• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Teri Meri Love Story (Completed)

Kya aap firse is story ko padhne me interested hai?

  • Total voters
    11

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 16

Ghar par jane ke baad aditya change karke bed par let jaata hain par uski aankhon men to neend ka naaamo nishaan nahin hotaa hain aur uske man ke andar ek anokhi kashamkash chal rahi hoti hain par yah kashmkash uske man men apne aur deepa ko lekar nahin hoti hain balki abhiman aur pooja ke liye hoti hain par achaanak uske man men yah aa jaataa hain ki agar chaachaaji naa bol de to jaraa pareshaani aa sakti hain aur man hi man men yah sochne lagtaa hain ki agar yah pareshaani bhi agar vikram aur vaishnavi ke waqt hui thi waisee ho gayi to ?

Par wo apne aap ko samjhaane lagtaa hain ki abhiman vikram ke mukaable jyaadaa emotionally strong hain par wo jarur pooja ko jindagi bhar ke liye nahin bhulaa sakegaa aur achaanak se uski aankh
lag jaati hain uski aankhonke saamne usko wahi din firse yaad aa jaata hain jab wo vikram ko lekar vaishnavi ke papa se baat karne gayaa thaa Unke bungale se baahar niklne ke baad to bas jaise vikram kuch bhi kahne sunne ki haalat men hi nahin thaa to aditya usko saath lekar
apni gaadi ki taraf chal detaa hain aur jald hi wo apni gaadi men hote hain waise to aditya apne sabse bade bhai vikram se emotionally bahut
attach jaisa thaa aur wo vikram ko is haalat men dekh to nahin saktaa thaa so wo apnaa dimaag daudaane lagtaa hain aur usko achaanak kuchh baaten yaad aa jaati hain aur wo apni gaadi lekar seedhe apne ghar ki taraf gaadi lekar chal padta hain jo ki lagbhag wahaanse
200-220 km thaa
Par unke ghar pahunchane se pahale hi vaishnavi ke papa kaa vikram ke daadaaji ko phone aa jaataa hain aur unhen wo sab sab baaten bataa dee jaati hain jo ki aaj subah huyi thi so dadaji turat vikram ko phone karte hain par vikram apnaa phone to silent mode par karke rakhaa huaa hone ke kaaran jaan nahin pata hain ki dadaji usko phone karne ki koshish kar rahen hain to baad men daadaaji aditya ko phone kar dete hain
Dadaji “hello aditya kidhar ho tum aur vikram?”
Aditya “ji wo mere saath hi hain aur hum ghar hi aa rahen hain yahaan jaraa ek baat ho gayi hain”
Dadaji “sab pataa hain mujhe abhi thodi der pahale phone aaya that um donon ghar aa jaao mujhe tum dononse baat karni hain”
Aditya “jee thik hain anna”
Aditya phone rakh detaa hain aur sochne lag jaataa hain ki ab dadaji kaa saamna kiyaa kaise jaaye yahi sochte sochte wo gaadi drive karke apne ghar pahunch bhi jaataa hain
Darasal men aditya annasaheb jahagirdaar ka potaa hotaa hain jo ki state men hi nahin balki uske upar bhi bahut badi political power rakhte hain aur state ke fianance minister hain
Aditya Ghar men jaata hain aur apni gaadi garage men lagaata hain to dekhtaa hain ki ghar ki sab cars ekkattha hain yaani ki sab ghar men hi
maujud hain aur man hi man men yah sochtaa hain ki
‘Vikram bhai to bach jaayenge unko unki haalat ki wajah se koi bolegaa nahin par aaj sab mujhe hi pakad kar sawaal bhi puchhenge aur meri hi sab milkar band bajaa denge’
Sochte sochte wo ghar ke darwaaje men khadaa rah jaata hain aur dekhtaa hain ki daadaaji drawing room men hi sofe par baithe huye hain aur unke saath donon chaachaa baithe hain aur kuchh baatchit ho rahi hain aur baaju men hi daadaaji kaa PA khadaa hain to wo donon hichkichaahat ke saath anadar aate hain aur aditya sabhi log jahaan baithe the wahaan par uski najaren ek khaaas aadmi ko dhundh rahi hoti hain jinse aise waqt men saamna karnaa wo nahin chahataa thaa aur wo the uske papa
Aditya ko achaanak yaad aa jaata hain ki uske papa aaj hi kisi business tour ke liye baahar jaane waale the isiliye wo yahaan nahin the aur aditya bach gayaa thaa
Aditya aur vikram donon andar aakar unke saamne se andar jaane lagte hain tabhi pichhe se aawaj aati hain “aditya vikram idhar aao”aditya pichhe mudkar dekhtaa hain to uske dadaji ne aawaj diyi hui hoti hain donon chupchaap jaakar unke saamne khade ho jaate hain wo bhi sar jhukaaye huye
Tabhi dadaji unse kahate hain “baitho mujhe tum dononse baat karni hain”
Donon daadaji ke saamne ke sofe par baith jaate hain aur man hi man
sochte hain ki ab unke naseeb men kyaa likhaa hain
Dadaji “vikram tumhe yah baat pahale mujhe bataane ki jaraurat nahin samajhi”

