• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Teri Meri Love Story (Completed)

Kya aap firse is story ko padhne me interested hai?


  • Total voters
    11

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 43


Usi din raat ko pradhan aur aakash baithkar soch rahe the ki company ko kaise bachaya jaaye. Par unhe koi raasta najar nahin aa raha tha. Uske liye to lagbhag ye tay tha ki agale din wo saare shares ekdum se share market men aa jane ke karan shares ki price gir jayegi aur uska effect uski group ki dusari companies par bhi hoga.
Pradhan apne mathe par khud hi haath malkar kuchh soc raha tha. Par use aditya ki dusari chaal ka pata nahin tha. Usne achanak socha ki agar jitney shares market men aaye wo sare agar firse bik jaaye to.
Aisa sochkar usne kuchh apne dostonko phone kiye kji usmen wo uski madad kare.
Kuchh logon ki haan aur kuchh ki naa sunkar bhi uski chehare par
chinta ki lakeer abhi bhi barker thi. Saari raat kaise soch men nikal gayi use pata bhi nahin chala.
XXX
Subah pradhan meeting room men baitha hua tha. Uske aaspas kai log the. Itni der ho jane ke baad bhi share market men uske shares aditya ne fenk kyun nahin diye iska jawab pradhan ko abhi tak nahin mil raha tha.
Tabhi achanak se aditya aur pratap meeting room ka darwaja kholkar andar aa jate hai. Aditya andar aakar room men ka pradhan ke ekdam saamne wali kursi par baith jata hai. Pradhan is waqt aur aise aditya ko dekhne ki ummid hi nahin kar raha tha.
Aditya “listen up everyone from today onwards I am your new boss” Sab log ye sunkar chaunk jaate hai.
Pradhan “raat ki uteri nahi hai ya subah hi chadhakar aa gaye?”
Aditya “business ke mamle men main majaak nahin karta” Pradhan “jaldi kaho kya kahne aaye ho”
Aditya “well main ye kahne aaya hun ki aaj se aap is company ke
chaiman nahin hai balki main” Pradhan “ye kya kah rahe ho tum?” Aditya “sach bol raha hun”
Pradhan tumhare paas to sirf 47% hi shares hai” Aditya “bache saare aapke paas hai kya?”
Pradhan is baat par chup ho gaya. Aditya “andar aao…”
Pradhan ki najare darwaje par lag gayi. Ravi suit pahan kar darwaje se andar aata hai.
Aditya “inse miliye ye hai Mr. Ravi Pradhan, ye aaj se company ke naye
MD bhi honge aur main naya chairman”
Ravi aakash ki aakhon men wo khauf dekhne ki koshish kar raha tha jiski wo chaah men tha. Aakash ye sab kuchh dekhkar hadbada jarur gaya tha, par ek rahat bhi thi ki uske sath wahan pradhan maujud tha. Pradhan apne bête ki taraf gaya aur usne use puchha “ye sab kya hai?” Ravi “aapne to kabhi meri kadar hi nahin kiyi”
Pradhan “to isliye tum mere dushman se hath mila loge?”
Ravi ne najare jhuka li aur pradhan ne uski chin ko apne hath men pakad kar use uthate huye kaha “mujhe jawab do…”
Aditya “pradhan sahib aapko to aapke bête ke faisale par garv hona chahiye”
Pradhan ab gusse se laal ho chukka tha. “tu mere khilaf mere hi bête ko khada karta hai”
Aditya “nahin main use uska potential dikha raha hun” aditya ne ye

kahkar pradhan ki aankhon men ghur kar dekha. Pradhan “you have to pay for this”

Aditya “pay to maine karke hi to aapke shares kharide hai”

Pradhan “tum bas dekhte jana”

Aditya “main to yahin rahunga aur sab kuchh dekhta rahunga, aap bas apni khair manaiye”

Pradhan chidhkar bahar jane lagta hai. Tabhi aditya pichhe se aawaj dekar rokta hai “pradhan sahib…”

Pradhan mudkar aditya ki taraf dekhta hai. Aditya ne kaha “is aakash ko

bhi le jaiye yahan se” Aakash “what?”

Aditya “in simple words you are fired….”

Aakash “how could you” Aditya “ I am new chairman”

Itna kahkar wo jakar pradhan ki kursi par jakar baitha. Aaj uske man

men ek sukun tha, usne samne dekha to deepa bhi uski taraf dekh rahi thi.

Usne kaha “miss deepa aap kal se board of directors men hai”
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 44



aditya ka matha ghum raha tha, subah utha firbhi uska hangover kam nahi hua tha. pratap ka bhi kuchh waisa hi haal tha. kal raat ki ravi ki party ka ye asar tha.

aditya uthkar kitchen men ghusa aur apne aur pratap ke liye strong black coffee banane laga. pratap bhi andar aaya. aditya ne cigratte nikal kar jalayi.

tabhi door bell baji aditya coffee nikal raha tha to pratap darwaja kholne chala gaya. darwaja kholte hi saamne thi deepa.

deepa ko achanak aise dekhkar wo chaunk hi gaya tha. hadbadahat men usne andar aane ko bhi nahin kaha. par deepa andar chali aayi. deepa aa gayi hai ye batane pratap andar kitchen men chala gaya. aditya jab bahar aay uske hath ke tray men 3 mugs the. aditya ne ek mug deepa ke aage kiya. uske hath men ki cigratte wo ek kash lekar bujha deta hai.

deepa "black coffee..... main nahin piti"

aditya "pini chahiye brain ko turant tarotaja karti hai" deepa "ya yun kaho ki hangover utarti hai"

aditya ek sip pite huye "another good point...... chij ek fayde anek"

deepa ne aankh uthkar aditya ki taraf dekha aur yun maano ki najar se hi puchh liya ho ki kahan the kal rat.

aditya "kal raat ravi ne party diyi thi pub men wahin par hum donon the, wahna jara kuchh jyada ho gayi"

deepa ne aankh aur unchi karke puchha "jyada....... "

aditya "bahut jyada"

deepa "ab koi puchhne ko nahin hai to jo man men aaye wo karte firo" aditya "deepa aisa nahi hai hum to bas invitation tha is wajah se gaye the"

deepa "jaise tumhe pata hi nahin tha ki wahan kya hone wala hai" pratap shanti se baithkar saamne ho rahe entertainment show ka aanand coffee ke sip ke sath le raha tha.

aditya "par jane ko mana kar de aisa kar nahi sakte"

deepa "kyun?"

aditya "ab business partner hai"

deepa "murti bhi to tha pahale uske sath to aajtak nahin gaye"

aditya ko ab samajh men nahin aa raha tha ki usko is baat ka jawab kaise de. ek taraf aditya jo paise lutata tha aur dusari taraf murti jo paise ko paisa jodta rahta tha.

aditya "chalo ye batao aaj aana kaise hua?" deepa "tumhe aagah karne aayi hun" aditya "kya?"

deepa "pradhan tumhare jaan ka dushman ban gaya hai"

aditya ne man hi man men bola, jaise mujhe ye pata hi nahin hai. aditya "aur?"

