- 4,422
- 1,976
- 143
very nice updateUpdate 23
Wahan hospital men aditya ka phone jo ki pratap ki haathon men thaa
wo baj utha. Pratap ne no dekha to wo dadaji ka tha. Pratap ne darte huye call uthaya “hello”
Dadaji “kahan ho tum donon?” Pratap “hum to yahin hai”
Dadaji “raat ko abhiman ke ghar aa jaana donon, main abhi isi shahar
aaya hun”
Pratap samajh chukka tha abtak to unhone dadaji se sab kuchh chhupa liya thaa par ab wo kuchh nahin chhupa sakta thaa.
Tabhi achanak aditya apni ungliyaan hilaane laga. Wo shayad abhi tak yahi mahsus kar raha thaa ki wo abhi bhi car drive kar raha hai. Kuchh hi der men uske haathon men jaan aa gayi, wo haath ko steering wheel ghuma raha ho waise hilaane laga. Pair bhi hilne lage.
Achanak se uski haath uske sir ke saamne usne kar liye jaise accident ke waqt aadmi apne sir ko bachane ke liye karta hai.
Ye sab dekhte huye pratap kuchh bol nahin pa raha thaa, wo bas use dekhta ja raha thaa. Wahan phone par dadaji ki aawaj aayi “pratap.. pratap… kya hua?”
Prtaap “aditya hosh men aa gaya hai” Dadaji “kya? Kahan ho tum donon?”
Pratap ab fans chukka thaa, uske paas ab wo kahan hai ye batane ke
siwaay koi chara nahin bacha thaa. Wo jhat se nursing counter ki taraf dauda aur jaate huye usen hospital ka naam aur pata bata diya.
Doctors ko pratap apne saath hi le aaya. Doctors jab tak aate tab tak
aditya apne bed par baith chua thaa. Usne apne naak se daali hui feeding tube nikaal li thi aur wo apne aaspas ke equipment ko dekhkar jayja le raha tha.
Doctors aaye unhone aditya ka checkup kiya. Aditya ne turant doctors se kaha “meri health kaafi acchi hai, mujhe discharge chahiye”
Doc “par aapko rest ki jarurat hai”
Aditya “thik hai agar rest hi leni hai to main ghar jaakar kar lunga doc, mujhe yahan hospital men nind nahin aayegi”
Tabhi waahan pichhe se aditya ke dadaji aate hai. Aditya ko is tarah bed par leta dekhna unke liye ganwara nahin thaa. Aditya ab apne bed par baitha hi thaa. Doctors bhi side men khade the.
Aditya “doctor main chahe to kal subah dressing karne aa jaaunga par aap mujhe yahan rok kar mat rakhiye, yahan mera dam ghutataa hai” Dadaji “doctor ki baton ko man lo aditya”
Doc “ab aap hi samjhaiye ise abhi abhi coma se uthe hai aur ghar jaane ki baat kar rahe hai”
Aditya “nahin, doc aap goliyaan likh kar de dijiye, main chahe to roj
checkup karwaane aa jaunga”
Doc ab sir ko haath lagakar niche baith chuka tha. Aditya pratap se “is hospital ke kapdon men hi kuchh aisa hai”
Pratap sirf haan men sir hilata hai. Aditya “doctor kamse kam ye sab equipments to nikal lijiye”
Doctor haan men sir hilata hai, aur kahta hai “sister”
Sister aage aakar equipments nikalti hai. Aditya ab sidhe uthkar khada ho jata hai. Dadaji aur pratap donon docter ki taraf dekhte hai, doctor “chaliye ab thik hai ye kahte hai to inhe chhodna hi padega, main formalities puri kar leta hun”
Kuchh hi der men aditya ke saamne pratap khada tha. Aditya “chalo ab ghar jana hai”
Pratap “kahan?”
Aditya “ghar ab kuchh dar nahin raha mujhmen naa hi koi ghutan hogi ab wahan us shahar men”
Pratap “aditya par aisi halat men?”
