-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
Sorry bhai but mene bahi bola jo aapne kaha tha thread close krte samay but koi naa50 kya 80 updated likha tha... Lekin pasand nahi aaya isliye unhe post nahi kiya .. ab bhi likha para hua hai... 18000 words type hain to kisi me 8000 to kisi me 12000... Ab khud achha nahi laga isliye nahi post kiya... Aise kayi kahaniyon me ho chuka hai... Example ke liye screenshot deta hun..
Haan lekin aadarsh ji aapke comment ke ye pahle darshan ho rahe hai... Main 60-70 update ko cancel kar ke bhi apne naye update chhap raha hun... Lekin itna story padhne ke baad bhi aap to bus kewal shikayat hi karne aa gaye...
कोई बात नहीं नैन भाई आप बस हमें इन्फॉर्म कर दिया करदिया करें ताकि हमें पता हो की नैन भाई कुशल मंगल है बाकि अपडेट का क्या है आप हफ्ते में 13-14 भी हुआ तो चले गाKal se dunga monty bhai... Travel me tha to kuch ho nahi paya
Awesome updateUpdate:-25
Diksha ke sath-sath baki sab bhi raste ko dekhne lage, jahan Sugandha, Som ke gaal khinch rahi thi.… "Ye kaki kab se action lover ho gayi. Som sir ke action ne to Kaki ke behaviour hi change kar diye"… Roopam ne kaha...
"Batao, main jijaji ke liye arji laga raha tha, Kaki ne to unhe Kaka ke liye book kar liya"… Mayank ne kaha...
Diksha ne jab dono ke comment sune wo sidha kona pakad lee. Diksha ki hansi hi nahi ruk rahi thi. Wahin Jugnu apne maa ke bare me sun kar dono ko daura di. Suganda kuchh dur aur aage chalti hui Som ko sabke bich dance floor par jane ke liye kah dee aur wo khud kahin gayab ho gayi...
Som jaise hi dance floor par aaya Mayank, Roopam aur uske sabhi doston ne usse gher liya... "Som sir baat karo ki na karo ek dance to karna hoga"
Som:- Hmmm ! Wait 5 minute..
Som apni baat kah kar Diksha aur Pranshu ke pass pahuncha… "Ab tak dono yahin ho, mandap me bulaya nahi gaya."
Diksha:- Som !!!
Som:- Haan..
Diksha:- Fir se glass utha liya..
Som:- Areee yaar mai red wine samjh kar wishkey ki bottol utha liya. Ek shwans me bottol gatak to gaya lekin.... Aage na sun. Ab waise to nasha zero hai aur normal main khada rah sakta hun. Lekin ab ye ladke dance ko jid kar rahe hain aur main hosh me to dance nahi kar sakta..
Paranshu:- Areee koi nahi.. tum lo Som.
Som 3 peg khincha aur chal diya dance floor par. Dj jo ab tak matr slow sound me romantic theme baja raha tha, Som ke dancing floor par aate hi high volume music bajaane laga. Som ko sab ke bich nachte dekh Diksha hansti hui tali bajane lagi. Ab mehfil thi hurdang dance wali. Jhumte huye abhibhavak Jedeja brothers ke sath Mishra ji bhi wahan pahunch gaye... Mishra ji aate hi Som ka hath pakde, apne ore ghumaya aur shuru ho gaye dono UP, Bihar ke khatarnak dancing moves dikhane. Diskah ki khushi dugni ho gayi... aur hasna chauguna...
Issi bich music ruk gaya. Dance floor par Lata Mishra apni Samdhan Aanandi Jadeja aur uski devaraniyon ke sath dance kar rahi thi... Baki unke bacche unhe charo ore se gher kar hooting ke sath unke utsah ko badha rahe the. Som, Viraji ke pass hi khada tha galti se aur Som ke sath thi Diksha.
Dj ke band hote hi Viraji apne munchh par tau dete... "Asli mard hai tu to. Rahta itna loose hai aur maarta kitna solid. Pasand aa gaya tu to. Paison ke wasooli ka theka lega. Bol"..
Som:- "Sir meri professional life alag hai. Main apne pasand ke kaam ko haan kahta hun aur mere pass 1 din ke kaam ke, kam se kam 40 request pade rahte hain. 11 se 5 kaam karta hun na jyada na kam. Main poore kaam ke dauran kisi ke order nahi sunta. Overtime nahi karta hun aur na hi overtime charge karta hun."
"Jitna earn karta hun uska Income Tax poora deta hun, 1 rupya baimani nahi karta. Last year ki gross income 8carore 22 lakh thi, jo uske pichle sal ke mukable matr 10% tha. 4 sal se freelancer ki service de raha hun aur total savings 250 carore thi, jisme se kal hi maine 20 lakh chhod kar sab daan kar diye.."
Viraji:- Kya??
Som:- Poore paise daan kar diye..
Viraji:- Lekin kyon..??
Som:- Mera mann.
Viraji ka muh khula hi rah gayaa, aur badi si aankh khole apne bhaiyon ke pass chala gaya. Pichhe se Diksha uska hath khinchti…
"Bundalbaaj, 5 sal se to main teri IT return bhar rahi hun. Teri income aaj tak tax slab me jane se koson dur hai. Aur kya bol raha tha kamaye paise ka IT return poori imandari se bharta hai. Fir wo tere elligal fight ke paise, wo to aaj tak kabhi tere account par show nahi huye. Elligal fight ke 10 se 12 lakh salana na aaye to tera daru aur ghumna band ho jaye, fir ye dhan ka vyora kya apne sasur ka de raha tha .."
Som:- To kya karta, wsooli bhai ban jata. Dekh kam akl ko... Kaise seriously le liya..
Diksha ki hansi phoot gayi... "Re Som 250 crore.. hahaha.."
Som, bhi Diksha ke sath hasne laga… "Ye namuna moti buddhi bail, Pranshu ka papa kaise ho sakta hai."
Diskha kuchh kahti uss se pahle hi wahan tej awaj gunj gayi. Sungandha jis mehsfil me sabke bich Som ko bejjat kiya karti thi, ussi mehfil me mike par chilla kar, Som ke liye kahi baat ko apne jivan ki sab se badi galti swikaar kee.
Maafi maangne ke dauran apni bhavna bhi batati chali. Apni galti ke karan wo lagatar pachtave ki aag me jal rahi hai. Dil ke bojh ko batati hui Sugandha ne kah diya...
"Kisi ke charitr ko hi jaldbaji me galat samajh baithi. Parivar aur rishtedar ke samne bejjat kar dee, lekin sanskar unche hai, jo Som ne chup chap sun liya. Baad me jab akl aayi to pata chala iski aadhi bejjati apne bete ki kar di hoti to shayad wo bhi mujhe bahut kuchh suna jaata"..
