• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Teri Meri Love Story (Completed)

Kya aap firse is story ko padhne me interested hai?


  • Total voters
    11

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 13

Aditya aur pratap ki gaadi ek bahut bade bangale ke saamne aakar ruk jaati hain bungle kaa gate hi kaafi shaandaar hotaa hain koi bhi wo dekhkar hi bataa saktaa hain jo aadmi andar rahtaa hain wo kaafi rayis hain bungle ki name plate par dhyaan jaata hain to usmen black marble par ‘Vrundawan’ naam golden colour men likhaa hota hain aur niche maalik ka yaani ki ‘Mr. S. D. Dahanukar’ likhaa hotaa hain
Darasal men yah dahanukar aditya ke door ke rishtedaar hote hain aur shahar ke ek bahut bade businessman aditya waise kaafi saalonse ek
hi shahar men rahte huye bhi unke ghar aata nahin hain par aaj to koi aur chaara bhi nahin thaa
Aaj shaayad apne mata-pita gujar jaane ke baad dusare ya teesare
rishtedaar ke ghar jaa rahaa hogaa wo par aaj ka jaane kaa reason abhiman hotaa hain so apne man ko puri tarah samjhaa kar wo us ghar men jaane ke liye taiyaar ho jaata hain
Aditya horn bajaata hain baahar bhaag kar security guard aata hain aditya security guard se kuchh kahtaa hain aur gate khul jaata hain aur aditya ki gaadi andar chali jaati hain
Aditya aur pratap gaadi park karke ghar ke darwaaje ki taraf badhate hain aur darwaaje ki bell bajaata hain aur thodi der ke intejar ke baad ek 24 saal ki bahut hi sundar ladki darwaajaa kholti hain
Aditya “hi pooja”
Pooja “oh hi aditya aakhir itne saalon baad aaj waqt milaa hain ghar aane ko”
Aditya “kyun nahin aa saktaa hun kyaa yahaan?” Pooja “haan aa sakte ho aao andar aao”
WO ladki aditya aur pratap ko l andar le jaati hain aur ek bahut bade
drawing room men sofe par baithne ko kahti hain
Aur jor se aawaj lagaati hain “maa dekho to kaun aaya hain ?” aur kitchen ki taraf chali jaati hain
Thode der ke intejaar ke baad ek aurat drawing room men aati hain aur aditya ko dekh kar shock ho jaati hain aur unki taaraf aate aate kahati hain “aaj kahaan se raasta bhul kar yahaan aa gaaye aditya”
Aditya “aisaa kuchh nahin hain savitri chachi raasta bhul kar nahin aaya hun balki yahaan se hi gujar rahaa thaa to sochaa ki kaafi din ho

gaye aapse milaa nahin hun to miltaa jaau”
Savitri chachi “accha kiaa jo milne ko aa gaye 5 saalonse ek hi shahar men rahate ho aur aate nahi ho”
Aditya “wo mujhe waqt hi nahin miltaa chaachi isi liye aana mushkil ho jaata hain”
Savitri chaachi andar aawaj deti hui kahti hain “are pooja jaraa aditya
aur pratap ke liye chaay laana to”
Andar se pooja ki aawaj aati hain “haan wohi banaa rahin hun” Aditya “haan haan chaay laao aaj ham puri taiyaari se aaye hain puri khaatirdaari karwaake hi jaayenge”
Saavitri chaachi “haan jo chahiye wo khaatirdaari karwaa lo tumhaaraa hi to ghar hain”
Aur sab hansne lag jaate hain
Saavitri chaachi “aur pratap beta tumhaaraa kaisaa chal rahaan hain?” Prataap “ji chaachi bahut accha chal rahaa hain”
Tabhi andar se pooja haatmen ek tray jismen chaay ke cup hain usko uthaakar laati hain aur unko aditya aur pratap ki taraf badhaa deti hain Aditya jab chaay uthaata hain tab wo sar uthaakar pooja ki taraf dekhtaa hain aur kahataa hain “chaachi hamaari pooja ab kaafi badi ho gayi hain”
Chaachi “haan wo to ab dikh hi rahaa hain mujhe to ab bas isko shaadi ki chintaa hain”
Aditya chaay ka ghunt lekar “chaay kaafi acchi baayi hain pataa nahin
kis ke naseeb men hongi aisee roj ki chaay” yah sunkar pooja sharmaa jaati hain apnaa sar jhuka leti hain
Chaachi “haan ghar kaa saara kaam kaaj aata hain isko to”

Aditya “mujhe samajh men nahin aata ki ghar men itne saare naukar hone ke baawjud aap hi khaana banate ho kaabile taarif hain” Chaachi “tumhaare ghar men bhi to yahi hain khaana to ghar waalon ke haathon kaa swaadist hotaa hain”
Aditya aur prataap chaay ki chuskiyaan le rahen hote hain tabhi chaachi firse bol padti hain
Chaachi “aaj bahut dinon baad ghar aaye ho to khaanaa khaakar hi jaanaa abhi thodi der men tumhaare chaachaaji aate hi honge” Aditya “haan thik hain hum pooja ke haath ka khaanaa khaakar jaayenge”
Chaay khatam karke firse aditya boltaa hain “shaayd ab waqt aa gayaa hain ki hamaari bandariyaa ke liye koi Bandar dulhaa dhundhaa jaaye” Yah sunkar pooja aur sharmaa jaati hain aur apne kamre ki trarf bhaag jaati hain
Yah sab dekh aur sunkar teenon hansne lag jaate hain
Chaachi “dekho aditya ab to tum yahin rahate ho to ab tumhaari bahen ki shaadi ki jimmedaari ab tum hi le lo aur koi accha sa ladkaa dhundho”
Aditya to yah sunkar muskuraa detaa hain aur man hi man sochtaa hain ki ab chaachi to botal men utar gayi hain aur pooja ke liye ladkaa dhundhnaa uskaa hi kaam hain
Aditya “haan waise ek ladkaa najar men hain chaachaaji se baat kar lungaa uske baarenmen”
Chaachi “thik hain apne chaachaaji se aane ke baad baat kar lenaa abhi thodi der men aate hi honge wo tum aisa karo wo jab tak aate hain kyun naa pooja ke saath kuchh baatchit karon main dinner ke liye

