• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Teri Meri Love Story (Completed)

Kya aap firse is story ko padhne me interested hai?


  • Total voters
    11

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 10

Apne mummy papa ki maut ke kuchh din tak jab tak kriya karm chalet the aditya jyaada tar der apne kamare men hi bitata thaa aur sirf jitni jarurat ho yani ki logonse milnaa ya fir koi pooja path men jana uske liye hi bahar nikaltaa tha.
Jab se sab khatam ho gaya aditya apne room se bahar nikalaa par usne mujhse bilkul bhi baat nahi kiyi, sidhe gaya manik se milne.
Manik aur wo bahut der take k saath baat chit karte rahe kuchh der baad aditya wahan se bahar nikalaa, manik par chillate huye “tumhe koi gam nahi hai mere maa baap ki maut kaa ab jo karma hai main khud karunga”
Pratap aditya ke saamne gaya. Pratap ko dekhte hi aditya bola “chal” Itnaa kahkar wo donon ghar se bahar nikale. Aur aditya sidhe ek bar men chale gaye, aaj to jaise aditya ko sharab pine ka record todnaa ho
waise pee raha thaa. Saamne ke table par kuchh 4-5 ladke baithe the. Aditya unki taraf ghure jaa raha thaa.
Kuchh ek peg pine ke baad wo bhi udne lagte hai, unmen se ek kahta
hai “kya ghur raha hai be?”
Aditya “nikal BC main kahin par bhi dekhu tujhe kya?”
Kuchh hi der men baat hathapai par aa gayi. Aditya nashe men jarur thaa par kamjor nahi thaa. Usne aur pratap ne milkar acchi khaasi dhulai kiyi un sab ki. par aakhir kaar bahut kuchh hone par bhi aditya ke against poliuce case khada rah jata hai.
Ghar par aditya jata usse pahale khabar chali gayi thi. Aditya ghar men jata hai to wahan uske dadaji bathe the. Unhone jaise hi aditya ko andar aate dekha to kaha “adityaa..”
Wo aawaj sunkar jaise uske kadam ruk se gaye. Usne unki or dekha. Ana sahib “idher aao”
Anna kea pas jakar baithne par “sharab piye ho”
Aditya kuchh jawab nahi de pata bas apni garden niche jhuka leta hai. Anna sahib “kal se ye yun ghar men rahnaa, bahar ye sab karma band MBA ke liye tumhari admission kar de raha hun, kal se collage chale jana”
Aditya “ek baat kahu anna” Anna sahib “haan kaho”
Aditya “mera in sab se ab man ud chukka hai, main ab aage padhna nahi chahta”
Anna “fir kya karma chahte ho? Kal se fir office chale jana”
Aditya “main wahn bhi nahi jana chahta wahan papa kli yaaden mujhe nahi rahne dengi”
Anna “aakhir karma kya chahte ho beta”
Aditya “aap mujhpar bharosa kijiye main jo karma chahta hun mujhe karne dijiye”
Anna “aakhir ye kyu kar raha hai sharaab pina aur maarpit karma, sharab pine ke liye meri koi naa nahi hai beta par ye to mat kiya karo, bhagwan ne humen taqad dusaronka bhala karne ke liye diyi hai use wahn istemaal karo, aise nahin”
Aditya “wo to galti se ho gaya tha anna, par is hal;at men ye jaruri hai” Anna “manik jara commissioner ko phone lagana to aditya ka police case ke liye baat karma”
Aditya “nahi anna bahut kuchh ho gaya ab aap mewre liye kuchh nahi karenge ab main aapke liye karunga”
Anna “par beta naam par police case rahna koi achhi baat hai kya?” Aditya “pata hai mujhe bhi ye baat acchi nahi hai isko baad men bhi nikalwa sakte hai court men jaakar par main chahta hun ki aap is waqt kisipar bhi pressure naa dale aapke upar is waqt kaiyonki nigaahen hain”
Anna “tu thik kah raha hai, jaa aaram kar le bahut thak gaya hoga na” Aditya “aur ek baat anna mujhe ye shaq hai ki wo ladke jinki maine pitai kiyi wo mosin ke aadmi the aap bas case khulne men deri ho iske liye bas dekh lijiye”
Anna “haan thik hai utna aaram se kiya ja sakta hai” Aditya ab andar chal jata hai.
Agale din pratap dekhta hai kia dity a subah se gym men laga hua hai. Baad men nashta ho jane par vaishnavi kahti hai “aaj kya kar rahe ho?” Aditya “kuchh khas nahi, par kyu?”
Vaishnavi “mere sath shopping ko chalo”
Aditya ab jyada tar der ya to ghar men bitaane laga, ya fir bahar bhi jata
to daru pine, isi beech men aditya ke upar aur 3-4 police case darj ho gaye.
Ek din shaam ko aditya, pratap ke sath bahar nikalta hai. Abhiman pichhe pichhe aane lagta hai. Aditya use rokkar kahta hai.
Aditya “abhiman yahi ruk jao aaj tum hamare sath nahi aa sakte”
Abhiman “kyu?” Aditya “samjha karo”
Abhiman “bahar halat bahut kahrab chal rahi hai, samjha kar”
Aditya “baaki din main tumhe kuchh nahi bolunga par aaj nahi abhiman”
Abhiman “aaj kuchh na kuchh hone wala hai”
Aditya kuchh bolta nahi bas gardan hilata hai. Abhiaman ke man men lahar uth jati hai.
Abhiman “kya karne ja rah ahai tu?”
Aditya “kuchh khas nahi bas ek jaruri kadam utha raha hun” Abhiman “main bhi tumhare sath aat hun”
Aditya “nahin aaj nahi, aur tujhe kasam hai meri mere pichhe nahi
aayega”
Abhiman “thik hai, par kuchh to batata ja” Aditya “Disco Blue Dragon”
Abhiman “wahan kyu ja raha hai? Wahan mat jaa”
Aditya “bas ek aadmi se milne jana hai, aur darna mat main aise hi nah ja raha hun” itna kahkar wo apne kamar par lagayi huio gun dikhata hai. Aditya ab abhiman kuchh kahen usse pahale hi wo gadi nikal leta hai.
Abhiman bhi kasam khane ki wajah se uske pichhe nahi ja sakta hai. Aditya apni car lekar wahan pahunch jata hai. Car bahar parking men lagane par hi wo jaan jata hai ki kai nigaahen uspar hi tiki hai. Wo aage badhte ja raha tha. Pratap uske sath kadam se kadam milakar chale ja raha tha.
Aditya aur pratap andar ghus gaye. Andar ka mahaul kisi aam disco ki tarah hi tha, ye disco unke shahar ke top pubs men se ek tha. Aditya andar gaya to mahaul men jaise jawani ka josh dikhte hi chalak raha thaa.
Loud music, uspar thirakne waale kadam , madmast shokh adaaye daalne waali hasinaayen. Par aditya to kisi aur kaam se yahan aaya thaa, wo in sab men se raasta nikalte huye aage bar counter ki taraf badhta chala gaya. Wo jaise jaise aage ja raha thaa, uspar kai logon ki nigaahen tiki huyi thi. Sabse badi aankhen thi, us bar counter ke thik saamne unchai par bane huye kaanch ke cabin men se.
Aditya us bar counter ke saamne rakhe huye stools men se ek par baith gaya uske side men hi dusare stool par pratap bhi baith gya. Aditya ne order diyi “2 johny walker on the rocks”
Wahan us cabin men imtiyaaj ke andar gusse ka sailaab umad raha tha. Usko aisa lag raha thaa abhi saamne jaau aur use goli maar du. Usne apne side men khade aarif ki taraf dekha. Usne imtiyaj ke kandhe par haath rakha aur kaha “ye sahi waqt aur sahi jagah donon men se nahin hai”
Aarif ne mudkar ek ladke ki taraf dekha “avinash aditya ko pahchaante ho naa tum?”
Avinash “haan”
Aarif “jaao jakar usko samjhao ki agar wo yahan se chala jaaye” Avinash sidhe us cabin se bahar nikal kar aditya ki taraf nikal padta hai. Aditya apne saamne ki drink ka maja le raha tha. Aur saamne disco men naachne walon ko dekh raha tha. Avinash wahna aa jata hai, aur aditya ki side ki kursi lekar uske baju men baith jata hai.
Aditya “kaise ho avinash?”
Avinash “aditya yahan kyu aaye ho?” Aditya “tumse milna thaa”
Avinash “to bahar mil lete”
Aditya “bahar milne par koi shaq leta to maine socha kyu naa yahin tumse mil liyaa jaaye”
Avinash “yaa to tum bahut bade bahadur ho ya fir pagal”
Aditya “kyu yaar?”
Avinash “tumhe pata hai ki yahan itne saare log tumhare khoon ke pyaase hai firbhi akele aaye ho”
Aditya “are akele kahan pratap bhi to hai”
Avinash “pratap is aditya se dur raha karo yaar ye to jaayega hi saath men tumhe bhi le jaayega” is baat par teenon hansne lagte hai.
Pratap “life time partnership hai, ab aise chhod to nahi sakte” Avinash “jyada der main tumse baat nahin kar sakta jaldi batao kyu milne aaye ho yahan?”
Aditya “mere papa ki maut men imtiyaj ka kitna hath hai?”
Avinash “pura hath hai, sab kiya dhara aarif ka hai bas imtiyaaj aur mosin ka beta in donon ne ye sab kiya hai”
Aditya “mosin?”
Avinash “pagal ho gaya hai aajkal, kuchh sujhta nahi hai, aur waise bhi
uska beta kuchh dekhta to hai nahi jo hai wo imtiyaj dekhta hai, par uske pichhe pura dimag aarif ka”
Aditya “tum?”
Avinash “pak gaya hun inke saath par inhe aise chhod bhi nahi sakta, tumhare papa ke bare men suna bahut bura laga, tabhi se isi soch men thaa ki tum jarur milne aaoge”
Aditya “well to tumhara intejar pura hua, aur kuchh khaas batane layak”
Avinash “tumhare ghar men ek bhedi hai”
Ye sunkar to jaise ab donon chaunk hi gaye the. Avinash “uska naam to nahi maalum par wo tum sabke bahut paas ka hai, tumhare sath uthataa baithta hai, khana khanate hai jara sambhal kar rahna” Aditya “pratap kal se ghar chhodna padega” avinash se “uske bare men pata karo aur mujhe bata dena”
Avinash sirf haan men garden hilata hai aur kahta hai “ab jaao yahan se” itna kahkar wo uth jata hai.
Aditya apne hath men ka peg pura khinch leta hai aur uski dekha dekhi pratap ne bhi gatak liya. Aditya uth khada hua aur sidhe usne apni gun nikaali aur avinash par taan di aur usne jor se aawaj lagayi “avinash….” Aditya “tumhe kaya laga tum apni jagah se mujhe jane ke liye kahoge aur hum bhaag jayenge”
Wahan upar se imtiyaaj aur aarif ke pairon tale ki jamin ye sab dekhkar khisak gayi thi. Imtiyaj ne apni gun nikali aur sidhe niche daud gaya.
Aarif aur imtiyaj ko samajhte der nahi lagi ki avinash ne kuchh kaha aur wo aditya ko hajam nahi hua hai.
Yahan avinash ne bhi apni gun nikal kar aditya par taan di. Pichhe se
pratap ne bhi gun nikaal li. Disco men jaise khalbali mach gayi thi, jo pahale gaanon ki aawaj se mahaul thirkane wala tha wo ab logonki kilkariyon ne le liya tha. Sab log bhaag gaye the ab to bas samne avinash, imtiyaaj aur uske 2-3 ladke haath men bandook liye aur is taraf aditya aur pratap.
Aditya achanak se pichhe hatkar bar counter ki aad leta hai pratap ko bhi waisa karte der nahi lagti. Wahan imtiyaaj ka khoon jal bhun jata hai aur wo goliyaan barsana shuru kar deta hai.
Uske bandook ki magazine khatam hone par wo ek aur magazine
nikaalkar firse goliyaan chalana shuru kar deta hai, achanak use aisa lagta hai pichhe se kisine uski kanpatti par bandook lagayi hai to wo pichhe mudkar dekhta hai…
Imtiyaaj apne sir par pichhe se lagi banduk ka ehsaas hote hi chauk gaya. Wo pichhe mudne laga to to pichhe se ek hath aage aaya aur usne ek rumal ko pakade huye imtiyaj ki hath men ki gun ko uske hath se khinch liya.
Usne pichhe mud kar dekha to wo aadmi police ki uniform men inspector varun tha. Usne ek ek karke sabke hath se bhi gun nikal liyi. Aditya aur pratap apni guns jeb men rakhkar bar counter se aage aa gaye.
Imtiyaj “ye kya hai?”
Varun “you are under arrest aur in sabke bhi licence aur guns japt kar lo”
Imtiyaj “kis baat ke liye?”
Varun “in donon par jaanleva hamla karne ke liye”
Uske baad jagah ka panchnama hota hai. Varun un sab ko thane le jata