deepa "aakash bhi bahut baukhala gaya hai"

aditya man hi man men' jaise mujhe ye to pata hi nahin tha. aditya "jane do wo donon mujhe na hi hath laga sakte hai aur naa hi mere businesses ko nuksan pahuncha sakte hai"

deepa "han thik hai par jara bachkar"

pratap coffee ke mug uthata hai aur kahta hai "tum donon continue karo main office ke liye ready hota hun"

aditya bhi uske sath men kat leta hai "main bhi ready hota hun deepa aur fir sath men office jayenge"..
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 45



Aditya ko call aati hai “hello”
Abhiman “aaj raat ghar par rishte ki baat karne aa jana, papa se baat kar li hai wo tumse milna chahte hai”
Aditya “thik hai hum pahunch jayenge” XXX
Aakash aur pradhan donon gusse se laal pile the par pradhan ab shant ho chukka tha. Wo koi kaccha khiladi nahin tha use pata tha ki agar is waqt wo gusse men aakar koi galat kadam utha le to shayad use apni
jaan se hath dhona padega.
Aakash “is aditya ko to na chhodna nahin hai” usne apni revolver ko chamkate huye kaha.
Pradhan “abhi nahin aakash abhi sahi waqt nahin hai” Aakash “to kab hai?”
Pradhan “aao baitho yahan…. Tum aajtak mujhse kuchh bhi nahi sikhe,
pahale dushman ko kamjor karo aur fir uska sarvnash karo” Aakash “wo kaise?”
Pradhan “dekho koi bhi aadmi 3 pillers par khada rahta hai pahala hai
uska naam ya uske naam ka khauf dusara hai uski daulat aur tisari hai uski himmat, in men se ek ko tod do wo dhire dhire andar se girna shuru ho jata hai”
Aakash “uska naam?”
Pradhan “tum to use thik tarah se jaante tak nahi, uska naam itna bada hai ki usko girana ab kuchh kuchh mushkil sa hai, wo aaj khud itna bada bahubali hai ki uske naam ke aage state men koi khada rahne ko jaldi taiyar na ho”
Aakash “uski daulat?”
Pradhan “wo bhi mushkil hai, uski daulat bahut jyada hai, usko hum todne ko jayenge to hum apna wo piller todke baithenge”
Aaksh “ek try to kar hi sakte hai”
Pradhan “chalo thik hai humne usko road par laakar khada bhi kar diya to bhi uske khudke kuchh itne imaandar aur rutbe waale supporters hai ki wo finix ki firse uth khada hoga aur jab wo fir se jab khada hoga tab wo bahut bada bakasur ban jaayega aur humen bilkul nahin chhodega” Aakash “to hum kya kar sakte hai?”
Pradhan “uska pyaar usse chin lo” Aakash “wo kaise?”
Pradhan “jaao jaakar deepa ko uski jindagi men se apni jindai men
laao”
Aakash “isse kya hoga?”
Pradhan “uska pyaar jab milne ki uski ummid khatam ho jayegi tab wo tut jaayega aur use khatam karna aasan ho jayega”
Aakash “par main deepa se pyaar karta hun, usse is khel ka mohara nahin banana chahta”
Pradhan “mohara kaun hain hai? Main bhi hun, tum bhi ho, aditya bhi hai bas farak ye hai ki kaun kaisi chaal chalta hai, jyada socho mat tum pyaar karte ho usse to tum use paa lo aur aditya ko uske haal par chhod do”
Aakash “fir?”
Pradhan “fir jo karna hai main kar dunga” XXX
Sham ko dinesh aur aakash donon baithe the.
Aakash “yaar dil men ek baat hai pata nahin tujhe kaise batau” Dinesh “kya hua bata to sahi chakkar kya hai?”
Aakash “chal chhod jane de yaar”
Dinesh “kisi ladki ka chakkar hai kya”
Aakash ye baat sunkar sharam ke mare apni aankhen niche jhuka leta hai.
Dinesh “pakka ye ladki ka matter hai bol kaun hai wo?”
Aakash “yaar kaise batau yaar … bahut pyar karta hun use shadi karna chahta hun”
Dinesh “to use bata de”
Aakash “use batane se pahale maine socha tujhe bata du” Dinesh “kyun?”
Aakash “shayad tujhe koi aitraz ho to”
Dinesh “kaun hai wo aur mujhe kyun aitraz hone laga?” Aakash “wo deepa hai”
Dinesh kuch der ke liye bhauchakka rah gaya. Fir baad men uske chehare par khushi chha gayi.
Dinesh “aakhir tune mujhe sala banana ka soch hi liya”
Aakash “haan par iske liye wo bhi to maanani chahiye” Dinesh “tu himmat rakh wo maan jayegi”
Aakash “chal dekhte hai”
XXX
Wahan aditya aur pratap riste ki baat karne ke liye chale jaate hai. Sab kuchh thik dhang se tay ho jata hai, but pratap aur manisha apni ek alag hi demand rakhte hai.
Pratap aur manisha donon sath men baithe the. Pratap “ek minute main kuchh aap sabhi ko batana chahta hun”
Sabhi log pratap ki baat ki taraf dhyaan dete hai. Pratap “maine aur manisha ne milkar ye faisala kiya hai ki hum donon tab tak shadi nahin karenge jab tak aditya ki shadi nahin ho jati”
Sab log chauk jaate hai. Aditya manisha ki taraf najar ghumata hai. Wo aankhen niche jhukaaye is baat ko haan kahti hai. Aditya “ek minute ke liye mujhe tum donon se akele men baat karni hai”
Aditya aur wo donon manisha ke kamare men chale jate hai. Aditya “ye kya bachpana laga rakha hai tum donon ne?”

Pratap “kya?”
Aditya “meri shadi se pahale shadi na karne ka”
Pratap “haan to thik hi to hai tu bada bhai hai bade bhai se pahale shadi nahin karte”
Aditya “manisha tum to kuchh samjhao ise”
Manisha “main bhi yahi chahati hun ki aapka ghar banse aap khushi se jiye”
Aditya “main aise hi khush hun”
Manisha ab najare jhukaye rakhti hai. Aditya “pratap tu to meri har baat ko manta hai ek aur baat maan le”
Pratap sir niche kar ke naa men hilata hai. Aditya “apni yaari ki khatir” Pratap “ye kya kah diya tune… tu mera yaar hi nahin bhai bhi hai, bhale haamra rishta khun ka naa ho par usse bhi wo jyada majboot hai” Aditya “aajtak tere liye maine faisale liye aur tune aajtak nahin kaha barabar”
Pratap “par is baar baat alag hai”
Aditya “aaj bhi main tumhare bhale ke liye hi faisala lunga aur mera faisala hai ki tum donon shadi kar lo wo hi jald hi”
Manisha ki aankhon men aansu aa jate hai. Pratap kuchh bolne ke liye apna muh kholna hi chahta hai tabhi aditya kahta hai “agar mujhe khush dekhna hai tum donon ko to mera ye faisala tum donon ko maananaa hi padega”
Kuchh der ke liye kamare me shanty chha jati hai. Us chuppi ko todte huye pratap kahta hai “chal thik hai par tu bhi aajke baad is wajah ko lekar mujhe apne se juda nahin karega”
Aditya “thik hai”

