Update 64
Deepa bahar aati hain to dekhti hain ki Aditya haath men mobile chehare par muskan liye huye bed ki taraf dekhe ja raha hain ja raha hain. aditya ka dhyan khinchne ke liye wo apni haath chalne lagti hain
jisse ki kuchh aawaj ho aur aditya uski taraf dekhe par aditya ki saadhna bhang nahin hoti aakhir kar wo aditya ko kuchh kuchh sharmate huye aawaj deti hain “aditya….aditya”
Ab aditya ka dhyan deepa ki taraf aa jata hain. aditya ko pahale to khud ka hosh us lamhe men jine ki wajah se nahin thaa ab deepa ko dekhte huye wo firse apnaa hosh kho baithtaa hain. deepa aditya ke ektak uski taraf dekhte dekh sharmaa kar niche dekhne lag jati hain.
Aditya deepa ko upar se niche tak dekhta hain uske wo bheege baalon par kuchh rahi hui paani ki bunde aur chehare par aayi hui sharm ki lali. Haath men tauliya liye huye uska ek haath ko dusare haath se pakad kar khada rahna. Uskaa wo rup dekhkar to aditya bas nidhaal ho jata hain upar se uske abhi abhi nahakar aane ke baad aane wali uske badan ki mahak bas aditya ko pagal kiye ja rahi thi.
Deepa sharmaakar niche dekhne lagti hain. firbhi aditya bas uski taraf hi dekhe jata hain. deepa se ab raha nahin jata wo aditya ko kahti hain “aise mat dekhiye”
Aditya “kyun?”
Deepa “sharam aati hain”
Aditya ab ki baar kuchh nahin bolta sidhe uthta hain aur apne bag men se saman nikal kar bathroom men chala jata hain. deepa apne khayaalon men kho jaati hain. wo sapne sajane lag jati hain.
Aditya jab ready hokar bahar aata hain dekhta hain ki bedpar baithi deepa apne hi khayaalon men dubi hui hain. wo use aise dekhkar kuchh sochne lag jata hain. achanak se use yaad aata hain ki bahut bhukh lagi hain.
Wo aawaj deta hain “deepa….deepa”
Deepa to bas jaise ek sapane se jaagi ho. Pahale to samajh men nahin aata ki kisne aawaj diya hain. wo idhar udhar dekhti hain to use aditya dikhta hain. aditya haath men gadi ki chaabi ghumate huye khada hain. Deepa kuchh kahti nahin. To aditya hi kahta hain “chalo utho, aaj chhutti hain”
Deepa kuchh samajh nahin aati sawaliyaa najaron se uski taraf dekhe jaati hain. aditya kahta hain “chalo bahar jaayenge, ghumenge, aish karenge”
Deepa yahan uski line pakad leti hain “kyaa kaha? Aish karenge ? fir
tum akele hi jaao”
Aditya “are yaar ab aise bhi mat kaho”
Deepa “kyun tumhara kuchh bharosa hain kya?”
Aditya “are tumhare hisaab se aish hongi, bahar jaayenge, ghumenge, agar kuchh shopping karni ho to bolo”
Deepa “nahin mujhe kuchh shopping nahin karni”
Aditya “fir kya yahan aise hi akele baithkar bore hone ka irada hain kya?”
Deepa “tumhare sath ghumne se yahaan baithne jyada safe hain”
Aditya “ab aisa mat kaho tum yahan baithkar bore ho jaaogi aur main akele ghum nahin sakta. Main bhi bore ho jaaunga”
Deepa kuchh sochti hain. fir kahti hain “kyun aau bahar ghumne” Aditya “tumne isse pahale ye city dekhi hain?”
Deepa “nahin”
Aditya “fir chalo tumhe ye city dikha laata hun”
Ab deepa is baat par to naa kah nahin sakti thi to uthkhadi ho jaati hain. donon bahar ghumne chale jaate hain. lunch bhi saath men karte
hain. lunch ke baad aditya deepa ko us city se kuchh dur bani hui ek jhil par le jata hain.
