• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Teri Meri Love Story (Completed)

Kya aap firse is story ko padhne me interested hai?


  • Total voters
    11

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 18


Aditya aur pratap aaj khudke ghar ke chat par daru pee rahe the.
Amuman ghar ke sabhi badonko naa dikhe iske liye wo isi jagah par daru piya karte the.
Pratap “yaar… mujhe ye nahin samajh men aa raha hum ye sab kar kyu
rahe hai?”
Aditya “aadmi koi bhi chij karta hai uske pichhe 3 main chijen hoti hai, jo har ek aadmi se koi bhi kaam karwati hai. Ek hai uska naam dusara paisa aur teesara aurat”
Pratap “yani tharak”
Aditya aur pratap donon hansne lag gaye. Aditya “naa tharak hi nahi pyaar bhi hota ahi kuchh jo aadmi se sab kuchh karwa sakta hai, par ye tujhe aaj nahin samajh men aayega, ek baar tu pyaar kar le fir tu bhi samajh jaayega”
Pratap “dekh main to ye sab teri yaari ke liye kar raha hun” Aditya “yaari de chhod, tujhe pata hai aaj tera kitna naam hai?” Prtaap naa men sir hilata hai.
Aditya “kabhi galti se raaste par khada rahkar kisiko sirf dhamki de abhi, nahin tera kaam chutkiyon men ho gaya to dekhna, tere ek labj ko koi niche nahi girne dega, log tere aage pichhe ghumenge, aaj tu is area ka sabse bada baahubali hai logonki najar men”
Pratap “galat wo bahubali to tu hai”
Aditya “dekh bhujaaon men bal to us upar waale ne diya hai, jab tak hum kisi galat kaam ke liye nahi istemal karenge ya fir sirf apni jaan bachane ke liye upyog karenge hum apne jameer ki najaron men
hamesha upar rahenge”
Pratap “par maine to naa jaane kitnon kaa khoon bahaya hai, wo bina kisi karan ke”
Aditya “naa tune hi nahin maine bhi kiya hai par ye soch ki agar tu us aadmi ke saamne jata aur tu goli naa chalata to wo tujhe maar hi daalta naa… to hui na aatm raksha”
Pratap “haan yaar”
Aditya “to main kya kah raha tha, pahali chij hai name, fame ya fir power, ye mosin bhi usike liye lad raha hai, uske andar kahin bahut niche dabi hui hasarat thi ki wo area ka no.1 ban jaaye par uske bade bête ki maut se bas wo gadi ichha upar aa gayi”
Aditya “dusari bat hai paisa, to tere ko bata dun ki aajtak humne usko baukhalaya hai usmen uske haath se itne tender gaye hai ki bas, hua naa paisa”
Pratap “aur aurat? Wo kaise?”
Aditya “nilofer” thandi aawaj men daru ka ghunth lete huye kahta hai. Pratap “nilofer kaise?”
Aditya “in sab ko khatam karne ke baad main use shaadi kar lunga aur
in sab se dur chala jaunga”
Pratap “aur tune ye sab jo khada kiya hai naam uska kya?” Aditya “wo vikram ke kaam aayegi”
Pratap “wo kaise?”
Aditya “bhul mat wo mera bhale hi chachera bhai hai par sage bhai se badhkar hai”
Pratap “main samjha nahin”
Aditya “dadaji ka uttaradhikari wo hoga aur wo state ka CM banega”
Pratap “par dadaji to tumhe sabse jyada pasand karet hai wo tumhe hi king banayenge”
Aditya “mujhe king nahin banana balki kingmaker banana hai”
Pratap “ye bata aaj hum ghar par hai tu aise hi ghar nahi laya hai mujhe kuchh na kuchh to hai”
Aditya “aaj ghar men hum ek chaal karenge”
Pratap “kya?”
Aditya “10 din ke bad final hamla” Pratap “yaani?”
Aditya “vamanrao aur vikram se milne chal”
Donon niche aa jate hai wahan vamanrao, vikram aur manik teenon baithe the.
Aditya “vaman kaka taiyari karo 10 din baad dushman ka shikar bil men jaakar karenge”
Vaman “wo kaise?”
Aditya “ek din men sab ko uda denge” Vaman “kaun kaun?”
Aditya “uski puri family koi bhi nahin chhodna hai”
Vaman “par itne aadmi?”
Aditya “hum main,vikram, pratap aur aap aaoge sath men ek hi din men sab ko pakad pakad kar khatam kar denge”
Vaman “par vikram?’
Aditya “haan wo bhi chalega sath men aakhir kitne din aise hi mehandi ke haathon se rahega ek naa ek din use bhi haath khoon se rangne hi padenge”
Vaman aage kuchh bole isse pahale manik vaman ko bolta hai “vaman

rao aditya ne kuchh na kuchh sochkar hi faisla liya hoga” Vaman sir ko haan men hilata hai. Aditya “kaka aap unki khabar nikaliye ki wo hain kahan”
vaman “haan” kahkar uth jata hai.
Vaman ke saath saath jane ke liye vikram ko jane ke liye aditya ishara karta hai. Wo jaate hi manik aur pratap aditya ke paas aa jate hai.
Manik “kal hi hamla kar dena, vaman ye khabar mosin tak pahuncha dega”
Aditya “nahin hamla thik usi waqt hi hoga, aur main chahta hun ki ye
khabar un tak pahunche” Manik “kyun?”
Aditya “agar manik tum mosin ki jagah hote to kya karte?”
Manik “main jaal taiyar karta” Pratap “ek chakrvyuh”
Aditya “bas main bhi yahi chahta hun, par tumhe pata hai chakravyuh ki
sabse buri chij kya hoti hai?”
Donon besabri se aditya ki taraf dekhte hai ki wo kya batayega.
Aditya “shikar khudke hi bane pinjare men rahta hai jahan se wo bhaag
nahin sakta, shikar ko lagega ki wo apne bane huye pinjare men
surakshit hai, ek baar uske pinjare men ghus jaao wo khud bach nahi sakta”
Manik “par soch lo kahin wo tumhe aisi jagah par bomb se naa maar de” Aditya “agar maine tumhare donon betonko maara ho aur tumhara sab kuchh tabah kar diya ho aur tumhe main aisa mauka dun to tum
maujhe kaise maarna pasand karoge?”
Manik “main tumhe tumhare thik seene men goli maarunga aur tumhe

marte huye dekhna pasand karta” Aditya “bas yahi baat hai”

Aditya apni cigratte jalate huye uthkar nikal jata hai aur phone milaate

huye “are patel sahaba humara consignment kahan hai?”

Patel “haan nikal chukka hai maaf karna par wo ek aadmi ne police ko bol diya tha main illegal guns bechta hun isliye puchhtacch aur us chakkar men der ho gayi”

Aditya “kisne ye info leak kiyi?”

Patel “kya naam tha uska haan… imtiyaaj” Aditya “thik hai” itna kahkar phine kaatataa hai .
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 19



Aaj aditya aur pratap donon bahar nikale hi the. Bahar wo hall men aate hai to samne dadaji, chacha aur sabhi bhai aur sab log khade the. Aaj wo din tha jiska aditya ko besabri se intejaar tha.

Aditya bahar hi aaya tha. Bahar aate hi aditya aage badh gaya. Aaj isi samay ko dekhne ke liye wo subah se baitha hua tha. Apni hi soch men khoya hua, saari dunia se dur.