Donon sar jhukaaye aise baithe hote hain jaise unhone koi chori kiyi ho aur pakade jaane ke baad police ke saamne baithe ho 2 minat ke baad daadaji aditya ki or muh karke puchhte hain
Daadaaji “aditya tum is sab ke baaren men kyaa jaante ho?”
Aditya firbhi chup baithaa rahtaa hain aur koi jawaab nahin detaa hain ab uske daadaaji ko thodaa gussa aa jaata hain aur wo bolte hain Daadaaji “kyaa tum donon putale ban gaye ho mujhe jawaab chahiye hain”
Tab aditya thodaa darte darte huye boltaa hain “ji anna main sab kuchh jaanta hun”
Tab wo firse aditya ko puchhte hain “tumhe kabse pataa yah yah sab?” Aditya “ji main to shuruaat se jaanta hun”
Daadaaji “to tumhe aisaa nahin lagaa ki madhav se baat karne se pahale mujhse baat karnaa jaruri nahin samjhaa?”
Aditya “mujhe lagaa ki vikram khud aapse baat kar legaa is wajah se
main kuchh bhi nahin bola”
Dadaji “to fir tumhe maadhav ke paas jaate waqt kuchh bhi nahin pataa thaa ki kyun jaa rahen ho?”
Aditya “nahin mujhe kuchh bhi nahin pataa thaa mujhe lagaa ki vikram bas vaishnavi se milne ke liye jaa rahaan hain aur mujhe bas gaadi chalane ke liye saath le jaa rahaa hain”
Daadaaji thodi der kuchh sochte hain aur vikram se puchhte hain “vikram kyaa tum us ladki se shaadi karnaa chahte ho?”
Vikram kuchh bolne ki mansthiti men nahin thaa par daadaaji usse wahi sawaal dohraate hain to
vikram “anna main ek hi baat jaanta hun ki main us ladki ke siwaas jee

nahin saktaa hun aur uske binaa jeene men meraa koi intrest nahin hain”
Yah kahkar vikram seedha uthkar apne room ki taraf chalaa jaata hain
to daadaaji apne sabse bade bête aur vikram ke papa surybhaan ki taraf dekhte hain aur usse kuchh kahnaa chahte hain tabhi wo dekhte hain ki aditya unki taraf hi najaren gadaaye baithaa hain aur jaananaa chahtaa hain ki wo aage kyaa karenge
To dadaji aditya se kahte hain “tum andar jaao aur vikram kaa dhyaan rakho usko thodaa samjhaao”
Aditya uthkar sar neeche jhukaaye bas “jee anna” kahkar vikram ki room ki taraf chalaa jaata hain wo andar jaakar vikram se kuchh baaten karta hain aur usko vishwaas dilaata hain ki sab thik ho jaayegaa aur uski shaadi vaishnavi se hi hogi wo thodaa dheeraj rakhe yah kahakar wo kisi se phone par baatcheet kartke gaadi lekar milne ko chalaa jaataa hain
Darasal men manav deshmukh ko aditya acchi tarah se pahchaantaa hain
Jab aditya diploma first year men thaa tab manav degree final year
men thaa aur tab unki pahchaan hui thi aur usko manav ki love story ke baaren men pataa hotaa hain jo ki uske collage life se hi thi wo bas
ab yah pataa lagaanaa chataa thaa ki uskaa yah premprakaran kahaan tak pahunchaa hain jisse ki wo is maamle men uskaa faaydaa uthaa saken to wo apne saath abhiman aur pratap ko bhi le jaata hain
Manav se milne par yah sunne ko miltaa hain ki uskaa aur rashmi kaa affair bahut jor shor se chal rahaan hain aur wo bhi apni bachpan men thaharaayi hui shaadi ki wajah se pareshaan hain wahaan aditya usko