Sugandha apne haath jod kar ek baar nahi kayi baar sab ke bich maafi mangi aur anth me kah bhi dee, "Sirf maafi maangne se mere dil ko sukoon nahi mila hai. Kisi din Som ka karj utar payi tab ja kar sukoon milega.…
5 minute ke announcement ke baad, Sugandha dance floor par pahunch gayi aur Som ko aankh maar kar apne haath aage badhati.… "Tum yahan sabse jyada demand me ho Som. Ek dance mere sath, taki yahan kal raat se make up kar ke taiyar hui ladkiyan sab jal bhun si jaye"
Pichhe se Jugnu itni tej Seety bajayi ki uske pass khade uss ke pappa ka kaan fat gaya. Som ki maa Lata Mishra hansti hui apne bacche ko dhakka deti... "Iss baat ko na maan'na bhadi mehfil me kisi ki bejjati karna kahenge. Ye chij na to mujhe aur na madam ko pasand aayegi"..
Som hanste huye unke pass pahunch gaya. Sugandha ke kaan me dhime se kahne laga... "Lata Mishra ke baad meri zindgi me dusri pagal aap hongi"
Sugandha, Som ke gaal thap'thapate... "Aise pyar se bolega to tujhe main apne pass hi rakh lungi. Akda hua avtaar tujh par jachta hai...."
Suganda jor se chillayi... "Vagado re vagado, aag lagavi do..
Sugandha ne di apni Gujrati jordar lalkaar. Som bhi ho gaya taiyar. Fir uss floor par agle 5 minute tak kya hi thirke dono. Dono ek number ke alhad dancers jo samne khade ladke ladkiyon ki kuchh kuchh copy kar ke dance kar rahe the aur bahar khade unke dance masters hans-hans kar lot pot ho rahe the...
Fir to rang jamte chale gaye. Bacche, abhibhavak sab ek sath ek floor par jhumne lage… Som bhid se nikal kar Diksha aur Pranshu ke pass khada ho gaya. Rang manch par kabhi Jadeja parivar to kabhi Mishra parivar ka dabdaba raha. Issi bich Jugnu sab ko kinare karti mr & mrs Mishar ke sath Diksha aur Som ko dance floor par khinch layi..
Charo ko gher liya gaya. Charo ek dusre ko dekh kar hans rahe the aur hanste huye nachne lage. Bhada poora utsav sa mahol tha aur sab jhum rahe the. Kuchh der baad shadi ke dance controller, yani ki pandit ji ka bulawa aaya. Dulha-Dulhan ke sath sabhi ghar wale lagan mandap ke ore chal diye.
Manglik krayakarm ki surwat, "sarv mangal mangalye" ke mantr uchharn se shuru ho gaya. Mehndi lage 2 khubsurat hath ek dusre ke upar rakhe the, jo parinay sutr me badhne ki kasam ko sun rahe the aur nibhane ka wada kar rahe the.
Ek bhavuk kshn bhi aaya jab koi karan nahi hota rone ka, fir bhi har ladki ke aanshu khud v khud chhalak hi aate hai. Sundoor dan ki wo ghadi hoti hai, jahan maa ke aanshu na dikhe isliye maa muh fer leti hai. Pita kahin dur baitha ro raha hota hai. Bhai thode dil ke majboot hote hai lekin wo bahan ke jane ke baad rote hain jab chhote bade kaam ke liye wo chhilate to hain lekin bahan uss waqt ghar me nahi hoti...
Khair, Shadi ka samoroh poorn ho chuka tha. Agle din, shaam ke 5 baje vidai ka waqt rakha gaya tha. Diksha ek kamre me baithi apne poore parivar ko sameti thi. Kabhi roti kabhi baat karti. Som apni packing kar chuka tha. Wo Lucknow ke liye Diksha se pahle nikalta. Mishra dampatti ne dono ko akela chhod diya, shayad in dono ke bhawuk pal ko dekhne ki himmat nahi thi.
Diksha Som se lipat kar subak rahi thi. Shadi ke baad usse Som se kya-kya chahiye tha, wo roti hui bata rahi thi. Har roj phone call without fail. 2 mahine me ek baar uske pass aana. Sia ko sath lana. Apna huliya thik karna. Underground fight me na jana. Apni har bhavna wo roti hui sunati ja rahi thi aus Som uske pith ko thap'thapate bus haan kahe ja raha tha...
Kafi der rote hui bhavna wo batati gayi lekin Som ki chuppi iss kadar akhad gayi, Diksha bilakhti hui.… "Mujhe abhi se paraya kar diya. Ab mujh se bhi chuppi me baat karega Som"
"Meri himmat nahi ho rahi Diksha. Main nahi bol paunga abhi. Pleaese mujhe mat bol kuchh kahne"…
"Nahi bolega to aur rona aayega. Kuchh bhi bol lekin bol Som"
"Mujhse nahi hoga"…
"Suno Diksha, main shadi aur ladki ke ek ghar se dusre ghar jane par koi pravachan nahi dene aayi hun, bus sochi ki tumhe Som ki bhatakti zindgi akhad rahi hogi isliye main tumhe ek wedding gift deti hun..." Sugandha ki entry par Som ko ho gayi ander hi ander dissentry aur Diskha apne aanshu saaf karti muh aise banayi jaise ab baba ji anmol gyan denge... Sorry babi ji jo bhi samjh lijiye bus baba ka striling shabd (feminine) samjh lijiye…
"Wedding gift dene se pahle kuchh feeling share kar dun. Sal bhar sasural me rahi beti apni mayka bhul jati hai. 2 sal bahar kaam kar chuke kisi ladke me apne bhai ke sath pahli jaisi bhavna nahi rah jati. 5 sal nibhaye pati-patni ke rishte me pahle jaisa pyar nahi rahta… Tum dono jinse bhi jude ho feel karwa jate ho jo bhavna aaj dikh rahi hai wo 50 sal baad bhi dikhegi, koi aisa chahne wala kisi ki life me ho na to fir kya hi kah dun"...
"Diksha meri ore se tumhara wedding gift... Som, meri chhoti beti se shadi ke liye haan kah chuka hai. Isliye yahan se hansi khushi vida lo, iski bhatakti zindgi par permanent nakel kasne ka prabandh main kal raat kar chuki hun. Ab Som se ye mat poochhna ki usne kyon nahi bataya. Maine hi manaa kiya tha. Ummid karungi ye baat mere parivar me se kisi ko tum bhi nahi bataogi. Jab ye rishta poora pakka hoga tab main khud hi sab ko bata dungi."