Deepa aur aditya gaadi park karke us jhil ke kinare bane huye garden
men chale jate hain. Aditya ka dil thaa ki kuchh baat shuru kare. Deepa aur aditya tahalte tahalte us jheel ke ek kone men jaate hain. aditya ab us jhil ke paas jaakar apne jute utaarne lagta hain. deepa sirf
dekhe jaati hain ki aditya kyaa kar raha hain. wo usko dekhe jaa rahi thi. aditya apne shoes utar kar aur jeans thodi upar lekar paani men pair dubokar baith jata hain.
Deepa dekhti hain aur kahti hain “aditya ye kyaa kar rahe ho?” Aditya “kyun tumhe dikh nahin raha ki main baitha hun” Deepa “wo nahin ye paani men pair chhod kar…”
Aditya “come on tum bhi aao… baitho… kafi accha mahsus hotaa hain…. jab bhi pani ki lahare aakar chhuti hain ek aisaa ehsas hota hain ki bas use yun labjon men bayan nahin kar sakte”
Deepa “jaane do”
Aditya “nahin… aao yahan.. baitho mere side men”
Ab aditya ki baat ko wo taal nahin sakti thi to wo bhi aditya ke side men aakar baith jaati hain.
Aditya “yun baithe huye saamne dhalte suraj ko dekhne ka maja bhi
kuchh aur hain”
Deepa bhi us ehsaas ko lene men mashgul ho jaati hain. deepa aur aditya donon us dhalne waale suraj ko dekhe jaa rahe the ki achanak deepa bolti hain “aditya … mujhe aisa kabhi nahin laga thaa … ki tum ek businessman ho…. Dinbhar paise ke pichhe bhaagte rahte ho”
Aditya “to kyaa hua… main hamesha apne liye waqt nikaalta hun.
Business, paise kamana ye sab life ka ek hissa hain ye life nahin hain” Deepa “to fir kya hain life”
Aditya “life koi chhoti moti chij nahin hain…. life hain khud ko samjhna”
Deepa “khud ko samjhna… ye kya hota hai… main to khud ko acche tarah se janti hun”
Aditya hansne lagta hain “tum kahti ho ki tum khud ko acchi tarah se
jaanti ho naa?” Deepa “haan…”
Aditya “galat fahami hain madam…. Aadmi apne aakhri waqt tak khud
ko thik tarah se nahi samajh paata” Deepa “kuchh samjhi nahin main”
Aditya “rahne do. ye baat kabhi aur kisi samay thik se samajha dunga”
Ab firse donon us suraj ki taraf dekhne lag jaate hain. achaanak aditya ke man men deepa ko uchkaane ka khayaal aata hain.
Aditya “deepa…”
Deepa “ummm….” Deepa us suraj ko nihaare ja rahi thi. Aditya “tumne mere subah ke sawal ka jawaab nahin diya” Deepa “kya?”
Aditya “ki tum mujhse pyaar karti ho ya nahin”
Ab is baat par deepa Sharma jati hain. deepa ke chehare par ki sharm kaa laalpan dekhkar aditya hansne lagta hain.
Aditya “mujhe jawab pata hain deepa…. Tab se jab se main tumse milaa thaa”
Deepa kuchh der aise hi sharmaakar niche dekhe jaati hain aur aditya apnaa muskuraata chehara liye is kshan ko apne dil men hameshaa ke liye sanjoye rakhne ke liye koshish karta hain.
Aditya “aur deepa main bhi tumhe usi din se chaahne laga hun jis din tumhe pahali baar dekha thaa”
Deepa “fir kahne men itne din kyu lagaaye?”
Aditya ab apne haath men uski chin uthaakar uski aankhon men aankhen daalta hain aur kahta hain “maine kai baar kahne ki koshish kiyi par ye jo tumhari aankhen hain naa inmen jab bhi dekhta hun main bhul jata hun ki main kyaa kahne wala hun”
Itnaa kahte hi deepa sharmaa kar aditya ko lipat jaati hain. aditya aur deepa ek dusaere ki aankhon men kho jaate hain aur donon ke lab ek dusare ki taraf aakarshit hone lagte hain.
Kyaa kaha jaaye us andaaj ko Is guleguljar ke husn ko
Ye bata ye sham khubsurt ho yaa tum
Mere jaham men ab sab kuchh maan liya tum ko