-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
Ye situation jab create hui tab galti se maine "fundli magya didhata" ke 50-60 episodes ek sath dekh liye.... Kya sochte ho sahab writer aise hi ban gaya main... Bahut sare serials se saas bahu aur sajis ki inspiration lene ke baad bana hun main... ... Aap bhi dekha karo... Ghar me dukh shanti rahegi... Haan usme kuch thrill dalna ho to Cid ya savdhan india ke episodes dekh lena...nain11ster Bhai,
Solid khichadi toh pehle se hi pak rahi thhi
Ab uske tadke me zabardast masale aur dal diye hain aapne
Som ki toh jaan nikal lengi Sia aur Diksha !
Shastri mohalle ke logo dwara Vyas aur Asif ko dekha ja chuka hai koi aur hi gair ladkiyon ke sameep
Kapendra Mishra ji ne apne hone wale samadhi logo ko bulwa liya hai party me
Room # 211 me bhi pakka next kaand hone ko hai...
Dekhte hai agle update me aur kya-kya hota hai !
Thanks !!
nain11ster Bhai,I hope iska reply aapko mil gaya hoga... Yadi man me koi dridh ya laghu sanka ho to please use your toilet...
Dekhiye maine pahle hi 2 gudh baten kahi thi... Main dono baten ek baar fir dohra deta hun..nain11ster Bhai,
Kya kaand pe kaand karwate ja rahe ho aap...
Ye kaun hai jo Som aur uske parivar ko aisa lapetne pe tula hua hai ?
Kahin iska lena-dena kuchh samay pehle, Sia aur Som ke under-construcction site pe hue atankwadi encounter se toh nahi ??
EK sath kayi sare uljhe hue sire ab sametne ka samay ho chala hai
Asif aur Vyas ne apne abhibhavako ki narazagi dur kar dali hai
Ab sirf Nirali aur Som ka rishta karwane ko uchhal rahe Mishra ji aur Shastri ji ko hi shant karwana hai, aur sath me hi Som-Meera ke vivah ko bhi gupt rakhna hai...
Chaliye dekhte hai ki ab age kya hota hai
Thanks !!
Kya kare apni Hindi thodi kamjor hai ... Ab "kam" ke liye laghu aur jyada ke liye "dridh" ka istamal kar'ke maine shanka ke sath jor diya... Kya maine galat kiya? Kya ye gathjod alag arth deta hainain11ster Bhai,
Subsequent updates cleared this point and doubt
Hindi vartalap me toh aap shanka ko hi laghu-shanka aur dirdh-shanka banaye ja rahe ho !!
Log jo hai na 90% se khush na hote... Unhe 100% chahiye... Abhi exam ke marks pooch lun na to... Aaaaaa... Baaaaa... Aaaaaa... Baaaaa karke jo bhi niklega usme 100 to nahi niklega fir bhi chhati chaudi karke garv se batayenge... Main yahan 90% kar diya fir bhi nahi 100 kar do poora ek baar me hi khatm kar do..nain11ster Bhai,
Mast wala update
Start hua comedy ke sath.
Kaun sabko sach bataye...
Mai kyu bolu, tum bolo !
Aur fir finally ye bataya gaya ki Som aur Meera ek dusre ko pasand karte hain
Gajendra Mishra ka Shastri mohalle wala raz bhi aj khul chuka hai
End hua hai bahut hi bhavuk Meera ke hal-e-dil se...
Meera ki itni badi joint family uske sach ka saamna na karte hue, us ko hi bura maan rahi hai, aur koi bhi openly uske sath na khada ho saka.
Us ne haq se Lata ji ko Ma bulaya hai, jaise ab Sia usko Bhabhi bula rahi hai.
Failya hua 90% rayta sameta ja chuka hai.
Lekin abhi bachi hui hai drugs aur murders wali sajish ka sulajhna.
Agar 211 me lashe na bichhi hui hoti, toh Sia aur Vyas waha pahunch kar kya-kya karte ?
Chaliye dekhte hai aage kya hota hai
Thanks !!
Girls hostel.... behtreen story hai. Dimag ka dahi hone wala story hai.
अब जाकर मल्होत्रा साहब की एंट्री हुईUpdate:-81(A)
Sia apne charo ore dekh rahi thi... Halanki jo bhi log baithe the wo Sia ke poore group se 5 fit ki duri par baithe the, lekin charo ore se takriban 200 log baith chuke the... Sidhiyon ke dayen aur bayen itni dur tak darshak baithe the, ki unke bich se gujrne ke dauran yadi sabhi darshak khade ho gaye to pata bhi na chale ki wahan bich me kya ho raha hai...