Itna sunate hi pratap room se bahar jane ki sochta hai, tabhi manisha aakar aditya ke gale lagkar rone lagti hai. Aditya uske aansu pochhte huye kahta hai “roti kyun hai? Tera pati itna accha hai aur ab to tum donon ki shadi ho rahi hai”

Manisha kuchh kah nahin paati use bolne ke liye labj nahin milte. Aditya “chal ab aansu pochh bahar aakar sabko mithai khilani hai tujhe” Itna kahkar aditya aur pratap donon bahar aate hai…
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 46

Kuchh hi din baad aakash deepa se milta hai. Aakash “deepa tumse ek baat akrni hai”
Deepa “kya?”
Aakash “yahan nahin coffee shop chale baithkar baat karenge” Deepa “thik hai”
Donon coffee shop men aakar baith jate hai. Deepa “to kya baat karni thi tumhe?”
Aakash kuchh bolta nahin, yahan wahan dekhna shuru kar deta hai.
Deepa coffee ka ek sip leti hai. Wahan kuchh magzines bhi padi thi usmen najar bhi daal rahi thi. Deepa ko is tarah dekh uski to himmat ho rahi thi, par usne apni aankhen band kiyi aur ek gahari saans li. Ab wo taiyar tha kahne ke liye.
Aakash “deepa…..”
Deepa ne magzines men se upar najar uthayi aur sip lete huye kaha “hmm”
Aakash “I love you”
Deepa ne ye expect nahi kiya tha. Achanak use thodi si khansi aayi. Wo is waar ke liye taiyar na thi, use to ye bhi samajh men nahin aa raha
tha ki is baat par react kaise kiya jaaye.

Kuchh der ki shanti ko aakash ne hi toda aur usne kaha “deepa ye aaj nahin maine mahsus kiya, aur naa hi pichhle kuchh dinon men balki jab maine tumhe pahali baar dekha tha tabhi se ye dil maine tumhe hi de diya tha. Itne din ye sab apne dil men chhupaye rakha aur aaj kah diya”
Deepa ne fir bhi kuchh na kaha. Aur wo uthkar chali gayi. Aakash uski jaati hui chhabi ko dekhta raha par deepa ne mudkar bhi nahin dekha. XXX
Wahan aditya ko ek phone ata hai. Aditya “hello”
“hello main madhukar bol raha hun” yani state ka CM Aditya “boliye kya halchal aaj kaise yaad kiya mujhe”
Madhukar “ek salah leni thi ya yun kaho kuchh baat karni thi”
Aditya “to kahiye”
Madhukar “agale saal ke elctions ka mujhe kuchh thik dikhayi nahin de raha”
Aditya “ek saal aur 5 mahine hai elections ko”
Madhukar “haan par suna hai ki pradhan ab khush nahin hai opposition men”
Aditya “par wo akela kuchh kar bhi nahin sakta”
Madhukar “par wo aisa kuchh to kar hi sakta hai jisse koi aur sarkar bana sake”
Aditya “matlab?”
Madhukar “yani ki wo ab party se alag ho raha hai, apna khudka chhota gut banayega”
Aditya “jyada se jyada 20-25 seats par jeet payega” Madhukar “utne bhi kafi honge”
Aditya “to aap kya chahte ho?”
Madhukar “tum wahan uske khilaf khade raho aur usko mitti men mila do”
Aditya “sorry par main khud kabhi politics men nahin padna chahta” Madhukar “par uske khilaf jo khada ho rahe hai unko madad to kar sakte ho”
Aditya ‘thik hai mujhse jo ban padega main kar dunga”
Madhukar “thik hai tum sochkar rakho kuchh main baad men firse tumse baat karunga”

XXX

Wahan perfect SPM ki haalat din ba din bad se battar hoti ja rahi thi. Kuchh hi mahinon men payments na aane ki wajah se logonki salary dena tak murti ke liye mushkil ho gaya aur ek mahine ko salary de nahin paya.
Apni jis company ko aditya ne laad pyaar se sanjoya tha usi company ko band karne ke liye sabhi majduron se aditya ne hi kaha. Aditya ne ye farman jarur diya tha par apne dil par patthar rakhkar.
Company lockdown thi uspar company ke loan ki kishte bhi kuchh
mahine nahin gayi. Aakhirkaar bank usko seal kar deti hai. Yahan aditya bas isi intejar men tha.
Aur wo din bhi aa gaya. Murti dekhne aaya ki kitni bid lagegi. Wo aditya ayega ye expect kar raha tha. Use sab pata tha ki ye sab aditya ka hi kiya dhara hai aur wo ise kisi bhi halat men hathiya lega.
Wo aaya usne dekha ki wahan mej par 2-3 bank officers baithe hai, par unke saamne rakhi gayi kursiyaan bilkul khali thi unpar sirf sabke saamne 2 log baithe huye the.
Wo jaise jaise aage gaya use dekhkar hairani huyi ki wo do aadmi sirf aditya aur pratap hai. Jaise jaise wo aage jata gaya uske andar ki aag aur dahakne lagi. Wo aage aaya aur bank ke officers se usne shake hand kiya.
Unmen se ek saamne jakar pukarne hi laga tha. Tabhi murti ne use roka “sir aur logonko aane dijiye”
Us officer ne apne naak rakhe chashmen men se dekha aur kaha “aur koi nahin aane wala”
Aditya “are aise kaise sir yahan 11 companies ke representavies baithe
hai aap ko dikh nahin rahe list men”
Officer aditya ki taraf muh karke “sorry sir galati ho gayai yahan to 11 companies ke representative baithe hai”
Murti ke gusse ka paara badhta ja raha tha par wo kuchh kah bhi nahin pa raha tha. Us aadmi ne pukarna shuru kiya “all property as it is minimum bid bachi hui principal hai”
Sirf principal men se aajtak ki kisht nikal kar bachi hui principal par ye log company nilaam ka rrahe hai ye sunkar jaise usko apne kaanon par vishwas nahin hua.
Us officer ne aage pukara “6.25Cr…”
Itni kam kimat men company aditya ke gale men ja rahi hai ye sunkar to bas wo jhalla hi gaya aur garaj pada “ye aise nahin ho sakta”
Bank ka regional incharge utha aur usne kaha “mr. murti control urself humne apna kaam karne dijiye”
Murti ‘sir par aap company as it is aise koudiyonke daam men kaise bech sakte hai”
Incharge “dekhiye aap humen apna kaam karne dijiye”