hai aur aditya aur pratap uske khilaf gawahi dekar uspar mukadamaa dayar kar dete hai.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 11





Agale din aditya uthta nahi hai, subah hi manik use uthane aa jata hai.

Wo dekhta hai ki aditya so raha hai . wo aage jakar usko hilakar uthane ko jata hai achanak aditya apne takiye ke niche se gun nikalkar uspar taan deta hai, par jab agale hi pal dekhta haiki wo manik hai to wo gun niche kar deta hai. Isse manik bhi thoda dar jata hai.

Manik “jakar anna sahib se mil lo, wo tumhe yaad kar rahe hai” Aditya “thodi der bad milta hun”

Manik “abhi bulaya hai”

Aditya shirt pahanate huye “chalo” kahkar donon chal padte hai. Aditya anna sahib ke samne khada tha.

Anna sahib “raat ko ye sab karne ki kya jarurat thi?”

Aditya “taaki imtiyaj ki kuchh asaliyat dunia ke samane aaye aur ek aur chij thi”

Anna sahib “kya?”

Aditya “wo aaj nahi baki ka entertainment program kuchh der ke break ke baad”

Itna kahkar wo nikal jata hai. Anna sahib bhi kuchh nahi bolte.

Kuchh dinon tak kuchh khaas nah hota. Aditya pratap ke sath kisi bar men baithkar daru pee raha tha. Tabhi wahan varun aa jata hai.

Aditya “are waiter yahan aana, kya loge varun?” Varun “kuchh nahi duty par hun”

Aditya “fir?”

