Update 36
Shaam ko aditya ka mood nahin tha abhiman ke ghar jane ka so donon apne ghar aa jate hai.
Aditya sidhe andar jakar bar counter par baith jata hai.
Ek whisky ki bottle nikalne ke liye hath badhata hai to dekhta hai ki neha abhi tak wahin hai.
Wo whisky ki bottle nikalkar apne liye peg banata hai. Aditya “abhi tak ghar nahin gayi?”
Neha naa men sir hilati hai. Aditya “kyun?”
Neha “jane ka mood nahin ho raha hai”
Aditya sip lete huye “mood nahin ho raha hai” hanste huye kahta hai. Neha “tum kya jaano? Mummy papa ke age kya ho jata hai”
Aditya “mujhe bahut acchi tarah se pata hai, mere papa bahut acche insane the, unse kabhi najare churane ko dil nahin kiya, bhale baad men kitna bhi daant sunaye, par man karta tha unhe sab kuchh sach bata dun, aur wo pahale daant sunate aur fir pyaar se samjhate, khaas kar mummy agar samne ho to dant jarur padti thi, agar akele ho to pyaar se samjhate the”
Neha “the?.. matlab ab kahan hai?” Aditya “5 saal pahale ek car accident” Neha “oh sorry”
Ek minute chuppi si chaayi rahti hai, tabhi pratap aawaj deta hai “abe diner table par aa jaao”
Neha aditya ka hath thaamkar kahti hai “tum kaafi miss karte hoge na unhe”
Aditya “bahut, akele men aksar mujhe wo hi yaad aate hai, jab kabhi bhi
main koi galti karne jaau mujhe pahale unki diyi hui sikh yaad aati hai, jab bhi kisi pareshani men fans jaau ye sochta hun, ki wo agar yahan hote to kya karte”
Neha “you are a great man”
Aditya “chal ab butter na laga khana khaa le”
Jaise hi wo aditya ke samne se jaati hai. Aditya ko mahsus hota hai usne daru pee rakhi hai.
Aditya bhi nikal jata hai. Dinner karne ke liye…
Dinner ho jane ke baad neha ko aditya itni raat hone ke wajah se jaao bhi nahin kah sakta tha aur naa hi kuchh aur. Use to bas ise aaj raat bhi sambhalna tha. Usne tay kar liya tha subah office jate huye wo use khud uske ghar drop karke aayega.
Aditya aur pratap hath men peg liye kuchh baat kar rahe the, tabhi wahan neha aati hai.
Pratap ke kandhe par hath rakhkar “hi he man”
Pratap to fulltoo flirt ke mood men tha shayad “hello sexy” Neha “so whats up?”
Pratap “nothing much, hamara pahala hi round chal raha hai” Neha “ek mere liye bhi”
Aditya “yahan whisky, rum ya fir scotch rahegi”
Pratap “ek bottle vodka hai”
Aditya “thik hai pila de, par sambhal ke kahin tujhe floor saaf karna na pad jaaye”
Neha aditya ki taraf dekhte huye “main aisi bhi nahin hun haan” Aditya “to paidaishi bewadi ho kya?”
Pratap aditya ki baat ko sunkar hans deta hai aur use ek peg deta hai.
Neha “tum kitne ache ho par tumhara ye dost mujhse thik se baat kyu nahin karta”
Pratap “ignore kar ignore kar, jisne apni jaan bachayi ho, uski kuchh
baton ko ignore karna chahiye” Neha “thik hai par kuchh to bolo”
Aditya tab tak remote lekar tv on karke kai channels par kya hai dekh
raha tha.
Aditya “kyun naa tum wahan pada mera mobile lo aur apne mummy papa ko tum kahan ho ye bata do aur kal raat ke night out men kya karne ki koshish kiyi thi ye bhi bata do”
Neha “unhe meri koi parwaah nahin hai, aur naa hi mujhe unki” Aditya “dhany hai aise ma baap aur dhany hai aisi beti”
Neha gusse men aate huye “ae mere mummy papa ke bare men kuchh mat bolna”
Aditya “are main to unki stuti bhi nahin kar sakta itna unka uncha kad
hai”
Pratap is baat par hans padta hai.