"Main chali. Tum chaho to ro lo Diksha, ya vidai se pahle iske shadi ke vishay par discuss karna chaho to wo kar lo. Mujhe aasanka thi ki isne shadi ke liye haan to kah diya hai, lekin kuchh aisa jaroor kar jayega jis se ya to meri beti ya main khud shadi se inkar kar dun. Ladka ne haan kah diya hai aur iske sajis rokne ki jimmedari tumhari hai.…"
Sugandha aayi aur aate ke sath hi sidha bomb phod dee. Som ko kal raat laga tha ki wo kisi ko kuchh batayega nahi aur Sugandha bhi yahi karegi. Mamala salon tak atka rahega aur issi bich Sugandha ki chhoti beti ki shadi bhi ho jayegi. Lekin Sugandha, Som par bhadi padti, Som ko ye ehsaas karwa gayi ki wo apni beti ki shadi karwane ke liye kitni serious hai. Sugandha ne aise jagah jack bhidaya tha ki ab Som fasa...
Som:- Kya hai, aur koi dusra topic nahi hai kya? Yahan jise dekho shadi ki hi baat karta hai…
Sugandha:- "O gadhera, shadi me pahli baar aaya hai kya? Dekh beta shadi me sabhi itna chaka chak taiyar kyon hote hain, ek dusre ko dikhane ke liye. Iska pahla phase hota hai ladka aur ladki. Sabhi jawan ladke, ladki ek dusre ko dekh kar patane ki kosis karte hain."
"Dusra phase hota hai shadi me dono paksh ke abhibhavak wahan pahunche kunware ladke aur ladkiyon ko prakhte hain aur shadi ke dauran ya shadi ke baad best possible jamai ya bahu chunte hain. Itna batane ka ek hi moral hai... Shadi me kewal aur kewal shadi ki hi baaten hoti hai aur achhe jamai ya bahu ko ragister karne ke liye log sajis tak kar dete hain… kya samjha .. Main chali bahu ke swagat ka plan karne... Diksha beta chaho to rote huye bichhdne ka gum jata lo, ya Som ko kuchh warning hi de do. Wada isne kar liya hai... Bus koi tikram ye na lagaye wade se bachne ke liye ye tum dekh lena."
Bechari Diksha apni vidai par rona hi bhul gayi. Turant hi usne apne maa papa ko bula li. Family meeting chalti hi rahi. Som ke bare me sun kar to wo dono bhi jaise beti ke vidai ka gum kahin bhul gaye the. Som ne bus ander hi ander itna hi khud se kaha... "Wo jahan bhi mare mujhe fikr kyon karna. Kaun si wo Pranshu ki apni bahan hai jo Diksha ke sath rahegi. Life time me uss se main milunga hi nahi"…
Kahte hain shadi vivaah sab pahle se tay hota hai. Dikhiye niche tay iss shadi ka bhavishya upar wale ne kya tay kiya hai... Ab to aane wale waqt aur nasib ka khel tha, jo apne aap me ek rahasya hai.. Baharhaal..
Som ke jane ka waqt ho chala. Ek aakhari baar apni poori bhavna jatati Diksha, Som ke chehre par chuban ki bauchad kar di. Thode roti aur thode muskurati Som ko apne kamre se bahar jaate dekhti rahi...
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Superb updateUpdate:-26
Kuchh haalat bayan nahi kiye ja sakte, lekin dilon ki bhavna chhipye nahi chhipti. Sia jab 10th me gayi thi tab Som school chhod raha tha. Haan Som thoda sunischit tha, kyonki Sia apne kuchh juniors ke sath kafi time spend kiya karti thi. Wo log Sia ke dil ke kafi karib the.
Yun to Som aur Sia ke bich video call hoti rahti thi lekin 8 sal ka waqt ho gaya tha aamne samne mile. Haan in 8 salon me kuchh mulakat hui thi jisme sabse lambi mulakat Sia ke 12th baad UK nikalne ke waqt ki thi jab Som, Sia aur unke dad Anurag teeno Delhi airport par mile the.
Jab se India lauti thi tab se bus sab se milne ke liye bechain thi. Haan lekin ye bhi tha ki wo har kisi se milne Som ke sath hi jati. Ye dono me tay ho chuka tha. Bich me Diksha ki shadi aa gayi aur dono ke milne me takriban 15-20 din ka gape ho gaye...
Vyas aur uske doston se mulakat ke baad Sia laut kar jab aayi tab sab se pahle Som se uski baat chit hui. Issi bich uske dad Anurag Malhotra bhi waitng me aa gaye...
Sia, Som ko bye kahti hui Anurag ko line par lee... Thoda gusse se unhe ghurti... "Dad what is this?"
Anurag:- Nothing my sweetheart. Kya hua hai jo meri ladli itne gusse me..
Sia:- Dad, at least you should come..
Anurag:- So I am the culprit one.. kisne mujhe mana kiya tha aane se...
Sia:- Sorry dad... Aap to UK aate rahte the. Main sochi Som ke sath main hi aaungi. Wo bhi aapko bahut miss karta hai...
Anurag:- He is a big boy. Uski chinta itni mat karo. My little angel pareshan achhi nahi dikhti..
Sia:- Ya I know dad, he is a big boy. Lekin emotions ye baat nahi samjhte na. Abhi uske bina achha nahi lag raha. I wish main Diksha ki shadi me ja sakti..
Anurag:- Shadi ke baad uske sasural chali jana. Don't be upset Sia… ..
Sia:- Dad aap kab aa rahe ho...
Anurag:- Tommorow..
Sia:- No..
Anurag:- Ab kisne roka..
Sia:- Main nahi chahti mere hero apna kaam chhod kar aaye. Kaam se free ho kar kab tak aa sakte ho. Aur kam se kam hafte din..
Aunrag:- Sure to nahi hun lekin 2 se 3 month baad September or October me..
Sia:- I am desperately waiting dad. By the way pahle se kafi handsome lag rahe ho. Did you propose Archna Sahay..
Anurag:- Ha ha ha, nahi maine to nahi kiya lekin wo kar chuki hai..
Sia:- No way, aap jhuth bol rahe hain?
Anurag:- Thik hai jaisa tum socho wahi sahi..
Sia:- Dadddd
Anurag:- Siaaa..
Sia:- Dad sach-sach bolo na...
Anurag:- Som ne to tumhe khinch kar lagaya nahi hoga. Mujhe Lata ko ye kaam dena hoga..
Sia:- Diksha ki shadi me to aap bhi nahi ja rahe honge.
Anurag:- Diksha ne khud mana kar diya. Usne mujhe tum dono ke sath bulaya hai..
Sia:- Fir aapne kya kaha..
Anurag:- Aree beti hai wo bhi meri. Main aane se pahle inform kar dunga. Tum aur Som Delhi chale aana. Hum bina waqt ganwaye Diksha ke pass chalenge...
Sia:- Good idea Dad, achha wo paise bhijwa diye the.
Aunrag:- Haan bhijwa diya hai. One more thing Sia..