Aage jaate hi vaishnavi saamne aayi uske hath men thali thi. Bahar ki kaali raat si kaali uski aankhen aditya ko kuchh bol rahi thi. Wo aditya hi thaa jo usko apne bhai ke liye use uske baap ke ghar se le aaya tha. Wo aditya hi tha jispar use pura bharosa tha.

Aditya ke maathe par tilak lagaya aur aarti utarkar uski taraf dekha. Aditya ne uske aansu pochha jo ki uski gaal se niche hi aa raha tha. Aditya “chinta mat karo bhabhi aapke suhag par jabtak main hun tabtak koi aanch nahi aayegi” itna kahkar hi aage badh gaya.

Itna kahkar hi wo bahar khade baaki bhaiyonki taraf dekhta hai, jahan paas men hi dadaji bhi khade the. Wo aage jata hai aur dadaji ka jate

jate paanv chhuta hai. Dadaji usko aashirwad dekar apne gale se laga lete hai. Aur uske haath men ek talwar dete hai. Aur kahte hai “ye talwar apne khandan ki nishani hai, hamare khandan ke shur vironki, jo ki mujhe aaj tujhmen dikh rahe hai”

Itna kahkar wo bas us talwar ko rakh lata hai aur kahta hai “jisne mere mata pita ka khoon kiya uska sir aapke kadmon men hoga”

Itna kahkar hi aditya bahar aata hai. Saamne hi pratap uski gaadi lekar khada tha. Vaman rao aata hai aur kahta hai “mosin apne puri family ke saath lakhimpur ke farm house par hai”

Aditya “thik hai aap bhi apni gaadi nikaliye aur wahan bridge ke paas ruk jaaiye, hum teenon sab kuchh lekar aate hai aur aap mujhe phone par bata dijiye ki wahan kya halchal hai”

Vaamn haan men sir hilata hai aura age nikal jata hai. Aditya aur pratap ne sab kuchh apni gadi men rakh liya hi tha pahale se. wo bas apne sabhi bhaiyonko lekar gaadi men baith jata hai. Gaadi pratap chala raha tha.

Kuchh hi der men use vaman ka phone aaya tha ki wo pahunch gaya hai aur wahan security kaafi dhili hai.

Aditya aur sab thodi hi der men wahan pahunch jate hai. Sab ja ek sath bahar nikalte hai tab vaman chauk jata hai usko ye ummid nahi thi ki sab aayenge. Tabhi wahan ek aur car aakar ruk jaati hai.

Us car men se varun bahar aata hai. Aditya apna phone nikaalta hai aur kahta hai “haan bhar bridge ke paas aa jaao hum pahunch gaye hai”

Aditya ab shanti se ek black dog ki bottle bahar nikaalta hai aur saamne sab ke liye glass rakhkar peg banane lagta hai. Pahala peg men jab sab cheers karte hai tab aditya sip lekar kahta hai “khoon aur

daru donon hi bharpet pini chahiye, aur naa piyo to shanti nahi milti” Sabhi is baat par hanste hai aur aditya aage kahta hai “aaj ki raat ke baad sab badal jaayega humen ye chhupna nahi padega, kisise darna bhi nahi padega balki log humse aur jyada darne lagenge, aaj hum apne sabhi dushmanon ko khatam kar denge”

Itna kahkar wo bottom up karta hai. Aur sidhe gun nikaal kar vaman ko goli maar kar kahta hai “ghar ka bhedi lanka dhaaye isliye sabse pahale usko khaatam karma chahiye”

Tabhi wahan andar se avinash bhi aa jata hai. Vaman ki aankhen

avinash ko dekhkar fati ki fati rah jati hai. Aditya ab sabko wahan ke jal rahe ek street lamp ke nche le jata hai aur ek naksha dikhata hai aur kahta hai.

“ye uske farm house ka naksha hai dekh lo, pratap ko iske bare men sab pata hai, par tum donon dekh lo varun , avinash, tum donon pichhale darwaje se aaoge aur hamla karoge main aur pratap aage se. baaki sab jab hum donon signal denge tab tum sab donon side se ghar par goliyaan chalana aur jo bhi bahar aane ki koshish kare un sab ko maar dena, samajh gaye sab”

Sabhi haan men sir hilate hai aur aditya wo plan varun aur avinash ko de deta hai dekhne ke liye. Aditya aur pratap ab apni gadi ki dicci kholkar ak-47 nikaalte hai aur har ek ke haath men eke k thama dete hai. Aur sath hi sath avinash aur varun ko bulletproof vest bhi.

XXX
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 20



Yahan ghar par aditya aur pratap donon sath men baithe the, pratap “kuchh soch yaar aditya mujhse kuchh bhi plan nahin ban raha” Aditya “aise banega bhi nahi, jagah uska hi ghar hai uske chhipne ki jagah usko hi advantage dilwayegi”

Pratap “fir humen kis chij men advantage mil sakti hai” Aditya “weapons”

Pratap “yess haa ye kar sakte hai, aur attack achanak se hona chahiye taaki kuchh bhi samajh men aaye usse pahale goli seene men”

Aditya ki aankhon men ek ajib si chamak aati hai wo haan emn sir

hilata hai aur kahta hai “expected wepons?” Pratap “revolvers, dunali aur rifles”

Aditya “yaani ek bhi automatic weapon nahi hoga”

Pratap “nahin”

Aditya “yaani humare weapon ki magzin badi ho aur wo automatic ho aur wo rifle ko takkar de sake”

Pratap “haan”

Aditya “apen paas ak-47 kharidi hui hai upar se graneds bhi hai” Pratap “ye to thik hai ab aage”

Aditya “aage aur kya?”

Pratap “2 teams jitney kam members ho utne acche, par ek se jyada hone chahiye, ek front gate se entry lega aur ek back door se” pratap pencil se aditya ko saamne rakhe nakshe par dikhata hai.

Aditya “ek team men main aur tu. Dusari men varun wo trained hai aisi situations ke liye”

Pratap “chautha kaun? Vikram?”

Aditya “hum king kaante par lagakar sirf use fansa rahe hai asal men humen use maidan men utarne ka koi risk nahin lena hai”

Pratap “fir aisa koi jo joshila ho aur goli chala sake bhale wo kisiko maar bhi naa paaye to bhi thik hai bas wo varun ko cover de sake” Aditya “avinash”

Pratap “thik hai, ab pichhe ke darwaje se jo team aayi hai uske uske liye khatra koi bada nahi hoga, wo kitchen, niche ke bed rooms inko clear karte huye aage aati jaayegi” wo map par sab pencil se mark karta hai.

Aditya “sabse jyada saamna samne se ghusne wali team ko karma padega saari janta hall men jama hogi”

Pratap “sahi baat to aage se ghusne wali team unpar andhadhundh firing karke ushe busy rakhegi aur pichhe se aane wali team unhe maar degi”

Aditya “ab niche ka floor secure ho gaya”

Pratap “sidhiyon ke paas avinash ko khada kar do upar jate hi, aage uske bas ki baat nahin”

Aditya haan men sir hilata hai.

Ab teenon alag ho jaayege. Yahan saamne hi teen kamre hai. Teenon ek sath firing karenge darwaje par, puri magazine khaali, andar ke jitney aise hi mar sakte hai mar jaaye, aur teenon ek sath andar jaayenge aur jise bhi nilofar milegi wo use lekar bahar aa jayega aur avinash usko lekar bahar aa jayega”

Aditya “uske chances?”

