- 4,422
- 1,976
- 143
update every night after 10.30Update no 14 bro?
nice updateUpdate 14
Darasal baat yah thi ki vikram ki us waqt ka home minister madhukar waghmaare ke ladki ke sath muhabbat ho gayi thi. jiskaa naam vaishnavi thaa aur vaishnavi bhi vikram ke pyaar men puri tarah se paagal ho gayi thi aur wo bhi bas vikram ke saath hi shaadi karnaa chahati thi. uskaa aur kisi chij men se puraa intrest hi ud gayaa thaa aur isi wajah se vikram uske pitaa se baat karne ke liye gayaa thaa (apne ghar waalonko bataaye binaa). par koi naa koi saath ho isliye wo apne sabse chhote bhai aditya ko saath men uthaakar laaya thaa.
Us waqt aditya bas collage men jaane waala ladkaa thaa. par ek baat thi ke wo apne sabse bade bhai vikram se kaafi emotionally judaaa huaa thaa aur uski khushi ke liye kuchh bhi kar saktaa thaa aur wo hi eklautaa ghar kaa sadasy thaa jo ki vikram ki mohabbat ke baaren men jaanta tha. to uskaa saathmen jaanaa laajmi thaa.
Aditya aur vikram dono subah subah apni gaadi chalakar hi vaishnavi ke pitaa ke ghar aaye the aur unke bangale ke bahar security waale rokte hain aur unke gaadi ki kas kar cheking ho jaati hain uske baad un dononko andar jaane diyaa jaataa hain.
Andar jaane par unko vaishnavi ke papa ka PA roktaa hain. unse kyaa kaam hain yah puchhata hain to vikram unko kya kaam hain aur apni appointment ke baaren men bataa detaa hain to wo ek naukar ko bulaakar vikram aur aditya ko unke saath jaane ko kahta hain aur donon us naukar ke pichhe garden men jaate hain wahaan par
vaishnavi ke papa ek table par baithe the aur news paper padh rahe hote hain.
Un dononke pahunchane par wo apnaa news paper table par rakh dete
hain aur naukar ko aur kursiyaan lagaane ko kahkar chaay bhejne ko kah dete hain.
Kursiyaan lagne par vikram aur aditya unke saamne baith jaate hain
aur naukar chaay lane ke liye chalaa jaata hain aur fir vaishnavi ke papa usse baat karne ke shuruat karte hain.
Madhukar waghmare “vikram beta ye apne saath kisko laaye ho?”
Vikram “ji yah meraa sabse chhota bhai aditya hain”
Madhukar “aaj tak isko jyaadaa dekhaa nahin hain accha huaa jo pahchaan karwaa di waise kyaa karte ho tum beta?’
Aditya “ji uncle mechanical engineering kar rahaan hun”
Madhukar “accha hain betaa man lagaakar padhai karo aur vikram beta
yah achanak se milne ka prayojan kyaa hain?”
Udhar se wo naukar apne haath men chaay kaa tray lekar aata hain aur teenonke liye teen cup chaay bhar ke saamne rakh kar chalaa jaata hain
Uske chale jaane ke bad vikram thodaa hinchkichaata huaa kahtaa hain “ji baat hi kuchh aisee thi uncle”
Madhukar “kyaa baat hain khulkar kaho beta” Vikram “yah baat hain hi thodi kathin”
Madhukar vikram ke kaadhe par haath rakhkar puchhte hain “business men koi tension hain kyaa yaa koi kaam kisi office men fansaa hain kyaa?”
Vikram “nahin uncle baat business ke baren men nahin hain” Madhukar “to fir kyaa baat hain vikram?” WO jaraa sawaaliyaa najaronse pucchate hain
Vikram ke dil ki dhadkan badh jaati hain aur wo ek lambi saans khinchtaa hain aur sab kuchh bol detaa hain “uncle aapki beti vaishnavi aur main ek dusare se pyaar karte hain aur hum donon ek dusare se shaadi karnaa chahte hain”
Madhukar to bas vikram ki taraf dekhte rahte hain,. vikram apnaa sar niche jhukaaye huye baithaa hi rahtaa hain aur aditya ki to bas samajh men hi nahin aata hain ki is baat par kyaa react Karen so aditya pahale vikram aur madhukar ki taraf dekhtaa jaataa hain
Tabhi madhukar uth khadaa hotaa hain aur kahataa hain “par yah shaadi nahin ho sakti hain vikram Maine apni ladki ki shaadi kisi aur se hi tay kar rakhi hain”
Vikram “par uncle hum ek dusarese pyaar karte hain aur vaishnavi
mere siway kisi aur ke saath hargij khush nahin rah paayegi” Madhukar “samjhaa karo beta hum log jab jabaan de de to jabaan puri karke hi rahte hain meri ek hi beti hain aur agar meri beti ki shaadi ki maine jabaan naa de rakhi hoti to main uski puri khushi ke saath tumse shaadi karwaa detaa”
Vikram “par uncle yah aapke usi jaanse pyaar beti ke dil kaa sawaal hain”
Madhukar “beta par hum apne aadarsh ka kahana bhi to nahin taal
sakte hain jo jubaan ek baar de di to de di”
Wahaan par thodi der ke liye shaanti chaa jaati hain tabhi wahaan aditya unse puchh padtaa hain ki “waise uncle vaishnavi ki shaadi kiske
saath tay kiyi hain?”