kuchh taiyaariyaan karti hun”
Aditya “thik hain main pooja ke room ki taraf jaa rahaan hun chaachaaji jab aaye to mujhko aawaaj lagaa lenaa”
Aditya aur pratap donon pooja ki kamare ki taraf chal padate hain Aditya pooja ke kamre kaa darwaaja khatkhataata hain aur who to khul jaata hain aur aditya dekhataa hain ki pooja bed par pet ke bal leti hain aur uske haathon men abhiman aur uskaa ek saath men ek photograph hain wo usko bas dekhe hi jaa rahin hain thodi der aditya intejaar hain ki uskaa dhyaan baahar aaye par uski orse kuchh aisaa nahin hotaa hain to wo chuppi todne ke liye kuchh kahtaa hain
Aditya “ to hamaari laadli bahen kaa shaadi ke baaren men kyaa khayaal hain main jaan saktaa hun kyaa?”
Pooja achank aayi is aawaj se jaise ek sapne se jag jaati hain aur pichhe ki or darwaaje ki taraf dekhti hain to wahaan par aditya aur pratap muskuraa rahen hain
Pooja “tum to sab kuchh jaante ho aditya fir bhi bahar aisee baaten kyun kar rahe the?”
Aditya “haan main sab kuchh jaanta hun isi liye yahaan aaya hun”
Pooja “matlab”
Aditya “are pagli teri shaadi ke baaren men baat karne hi to aaya hun” Pooja “main kuchh samjhi nahin”
Aditya “are pratap yaar tu kuchh samjhaa de meri pyaari behnaa ko” Tab prataap charge lekar usko sab baaten samjhaa detaa hain Aditya firse ek baar boltaa hain “tujhe kyaa lagaa ki main mere dost aur teri premkahaani puri nahin hone dungaa kya?”
Pooja “aditya par yah kaise mumkin hogaa tumhe to pata hi hain naa

mere papa aur abhiman ke papa ki bilkul bhi nahin jamti” Aditya “han pataa hain to”
Pooja “to kyaa wo dono is shaadi ke liye hargij raaji nahin honge”
Aditya “main un donon ko raaji kar ke hi rahungaa”
Pooja “yah honaa naamumkin hain usse accha hain ki tum mujhko yahaan se bhagaa kar abhiman ke paas lekar jaao”
Aditya “aisee baat kabhi mat karnaa pagli tujhe pataa nahin hain isse mata-pita ke dil ko kitni thech pahunchengi aur to aur tujhe aisee haalat men abhiman ke ghar waalen accept karenge kya?”
Pooja “mujhe kuchh maaloom nahin tumhaare ghar aakar hum log rah lenge par….” Tabhi uski baat kaat kar aditya bolta hain
Aditya “maine abhiman ko kahaa hain ki tum dononki dhum dhaam se
mata pita ke aashirwaad ke saath shaadi hogi aur iske liye mujhe ek baar koshish karke dekh lene do agar meri koshish naakaam ho jaaye to tumhen pataa hain hi”
Pooja “haan pataa hain ki tumne ladki ko ghar se bhagaane men Ph.D. kar li hain Dr. Aditya Jahagirdaar”
Aur fir se teenon hansne lag jaate hain aur achaanak se ruk kar aditya
pooja ka chehraa apne haath men lekar aur uske aankhon men aankhen daal kar kahtaa hain
Aditya “mujhe pataa hain ki tumhen ghar se bhagaane ka din kabhi nahin aayegaa main tum donon ke maata-pitaa ko mana lungaa”thodi der ruk kar aditya sawaaliyaan aankhon se puchhta hain “kyaa tumhe mujhpar puraa yakeen hain?”
Pooja uski aankhon men aankhen daalkar jawaab deti hain “haan mujhe tum par puraa wishwaas hain aditya”

Tabhi baahar se chaachi ji ki aawaj aati hain ki chaachaaji aa gaye hain aur wo aditya se milnaa chahte hain to wo teenon baahar drawing room men chale jaate hain wahaan par chaachaa ji sofe par baithe hote hain aur pooja kitchen men daud kar chali jaati hain khaanaa banaane ke liye

Chaachaaji “kab aaye tum aditya?” Aditya “abhi thodi der pahle hi aaya hun”

Chaachaaji “chaay-paani huaa yaa nahin?” Aditya “haan ho gayaa hain”

Chaachaaji “thik hain tum yahin baitho thodi der main fresh hokar aata hun aur fir ..” aur haath se thodi thodi ki nishaani dikhte hain aur teenon hansate hain…Chaachaji andar chale jaate hain…

Aditya chaachaaji ke andar jaane ke baad to bas apne khayaalon men gum ho jaata hain ki wo chaachji se kaise baat Karen. kyunke usko aisee baaten karne kaa yah to bas dusaraa maukaa hotaa hain par uske man men thodi jhijak hoti hain kyunki jab pichhli baar wo yah baat karne gayaa thaa tab uske sath uskaa sabse badaa bhai vikram thaa. jo ki sabhi bhaiyon men se sabse samjhdaar aur logonse har prakaar ki baaten karne men expert thaa. aaj aditya ko uski kami jarur khal rahi thi par aaj usko to bas khud par yakeen rakhkar yah baaten karni thee pratap to bas uske saath company deneke liye aayaa thaa. wo to aisee baaten karne ke baaren men soch bhi nahin saktaa thaa.