Aditya “pratap, ab mujhe yahan koi dilchaspi nahin rahi hai”
Pratap “thik hai dadaji se baat karke wahan jane ke liye koi car dekhta hun”
Aditya ab apne pairon par khada thaa. Surprisingly doctor aaj wo najara
dekh raha thaa, normally kisiko koma se wapas aane ke baad apne body par control pane men kaafi din lagte hai par aditya yahan kuchh hi der men khud ke pairon par khada tha.
Aditya bahaar nikal raha thaa tabhi use khayal aaya aur wo doctor se milne unke cabin chala gaya. Aditya ko andar aata dekhkar doc “aaiye baithiye”
Aditya “doc main ye batane aaya hun ki kal main aaunga nahin kyunki main ye shahar chhod kar ja raha hun”
Doctor usko uski city men jaane ke baad kis doctor ke paas jana hai
uski salah deta hai aur use uski file sonp deta hai.
Aditya car men backseat par pratap ke saath baitha thaa.
Aditya “pratap aaj date kya hai? Maine hospital men dekha ki calendar ka month change ho gaya hai”
Pratap “26”
Aditya “yaani main ek mahinese bhi upar coma men thaa”
Pratap kuchh na kahkar haan men sir hilata hai. Aditya ab khidaki se bahar dekhta hai use deepa ki parchhai dikhti hai par wo use dekhte hi muh fer leta hai.
Aditya man hi man men ab soch leta hai, usne naa kah diya hai ab uske pichhe jakar uski jindagi ko tabah nahin karna hai, wo jis jagah rahe, jaisi rahe bas khushhaal rahe…
awesome updateUpdate 24
Aditya ghar pahuncha thaa, par uska kisi chij men man hi nahin lagta thaa, wo to bas dinbhar apne kamare men rahta thaa, ghar men sab ye dekhkar chinta men the. Aditya ko yun khaali baithe huye aajtak kisine nahin dekha thaa.
Ghar ke sabhi logonko lag raha thaa ki abhi coma se bahar aane ki
wajah se aisa ho raha hai, use kuchh waqt chahiye apne liye. Par asali karan pratap ko pata thaa. Aditya darasal men dhire dhire karke deepa ki yaaden mitaane laga thaa.
Ek din shaam ko adiya baitha thaa apne kamre men pratap wahan aaya “aditya chal bahar jana hai”
Aditya “mujhe kahin bahar nahin jana hai”
Pratap “kisise milne nahin jana yaar daru pine jana hai” Aditya pratap ko naa nahin kah saka.
Mej par sharab ke jam bhare huye the, samne aditya ka sabse bada
yaar pratap baitha thaa firbhi aditya chup tha. Pratap “aditya ek baat tumhe batani thi” Aditya ne ek ghunt lete huye kaha “kya?”
Pratap “deepa tum jab hospital men the tab aati thi” Aditya “shaadi ho gayi uski?”
Pratap “nahin, ladke waalon ne ain waqt par naa kah diya”
Aditya ne kuchh kaha nahin bas ek aur ghunt piya aur cigratte jala li. Pratap “chal abhi jaate hai aur deepa se subah bat kar lenge”
Aditya “nahin ab bahut der ho chuki hai”
Pratap “kya matlab hai?”
Aditya “uske ghar waale kabhi bhi is shaadi ko support nahin karenge” Pratap “tu uske ghar waalonki chhod bas uske baaren men soch” Aditya “tu soch uske papa is shaadi ko taiyar hoge?”
Pratap “naa ho, hum use uthaakar laayenge”
Aditya jawab men kuchh nahin kahta, bas ek sip lekar kash khinchta hai.
Pratap “aditya ye aaj ki baat nahin hai, apni biwi ko uthana hum ne aaj
hi nahin kiya hai, isse pahale bhi kaiyone kiya hai aaj hum unko shur-vir bulate hai”
Aditya “chal maan liya aur humne deepa ko utha bhi liya tujhe kya lagta
hai deepa ke maa baap jis middle class men rahte hai wahan ke logonko samajh men aaye ki mujh jaise ne unki ladki ko utha liya hai to wo unko kya kahenge”
Ab chup baithne ki baari pratap kit hi. Aditya aage bolta gaya “soch wo kaise sah paayenge itnaa sab kuchh, wo to raji honge nahin shaadi karwane ke liye, soch tu aisi jindagi men hota to roj mar mar ke jita” Aditya ne ab ek kash khincha aur kaha “main bahut maut mar liya par main kisi aur ko usi haalat men nahin daalunga”
XXX
Yahan deepa ko pata lag jata hai ki aditya coma se bahar aa chukka hai, aur wo usse bina mile ghar chala gaya hai.