Varun “kal imtiyaj aur sabko bail milne wali hai”

Aditya “milne de kuchh tang mat adaa bas ek chij kar mere liye”

Varun “kya?”

Aditya “imtiyaj ki gun uske hath nahi lagni chahiye aur uska liacence cancel karwa de”

Varun “gun to main evidence kahkar rakhwa lunga par licence?’

Aditya “simple hai aaj hi ek report commissioner office ko aaj hi bhej dena ki aisi aisi ghatna men isne apni liacenced gun use kiyi hai, saath men liacence par ek magazine hote huye ek extra illegal magine mili hai jismen ki goliyaan terrorists ke paas hoti hai us prakar ki hai is liye tahkikat puri hone tak liacence radd kar diya jaaye, aur ye extra iska bhi case lagwa de usmen”

Varun “laga diya hai”

Aditya pratap ko ishara karta hai, wo ek packet nikal kar varun ki taraf aage kar deta hai.

Varun “ye kya hai?”

Aditya “tere liye kuchh hai”

Varun use kholta hai to usmen notonka bundle tha. Wo use waise hi aage kar deta hai, aur kahta hai “aditya tujhe kabse aisa lagne laga main ye sab tumse expect karunga”

Aditya “tu expect nahi karga mujhe pata tha isiliye de raha hun” Varun “tu mujhe waisa samajh rakha hai, tere liye ye chijen kuchh bhi nahi hai”

Aditya “chal thik hai par koi jarurat ho to bata dena”

Varun “musibat ke waqt mujhe to sabse pahale bhagwan nahi yaad aata dost hi yaad aate hai”

Aditya “kisi dusare ko yaad mat karna bas mujhe yaad kar lena” Varun “chal yaar chalta hun “

Donon bye karte hai.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 12

Dusare din sham ke waqt aditya firse ek aur bar men avinash ka phone ataa hai. Kuchh der baat karne ke baad aditya phone rakh deta hai. Aur fir manik ko phone milaakar use baat karta hai.

Agale hi din aditya aur manik aamne saamne the, kuchh baat huy aur aditya ne sidhe manik ko dhakka de diya. Us baat par ghamasaan donon men bahas ho gayi. Aditya ne kaafi khari khoti suna di manik ko aur manik ne bhi kaafi kuchh sunaya.
Aditya “main is ghar ka beta hun aur tum naukar”
Wahan se aditya ke chacha aate hai, aditya ke sidhe ek kaan ke niche khinch dete hai. Chachaji “aaj tak humen kabhi aisa nahi laga aur naa hi humne kabhi socha ki manik hamare ghar ka naukar hai ye bolne ki tumhari himmat bhi kaise hui”
Aditya is baat par kuchh nahi kahta aur bahar nikal jata hai.
Dusare hi din ki akhbaar men news thi shahar ki suraksha wywastha ke liye kuchh logonko shahar se tadipaar kiya ja raha hai aur usmen
aditya aur pratap ka bhi naam tha. Is khabar ne pure ghar ko hila diya tha.
Wahan mosin ke ghar men khushi ka mahaul thaa. Mosin aur imtiyaaj aaj badi khushi men the.
Imtiyaaj “ye aapne accha kiya ki aditya ko tadipaar karwa diya”
Mosin apne ghutne par hath ferte huye “ab to uska hisab bahar hi kahin karwa denge”
Imtiyaj “wo main dekh lunga aap wo mujhpar chhod dijiye”
Mosin “wo waman rao ko phone lagana to dekhte hai kya batata hai wo”
Waman rao se use ye khabar milti hai ki ghar men aditya ka manik se kaafi jordar jhagda ho gaya hai, aur ab aditya jab tadipar ho raha hai tab wo abhiman ke city men jane wala hai unke ghar. Aur ghar men kaafi khalbali mach gayi hai.
Yahan avinash bahar aakar aditya ko phone lagata hai. Aditya apni packing men juta hua tha.
Aditya “hello… haan bol….. kaun? Wo?........ chal thik hai main sambhal
kar rahunga…. Haan haan khayal rakhunga apna”
Aditya phone rakh deta hai. Aur ek soch men pad jata hai. Tabhi pratap wahan aa jata hai.
Pratap “kya hua yar aise kyu baitha hai?”
Aditya “yaar ghar ka bhedi lanka dhaaye suna hai tune?” Pratap “haan par kyu?”
Aditya “ye sirf lanka hi nahi sab kuchh chhinwa sakta hai aisa bhedi hai”
Pratap “kaun?” Aditya “waman rao”
Pratap naam sunkar hi niche aditya ke side men uske bed par baith
jata hai.
Aditya “thik yahi haal mera hua tha jab maine bhi suna tha”
Pratap “ab kya karna hai? Ab to kuchh plan sabke saamne bhi nahi bana sakte”
Aditya “waise ye accha hua ki is mosin ne humen bahar nikal diya ghar
se, par khabar ye bhi hai ki wo humen bahar hi maarne ki koshish karne wala hai”
Pratap “are hum nahi honge to pata nahi yahan ghar men kya hoga”
Aditya “kuchh nahi hoga hum use milenge nahi isliye wo hamare pichhe ghumta rahega aur ghar wale surakhshit rahenge” Pratap”yaar par hum donon “
Aditya “ruk ek minute” wo turant manik ko phone lagakar bula leta hai. Manik “kya baat hai aise achanak kyu bula liya?”
Aditya “apne ghar men ek bhedi hai”
Manik “kaun?” Aditya “waman rao”
Manik bhi samne ki kursi khinchkar baith gaya.
Aditya “ab wo chhod do, ek kaam karo, mujhe kuchh weapons chahiye, kaun dega?”
Manik “ek aadmi hai jo tumhe jo kuchh bhi chahiye hoga sab dilwa
dega”
Aisa kahkar manik ek mobile number likhkar aditya ke haath men thama deta hai. Manik “isse contact kar lena ye legal aur illegal arms dealing karta hai”
Aditya “aur ek baat, hum kal se ghar men nahi honge to tumhe kuchh khabar mile to bata dena aur main bhi tumhe bataya karunga ki kaise aur kya karna hai, par mujhe har 10-15 din men milte rahna aur ek car mere liye wahan bhijwa dena par wo gadi main use kar raha hun iska pata kisiko mat lagne dena”
Manik “main 3-4 din men hi gadi bhijwa dunga”
Aditya “aur yaar mujhe maaf kar dena maine tujhe us waqt bahar bura kah, mujhe pahale se pata thaa ki ghar ka bhedi hai par wo kaun hai ye nahi pata tha isliye sab ke saamne tujhse aisa bartaav karna pada taaki dushman ko lage ki ghar men darar hai aur wo andaja lagane men

chuk jaaye”
Manik “mera bhi andaja yahi tha”
Aditya “aur yaar wo weapon dealer ko deneke liye kuchh cash ka bhi bandobast kar de”
Manik “chal main dekh lunga aur haan sham ko anna sahib ko tumse milna hai kuchh khas baat karni hai”
Sham ko anna sahib milne ke liye aaye to wahan aditya ek game pratap se khel raha thaaur dusara khel manik se. tabhi wahan pichhe se anna sahib aate hai.
Anna sahib “aditya ye kya main sun raha hun tumhara aur manik ka jhagda ho gaya aur tumne usko kya kya bola”
Aditya pichhe dekhta hai to anna sahib ko akelaa yaa hua pata hai aur
kahta hai “accha hua akele aa gaye”
Anna sahib “kyu kya hua? Aur ye hai kya?”
Aditya “ye to bas ek chaal hai ghar men ek bhedi hai uske liye ek khabar generate kiyi thi taaki wo bahar khabar pahuncha sake”
Anna “kaun hai wo khabri?” Aditya “waman rao”
Anna sahib “par wo kaise ho sakta hai? Wo to itna imaandar….” Aditya “mujuhe wahan se khabar mili hai aur meri tadipari ke pichhe bhi mosin ka hath hai, usne mujhe isliye tadipar kiya hai taaki wo mujhe bahar maar sake”
Anna sahib “tu kahin jana mat main sambhal lunga, bas ghar men chhupe rahna”
Aditya “usko jara khushi lene do main bahar jata hun par main bahar hi kahin gayab ho jaunga”