Neha chup ho jati hai. Kuchh der pratap aur neha baaten karte rahte hai. Aditya “pratap”
Pratap “hmmm”
Aditya “tera night call kyu nahin aaya abhi tak?” Pratap “kyunki mera mobile bed room men hai”
Aditya “jaa jakar manisha ke kitne miss calls aaye honge dekh”
Pratap ko jaise achanak se yaad aata hai. Pratap “haan be aaj to khair nahin hai fir to meri, puri class ho jani hai ek hi din men”
Aditya “best of luck”
Pratap ke jane ke baad neha aditya ki taraf dekhti hai. Aditya bathkar apni drink ko pee raha tha.
Neha “tum kaafi jyada drink karte ho”
Aditya “tu khud to hai pakki bewadi aur mujhe ye bata rahi hai” Neha “main nahin peeti”
Aditya “kal raat ko to bahut jordar pee rakhi thi, jaan dene par utaru ho
gayi thi aur baad men nashe ki wajah se so gayi”
Neha “kal raat se pahale maine kabhi sharab nahin piyi”
Aditya “firbhi aaj pini chahi, acche ghar ki ladkiyaan sharab nahin piti” Neha “wo to bas yunhi, isse accha laga..”
Aditya ne rokkar kaha “na koi fikar, na kisiki parwaah.. right?” Neha “right”
Aditya “totally wrong… sabhi ko sharab pahale aise hi pakadti hai” Neha “what’s your reason?”
Aditya “I think kaafi raat ho gayi hai tumhe so jana chahiye”
Neha “tum logonko hamesha isi tarah apne se dur hi bhagate rahte ho, kabhi unko kuchh batate nahin ho”
Aditya “tumhe sunanaa hai.. to suno, mujhe raatonko nind nahin aati” Neha “kyun?”
Aditya “jindagi men kuchh kaali raaten aayi thi, uske baad aankhon se
nind ud gayi hai”
Neha “you need a psychetrist”
Aditya “tumhe kisine kabhi ye nahin bataya hai ki tumhe dusaron ke
maamlon men taang adani nahin chahiye”
Neha “at least jisne meri jaan bachayi hai uske liye to sahi”
Aditya kuchh bolta nahin hai, chup hi rahta hai. Neha “tum kuchh acchi ghar ki ladkiyon ke baren men bol rahe the? Kya ?”
Aditya “acche ghar ki ladkiyan sharab nahin piti” Neha “aur?”
Aditya “yun kisi ajnabi ke ghar par raaton ko nahin rukti, aur aise kapde bhi nahin pahnati”
Neha “bura kya hai in kapadon men?”
Aditya “acchi baat bata do”
Neha “to acchi ladkiyan kaise kapde pahanti ho”
Aditya “kabhi bahar najare kholkar dekho koi achhi ladki dikhe to dekh lena usne kaise kapde pahane hai”
Neha “tum bahut acche insane ho…. Laakhon men ek”
Aditya “mujhe apni taarif sunanaa pasand nahin hai, main to apne khilaf ki aawaj hi sunanaa pasand karta hun”
Neha “well then you are a great fighter” Aditya “ab so jaao”
Neha “hua kya?”
Aditya “raat bahut ho gayi hai main bhi sone ja raha hun, aur subah jaldi uthna tumhe tumhare ghar drop karunga”
Neha “kyun?”
Aditya “kaha naa so jaao, kal subah tumhare mumm daddy se baat karunga main”
Neha “are maine tumhara kya bigada hai jot um mere mummy papa se milna chahte ho, mujhe yakin hai tum jis tarah se mere sath abhi baat
kar rahe the, mummy papa to tumhare jane ke baad mujhe ghar men band hi kar denge”
Aditya “that is your problem not mine, well good night”…