Sia:- Yes Dad,
Anurag:- Maine ek ladke ki detail bheji thi. Mujhe ladka pasand hai..
Sia:- Ho gaya..
Aunrag:- Listen me sweetheart..
Sia:- You listen me Dad... I am happy..
Anurag:- But I am not... Khud se koi pasand ho to wo batao, nahi to iss se ek baar mil to lo...
Sia:- No means no, understood..
Anurag:- Ziddi..
Sia:- Daddd
Anurag:- Lagta hai jab marta rahunga tab last wish me...
Sia:- Ha ha ha ha... Thik se decide kar lo last wish me kiski shadi pahle dekhni hai... Don't be upset dad. Aap ko kanyadan karne ka poora mauka milega, Mr. Malhotra. Bus mujhe thoda waqt de do mentally prepared hone aur ek orphan ko dhundhne me...
Anurag:- Not again Sia. Diksha ki bhi to shadi ho rahi hai. Hum itne salon se screen par hi mil rahe, kya ho gaya..
Sia:- Chilla kyon rahe ho dad... Ek kosis karne do, nahi to jaisa aap chahte ho waisa hi hoga.. chalo smile karo.
Anurag:- Haan mujhe hi sikha le beta. Na to tum orphane ki talash me ho na hi kisi aur ke. Tum dono (Som & Sia) logon ko dur se hi namaskar kyon kar lete ho..
Sia:- Thik hai sadak par chali jati hun aur sabko pakad kar le aati hun. Kahti hun chalo ghar me chay pilati hun...
Anurag:- I wish you could do that..
Sia:- Dad sometimes you talk like f00l.
Anurag:- Maaf karo mujhe aur apna gussa shant kar lo. I am sorry..
Sia:- Thik se mafi maango... Aur ye kisi ka jabardasti apnapan mujhe achha nahi lagta.
Anurag:- Ok beta samajh gaya. Ab main rakhta hun. Gotta go... Khyal rakhna apna..
Sia:- You too day.. love you..
Anurag:- Love you too beta..
Apne dad aur Som se baat karne ke baad Sia, Diskha aur Mishra family se connect hui. Dono ke bich bhi kafi lambi baten chalti rahi. Baton ke dauran kayi baar Som ka jikr aaya jahan Sia to kuchh nahi batayi, haan lekin Diksha ne khud hi kah diya.… "Som bhi nahi hi aayega".. ..
Haalanki Sia aur Lata Mishra ko pata tha ki Som, Diksha ki shadi me ja raha hai, lekin Diksha se uske khubsurat lamhe ko Sia kaise chhin sakti thi. Jab kisi khas dil ke karibi ke aane ki koi ummid nahi thi, fir bhi wo pahunch gaya.
Ek khubsurat raat, jo kafi sukoon bhadi aur Sia ke chehre par muskaan banaye rakhi. Agli subah ek Khushnuma subah thi. Sia taiyar ho kar college ke liye nikal gayi. Campus aur wahan ka invironment to badhiya tha, lekin canteen ki coffee me Sia ko maza nahi aa raha tha. Wo 2 time yahan coffee pine aati aur dono baar complaint kar hi deti.
Uss din jab Sia college gayi tab parking ke aage medical section me usse ek aur canteen dikh gayi. Sia ne tay kar liya aaj yahan ki coffee wo pi kar dekhegi. Apne pahle class ke baad Sia ussi canteen me pahunchi aur ek cup coffee ka order de di. Kafi aaschrya tha iss canteen me. Yahan kewal aur kewal medical students hi aate the.
Sia coffee ka pahla sip lee aur dil khush ho gaya. Abhi wo dusra sip le hi rahi thi tabhi samne se kucch medical students chale aa rahe the...
Ek ladki:- What's your name..
"Sia..."
Ladki:- Medical student..
Sia:- No..
Ladki:- Bahut badhiya... Dear friends humare bich ek non medical student baithi hai. Swagat to karo...
Takriban 20 students Sia ke aage khade ho gaye... "Koi baat nahi hai, isse allowed kar dete hain"… Table par rakhe phool me se 1 phool nikal kar wo ladka Sia ke ore aage badhate huye kahne laga...
Uske sath wala dusra ladka bhi phool badhate huye... "Haan isse allowed kar dete hain Nisha"
Nisha:- Captain yahan tumhari jaroorat hai.
Captain final year student tha aur Nisha ka boyfriend. Poore campus me 8-10 terror the jisme ek naam captain ka bhi tha. Captain Amarnath Chaudhry, theth Haryanvi.… "Kya hua Nisha baby"
Nisha:- Kisi ladki ko dekh kar humare 2 sitare fail ho gaye aur ye miss medical student nahi hai..
Captain:- Aisa hai kya? Kyon miss idhar kaise bhatakti hui aa gayi... Bahar dekhi na likha hua tha, only for medical students..
Sia:- Ek cup coffee pine ke liye board dekhna hoga kya? Aap logon ko jyada issue hai to management se shikayat kar sakte hain..
Captain:- Na chhodi to kayde kanoon batiya rahi hai. Sun chhodi yahan hum hi management hai. Le khud se hi shikayat kiye deta hun... "Captain saar, ek non medical student coffee shop me aa gayi hai"… "Thik hai ja, chhodi ko ek sahi sabak de kar usse samjha de, yahan non medical student ke aane ka kya parinam hota hai?"
Sia, chup chap inka tamasha dekh rahi thi. Captain ek kadam aage badha. Sia apne cup ko table par rakhti... "Main PhD ki student hun. Tumhari senior"
Captain:- O senior, yahan sirf hum hi hote hain baki andu jhandu ko hum nahi jante. Chal ek kiss kar de mere iss dost ko, aur dobara dikhna mat.
Sia:- Yadi maine kiss nahi kiya aur dobara dikh gayi to...
Captain:- Fir tu campus me kisi ko na dikhegi…
Sia:- Fine mr Captain. So u want mess with me. Bus 2 min sun lo, uske baad jo karna hoga aage tumhari marji... Bhaiya ek coffee lana 2 minute baad.. So... Mr Captain, main jara apne bare me bata dun..
Sia itna kah kar apne bag se ek rumal nikal lee. Rumal ko hath par lapeti aur table par lagatar punch karti hui samne uss captain ke aankhon me dekhti... "Main pichhle 10 sal se ye punching practice kar rahi hun. Ye punch main koi bhi kaam karte aur kisi bhi surface par chala sakti hun. Tum 5 ladke mujhe mil kar marne aaoge... Main kisi ek ko pakad kar aisa marungi ki uski haalat mujh se jyada kharab hogi. Ek ladki ko 5 ladke marne aaye. Iss campus me baat phail jayegi. Upar se uss ladki ne ek ko pakad kar hospitalized kar diya. Iss campus ki public figure main hi rahungi."