Anna “ab iska kuchh dekhna padega”
Manik “kuchh mat karna, ab bas use uchhal kud karne do aur uske aaspas shikanja daal do aur dhire dhire usko kasna shuru kar do” Anna “kaise?”
Aditya “aasan hai wo kya karne ki firaq men hai ye jaan lo, wo hamare ghar ko tabah karne par tula hai. Ab uska sabse hard target ho aap, aap par sidhe var karna matlab apne garden par latki hui talwar ki rassi kaat dena. Ab aate hai aapke niche ke targets to sabse aage ka target hai vikram, usko aur sabhi bhaiyonko ab bahar without security ap jane
mat dena aur chacha logonse bhi kah do bina kaam ke mat nikale bahar” Anna “aur is waman rao ki”
Manik “kuchh mat karo, use ye pata bhi mat lagne do ki humen ye sab
pata chal gaya hai bas aap jo roj karte ho karte raho”
Anna sahib “aditya tumhe kuchh chahiye ho to bata dena manik ko” Aditya “sab bata diya hai aur wo sab kuchh arrange karwa dega” Anna “aur kuchh soch rakha hai?”
Aditya “abhi to kuchh sochkar nahi rakha hai par sab soch lunga aur manik ko batata jaunga”..
Aditya bahar nikal hi raha tha, usne apne sabhi bhaiyonko bahar bulaya tha milne ko.
Aditya ke saamne uske teenon bhai khade the. Aditya pratap se “unko bhi bula lo”
Pratap bahar jata hai. Saamne sabse buri shakal vikram ki bani hui thi.
Aditya uske kandhe par haath rakhkar kahta hai “bhaiyya apne aap ko sambhaalo, ab tumhe hi sab sambhalna hai”
Vikram “nahi tere khilaf jo bhi sajish huyi hai uske tah tak jaaunga main

aur tujhe nirdosh sabit karke fir ghar men le aaunga, aakhir ye sab tera hi to hai”

Aditya “nahi bhaiyya ab iske baad main aapko bada aadmi banaunga”

Vikram “chal thik hai”

Tabhi pichhe se pratap 6 logonko lekar aata hai. Aditya “inse miliye ye aapke liye naye drivers aur bodyguards hai, aaj se roj aap inke sath hi bahar jaoge”

Kuchh baat karke aditya bahar aata hai to manik bahar khada tha. Manik “gadi men se bhi shikar karni padegi naa?’

Aditya “han kyu?”

Manik “ek endever mil rahi hai bulletproof and sunroof” Aditya “bha gayi bas black color men honi chahiye” Manik “gadi repaint ho jayegi”

Aditya “kuchh paise chahiye the hathiyar kharidne hai” Manik “kitne?”

Aditya “jyada kaafi jyada chahiye” Manik “thik hai dekhta hun”

Aditya sidhe aage jakar apne dadaji ke pair chhukar gadi lekar nikal jata

hai.
 

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 13


Gadi nikalkar raaste men aditya chala raha tha aur pratap uske side men baitha hua tha. Aditya ne cigratte nikali aur lite kar li. Pratap jab se ghar se bahar nikala thaatab se hi kuchh soch men duba hua tha.
Aditya pratap ko khoya khoya sa dekhkar cigratte ka packet uski taraf
aage karke offer karta hai. Pratap cigratte lekar lite karta hai. Aditya “kya pareshani hai bol bhi de”
Pratap “ab aage kya hoga?”
Aditya “hona kya hai? 1 saal gujarna hai gujar lenge”
Pratap “main us baren men nahi baat kar raha, is mosin ke baren men baat kar raha hun”
Aditya “oh wo, kuchh khaas nahi ye to bas ek hunter game hai” Pratap “kaisa hunter game?”
Aditya “wo humen hunt karne ki koshish karega ya fir hum uska shikar
karne ki koshish karega” Pratap “fir”
Aditya “fir kya? Last man standing will be winner”
Pratap “nuksan?”
Aditya “donon ko hone ki gunjaish hai hum sirf precaution le sakte hai aage kya hoga bata nahi sakte”
Pratap “matlab?”
Aditya “dekh hamare ghar men sabse hard target hai anna sahib unko wo haath bhi nahii laga sakta. Uske baad men chacha par wo itne logonke sath ghumte hai isliye unpar ka khatra adha ho jata hai, aakhir men bache sabse aasan nishane yaani sabhi bhai to aaj hi hum unhe nasihat dekar ruar bodyguards ke saath chhodkar aa rahe hai”
Pratap “aur hum donon?”
Aditya “hamara kuchh kah nahi sakte yaar” Itnaa kahkar wo gaadi speed se dauda leta hai.
Aditya aur pratap aakar abhiman ke ghar settle ho jate hai. Aditya aur pratap dunia ki najaron men dhul fenkne ke liye perfect SPM naam ki
ek company men kaam karna shuru kar dete hai, jo ki aditya ke papa ke dost ki hi thi.
Aditya darasal men wahan jaakar kaam ke sath sath din bhar kai
sochon men duba rahta tha. Aditya us arm dealer ko phone karta hai “hello”
Patel “hello kaun?”
Aditya “aditya jahagirdar” Patel “kaun?”
Aditya “anna sahib jahagirdar ka pota hun”
Patel “kahiye kaise yaad kiya?” Aditya “kuchh arms cahhiye the”
Patel “sahib dukan par aa jaaiye, pura dukan hi aapka hai”
Aditya “mujhe dukan men bikne wala maal nahi chahiye hai” Patel “aap kis maal ki baat kar rahe hai?”
Aditya “main us maal ki baat kar raha hun jisko sareaam lekar nahin
ghumte”
Patel “sahib main aisa kuchh nahi bechta”
Aditya “jhuth naa bolo mujhe arms chahiye hai, ye baat bahar walonko pata chal jaaye aur tumpar raid pad jaaye aisa tumhe lag raha hai kya?’ Patel kuchh bolta nahi wo to bas sunkar hi sunn ho jata hai. Aditya “to maal dekhne kahan aau?”
Patel “sahib mera farmhouse par aa jaaiye parso”
Aditya “thik hai parso” itna kahkar aditya phone call kaat deta hai. XXX
2 din baad aditya apni gadi lekar uske farmhouse par tha aur saath men pratap. Aditya jab farmhouse ka gate kholta hai to wahan ek kala mushtanda aadmi khada tha. Wo salam karke un donon ko andar le jata hai.
Aditya “Namaste patel sahib”