Murti “kitne paise khilaye hai aapko aditya ne?”
Tabhi pichhe se aditya ne chilla diya cigrate ka kash maarte huye “are salary lekar kaam kar rahe hai bank se fir main kyun paise dun upar se” Incharge “dekhiye aapko apni jaan ki kimat nahin hai par humen hai aur ab chup baith jaiye nahin to security guards bulakar bahar nikalna padega aapko”
Ab muti shant hokar baith gaya par uske andar ka gussa lava bankar ubal hi raha tha aur wo aankhon ke jariye saamne baithe logonko dikh raha tha.
Aditya “6.25 cr bid from jahagirdar group…… and the company is sold” Tabhi us officer ne hathoda maara aur aditya aage aaya usse sab ne hath milaya. Kuchh jagah aditya ke dastkhat lene ke baad jab wo murti
ke paas aaya. Murti aag babula khada tha “tumne ye sab jaan bujh kar kiya”
Aditya “kya?”
Murti “company ke payments rokna, workers ko bhadkana, aur at the last ye sab…. Itna hi karna tha to ye auction ka natak bhi kyun karwaya?”
Aditya “formality ke liye…. Jaise pichhali baar main aaya tha aur aapko
laga thaa mujhe guards rok lenge aur wo inspector kuchh kar lega thik usi tarah formality ke liye”
Murti “par ye sab kyun itne bade empire ke malik hokar bhi”
Aditya “ek baar maang leta to paani chhodkar de deta tujhe par is tarah bilkul nahin”
Murti “jis tarah tumne mujhe barbad kiya hai main bhi tumhe barbad kar dunga”

Aditya “well ye khwab dekhte rahna, aur pura karne ki ummid men dunia ke sabse buddhe insan ban jana”

Itna kahkar aditya nikal jata hai.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 47



Aakash dinesh ko apne jaal men fansa kar uske ghar aakar deepa ke liye rishte ki baat chhed deta hai. Usi din sham ko khaneke baad.

Papa “depa ruko tumse ek baat karni hai’

Deepa “kya papa?”

Papa “humne tumhare liye ek rishta dekha hai” Deepa “nahin firse nahin”

Papa “tum ise bahut ache se jaanti ho aur ye ladka bhi tumhe acche se jaanta hai”

Deepa “kaun?”

Papa “aakash”

Deepa jab aakash ka naam sunati hai, uske man men vicharonka silsila shuru ho jata hai.

Papa “dekho beta hamara ye farj hai ki hum apni beti kji shadi kar de uska sansar falta fulata dekhe, aur aakash accha ladka hai”

Deepa “papa ab nahin hota ye sab”

Papa “aditya se lakh guna behtar hai” Is baat par wo jawab nahin deti.

Papa “dekho kabhi na kabhi to shadi karni hi hai aur tumhari shadi ki wajah se tumhare bhai ki shaadi aage ja rahi hai”

Deepa “jo karna hai karo, kal pathhar se byah dena mujhe main kuchh

nahin bolungi”

Itna kahkar wo chali jaati hai. Deepa ke is jawab se uske papa dukhi ho jaate hai aur apne donon hathon par apna sir tikakar baith jate hai.

Pichhe se deepa ki maa aati hai aur unki pith sahlate huye kahti hai. Maa “iski shadi ek baar ho jaye sab thik ho jaaye”

Papa “mujhe bhi kuchh aisa hi lagta hai, shadi ke baad apne aap badal

jayegi” itna kahkar wo bhi chale jate hai.

XXX



Pratap ki shadi bade hi dhumdhaam se ho rahi thi. Sabse jyada khushi

to aditya ko thi. Wahan sabhi maujud the. Pradhan bhi aaya hua tha. Ab to pratap se ravi ki bhi patni lagi thi, isliye wo bhi tha aur sath hi sath neha bhi.

Pradhan ne pratap ko flowers diye aur wish karke niche utar gaya. Uski najar yahan wahan ghum rahi thi. Wo darasal men aditya ko dhundh raha tha. Tabhi aditya pichhe se aaya aur usne puchha “kisiko dhundh rahe ho kya ap?”

Pradhan “jisko dhundh raha tha wo to mil gaya” Aditya “yaani aap mujhse milna chahte the”

Pradhan “haan ek khushkhabri bhi to sunani thi tumhe” Aditya “kya?”

Pradhan “ek aisi khushkhabari hai ki wo sunkar main to jhum utha tha,

tum bhi kuchh khushi mana lo us baat par”

Aditya “jaldi batao baat kya hai? Koi naya tarika socha hai kya mujhse badla lene ka”

Tabhi paas se jane wale waitor ko rokkar uske paas se pradhan do whisky ke peg leta hai ek aditya ke hath men deta hai aur ek khud pakad kar usko kahta hai “cheers, deepa aur aakash ki shadi tay ho gayi hai”

Aditya wahi kursi par baith jata hai. Pradhan “unke shadi par jarur aana

haan, ab aakash ke pita nahin hai to kya hua main bhi to uske pita jaisa hun usi haisiyat se tumhe shadi ka aaj hi invitation dekar rakhta hun” Wo jaane lagta hai tabhi kuchh dur jaakar rukta hai aur kahta hai “bhulna nahin jarur aa jana, tumhare bagair wo sham kuchh kuchh adhuri si rahegi” itna klahkar wo chala jata hai.

Tabhi aditya ki ek aankh se ek aansu jharr se niche aata hai aur glass men gir jata hai. Tabhi ravi ka dhyan wahan jata hai. Wo paas aakar puchhta hai “kya hua aditya? Aise akele kyun baithe ho?”

Aditya “kuchh nahin…”

Ravi “kuchh to hai jo tum batana nahin chahte”

Aditya “are kuchh nahin pratap aur manisha ke sath camping par gaya tha us waqt ki yaad aa gayi”

Tabhi wahan abhiman bhi aa jata hai. Aditya apne saamne ka glass ek hi sip men khinch leta hai.

Abhiman usko aisa karte hi samajh jata hai kji kuchh na kuchh gadbad

hai. Abhiman ravi ko wahan se hatakar aditya ke sath baithta hai. Aditya bas wahan par baithe kahin par shuny men taanke ja raha tha. Abhiman “aditya kya hau hai?”

Aditya “kuchh nahin” Abhiman “tu tension men hai”

Aditya apne hothon par nakali hansi late huye “are kahe ki tesion aaj to apne sabse bade yaar ki shadi hai, aur tere bhi bahan ki shadi hai ab to sab tension chale gaye”

Abhiman “dekh jhuth naa bol” Aditya “fir ye puchhna band kar”

Abhiman “tu mujhe batayega ki baat kya hai?”

Aditya “aaj ki shadi nipat jane de fir tujhe batata hun” Abhiman “baad men kyun?”

Aditya “jitna kah raha hun utna sun, abhi main bata nahin sakta”

Abhiman jaan chukka tha ki koi bahut badi baat hui hai, par use pata tha ki aditya jab tak shadi ka sab nipat nahin jata tab tak nahin batayega. Use koi aawaj de deta hai to wo chal jata hai.

Aditya ab thoda sa side men ke ek table par baithkar sharab pee raha tha. Wo abhi bhi us sadme se bahar nahin nikala tha. Tabhi wahan neha aa gayi aur aditya ke samne aakar baith gayi.

Neha “aditya…”

Aditya jaise nind se jag gaya tha, thoda hadbada sa gaya ki kaun hai uske samne. Aditya “are tum ho neha”

Neha “dhyan kidhar hai tumhara main itni der se aakar baithi hun yahan”

Aditya “wo main jara soch men duba hua tha”

Neha “kis soch men”

Aditya “ab kaam hai hamara sochna”

Neha “main bhi soch rahi thi ki tumhari hi tarah kaam karun” Aditya hans deta hai “madam aap to malkin ho company ki” Neha “to main kya karun”

Aditya “bas kal se director ki jagah par aana shuru kar do”

Neha “thik hai kal se aane lag jaungi” neha ki aisa kahte uske aankhon men jo chamak thi use dekhkar aditya usse aankh nahin mila paya. Ye wohi chamak thi jo aditya ki aankhon men us raat ek kamre men band deepa ke liye thi.