kuchh aise bhadkaa detaa hain ki manav apne mata-pita ke khilaaf jaakar shaadi karne ko taiyaar ho jaata hain aur fir aditya usko vaishnavi aur vikram ke baaren men thodi see idea detaa hain aur subah ki huyi ghatnaa bataa detaa hain jisseki ab iske baad uske upar jald se jald shaadi ke liye pressure taiyaar ho jaayega aur uski wajah se ghar men emotional blackmail wagairaa hone ke chances bhi bataa detaa hain to manav dusare hi din ko court marriage karne kaa pakka kar detaa hain kul milaakar aditya khush hokar ghar laut jaataa hain Aditya ghar waapas aakar dekhtaa hain to ab ghar kaa maahaul thodaa clear hotaa huaa dikhai detaa hain aur wo apne bed par let kar fir se ek baar apne plan ke baaren men sochne lag jaataa hain par uske man men ek aashankaa aati hain ki agar maanav ne shaadi nahin kiyi to uskaa puraa plan fas saktaa hain to wo firse kuchh aur sochne men lag jaataa hain aur isbaar ek aisee idea aa jaati hain jo ki jismen risk to hotaa hain par kaam banne kaa full chance rahtaa hain
Wo uth jaataa hain aur apne saath abhiman, Pratap, aur vikram ko uthaa letaa hain aur gaadi nikaal kar chalaa jaataa hain waise to sabhi ko aditya ka nature pataa thaa ki wo kisi bhi waqt uthkar kahin bhi chala jaata thaa isliye usko kisine rokne ki koi koshish nahin kiyi Abhiman, pratap aur vikram ko kuchh bhi pataa nahin thaa ki wo kyun aur kahaan jaa rahe hain bas wo aditya ke saath baithe the aditya apni gaadi full speed men daudaa kar vaishnavi ke ghar ke paas pahunch jaata hain tab tak subah ke 3 baj chuke hote hai. Wahaan par wo gaadi park karke teenon ko plan samjhaataa hain aur gupp andhere kaa faaydeaa uthaakar vikram aditya aur pratap bungale ki deewar faankar andar chale jaate hain aur abhiman baahar hi gaadi chalu rakhkar ruk

jaata hain taaki agar kuchh ultaa seedha ho jaaye to wo bhaag saken. Aditya vikram se puchhta hain ki vaishnavi ko phone Karen aur uska kamaraa kidhar hain puchheaur khidki par aakar khade rahen Vaishnavi phone par jaruri jaankaari deti hain aur teenon uske kamre ke neeche pahunch jaate hain. Wahaan pahunchane par aditya aur vikram upar vaishnavi ki pahale maale par ki khidki tak chadhne ki koshish karte hain par vikram chadh nahin paataa to wo phone par hi vaishnavi ko sab samjhaakar usko neeche aane ko kahaa par usko utarne men bahut dar jaati hain to aditya kisi tarah se chadh kar uski khidki tak pahunch jaataa hain aur uske hi dupattonki dori banaakar usko utaar detaa hain aur baad men khud kud jaata hain wo firse deewar faankar baahar aa jaate hain. Is darmiyaan aise kai waakiyaan hote hain jisse aditya aur prataap khul kar hansane se baaj nahin aataa (vikram bilkul bhi nahin hansaa aakhir agar aap apni girl friend ko ghar se bhagaa rhen ho to aap apni girl friend par kaise hans paaoge?) Gaadi men jaane ke baad to bas apne shahar men jane tak to aditya, pratap aur abhiman hans hi rahen the ki unhone home minister ki beti ko uthaakar laaya hain. Apne shahar jaate waqt aditya gaadi ko ek chhotese gaanv men rokne ko kahtaa hain aur wahaan par hi ek mandir dhundkar un donon ki shaadi karwaa detaa hain.
Uske baad to ghar men aane men dopahar ka 1 baj jaataa hain aur sabhi gharon men tension thee. Aur ek hi tme par vikram aur maanav donon shaadi karke ghar aa jaate hain. Home minister ke ghar ek hi waqt phone pahunch jaata hain ki vaishnavi aur manav ne alag alag jagah shaadi kar li hain. Baad men ghar men bahut sunaa suni hoti hain is baat par bête ne shaadi kar li hain to ab vaishnavi ghar ki bahu

hain yah kahkar dadaji sab ko shaant kar dete hain.

Is shaadi ki baat ko donon gharon ki ijjat ke khaatir dabaaya jaata hain aur baad men dhumdhaam se vikram aur vaishnavi ki shaadi karwaa dee jaati hain. Aur aaj ke din men vikram state ke chief minister ka damad hain…
 