Patel hanste huye “are sahib hum kaha sahib to aap ho, kuchh chaay paani?”
Aditya “main yahan chaay pani pine to nahi aaya hun”
Patel “sahib par aaye huwon ki aawabhagat karna hamara kaam hai” Aditya “pahale kaam karle fir aao bhagat karte rahenge”
Tabhi andar se 2 gori ladkiyaan bahar aakar patel ke paas aane lagti
hai. Patel “wait I have some work”
Aditya ki taraf dekhkar hanste huye kahta hai “wo kya hai sahib kabhi kabahar ghar se dur nikal aate hai to ghar ki bahut yaad aa jati hai” Aditya aur pratap bas ek muskan dikhate hai. Wo baad men aditya se pratap ki taraf ungli karke puchhta hai “ye kaun hai?”
Aditya “ye pratap hai dost hai par bhai se badhkar hai”
Wo ab uth khada hota hai aur aditya ko bolta hai “chaliye mere saath” Aditya, pratap aur wo kaala aadmi bhi uske pichhe chalne lagte hai.
Chalte huye wo bolta hai “maf karna par kya hai hamara dhanda bada
kharab hai kisipar jaldi vishwas nahi kar sakte par aapka bharosa hai to main bhi kar sakta hun”
Aditya “bharosa to ispar apni sanson ke jitna hai”
Patel “ saanson par bharosa mat kariye kabhi bhi ukhad sakti hai” Aditya “main dusaronki ukhadne men vishwas rakhta hun”
Ispar wo hansne lagta hai. Sab chalte chalte ek study room men pahunch jate hai jahan ek taraf book shelf hai aur dusari deewar par ek badi si painting. Patel wahin aakar ruk jata hai. Wo kala admi painting men se ek corner nikalta hai wahan se niche underground jane ka rasta bana tha.
Patel “aur hum saanse ukhadne ke liye aujar” is baat par sab hans

padte hai.
Niche jakar aditya dekhta hai to kai saare bakes rakhe huye the. Patel ek bakes men se revolver nikal kar dikhata hai.
Aditya “ye to desi hai, humen kuchh aur upar ka chahiye” Patel “aage chaliye”
Aage ek table ke paas wo jakar ruk jate hai. Wahan kuchh 2-3 models
ki pistols rakhi hui thi. Aditya un men se ek pistol ko uthata hai. Patel “in sab men se sabse badhiya hai glock 17 made in USA”
Aditya ki najar ek aur gun par jati hai use hath laagne par patel kahta
hai “ye nayab hai maine kam hi mangwayi hai CZ 75 tactical sport ye bhi American hi hai, 16 round chalati hai”
Aditya “thik hai 8 de dena”
Patel “aur kuchh”
Aditya “kuchh bada maal dikhaiye”
Patel side men padi hui dunali uthakar hath men deta hai. Aditya “patel sahib dunali se hi ladna hota to bahut padi hai ghar par, kaho to kuchh aapko bhijwa du”
Patel “fir kya chahiye?”
Aditya “rifle type men chahiye”
Wo aditya ki taraf 315 aage karta hai. Aditya “ye nahi kuchh khaas chij dikhao”
Patel ab andar se ek baksa nikalwata hai “CZ 550 iske jaisi gun milegi nahi aapko, dekhne men bhi jitni sundar hai chalegi to utni hi kayamat dhaati hai”
Aditya “thik hai”
Patel “chaliye sahib ab jara bahar jakar kuchh madirapan karte hai”

Aditya “ruko ek aur chij chahiye hai” Patel “kya?”

Aditya “ak 47, bulletproof suit aur hand grenade”

Patel “ak to abhi mil jani hai par baki 2 chijen abhi nahin mil sakti” Aditya “thik hai fir 4 Ak de dena, har ek ke sath extra magazine dena, pistol ke sath bhi, aur goliyaan”

Patel “aapki order aapko mil jayegi”

Aditya “main yahan use sath le jane ke liye hi aaya hun”

Sab log upar aakar uske farm house men bane mini bar par baithte hai. Aditya pahale to kuchh lene ko taiyar nahi tha. Par baad men wo donon bhi jam uthana shuru kar dete hai.

Baad men paise ki lenden hokar aditya wapas aa jata hai…
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 14


Aditya aur pratap donon ek sath baithe hi the ki aditya ka phone baj uthataa hai. Aditya ne dekha to avinash ka call tha.
Aditya “hello”
Avinash “tere city men abhi ek deal hone wali hai cocen ki” Aditya “tu usmen mujhe kya?”
Avinash “ye deal mosin ke aadmi kar rahe hai”
Aditya “to”
Avinash “uska ek khaas aadmi hai wo aane wala hai hotel roof top table no. 23 par”
Aditya “main kya karun?” Avinash “uda do use” Aditya “kyu?”
Avinash “bade jaanwar ko jab maarna ho to pahale uske hath pair kaat dene chahiye aage tum samajhdar ho”
Aditya “kitne baje hone wali hai ye deal?” Avinash “ab aaye na line par dopahar 4:30” Aditya “kitne aadmi honge?”
Avinash “uske saath 1 aadmi hoga” Aditya “thik hai aur kuchh”
Avinash “uska photo tujhe email kar deta hun”
Aditya “thik hai”
Aditya ek cigratte nikal kar sulga deta hai. Aur pratap ko kahta hai “action ke liye taiyaar?”
Pratap “kya?”
Aditya “hotel rooftop , table no. 23 par ye aadmi hai isko udana hai” Itna kahkar wo email se aaya hua phote dikhata hai.
Pratap “main kya karun?”
Aditya “uske thik saamne ek tower hai uske roof par jaa aur upar se hi usko maar dena agar tera nishana chuk jaaye to main wahin side ke table par baitha rahunga”
Pratap “thik hai” ye kahkar banduk ki case utha leta hai.
Aditya aur pratap sath men bahar nikal chalta hai. Aditya pratap ko us building ke niche chhodkar khud us hotel chala jata hai.
Hotel men us table ke side men baithkar ek coffee mangwa kar usko
newspaper padhte huye peena shru karta hai. Aditya apne Bluetooth headset se pratap ko call karta hai.
Aditya “hello”
Pratap “haan main ready hun”
Tabhi aditya ke samne se 4 log aakar us table par baith jate hai. Pratap “target aa gaya hai, par ye kya 2 nahin yahan 4 log hai”
Aditya “kya?”
Pratap “paper hata samne dekh” aditya dhire se paper hatakar dekhta hai to saamne 4 log baithe the.
Pratap “kya karna hai? Nikal jaaye?”
Aditya “nahin nikalna aaye hai to kaam karke hi jaayenge” Pratap “kya karun?”
Aditya “shoot kar main bhi firing open kar dunga tu mujhe cover karna” Aditya sirf itna kahkar apni aankhen mund leta hai, man men hi kahta hai ‘ae uparwale mujhe maaf kar de par mere saamne koi aur rasta hi nahi hai’
Itna kahte hi usko goli ki aawaj sunai deti hai. Aditya dono hath men dono pistol nikal kar uthata hai aur side bina kuchh dekhe dhada dhad goliyaan barsaana un par shuru kar deta hai.kuchh goliyaan chalane par wo jaan jata hai ab ye chaaron mar chuke hai.
Pratap gun ki scope se ye sab dekh hi raha tha. Aaspaas baithe aadmi dar kar bhaag jata hai. Aditya aage unke karib jane ke liye aage badhta hai to uske side se ek goli usko miss karke side men lagti hai. Wo dekhta hai ki saamne 2 aadmi hath men pistal lekar khade the.
Aditya turant wapis bhaag kar wo jahan tha usi table ko side se girakar uski aad men chhup jata hai aur pratap se kahta hai “pratap inko bhi maar de”
Pratap ki taraf se kuchh jawab nahi aata. Aditya ko pata chal jata hai. Wo ek minute ke liye aankhen band karta hai, use wo log paas aane ki wajah se unki kadamon ki aahat sunai deti hai. Wo achanaka uthta hai aur sidhe dhadadhad unpar goliyaan barsana shuru kar deta haia ur jab tak donon guns ki magazine khali naa ho jaaye tab tak unpar fire karta