5 over ka match samapt ho chuka tha. Final year ko support karne aaye students kafi niras dikh rahe the... 6th over ki surwat ho rahi thi. Asif aur Mukul ke 2-2 over ke first spell ke baad, 5th over naya bowler aaya tha... 6th over me ball ek bayen hath ke leg-spinner Vinay Upadhyay ke hath me thi...
Indian batsman yadi kisi spinner ko dekh le to uske mann me yahi chalta hai... "Lalach aayi lap-lap"… Neerav ka partner Joy ka bhi wahi haal tha... Over ki pahli ball... Aur diya ghuma ke... Balle ka kinara laga aur ball hawa me fine leg ke taraf uchhal gayi. Fine leg circle ke ander hone ki vajah se, final year walon ka pahla boundry...
Darshakon me kuch rahat... Aur ye bowler ki dusri ball.. Joy 2 kadam aage nikal'kar shot liya... Ball sidha long on boundry ke paar darshkon me... Aur ye dusre ball par 6… Jahan darshkon me pahle ball par rahat hui wahin dusri ball par khushi se jhum gaye...
Bowler ki teesri ball aur Joy ka ek shandar backfoot se liya gaya shot... Ball point ke upar se bich maidan me giri aur utni hi raftaar se boundry line ke paar... Chauthi ball par fir ek risky hawai shot aur ball mid wicket boundry ke pass khade player ke sir ke upar se hoti hui 6…
Bowler chala apne over ki 5th delivery fekne.. Captain Sagar aur Bowler ke bich thodi baat chit... Bowler ne ball dala aur iss bar bhi Joy 2 kadam aage nikal'kar apna balla ghumaya.... Lekin iss baar bowler ne ball off stump ke thoda bahar rakha.. ball tappa khate hi off stump ke aur jyada bahar chali gayi aur Joy poori tarah se chuk gaya.. Aur ye gaya team ka pahla wicket, stump out..
Team ka next batsman pahuncha, aur batting crease par pahunch'kar... kuch push-up ki nautanki, kuch wo wicket guard ki nautnki, etyadi-etyadi nautanki karne ke baad hawa me balla uthaye taiyar... Apne team ka score 200 paar karne ke irade se...
Bowler ne ball leg aur middle stump par pitch kiya.. batsman back foot par ja'kar, deep point aur deep backward point ke bich shot liya... Oppsss... Ball ki uchhal ne chakma de diya... Ball bilkul niche hi rah gayi... Inner edge lagti hui ball sidha wicket se ja takrayi aur back to back team ka dusra wicket down hua...
Team ka score 6th over ki sampati par.. 6-24-2.. Yani ki 6 over me 2 wicket ke nuksan par 24 run.. aur ye team ka drink break...
Waise 6th over jab shuru hua, tab darshak ke reaction kewal 2 ball tak hi simta raha. Kyunki jab teesri ball feki ja rahi thi, tab darshak stand me achanak se hulchal mach gayi... Daurte-bhagte aur strict se lagbhag 20 officers ne uss jagah ka charo ore se muayna kiya, jahan Diksha aur Sia baithi thi... Idhar se "All clear" ka msg gaya, udhar se National Security Council ke deputy advisor Mr. Anurag Malhotra.. Suit pahne apne 6 bodyguard ke sath sirkat kar rahe the...
Sia ke chehre par muskaan to tabhi aa gayi thi jab usne officers ko round lagate dekhi... Sia, apne bhai Som ke kisi bhi strict baat ko kabhi bhi casually nahi leti. Som ki samjhayi chijen yadi Sia khud se kar payi to thik warna wo ek kabil madad dundh leti hai... Aur ye baat Som bhi janta tha...
Som ne Sia ko jaise hi mamle ke seriouness ko samjhaya, Sia samajh chuki thi ki ye kaam uss se nahi ho payega... Tabhi usne soch liya ki wo apne dad ko yahan bulayegi... Yadi Sia ke pass Mr. Malhotra ko bulane ke liye unki bahu Meera ka bahana nahi hota, to bhi wo kisi na kisi bahane se bula leti...