Man to naa naa kar raha thaa par achaanak se uski aankhonke saamne wo mulaakaat aa jaati hain jab wo pahali baar aisee baaten karne ke liye vikram ke saath gaya thaa aur us din usko kisi chhote aadmi se bhi mukaabalaa nahin karnaa thaa.


Jisse is baaren men baat karni thi wo us state kaa home minister thaa. par vikram aditya ko apne saath khinch laaya thaa. jaise ki aaj aditya pratap ko apne saath lekar aaayaa thaa farak bas yah thaa ki vikram wahaan khud ki shaadi ke baaren men baat karne aayaa thaa.
 
  • Like
Reactions: mashish

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 11

Idhar aditya phone rakh detaa hain aur teenon firse hansne lag jaate hain aur aditya pratap ko ghadi dikhtaa hain ghadi men exact 4 baje hote hain ab abhiman ruk jaata hain aur aditya & pratap pet pakad pakad kar hansane lag jaate hain par isko abhiman nahin samajh paataa hain
Hansi rukne par abhiman aditya se puchhta hain “ yaar apna khuraapati dimaag itnaa ladaa kar kyaa karnaa chahte the?”
Aditya firse hansne lagta hain aur apni hansi thodi der baad rok kar bolta hain “ are yaar mujhe deepa ka mobile number chahiye thaa isi liye”
Abhiman “uske liye itnaa badaa dravidi pranayam mujhse phone aaya tha tab hi maang liyaa hota to main hi dila deta”
Jo logonko pataa nahin dravidi pranayam unke liye iskaa matlab hain ki kisi bhi chij ko karne ke liye aasan raasta chhod kar mushkil raasta apnaanaa
Aditya “ are yaar meri aur pratap ka challage lagaa thaa ki sham 4 baje tak main deepa ka mobile number lungaa aur usko apnaa number dungaa wo bhi binaa tumse maange”
Abhiman “aur challange par lagaa kya tha ?” Aditya “aaj sham ki daaru !”
Pratap “abhi thoda kaam hain wo niptaa letaa hun aur pine jaayenge”
Abhiman “are bhai par puri baat to bataao” Aditya “pine baithenge to bataayenge”
Aur sabhi company ke andar chale gaye
Pratap kaam ko lag gaya aur aditya, abhiman donon aditya ke cabin men jaakar time pass karne lag gaye
Thode hi waqt men aditya bhi samjh jaata hain ki abhiman bhi koi
tension men hain par wo chij usko idhar puchhna munaasib nahin samjhtaa aur sochtaa hain ki sham ko saath men honge tab puchhega 1 ghante ke baad pratap apnaa kaam nipta detaa hain aur teenon apni car lekar bar ki taraf chal padte hain aur thodi hi der men sab bar men hote hain aur wo teenon order de dete hain
Thodi hi der men unke table par peg aa jaate hain aur ek top to ottom ho jaane ke baad refill ka order diya jaata hain tabhi aditya abhiman ka latka hua muh dekh kar kahata hain “are yaar tera muh kyun latkaa hua hain?”
Abhiman “kahaan aditya main to thik hun”
Aditya “tu kitnaa bada hain par apne guru se jhut nahin bol paayega” Abhiman “are yaar sachmen koi baat nahin hain”
Aditya “chal ab jaldi se bataa bhi de bhaav mat khaa”
Abhiman “are yaar tum donon kuchh subah ke baaren men bataane waale the wo bataao” abhiman ne baat taalne ke liye kahaa
Aditya “ tu pahle apna problem bataa fir hamaari kahaani sun lenaa” Pratap “ ab bol bhi de business ki koi tension hain kyaa?”

Aditya “ are nahin re yaar business men koi problem nahin hain ghar men hi koi problem hain”
Abhiman “ are chhod yaar”
Aditya “ chhod kaise ruk kal uncle se baat kartaa hun ki kyaa maajraa hain ?”
Abhmaan “ are aisaa mat karnaa yaar”
Aditya “ to fir jaldi bataayega bhi ke baat kyaa hain?”
Abhiman “ are yaar mummy papa shaadi ke liye pichhe pade hain” Pratap “ to kar le naa waise bhi lailaa majnoo ki tarah aur kitne saal rahoge pati patni ban jaao”
Aditya “ ruk pratap yeh baat nahin hain”
Abhiman “ yaar main aur kisise shaadi nahin karnaa chahata hun bas mujhe pooja se shaadi karni hain”
Pratap “ to kar le naa”
Aditya “ jo ki aise haalat men jab tak in dononke baap jinda hain tab tak to nahin ho sakti”
Abhimaan “ haan naa yaar yahi to baat hain main kitni baar donon gharon men baat kar chukka hun”
Pratap hansane lag jaata hain aur saath men aditya hi tabhi thodi der thahaake lagane ke baad pratap bol padte hain “ saale abhiman tera kuchh nahin hone waala hain tu to aise jindagi bhar kunwara rah jaayega”
Aditya “ yaar yah to thik nahin hain hamen apne dost ke liye kuchh karnaa hi padega”
Pratap “ matlab ?”
Aditya “ kal se iska mission impossible main haath men lungaa”