Madhukar “tum kyun yah puchh rahen ho beta?” Aditya “bas uncle unhi puchh rahaan hun”
Madhukar “vaishnavi ki shaadi manav deshmukh ke saath tay kiyi hain uske papa mere bahut hi puraane dost hain to maine unko yah jubaan kai saalon pahale de rakhi hain”
Aditya kuchh sochta hain aur kahtaa hain “thik hain uncle hamen aapse baat karke bahut accha lagaa hum niklte hain hamen aur bhi thode kaam hain”
Par vikram to bas udhar hi baithaa rahanaa chahtaa thaa wo darasal ek sadmen men thaa jo ki har ek aam aadmi ko hotaa hain aur wo to bas usi kursi par jam jaata hain par aditya usko uthaakar saathmen le jaa rahaa hotaa hain tabhi madhukar uskaa haath pakadkar usse kahte hain “apne aap ko sambhaal lo beta”
Vikram kuchh kahen isse pahale hi aditya boltaa hain “thik hain uncle fir aayenge kabhi” aur aage man hi man men ‘baarat lekar’ kahta hain aur donon baahar aakar apni gaadi lekar nikal jaate hain par is waqt aditya gaadi drive kar rahaan hotaa hain aur uske khuraapati dimaag men kuchh chal rahaa hotaa hain…
awesome updateUpdate 15
Thodi der ke baad chaachaaji fresh hokar aur change karke drawing room men aa jaate hain par aditya to apne hi khayaalon men hi rahtaa hain to Pratap usk thodaa sa dhakka dekar uthata hain aditya jaise ek nind men se jag jata hain. udher chachaji chaachiji ko chaknaa lane ko kah dete hain
Udhar aditya ko apne pichhe aane ka ishara karte hain aur aditya uthkar pratap kaa haath pakad kar unke pichhe chalaa jaata hain
Chaachaaji unko apne ghar ke ek special bane mini bar ki taraf le jaate hain
Udhar jaate hi chaachaaji 3 glass uthaate hain aur unmen scotch
bharne hi lagte hain
Tabhi aditya unko rokkar bolta ahain “chaachaaji aap sirf apne liye hi lijiye hum nahin piyenge”
Chaachaaji “are main jab tumhaari umr men thaa tab apne papa se chhup chhup kar piyaa kartaa thaa aur tum logonko aaj jab koi nahin roktaa tab bhi pine se sharmaa rahen ho?”
Tabhi chaachiji chaknaa lekar aati hain aur bhare huye 3 glass dekh kar kahati hain
Chaachiji “aap to bas naa ek wo ho jaraa bachhonko to baksh diyaa
karon”
Chaachaaji “abhi koi aur company ke liye nahin thaa na isi liye inko bas thodi thodi hi dungaa”
Chaachiji “haan aapne kahaa aur hamne maan liyaa”
Chaachaji “mat maano chaknaa yahaan rakho aur khaanaa taiyaar karne chale jaao”
Chaachiji jhutaa gussa dikhaakar chali jaati hain aur chaachaaji hansne lag jaate hain
Baadmen chaachaaji aditya aur pratap se kaafi baaten karte hain aur thodi der men aditya apne point par aa jaata hain
Aditya “chaachaaji apni pooja ab kaafi badi ho gayi hain naa?”
Chachaji “haan ab to wo shadi ke umr ki ho gayi hain” Aditya “haan uske liye ab koi dulha dhundhanaa padegaa”
Chaachaji “ladke to kaafi dekhe hain par koi dhang kaa miltaa hi nahin
hain”
Aditya “kuchh mujhse ban pade to jarur bataaiye haan” Chaachaji “koi ladkaa agar najar men ho to bataao” Aditya “haan ek hain to sahi”
Chaachaji “kaun hain bataao”
Aditya “ek ladkaa hain dost hi hain meraa” chaachaaji dhyaan se uski baat sunne lag jaate hain
Aditya jaraa pause lekar boltaa hain “uskaa naam abhiman hain” Chachaaji “aur uskaa surname kyaa hain?”
Aditya “ji abhiman patwardhan”
Chaachaji achaanak kuchh gusse men kahate hain “us patwardhan ke ladke se main kabhi apni beti kaa rishtaa nahin jodungaa”
Aditya “par kyun chaachaaji?”