"Aur kahin galti se tumne apne in fuljhariyon ko bhej diya to south ka action hoga. Mere ek punch ko jhelne ki aukad nahi hogi inki. Charo ore ye chhuyi-muyi doctors ground me bichhi hui hogi. Kyon na tum sab mujhe apna senior aur special case maan lo. Main chup chap yahan aa kar coffee piyungi aur chalti banugi. Oh 2 min khatam ho gaye. Thank you bhaiya. Aap ke yahan ki coffee bahut mazedar hai. Ek mere junior captain ko bhi pilaeye. Baitho junior..
Captain:- It's ok senior. Lekin dusre ko mat le aana senior apna dab daba kam jayega…
Sia:- Don't worry junior ab main bhi to team me hun...
Captain:- Senior kya tum boxer ho..
Sia:- No, main ek student hun... Tumhari tarah.. tum sab ko bhi coffee pini hai kya?
Captain:- Thanks senior... Koi baat nahi aap lo...
Captain Amarnath apne doston ke sath bahar aaya. Uski Gf Nisha usse ghurti hui abhi ke bare me puchhne lagi... Captain usse kahne laga... "Wo maar-pit karne ko taiyar thi. Ab kya ye din aa gaye ki ek ladki ko hum ladke maarte. Hum haryanviyon ki kuchh izzat hai ki nahi. Gaanv me khabar phail jati to log thuu thuu karte. Upar se kahin usne mujhe pakad kar dho diya hota to"..
Nisha:- Kyon ek ladki se jit na pate kya?..
Captain:- Wo 10 sal se traning kar rahi hai. Usse kitne bhi ladkon se bhidne me koi dar na tha. 10 hum marte to bhi log ye na kahte ki wo ladki pit kar aa gayi… Lekin jis hisab ki practice hai uski, wo bhid me se bhi kewal ek ko hi marti. Jise marti uska muh ya naak fatna tay tha. Ufff kya embarrassing moment hota. Chhodi poori dil se Haryanvi hai, isliye uske liye sath khoon maaf. Wo mari senior main uska junior...
Nisha:- Senior.… Uske bare me soch kar kuchh jyada chahak rahe ho tum. Lagta hai girls hostel ko active karna hoga...
Captain:- Bawari sath me hospital ki khatiya bhi book karwa lena…
Nisha:- Aisi baat hai kya...
Captain:- Chaho to aajma lo… Tum jitni der me stick uthaogi uss se pahle hi 4-5 ka jabda tod kar sula chuki hogi... Punch karne ki speed nahi dekhi kya?..
Nisha:- Kahin ye wo ladki to nahi jisne University ke mukhya prabandhak Manohar laal ko class me intro dene par majboor kar diya tha...
Captain:- Baat bilkul shanti ke sath aankhon me dekh kar poore confidence ke sath kar rahi thi… Ho sakta hai ye wahi student ho..
Wo poora group ek baar fir wapas ander aaya. Sia coffee ke sip le rahi thi... Captain uske pass aa'kar… "Senior tum kahin wo invironmental science ki student to nahi jisne kuchh din pahle Manohar Laal Joshi ko pani pila diya tha"
Sia:- Haan main wahi student hun but maine kisi ko pani nahi pilaya. Main bus apni problem ka solution maang rahi thi…
Captain:- Senior yadi ye meri dumbo gf na hoti to main tunhare ghar, class aur har jagah ke chakkar kaat kaat'kar pata leta. Waise single ya committed..
Sia:- Baad me baat karte hain junior abhi class ka time ho raha hai. Oh haan ek request hai. Medical science aur environmental science hai to science hi na. Yadi niyam me koi gunjaish ho sake to request maan lena. Ab yahan ke management to tum hi ho.
Captain:- Senior rahne do. Tum yahan nayi aayi ho na isliye yahan ke mahol nahi pata hai. Tum aao na.. Apne doston ko bhi lao, hume koi issue nahi hai.. lekin uske baad thodi si issue ho jayegi. Yahan ke canteen ko humne bahut mehnat se maintain kiya hai. Sab ko laogi to coffee ke liye fir bahar bhatakna hoga...
Sia:- Ohhh !! Koi baat nahi hai junior main kisi ko nahi laungi... Ciao..
Sia apne class me aa gayi aur medical students apne class me chale gaye. Apne class khatm kar ke Sia ghar ke liye wapas nikali. Jab wo raste me thi, usse dur se hi Vyas, Asif aur Riaz, society ki sadak par ulluon ki tarah chalte huye najar aa gaye. Chal sadak par rahe the aur najren har ghar ki khidki par. Kisi bewakoofon ki tarah taaka-jhaanki karte huye ja rahe the…
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Behtreen updateUpdate:-27
Sia ghar lautne ke karm me raste me hi thi, jab usse dur se hi Vyas, Asif aur Riaz, society ki sadak par ulluon ki tarah chalte huye najar aa gaye. Chal sadak par rahe the aur najren har ghar ki khidki par. Kisi bewakoofon ki tarah taaka-jhaanki karte huye ja rahe the…
Sia apni cycle sab se pichhe kahde Riaz ke pass rokti… "Kisi friend ke yahan aaye ho"
Riaz ek najar Sia ko dekhte... "Tum car se college nahi jati"
Sia bina kuchh bole hi wahan se aage badh gayi. Tabhi pichhe se Riaz daurte… "Kya hua bina bole ja rahi"
Sia:- Aise sadak par daud-dhup aur cycle mat pakdo Riaz, mujhe achha nahi lagta. Main bakayda cycle rok kar puchhi thi..
Riaz:- Wo hum tumhara hi ghar dhundh rahe the.
Sia, ek najar charo ore daurayi... "Riaz sab ko le kar ander aao. Aaram se baith kar baat karte hain".. Sia apni baat kah kar kuchh dur aage gayi. Darwaje par watchman tha, Sia uss wathchman ko samjha kar ander aayi.
Riaz teji se aage badha... "Sale ulluon, aise chhanbin karoge. Chidiya abhi-abhi ghosle me gayi aur tum dono gadhe ki tarah aasman me dekhte raho."
Vyas aur Asif dono ek sath usse ghurne lage. Vyas chidhte huye... "Tu tab nahi bata sakta tha jab wo ja rahi thi"
Riaz:- Look dena band kar teeno ko ander bulayi hai...
Riaz dono ko bungalow ke samne le gaya. Teeno ne aage ka board dekha... "Ye wo Nirbhay to nahi hai"…
Vyas:- Hoga bhi to…. Sia ne bulaya hai na bus.
Asif:- Bawre, Jinda rahega to pyar karega na...
Vyas:- Fattu sale... Naam dekh kar hi bhag ja. Kya poore Lucknow me ek hi Nirbhay Singh hoga.