Abhiman “ oye yaar mujhe ladki utha kar nahin laani hain”
Aditya “tension naa le teri shaadi pure jorshor se hogi aur wo bhi pooja ke saath hi”
Pratap “ oye iske liye to iskaa baap aur saath men sasur bhi lagegaa naa”
Aditya “ haan to”
Pratap “ saap aur newalaa eksaath kaise mumkin hogaa yah ?”
Aditya “dekh le tu aur abhiman kal se tension lene ki koi jarurat nahin hain bas free rahaa kar aur main kahun waisaa hi karte jaana 1 mahine ke andar andar teri sagaai karaa dungaa”
Itnaa kahte hi abhiman ke chehre par khushi aa jaati hain aur wo refill ka order detaa hain
Uske baad kal sham se lekar aaj subah par jo bhi hua wo sab aditya aur pratap abhiman ko bataate hain aur wo sun kar abhiman dang rah jaata hain
Abhiman aditya se “are yaar tu kahen to main teri baat chalaau kya?” Aditya “are nahin yaar main is mamle men teraa guru hun apna maamla khud sultaa lungaa”
Abhiman “thik hain agar jarurat pade to bol denaa teri setting kar deungaa”
Aditya “haan haan ab hamen apni setting lagaane ke liye aapki jarurat padne wali hain” aditya thode se banaawati gusse ke saath bola Abhiman muskuraate huye “maaf karna guruji main bhul hi gayaa thaa ki aapne hi meri aur pooja ki setting karwaai thi aur ab baap aur sasur ki bhi setting karwaane waale ho aur iske liye main aapka janmbhar upkrut rahungaa” Itnaa kahne ke baad teenon hansane lagte hain

Pratap “ yah to thik hain tum dononkaa par aditya yah bataanaa ki mujhe bhabhise kab milaaoge”

Aditya “ milaayenge jarur milaayenge yaar jaraa sabr rakh”

Pratap “ kab tak?”

Aditya “ thik hain kal abhiman ke office men main jab bulaau tab aa jaana”

Aur sab daaru pikarghar chale jate hain

Idhar sham ko office se deepa bhi ghar pahunch jaati hain par deepa bas apne khayaalon men sochne lag jaati hain ki kyaa hain yah ladkaa who to bas uljhan men hi aa jaati hain

Waise aajtak usne aisaa kisi ladke ke baaren men sochaa nahin hain. bhale kitne aashik uske aage pichhe uske collage men mandraate rahate the par wo kisiko bhi ghaas nahin daalti thi.

Aajtak usne kisi ko bhi apne paas nahin aane diyaa thaa.

Deepa jaise taise ghar aa jaati hain par usko ghar aate waqt bus men har ek mard men bas aditya hi dikhaai de rahaa thaa wo ghar aa kar khaanaa banane men maa ki madad karti hain. raat kaa khaana sabke saath khaakar aur waqt bitaane ke liye tv dekhne ke baad bed par let jaati hain par uski aankhonmen to nind to jaise hoti hi nahin hain bas usmen ek betaabi rahti hain ki kab aditya aaye aur wo aditya se firse gapshap Karen par wo is uljhanmen thi ki aditya kaa chehraa uske aankhonke saamne se ojhal hi nahin ho rahaa thaa. wo samjh hi nahin paa rahi thi ki wo isko kahe to kyaa kahen pyaar yaa aakarshan.
lovely update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 12


Agale din hi deepa jaise taise uth kar office chali jaati hain par uske kaam men dil nahin hotaa magar usko yah jarur aas hoti hain aaj jarur
aditya se mulaakaat hogi aur wo to bas sochte hi rahati hain ki aditya se jab saamna hoga tab wo kyaa bole
Tabhi abhiman usko kisi kaam se apne cabin men bulaa letaa hain
Deepa abhiman ke cabin men jaakar usse kaam ki baat kar leti hain par aaj baaten karte waqt wo dekh leti hain ki abhiman kaa aaj kaa mood kaafi accha hain aur kal ki udasi shaayad gaayab ho gayi hain to wo abhiman se puchhti hain “ sir aap ki kal waali tension khatam ho gayi kyaa ?”
Abhiman apni kursi par aaaram se apne haath sar ke pichhe rakh kar aaram se bataata hain “ maine apni tension kisi aur ko de di hain” aisaa kahkar muskuraadeta hain
Tab deepa palat kar cabin se baahar jaane lagti hain to pichhe se
abhiman aawaaj deta hain “ deepa” Deepa “ji sir”
Abhiman “aap us maamle ki tension naa le wo kaam ab jis aadmi ke
haath men hain wo kaam niptaa hi dega”
Deepa muskuraakar “thik hain sir agar kuchh mujhse hone jaisaa ho jarur bataiye”
Abhiman “ok agar kuchh hoga to jarur bataaunga”
Deepa apne cabin men firse aane par khidki men se baahar dekhti hain ki ek mercedes andar aati hai aur ek 55 ke aaspaas kaa aadmi jo ki white shirt, white pant men ekdam raubdar personality waala usse utar kar andar aata hain
Thodi hi der men aditya ki gadi bhi aa jaati hain aur aditya usmen se baahar aakar seedha building men aa jaata hain
Kaafi der beet jaati hain par abhiman ka usko bulaawa nahin aata jo ki
wo expect kar rahi hoti hain to deepa thodi pareshan ho jaati hain to usko lagtaa hain ki wo hi abhiman ke cabin tak chakkar lagaa kar aaye Deepa apne cabin men se baahar nikal kar abhiman ke cabin ki taraf nikal padti hain aur dheere dheere wo abhiman ke cabin ke paas pahunch jaati hain to wo dekhti hain ki andar wo aadmi abhiman ki kursi par baithaa hain aur uske saamne aditya baithaa hain aur donon cigrate pite pite kuchh baatchit kar rahen hain (darasal men abhiman ka cabin puri tarah se kaanch ka banaa hone ki wajah se puri tarah se andar waale ko baahar ka aur baahar waale ko andar ka dikhai deta hain)
Tabhi pichhe se bhagi bhagi reshma apne hath ke tray men 2 cup chaay ke kar aa rahin hoti hain tab deepa reshma ko rokkar puchhti hain “ wo kaun hain?”
Reshma “aditya sir hain pahchanti to hongi hi aap naa”
Deepa “wo to pataa hain par unke saath wo thode aged kaun hain” Reshma “wo abhiman sir ke papa hain”
Deepa “aur abhiman sir kahaan hain?”
Reshma “production men gaye hain kyun kuchh kaam hain kya?” Deepa “nahin tum jaao chaay lekar”
Reshma “main kahaan aapse badbadti baithi sir ab kuchh naa kuchh
jarur sunaayenge”
Reshma ke jaane ke baad deepa yah sochti hi rahti hain ki aditya kyaa chij hain jo ki abhiman ke papa ke saath men hi cigrate pitaa hain aur wo kuchh bolte bhi nahin
Thodi hi der men abhiman deepa ke cabin men aa jaata hain usko dekhkar deepa khadi ho jaati hain to abhiman usko baithne ko kah