Ruth Gaye Mere Aansu Bhi Mujse…

Najane Mene Aesa Kya Gunah Kar Diya… Pucha Aansu Se Aaj Kya Hua Tuje..

To Usna Kaha Ham Jiske Liye Baraste He…

Aaj To Tune Use Hi Khafa Kar Diya….
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 48



Us din ke baad aditya to maano jaise business men aur khud men hi khoya hua rahta. Wo shayad apne naam ki hi tarah rahta din bhar business men mashgul aur jaise hi suraj dub jaaye wo bhi saaki men dub jataa.

uske is bartaav se sab hairan the. Ek raat ko ghar men aditya bar par baithkar sharab pee raha thaa samne TV chalu tha. Par uska shayad dhyan usmen nahin tha. Manisha aur pratap donon darwaje tak aa gaye.

Manisha ne pratap ko dhakka dekar andar dhakela. Wo aaya aur sidhe aakar aditya ke side men baith gaya. Side men aakr baithne ke karan aditya ka dhyan tuta. Aditya “kya hua pratap?”

Pratap “aditya maaf karna par ye sharab ab bas kar mere bhai”

Aditya “to fir main karun kya? Uski yaaden mujhe raaton ko sone nahin deti, jab bhi aankh band karun to sirf aaur sirf uska chehara najaron ke saamne chha jata hai”

Pratap “yaar tu bas ek baar kah de abhi jakar utha launga use koi mera kuchh nahin kar paayega” pratap aditya ki ye halat dekhkar baukhala gaya tha.

Aditya “nahi ye sab uski marji se ho raha hai, aur main uski marji ke

khilaf kuchh nahin karunga” Pratap “par aditya….”

Aditya “par war kuchh nahin tujhe meri kasam hai tu aisa waisa kuchh

nahi karega naa hi usse kuchh ula sidha bolega”

Pratap ye sunkar bahar nikla jata hai aur apne bed par jakar baith jata hai. Manisha wahan aakar uske mathe ko thapthapakar kahti hai “kya hua?”

Pratap “kuchh nahi” Manisha “fir udas kyun ho?”

Pratap “apne dost ke liye, jisne mujhe yahan tak pahunchaya wo khud aisi halat men hai aur main kuchh kar bhi nahin sakta”

Manisha “kyun aisa kya ho gaya?”

Pratap “usne mujhe interfere karne se mana kar diya hai” Manisha “waqt sab kuchh thik kar dega, shayad iska ek ilaj hai” Pratap “kya?”

Manisha “kya nahin puchho kaun?” Pratap “kaun?”

Manisha “neha….”

XXX

Aditya office men baitha hua tha. Aur neha uske cabin men aa gayi. Neha “aaj sham ko kuchh kaam hai?”

Aditya kaamon men laga hua tha to usne bina sir upar kiye kaha. “kuchh nahin kar raha”

Neha “thik hai fir mere sath dinner ko aa rahe ho”

Aditya ne jhat se sir upar uthaya aur kaha “main kahin bahar nahin jata”

Neha “ek khaas baat tumse karni thi” Aditya “jo kuchh kahna hai yahin kah do”

Neha “main tumhe sham 7 baje pickup karne aa jaungi” itna kahkar wo

nikal jati hai aur aditya bhi firse kaam men lag jata hai. XXX
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 49





Sham ko neha jab aditya ko lene aati hai, darwaja manisha kholti hai.

Donon ek dusare ko smile pass karti hai. Manisha fir neha ko thumbup karke andar ka rasta dikhati hai. Wahan aditya apne bar men baithkar daru pina shuru hi karne wala tha.

Neha wahan aa jati hai. “aditya tum mere sath bahar dinner par aane wale the”

Aditya jaise bhul hi gaya tha us baat ko achanak se use yaad aaya ho

fir udas sa chehara lekar wo kahta hai “aaj nahin kisi aur din neha” Neha “aaj hi chalna padega chalo utho, jao jakar ready ho aao” uske hath ko pakad kar wo uthati hai.

Aditya chhota sa muh banakar bahar apne kamre ki taraf taiyar hone ko nikal jata hai.

Wahan neha aakar bahar lounge men manisha ke sath baaten karte

huye baithati hai. Aditya kuchh hi der men taiyar hokar bahar aata hai. Aditya “chalo”

Neha car drive karke shahar ke sabse bade hotel le jaati hai. Neha jane

par unke reserved table ki maang karti hai. Waiter unhe ek table ki or le jata hai jo ki sabhi se hatkar thoda side men tha wahan raushani bhi thodi madham hi thi. Mahaul khushabu se bhara hua tha.

Aditya aur neha wahan baith jate hai aur order dete hai. Aditya wahan ka aalam dekhta hai aur chup baith jata hai.

Neha “kuchh kaho na” Aditya “kya kahun?”

Neha “kuchh bhi tumhari har chij mujhe acchi lagti hai”

Aditya “madam ye itne bade hotal men aap mujhe le aai ho khana khaane,. Aise bahalane fusalaane waali baaten kar rahi ho, aap karne kya wali ho”

Donon is baat par hansne lagte hai aditya firse shuru ho jata hai “aisa to tab hota hai jab party dene wala samne wale ka galat istemal karna chahta ho, aapke irade kya hai madam?”

Neha “well irade to mere hamesha se hi nek rahe hai”

Aditya “sambhal kar kabhi kabhi is bhari jawani men buri chijen bhi bhali dhikhane lagti hai”

Neha firse hans deti hai “waise pyaar karna koi buri chij nahin” Aditya ab is baat ko sunkar hairan tha. Kuchh der ke liye wahan sannata raha, kuchh der baad neha ne hi kaha “haan aditya main

tumse bahut pyaar karti hun, jabse maine tumhe pahali baar dekha hai tabse pyaar ho gaya tha, jis tarah tumne mere bhai ko pita, mere papa se baat kiyi, us taraah se ek sachha mard hi baat kar sakta hai aur maine wohi tum men dekha….”

Aditya abhi bhi kuchh nahin bola. Neha ne aditya ka hath upar se thaam liya aur kaha “aditya I love you…. Say you love me too” Aditya ne uske hath ke niche se apna hath khinch liya. Ab uske chehare ke bhaav badalne lage the, par wo kuchh kuchh shant hi tha

use gussa jarur nahin aaya tha. Aditya “neha main aakash yaani neele gagan ke jaisa hun, mere niche rahana har ek ko achha lagta hai, main hare k aadmi ko pyar lagta hun, mere niche aapko pyaar milta hai wo apna pan milta hai, par aakash ke niche koi apna basera to nahin basata, kyunki ek pal men accha lagne wla nila aasman kab kaala ban jaaye aur aapko bhigo de iska koi bharosa nahin rahta”

Neha “main tumpar vishwas rakhti hun, tum mujhe bhigo doge to bhi mujhe koi farak nahin padega”

Aditya “ab kaise samjhau tumhe main neha?”