Pratap “dekh main tujhe jhuthi tasalli nahi dunga par kam hi hai, par hum apni jee jaan laga denge”

Aditya “chal koi nahi par yahi karma hai, main varun ko bol dun”

XXX
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 21





Aditya, pratap aur varun teen darwajon ke saamne khade the. Naa jaane kitni laashen niche hall men aur bahar bichhi thi. Aditya, pratap

aur varun niramamta se kisiko bhi chhoda nahi thaa. Jo bhi wahan pade the yaa to wo mar chuke the nahin to maut se bhi battar avastha men the.

Aditya “mera dil kahta hai ki main sahi darwaje ke saamne hun” Pratap “dekh aditya emotional naa ban”

Par aditya kuchh sunta nahin sidhe jaakr us darwaje ko ek dhakka deta

hai. Aur wo darwaja todkar wo room ke andar chala jata hai. Andar nilofar uski maa ek kone men baithe the, mosin aur uska ek aadmi uske sath khada tha.

Mosin ke aadmi ke hath men ek revolver thi aur wo usne aditya par taan rakhi thi, wo goli chalaya usse pahale picche se ek goli aati hai aur us aadmi ko lagti hai, pichhe wo aadmi dekhta hai to aditya ke pichhe se pratap aakar aditya ki side men kahda rahta hai.

Uske pichhe pichhe varun bhi aata hai. Pratap ne ab apni ak-47 apne kandhe par latkaaye huye tha par uski pistol uske hath men thi aur uska aim sidha mosin ki taraf tha. Pichhe se achanak firse kadmon ke aane ki aawaj hoti hai, varun aur pratap pichhe dekhte haito imtiyaaj darwaje par tha, is baar wo kuchh kar paaye uske pahale pratap aur varun uske shareer ki chhalni bana dete hai, par pade pade uske haath ki gun se goli chal jaati hai aur wo sidhe jaakar nilofar ko lagti hai.

Aditya abhi tak jo sirf nilofer ki aankhon men hi dekh raha tha, usko goli lagte hi wo uski taraf daud jata hai. Usko apni baahon men le leta hai. Wahan us taraf pratap aage bhaagne wale mosin ko pakad kar uske sar par pistol laga deta hai.

Aditya ke palkon par aansu aane ko hi the ki wo dekhta hai ki nilu ki aankhon se ek aansu ki bund niche aa jaati hai. Aditya “ab main aa

gaya hun naa sab thik ho jaayega”

Nilu ka khoon bahna shuru ho gaya tha. Aditya ne us jakham ko dekha aur dabakar rakha. Wo jakhma thik kidney ke aaspas lagi thi. Aur jis hisab se khoon bahar aa raha tha yaani kaafi badi ander bleeding shuru ho chuki thi.

Aditya ko pata thaa ki wo ab bachne waali nahi hai, balki aur jitni der hogi uski mauk usko utni hi yaatnayen degi, par ek man ek aur bhi thaa jo kahta thaa ki kuchh nahi hoga nilu bach jaayegi. Usne nilu ki aankhon men dekha par nilu ki aankhen dard ke mare band thi achanak se usne aankhen kholi aur aditya ki aankhon men dekha.

Use wo maasum aditya dikha jo usse pyaar karta thaa, use pata thaa ki aaj jo samne aditya batha hai, jo itne logonka kaatil hai, use jitna bhi khoon do uski pyaas bujhne waali nahi hai uske andar kahin wahi aditya chhupa hua hai, wo bahar aayega nahin, kyunki use bhi pata thaa ab ki ab uska bachanaa mushkil hi nahin naamumkin hai.

Aaj nilu ki maut aditya ke andar ke us maasoom ko hamesha hamesha ke liye maarne waali hai aur jo bachega wo uska hi khaufnaak chehara rah jaayega. Aditya ki aankhon men hi dekhte huye usne kaha “aditya is dard se mujhe chhutkara dilaao”

Aditya jaise sammohit ho chukka tha, usne bina kuchh soche apni gun nikaali, use ek lip par kiss kiya, aur kaha



Yet each man kills the thing he loves, By each let this be heard,

Some do it with a bitter look, Some with a flattering word, The coward does it with a kiss,

The brave man with a sword!





Itna kahkar aditya uski aankhon men dekhta hai aur ek goli ki aawaj aa jati hai aur aditya ka chehara ek taraf se pura khoon se san jata hai.





Xxxxx





Aditya ek hath men mosin ka sir pakad khada tha jo ki uske dhad se usne kab ka alag kar diya tha par kuchh khoon ki bunde abhi bhi girr rahi thi. Dusare hath men talwar thi jiski nok par khoon tha. Aur uska pura shirt khoon se bhig chukka tha. Pura chehara khoon lagne se aur wo uspar sukhne ki wajah se bahut hi darawana dikh raha tha.

Uske sharer ko ab bahar ki thandi hawa chhu rahi thi. Saamne achanak se gaadi aakar khadi ho gayi. Ye to uski khudki hi gadi thi. Usne pichhe mudkar dekha, samne tha mosin ka farmhouse ka darwaja, par wahan par jo manjar tha use kisika bhi dil dahal sakta tha.

Wahan jitney bhi mosin ke log the aditya ne un sab ke sir kaat kar unko darwaje ke upar latka diya tha. Ismen wahan ke sirf 2 hi sir nahi the, ek mosin ka jo aditya ke hathon men tha aur dusara nilu ka kyunki use waisa dekhne ki aditya ki himmat nahin thi.

Pratap gaadi chala raha tha aditya uske side men baitha tha. Aditya ne uski aankhon men dekha usko ek sawaal dikhai diya ‘akhir itna sab kyu?’

Ghar aane tak bhi wo saawal waise ka waisa tha. Aditya ne gadi se utarte huye kaha “mujhe pata hai pratap tum kyua puchhna chahte ho, main uska jawab bhi de deta hun”

Kuchh der ki chuppi ke baad jab pratap ne aditya ki aankhon men

aakhen daal kar dekha to usne kaha “har ek sinhasan ki niv laashe hi hoti hai, aur ye vikram ke sinhasan ki neev hai”

Itna kahkar hi aditya aage badh gaya use samne khade apne dadaji

dikhe usne mosin ka kata hua sar unke pairon men rakha aur wo andar chala gaya. Aur apne kamre men sidha khud ko band kar liya. Baaki sab uske pichhe pichhe ghar men dakhil huye par sab aditya ne jo kiya tha aakhir men use dare huye the.

Pratap ne aane par pura wakiya dadaji ko bata diya aur wo bhi andar chala gaya.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 22





Uske baad hum donon wahan rahe hi nahin aditya kahta tha wahan ke mahaul men hi kuchh aisa hai jise wo bhula nahi sakta, wahan ki har ek jagah, ek ek chij use nilu ki yaad dilate hai isliye hum wapas yahin par aa gaye, aditya ke paas us deal men mile huye paise the use usne ye company kharid liyi aur hum yahin bas gaye”

Deepa ki aankhon men ye sunkar aansu aa chuke the. Pratap aage bolta chala gaya “aditya uske baad kaafi akela ho gaya tha, wo ya to sirf meri taraf dhyan deta ya fir business ki taraf par jab se tum uski jindagi men aayi wo firse hansne laga tha, uski sari khushiyaan laut aayi thi, isiliye maine ye sab kala itihas tumhe bataya hai taaki tumhe pata chale ki wo to bas ek sidha sadha ladka tha jisko ye sab karna hi pada uske siway uske paas koi chara hi nahi tha, aaj bhi mujhe yaad hai ye sab hone ke ek hafte baad vikram aditya se mila tha

Vikram aditya se ek sawal puchhne ke liye aaya tha, vikram “aditya tumne mujhe wahan us waqt andar kyu nahi aane diya”

Aditya “vikram jo maine kiya wo tumhare aur sabke bhale ke liye kiya hai ab us bare men mujhe kuchh baat nahi karni hai”

Vikram “tum khud bandook uthao to chalega par main ek sawal nahin puchh sakta?”