detaa hain
Abhiman “baitho tum wo jaraa papa aur aditya mere cabin men kuchh baaten kar rahen hain so main unko disturb nahin karnaa chahtaa” Deepa “baithiye naa aap sir”
Abhman saamne waali kursi par baith jaata hain aur cabin ko ghur ke chaaron taraf dekhtaa hi rah jaata hain darasal wo kabhi kisi samay isi cabin men baithaa kartaa thaa par tab to ye cabin bas file ke gatthon se bharaa rahataa thaa to chuppi tod kar abhiman bol padta hain Abhiman “aapne kaafi acchi tarah se sanwaara hain is cabin ko” Deepa sharmaa kar “thank you sir”
Abhiman “pataa hain kabhi kisi samay men main yahaan par baithaa kartaa thaa”
Deepa “sach men sir?”
Abhiman “haan par meraa cabin to bas ek files ke store room ki tarah hi rahtaa thaa baithne ke liye jagah hi nahin milti thi, sachmen har ghar ki tarah hi har ek office ko bhi kisi sambhaalne waale ki jarurat hoti hain aur wo aap bakhubi nibhaa rahin ho” yah sab wo deepa ke table par ke kuchh chhote chhote show items ko dekhkar kahtaa hain Deepa kuchh kahen uske pahale hi aditya wahaan pe abhiman ko dhundhtaa huaa aa jaata hain
Aditya “are yaar kahaan kahan dhundhaa tujhe aur tu yahaan hain” yah kahte kahte aditya abhiman ke paas ke kursi par aakar baith jaata hain Tabhi pichhe se pratap bhiaa aa dhamktaa hain aur abhimaan ko “hi” kahtaa hain
Abhiman “aa jaa bhai aa jaa”
Pratap “accha cabin sajaaya hain yaar”

Abhiman “meraa thodi naa hain inkaa hain”kahkar saamne deepa ke taraf dekhtaa hain to uske pichhe pratap ki najaren bhi deepa par jaati hain aur who usko dekhkar mantrmughd ho jaata hain
Abhiman “inse milo yeh hain miss deepa yahaan ki accounts manager” itnaa kahte hi pratap apnaa haath shake karne ke liye aage badhaata hain par deepa bas file men se muh uthaakar usko smile de deti hain Tabhi abhiman pratap ki pahchaan karwaate huye kahataa hain ki “yeh hain pratap, aditya ka sabse close friend aur meraa bhi dost hain aur yeh perfect spm men hi partner hain”
Yah sab sunne ke baad deepa firse muskuraakar firse file men apnaa sir daal deti hain
Tabhi abhiman kahtaa hain “are chalo cigrate peekar aate hain” aur
uthne lag jaata hain tabhi aditya uskaa haath pakad ke firse beetha detaa hain
Aditya “are ruk baahar tere papa hain unke saamne cigrate piyegaa kya
tu?”
Abhiman “hamaari aisee kismet kahaan ki papa ke saamne cigrate piyu”
Aditya tabhi reshma ko phone karke ashtray mangwaata hain Adityaa “deepa sunna to jaraa” deepa apnaa sar file men se baahar nikaal kar jawaab deti hain
Deepa “jee sir”
Aditya “hum log yahaan cigrate piyenge to tumhe koi problem to nahin hain naa” aditya deepa ko ghurte huye yah boltaa hain
Deepa “nahin sir koi problem nahin hain”
Tabhi pichhe se reshma aakar ashtray table par rakhkar chali jaati hain

