Update 16
- din baad aditya aur pratap donon hi ek badi si society ke car parking car park karke car men cigratte pee rahe the. Pratap “aaj yahan kyun aaye hai?”
Aditya “agala shikaar aur sabse bada kadam” Pratap “matlab?”
Aditya “aarif, mosin ke business ka dimag, bachpan se use mosin ne hi paal pos kar bada kiya, baad men ye uske paas hi kaam ko lag gya, ek ek sidhi chadhte huye ye aaj itna upar aa gaya hai ki aaj mosin ek bar imtiyaj ki baat ko taal dega par iski nahin”
Pratap “ye to fattu hai main isse mila hua hun”
Aditya “haan par dimag wala hai, ye banduk apne hath se nahi chalata balki, 100 bandukon se ladne waale hathon ko jeb men lekar ghumta hai” Pratap aage kuchh bole use pahale hi aditya usko bolta hai, “koi bhi aadmi kab tabah hota hai pata hai? Jab uska dimag kaam karna band kar de, iski maut ek itna bada jhatka hai ki kuchh din to ye sab sunn o jane wale hai”
Pratap “fir hum yahan kyu aaye hai?”
Aditya “pata hai aadmi ko kaunsi 2 chijen tabah karti hai?” Pratap “nahin”
Aditya “ek hai chhokri aur dusari hai faisala lene men kamjori, aaj ye
pahali ke chakkar men fansane wala hai” Pratap “yaani?”
Aditya “upar uski chhamiya rahti hai pakki tip hai ki wo abhi aane hi wal
hai” itne men ek car full speed men andar ghus aati hai aur dur park hoti hai.
Aditya “chuha trap men aa chukka hai”
Wo jaane ke 15 minute ke baad aditya “chal ab”
Aditya aur pratap lift se teesari manzil par gaye. Lift se bahar nikalte huye aditya ne pratap se kaha “sambhal kar rahna ye mosin ke drug business ko dekhta hai iski baton se sambhal kar”
Aur aage badh jata hai. Pratap uske pichhe pichhe aata hai. Aditya
aage jata hai aur 3 ek flat ke saamne khada hokar khatkhatata hai. Kuchh der khatkhatane ke baad jab darwaja khulta hai, to ek ladki adhnangi saamne aati hai. Aditya sidha us ladki ko andar dhakel deta hai aur andar ghusne lagta hai. Wo ladki use pakadne lagti hai par us ladki ko pratap pakad leta hai.
Aditya to us ladki ko dekhte hi samajh gaya thaa ki wo ladki drugs ke nashe men hai. Aditya sidhe andar bhaagte huye aage gaya. Wahan bed par se aarif bahar ki aawajen sunkar hadbadakar utha. Aur usne pant ke side men padi apni gun lapak kar pakad hi li.
Aditya ne bedroom ke darwaje ko itni jor se laath maari ki wo tut chukka tha. Aditya andar aaya to wo dekhta hai ki aarif samne hath
men gun liye huye khada hai. Aditya ki taraf gun taan kar bhi jyada dara
hua to wo hi dikh raha tha.
Aditya ke chehare par ek muskan thi. Aditya aage badha. Aarif ek kadam pichhe hata, aditya “are chala goli abhi isi waqt mujhe mukt kar de is sab se”
Aarif “dekh aage mat aa”
Aditya “dekh mere hath men agar gun hoti to main jara bhi nahi sochta trigger khinch leta”
Itna kahte hi aditya jor se ek thapad uske gaal par rasid deta hai aur
uske hath se gun niche gir jati hai aur wo wahin niche baith jata hai. Aditya gun utha leta hai aur uski coller ko pakad kar use bahar hall men lekar aata hai jahan pratap ne us ladki ko bhi usne bitha rakha tha gun point par.
Aditya ne usko sofe par baithne ko kaha. Wo sofe par baith gaya. Arif “mujhe mat maaro main tum jo kahoge wo karunga aditya”
Aditya “kya kar sakta hai tu mere liye?”
Aarif “paisa, ladkiyaan, kaam karne ke liye aadmi, yahan tak chahe to drugs ka business jo tu bole wo”
Aditya “ye to sab baad ki baaten ho gayi abhi kuchh kar sakta hai to bol”
Aarif “abhi mere paas 3 kg maal hai market men kai crores ki kimat ka
maal hai tujhe de dunga” Aditya “thik hai de de”
Aarif “uske liye mujhe niche jana hoga car men rakhi hai”
Aditya “tu baith pratap isse chabi le aur jaa”
Aarif apne car ki chabi deta hai aur kahan par chhupa kar rakhi hai wo bhi bata deta hai.
Aditya “ek baat batayega sach sach” Aarif sirf haan men sar hilata hai.
Aditya “mere papa ke khun ka plan kisne banaya tha?”
Aarif “mosin aur imtiyaaj ke dimag ka kaam hai ye” Aditya “unhone?”
Aarif “haan unhone sab ho jane ke baad mujhe bataya tha, maine unhe
bola bhi thaa ki ye kadam mat uthao par meri suni nahin” Aditya “jhuth”
Aarif “asal men wo mere pas idea lekar aaye the maine sirf plan banakar diya tha”
Aditya “aur aage ka kya plan hai”
Aarif “abhi to unke nishane par tum ho”
Tabhi pratap aa jata hai. Aarif “ye sab le jaao agar chaho to main tumhe aur bhi dunga”
Aditya “are chhod yaar bechane ka baad men sochte hai jindagi mili hai nashe ke liye pahale nasha karte hai”
Aarif “main koi nasha nahi karta”
Aditya ladki ki taraf ungli karke “ye kya hai fir?” Aarif “tum ye shauk nahi rakhte ho kya?”
Aditya “nahin maine ek se pyaar kiya aur uski khatir kisi aur ko nahin
chhua”
Aarif “nilofer…. Ab usmen uske papa ke aage kisiki nahi chal saki” Aditya “Chal aaj tu bhi nasha karega, le wo powder ka paciket kaise lete hai dikha humen bhi”
Aditya ab gun nikal kar uske sir par lagata hai, aur us ladki ko ishara karte huye “tum bhi”
Wo ek hajar ki not nikal kar usmen se darted arte huye kuchh powder khinchta hai. Wo ladki full speed se khinch leti hai.
Aditya “are tu to gabru jawan hai aur khinch”
Aarif “nahin hota”
Aditya “tu hi soch le mujhe gun chalane men kuchh der nahin lagegi” Aarif ke samne ek bada sa packet fodte huye kahta hai “sab khatam karo tum donon milkar”
Aditya usko ek ke baad ek khinchne par majboor kar raha tha. Ek waqt aisa a gaya ki uski aankhen puri laal ho gayi thi aur saanse ekdum bhaari ho gayi thi. Aarif “ab nahin hoga”
Wo ladki ki halat to aur bhi kharab thi. Aditya ne uske sar ko upar
pakada aur ek mutthibhar powder sidhe uske naak men daal di wo bahut hilne ki koshish kar raha tha par uske haath paanv pratap ne pakad rakhe. Aditya ne ek mutthi aur powder bhari aur uski donon naak
ki pudiyaan band kar di.
Kuchh hi der baad wo wahin dher ho gaya. Aditya ne us ladki ki taraf dekha par uski saans bahut hi kam chal rahi thi. Aditya ne pratap ko kaha “drugs ne iski jaan nahi liyi hai balki is ladki ki jaan liyi hai, aarif ki jaan to khud mosin ne liyi hai”
Aditya ne apna rumal nikala aur us ke gunpar se apni finger prints nikal kar wahin rakh di. Aur donon ab wapas chale gaye…