Aditya roj ki tarah sharab men duba hua tha. Vikram “aur ye sharab

chhodo ye kisi kaam ki nahin hai”

Aditya “bass tum yahi jaananaa chahte ho naa ki maine tumhe andar kyu nahi aane diya to suno, nilu ko maine khud mara hai, wo tum dekh nahi sakte the, wahan aisi condition thi ki tumhe jine ke liye kisi aur ki maut banana padta, jee sakte the tum kisi aur ki maut ka bojh uthakar” Aditya “pata hai tuhe kaisa mahsus hota hai khoon ka bojh uthakar? …. Nahin naa….. raat ko nind nahin aati, har chehare men wohi chehara dikhai deta hai, yahan tak ki aaine men bhi khudka chehara nahin dikhta uski aakhri waqt ki khoon se lathpath laash dikhti hai”

Aditya “aur ye sharab ye baaki kuchh nahin nind aaye isliye pita hun, gaye 8 dinon se mujhe nind nahin aaye hai… ek hatya se hi aisa mahsus hota hai to socho agar meri jagah hote aur apne aap ko itne saare khoonon ka apradhi mahsus karte to kya hota?”

Vikram kuchh kah nahin paaya bas uske aankhon men aansu aa gaye the.



Aditya ne aage badhkar usko hug kiya aur kaha “dekh tu sinhasan par

baithe ye meri ichha hai aaj se tu dadaji jaise kahenge waisa hi karega…”

Vikram “mujhe nahin karna aisa kuchh”

Aditya “yani tu mere pyaar ki kurbani ko jaya kar dega”

Vikram kuchh kah nahi pata, aditya “ab jaa so ja subah uth kar ghar chale jana”

Yahan deepa ki aankhon ka band ab foot chuka tha. Us hospital ke bed

par pade nishchal aditya ke sharer ko dekhkar wo samajh nahi paa rahi thi ki kya Karen, usse khafa ho ya fir usko gale se laga le. Par wo ye

nishchay kar leti hai ‘jo hua so hua ab aditya waise bhi accha hai, use to bas uske halat ne kuchh der ke liye bura banaya tha’

Pratap bas isi aasha men aditya ki chehare ki taraf dekh raha tha ki naa

Jaane kab wo firse uth khada ho jaaye.

Deepa “aditya ne sach kaha tha mujhmen himmat nahi thi usne apne pyaar ke liye kya kya nahin kiya par main kuchh nahi kar paayi, main cowerd hun. Usne thik kaha tha

Cowerds do it with KISS

And brave does it with SWORD”

Aage use kuchh bola nahin gaya aur wo waise hi roti hui hospital se nikal gayi.





Deepa ghar men apni sudbudh khoyi baithi thi ki uske papa aur bhai ne

uske bare men kya socha thaa, par usne kya kya saha hai. Wo raat bhar apne bed par lete lete roti rahi ki jo aadmi itna hasmukh itna witty ho sakta hai, uske jindagi ki dusari side itni kaali bhi ho sakti hai.