Kuchh der ke liye shanty chha jati hai. Aditya “to suno main kisi aur se pyaar karta hun… aur uska naam depa hai”

Neha “ek minute kahin ye deepa wo to nahin jo hamari company ke

board of directors men hai” Aditya “haan wo hi hai”

Neha “par uski to shaadi aakash bhaiyaya se tay huyi hai”

Aditya “haan wo hi” itna kahkar wo use aajtak ki story suna deta hai. Aditya neha ki car men se utar kar ja hi raha tha. Neha apne ghar ke aage apne aankhon men ask lekar khadi thi, tabhi aditya pichhe palatkar dekhta hai aur uske paas aata hai.

Aditya neha ke aansu pochhkar kahta hai “sach batau neha tum bahut acchi ho, par main deepa se pyaar karta hun, tumhe mujhse kai jyada guna behtar ladka mil sakta hai, tum ye aansu bahana band karo”

Itna kahkar wo ek cigratte jalakar wahna se paidal apne ghar ke liye nikal jata hai.

Aditya ne deepa ke bare men soch kar khud se hi kaha





Mujhe badnaam na kar dil ki nazaron se,

Aisa kaam na kar ke rona pade khoon se, Tum bhale hi apni nazron se gira de mujhe,

Leki tu ehsaan to mat kar mere hi dushmano par.







Jaise jaise deepa ke shadi ka din paas aa raha tha aditya aur bhi jyada sharab ka aadi banta ja raha tha. Neha ne khudko aditya ki advice sunkar sambhal jarur liya tha par dil ki gaharaayi men aaj bhi wo ek

chingaari uthati aur wo raat raat bhar tanhai men uske liye aansu bahati.Neha se saamna na ho aur wo aur tut jaaye is liye aditya ne pradhan ki liyi huyi company men bhi aana band kar diya tha.

XXX

Pradhan aur aakash ne khichadi pakayi thi ki ab aditya ko raaste se hata denge. Par pradhan bahut hi acchi tarah se jaanta tha ki aakash kitna bhi kuchh kar le wo aditya ka saamna nahin kar paayega. To unhone ek underworld ke ubharte don ko bulawa bheja.

Dilawar pathan, dikhne men bilkul ek bahut bade sand jaisa kaala aur tagda. Uske upar se wo aaya tha kaali pathani pahan kar jo uske upar se usne kaali pathani pahani hui thi. Wo jaise ek jinda shaitan lag raha tha.

Pradhan aditya ke poto use dekar kahta hai “aditya jahagirdar, isko pakado aur ise khatam karo”

Dilawar “kahan milega?”

Pradhan “dekhna padega kahin kisi bar men milega aadmi laga deta hun khabar ke liye”

Dilawar “faila do… kaam kab tak karke chahiye hai?”

Pradhan “kal ka suraj isne nahi dekhna chahiye”

Dilawar “dilawar ki kimat de do, dilawar usko kal ka suraj nahin dega” Pradhan “kitna chahiye?”

Dilawar “5 crore”

Aakash “itni badi rakam ek aadmi ko maarne ke liye” Dilawar “thik hai fir aap kisi aur se kaam karwa lijiye”

Pradhan aakash ko chup karte huye “thik hai de diya thodi der baad tumhe aadha advance de dunga baki subah uski maut ki khabar ke

sath”

Dilawar “fir ye bhi dilawar ki bandook ka loha chakhega” itna kahkar wo bahar chala aata hai.
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 50



Kuchh hi der men dilawar ko khabar mil jaai hai ki aditya shahar se thodi dur ke bane bar men baitha hai.

Dilawar wahan apne ladkonke saath baitha tha, usne gaadi daudaayi

aur us jagah ki aur dauda di. Wahan pahunchate hi usne dekha ki aditya ladkhadate huye apni gaadi ki taraf badh raha tha. Aditya nashe men itna dhut tha jiski wajah se wo thik se chal bhi nahin paa raha tha. Dilawar aur uske 3-4 ladke gaadi se bahar utare, aur unmense ek ko dilawar ne ishara kiya, usne ek goli chalayi aditya ki or par aditya ko goli nahin lagi. Wo uske pas se hokar gujari. Aditya ek second ke liye wahi thahara, usne goli ki aawaj jahan se us taraf dekha to wahan 4-5 aadmi khade the wo andhere ke karan uske chehare to nahin dekh sakta tha par unki dhundhali parchaayiyaan usne jarur dekh li thi.

Aditya ki heartbeat ekdum se badh gayi thi. Usne ek aadmi ko haath upar uthate huye dekha, use andesha ho gaya tha ki ab uspar goli chal sakti hai. Usne bijali ki furti se apne jeans ke back men lagi hui apni revolver nikal kar bina kuchh nishana lagaye uski taraf fire kar diya.

Uska dimaag ghumne laga, par use turant pata chal gaya tha ki wo akela aisi haalat men itnoka mukabala nahin kar sakta hai. Usne revolver unki taraf kiyi aur automatic mode par lagakar fire karte huye apni car ki aad lene ke liye uski taraf bhaaga aur uski aad lekar baith gaya.

Uska nasha abtak kapoor ban kar ud chuka tha aur dimag apni puri karykhshamata ke saath bahar nikalne ke har raste par gaur kar raha

tha. Tabhi firse kuchh gunshots ki aawaj use sunai diyi jo ki gaadi se takra gayi thi. Usne apni revolver ki magazine kholi aur dekha to wo khaali ho chuki thi. Usne apni gadi ka darwaja khola aur driver side men ki dicci se spare magazine nikaali aur load kiyi.

Tabhi wo aadmi aage badhte huye aditya ki car ki taraf badhne lage. Aditya ne firse aav dekha na taav sidhe saari magazine unki taraf khaali kar di. Unmen se 2 gir gaye the fir 3 log aage aa hi rahe the. Ab wo wahin ruk gaye aur unhone aditya ki taraf goliyaan chalani shuru kar di. Aditya jab magazine khatam hone ke karan niche jhuka tab use apne haath se niche garam khun girta hua dikha usne upar dekha to ek goli uske uske kandhe ko touch karke nikal chuki thi. Wahan ka uska mans

dikhaayi de raha tha aur uski puri daahini baanh khoon se gili ho chuki thi.

Par dimag ne itna jor laga diya tha bodypar ki usko koi bhi vedna ka andhuk sa ehsas bhi nahin tha. Ab uska dimag dauda usne driver seat ke niche hamesha chhupakar rakhi huyi ak47 bahar nikali. Usko crank karke wo sidhaa gaadi ki aad se bahar aaya aur usne in teenon par andhadhund goliyaan barsaani shuru kar di.

Magazine khali hone tak wo goliyaan barsata raha. Ak47 ke shor se sara mahaul gunj utha tha. Saaraa sama dhul se bhar gaya tha. Aditya ko ab yakeen ho gaya tha ki koi bhi bacha nahin hoga. Firse apni car ki taraf aaya is baar wo apne paironpar khada tha. Usne ak47 andar fenk di aur revolver ki magazine load karke wo cover se bahar aaya.