Deepa dusare hi din roj ki tarah shaam ko ja sab pariwar khana khaane
baithte hai tab kah deti hai.
Deepa “papa mujhe apase ek baat karni hai sabke saamne” Papa “kya baat hai beti”
Deepa “mujhe aditya se milne jana hai”
Papa kuchh bole usse pahale hi mummy kahti hai “uski wajah se hi shadi tut chuki hai, fir bhi ye sab”
Tabhi uske bhai ko bhi aditya naam sunkar hi gussa aata hai aur wo kahta hai “usne to meri puri jindagi kharab karke rakh di hai, uske khilaf ek article kya likh kar chhap diya usne mujhe page 3 ke liye hi finkwa diya, aaj bhi editor mujhe bolta hai ki tu page 3 chhod kisi aur chij ke liye nahin likhunga, bahar jaao to usne diyi hui dhamki hai koi dusara
job dene ko raaji nahin hai. Uski wajah se aaj un celebrities ke pichhe ghumna padta hai”
Papa apni najar se hi sab ko shaant kar dete hai.
Deepa “bhaiyya aapko pata nahin hai kisne kya kya jhelkar itni power ikattha kiyi hai, aaj uske ek ishare par bade bade kaam ho jaaye. Bhale usne jo kiya wo kanoon ki najar emn bura tah par…”
Dinesh “yaani ab tum us aadmi ka samarthan kar rahi ho jisne sirf shaq par anginat khun kiye hai, jismen se ek waakiya to ye hai ki usne ek pura ki pura khandan mita diya, ghar men ki auratonko tak maar daal.
Aur to aur sirf maar kar nahin ruka unmen se ek body ki chhod kar sabki laashonke sar kaat kar tangwa diye the. Aur ye bhi kam thaa is liye jab murder case ki inquiry hui tab ye prove karwa diya ki wo aadmi koi armas dealer ke saath milkar naxalites ko arms supply karta tha” Papa “inough, bahut ho gayaye sab”
Deepa ki or dekhkar “deepa tumhe jo chahiye ho wo tum kar sakti ho, par uske baad firse hum ko dekh paaogi ya nahin ye sirf tum par hi rahega” itna kahkar wo uth jaate hai.
XXX
nice updateUpdate 25
Yahan aditya ki parshaaniyaan khatam hone kla naam nahin le rahi thi, shayad usko abhi bhi ek aur sadma dena baaki hi thaa.
Subah ke 3 baje ke kareeb ka waqt thaa. Saare log soye huye the, aditya haath men glass liye chaand ko ghur raha thaa. Uske liye to shayad ab raat aur din in men ka farak hi bemaani ho gaya thaa.
Tabhi darwaje par dastak hui, aditya ne darwaje par dekha aur socha itni raat gaye kaun ho sakta hai?
Darwaja khola to saamne uske dadaji khade the. Aditya ne unse kaha “anna aap is waqt?”
Anna andar aate huye “mujhe tumse ek baat karni hai”
Aditya aur wo uske bed par ab tak baith chuke the. Aditya “kya?” Anna “ab mujhe nahin lagta main aur jee paaunga”
Aditya “aap aisi baaten mat kijiye anna, abhi to aapko aur bahut kuchh dekhna hai”
Anna “nahi jitna dekh liya utna hi kaafi hai ab nahin dekha jata” Aditya “humen aapki jarurat hai, sabhi ko aapki jarurat hai” Anna “tum sab ko kisiki jarurat nahin hai, tum hi mere asali uttaradhikari ho tum ab sab kuchh sambhal lo”
Aditya “kya hua kuchh baat hui hai kya anna?”