  • Like
Reactions: mashish

DirtyBiker

:redface:
4,422
1,976
143
Update 17

Do teen deen aise hi beet jaane ke aditya ko uske chaachaaji ki rajaamandi aa jaati hain aur wo abhiman se milne pratap ko saath lekar uske office chal padtaa hain
Uski gaadi jaise hi gate men se andar aati hain waise hi deepa ko bahut
khushi hoti hain aur sochne lag jaati hain
Aditya aur pratap gaadi se utar ke abhiman ke cabin ki taraf chal padte hain.
Abhiman ke cabin men jaate hi donon uske saamne rakhi dono kursiyonko jaise apne ghar kaa sofa samjhkar usmen ekdam aaraam se baith jaate hain. Wahaan par abhiman ek file men sar daal kar usmen kuchh kaam kar rahaa thaa aur abhiman par aditya hukum chhod detaa hain “ are yaar chaay pilaa hamko”
Abhiman bas unki baat suntaa hain aur chaay mangaa letaa hain aur aditya se puchhtaa hain “kaam kidhar tak pahunchaa?”
Aditya “are ruk yaar chaay aane de bataate hain”
yah sunkar abhiman firse apne file men sar ghusaa letaa hain udhar bas 5 minute men hi reshmaa chaay lekar daudi daudi aa jaati hain aur table par chaay rakhkar nikal jaati hain
Chaay ko dekhkar aditya apna cigrate packet baahar nikaaltaa hain aur usko kholkar pratap ke saamne kar detaa hain aur ek khud bhi nikaalataa hain aur packet abhiman ki or kar deta hain aur apni dononki
cigrate lighter se jalaakar lighter bhi abhiman ki or badhaa deta hain par uske to muh par baara baje hote hain to uspar aditya aur prataap hansane lag jaate hain
Abhiman thode gusse men aakar bol padta hain “ hanso naalaayakon hanso jis din tum dononpar mere jaisee situation aayegi tab tumhen samjhegaa”
Yah sunkar to donon aur jyaadaa jor se thahaake lagaane lagte hain aur pet pakad pakad ke hanste hain tabhi hansate hansate aditya boltaa hain “cigrate pee cigrate ….kaam thodaa thodaa ban gaya hain” Yah sunne ke baad abhiman ke chehare par ke bhaav thode thode badalane lag jaate hain firbhi wo saamne haath badhaakar cigrate ke pecket men se cigrate nikaal letaa hain aur usko lite kar detaa hain aur sunaa detaa hain “theek se bataate ho yaa nahin?”
Aditya apni kursi par hi aage badhkar usko kahtaa hain “muh meetha kar yaar teraa sasur maan gayaa hain”aur aditya aur pratap hansne lag jaaate hain
Abhiman “rahne de unko manaanaa to tere baaye haath kaa khel thaa mere papa ko manaa ke dikhaa tab main tumko maanungaa”aur ek najar baahar ki taraf daudaa detaa hain
Aditya “itnaa hi aasaan thaa to aajtak tune kyun nahin manaayaa unko?” aur sunkar sabhi hansne lag jaate hain
Idhar sab dhuye ke kash liye jaate hain aur baaten bhi chal rahi hoti hain aditya naa jaane abhimaan ko kaise kaise khwaab dikhaa detaa hain aur sunkar abhimaan sapne sajaane lag jaata hain. Darasal logonko khwaab dikhaanaa aditya ki ek bahut hi badi kaabiliyat hain aur wo hameshaa logonko ismen fansaa letaa hain par iskaa upyog usne

deepa par nahin kiyaa hain.

Kaafi idhar udhar ki bakbak ke baad aditya kaam kaa subject fir se uthaa letaa hain “yaar abhimaan aaj dekh tere baap ko pataaungaa” Idhar abhiman shaadi ke sapane dekh rahaa hotaa hain aur achaanak apne papa kaa naam sunke uskaa yah sapnaa tut jaataa hain par firbhi pooja ki gharwaalonse haan sunne ke wajah se wo aditya par puraa wishwaas rakhtaa hain

Tabhi aditya prataap ki taraf muh karke boltaa hain “tu bhi saath chalegaa”

Pratap achaanak se chaunk jaata hain aur kahataa hain “yaar is baar main nahin aaungaa chaachaaji ke ghar le jaate waqt bola thaa ki unke saath bas thodi cigrate pini padegi wahaan le jaakar daaru ki botal palti kar dee thi, main nahin aaungaa”

Yah sunkar donon hansne lag jaate hain aur aditya kahtaa hain “thik hain mat aanaa saath men chal main jaraa devijee ke darshan karke aataa hun”isi baat par sab log hansane lag jaate hain aur aditya apni kursi par se uthne lag jaata hain aur un donon ki taraf hi dekh kar darwaajaa kholne jaata hain aur udharse darwaaje ke baahar se deepa apne haathon men files kaa ambaar lekar khadi hoti hain aur idhar aditya binaa dekhe darwaajaa kholkar hanste huye baahar jaane lagtaa hain aur directly jaakar deepa se takraa jaataa hain aur donon ke donon gir jaate hain aur yah seen dekh kar to donon aur jorse hansne lag jaate hain
 
  • Like
Reactions: mashish

mashish

BHARAT
8,032
25,909
218

lovely update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

nice update
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
awesome update bhai ji
 
  • Like
Reactions: DirtyBiker
Top