Par wo to bas soch hi sakt thi…. XXX
 
  • Like
Reactions: mashish

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 10

Apne mummy papa ki maut ke kuchh din tak jab tak kriya karm chalet the aditya jyaada tar der apne kamare men hi bitata thaa aur sirf jitni jarurat ho yani ki logonse milnaa ya fir koi pooja path men jana uske liye hi bahar nikaltaa tha.
Jab se sab khatam ho gaya aditya apne room se bahar nikalaa par usne mujhse bilkul bhi baat nahi kiyi, sidhe gaya manik se milne.
Manik aur wo bahut der take k saath baat chit karte rahe kuchh der baad aditya wahan se bahar nikalaa, manik par chillate huye “tumhe koi gam nahi hai mere maa baap ki maut kaa ab jo karma hai main khud karunga”
Pratap aditya ke saamne gaya. Pratap ko dekhte hi aditya bola “chal” Itnaa kahkar wo donon ghar se bahar nikale. Aur aditya sidhe ek bar men chale gaye, aaj to jaise aditya ko sharab pine ka record todnaa ho
waise pee raha thaa. Saamne ke table par kuchh 4-5 ladke baithe the. Aditya unki taraf ghure jaa raha thaa.
Kuchh ek peg pine ke baad wo bhi udne lagte hai, unmen se ek kahta
hai “kya ghur raha hai be?”
Aditya “nikal BC main kahin par bhi dekhu tujhe kya?”
Kuchh hi der men baat hathapai par aa gayi. Aditya nashe men jarur thaa par kamjor nahi thaa. Usne aur pratap ne milkar acchi khaasi dhulai kiyi un sab ki. par aakhir kaar bahut kuchh hone par bhi aditya ke against poliuce case khada rah jata hai.
Ghar par aditya jata usse pahale khabar chali gayi thi. Aditya ghar men jata hai to wahan uske dadaji bathe the. Unhone jaise hi aditya ko andar aate dekha to kaha “adityaa..”
Wo aawaj sunkar jaise uske kadam ruk se gaye. Usne unki or dekha. Ana sahib “idher aao”
Anna kea pas jakar baithne par “sharab piye ho”
Aditya kuchh jawab nahi de pata bas apni garden niche jhuka leta hai. Anna sahib “kal se ye yun ghar men rahnaa, bahar ye sab karma band MBA ke liye tumhari admission kar de raha hun, kal se collage chale jana”
Aditya “ek baat kahu anna” Anna sahib “haan kaho”
Aditya “mera in sab se ab man ud chukka hai, main ab aage padhna nahi chahta”
Anna “fir kya karma chahte ho? Kal se fir office chale jana”
Aditya “main wahn bhi nahi jana chahta wahan papa kli yaaden mujhe nahi rahne dengi”
Anna “aakhir karma kya chahte ho beta”
Aditya “aap mujhpar bharosa kijiye main jo karma chahta hun mujhe karne dijiye”
Anna “aakhir ye kyu kar raha hai sharaab pina aur maarpit karma, sharab pine ke liye meri koi naa nahi hai beta par ye to mat kiya karo, bhagwan ne humen taqad dusaronka bhala karne ke liye diyi hai use wahn istemaal karo, aise nahin”
Aditya “wo to galti se ho gaya tha anna, par is hal;at men ye jaruri hai” Anna “manik jara commissioner ko phone lagana to aditya ka police case ke liye baat karma”
Aditya “nahi anna bahut kuchh ho gaya ab aap mewre liye kuchh nahi karenge ab main aapke liye karunga”
Anna “par beta naam par police case rahna koi achhi baat hai kya?” Aditya “pata hai mujhe bhi ye baat acchi nahi hai isko baad men bhi nikalwa sakte hai court men jaakar par main chahta hun ki aap is waqt kisipar bhi pressure naa dale aapke upar is waqt kaiyonki nigaahen hain”
Anna “tu thik kah raha hai, jaa aaram kar le bahut thak gaya hoga na” Aditya “aur ek baat anna mujhe ye shaq hai ki wo ladke jinki maine pitai kiyi wo mosin ke aadmi the aap bas case khulne men deri ho iske liye bas dekh lijiye”
Anna “haan thik hai utna aaram se kiya ja sakta hai” Aditya ab andar chal jata hai.
Agale din pratap dekhta hai kia dity a subah se gym men laga hua hai. Baad men nashta ho jane par vaishnavi kahti hai “aaj kya kar rahe ho?” Aditya “kuchh khas nahi, par kyu?”
Vaishnavi “mere sath shopping ko chalo”
Aditya ab jyada tar der ya to ghar men bitaane laga, ya fir bahar bhi jata
to daru pine, isi beech men aditya ke upar aur 3-4 police case darj ho gaye.
Ek din shaam ko aditya, pratap ke sath bahar nikalta hai. Abhiman pichhe pichhe aane lagta hai. Aditya use rokkar kahta hai.
Aditya “abhiman yahi ruk jao aaj tum hamare sath nahi aa sakte”
Abhiman “kyu?” Aditya “samjha karo”
Abhiman “bahar halat bahut kahrab chal rahi hai, samjha kar”
Aditya “baaki din main tumhe kuchh nahi bolunga par aaj nahi abhiman”
Abhiman “aaj kuchh na kuchh hone wala hai”
Aditya kuchh bolta nahi bas gardan hilata hai. Abhiaman ke man men lahar uth jati hai.
Abhiman “kya karne ja rah ahai tu?”
Aditya “kuchh khas nahi bas ek jaruri kadam utha raha hun” Abhiman “main bhi tumhare sath aat hun”
Aditya “nahin aaj nahi, aur tujhe kasam hai meri mere pichhe nahi
aayega”
Abhiman “thik hai, par kuchh to batata ja” Aditya “Disco Blue Dragon”
Abhiman “wahan kyu ja raha hai? Wahan mat jaa”
Aditya “bas ek aadmi se milne jana hai, aur darna mat main aise hi nah ja raha hun” itna kahkar wo apne kamar par lagayi huio gun dikhata hai. Aditya ab abhiman kuchh kahen usse pahale hi wo gadi nikal leta hai.
Abhiman bhi kasam khane ki wajah se uske pichhe nahi ja sakta hai. Aditya apni car lekar wahan pahunch jata hai. Car bahar parking men lagane par hi wo jaan jata hai ki kai nigaahen uspar hi tiki hai. Wo aage badhte ja raha tha. Pratap uske sath kadam se kadam milakar chale ja raha tha.
Aditya aur pratap andar ghus gaye. Andar ka mahaul kisi aam disco ki tarah hi tha, ye disco unke shahar ke top pubs men se ek tha. Aditya andar gaya to mahaul men jaise jawani ka josh dikhte hi chalak raha thaa.
Loud music, uspar thirakne waale kadam , madmast shokh adaaye daalne waali hasinaayen. Par aditya to kisi aur kaam se yahan aaya thaa, wo in sab men se raasta nikalte huye aage bar counter ki taraf badhta chala gaya. Wo jaise jaise aage ja raha thaa, uspar kai logon ki nigaahen tiki huyi thi. Sabse badi aankhen thi, us bar counter ke thik saamne unchai par bane huye kaanch ke cabin men se.
Aditya us bar counter ke saamne rakhe huye stools men se ek par baith gaya uske side men hi dusare stool par pratap bhi baith gya. Aditya ne order diyi “2 johny walker on the rocks”
Wahan us cabin men imtiyaaj ke andar gusse ka sailaab umad raha tha. Usko aisa lag raha thaa abhi saamne jaau aur use goli maar du. Usne apne side men khade aarif ki taraf dekha. Usne imtiyaj ke kandhe par haath rakha aur kaha “ye sahi waqt aur sahi jagah donon men se nahin hai”
Aarif ne mudkar ek ladke ki taraf dekha “avinash aditya ko pahchaante ho naa tum?”
Avinash “haan”
Aarif “jaao jakar usko samjhao ki agar wo yahan se chala jaaye” Avinash sidhe us cabin se bahar nikal kar aditya ki taraf nikal padta hai. Aditya apne saamne ki drink ka maja le raha tha. Aur saamne disco men naachne walon ko dekh raha tha. Avinash wahna aa jata hai, aur aditya ki side ki kursi lekar uske baju men baith jata hai.
Aditya “kaise ho avinash?”
Avinash “aditya yahan kyu aaye ho?” Aditya “tumse milna thaa”
Avinash “to bahar mil lete”
Aditya “bahar milne par koi shaq leta to maine socha kyu naa yahin tumse mil liyaa jaaye”
Avinash “yaa to tum bahut bade bahadur ho ya fir pagal”
Aditya “kyu yaar?”
Avinash “tumhe pata hai ki yahan itne saare log tumhare khoon ke pyaase hai firbhi akele aaye ho”
Aditya “are akele kahan pratap bhi to hai”
Avinash “pratap is aditya se dur raha karo yaar ye to jaayega hi saath men tumhe bhi le jaayega” is baat par teenon hansne lagte hai.
Pratap “life time partnership hai, ab aise chhod to nahi sakte” Avinash “jyada der main tumse baat nahin kar sakta jaldi batao kyu milne aaye ho yahan?”
Aditya “mere papa ki maut men imtiyaj ka kitna hath hai?”
Avinash “pura hath hai, sab kiya dhara aarif ka hai bas imtiyaaj aur mosin ka beta in donon ne ye sab kiya hai”
Aditya “mosin?”
Avinash “pagal ho gaya hai aajkal, kuchh sujhta nahi hai, aur waise bhi
uska beta kuchh dekhta to hai nahi jo hai wo imtiyaj dekhta hai, par uske pichhe pura dimag aarif ka”
Aditya “tum?”
Avinash “pak gaya hun inke saath par inhe aise chhod bhi nahi sakta, tumhare papa ke bare men suna bahut bura laga, tabhi se isi soch men thaa ki tum jarur milne aaoge”
Aditya “well to tumhara intejar pura hua, aur kuchh khaas batane layak”
Avinash “tumhare ghar men ek bhedi hai”
Ye sunkar to jaise ab donon chaunk hi gaye the. Avinash “uska naam to nahi maalum par wo tum sabke bahut paas ka hai, tumhare sath uthataa baithta hai, khana khanate hai jara sambhal kar rahna” Aditya “pratap kal se ghar chhodna padega” avinash se “uske bare men pata karo aur mujhe bata dena”
Avinash sirf haan men garden hilata hai aur kahta hai “ab jaao yahan se” itna kahkar wo uth jata hai.
Aditya apne hath men ka peg pura khinch leta hai aur uski dekha dekhi pratap ne bhi gatak liya. Aditya uth khada hua aur sidhe usne apni gun nikaali aur avinash par taan di aur usne jor se aawaj lagayi “avinash….” Aditya “tumhe kaya laga tum apni jagah se mujhe jane ke liye kahoge aur hum bhaag jayenge”
Wahan upar se imtiyaaj aur aarif ke pairon tale ki jamin ye sab dekhkar khisak gayi thi. Imtiyaj ne apni gun nikali aur sidhe niche daud gaya.
Aarif aur imtiyaj ko samajhte der nahi lagi ki avinash ne kuchh kaha aur wo aditya ko hajam nahi hua hai.
Yahan avinash ne bhi apni gun nikal kar aditya par taan di. Pichhe se
pratap ne bhi gun nikaal li. Disco men jaise khalbali mach gayi thi, jo pahale gaanon ki aawaj se mahaul thirkane wala tha wo ab logonki kilkariyon ne le liya tha. Sab log bhaag gaye the ab to bas samne avinash, imtiyaaj aur uske 2-3 ladke haath men bandook liye aur is taraf aditya aur pratap.
Aditya achanak se pichhe hatkar bar counter ki aad leta hai pratap ko bhi waisa karte der nahi lagti. Wahan imtiyaaj ka khoon jal bhun jata hai aur wo goliyaan barsana shuru kar deta hai.
Uske bandook ki magazine khatam hone par wo ek aur magazine
nikaalkar firse goliyaan chalana shuru kar deta hai, achanak use aisa lagta hai pichhe se kisine uski kanpatti par bandook lagayi hai to wo pichhe mudkar dekhta hai…
Imtiyaaj apne sir par pichhe se lagi banduk ka ehsaas hote hi chauk gaya. Wo pichhe mudne laga to to pichhe se ek hath aage aaya aur usne ek rumal ko pakade huye imtiyaj ki hath men ki gun ko uske hath se khinch liya.
Usne pichhe mud kar dekha to wo aadmi police ki uniform men inspector varun tha. Usne ek ek karke sabke hath se bhi gun nikal liyi. Aditya aur pratap apni guns jeb men rakhkar bar counter se aage aa gaye.
Imtiyaj “ye kya hai?”
Varun “you are under arrest aur in sabke bhi licence aur guns japt kar lo”
Imtiyaj “kis baat ke liye?”
Varun “in donon par jaanleva hamla karne ke liye”
Uske baad jagah ka panchnama hota hai. Varun un sab ko thane le jata