Waise suit me aaye bodyguard ko dekh'kar Diksha bhi khush ho chuki thi kyunki usse bhi pata tha ki kaun aa raha hai... Diksha ko 2 sal mile huye ho gaye the... Sia aur Diksha dono chahakti hui khadi ho gayi...
Thodi hi der me Mr. Malhotra samne se chale aa rahe the... Aaj bhi wahi personality aur utne hi rashukhdar najar aa rahe the… Stand me baithi poori audience ka dhyan wahi khinch rahe the. Tabhi to dusre ball ke baad poore darshak chuppi sadhe the... Wahin drink ke waqt khiladiyon ka dhyan bhi issi ore raha.
Baharhaal Sia ko apne dad dikh gaye the usse kuch bhi ab fikr karne ki jaroorat nahi thi. Wahin Diksha to Sia se pahle daur laga di... Diksha ko bhagte dekh Sia bhi uske pichhe bhagi... Diksha, Mr. Malhotra ke pass pahunchte hi unse lipat gayi.… "I am soooo sorry dad... Aapko apni shadi me na bula'kar ek irrivarsable mistake kar gayi... Iss baat ka ehsas mujhe kal hua.. I am sooo sorry... Please mujhe maaf kar do"…
Mr. Malhotra, Diksha ki pith thap'thapate… "Hey mera strong beta... Ab kya public me mujhe emotional karogi. Don't cry please..."..
Diksha:- Dad mere aanshu nahi ruk rahe.. main kya karun...
Mr. Malhotra:- Apne pati ko divorce de'kar uss se dobara shadi kar lo. Ya fir rona band karo..
Diksha:- Daddd...
Mr. Malhotra:- Either you stop crying or I'll leave. Understood...
Diksha, khud ko shant karti... "Thik hai dad nahi roti lekin aap hum sab ke sath lamba samay bita kar jaoge..."
Mr. Malhotra:- Done.. Anytying else…
Diksha:- Thank you so much..
Diskha jaise hi Mr. Malhotra se alag hui, Sia apne dad ke gale lagte... "Abhi tak aapko chutti nahi mili na".
Mr. Malhotra:- Abhi to aa gaya na... Shikayat band karo... And where is my daughter in law...
Diksha:- Wo apni jagah se kahdi ho'kar hume dekh rahi hai...
Mr. Malhotra:- To hum yahan kya kar rahe .. wahin chalte hain....
Sabhi chal diye, tabhi Sia ki najar pichhe se aa rahe J.P. Jatav yani ki Neerav ke papa par gayi... "J.P uncle aap bhi aaye hain"..
J.P:- Haan tumhare papa ke sath main bhi chala aaya...
Diksha:- Uncle maine suna tha ki Neerav achha cricket khelta hai… Yahan to usne poori izzat mitti me mila di...
J.P:- Abhi wo hai ya gaya…
Sia:- Crease par besharmon ki tarah tika hai... 18 ball aur anda run...
Sia ki baat sun'kar sabhi hasne lage. Mr. Malhotra jaise hi Meera ke karib pahunche, Meera ne jhat se paun chhu liya... Isse pahle ki koi aur baat hoti, Sia Meera aur Mr. Malhotra ke bich aati... Dad, wo abhi natkhat Kuku hai jise aap jante ho.. Got my point Mr. Malhotra..
Mr. Malhotra:- Yep.. Got your point..
Sia:- Kuku tum bhi samajh gayi..
Meera:- Bilkul.. main to samjhdar hi paida li thi Sia didi…
Meera ki baat par sabhi hansne lage. Darshkon ki bhid me 2 alaa adhikari.. ADGP surveillance J.P. Jatav aur National Deputy Security Advisor Mr. Anurag Malhotra. Match ek baar fir shuru hua. Neerav strike par aur darshak 'Booo, Boooo, boooo" chilla rahe the...
7th over ki pahli ball par 2 run se Neerav ka khata khula... Aur kya khata khual tha... Fir to dhire-dhire sab ko samjh me aa gaya ki iss batsman ka crease par tike rahna kitna khatarnaak ho sakta hai...
12th over me Asif ko ek chhod se lagaya gaya tha... Jab Asif bowling karne pahuncha tab usne 2 over me 1 run diya tha aur jab apna over samapt kiya tab 3 over me 43 run de chuka tha. Asif ke 1 over me to Neerav ne poora 42 run loot liya... Over bhi lamba tha. 3 no ball aur 3 free hit ke sath 9 ball ka wo over raha...