Aditya sabko cigrate aur light karke sabse aakhir men apni light karte huye boltaa hain
Aditya “accha hain agar hoti bhi to bhi hum yahi pite” aditya ki is baat
par donon hansate hain aur aditya apni cigrate light kar letaa hain Abhiman “papa gaye honge kyaa abhi?”
Aditya “khidki men se baahar dekh unki gaadi abhitak baahar hi khadi
hain”
Abhiman “to kahan honge abi wo”
Aditya “tere papa abhi tak tere hi cabin men hi honge” aditya ki is baat par pratap hanstaa hain
Abhiman “teri baat ho gayi kyaa?”
Aditya “han ho gayi dimaag men kidaa chhod diyaa hain dekhte hain ki kyaa hotaa hain?” aditya apni cigrate ko donon honthonke beech dabaaye huye boltaa hain
Abhiman “aur kuchh?”
Aditya “haan ab se ghar par jaane ke baad thodaa aisaa dikha ki tera kisi chij men intrest nahin hain”
Abhiman “haan thik hain aur kuchh?”
Aditya “ haan aur manisha ko jaraa samjhaa de ki ghar men thode din jyaada muh naa khole usne muh khol diyaa to ho gayaa tera kaam tamaam”
abhimaan hansne lagta hain aur apni hansi rok kar boltaa hain “ haan thik hain usko samjhaa dungaa”
Sab ki cigrate khatam ho jaati hain
Aditya pratap se “dekh dekh saanp aur newle ke beech men mujhko chhod kar kaise hans rahaan hain”

Pratap bhi yah sunkar hansne lagtaa hain aur kahta hain “tune ki aafat apne gale baandhi hain wo kahaan bolne aayaa thaa ki aditya meri madad kar”
Aditya “are yaar dosti bhi to koi chij hoti hain mujhse iskaa dukh dekhaa nahin jaa rahaan thaa isliye jimmedaari liyi hain” Abhiman “wo chhod ab unse milne ab kab jaane waalaa hain?” abhiman aditya ka dhyan apni taraf khinchtaa huaa kahtaa hain
Aditya “abhi thodi der baad jaane waalaa hun prataap ko saath lekar aayega kyaa tu bhi?”
Abhiman “le le ab meri condition kaa majaa le” yah sunkar firse donon hansne lagte hain
Aditya “main aaj wahaan pahal karne jaa rahaan hun isliye aaj tu saath
men nahin aayegaa samjhaa”
Abhiman “thik hain par tu karnewalaa kyaa hain?”
Aditya hanste huye kahtaa hain “tu aam khaane se matlab rakh baaki mujhpar chhod de”
Abhiman “ haan haan thik hain jo man chaahe wo kar par bas matter badhaa mat denaa bas”
Aditya hansne lagtaa hain tabhi wo dekhtaa hain ki abhiman ke papa ki gaadi chali gayi hain to wo abhiman se kahta hain “ chal ab to tere baapu chale gaye ab chal baahar”
Itnaa kahkar teenon baahar chale jaate hain aur deepa sabke jaane ke baad file men se apna sar baahar nikaalti hain
Itni der uske sab sunne ke baad usko pataa chaltaa hain ki darasal jo bhi abhiman ki tension thi wo ab aditya suljhaane waalaa hain par wo yah jaan nahin saki ki yah manisha kaun hain? Aur uskaa chup rahne

se kyaa hoga? Fir wo yaad karti hain ki aditya ne uski taraf kuchh bhi gaur nahin kiyaa naa hi uske cabin ki taraf

Idhar aditya aur donon baahar aakar seedhe abhiman ke cabin men

chale jaate hain

Pratap “yaar tune deepa ko kuchh dikhaaya nahin yaa uske cabin ke baaren men kuch kyun nahin bola”

Abhiman “ haan yaar main to expect kar rahaa thaa ki ab hum sab deepa ke cabin men hain to tu deepa ke saath thodi flirting wagairaa kuchh karegaa par tune to usko ignore hi kar diyaa”

Aditya hanste huye kahtaa hain “maine kahin par padhaa hain ‘pretty girls behave best when you ignore them’”

Abhiman “fir uske cabin men itni der baith kar gappe ladaane ka

faayda kya ?”

Aditya gambhirtaa se kahata hain “girls must know you are ignoring them”

Itnaa sunkar sab hansne lag jaate hain aur adhaa ghantaa kuchh aur

topics par baat chit hoti hain aur fir aditya pratap ko lekar nikal jaata hain..
awesome update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218
Update 13

Aditya aur pratap ki gaadi ek bahut bade bangale ke saamne aakar ruk jaati hain bungle kaa gate hi kaafi shaandaar hotaa hain koi bhi wo dekhkar hi bataa saktaa hain jo aadmi andar rahtaa hain wo kaafi rayis hain bungle ki name plate par dhyaan jaata hain to usmen black marble par ‘Vrundawan’ naam golden colour men likhaa hota hain aur niche maalik ka yaani ki ‘Mr. S. D. Dahanukar’ likhaa hotaa hain
Darasal men yah dahanukar aditya ke door ke rishtedaar hote hain aur shahar ke ek bahut bade businessman aditya waise kaafi saalonse ek
hi shahar men rahte huye bhi unke ghar aata nahin hain par aaj to koi aur chaara bhi nahin thaa
Aaj shaayad apne mata-pita gujar jaane ke baad dusare ya teesare
rishtedaar ke ghar jaa rahaa hogaa wo par aaj ka jaane kaa reason abhiman hotaa hain so apne man ko puri tarah samjhaa kar wo us ghar men jaane ke liye taiyaar ho jaata hain
Aditya horn bajaata hain baahar bhaag kar security guard aata hain aditya security guard se kuchh kahtaa hain aur gate khul jaata hain aur aditya ki gaadi andar chali jaati hain
Aditya aur pratap gaadi park karke ghar ke darwaaje ki taraf badhate hain aur darwaaje ki bell bajaata hain aur thodi der ke intejar ke baad ek 24 saal ki bahut hi sundar ladki darwaajaa kholti hain
Aditya “hi pooja”
Pooja “oh hi aditya aakhir itne saalon baad aaj waqt milaa hain ghar aane ko”
Aditya “kyun nahin aa saktaa hun kyaa yahaan?” Pooja “haan aa sakte ho aao andar aao”
WO ladki aditya aur pratap ko l andar le jaati hain aur ek bahut bade
drawing room men sofe par baithne ko kahti hain
Aur jor se aawaj lagaati hain “maa dekho to kaun aaya hain ?” aur kitchen ki taraf chali jaati hain
Thode der ke intejaar ke baad ek aurat drawing room men aati hain aur aditya ko dekh kar shock ho jaati hain aur unki taaraf aate aate kahati hain “aaj kahaan se raasta bhul kar yahaan aa gaaye aditya”
Aditya “aisaa kuchh nahin hain savitri chachi raasta bhul kar nahin aaya hun balki yahaan se hi gujar rahaa thaa to sochaa ki kaafi din ho

