Aditya samajh gaya ki yahi wo waqt hain, ab uskaa dimag bhi dil ka saath dene laga.

Achanak hi aditya ke dil se ek shayari nikal aayi





Bas itna hi kaha tha ke barson ke pyaase hai ''Faraz'', Honthon pe rakh ke honth usne khamosh kar diya..





Sham ke is baatchit ke baad to jaise aditya aur deepa ki jindagi hi

badal gayi thi. donon hi ab is dunia se dur apne khayaalon men apni khud ki dunia basane nikale the.



Agale din kaam nipataa kar aditya aur deepa wapas apne ghar jab jane

lage the to deepa bilkul aise soch rahi thi ki wo apne premi se bichhad rahi ho. Deepa ke ghar ke saamne aditya ki car khadi thi.

Colony puri sumsam thi. Na hi koi aane jane wala najar aa raha thaa.

Sabhi bunglows band the. Deepa ne aditya ke kandhe par sar rakha aur aditya ke haath ko donon haathonse pakad liyaa aur use sahlaane lagi. Aditya ke jahan men aisa kuchh nahin thaa usko laga ki ab deepa apne ghar ki taraf bhagegi par hua kuchh aur hi. Aditya kuchh bola nahin

bas apni jagah hi shant baitha raha. Kuchh der beet jaane par aditya deepa se bola “deepa jaao tumhara ghar aa gaya hain”

Deepa “haan par ab mera tumhe chhodkar kahi jaane ka man nahin kar raha”

Aditya uske jasbaat samajh raha thaa “deepa ab jaao tumhari mummy

tumhari raah dekh rahi hogi”

Deepa “dekhne do main tumhe chhod kar kahin aur nahin jaaungi” Aditya “tum ab jaao main kal main tumse milne tumhaare office aaunga”

Deepa “ab ye duri nahin sahi jaati aditya…..” Aditya “main bhi samajh raha hun…..”

Deepa apnaa muh latkaakar kahti hain “fir bhi bhej rahe ho”

Aditya usko sahlaate huye kahta hain “dekho deepa abhi tumhara apne ghar jana sabse jyada jaruri hain”

Deepa kuchh bolne ke liye muh kholne jaati hain to aditya apni ungali se uskaa muh band karta hain “aur …. Main jald hi tumhare ghar tumhare papa se baat karne aaunga”

Deepa “sach…” aur itnaa kahkar aditya ke gale se lipat jaati hain. Aditya “ab chalo aap apne ghar madam jaldi so jaao, aapse kal main aapke office men milungaa”

Itnaa kahkar wo gadi se utar kar uska sab saaman uske ghar chhod deta hain aur apne ghar chala jata hain.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 66