hi rahta hai…
Aditya idher udher dekhte huye apni guns andar rakh deta hai aur donon bags uthakar dekhte dekhte bhaagne wali bheed men niche nikal aata hai. Wo apni car men donon bags rakhkar sidhe us building ke terrace par chala jata hai jahan usne pratap ko chhoda tha.
Wo jaise hi terrace par aaya usne dekha pratap abhi tak pratap abhi tak gun ki scope men aankh dale wahin dekh raha tha uska hath abhi bhi trigger par hi tha. Aditya ek minute men hi maajra samajh gaya.
Aditya uske paas gaya, uske hath se rifle nikal aur use khada kiya. Wo
kuchh bolne sunane ki halat men nahi tha. Usne rifle ko fir se bag men daalkar usko apne sth pakad kar niche aa gaya.
Usko gadi men side men bithaya driving seat ke side men bithaya aur
gadi chalana shuru kar di. Raaste men ek daru ki bottle lekar wo firse gaadi chalane laga aur shahar se bahar aa gaya. Sunsaan jungle jaisi ek jagah par gaadi rok di, ab tak pratap kuchh sambhal sa gaya tha.
Wo gaadi rokte hi dekha ki aditya hath men daru ki botal aur glasses lekar bahar gaya aur ek ped ke niche baitha, pratap bhi uske pichhe jakar aditya ke side men baith gaya. Aditya ne do peg banaye aur ek pratap ke hath men diya.
Aditya dhire dhire peg ki chuskiyaan saamne ka najara dekhte huye le raha tha. Usne kaha “mujhe pata hai tujhe kaisa mahsus ho raha hoga” Pratap iske jawab men kuchh bolta nahi hai bas apni chuppi sadhe rakhta hai.
Aditya “pahali baar aaj tune kisipar goli chalayi hai aur use tadfadate huye marte huye dekha hai, main jaanta hun man ko andar se itna lagta hai. Upar se us aadmi ko aajtak hum kabhi mile bhi nahi the na hi usne

hum donon ka kuchh bigada tha jo hum kuchh kare”

Pratap “haan yaar jisse naa hai janpahchan use kaise maar diya” Aditya “main bhi kahan unsab se mila tha pahale kabhi, par….” Pratap apne hothon par lagaya hua glass khatam karke usmen firse sharab daalte huye puchhta hai “par kya?”

Aditya “dekh wo kabhi naa kabhi apna dushman banker apne khoon ka pyasa banana hi wala hai to kyu naa use hi utha lo” abki baar aditya ne peg bharte huye kaha.

Pratap “wo humari jaan ka dushman kyu banega?”

Aditya “mosin ahmad bhul gya?” Pratap “to ye”

Aditya “uska kaafi khaas aadmi hai kal hamara dushman bane aur hum

par hathyaar uthaye use pahale humne hi usko…”

Itna bolkar aditya apne peg ke sip lene lag gaya. Aur pratap bhi. Aditya ne kuchh der baad ciratte jalate huye kaha “dusari baat hai us drugs ki, yaar ek generation ko isne kharab kar rakha hai, mujhe isse bahut nafrat ho gayi hai, ye bhi ek wajah hai”

Sharab ki botal khaali hone ko kuchh hi baki thi aditya ne apni pajero men se ek black bag nikaali aur usko khola. Usme safed powder ki pudiyaan thi, aditya ne use kuchh duri par rakh diya. Uspar bachikuch daru daalkar usko aag laga di.

Aditya gaadi chala raha thaa, pratap ke man men ek guilt thi jo ab pahale se kaafi kam ho chuki thi par aditya ke man ke andar ab ek sailaab aa chukka tha, thik usi tarah ka sailab jo ek aadamkhor sher men aata hai jab wo pahali baar khoon ki chuski leta hai aur use lagne lahta hai ki agali baar kab???..
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 15



Aditya aur pratap aj bhi sath hi baithe the par aaj aditya aur pratap kuchh soch men dube huye the. Achanak se aditya ek idea nikalta hai aur avinash ko call karta hai.

Aditya “avinash” Avinash “haan bol”

Aditya “imtiyaaj kahan hai aur kya kar raha hai”

Avinash “pichhale wale kand ke baad wo jhalla gaya hai par use pata nahi chala hai ki ye sab tune kiya hai”

Aditya “ye bata wo aajkal gun rakhta hai ya nahi?”

Avinash “kyun naa rakhe use to khudko hamesha har ek se apni jan ko khatra lagta hai”

Aditya “kahan hoga wo abhi?”

Avinash “wo shayad rolling mill par hoga abhi” Aditya “thik hai”

Avinsh “kya karne wala hai tu?”

Aditya “tension naa le”

Aditya itna kahkar phone rakh deta hai aur inspector varun ko phone lagata hai.

Aditya “hello main aditya bol raha hun”

Varun “haan bhai bol tadipari kaisi chal rahi ahi teri?” Aditya “mast chal rahi hai bhai humen kya hone wala hai”

Varun “waah ye to bada mast hai”

Aditya “sun naa ek kaam tha”

Varun “kya?”

Aditya “imtiyaj par search kar wo abhi rolling mill par hoga, uske paas tujhe pistol milegi arms act daalkar andar kar dena”

Varun “thik hai par permission?”

Aditya “main commissioner se baat karta hun 15 min men tujhe fax mil jayega aur haan uske baad tujhe uski police custody bhi milegi kuchh bhi karke use wo usne kahan se kharidah ai uska naam nikalwa lena” Varun “thik hai”

Aditya itna kahkar warrant ka intejaam kar deta hai.

Pratap “use aaj andar to karwa dega par wo to bahar aakar hi rahega”

Aditya “aane de na bahar main bhi chahta hun wo bhi bahar aaye aur uske khilaf main kuchh kar saku jab tak wo andar ho aur wo kuchh bak jaaye jisse uske dusham uske bahar aane ka intejar kare”

Isi baat par pratap aur aditya donon jor jor se hansne lag jaate hai.

  • ghante baad hi aditya ko imtiyaaj andar jane ki khabar mil jati hai. Ab aditya pratap se kahta hai “ab agala kadam 2 din baad, par uske liye humen usi shahar jana padega”
Pratap “kaise jaayenge?”

Aditya “khule men nahi ja sakte par jayenge hi sahi, ye bata kal us dusare bag men kitne paise mile?”