Anna ne naa men sir hilaya. Aditya “chachaji men se kisine kuchh kaha?”
Anna ne firse naa men sir hilaya. Aditya “fir baat kya hai?” Anna “ab bahut thak chukka hun”
Aditya “oh ye baat hai, agali baar men aapko retirement deni padegi shayad, waise ab waqt aa chukka hai ki chachaji ab sab kuchh dekhe” Anna “nahin aditya main chahta hunt um in sabke liye faisale lo, maine tum men wo chij dekhi hai jo tumhare papa men thi, aaj hi maine apni will bhi banayi hai aur usmen bhi yahi likha hai”
Aditya “kya likha hai?”
Anna “ki mere sabhi chijonko haq tumhare paas jaayega, group ka puraq control tumhare paas rahega aur..”
Aditya “ek minute group ka control wo kaise?”
Anna “group ki holding company men mere teenon betonke shares bhale hi ek jaise ho yani 30-30% par bache huye 10% malik main hun,
tumhare papa ki death ke baad tum automatically us 30% ke malik ho par mere baad is 10% ke maalik tum hoge aur mujhe tumpar bharosa hai ki tum sabko ek saath lekar chaloge.. sirf itna hi nahin main chahta hun ki agale election men tum khade raho”
Aditya ab unke kandhe par haath ferte huye kahta hai “anna baaki sab thik hai, par main khud kabhi politics men jana nahin chahta, bhale aap mujhe kaho main andar rahkar aap jisko kahoge use jitwane ke liye jee jaan laga dunga par main khada nahi rah sakta, kursi par baithna naa kabhi mujhe raas aaya hai naa hi aayega”
Anna halki si muskurahat dekar “bilkul mere bete ki tarah, tumhare papa ne bhi is baat ke liye mujhe har baar naa hi kaha hai, par tumhari marji hai, mere liye to ghar ke mukhiya to tum hi ho aur ek baat bhi hai”
Aditya “kya?”
Anna “in sab ko sambhal lo, ye sab aakhir kab tak karoge, ab to vikas ki bhi shadi ho jayegi agale mahine tum bhi shaadi karlo, chaahe wo kaun tum kahte ho unke ghar main chalta hun, mujhe naa kahne ki himmat kisi ki nahin hai”
Aditya “wo bahut sidhe saade log hai, uske bhai ne kahin se mere bare men pata kiya aur apne ghar men bata diya tab se uske ghar men meri chhabi kharab hai”
Anna sir utahakr aditya ki taraf dekhte hai. Aditya unki aankhon men dekhkar haan men sir hilata hai.
Anna “main baat karun unse?”
Aditya “nahin ab main aise hi rahna chahta hun, firse akela jeena chahta hun”
Anna “jaisi tumhari marji”
Aditya “kal se office jana bhi shuru kar dunga ab hansiye.. are hansiye naa”
Anna halki si muskurahat late hai, aditya kahta hai “that’s like my grandfather, chaliye ab jaaiye so jaaiye subah aap jaldi uthate hai hamari tarah nahin jo jab tak aditya sir par naa chadh jaaye bistar ko nahin chhodenge”
Anna “tumne abhi to kaha kal se tum bhi office jaaoge” Aditya “fir to mujhe bhi ab sona padega. Good night”
Par aditya ko kya pata thaa ki ye uski dadaji ke saath aakhri mulakat thi…
superb updateUpdate 26
Aditya andhere men baitha hua tha. Uske kamre ki sabhi battiyaan band thi, par uski dimag men ek halchal machi hui thi, wicharonka toofan angdai le raha thaa. Aaj uske dadaji ko gujar ke 14 din ho chuke the.
Use pata thaa ki kabhi bhi kisi bhi waqt usko bulaya jaayega aura age ke faisale lene ke liye kaha jaayega. Ya firr kuchh faisale us par thop diye jayenge. Us par nayi jimmedariyaan aane wali thi. Uske godfather bannane ye hi samay tha.
