Update 39
Agale din shaam ko aditya thik waqt par jahan dinner ke liye neha ne bulaya tha wahan pahunch gaya tha. Par uska dimag asamanjas men tha ki jaaye ya nahin.
Uski ek side kah rahi thi wo pradhan ki beti hai, kuchh ulta sidha ho sakta hai isliye milkar naa aaye. Dusari side bol rahi thi aajtak koi mujhe dara nahin saka hai to aaj kya ho jaayega.
Apne trouser ke pichhe ki side ki pistol ko check karke wo andar ki or chala gaya.
Andar jate huye hi usne apne aap se bola ‘neha is not a diplomatic girl,
she cant have secrets, be flirty she will tell you everything’ itna kahkar ek lambi sans khinchi aur wo andar chala gaya.
Aditya ne andar jakar ek najar ghumayi, to use dikhai diya ki neha ek kone men table par baith kar aditya ko hath wave kar rahi thi. Aditya ne bhi wave kiya aur uski taraf aage badh gaya.
Aditya ne aaj notice kiya ki neha ne aaj koi aisi waisi dress nahin pahani thi balki wo ek sidhe sade Punjabi suit men aayi thi. Aditya ye dekhkar hi chauk gaya. Usne koi makeup nahin kiya tha par wo thi hi
itni khoobsurat ki aditya bhi uspar se najare hata nahin sakta tha. Aditya table ke paas jaakar “hello lady”
Neha “baitho”
Aditya baith gaya par usne kuchh kaha nahin neha ne hi bol diya “mujhe pakka yakeen to nahin tha ki tum aaoge?”
Aditya “kyun?”
Neha “just mujhe laga ki tum nahin aaoge”
Aditya “aisa kaise ho saakta hai ki main ek itni sundar ladke ke sath rahna na chahu” itna kahkar wo smile pass kar deta hai.
Tabhi wahan se waiter order lene ke liye aata hai. Donon order dete hai. Aditya “candle light dinner, kuchh khas hai kya?”
Neha ko kuchh samajh men nahin aaya.
Aditya “is it a diner date?”
Neha “nahin to bas thanks giving treat hai” Aditya “kis liye?”
Neha “firse mujhe jindagi ke liye” Aditya “come on treat aisi hoti kya?” Neha “fir kaisi hoti hai?”
Aditya “waisi hoti hai?” Neha “kaisi?”
Aditya “daru, disco, etc, etc.” Neha “come on”
Aditya “are tu bhi to bewadi hai, tujhe kyun sharam aayegi” aditya ne
hanste huye kaha.
Neha “by the way us raat maine pahali baar piyi thi, and I don’t drink now”
Aditya “waise bhi roj roj koi suicide karne bhi to nahin jata hai”
Neha “aur koi dead drunk ladki ko itni acchi tarah se treat bhi to nahin karta”
Aditya “well humanity is on the other side, par tumhe to koi bhi madad kar de”
Neha “mujh jaisi ladki ko…. I don’t think so…. Koi bhi galat fayda utha
sakta tha”
Aditya “tum mujhe baar baar ye baat suna kar mujhe us raat maine koi galti kiyi hai iska ehsaas kara rahi ho kya” aur ek naughty smile pass karta hai.
Neha “mera wo matlab nahin tha”
Aditya “waise wale matlab mujhe kaafi acche samajhte hai… I was just joking”
Neha bhi ek smile pass kar deti hai.
Neha “waise kya chal raha hai tumhara aajkal?”
Aditya “ek plant laga raha hun, abhi land ke liye dekh raha hun” Neha apna card aage dekar “waise ye lo mera card, call me I am working in an estate agency”
Aditya “ms. Neha Pradhan, trainee”
Neha “MBA complete karne ke baad ghar men waqt nahin jata hai na isi liye”
Aditya “you are not even 1% like a businesswomen” Neha “well mere boss bhi yahi kahte hai”
Tabhi khana waitor le aata hai.
Aditya “papa ka itna bada empire hokar bhi bahar job karna”
Neha “papa ke office men mujhe no entry hai, infact ravi bhaiyya bhi
nahin ja sakte” Aditya “fir kaun?”
Neha “aakash bhaiyya business dekhte hai, jyada tar”
Aditya “aakash….”
Neha “hamare bahut purane accountant aur papa ke sabse karibi dost the, unka beta, mummy birth giving men chal basi aur uske papa kuchh saalon baad, hamare hi sath rahe, padhe aur fir baad men hamara hi business group join kar liya”
Aditya “par tumhare papa ravi to unka beta hokar use kyu nahin aane dete?”
Neha “papa kahte hai, wo abhi waisa bana nahin hai, jaisa aakash hai, kuchh kuchh ban jaaye fir wo use bhi le jana shuru karenge”
Aditya “ye galat hai haan us aakash se apne bete ki comparision karna” Neha “I think aakash was more like his elder son to my father”
Aditya “well par apne ladke ko pichhe karke…. I don’t think so”
Neha “waise kaafi acche hai aakash bhaiyya, kabhi milwaungi unse” Aditya yahan pata bhi nahin lagne deta use ki wo mil chukka hai. Aditya “thik hai”
Neha “food is nice no?” Aditya “ya food is superb”
Khana khakar aditya ghar to aa jata hai, par achanak use uske ghar chhodte huye use neha ki aankhon men wo chij dikhti hai, jo usne deepa ke liye khud men mahsus kiyi thi.
Aditya ghar aakar soch men pad jata hai. Neha aakhir chahti kya hai? Agar wo ye sab firse shuru karna chahti hai, to isse bura aur kuchh ho hi nahin sakta.
Aditya jaanta tha uska dil kisi aur ke paas hai, bas aaj usse duri hai par pyaar to usise hai. Aur wo jaanta tha jab tak uski saanson men saanse hai tab tak wohi uske dil ki maalkin rahegi.
Us par ek hi naam likha hua tha DEEPA.