hai aur aditya aur pratap uske khilaf gawahi dekar uspar mukadamaa dayar kar dete hai.
superb update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 11





Agale din aditya uthta nahi hai, subah hi manik use uthane aa jata hai.

Wo dekhta hai ki aditya so raha hai . wo aage jakar usko hilakar uthane ko jata hai achanak aditya apne takiye ke niche se gun nikalkar uspar taan deta hai, par jab agale hi pal dekhta haiki wo manik hai to wo gun niche kar deta hai. Isse manik bhi thoda dar jata hai.

Manik “jakar anna sahib se mil lo, wo tumhe yaad kar rahe hai” Aditya “thodi der bad milta hun”

Manik “abhi bulaya hai”

Aditya shirt pahanate huye “chalo” kahkar donon chal padte hai. Aditya anna sahib ke samne khada tha.

Anna sahib “raat ko ye sab karne ki kya jarurat thi?”

Aditya “taaki imtiyaj ki kuchh asaliyat dunia ke samane aaye aur ek aur chij thi”

Anna sahib “kya?”

Aditya “wo aaj nahi baki ka entertainment program kuchh der ke break ke baad”

Itna kahkar wo nikal jata hai. Anna sahib bhi kuchh nahi bolte.

Kuchh dinon tak kuchh khaas nah hota. Aditya pratap ke sath kisi bar men baithkar daru pee raha tha. Tabhi wahan varun aa jata hai.

Aditya “are waiter yahan aana, kya loge varun?” Varun “kuchh nahi duty par hun”

Aditya “fir?”

Varun “kal imtiyaj aur sabko bail milne wali hai”

Aditya “milne de kuchh tang mat adaa bas ek chij kar mere liye”

Varun “kya?”

Aditya “imtiyaj ki gun uske hath nahi lagni chahiye aur uska liacence cancel karwa de”

Varun “gun to main evidence kahkar rakhwa lunga par licence?’

Aditya “simple hai aaj hi ek report commissioner office ko aaj hi bhej dena ki aisi aisi ghatna men isne apni liacenced gun use kiyi hai, saath men liacence par ek magazine hote huye ek extra illegal magine mili hai jismen ki goliyaan terrorists ke paas hoti hai us prakar ki hai is liye tahkikat puri hone tak liacence radd kar diya jaaye, aur ye extra iska bhi case lagwa de usmen”

Varun “laga diya hai”

Aditya pratap ko ishara karta hai, wo ek packet nikal kar varun ki taraf aage kar deta hai.

Varun “ye kya hai?”

Aditya “tere liye kuchh hai”

Varun use kholta hai to usmen notonka bundle tha. Wo use waise hi aage kar deta hai, aur kahta hai “aditya tujhe kabse aisa lagne laga main ye sab tumse expect karunga”

Aditya “tu expect nahi karga mujhe pata tha isiliye de raha hun” Varun “tu mujhe waisa samajh rakha hai, tere liye ye chijen kuchh bhi nahi hai”

Aditya “chal thik hai par koi jarurat ho to bata dena”

Varun “musibat ke waqt mujhe to sabse pahale bhagwan nahi yaad aata dost hi yaad aate hai”

Aditya “kisi dusare ko yaad mat karna bas mujhe yaad kar lena” Varun “chal yaar chalta hun “

Donon bye karte hai.
nice update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 12

Dusare din sham ke waqt aditya firse ek aur bar men avinash ka phone ataa hai. Kuchh der baat karne ke baad aditya phone rakh deta hai. Aur fir manik ko phone milaakar use baat karta hai.