Jaisa usne socha thaa thik usi tarah manik uske kamre men dakhil hua. Usne aditya se kaha “chalo sab tumhe bula rahe hai, aaj dadaji ki will padhi jaani hai”
Aditya ko bhale hi pata thaa ki us will men mukhyatah kya likha gaya hai par wo to dusaronke reaction ko dekhna chahta thaa. Wo uth khada
hua aura age badh gaya. Ghar men se koi bhi bagawat karega iski usko
chinta bilkul nahin thi usko to chinta thi ki wo un sabhi ke liye sahi faisale le paayega ya nahin.
Ek kamre men wo maink ke saath dakhil hua. Ye karma bana hi aisi tarah se thaa ki ismen private meetings ho paaye. Kamre men kuchh gine chune yaani jo ghar se kaafi gahara sambandh rakhte hai wohi log the, yaa yun kaho ki 2-3 logonko chhod kar ghar ke log hi the.
Puri will padhi jaane par bhi kisike bhi chehare par acharaj ka bhaav nahin thaa shayad sabhi ko pata thaa ki yahi hone wala thaa aur sabhi uske liye taiyar bhi the.
Will padhne ke baad unka family lawyer bade chachaji ke aur bakiyonke dastkhat lekar chala gaya, ab kamre men aditya uske sabhi bhai, donon chacha, manik aur pratap bache huye the.
Ab sabne apni kursiyaan ek round shape men bana li thi aur sabke aankhonka Kendra ek hi thaa, aditya.
Aditya ab sirf unke group ka chairman hi nahin balki puri state men se ek sabse shaktishali ghar ka faisala lene wala dimag ban gaya tha.
Bade chachaji ne hi baat aage ki “aditya ab aage kya karna hai?”
Aditya “chachaji ab sabse pahale hume ye apni takad badhani hai, dadaji ke jane ke baad politics men kisi na kisi ko ghar men se aage jana hoga”
Manik “kaun?”
Aditya “abhi dadaji ke gujarne ke baad madhyawadhi chunav hoga, aur usmen bade chachaji khade rahenge” aditya ne bade chachaji ki taraf dekhte huye kaha. Unhone haan men sir hilaya.
Chhote chachaji ki taraf dekhte huye “jo bhi hamari co-operative banks,
sugar factories wagaira hai wo ab se aapko dekhna padega, chahe to aap vikas ko apne saath le lijiye kyunki chachaji ab politiocs men rahenge to kaam to wo aapko hi dekhna padega”
Wo bhi haan men sir hilate hai.
Aditya aage kuchh kahe uske pahale bade chachaji kahte hai “aditya state men to apni dhaak hai hi main chahta hun ki kuchh aage ki bhi sochi jaaye ab tum chaaron bhi aa chuke ho, sath men to hum tum sab par kuchh rely kar sakte hai”
Aditya haan men sir hilata hai. Unse puchhta hai “aap central men jana chahte hai?”
Bade chachaji “nahin aditya main to ulta chahta hun ki tum mujhe isse dur hi rakho, main chaahe to sabhi baki ki chijen dekh lunga”
Aditya “thik hai, chhote chachu aap is baar minister banenge aur agali baar central men jaayenge, aur yahan hum state men vikram ko khada karenge, aur usko bahut jaldi jaldi tarakki milegi”
Sabhi is baat par sahmat hote hai, tabhi vikram kahta hai “aditya mera ye kahna hai ki kyun naa tum khade raho state men waise bhi kya farak padega?”
Aditya “farak padega tum anna ke sabse bade pote ho, tum hi wo ho jo sabko aage lead karoge aur to aur jab tak tum state men nahin jaate tab tak tum group ke MD rahoge”
Uske paas ab haan kahne ke siway koi chara hi nahin thaa. Aditya “kal se main bhi office aaunga, manik tum ab chachaji ke sath rahoge” Manik hami men sir hilata hai. Aditya “pratap tum kal se company ke technical director ho, tum bhi office join karoge”
Sabhi chale jate hai ab bas aditya ki akela bacha tha wahan apne dadaji aur papa ki tasweer ki taraf dekhta hua. Aaj use achanak se aise mahsus ho raha tha ki maano sara boj us akele ke kandhon par aakar gira hai…
Aaj bahut dinon baad aditya office jane ke liye taiyar thaa, use kai important decisions lene the. Pratap aur aditya bahar mile, aaj aditya aur pratap kisi decent office guy ki tarah three piece suit men the.