Bahar sunsaan shanti thi. Usne jab chalna shuru kiya to use pata chala uske pet men bhi ek goli lag chuki hai. Wahan sirf dur se aane wali kidonki aawaj sunai de rahi thi. Aditya ne dekha to paas men hi 3 log

gire huye the. Aditya ko yakeen tha ki sab log ab mar chuke hoge usne pahale baje ke donon ladkonko paltakar dekha to wo mar chuke the.

Uski najar beech men pade kali patahni pahane aadmi par gayi. Usne

apne hath ka pura jor lagakar use uthana chaha to us aadmi ne use itni jor se dhakka diya ki aditya sidhe jaakar apni gaadi se takra gaya.

Usne firse uthne ki koshish kiyi par ab uska sharer uska sath dene ko

taiyar nahin thaa. Wahan kaafi jagah par chhote chhote khoon ke taalab se ban chuke the. Usmen se ek aur aditya ke pet se bahar aate khun ka banana shuru ho gaya. Aditya ki khudki revolver par se pakad abhi tak chhuti nahin thi. Wo aadmi kuchh kuchh ladkhadate huye utha

aur aditya ke paas aaya. Usne apni revolver aditya ke paas jaakar sidhe

uske matheke bichobich rakh di aur goli chalane ke liye trigger khinch liya.
 
  • Like
Reactions: mashish

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 41

Agale hi din aditya aur pratap bahar khade the, aditya aur pratap ne apni apni guns bahar nikali aur load kiyi. Aditya ne ek extra magazine
coat kji jeb se nikali aur pratap ko de diyi. Aditya “sambhal kar kahin jarurat pad jaaye to”
Pratap ne bas haan men sir hilaya. Adityane car ki chabi pratap ko de
diyi. Pratap gadi lekar nikal aaya aur yahan aditya road paar karke coffee shop men gaya. Wahan deepa aur aakash baithe huye the. Deepa aditya ko dekhkar chaunk gayi. Aur aakash ke chehare par ek muskan chaa gayi.
Aakash aditya ko jalana chahta tha, wo soch raha tha ki aditya ab gusse men aayega, par ulta aditya hanste huye aage badha. Aditya side se ek kursi uthakar table ko join kar liya. Aditya “hello guys kaise ho donon?”
Aakash “acche hai tum batao” Aditya “ab mujhe kya ho sakta hai?”
Deepa “aditya “yahan kya kar rahe ho?”
Aditya kursi men aaram se jhulkar bolta hai “kuchh nahi aise hi aakash se kaam tha to aa gaya”
Deepa “well then main ja rahi hun” itna kahkar uthke chali jati hai. Aakash aur aditya use jate huye dekhte hai. Aditya “iske chakkar men mat pad beta nahin to lambe se jaayega”
Aakash “tu apni soch is baar meri baari hai, aur main uda hi le jaunga” Aditya “tu bhul mat main kaun hun”
Aakash “main tujhe bhul bhi kaise sakta hun” Aditya “chal teri car nikal aur chal mere sath” Aakash “kahan?”
Aditya “chal bola na”
Aakash uthneko taiyar nahi tha, aditya ne dhire se bola “ab uth ek baat
karni hai tere se business ke bare men pradhan sahib bhi aa rahe hai meeting ke liye isliye”
Aakash “mujhe yakin nahin hai”
Aditya “call karke puchh le”
Aakash ne call karke puchha aur chhota sa muh banakar aditya ke sath nikal pada.
Aditya aur aakash uski car men jakar aditya ke ghar ke bahar khade ho gaye. Wahan aditya ki car pahale se hi khadi thi. Donon andar gaye aur aditya ne darwaja lock kar diya.
Aditya ke side men is waqt pratap baitha hua tha aur pradhan uske samne. Aaksh pradhan ke side men. Aditya ne pradhan se kaha “mujhe aap se ladne men koi dilchaspi nahi hai, aap beech men se hat jaiye, mujhe apna haq yaani perfect SPM chahiye hai, wo bhi kisibhi kimat par”
Pradhan “ab wo to kuchh mushkil hai aditya maine murti ko juban diyi hai ki main uski madad karunga”
Aditya “to main kya karun?”
Pradhan kuchh nahin kahta. Aditya “pradhan sahib ek baat jaan lijiye agar aap mere sath nahin hai to mere khilaf hai”
Pradhan “tumhare khilaf aur main? Main to bas ek dost ki madad kar
raha hun”
Aditya “thik hai aap jor laga lijiye, main bhi kuchh kar hi lunga” XXX
Beech men 4 mahine chale jate hai aur perfect SPM men donon machines pahunch jati hai. Par is baar company ke land ke sath sath murti ka ghar bhi girvi pada hua tha.

Aditya “ab ye sahi samay hai firse baat karne ka un donon se firse jakar utha laao un donon ko yahan”
Kuchh hi der men pradhan aur aakash aditya ke samne baithe the.
Pradhan gusse men tha “ye yun uthalar kyu laya hai?” Aditya “taaki kuchh baat kar sakun”
Aakash uthkar aditya par chillate huye “teri to main…”
Aditya “ruk jao aakash pratap ko ek second bhi nahin lagega tumhe narak ke dwar par pahunchane ke liye, jara pichhe to dekh lo” Aakash chup hokar baith jata hai. Aditya cigratte jalate huye “pradhan tumhare us company ki kimat bolo jisse tum murti ko madad kar rahe ho”
Pradhan “kya matlab hai tumhara?”
Aditya “main tumhari comoany kharidna chahta hun” Pradhan “par main bechana nahin chahta”
Pratap pichhe se gun uske sar par lagata hai. Aditya “nahin pratap aise
nahin main nahin chahta ki log mujhe khuni darinda kahe” itna kahkar hansne lagta hai.
Wo apna laptop nikalta hai aur mobile nikalta hai aur kahta hai
“company kharidne ke aur bhi kai tarike hote hai”
Itna kahkar wo call karta hai aur kahta hai “pradhan ki company ke shares kharidna shuru kar do chahe jo bhi rate men mile”
Pradhan apna mobile nikalne lagta hai to pratap uska mobile chin leta hai. Aditya lagatar khud bhi share market e shares kharidne ke pichhe laga hua tha.
Dopahar ko aditya kahta hai “shayad tere company ke shares pradhan kisi ek aadmi ke paas hai hi nahin balki wo bulks men hi kuchh

logonke paas hai”
Pradhan ye sunkar chaunk jata hai. Aditya “aur koi use kharid raha hai ye jaankar log tere company ke rates ko todne ke liye use aur market men fenk rahe hai”
Aakash apne aap ko helpless mahsus kar raha tha. Wo kuchh kar bhi to nahin sakta tha. Sham se pahale aditya ne apna sab kaam khatam kar liya tha.
Aditya “pradhan tere company ke 47% shares mere paas hai”
Pradhan “kuchh nahin kar paaoge tum unka kyunki chairman main hun” Aditya “main kal ye sab shares market men itne saste men fenk dunga ki tum sadak par aa jaao”
Pradhan “tum aisa nahinkar sakte tumhara karodo ka nuksan ho
jayega”
Aditya “kuchh chijon ke liye fayde aur nuksan ka hisab nahin lagate hai pradhan”
Pradhan ab gusse se aag babula ho gaya tha. Aditya “ab tum ja sakte ho pradhan, maine apna danv khel liya ab tumhara khelne ka waqt hai aur tumhare paas kal subah tak ka waqt hai”
Pradhan kuchh kahta to nahin hai aur uthkar chala jata hai. Pratap “ye ab kya karega?”
Aditya “ye nahin karega karenge to hum hi” Pratap “kya karna hai?”
Aditya “iski company par kabja”
Pratap “par tune to kaha tha ki tu wo shares bech dega aur use duba dega”
Aditya “iski ek raat ki nind to haram karne de” itna kahkar donon

khilkhilakar hansne lagte hai…
superb update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 42