Teeno jaise hi gate par pahunche, watchman ne teeno ko sidha bunglow me jane ke liye bol diya. Teeno aas-pass ka najara lete huye chal diye.
"Vyas tere sausral wale bahut amir hai".. Asif ne kaha..
Vyas:- Thanks Asif..
Asif aur Riaz ek dusre ko hairani se dekhe fir Riaz… "Lagta hai aaj hi shadi ki baat bhi tay kar lega"…
Vyas:- Uffff dil me gudgudane wala khyal hai. Maa, baba ko bula lun kya..
Baat karte huye teeno bunglow ke samne khade the. Ek bada sa darwaja khula hua tha. Sia wahin hall me baithi hui thi. Usne bhi teeno ko dekha aur hath ke ishare se bulane lagi.
Teeno hall me aa kar bilkul sarifon ki tarah sidhe tan kar baithe. Sia teeno ko ghurti... "Ye behuda harkat kiske dimag ki upaj hai"…
Riaz aur Asif ke ungli ka point Vyas ki ore. Vyas thoda harbadate..."Wo main.. pata na ab kya solid jhuti kahani bana dun jo lage ki haan tumhara ghar dhundhna jayaj tha. Dimag hi kaam nahi kar raha. Bus laga ki milna chahiye isliye chala aaya.
Sia:- Had hai Vyas. Sidha wahin chay ki dukan par adress puchh lete. Aise paglon ki tarah teeno poori society me taak jhaank kar rahe the...
Vyas:- Sorry... Ab se sidha puchh lunga..
Sia:- Haan ye sahi hai. Chay pina chahoge ya coffee...
Asif:- Ek madad…
Riaz aur Vyas dono Asif ko mud kar dekhe. Asif... "Kya?"
Vyas aur Riaz ek sath... "Kuchh nahi sir, aap problem bataeye"
Sia:- Haan haan bolo na Asif... Ek minute pahle main coffee ke liye bol dun..
Sia jaise hi wahan se uth kar gayi, Vyas aur Riaz sidha Aisf ka gala gont'te... "Tujhe yahan aa kar kaun si madad ki yaad aa gayi"..
Asif:- Abe maar dalega kya, gala chhod harami.. main to bhabhi ko engage kar raha hun...
Tup se Vyas ki aakhen phail gayi. Kaan bilkul khade... "Ek baar aur bol"
Asif:- Pandit ji tere liye bhabhi ko engage kar raha tha...
Vyas:- Ek baar aur...
Asif:- Shahstri, bhabhi jyada se jyada tere sath rahe isliye main engage kar raha tha..
Vyas:- Ek baar aur please…
Riaz:- Ye sala gaali kha kar hi manega... Bsdk chhod de wo aati hogi...
Kadmon ki jaise hi aahat hui, teeno fir se tan kar baithe... Sia kitchen se wapas laut'ti... "Haan Asif kya madad kar sakti hun"
Asif:- Meri ek lover hai. Riaz ke pass bhi ek hai. Lekin bhai Vyas apna teacher thehra.
Sia bich me hi rokti... "Vyas kahan padhate ho"
Vyas:- Apne ghar par. Baba tutition diya karte the..
Sia:- Karte the... Abhi nahi padhate hain kya?
Vyas:- Kuchh karan the isliye unhone tution padhana chhod diya. Abhi sirf school me hi padhate hain..
Sia:- Tumhare papa teacher hain?
Asif:- Pandit Ram Swaroop Shastri naam hi kafi hai. Fir Lucknow me koi bolega kya? Unke chahne wale students ki kami nahi hai. Sir ki izzat to poora Lucknow karta hai..
Sia:- Main bhi sir se ek baar milna chahungi. Sorry Asif bich me hi rok di. Tum kya kah rahe the…
Asif:- Main ye kah raha tha, mere aur Riaz ke pass partner hai lekin Vyas ka khali samay doston me aur poora samay ghar par. Aaj tak bechare ko koi mili hi nahi. Medical College me admission hua tha aur hum jindgi me aaj tak kabhi pub nahi gaye... To main ye soch raha tha yadi tum favour karo to...
Sia:- No...
Asif:- Please..
Sia:- Vyas ke liye ek partner hi chahiye na, tum dono apne girlfriend se bol do kisi friend ko le aayegi.. mujhe night out pasand nahi...
Riaz:- Aur uss raat jo mili thi..
Sia:- Really uss raat night out tha. Mujhe lagta hai tumhe fir se sochna chahiye Riaz. Main shift ho rahi thi Lucknow. Night out aur majboori me safar karna anter hota hai.. Kya main kisi problem me hui aur raat ko tum sab ko call karun to wo night out kahoge ya need...
Riaz:- Sorry…
Vyas:- Ab kya iske liye bhi convience karun..
Sia:- Ok.. So Mr. Vyas mujhe night out ke liye convience karenge... Thik hai kijiye Shashtri ji..
Vyas:- Nahi karta... Jab tumhari ikchha hogi to chalogi. Isme convience karne jaisa kya hai. Poore umr convience kar ke hi baat manvate rahen kya log...
Sia:- Nice approch.. promise jis din night out ki ikchha hui Vyas ke sath hi jaungi...
Kuchh aupcharik baten aur teeno dost Sia se vida lekar bahar nikal aaye. Kuchh dur tak paidal chalte rahe. Jaise hi uss society se bahar aaye, Vyas bari-bari se dono ke gale lagte... "Woooo hooo.. pyar ka pahla promise mil gaya... Yeahhhh !!"..
Vyas ki khushi dekhne layak thi. Riaz aur Asif dono chidhte huye Vyas ko dekhte... "Shahstri pagal ho gaya kya."… ..
Riaz:- Oye Shashtri... Abe jhandu usne sirf in future ki baat ki hai...
Vyas:- Haan to, abhi uske future me aa gaya na.. ab present me aana hai…
Asif:- Kaise...
Vyas:- Jo purane aashiq karte aa rahe hai... Har jagah usse main hi main dikhunga...
Aisf, Riaz ko dekhte… "Kuchh jyada hi ummid lagaye hai. Ye bhi na dekh raha ye ladki apni range ke bahar ki hai".
Riaz:- Range ki ho ki na ho hum range me le aayenge… dost kis baat ke liye hote hai..
Asif, Riaz ko dekh kar bus apni chehre ki pratikriya hi de paya... Kahna to chahta tha ki abhi tujh me samjhdari ki bahut kami hai, lekin kah nahi paya..