Aditya “pratap ab chale?” Pratap “haan chalo”
Tabhi pichhe se vikram aa gaya “paidal jaaoge kya tum dono?”
Donon hans dete hai. Aditya “humen kisi car showroom tak lift de de” Pratap “ab kaunsi car leni hai? BMW ya audi?”
Aditya “nahin yaar humen ab kahin jane ki jarurat nahi hai, garage se
apni sawari apne aap bahar aa jayegi”
Tabhi garage ka darwaja khulta hai aur ek chamchamati SUV bahar nikalti hai.
Pratap aur vikram use dekhkar chauk jaate hai. Aditya “pahchana?”
Pratap “iske andar ka saman?”
Aditya “kuchh tere room men hai kuchh mere room men hai, aur kuchh gadi men hi hai”
Pratap “bahut din se isko maine nahin chalayi, main chalaunga” itna
kahkar aage daud jata hai.
Aditya wahin rukta hai. Vikram ki gaadi bhi aakr uske pichhe khadi hoti hai. Vikram aditya ke kandhe par haath rakhkar kahta hai “jo kuchh kar raha hai thik kar raha hai naa?”
Aditya sir niche jhuka leta hai. Vikram “isse teri wo yaaden judi hai jo tu
kal tak bhula dena chahta thaa”
Aditya sir utha leta hai. Pratap aditya ke saamne ka darwaja andar se khol deta hai. Aditya vikram ki aankhon men aankhen daal kar kahta hai
“bahut bhaaga hun is sach se ab nahin bhaagunga ab maine use accept karna sikh liya hai, chahe koi mujhe kuchh bhi kahe khuni , darinda ya lalchi ab mujhpar koi farak nahin padega”
Itna kahkar aditya car men baith jata hai. Aur gadi nikal padti hai.
Vikram apne aap se “waise bhi abhut pahale se tumhe kisi aur ke
kahne ka koi farak nahin padta thaa, par ye tumne khud hi maan liya hai to bahut acchi baat hai”
Itna kahkar wo bhi apni car men backseat par baith jata hai aur driver car lekar nikal daudta hai.
Aditya jaise hi office pahunchta hai, wo sidhe apne papa ke cabin men jata hai. Pratap “ise renovation ka order de du, ya apne liye koi aur cabin chahiye tumhe?”
Aditya “koi jarurat nahin jaisa hai waisa hi accha hai, bas saaf safai karwa lo, papa ki kursi ko alag rakho us kone men. Main unki chair par kabhi baith nahin sakta”
Pratap “thik hai, aur wahin par us kone men main apni bhi dukan laga liya karunga” ek kone ki taraf ishara kare huye usne kaha.
Aditya ne naa men sir hilaya. Aur usko hah pakad kar bahar le aaya. Do
cabin chhodkar ek cabin thi jispar kisika naam nahin likha hua tha. Uska darwaja kholkar use andar le gaya.
Wo pura cabin khaali tha, wahan kuchh bhi nahin thaa. Aditya “apni dukan yahan lagana”
Pratap “ab kya niche farsh par lagaunga kya?”
Aditya “nahin thodi hi der men architect milne aayegi uske sath discuss kar lena ki kaisi office chahiye”
Pratap aditya ke gale lag jata hai. Pratap “tu mujhe apne se dur kar raha hai naa”
Aditya “naa tere ko khud udne ko bol raha hun, kal se meeting aur shaam ko daru ke alawa mujhse milna mat”
Pratap “matlab?”
Aditya “aaj se tu apne marji ka malik hai, jo chahiye ho wo karna” Pratap “fir apna kaam mujhe de diya kar bhai, mujhe wahi to aata hai” Aditya “chal thik hai kal se hum donon ek hi projects par kaam karenge aur wo bhi donon milkar”
Pratap firse gale milte huye “ye hui naa baat, kahan hai wo teri architect bula usko donon milkar cabin design karwayenge” XXX