Pratap “1 crore”

Aditya “chal koi nahi ab humen ghar se paise kabhi jindagi men nahi lene padenge”

Is baat par firse thahake lagne shuru ho jate hai.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 16

  • din baad aditya aur pratap donon hi ek badi si society ke car parking car park karke car men cigratte pee rahe the. Pratap “aaj yahan kyun aaye hai?”
Aditya “agala shikaar aur sabse bada kadam” Pratap “matlab?”
Aditya “aarif, mosin ke business ka dimag, bachpan se use mosin ne hi paal pos kar bada kiya, baad men ye uske paas hi kaam ko lag gya, ek ek sidhi chadhte huye ye aaj itna upar aa gaya hai ki aaj mosin ek bar imtiyaj ki baat ko taal dega par iski nahin”
Pratap “ye to fattu hai main isse mila hua hun”
Aditya “haan par dimag wala hai, ye banduk apne hath se nahi chalata balki, 100 bandukon se ladne waale hathon ko jeb men lekar ghumta hai” Pratap aage kuchh bole use pahale hi aditya usko bolta hai, “koi bhi aadmi kab tabah hota hai pata hai? Jab uska dimag kaam karna band kar de, iski maut ek itna bada jhatka hai ki kuchh din to ye sab sunn o jane wale hai”
Pratap “fir hum yahan kyu aaye hai?”
Aditya “pata hai aadmi ko kaunsi 2 chijen tabah karti hai?” Pratap “nahin”
Aditya “ek hai chhokri aur dusari hai faisala lene men kamjori, aaj ye
pahali ke chakkar men fansane wala hai” Pratap “yaani?”
Aditya “upar uski chhamiya rahti hai pakki tip hai ki wo abhi aane hi wal
hai” itne men ek car full speed men andar ghus aati hai aur dur park hoti hai.
Aditya “chuha trap men aa chukka hai”
Wo jaane ke 15 minute ke baad aditya “chal ab”
Aditya aur pratap lift se teesari manzil par gaye. Lift se bahar nikalte huye aditya ne pratap se kaha “sambhal kar rahna ye mosin ke drug business ko dekhta hai iski baton se sambhal kar”
Aur aage badh jata hai. Pratap uske pichhe pichhe aata hai. Aditya
aage jata hai aur 3 ek flat ke saamne khada hokar khatkhatata hai. Kuchh der khatkhatane ke baad jab darwaja khulta hai, to ek ladki adhnangi saamne aati hai. Aditya sidha us ladki ko andar dhakel deta hai aur andar ghusne lagta hai. Wo ladki use pakadne lagti hai par us ladki ko pratap pakad leta hai.
Aditya to us ladki ko dekhte hi samajh gaya thaa ki wo ladki drugs ke nashe men hai. Aditya sidhe andar bhaagte huye aage gaya. Wahan bed par se aarif bahar ki aawajen sunkar hadbadakar utha. Aur usne pant ke side men padi apni gun lapak kar pakad hi li.
Aditya ne bedroom ke darwaje ko itni jor se laath maari ki wo tut chukka tha. Aditya andar aaya to wo dekhta hai ki aarif samne hath
men gun liye huye khada hai. Aditya ki taraf gun taan kar bhi jyada dara
hua to wo hi dikh raha tha.
Aditya ke chehare par ek muskan thi. Aditya aage badha. Aarif ek kadam pichhe hata, aditya “are chala goli abhi isi waqt mujhe mukt kar de is sab se”
Aarif “dekh aage mat aa”
Aditya “dekh mere hath men agar gun hoti to main jara bhi nahi sochta trigger khinch leta”
Itna kahte hi aditya jor se ek thapad uske gaal par rasid deta hai aur
uske hath se gun niche gir jati hai aur wo wahin niche baith jata hai. Aditya gun utha leta hai aur uski coller ko pakad kar use bahar hall men lekar aata hai jahan pratap ne us ladki ko bhi usne bitha rakha tha gun point par.
Aditya ne usko sofe par baithne ko kaha. Wo sofe par baith gaya. Arif “mujhe mat maaro main tum jo kahoge wo karunga aditya”
Aditya “kya kar sakta hai tu mere liye?”
Aarif “paisa, ladkiyaan, kaam karne ke liye aadmi, yahan tak chahe to drugs ka business jo tu bole wo”
Aditya “ye to sab baad ki baaten ho gayi abhi kuchh kar sakta hai to bol”
Aarif “abhi mere paas 3 kg maal hai market men kai crores ki kimat ka
maal hai tujhe de dunga” Aditya “thik hai de de”
Aarif “uske liye mujhe niche jana hoga car men rakhi hai”
Aditya “tu baith pratap isse chabi le aur jaa”
Aarif apne car ki chabi deta hai aur kahan par chhupa kar rakhi hai wo bhi bata deta hai.
Aditya “ek baat batayega sach sach” Aarif sirf haan men sar hilata hai.
Aditya “mere papa ke khun ka plan kisne banaya tha?”
Aarif “mosin aur imtiyaaj ke dimag ka kaam hai ye” Aditya “unhone?”
Aarif “haan unhone sab ho jane ke baad mujhe bataya tha, maine unhe
bola bhi thaa ki ye kadam mat uthao par meri suni nahin” Aditya “jhuth”
Aarif “asal men wo mere pas idea lekar aaye the maine sirf plan banakar diya tha”
Aditya “aur aage ka kya plan hai”
Aarif “abhi to unke nishane par tum ho”
Tabhi pratap aa jata hai. Aarif “ye sab le jaao agar chaho to main tumhe aur bhi dunga”

Aditya “are chhod yaar bechane ka baad men sochte hai jindagi mili hai nashe ke liye pahale nasha karte hai”
Aarif “main koi nasha nahi karta”
Aditya ladki ki taraf ungli karke “ye kya hai fir?” Aarif “tum ye shauk nahi rakhte ho kya?”
Aditya “nahin maine ek se pyaar kiya aur uski khatir kisi aur ko nahin
chhua”
Aarif “nilofer…. Ab usmen uske papa ke aage kisiki nahi chal saki” Aditya “Chal aaj tu bhi nasha karega, le wo powder ka paciket kaise lete hai dikha humen bhi”
Aditya ab gun nikal kar uske sir par lagata hai, aur us ladki ko ishara karte huye “tum bhi”
Wo ek hajar ki not nikal kar usmen se darted arte huye kuchh powder khinchta hai. Wo ladki full speed se khinch leti hai.
Aditya “are tu to gabru jawan hai aur khinch”
Aarif “nahin hota”
Aditya “tu hi soch le mujhe gun chalane men kuchh der nahin lagegi” Aarif ke samne ek bada sa packet fodte huye kahta hai “sab khatam karo tum donon milkar”
Aditya usko ek ke baad ek khinchne par majboor kar raha tha. Ek waqt aisa a gaya ki uski aankhen puri laal ho gayi thi aur saanse ekdum bhaari ho gayi thi. Aarif “ab nahin hoga”
Wo ladki ki halat to aur bhi kharab thi. Aditya ne uske sar ko upar
pakada aur ek mutthibhar powder sidhe uske naak men daal di wo bahut hilne ki koshish kar raha tha par uske haath paanv pratap ne pakad rakhe. Aditya ne ek mutthi aur powder bhari aur uski donon naak

ki pudiyaan band kar di.