Subah Sia ke college jane ka samay. Sia apni cycle se kisi chaurahe ko cross karti purav ki disha chal di to Vyas bhi cycle par sawar aankhon me chasma lagaye paschim se cross karte najar aata. College se laut'te waqt bhi yahi hua. Sham ko chay ke adde par Sia, Vyas se puchhi bhi subah ke bare me. Vyas aise taala mano usse kuchh pata hi na ho. Upar se reaction aise the... "Tumhe mujhe rokna aur tokna to chahiye tha na"… Sia kya bolti... Wo bhi baat taalti... "Subah college jane ki jaldi hoti hai"… bus itna hi kah payi…
Agle din Sia ke liye thoda ascharya tha, kyonki kuchh ladke jo uske sath aage picche ho kar kuchh dur tak geet gungunate sath jaya karte the, wo aaj nahi the.
Ek jhalak aate aur jate Vyas roj ussi chaurahe par mil raha tha. Aur roj hi chay ke adde par aise anjaan ban raha tha jaise wo sadak par ho to raste ke alawa kahin dekhta hi nahi tha. 4 din ho gaye in sab ko dekhte. 5th day Sia college ke samay se aadhe ghante pahle nikli. Aaj Nirbhay ki car se nikli thi aur uss chaurahe ke aage ja kar car kinare khadi kar di...
Sia aaram se car me baith kar poora observe kar rahi thi. 10 minute bhi nahi huye honge, inke kaarname dekh kar Sia chakit ho gayi. Teeno sadak ke kinare khade ho gaye. Durbin nikale aur Sia jis ore se aati thi, uss ore dekhne lage.
Gandhi ji ke teen bandaron ke koi pratayksh aur satika example honge to inse behtar koi na hota...
Riaz:- Bc wo dekh, wo dekh…
Asif:- Bsdk kahan dekhne kah raha hai..
Riaz:- Abe wo left side wala building ke chhat par dekh... Kaise wo aunty football latkaye samne ki chhat wale launde ko dekh kar hansti hui exercise kar rahi...
Aisif:- Durbin hata chutiye, pahle ungli se bata kidhar...
Riaz:- Abe wo left side me unchi building.. sale aankhon me motiya hua hai kya..
Vyas:- Abe chup raho yaar, Sia aane wali hai. O Teri.. Asif...
Asif:- Kya ho gaya Vyas..
Vyas:- Abe sadkon par dekh, jidhar se Sia aati hai. Abe Asqa udhar se aa rahi hai...
Asif bilkul sidha khade hokar... "Kahan kahan"
Vyas:- Samne jahan se Sia aati hai..
Riaz:- Aaj to beta gaya, maar legi iski...
Asif, harbada kar dekhte.…. "Kamino wo iss road par kab se aane lagi. Sharm na aati darate huye… dhadkane badh gayi thi"...
Riaz:- Hat sale, aapas me bakchodi karte raho, main to subah ke mausam ka najara leta hun..
Sia:- Ek binocular mere pass hota to main bhi subah ka najara le leti...
Riaz mud kar ek baar kinare dekha aur Durbin badhate huye… "Haan-haan kyon nahi. Lo tum bhi dekho Sia"…
Riaz Durbin badha kar fir se samne dekha... Fir jhatke se apne kinare… dhime se laat Asif ke paun par maarte... "Kya hai be"…. "Mere kinare dekh"….. "Kya dikha raha hai Chu"… Asif, chutiya kahte-kahte ruka aur Vyas ko thuski lagate... "Shshtri… Shastri"…. "Ruk na aati hi hogi"…. "Aa gayi"….. "Kya"… "Riaz ke baju me dekh Sia yahin khadi hai"…
Vyas, kinare dekha.. hath se Durbin gayi chhut... "Wooooooo !! Sia tum kab aayi"..
Sia:- Kuchh football ki baat ho rahi thi.. coffee pite huye baat kare...
Vyas:- Wo Riaz ke abbu ka piles ka opration hai, baad me aate hain..
Sia:- Kamal ka piles hai. Dard se tum uchhal rahe Vyas… Chalo hospital hi chal dete hain….. Chale Riaz sir..
Riaz:- Mujhe ek kaam yaad aa gaya.. main baad me milta hun...
Asif:- Tere uss kaam me to mera kaam bhi padega na.... Main bhi aaya...
Sia:- Teeno matlab teeno... Abhi coffee par ek chhoti si charcha karenge... Kya samjhe..
Vyas:- Haan samjh gaya... Chalo...
Sia:- Cycle yahin rahne do...
Charo car me sawar. Shayad zindgi me pahli baar chup the ye teeno yaar. Yun to teeno lukkhe kabhi kisi se dare nahi, lekin abhi teeno ki haalat bilkul gaanv ki naveli dulhan jaise thi, jo apne saas ka action wala chehra dekh kar hi alag level par sahmi rahti hai. Je teeno bhai bhi bilkul ussi prakar se dare-sahme bilkul samne dekh kar chupchap ja rahe the.
Kuchh minute baad hi car medical wale canteen ke samne ruki. Subah sab ki class hoti hai isliye canteen poora khali aur teeno nayi naveli dulhan, round table par baithe huye. Samne Sia chup-chap khamosh aur idhar ye teeno bhi khamosh, uske bolne ke intzar me…
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Bohot hi ummdha updateUpdate:-28
Kuchh minute baad hi car medical wale canteen ke samne ruki. Subah sab ki class hoti hai isliye canteen poora khali aur teeno nayi naveli dulhan, round table par baithe huye. Samne Sia chup-chap khamosh aur idhar ye teeno bhi khamosh, uske bolne ke intzar me…
"Kya main jaan sakti hun ki kiska dil aaya hai mujh par"… Sia ka sidha war bina koi bhumika bandhe..
Ek ghighyayi si awaj nikli. Kuchh samjh pana muskil... Sia thodi aur loud aur clear hoti… "Kisi ka gala baith gaya ho to yahin gala ka operation main karwa dun... Bolte kyon nahi"
Asif aur Riaz ek najar Sia ko dekha. Jaise hi dono ki najren Sia se mili, dono apne najren churate… najar ko niche kiye aur ungli ke point Vyas par…
Vyas:- Sorry main helpless hun.. jab se tumhe dekha hai kuchh aur dekhne ka mann nahi karta…
Sia:- Jaisa ki ummid thi... Shastri ji kisne kaha tha maksad flirt karna nahi...
Vyas:- Maine…
Sia:- Kisne kaha tha humari bhi ikchha hoti hai, wo kya to kaha tha... Tum jaisi ladki jo humare sapno ke range se bhi bahar hoti hai..
Vyas, dono haath se chhati pit'te... "Maine..
Maine hi kaha tha..'
Sia:- Nahi uss din baat karti to ladki attitude wali... Aur baat kar li to aap majnu ho gaye..
Vyas:- Kisi na kisi ko to milogi hi... Main kyon dil jalaun...
Sia:- Ek baar aur Jarra…
Vyas:- Kisi na kisi ladke ke liye cahaht to jagegi hi... Fir main kyon dil jalaun... Mere liye hi chahat jaga lo... ..