Chaachji “usse accha hain ki main kisi aur se apni beti ki shaadi
karwaa dun waise bhi is dunia men acche ladkonkaa akaal nahin padaa hain”
Aditya “aapko abhiman se accha jamai mil hi nahin saktaa hain” Chaachaaji “tum kyaa kahnaa chahte ho thik thik bataao”
Aditya “to sun lijiye chaachaaji abhiman aur pooja kaafi gahare pyaar men hain aur wo isse aage
bhi badh sakte hain aur koi nayi musibat saamne khadi ho sakati hain” Chaachaji “matlab main samjhaa nahin”
Aditya “to sun lijiye agar main abhiman ko thik se jaanta hun to wo
kabhi bhi naa khud kisi aur ladki se shaadi karegaa aur naa hi pooja ki shaadi kisi aur se hone dega aur wo apne pyaar ke baarenmen kaafi aggressive bhi ho saktaa hain jisse kaafi pareshaaniyan paidaa ho
saktee hain” Chaachaaji “matlab”
Aditya saamne rakhi scotch kaa glaas uthaata hai aur ek hi sip men
khaali kar deta hain aur ek thandi saans letaa hain aura age badhkar unki aankhon men aankhen daaltaa hain jwaalaamukhi ka sphot kar detaa hain
“dekhiye uske saamne do raste honge pahalaa to ki wo pooja ko wo bhagaa le jaaye aur ismen to naa chahate huye bhi mujhe uski madad karni padegi aur ismen aapki bhi kaafi beijjati hogi par jo dusari raah hain uske liye wo to isse bhi khatrnaak hain aur usmen to ijjat ki puri dhajjiyaan ud jaayengi donon gharonki aur wo main chahungaa ki bilkul bhi naa ho”
Chaachaaji “aisee kaunsi baat hain?”
Aditya “dekhiye chaachaji yah jo baat mere man men hain wo main bhi chahtaa hun ki bilkul bhi naa ho aur iske to main bhi khilaaf hun par iske baad to hamaare paas bhi koi aur chaaraa nahin rah jaayega aur unki shaadi karwaani hi padegi”
Chaachaaji ke chehre par thodi ghabraahat aur thodi curiocity hoti hain aur wo kahate hain ki “jaraa khul kar bolo”
Aditya jaraa hichkichaate huye kahtaa hain par uskaa yah kahnaa bhi
jaruri thaa aakhir yah to uskaa sabse badaa hathiyaar thaa aur wo apne sabse badaa hathiyaar fire karne waalaa thaa
“Chaachaaji humen bilkul pata nahi hain ki unmen is tarah ke relations
hain ya nahin? Par possibility yah bhi hain ki abhiman kahin pooja ko pregnant naa kar de aur yah baat agar baahar waalonko samajh gayi to bas apne ghar ki ijjat uchhal jaayegi aur aap kuchh bhi nahin kar
paaoge”
Yah sunne ke baad chaachaaji aur unke saath saath pratap bhi shocked ho jaate hain aur aditya kaa muh dekh rahe hote hain tabhi 5 minat ke pause ke baad aditya firse bol padtaa hain
“Isiliye main bhi chintit hun aur aapse yah baat karne ke liye aayaa hun agar hum un dononki badonki yaani ki aap dononki marji se hi shaadi karwaa dete hain to aage kaa koi naatak nahin hongaa”
Chaachaaji thodi der aur sochte hain aur aditya se punchhte hai “accha kiyaa jo tumne yah sab mujhe bataa diyaa par main chaahungaa ki tum ekbaar meri jagah par khade hokar ke ek sawaal ka jawaab do”
Aditya ko to aise kisi sawaal kaa expectation to thee nahin par wo to bas har waar jhelne ke liye taiyaar thaa “kaunsaa sawaal chaachaaji” Chaachaaji “tum kahte ho thik hain unki shaadi karaa dene ki main apni beti ke khushi ke khaatir shaadi karwaane ko raji ho jaaun par abhiman ke papa jo ko mujhse kaafi nafrat karte hain wo is shaadi ke liye hargij raaji nahi honge chaahe main naak ragadun yaa unke saamne gidgidaun wo is shaadi ke liye kabhi tiyaar nahin honge aur taiyaar ho bhi gaye to bhi shaadi bhar meri gardan jhukaaye rakhenge”chaachaaji ki baatonse se saaf pataa chal rahaa thaa ki unpar aditya ki baatonkaa asar ho gayaa hain
Aditya “chaachaaji unko shaadi ke liye main taiyaar karungaa aur pure shaadi ke waqt aapko kahin bhi apni gardan niche nahin jhukaani padegi iski guaranty main letaa hun”
Tabhi baaharse chaachiji ki aawaj aati hain ki khanaa taiyaar hain teenon dining table par aa jaaye
Chaachaaji wo pukaar sunkar aditya se kahte hain “mujhe sochne ke
liye thodaa waqt chahiye aditya”
Aditya “thik hain chaachaaji par aap is baat par jaldi faislaa lijiye aur chaliye ab khaana khaane chalte hain” aur wo teenon apne saamne ke glaas khaali karke dining table ki or chal dete hain
Dining table par aisee koi mahatwpurn ghatnaa nahin hoti sab log khaanaa khaate hain aur aditya pooja ke banaaye khaane ki taarif kartaa hain aur khaanaa khaane ke baad thodi der baaten karke aditya aur pratap apne ghar chale jaate hain..