Kuchh hi der baad wo wahin dher ho gaya. Aditya ne us ladki ki taraf dekha par uski saans bahut hi kam chal rahi thi. Aditya ne pratap ko kaha “drugs ne iski jaan nahi liyi hai balki is ladki ki jaan liyi hai, aarif ki jaan to khud mosin ne liyi hai”

Aditya ne apna rumal nikala aur us ke gunpar se apni finger prints nikal kar wahin rakh di. Aur donon ab wapas chale gaye…
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 17


Aditya ne fir to khun ki holi hi khelne ki than li thi. Kuchh hi dinon men aditya ne mosin ke kai aadmiyonko alag alag jagah mar chuka tha. Aaj aditya aur pratap hotel antop men baithe huye the. Haalaki abhi tak imtiyaz bahar aa chukka tha, par use bhi varun ne ek naam ugalwaa hi liya tha, patel.
Aditya whisky ke ghunt le raha tha aur pratap bhi. Tabhi tagda sa pahalwaan sa dikhne wala aadmi bahar nikal hi raha tha. Us aadmi ko dekh aditya bhi uth khada hua aur usne hajar ki patti table par rakhkar bahar nikal gaya.
Aditya speed se gaadi bahar nikaal leta hai aur use overtake karke gaadi daudane lagta hai. Uski najaronke aad ke ek mod ke age aakar wo gaadi rok leta hai aur apni rifle bahar nikaal kar khada ho jata hai.
Raaste ke beech bich rifle ke scope men se saamne aane waali gaadi ki taraf nishana lagakar wo intejaar kar raha tha ki kab wo aaye. Jaise hi wo aadmi aaya aur usne saamne aisa khada hua dekha gaadi full speed men bhagaate huye usne aadhe tedhe raaste men chakkar lagane laga.
Aditya ne bahut intejaar kiya aur achanak ek goli chali aur aditya ne rifle niche kar li. Gaadi aditya ke ekdum paas se aage gayi aur raaste
ke side ko takra gayi. Aditya aur pratap us gadi ki taraf daud pade. Wahan pahunche to dekha ki wo to mar chukka hai.
Pratap aditya se “sahi nishana tha”
Aditya turant car nikaal leta hai aur gadi chalate huye hi avinash ko phone karta hai “aur bata kaun kahan hai?”
Aditya ek address note karwata hai aur jo ki usi shahar se kuchh hi
duri par tha. Aditya gaadi teji se daudaate huye kahta hai “47 nikaal” Pratap turant do ak 47 nikal leta hai. Kuchh hi der men aditya aur pratap us pate par pahunch jaate hai. Aditya wahan se kuchh hi duri par gaadi rok deta hai. Wo darasal men ek chhota sa bana hua ghar thaa jismen koi kamre nahi the.
Aditya use dur se hi dekh kar jaayja le leta hai. Aur pratap ko kahta hai “tu saamne ke darwaje se chal jaa aur main pichhe ke darwaje se aa raha hun thik 3:30 ko darwaja todkar andar ghus jana”
Pratap aage badhne lagta hai to use rok kar kahta hai “kisiko mat
chhodna” pratap bas sar haan men hila deta hai.
Aditya aur pratap jhadiyon men chhup kar ghar tak pahunch jate hai 2 minute ghadi men waqt ki raah dekhkar wo aage badh jata hai aur darwaje ko knock karta hai. Saamne se darwaja khulte hi wo saamne khade aadmi par goli chala deta hai, aur sidhe andar ghuskar aadmiyon par andhadhundh goliyaan barsaane lagta hai.
Tabhi jo pichhe se bhaagne ke liye darwaja kholte hai wo aditya ki goli ke shikar ban jate hai. Aditya bhi andar ghus aata haia ur baki bache huye logonko khatam kar deta hai. Ab ki baar aditya aur pratap firse gaadi men the. Pratap gaadi wapas abhiman ke city le jaa raha tha par aditya ke aankhon men aaj jaise khoon puri tarah hi utar aaya tha.
Aditya “gaadi mod” Pratap “kahan jana hai”
Aditya “wapas chal main bolta hun”
Aditya is baar firse avinash ko call karta hai aur is baar aatif ka pata puchhta hai. Aur gaadi ek taluka place par bane huye bar par lene ko kahta hai. Aditya aur pratap wahan aakar baithte hai aur apne liye bhi firse daru mangwate hai.
Aditya aisi jagah baitha thaa jahan se wo aatif ko jarur dekh sakta tha par wo use nahin.
Pratap “hum yahan kyun aaye hai aditya?”
Aditya sirf ungali se aatif ki taraf ishara karke dikha deta hai. Pratap “ye to aatif hai”
Aditya “mosin ka beta”
Pratap “bas kar aditya aaj bahut ho gaya”
Aditya “nahin aaj to mosin ke ghar men matam ki shahanai bajakar hi rahunga”
Pratap “yahan itne saare log hai”
Aditya “main kahan yahan uda raha hun isko” Pratap “to fir?”
Aditya “jab tak ye yahan baitha hai tab tak safe hai”
Aditya ke andar ki pyaas jo itna khoon peekar naa bujhi thi wo to is sharab se to bujh hi nahin sakti thi. Wo to puri botal pee chukka tha. Aatif ne jaise hi bill ke liye call kiya yahan pratap ne bhi bill lane ko kah diya.
Abki baar jab aditya bahar nikala tab uski aankhon men khoon utar aaya tha. Wahan aatif uske 2 dostonke saath tha aur wo apni gadi lekar

nikal pada. Aditya ne soch hi rakha tha iski maut bilkul bhi goli se nahin hogi balki us tarah hogi jaise uske papa ki hui thi.
Wo mauke ki raah dekhte huye uske pichhe pichhe gaadi chalaye ja
raha tha. Tabhi wahan use side men ek road ki site dikhi aur wahin par
khada vikram. Usne turant gaadi roki aur vikram ko puchha “ek truck hai?”
Vikram “are ek truck dena to aditya ko” Vikram “kyu chahiye tujhe truck?”
Aditya “aadhe ghante men wapas lakar deta hun”
Itna hi kahkar wo truck ki chaabi lekar daud jata hai. Firse usiki gadi ke pichhe.
Dhire dhire wo ek aise pul ki taraf badh rahe the jo ki jyada gahari to thi nahi aur nale par bane hone ki wajah se sukha hua tha. Aditya wo jaise
hi aadhe pul par pahunchta hai jorse uski gadi ko takkar dekar gira deta hai.
Usko girane ke baad usko pataa tha ki aarif mara nahi hai. Wo niche utar kar uski car ki taraf jata hai aur dekhta hai ki wo kuchh jakhmon ko lekar car men hi baitha hai par gaadi itni jor se upar se niche giri hai aur 2 paltiyaan khaayi hai to usmen se petrol leak hokar niche aa gaya tha. Aditya “ae aatif pahchana aditya hun main”
Aatif “haram ke pille bachega nahi hun”
Aditya “shayad tu kuchh ulta kah raha hai” itna kahte huye lighter jalakar niche petrol ki taraf badhane lagta hai.
Aatif “nahin aisa mat kar”
Aditya “ye tune mere pitaji ko maarne se pahale sochna chahiye tha” itna kahkar wo aag laga deta hai. Par un sholon se aditya ke dil men

dahak raha shols aur bhadak jata hai. Shayad aaj usne apne andar ka rakshas puri tarah se dekh liya tha…
 
  • Like
Reactions: mashish
Top