Aditya aur pratap raat ko ek club ke bahar khade the. Pratap “hum yahan kya kar rahe hai?”
Aditya “ravi se milne aaye hai”
Pratap “us sarfire se kya milna wo to baat bhi nahin karega” Aditya “karega jarur karega main jo hun na”
Pratap “mujhe to ladai hone ke hi aasar jyada dikh rahe hai”
Aditya “main hun naa sath men nahin maana to pungi baja denge chal andar”
Itna kahte hi donon andar chale jate hai. Andar jakar dekhte hai to ek corner men ravi apne dostonke sath sharab pite huye khada tha aur ruby bhi wahi khadi thi.
Aditya wahan gaya. Aditya ko paas aata dekhkar ravi ki aankhon men khoon khaul aaya tha. Uske dost bhi ab taiyar ho gaye the wo bhi us raat ko nahin bhule the. Jabki ruby ke chehare par muskan aayi thi.
Aditya paas gaya aur usne ek smile diyi aur ravi ki taraf hath badhaya. Aditya “hello ravi, myself aditya jahagirdar”
Usne badhaye hath ko hi ravi dekhta raha, uske sath ke sabhi ladke
uske ishare ki raah dekh rahe the. Aditya ne bina ruke aage kah diya “kuchh galat fahami ki wajah se hamari pahali mulakat jaisi hone chahiye waisi hui nahin…. Par koi nahi is baar thik dhang se kar lete hai”
Wo ab apni aankhe hathon se upar uthakar usne aditya ki aankhon men ghur kar dekha. Aditya relaxed tha uske chehare par na koi chinta thi na koi shikan usne aage kaha “aajtak jisne mujhse hath milaya hai uske kaam nikal pade hai… tum bhi mila lo, tumhare bhi kaam ho jayenge”
Usne aditya se puchha “jaise?”
Aditya “mujhe sab pata hai… tumhe kuchh problems hai family men… I can help you out in that also”
Ravi ne ab aditya ko aur ghur ke dekha aur kaha “kaise?”
Aditya “shayad in sab ke saamne is bare men baat karna thik nahin hoga, kahin side men chale”
Aditya, pratap aur ravi ek side men chal diye. Ek sofe par donon baithe aur ravi uske side men baitha tha. Teenon ke liye drink aa gaye. To ravi ne puchha “kya madad kar sakte ho meri?”
Aditya “mujhe pata hai tumhari aur tumhare papa ki patati nahin hai” Jawab men ravi ne sir haan men hilaya. Aditya “mujhe pata hai wo tum par yakeen nahin rakhte”
Ravi ki man ki baat jaise aditya ne puri tarah se jaan li thi. Wo ab aage kahta gaya “papa kabhi mujhpar vishwas hi nahin karte, main office aana chahata hun par mujhe aane nahin dete, mujhe bas ek mauka chahiye …. Bas ek mauka”
Aditya ne uske kandhe par hath rakha aur kaha “tension na le tu mere se hath mila le wo mauka main tumhe dunga”
Ravi ne chauk kar aditya ki aankhon men dekha, uske man men kai sare sawal umad rahe the. Usne puchha “kaise?”
Aditya “well main tumhe tumhare papa ki ek badi company ka MD banaunga”
Ravi “wo kaise?”
Aditya “well okay to tumhe pata hai ki tum apne papa ke company ke 10% ke malik ho”
Ravi “haan par majority shares to unke paas hai”
Aditya “nahin”
Ravi “matlab kya hai iska?”
Aditya “aajtak wo major holder the par ab nahin rahe” Ravi “wo kaise?”
Aditya “share market men unke 47% shares the par wo kai jagah distributed the, maine wo sab kharid liye”
Ravi “kitne hai?”
Aditya “is waqt main us company ke 47% ka malik hun aur tum 10%” Ravi “fir tum to abhi bhi wahan jakar malik banker baith sakte ho to mujhse milne kyun aaye ho?”
Aditya “tu baat ko samajha nahin, main tumhari us company ke 100 guna bade empire ka chairman hun to main kyun wahan jakar baithun?” Ravi “ye baat bhi teri sahi hai”
Aditya “uski bajay tu wahan MD banker baith ja aur apna chance lele aur apne papa ko jo dikhana hai dikha dena aur baad men mujhe shares price dekar firse kharid lena”
Ravi kuchh der ke liye sochne laga.
Aditya “aaram se soch lo par baat sirf tumhare aur mere bich men hi rakhna”
Ravi “thik hai par mujhe kya karna hai?”
Aditya “bas mujhe tum company ka chairman bana dena yani us waqt mere sath rahna aur main tumhe MD bana dunga”
Ravi “main ye kyun manu iske baad tum mera kuchh bura nahin
karoge?”
Aditya “meri juban par tumhe yakeen nahin hai, tum kisise bhi puchh lo aur firbhi yakeen na aaye to jane do main kuchh aur rasta dhundh

nikalunga”
Ravi “par tum bhi ye sab kar kyu rahe ho?”
Aditya “tum MD ban jaoge to mera ek chhota sa kaam karoge” Ravi “kya?”
Aditya “ek company hai uska payment rukwana tha” Ravi “bas itna sa kaam”
Aditya “haan bas itna sa…. Par na jane kyun wo aakash aade aa raha tha mere… maine use pahale request kiyi nahin mana fir usne mere khilaf tumhare daddy ke kaan bhare aur mujhe majboor kar diya ki main aisa kuchh karun” aditya ne cigratte ko bujhate huye kaha.
Ravi “aakash …”
Aditya “haan uski wajah se tumhare papa ko ye din dekhna pad raha
hai, main unse bhi mila tha par wo meri baat sunane ko taiyar hi nahin hai”
Ravi “fir…”
Aditya “uska kuchh na kuchh bandobast karna padega”
Ravi “Agar aisi baat hai to main tumhare sath hun” aisa kahkar aditya ke saamne hath badha deta hai.
Aditya use hath milakar “ab tum mere sath ho to tumhe koi rok nahin
sakta”
Ravi “main bhi uske pichhe kab se hun par kuchh kar nahin pata hun” Aditya “don’t worry ab main hun na tumhare sath”
Firse drink lekar teenon sath men cheers karte hai nayi dosti ke naam. Par ye dosti pakki dosti thi ya kuchh aur iska jawab na hi aditya ko malum tha aur naa hi pratap ko unhone to bas time being ke liye ek samjhota kiya tha. Aur wo karne ke baad wo donon game men khudko

kuchh safe mahsus kar rahe the.
awesome update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker
Top