gaye aapse milaa nahin hun to miltaa jaau”
Savitri chachi “accha kiaa jo milne ko aa gaye 5 saalonse ek hi shahar men rahate ho aur aate nahi ho”
Aditya “wo mujhe waqt hi nahin miltaa chaachi isi liye aana mushkil ho jaata hain”
Savitri chaachi andar aawaj deti hui kahti hain “are pooja jaraa aditya
aur pratap ke liye chaay laana to”
Andar se pooja ki aawaj aati hain “haan wohi banaa rahin hun” Aditya “haan haan chaay laao aaj ham puri taiyaari se aaye hain puri khaatirdaari karwaake hi jaayenge”
Saavitri chaachi “haan jo chahiye wo khaatirdaari karwaa lo tumhaaraa hi to ghar hain”
Aur sab hansne lag jaate hain
Saavitri chaachi “aur pratap beta tumhaaraa kaisaa chal rahaan hain?” Prataap “ji chaachi bahut accha chal rahaa hain”
Tabhi andar se pooja haatmen ek tray jismen chaay ke cup hain usko uthaakar laati hain aur unko aditya aur pratap ki taraf badhaa deti hain Aditya jab chaay uthaata hain tab wo sar uthaakar pooja ki taraf dekhtaa hain aur kahataa hain “chaachi hamaari pooja ab kaafi badi ho gayi hain”
Chaachi “haan wo to ab dikh hi rahaa hain mujhe to ab bas isko shaadi ki chintaa hain”
Aditya chaay ka ghunt lekar “chaay kaafi acchi baayi hain pataa nahin
kis ke naseeb men hongi aisee roj ki chaay” yah sunkar pooja sharmaa jaati hain apnaa sar jhuka leti hain
Chaachi “haan ghar kaa saara kaam kaaj aata hain isko to”

Aditya “mujhe samajh men nahin aata ki ghar men itne saare naukar hone ke baawjud aap hi khaana banate ho kaabile taarif hain” Chaachi “tumhaare ghar men bhi to yahi hain khaana to ghar waalon ke haathon kaa swaadist hotaa hain”
Aditya aur prataap chaay ki chuskiyaan le rahen hote hain tabhi chaachi firse bol padti hain
Chaachi “aaj bahut dinon baad ghar aaye ho to khaanaa khaakar hi jaanaa abhi thodi der men tumhaare chaachaaji aate hi honge” Aditya “haan thik hain hum pooja ke haath ka khaanaa khaakar jaayenge”
Chaay khatam karke firse aditya boltaa hain “shaayd ab waqt aa gayaa hain ki hamaari bandariyaa ke liye koi Bandar dulhaa dhundhaa jaaye” Yah sunkar pooja aur sharmaa jaati hain aur apne kamre ki trarf bhaag jaati hain
Yah sab dekh aur sunkar teenon hansne lag jaate hain
Chaachi “dekho aditya ab to tum yahin rahate ho to ab tumhaari bahen ki shaadi ki jimmedaari ab tum hi le lo aur koi accha sa ladkaa dhundho”
Aditya to yah sunkar muskuraa detaa hain aur man hi man sochtaa hain ki ab chaachi to botal men utar gayi hain aur pooja ke liye ladkaa dhundhnaa uskaa hi kaam hain
Aditya “haan waise ek ladkaa najar men hain chaachaaji se baat kar lungaa uske baarenmen”
Chaachi “thik hain apne chaachaaji se aane ke baad baat kar lenaa abhi thodi der men aate hi honge wo tum aisa karo wo jab tak aate hain kyun naa pooja ke saath kuchh baatchit karon main dinner ke liye