Dusare din aditya deepa se jakar usse office men milta hain. Usi raat aditya deepa ko call karta hain
Aditya “hello”
Deepa “haan bolo jaan”
Aditya “sham tak to meraa naam aditya thaa abhi achanak se kaise badal gaya?”
Deepa “maine rakha hain”
Aditya “kyu aditya naam men kyaa burai hain”
Deepa “burai to kuchh nahin hain par koi to aisa nam ho tumhara jisse sirf main hi tumhe pukaaru:
Aditya “chalo koi baat nahin aur sunaao khana hua ya nahin” Deepa “haan ho gayaa”
Adityaa “are waah mujhse puchha tak nahin ki maine khaya ya nahin aur tumne khana kha liya”
Deepa “accha tumne khana khaya ya nahin?”
Aditya “nahin” Deepa “kyun?”
Aditya “wo jara bahar nashta hi itna kar liya hum donon ne ki aaj bhukh
hi nahin lagi”
Deepa “waah yaani accha nashta khaa liya” Aditya “nahin wo ek dost mil gaya thaa na to fir” Deepa “dost…… yaani tum jhuth bol rahe ho” Aditya “ab maine jhuth kyaa bola”
Deepa “jhuth nahin kuchh chhupa jarur rahe ho”
Aditya “ab dost aaya thaa ye bata to diya aur kyaa chhupana?” Deepa “kahin tum uske saath piker to nahin aaye”
Aditya “nahin ….” Deepa “jhuth mat bolo”
Aditya “are jhuth kyaa wo pita hain nahin isliye uske saath nahin piyaa
to ismen kyaa jhuth hain”
Deepa “sikho kuchh apne us dost se”
Aditya “maine tumhe isliye nahin phone kiyaa hain ki tum mujhe phone par ye sab sunaao”
Deepa “fir…”
Aditya “are yaar tum bhi naa….. late night call hain…. log aise samay men romantic baaten karte hain aur tum ho ki kyaa suna rahi ho mujhe”
Deepa “ok baba”
Aditya “ab ye ok se kuchh nahin hogaa mujhe kiss do” Deepa “ummmah…..”
Aditya “dusare side par”
Deepa “ummah…..” Aditya “ab lips par”
Deepa “ae… bas ha nab nahin to ek chapet dungi”
Aditya “are baap re main sunkar dar hi gayaa” Deepa “ha ha ha sab mujhse darte hain”
Aditya “kaun ghar ka cockroach ya fir chuha ya chhipkali?”
Deepa “dekho main pahale hi bata deti hun main in chijon ke siwaay kisise nahin darti”
Aditya “thik hain tumhe pata hain meraa ghar cockroaches, chuhe aur chhipkaliyonse bhara pada hain”
Deepa “ghar kaa pest control karwaa lo”
Aditya “are nahin wo to tumhaare intejaar men baithe hain ki kab madam ji aayengi aur hameen dekhkar uchhal kud karengi” Deepa “shut up”
Aditya “hi hi hi”
Deepa “tumhe kuchh aur nahin ata kyaa? Yun har ek se majaak karte ho?”
Aditya “fir kya har ek ko dhamaki detaa firu?” Deepa “mera aisa matlab to nahin thaa” Aditya “chalo chhodo koi aur baat karte hain” Deepa “kyaa?”
Aditya “kuchh bhi lekin kuchh alag” Deepa “tumhi kuchh start karo”
Aditya “naa maine nahi start karna fir se kah dogi ki main tumhara majaak udata hun”
Deepa “wo to main kuchh bhi start karu tum to meri khinchai karne hi
waale ho”
Aditya “chalo ab nahin karungaa.......... khush”
Deepa “thik hain”
Aditya “ye batao fir se kiss kab dene waali ho mujhe” Deepa kuchh kahti nahin sharmaa jaati hain
Aditya “wo tumhare naram naram hath, unka wo anubhav bas mujhe chhu jata hain”
Deepa “bas….”
Aditya “sach men batau deepa bhagwaan ne tumhe bahut fursat men banaya hain”
Deepa “aur tumhe?”
Aditya “hamara kyaa hain plastic moulding dekhi hain kaise dhapadhap production chalta hain waise hi bane hain hum”
Deepa “nahin tum men kuchh alag baat hain.. sabse alag”
Aditya “are nahin yaar, main thode na koi tumhaare jaisa sundar hun” Deepa “sundar nahi ho to kyaa hua?”
Aditya “samjha karo deepa jo gun tum men hain wo mujhme nahin”
Deepa “jo tum men hain wo mere paas nahin”
Aditya “bhagwaan ne hamen 2 bhaagon men isi liye banaya hain taaki hum paas aaye”
Deepa “bas bas aur kucch kaho tum” Aditya “ab kyaa kahun main”
Deepa “kuchh bhi”
Aditya “pata hain deepa kyaa likha hain aage” Deepa “jo bhi likha hain accha hi likhaa hoga”
Aditya “bhavishya ke garbh men kya hain ye kisiko pata nahin hota aap
bas uska andaja hi aga sakte ho” Deepa “kuchh aur kaho”
Aditya “main soch raha hun jald hi tumhaare ghar aakar tere mere
rishte ki baat kar du” Deepa “itni jaldi”
Aditya “kal aap mujhko chhod nahin rahi thi madam” Deepa “wo to….. main to”
Aditya “haan haan madam ab aap free ho bahaane banana ke liye”
Deepa “are nahin par aise kaise?”
Aditya “to fir main kyaa karu mujhse akelaa ab raha nahin jata, is jahaan men hain meraa bhi koi par wo mujhse duri banaye rakhna
chahta hain” Deepa “par…”
Aditya “par war kuchh nahin… tum papa se kahdo main unse milne aa
raha hun”
Deepa “are aise nahin saath men kisi bade ko lekar aana” Aditya “haan ek budhe ko saath men lekar aaunga” Deepa “kise?”
Aditya “Pratap ko”
Deepa “are nahin koi tumse bada” Aditya “fir abhiman ko lata hun”
Deepa “who thik hain par koi usse bhi bada”
Aditya “ab mere chacha aayenge nahin usse accha abhiman ke papa aur pooja ke papa ko le aaunga”
Deepa “haan ye challenge”
Aditya “to fir thik tum apne ghar papa se baat karlo aur mujhe bata dena main aa jaaunga”
Deepa “thik hain jald hi bata dungi” Aditya “aur batao pahali kiss kaisi lagi?”
Deepa sharmaakar “ye batane waali thodi naa baat hoti hain” Aditya “are sharmaao mat mere saath hi to liyi thi”
Deepa “hato…” Aditya “bataao naa…”
Deepa “aisi chije nahin batana maine”
Aditya “chalo thik hain fir main hi kuchh kahtaa hun tum suno” Deepa “haan kaho”
Adityaa “tumhaare wo naram naram hoth…. Tumhare badan ki wo
madhosh karne waali khushbu”
Deepa “aditya maine phone kaan se dur kar diya hain tumhe jo kahna hain kaho”
Aditya “chalo thik hain so jaao tum”
Deepa “haan thik hain ab waise bhi kaafi der ho gayi hain aur kal office bhi jana hain”
Aditya “mujhe to ab nind aayegi nahin tum so jaao” Deepa “tumhe kyun nind nahin aayengi?”
Aditya “chalo so jaao main roj bahut der se sota hun”
Deepa “kyun?”
Aditya “nind nahin aati mujhe” Deepa “kyun nahin aati?”
Aditya “ab tum so jaao fir kabhi baat karenge is baaren men” Deepa”ok good night take care”
Aditya “love you”
Deepa “love you too”
Aditya “chalo ab rakhdo phone” Deepa “ummmmahhhh..”
Aditya “haan good night kiss mil gaya” Deepa “meraa?”
Aditya “bahar aa jaao main abhi aa jata hun” Deepa “nahin nahin”
Aditya “abhi kaun kah raha thaa ki main kisise nahin darti”
Deepa “haan haan tumse darti hun baba” Aditya “chalo fir ab phone rakho good night” Deepa “good night”

Deepa phone rakhkar aditya ke sapnon men kho jaati hain. Par aditya to jag raha thaa.
 
  • Like
Reactions: mashish
Top