Update 56
Udhar aditya, Vikram aur sabhi bhai ek unche hotel ke private baar men baithar aapas men baaten kar rahe the.
Vikram “aditya, main chahta hun ki tum firse ghar aa jaao”
Aditya apne saamne rakhi ciggrate ke packet men se ciggrate nikal kar lite karta hua badi hi cool andaaj men puchhta hain “kya kahna chahte ho Vikram bhaiyya thik se batao”
Ab tak baaten karne waale vikas aur virat bhi ab thode serious mood men ab Vikram ke jawab men uski taraf dekhne lag jate hain.
Aditya to apna glass uthakar usmen jo thodi si jo bachi hui thi wo gatak jata hain. tabhi saamne baitha waiter uske liye refill karne lagta hain to aditya use rokte huye kahta hain “tum sab kuchh table par chhod do main sab kuchh kar lunga, aur humen thodi der ke liye akela chhod do” Waiter ab sab sajo-saman table par rakh kar bahar jate huye kahta hain “sir agar kuchh chahiye ho to bahar se bula lijiye” itna kahkar wo nikal jata hain.
Ab aditya Vikram ki taraf dekhte huye bolta hain “ab kaho jo kahna hain”
Vikram kuchh samajh nahin paa raha thaa ki wo aditya ko kaise samjhaye to wo apnaa aadhe se jyada bhara jam uthakar pee jata hain. ab aditya uske khali jam ko apni taraf khinch kar apne liye aur Vikram ke liye peg banana shuru karta hain.
Peg banate waqt jab uski najare niche thi. tabhi ishare ishare se vikas use kahta hain ‘kah do ab yahi sahi samay hain’
Peg banakar aditya uski taraf dekhta hain aur Vikram kahna shuru karta hain “aditya…. Itne bade karobar ka boj main akela nahin utha sakta”
Aditya “akele kyun vikas aur virat bhi to hain”
Vikram “aisi bat nahin hain aditya par jo baat tum men hain wo baat to mujh men bhi nahin”
Aditya “aap apne aap ko niche samajh rahe hain bhaiyya”
Vikram “to suno aditya, main chahta hun ki tum firse yahan aao karobar sambhalo, bhale naa bhi sambhaalo par yahan raho aur kitne din yahan par basi hui tumhari nilofar ki yaadon se dur bhagte rahoge. Abhi vikas ki bhi shadi ki baat chal rahi hain. tumhare liye bhi kaafi
acche acche rishte aaye hain.”
Aditya “kya aap kahna chahte ho ki main bhi shadi karke yahin rahu” Vikram “haan, aakhir kabhi na kabhi to shadi karni hain aur ghar to basana hain hi….. sabhi kahte hain jindagi tanha nahin gujaari ja sakti koi na koi saathi jarur chahiye hota hain”
Ab aditya apne saamne ka glaas men se ek sip maarta hain aur kahta hain “bhaiyaa aapko ek baat bata du ki main chahe shadi karlu ya kaise bhi rahi main yahan nahin rah sakta. Ye ghar, business, politics, iske
roj roj ke fande main inse dur rahna chahta hun.”
Vikram “yani tum apne pariwar ka saath nahin dena chahte”
Aditya “maine aisa kab kaha, main hamesha aapke aur pariwar ke saath hun. Par jaraa duri bana kar. Jabtak main jinda hun bhaiyaa majal hain kisiki ki wo ghar ya gharwalon ki taraf najare uthakar dekhe. Aap to jante hi hain ki uska haal karunga ki sabhi ke dilon men bhi dahshat ho”
Vikram “par kab jab ghar men ke kisiki jaan chali jaaye ya fir koi bahut badi musibat aa jaaye. Maanta ki tum ismen maahir ho aur dekh bhi chukka hun pichhli baar….”
Aditya “dekhiye bhaiyaa maine apne pariwar ke khatir nilu tak ki bali chaadha di thi aur ek missal banayi thi ki Jahagirdar khandan se takkar ka kya anjaam hoga”
Vikram “haan manta hun par tum jab tak jaage the tab tak humne ghar ka sabse aham wyakti yaani tumhare papa ko hi khoya tha. Waise bhagwan ka shukar hain ki uske baad men tumne apne aap ko apne pitaji jaisa sabit kiya ya tum ho hi waise bas kuchh hone ki der hain” Aditya “bhaiyya kya aap ab is bat ko yahi rokenge main nahin chahta ki
itihas men bane huye mere jakhm jo ki ab naasur bane hain use ab koi malham laga raha hain aur aap use ukere”
Vikram “thik hain par mujhe yahi kahna hain ki tum ghar chale aao”
Aditya “bhaiyya ab main aapko kuchh batata hun aap suniye”
Vikram “beshak sunao” itnaa kahkar wo apne saamne ke peg ka ghunt leta hain.
Aditya “main deepa se pyaar karta hun behad jyada pyaar. Uski khushi hi ab mere jindgi ka sabse bada lakshya hain. main usse shadi karna chahta hun aur shadi ke baad main wahi bans jaaunga yahan wapas nahi aaunga. Main nahin chahta ki wo is ghar men aaye aur is ghar men mera wo chehara dekhe jisse main khhud darta hun.”
Vikram “thik hain ab jo tumne soch hi liya hain to thik hain par main chahta hun ki tum mere liye ek baar fir se is baat par socho”
Kuchh der ki shanti ke baad firse Vikram puchhta hai “aaj jis tarah se deepa dekh rahi thi mujhe nahin lagta ki tumne use kuchh bataya hain.” Aditya ab tak niche apne daru men jo ice cube gholne keliye ghuma raha thaa usse dhyan upar uthkar ek naughty smile ke saath dekhta hain “tumhen kya laga main aise patte abhi kholunga pahale usse pyaar ka ijhaar to kar lu baad men use shanty men bataunga ki main kaun hun”
Isi baat par vikas hanste huye kahta hain “yaar mujhe is bat par wishwas nahin hain ki tune abhi tak usse pyaar ka ijhar nahin kiya hain”
Aditya “yaar jara thodi din maje lene do” Vikram “waise kis kis ko pata hain?”
Aditya “Pratap, abhiman, aur recently kal rat maine bhabhi ko bataya
hain”
Vikram “chal thik hain, par ye bata kab tak aisi lukachhupi ka khel chalega”
Aditya apni aankhen wahan upar tike jhumar ki taraf dekhte huye kahata hain “mujhe nahin lagta ki wo din ab jyada dur hai ki us din ye baat ho hi jani hain”
Vikram “are glass khali karo, mera bhai kisise pyar karta hain is baat par to ek aur round hona hi chahiye”
Sabhi log firse ek aur round lete hain tabhi virat kahta hain “chalo ab
kafi raat ho chuki hain”
Aditya “ek round aur fir chalte hain aur party meri taraf se”
Sab log ghar jane ke baad apne apne room men chale jate hain par aditya ke aankhon se to nind koso dur hi thi. uske man men to bas ek hi naam tha ‘DEEPA’