Agale hi din aditya aur manik aamne saamne the, kuchh baat huy aur aditya ne sidhe manik ko dhakka de diya. Us baat par ghamasaan donon men bahas ho gayi. Aditya ne kaafi khari khoti suna di manik ko aur manik ne bhi kaafi kuchh sunaya.
Aditya “main is ghar ka beta hun aur tum naukar”
Wahan se aditya ke chacha aate hai, aditya ke sidhe ek kaan ke niche khinch dete hai. Chachaji “aaj tak humen kabhi aisa nahi laga aur naa hi humne kabhi socha ki manik hamare ghar ka naukar hai ye bolne ki tumhari himmat bhi kaise hui”
Aditya is baat par kuchh nahi kahta aur bahar nikal jata hai.
Dusare hi din ki akhbaar men news thi shahar ki suraksha wywastha ke liye kuchh logonko shahar se tadipaar kiya ja raha hai aur usmen
aditya aur pratap ka bhi naam tha. Is khabar ne pure ghar ko hila diya tha.
Wahan mosin ke ghar men khushi ka mahaul thaa. Mosin aur imtiyaaj aaj badi khushi men the.
Imtiyaaj “ye aapne accha kiya ki aditya ko tadipaar karwa diya”
Mosin apne ghutne par hath ferte huye “ab to uska hisab bahar hi kahin karwa denge”
Imtiyaj “wo main dekh lunga aap wo mujhpar chhod dijiye”
Mosin “wo waman rao ko phone lagana to dekhte hai kya batata hai wo”
Waman rao se use ye khabar milti hai ki ghar men aditya ka manik se kaafi jordar jhagda ho gaya hai, aur ab aditya jab tadipar ho raha hai tab wo abhiman ke city men jane wala hai unke ghar. Aur ghar men kaafi khalbali mach gayi hai.
Yahan avinash bahar aakar aditya ko phone lagata hai. Aditya apni packing men juta hua tha.
Aditya “hello… haan bol….. kaun? Wo?........ chal thik hai main sambhal
kar rahunga…. Haan haan khayal rakhunga apna”
Aditya phone rakh deta hai. Aur ek soch men pad jata hai. Tabhi pratap wahan aa jata hai.
Pratap “kya hua yar aise kyu baitha hai?”
Aditya “yaar ghar ka bhedi lanka dhaaye suna hai tune?” Pratap “haan par kyu?”
Aditya “ye sirf lanka hi nahi sab kuchh chhinwa sakta hai aisa bhedi hai”
Pratap “kaun?” Aditya “waman rao”
Pratap naam sunkar hi niche aditya ke side men uske bed par baith
jata hai.
Aditya “thik yahi haal mera hua tha jab maine bhi suna tha”
Pratap “ab kya karna hai? Ab to kuchh plan sabke saamne bhi nahi bana sakte”
Aditya “waise ye accha hua ki is mosin ne humen bahar nikal diya ghar
se, par khabar ye bhi hai ki wo humen bahar hi maarne ki koshish karne wala hai”
Pratap “are hum nahi honge to pata nahi yahan ghar men kya hoga”
Aditya “kuchh nahi hoga hum use milenge nahi isliye wo hamare pichhe ghumta rahega aur ghar wale surakhshit rahenge” Pratap”yaar par hum donon “
Aditya “ruk ek minute” wo turant manik ko phone lagakar bula leta hai. Manik “kya baat hai aise achanak kyu bula liya?”
Aditya “apne ghar men ek bhedi hai”
Manik “kaun?” Aditya “waman rao”
Manik bhi samne ki kursi khinchkar baith gaya.
Aditya “ab wo chhod do, ek kaam karo, mujhe kuchh weapons chahiye, kaun dega?”
Manik “ek aadmi hai jo tumhe jo kuchh bhi chahiye hoga sab dilwa
dega”
Aisa kahkar manik ek mobile number likhkar aditya ke haath men thama deta hai. Manik “isse contact kar lena ye legal aur illegal arms dealing karta hai”
Aditya “aur ek baat, hum kal se ghar men nahi honge to tumhe kuchh khabar mile to bata dena aur main bhi tumhe bataya karunga ki kaise aur kya karna hai, par mujhe har 10-15 din men milte rahna aur ek car mere liye wahan bhijwa dena par wo gadi main use kar raha hun iska pata kisiko mat lagne dena”
Manik “main 3-4 din men hi gadi bhijwa dunga”
Aditya “aur yaar mujhe maaf kar dena maine tujhe us waqt bahar bura kah, mujhe pahale se pata thaa ki ghar ka bhedi hai par wo kaun hai ye nahi pata tha isliye sab ke saamne tujhse aisa bartaav karna pada taaki dushman ko lage ki ghar men darar hai aur wo andaja lagane men

chuk jaaye”
Manik “mera bhi andaja yahi tha”
Aditya “aur yaar wo weapon dealer ko deneke liye kuchh cash ka bhi bandobast kar de”
Manik “chal main dekh lunga aur haan sham ko anna sahib ko tumse milna hai kuchh khas baat karni hai”
Sham ko anna sahib milne ke liye aaye to wahan aditya ek game pratap se khel raha thaaur dusara khel manik se. tabhi wahan pichhe se anna sahib aate hai.
Anna sahib “aditya ye kya main sun raha hun tumhara aur manik ka jhagda ho gaya aur tumne usko kya kya bola”
Aditya pichhe dekhta hai to anna sahib ko akelaa yaa hua pata hai aur
kahta hai “accha hua akele aa gaye”
Anna sahib “kyu kya hua? Aur ye hai kya?”
Aditya “ye to bas ek chaal hai ghar men ek bhedi hai uske liye ek khabar generate kiyi thi taaki wo bahar khabar pahuncha sake”
Anna “kaun hai wo khabri?” Aditya “waman rao”
Anna sahib “par wo kaise ho sakta hai? Wo to itna imaandar….” Aditya “mujuhe wahan se khabar mili hai aur meri tadipari ke pichhe bhi mosin ka hath hai, usne mujhe isliye tadipar kiya hai taaki wo mujhe bahar maar sake”
Anna sahib “tu kahin jana mat main sambhal lunga, bas ghar men chhupe rahna”
Aditya “usko jara khushi lene do main bahar jata hun par main bahar hi kahin gayab ho jaunga”

Anna “ab iska kuchh dekhna padega”
Manik “kuchh mat karna, ab bas use uchhal kud karne do aur uske aaspas shikanja daal do aur dhire dhire usko kasna shuru kar do” Anna “kaise?”
Aditya “aasan hai wo kya karne ki firaq men hai ye jaan lo, wo hamare ghar ko tabah karne par tula hai. Ab uska sabse hard target ho aap, aap par sidhe var karna matlab apne garden par latki hui talwar ki rassi kaat dena. Ab aate hai aapke niche ke targets to sabse aage ka target hai vikram, usko aur sabhi bhaiyonko ab bahar without security ap jane
mat dena aur chacha logonse bhi kah do bina kaam ke mat nikale bahar” Anna “aur is waman rao ki”
Manik “kuchh mat karo, use ye pata bhi mat lagne do ki humen ye sab
pata chal gaya hai bas aap jo roj karte ho karte raho”
Anna sahib “aditya tumhe kuchh chahiye ho to bata dena manik ko” Aditya “sab bata diya hai aur wo sab kuchh arrange karwa dega” Anna “aur kuchh soch rakha hai?”
Aditya “abhi to kuchh sochkar nahi rakha hai par sab soch lunga aur manik ko batata jaunga”..
Aditya bahar nikal hi raha tha, usne apne sabhi bhaiyonko bahar bulaya tha milne ko.
Aditya ke saamne uske teenon bhai khade the. Aditya pratap se “unko bhi bula lo”
Pratap bahar jata hai. Saamne sabse buri shakal vikram ki bani hui thi.
Aditya uske kandhe par haath rakhkar kahta hai “bhaiyya apne aap ko sambhaalo, ab tumhe hi sab sambhalna hai”
Vikram “nahi tere khilaf jo bhi sajish huyi hai uske tah tak jaaunga main

aur tujhe nirdosh sabit karke fir ghar men le aaunga, aakhir ye sab tera hi to hai”

Aditya “nahi bhaiyya ab iske baad main aapko bada aadmi banaunga”

Vikram “chal thik hai”

Tabhi pichhe se pratap 6 logonko lekar aata hai. Aditya “inse miliye ye aapke liye naye drivers aur bodyguards hai, aaj se roj aap inke sath hi bahar jaoge”

Kuchh baat karke aditya bahar aata hai to manik bahar khada tha. Manik “gadi men se bhi shikar karni padegi naa?’

Aditya “han kyu?”

Manik “ek endever mil rahi hai bulletproof and sunroof” Aditya “bha gayi bas black color men honi chahiye” Manik “gadi repaint ho jayegi”

Aditya “kuchh paise chahiye the hathiyar kharidne hai” Manik “kitne?”

