Update 29
Aditya yahan subah ki meeting ke liye taiyar ho raha thaa. Group ke kaam ke alawa usne aur pratap ne milkar ek company ki foundation kiyi thi, uske liye use milne jana tha.
Pratap aur aditya aaj bahut dinon baad us bangle men the jahan unhone kai saal gujare the. Aditya ke banjarepan ki gawah thi ye jagah. Aditya taiyar hokar bahar khada tha, haath men sulgayi hui cigrate ke puff lekar wo iski or dekh raha tha aur yaadon men duba tha ki kis tarah deepa ne isko renovate karne ke sapne sajaye the. Waise ghar tha to shaandar par deepa ko uspar bhi apni chhap chhodni thi.
Pratap bahar aaya aur usne aditya ki or dekha use ghar ko ghurte huye dekhkar ghar ki taraf dekhte huye jaankar usne bhi ghar ki taraf dekha. Aur kaha “ghar ka color kaafi dull ho gaya hai nahin coloring karwani padegi bahar ki”
Aditya “cream color maarna deepa ne bola tha.”
Achanak usko samajh men aata hai ki usne deepa ka naam le liya hai, wo jhat se car ki keys pratap ke hath se lekar car ki taraf nikalta hai.
“chal late nahin hona hai humen”
Pratap chehare par ek halki muskurahat lekar aage badh jata hai. Kuchh der baad donon hi ek bahut badi international car manufacturer company ke office men baithe huye the. Secretary aati hai aur kahti hai “mr. aditya jahagirdar”
Aditya najar upar karke “yes”
Secretary “aapko sir ne andar bulaya hai”
Aditya aur pratap uske pichhe jaate hai. Aaj wo jisse milne aaye the wo is company ka CEO tha.
Aditya uske aage hath badhakar “hello”
Wo usse shake hand karke “kaise ho aditya bahut saal huye milne nahin aaye kabhi”
Sath men wo pratap se bhi hath milata hai “are come on baitho yaar, kya loge chaay ya coffee?”
Aditya “ab hum log tumse chaay ya coffee piyenge?”
Teenon hans dete hai, aur wo kahta hai “are aditya baaki nahin to kamse kam apne naam ki to sharam rakh, aditya ko dub jaane de” Aditya “tujhe to pata hai, jab wo aasman ka aditya dub jata hai to ye aditya bhi dub jata hai”
Firse thahakonki barsat hoti hai. Aditya “par abhi ke liye coffee hi acchi rahegi”
Secretary coffee lane ke liye chali jati hai.
Arun “bo kya maajra hai, nahin to ye appointment lekar formally milna ye to aditya ka style nahin hai”
Aditya “sahi kaha tune mujhe tumse ek kaam hai” Arun “kya?”
Aditya “it’s a give and take policy main tere kaam aaunga aur tu mere” Arun “kaam kya hai bol”
Aditya “suna hai tumhare bahar assembly manufacturing men loche
chal rahe hai”
Tabhi secretary coffee serve karke pichhe khadi hoti hai. Arun “tum jaao humen baat karni hai, main bulau tab andar aana”
Arun haan men sir hilata hai “to?”
Aditya “mujhe ye projects de de tumhe koi problem nahin aayegi, plus company ke internals kai problems se bhi main tumhe sambhal sakta hun”
Arun ab kuchh kuchh aditya ki baton men intrest lekar kahta hai “kaise?” Aditya “union problems, aaj tere yahan 3-4 unions hai, usmen se meri party ki hai, tu meri side se hojaa, tere company par sirf ek hi union rahegi meri, fir jo marji karwate rahna”
Arun “baat sochne jaisi hai”
Aditya cigratte nikal kar jalata hai. Aur un donon ko offer karke kahta hai “koi jaldi nahin hai take your own time and make a decision”
Arun ke dimag men ab to tube jal chuki thi. Usko pata thaa ki aditya ki najar ab is company par pad chuki hai, ab wo kisibhi tarah se jarur company ke union field par kabja jam hi lega, ye uske liye koi badi baat nahin hai, aur us situation men agar wo company management ka dost nahin hai to wo dushman ki najar se hi dekha hai. Isse accha hai usko dost bana lo aur thoda aur kaam karwa lo, jo ki donon ke munafe ka ho.