Issi tarah Mukul ke ek over me Neerav ne 30 run thok dale the. Final year ka total score 20 over me 6 wicket ke nuksan par 242 run ka tha jisme Neerav 78 ball khel'kar 152 run naabad banaya tha... Jabki 23 ball to usne dot khele the...
Waise match ka rang to aur bhi jyada tab chadh gaya jab final year team ka captain Amarnath Chaudhry crease par aaya... 5th down ka wo perfect batsman tha jisne anth me aa'kar aur bhi jyada sama bandh diya... 20 ball khel'kar usne 72 run thok dale...
Pahli inning samapt ho chuki thi aur break chal raha tha. Tabhi Diksha aur Sia ke pass Kirti pahunchi... Jaise hi wo Sia ke karib aane lagi, tabhi 2 bodyguard rasta rokte... "Rukiye miss"..
Udhar se Mr. Malhotra ka ishara hua aur bodyguard ne rasta chhod diya. Kirti unke karib pahunchti... "Hello Sir, shayad aap mujhe nahi jante, lekin main aapko"…
Kirti iss se aage kuch bol pati, uss se pahle hi Diksha ne ek jhannatedar thappad chipka diya.… "Nanda ki varish, ja'kar apne baap ko bol dena ki main uss par ab legal action lene wali hun... Kya sochta hai wo, Faisal Sehnavaj ya Kasif Sehnavaj ke sath hath mila lene se wo kuch bhi kar sakta hai"..
Sia:- Diksha no...
Diksha:- Tu jarra chup rah... Miss chhuyi-muyi maine suna hai ki tujhe aaj kal har koi thappad maar raha... Ye sach hai kya?
Kirti:- Main to bus yahan Anurag uncle se milne aayi thi. Wo kya hai na Sadhna mami aksar uncle ki charcha karti hain... I think wo ab bhi inse love karti hai...
Diksha:- Manish sir yahan hain kya? Please iss pagal ladki ko wahin chhod aaeye jahan se ye aayi hai...
Kirti:- Takalluf ki koi jaroorat nahi hai, main ja rahi hun...
Jaise hi Kirti wahan se nikli.. Mr. Malhotra… "She deserve another slap"..
Sia:- Dad aap thik ho...
Mr. Malhotra gahri shwans lete... "Haan maine thik rahna sikh liya hai. Oh by the way ye sample piece kaun thi"..
Diksha:- Jay Kumar ki bahan Supriya Nanda ki beti..
Mr. Malhotra:- Hmmm !!!! Iske pass humare poore parivar ki detail hai. Iska matlab Jay Kumar ke poore khandan ko humari information hogi...
Sia:- Leave it dad... Inhe main, Diksha, aur Som handle kar lenge...
Mr. Malhotra:- Kaise handle kar loge jab dhairya hi nahi... Diksha to legal action lene tak ki dhamki de dali. Koi kaam chup-chap aaram se karna chahiye na...
Diksha:- Dad maine bhi ye sab kaam chup-chap aur dhaiya'purn tarike se ki hun. Aur aisa karna mujhe Som ne sikhaya hai... Thoda sa uksao aur chup-chap reaction observe karo..
Mr. Malhotra:- And what did you find...
Diksha:- Main jab professionally gherne ki dhamki di, tab Kirti personally humla bol rahi thi.. Ek chhota sa gusse ke reaction se bahut kuch samajha ja sakta hai... Ab jab samne ki ladai hogi fir main bhi apne hath majboot rakhungi..
Mr. Malhotra:- Haan wakai tum sab ye civil sajisen handle kar sakti ho... Waise main agar koi help kar sakun?
Sia:- Haan aap kar sakte hain na.. Waise bhi aap par work load jyada hai.. So my dear lovely dad... Aap jab humare sath ho to humare ye chhote-bade saas bahu serial type sajison par na dhyan de'kar, family time enjoy kare... Can you help us..
Mr. Malhotra:- Haan kyun nahi bilkul... Chalo match enjoy kiya jaye, uske baad mujhe ghar jane ki bhi jaldi hai…
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
nain11ster Bhai,Kya kare apni Hindi thodi kamjor hai ... Ab "kam" ke liye laghu aur jyada ke liye "dridh" ka istamal kar'ke maine shanka ke sath jor diya... Kya maine galat kiya? Kya ye gathjod alag arth deta hai