Aditya “jyada kaafi jyada chahiye” Manik “thik hai dekhta hun”

Aditya sidhe aage jakar apne dadaji ke pair chhukar gadi lekar nikal jata

hai.
good update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 13


Gadi nikalkar raaste men aditya chala raha tha aur pratap uske side men baitha hua tha. Aditya ne cigratte nikali aur lite kar li. Pratap jab se ghar se bahar nikala thaatab se hi kuchh soch men duba hua tha.
Aditya pratap ko khoya khoya sa dekhkar cigratte ka packet uski taraf
aage karke offer karta hai. Pratap cigratte lekar lite karta hai. Aditya “kya pareshani hai bol bhi de”
Pratap “ab aage kya hoga?”
Aditya “hona kya hai? 1 saal gujarna hai gujar lenge”
Pratap “main us baren men nahi baat kar raha, is mosin ke baren men baat kar raha hun”
Aditya “oh wo, kuchh khaas nahi ye to bas ek hunter game hai” Pratap “kaisa hunter game?”
Aditya “wo humen hunt karne ki koshish karega ya fir hum uska shikar
karne ki koshish karega” Pratap “fir”
Aditya “fir kya? Last man standing will be winner”
Pratap “nuksan?”
Aditya “donon ko hone ki gunjaish hai hum sirf precaution le sakte hai aage kya hoga bata nahi sakte”
Pratap “matlab?”
Aditya “dekh hamare ghar men sabse hard target hai anna sahib unko wo haath bhi nahii laga sakta. Uske baad men chacha par wo itne logonke sath ghumte hai isliye unpar ka khatra adha ho jata hai, aakhir men bache sabse aasan nishane yaani sabhi bhai to aaj hi hum unhe nasihat dekar ruar bodyguards ke saath chhodkar aa rahe hai”
Pratap “aur hum donon?”
Aditya “hamara kuchh kah nahi sakte yaar” Itnaa kahkar wo gaadi speed se dauda leta hai.
Aditya aur pratap aakar abhiman ke ghar settle ho jate hai. Aditya aur pratap dunia ki najaron men dhul fenkne ke liye perfect SPM naam ki
ek company men kaam karna shuru kar dete hai, jo ki aditya ke papa ke dost ki hi thi.
Aditya darasal men wahan jaakar kaam ke sath sath din bhar kai
sochon men duba rahta tha. Aditya us arm dealer ko phone karta hai “hello”
Patel “hello kaun?”
Aditya “aditya jahagirdar” Patel “kaun?”
Aditya “anna sahib jahagirdar ka pota hun”
Patel “kahiye kaise yaad kiya?” Aditya “kuchh arms cahhiye the”
Patel “sahib dukan par aa jaaiye, pura dukan hi aapka hai”
Aditya “mujhe dukan men bikne wala maal nahi chahiye hai” Patel “aap kis maal ki baat kar rahe hai?”
Aditya “main us maal ki baat kar raha hun jisko sareaam lekar nahin
ghumte”
Patel “sahib main aisa kuchh nahi bechta”
Aditya “jhuth naa bolo mujhe arms chahiye hai, ye baat bahar walonko pata chal jaaye aur tumpar raid pad jaaye aisa tumhe lag raha hai kya?’ Patel kuchh bolta nahi wo to bas sunkar hi sunn ho jata hai. Aditya “to maal dekhne kahan aau?”
Patel “sahib mera farmhouse par aa jaaiye parso”
Aditya “thik hai parso” itna kahkar aditya phone call kaat deta hai. XXX
2 din baad aditya apni gadi lekar uske farmhouse par tha aur saath men pratap. Aditya jab farmhouse ka gate kholta hai to wahan ek kala mushtanda aadmi khada tha. Wo salam karke un donon ko andar le jata hai.
Aditya “Namaste patel sahib”

Patel hanste huye “are sahib hum kaha sahib to aap ho, kuchh chaay paani?”
Aditya “main yahan chaay pani pine to nahi aaya hun”
Patel “sahib par aaye huwon ki aawabhagat karna hamara kaam hai” Aditya “pahale kaam karle fir aao bhagat karte rahenge”
Tabhi andar se 2 gori ladkiyaan bahar aakar patel ke paas aane lagti
hai. Patel “wait I have some work”
Aditya ki taraf dekhkar hanste huye kahta hai “wo kya hai sahib kabhi kabahar ghar se dur nikal aate hai to ghar ki bahut yaad aa jati hai” Aditya aur pratap bas ek muskan dikhate hai. Wo baad men aditya se pratap ki taraf ungli karke puchhta hai “ye kaun hai?”
Aditya “ye pratap hai dost hai par bhai se badhkar hai”
Wo ab uth khada hota hai aur aditya ko bolta hai “chaliye mere saath” Aditya, pratap aur wo kaala aadmi bhi uske pichhe chalne lagte hai.
Chalte huye wo bolta hai “maf karna par kya hai hamara dhanda bada
kharab hai kisipar jaldi vishwas nahi kar sakte par aapka bharosa hai to main bhi kar sakta hun”
Aditya “bharosa to ispar apni sanson ke jitna hai”
Patel “ saanson par bharosa mat kariye kabhi bhi ukhad sakti hai” Aditya “main dusaronki ukhadne men vishwas rakhta hun”
Ispar wo hansne lagta hai. Sab chalte chalte ek study room men pahunch jate hai jahan ek taraf book shelf hai aur dusari deewar par ek badi si painting. Patel wahin aakar ruk jata hai. Wo kala admi painting men se ek corner nikalta hai wahan se niche underground jane ka rasta bana tha.
Patel “aur hum saanse ukhadne ke liye aujar” is baat par sab hans

padte hai.
Niche jakar aditya dekhta hai to kai saare bakes rakhe huye the. Patel ek bakes men se revolver nikal kar dikhata hai.
Aditya “ye to desi hai, humen kuchh aur upar ka chahiye” Patel “aage chaliye”
Aage ek table ke paas wo jakar ruk jate hai. Wahan kuchh 2-3 models
ki pistols rakhi hui thi. Aditya un men se ek pistol ko uthata hai. Patel “in sab men se sabse badhiya hai glock 17 made in USA”
Aditya ki najar ek aur gun par jati hai use hath laagne par patel kahta
hai “ye nayab hai maine kam hi mangwayi hai CZ 75 tactical sport ye bhi American hi hai, 16 round chalati hai”
Aditya “thik hai 8 de dena”
Patel “aur kuchh”
Aditya “kuchh bada maal dikhaiye”
Patel side men padi hui dunali uthakar hath men deta hai. Aditya “patel sahib dunali se hi ladna hota to bahut padi hai ghar par, kaho to kuchh aapko bhijwa du”
Patel “fir kya chahiye?”
Aditya “rifle type men chahiye”
Wo aditya ki taraf 315 aage karta hai. Aditya “ye nahi kuchh khaas chij dikhao”
Patel ab andar se ek baksa nikalwata hai “CZ 550 iske jaisi gun milegi nahi aapko, dekhne men bhi jitni sundar hai chalegi to utni hi kayamat dhaati hai”
Aditya “thik hai”
Patel “chaliye sahib ab jara bahar jakar kuchh madirapan karte hai”

Aditya “ruko ek aur chij chahiye hai” Patel “kya?”

Aditya “ak 47, bulletproof suit aur hand grenade”

Patel “ak to abhi mil jani hai par baki 2 chijen abhi nahin mil sakti” Aditya “thik hai fir 4 Ak de dena, har ek ke sath extra magazine dena, pistol ke sath bhi, aur goliyaan”

Patel “aapki order aapko mil jayegi”

Aditya “main yahan use sath le jane ke liye hi aaya hun”

Sab log upar aakar uske farm house men bane mini bar par baithte hai. Aditya pahale to kuchh lene ko taiyar nahi tha. Par baad men wo donon bhi jam uthana shuru kar dete hai.

Baad men paise ki lenden hokar aditya wapas aa jata hai…
superb update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker
Top