kuchh taiyaariyaan karti hun”
Aditya “thik hain main pooja ke room ki taraf jaa rahaan hun chaachaaji jab aaye to mujhko aawaaj lagaa lenaa”
Aditya aur pratap donon pooja ki kamare ki taraf chal padate hain Aditya pooja ke kamre kaa darwaaja khatkhataata hain aur who to khul jaata hain aur aditya dekhataa hain ki pooja bed par pet ke bal leti hain aur uske haathon men abhiman aur uskaa ek saath men ek photograph hain wo usko bas dekhe hi jaa rahin hain thodi der aditya intejaar hain ki uskaa dhyaan baahar aaye par uski orse kuchh aisaa nahin hotaa hain to wo chuppi todne ke liye kuchh kahtaa hain
Aditya “ to hamaari laadli bahen kaa shaadi ke baaren men kyaa khayaal hain main jaan saktaa hun kyaa?”
Pooja achank aayi is aawaj se jaise ek sapne se jag jaati hain aur pichhe ki or darwaaje ki taraf dekhti hain to wahaan par aditya aur pratap muskuraa rahen hain
Pooja “tum to sab kuchh jaante ho aditya fir bhi bahar aisee baaten kyun kar rahe the?”
Aditya “haan main sab kuchh jaanta hun isi liye yahaan aaya hun”
Pooja “matlab”
Aditya “are pagli teri shaadi ke baaren men baat karne hi to aaya hun” Pooja “main kuchh samjhi nahin”
Aditya “are pratap yaar tu kuchh samjhaa de meri pyaari behnaa ko” Tab prataap charge lekar usko sab baaten samjhaa detaa hain Aditya firse ek baar boltaa hain “tujhe kyaa lagaa ki main mere dost aur teri premkahaani puri nahin hone dungaa kya?”
Pooja “aditya par yah kaise mumkin hogaa tumhe to pata hi hain naa

mere papa aur abhiman ke papa ki bilkul bhi nahin jamti” Aditya “han pataa hain to”
Pooja “to kyaa wo dono is shaadi ke liye hargij raaji nahin honge”
Aditya “main un donon ko raaji kar ke hi rahungaa”
Pooja “yah honaa naamumkin hain usse accha hain ki tum mujhko yahaan se bhagaa kar abhiman ke paas lekar jaao”
Aditya “aisee baat kabhi mat karnaa pagli tujhe pataa nahin hain isse mata-pita ke dil ko kitni thech pahunchengi aur to aur tujhe aisee haalat men abhiman ke ghar waalen accept karenge kya?”
Pooja “mujhe kuchh maaloom nahin tumhaare ghar aakar hum log rah lenge par….” Tabhi uski baat kaat kar aditya bolta hain
Aditya “maine abhiman ko kahaa hain ki tum dononki dhum dhaam se
mata pita ke aashirwaad ke saath shaadi hogi aur iske liye mujhe ek baar koshish karke dekh lene do agar meri koshish naakaam ho jaaye to tumhen pataa hain hi”
Pooja “haan pataa hain ki tumne ladki ko ghar se bhagaane men Ph.D. kar li hain Dr. Aditya Jahagirdaar”
Aur fir se teenon hansne lag jaate hain aur achaanak se ruk kar aditya
pooja ka chehraa apne haath men lekar aur uske aankhon men aankhen daal kar kahtaa hain
Aditya “mujhe pataa hain ki tumhen ghar se bhagaane ka din kabhi nahin aayegaa main tum donon ke maata-pitaa ko mana lungaa”thodi der ruk kar aditya sawaaliyaan aankhon se puchhta hain “kyaa tumhe mujhpar puraa yakeen hain?”
Pooja uski aankhon men aankhen daalkar jawaab deti hain “haan mujhe tum par puraa wishwaas hain aditya”

Tabhi baahar se chaachi ji ki aawaj aati hain ki chaachaaji aa gaye hain aur wo aditya se milnaa chahte hain to wo teenon baahar drawing room men chale jaate hain wahaan par chaachaa ji sofe par baithe hote hain aur pooja kitchen men daud kar chali jaati hain khaanaa banaane ke liye

Chaachaaji “kab aaye tum aditya?” Aditya “abhi thodi der pahle hi aaya hun”

Chaachaaji “chaay-paani huaa yaa nahin?” Aditya “haan ho gayaa hain”

Chaachaaji “thik hain tum yahin baitho thodi der main fresh hokar aata hun aur fir ..” aur haath se thodi thodi ki nishaani dikhte hain aur teenon hansate hain…Chaachaji andar chale jaate hain…

Aditya chaachaaji ke andar jaane ke baad to bas apne khayaalon men gum ho jaata hain ki wo chaachji se kaise baat Karen. kyunke usko aisee baaten karne kaa yah to bas dusaraa maukaa hotaa hain par uske man men thodi jhijak hoti hain kyunki jab pichhli baar wo yah baat karne gayaa thaa tab uske sath uskaa sabse badaa bhai vikram thaa. jo ki sabhi bhaiyon men se sabse samjhdaar aur logonse har prakaar ki baaten karne men expert thaa. aaj aditya ko uski kami jarur khal rahi thi par aaj usko to bas khud par yakeen rakhkar yah baaten karni thee pratap to bas uske saath company deneke liye aayaa thaa. wo to aisee baaten karne ke baaren men soch bhi nahin saktaa thaa.

Man to naa naa kar raha thaa par achaanak se uski aankhonke saamne wo mulaakaat aa jaati hain jab wo pahali baar aisee baaten karne ke liye vikram ke saath gaya thaa aur us din usko kisi chhote aadmi se bhi mukaabalaa nahin karnaa thaa.


Jisse is baaren men baat karni thi wo us state kaa home minister thaa. par vikram aditya ko apne saath khinch laaya thaa. jaise ki aaj aditya pratap ko apne saath lekar aaayaa thaa farak bas yah thaa ki vikram wahaan khud ki shaadi ke baaren men baat karne aayaa thaa.
lovely update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
congratulations for new thread bhai ji..story purani hai to kya hua bhai aap yahan post kar rahe matlab yaden taja ho jayegi jo padh chuke unki bhi
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker
Top