- 4,422
- 1,976
- 143
Update 37
Dusare din subah aditya ready hokar nashte ki table par baitha tha. Uske saamne pratap baitha tha. Aditya ne aawaj di “neha…”
Neha pichhe se kuchh darte huye aayi.
Aditya “baitho nashta kar lo”
Pratap neha jis tarah se dar sahame andaj men aditya ko dekh rahi thi, wo dekhkar hi hans raha tha. Pratap ko hansta dekh aditya ki bhi hansi chhut gayi.
Aditya “are jaldi khatam karo humen tumhare papa se bhi milne jana hai kahin wo hum pahunche uske pahale ghar se na nikal jaaye, jara unka no. lagana aur kahna tum aa rahi ho ghar par hi ruke”
Neha ka chehara dekhne layak tha. Pratap apni hansi ko abhi bhi kaabo men la raha tha.
Aditya “ye lo”
Neha ne kuchh kuchh darte huye phone kiya. Usi tarah darte huye nashta kiya.
XXX
Neha darted darte huye use ghar tak le aati hai. Aditya us ghar par naam dekhta hai ‘pradhan’
Aditya “pradhan?” Neha “mere daddy”
Teenon car se utarkar andar jate hai.
Andar hall men ek sofe par pradhan baitha hua tha. Wo aditya ko pahchanta tha.
Pradhan “tum kya kar rahe ho yahan?”
Aditya “aapki beti ko ghar chhodne aaya hun, socha tha kuchh nasihat ki baaten sikhaunga, par yahan dekha to aap barabar hai ye hona hi hai”
Pradhan “ghar par aaye ho nashte par aao” Aditya “nahin nashta ho chukka hai” Pradhan “to chaay hi peelo”
Aditya “thik hai aapki itni ichha hi hai to”
Itna kahte hi pradhan andar chalte lagta hai aur aditya, pratap uske pichhe pichhe andar.
Aditya aur pratap dining table par baithe the.
Pradhan “neha tumhare sath kaise aur 2 din kahan thi?”
Aditya “parso raat ye so gayi thi, wahin disco men to inko le gaya tha apne sath aur kal ko ye ghar par hi thi”
Pradhan “ghar par..”
Aditya “haan inko kuchh jyada hi ho gayi thi to ye subah uthi nahin aur na hi iske paas mobile tha aur na hi parse ki main iske ghar ka pata laga saku”
Pradhan “chalo thik hai”
Tabhi wahan pichhe se pradhan ka beta aata hai. Wo ravi tha.
Ravi “papa sabhi ladkon ko bula lijiye, isne hi parso mujhse ladai kiyi thi”
Aditya “jo kar sakta hai kar le”
Ravi “tu yahan apne pairon par chalke aaya hai, par jaayega…”
Aditya use rokkar kahta hai “main apne pairon par atal rahunga, meri taqad ka tujhe pata nahin hai, kabhi fursat men waqt mile to apne papa
se puchhna mere bare men”
Pradhan “beta ghar par aaye mehman se kaise bartav karte hai pata hai naa aur rahi baat pichhe kya batana abhi bataye deta hun, aditya jahagirdar, anna sahib jahagirdar ka pota, apne area ka sabse bada bahubali”
Aditya chaay peekar “pradhan, chalta hun bas do hi nasihaten dunga, apni beti par dhyan do wo akeli mahsus kar rahi hai aur dusari apne bete hi garmi ko apne kabje men kaise rakhte hai sikhao”
Itna kahkar wo nikal hi raha tha tabhi pradhan ki biwi wahan aa rahi hoti
hai, aditya use rokkar “aap neha ki maa hai?”
Wo haan men sir hilati hai, aditya “kitty parties se fursat nikal kar kabhi bachhon ki taraf dhyan deti to ye din dekhna na padta”
Itna kahkar aditya nikal jata hai.
Wahan pradhan ka beta uthne ki koshish karke uske pichhe jana chahta hai. Pradhan uska hath pakad kar rokta hai.
Pradhan “tum uski takkar ke nahin ho” Ravi “kya?”
Pradhan “wo jab tumhari umr ka tha tab apne aaspas ke 2-3 jilonpar
uske naam ka khauf tha” Ravi “papa par isne?”
Pradhan “bahut kuchh saha hai tabhi jaakar is mukam tak pahuncha hai”
Neha “kya kiya hai isne aisa?”
Pradhan “ek kya batau kai saare murders kiye hai isne, aur aajtak iska naam kisimen bhi nahin aaya itna shatir hai ye”
Neha man hi man men “ye insane to katil ho nahin sakta” aur wo andar
chali jati hai.
Kal raat usko is darke mare nind nahin aayi thi ki aditya na jaane uske papa se kya bolega aur papa kya use bolenge par aaj use uske saath bitaye huye lamhon ko yaad kar kar ke nind nahin aa rahi thi.
XXX
Wahan aditya aur pratap ne din bhar men perfect SPM par bahut sari research kar li thi.
Pratap “are yaar ye company hai kya be? Itna profit kamati hai” Aditya “haan perfect SPm kaafi jyada profit kamati hai”
Pratap “income resources to dekh itni acche hai aur itne bade naam hai company se jude huye ki ise kaise dubaaye”
Aditya ‘mushkil hai naamumkin nahin”
Pratap “kaise”
Aditya “ek kaam kar jis bhi company ke kaam ye karti hai us company ke department heads se meri meeting fix karwa”
Pratap “karwa di fir kya?”
Aditya “unse main kahunga ki naye kaam jarur do par purane kaamon ke paise mat do”
Pratap “you mean to say that ki iski paisonki nadi band kar de” Aditya “exactly”
Pratap “ab in men se kuchh companies hai jo ki apne kahne par kar to dengi par kuchh companies nahin karengi”
Aditya kuchh sochkar “aisa kar design walon se meri meeting tay kar de”
Pratap “ab unse kya lenden?”
Aditya “ab wo kuchh aise minor faults usmen design karenge ki usse wo machines kaam na kare aur kare bhi to bhi kuchh der baad band
pad jaye”
Pratap “you are truly genius, chal kuchh ko to milne ke liye appointment bhi nahin leni hai unse milne abhi chalte hai”
Itna kahkar pratap gadi ki chabi uski taraf aage badhata hai aur wo
phone par appointments lene men busy ho jata hai…