Arun “baat men dam to hai aditya, par mujhe nahin lagta company existing vendors ko side karke tumhe andar aane degi”
Aditya apni eyebrow upar uthakar arun ki taraf dekhta hai. Arun “agar…” Aditya aur pratap ab arun kya bolega ispar pura dhyan dete hai. Arun “dekh aditya main tumse kuchh chhupaunga nahin”
Aditya coffee puri pee jata hai. Arun “abhi tu andar aaya usse pahale ek bande ko bahar jaate huye dekha”
Aditya “haan”
Arun “uske paas is aur side ke state ki aisi 2 states ke outlet hai, wo chalane men bilkul interested nahin hai, main chahta hun ki tu uska sara setup kharid le”
Aditya “ismen tera kuachh?”
Arun “kuchh nahin. Darasal men iske papa ne ye sab le rakha thaa, ye sabse bada ayaysh hai, iske liye jitne paise ho utne kam, ab iski najar men hai ki ye sab bech de aur jo paise aaye usse kuchh aur kare” Aditya “kya dusara?”
Arun “pata nahin mujhe, par ye deal itni badi hai ki, ismen sirf propery ki land cost dekhkar hi koi bhi haath pichhe khinch leta hai, aur use wo sab ek sath bechani hai, tukde karke company bechne nahin degi kyunki uske paas existing agency hai, to uske paas showroom chahiye”
Aditya “to”
Arun “ab wo kahta hai ki company hi us sab ko kharid le, waise bhi sab staff wagaira company hi provide karti hai aur run bhi wohi karti hai, to ye sab kuchh company ke gale men maarna chahta hai, ab company ye kharid le iske liye usne ek naya paitra apna liya hai”
Aditya “kya?”
Arun “isne niche ke aadmiyon se sath gaanth kar li hai aur inhone sale
down kar diya hai, kisike loans pass na hone dena, kuchh, aur kuchh bas yahi silsila chal raha hai, isliye sale down ho raha hai. Mujhpar GM pressure daal raha hai ki sales figure badhaao”
Aditya “mujhe ise kharidne se kya?”
Arun “dekh tu ise kharid le, koi aur ise kharidne ke jhanjhat men padega nahin, tu jab kharidega tab main tujhe upar se support karunga aur tumhara per car sales commission 5% of total sum badhakar dunga, jo ki main kar sakta hun”
Aditya ek aur cigratte jalate huye “main sun raha hun tu kahta ja”
Arun “tumhe bas usse deal karke wo sab kuchh kharidna hai, company ki sheets men afratafar hai is liye uski company kharidne ke jhanjhat men naa jana, sirf as it is men sab kuchh land kharid lena, baaki saari chijen jaise workshop tools, spares wo sab wahan hamare hi hai, main wo aaj hi seal karwa dunga, tujhe chahiye ho to puri sales team badal dunga”
Aditya “ek bhi purana banda nahin dikhna chahiey marketing men” Arun haan men sir hilate huye “state marketing heads ko bhi jagah se badal dunga”
Aditya haan men sir hilata hai. Arun “tu sirf paise invest karna, yahan sales ki figure badhti jaayegi”
Aditya “aur teri incentives bhi”
Arun hanste huye “aur teri bhi to earning badhegi, aur to aur ek andar ki baat bata raha hun, 3 mahine ke baad company khud ki gadi par khud fianance dene wali hai, jisse ise kharidna aur aasan ho jayega, tujhe aur profit”
Aditya aur pratap donon andar se khush the, karne aaye the ek deal aur
sath men ek aur deal mil gayi thi. Aditya “chal thik hai tu bolta hai to” Arun “do we have a deal”
Aditya usko hath milate huye “haan yaar, deal”
Aditya “waise us aadmi se milwayega kab mujhe is khariddari ke liye?” Arun “shahar kaafi suhana hai, mausam bhi kaafi accha hai kyun naa tu 3-4 din yahin ruk ja. Main jara kuchh chalen chalke teri meeting fix karwata hun”
Aditya “chal thik hai, aur mera kaam?”
Arun “abhi kar deta hun” kahkar secretary ko phone karke bulata hai. Uske aane par “inko vendor development men le jaaiye, kahiye maine bheja hai”
Aditya se “main wahan call kar deta hun, tujhe jo chahiye ho wo karwa
lena”
Aditya “chal bye fir milenge”
Arun “bye main tumhe call karunga jald hi”..