Sia:- Ohhh !!! Isliye competition khatm kar diye...
4 coffee table par aa kar rakhi thi. 2 coffee ki cup bakayda apni jagah rakhi thandi ho rahi thi. Baki ke 2 cup hath me the. Asif aur Riaz coffee ki chuski le rahe the aur itminan se Vyas ki watt lagne ka maza utha rahe the… Tabhi jaise hi competition khatm hone ki baat Sia ne kahi, dono coffee pite huye sarak gaye. Tej chhink aani shuru hui aur dono apne sar par haath maar rahe the...
Sia:- Tum dono jara shant rahoge... Shashtri ji idhar concentrate kijiye... …
Vyas:- Wahi to kar raha hun…
Sia:- Joke tha ye...
Vyas:- Ab mujhe achha nahi laga ki koi mere alawa tumhe chhede, isliye in dono ne unhe maar kar bhaga diya..
Sia teeno ko ek baar aur ghurti... "Wow so nice of you Pandit Vyas Prasad Shashtri"…
Khamoshi... Khamoshi aur sirf khamoshi. Sia iss par aur aage baat nahi karna chahti thi aur Vyas intzar me tha ki Sia kuchh bole... Isliye charo ore kuchh der tak khamoshi ki chhayi rahi..
Riaz:- Aise dono chup chap baithe ho to coffee hi pi lo..
Sia ki hansi chhut gayi. Hans to khiar Vyas bhi raha tha lekin Sia ki hansi dekh kar mahol ko thoda halka feel karne laga. Ladke ka dil to Sia ko dekh kar tab bhi aniyantrit ho'kar dhadak raha tha, jab Sia usse daant rahi thi. Abhi to Sia hans rahi thi aur hansti hui... Aahhhhh haaaa haaa haa... Kya lag rahi thi Sia. Vyas ke liye ye pahla anubhav tha jab wo dil me kuchh gudguda aur dimag bilkul sunya ho chuka tha…
Vyas achanak hi Sia ka hath tham liya. Sia jhatke se apna hath khinchti…. "Vyas yahin khatm karte hain. Aaj ke baad hum na hi mile to achha rahega. Haan main tumhari feeling ko hurt nahi kar rahi bus mujhse ye nahi hoga. Yadi tumhe fir bhi lagta hai ki mere liye koi na koi hoga aur wo tum kyon nahi to tum jab bhi khud ko taiyar samjho mere dad ka number le lena..."
"Unse ya to tum baat kar lena ya tumhare ghar ke log. Tumhari feeling ke liye main itna hi kar sakti hun. Aur haan kuchh achhi baten tum teeno ki jahan me hai. Mujhe pareshan kar ke un achhi baton ko mere ander se barbaad mat karna".
Vyas, Sia ko gusse se ghurte.… "Tumhare bapu ka haan kahna koi enter button hai kya? Udhar wo haan kahe aur idhar Sia madam ka pyar sina phaad kar bahar aa jayeya"…
Sia:- Vyassss..
Vyas:- Siaaaa...
Sia:- Irritate mat karo…
Vyas:- Do apne bapu ka number... Beti ne naa kah diya, baap ne bhi naa kah diya to kam se kam phone par gaali de kar bhadas to nikal lunga...
Sia:- What???
Asif, Vyas ko khinchte huye.… "Sia ye pagal ho gaya hai. Hosh me na hai. Baad me milta hun."..
Vyas, Asif aur Riaz ko jhatke… "Chhod mujhe. Isne mujhe mana kiya hai ab main bhi break up karunga, warna dil par bojh sa rahega... Break up... Break up... Break up... Main bhi aaj se break up karta hun. Kal se tum bhi... Nahi kal se kyun aaj aur abhi se tum mujh se milne mat aana. Samjhi tum"…..
Sia:- Haan thik main samjag gayi...
Vyas khada ho kar Sia se break up kar raha tha aur Riaz ke kano me jaise hi break up ki baat pahunchi… "Sia kal se tum kis chay ki dukan par jaogi mujhe phone kar ke bata dena. Main aaunga.."..
Riaz ki baat sun kar Vyas usse thappad marte…. "Bahut naa kahne ka shauk hai na tumhe Sia. Ye mera sher Riaz advance me tum se break up karega. Kya kewal tum ladkiyon ko hi naa kahne aata hai?"..
Asif:- Ab to break ho gaya na. Hot aur sexy jod de na. Khali sunder kahne se break up kahne ka feel na aayeg... Lagna chahiye na kisi hi-fi model ko Riaz break-up kah raha hai...
Riaz roni shoorat banate.… "Pahle thik se pata to lene do. Kamino Vyas ka break up hua to kya mera advance break up karwa doge. Sia jaise ladki ke pichhe kam se kam 15-20 sal try to kar lene do"..
Vyas:- Chup kar... Suno Sia tunhe kya lagta hai kewal tum jaisi bala ki khubsoorat… ek dum kadak aur hot ladki hi break up bol sakti hai... Ye Riaz tumhe 1 minute pahle chahta tha aur ek minute baad hi usse laga ki wo Noor ki beti... Abe naam kya tha uss desi Eva Green ka...
Riaz:- Lekin Sia ke samne wo fiki hai... Abe Sia ki hight, personality, body figure dekh... Kahan ye kahan wo...
Vyas:- Sale bejjati mat karwa... Chhod naam me kya rakha apne uss deshi Eva Green Zoya ka. Usse hi yaad kar ke mera dost abhi tum se break up kar raha hai… Kewal yahi kyun mera poora mohalla advance me break up kah raha... Haan mera ho gaya. Asif ab closing point bol aur liye chal hame...
Asif, Sia ko minnat bhadi najron se dekh kar, isharo me maafi maang liya aur agle hi pal... "Sia mann ho to aana chay ki dukan par aana. Chal Vyas, Chal Riaz...
Sia inke drame dekh kar ander hi ander hans rahi thi. Teeno ke jate hi, Sia ek cup coffee magwai... Abhi pahla chuski le hi rahi thi tabhi teeno canteen me wapas aaye... Sarifo jaise chaal thi aur chehre se teeno ke masoomiyat poori tapak rahi thi. Teeno aa kar thik Sia ke samne baithe...
Sia:- Ab kya hai...?
Sia ki baat sun kar, teeno ek dusre ka muh dekhne lage. Tabhi Riaz aur Asif ne Vyas ko thuski diya...
Vyas:- Main kya soch raha tha, apne dad ka number de hi do. Ek mauka to rahega na...
Sia:- No way... Tum teeno aapas me maa bahan ki gaali dete ho... Dad ko gaali bakne ki dhamki to muh par de kar gaye the...
Vyas:- Matlab number nahi dogi. Yahi tumhara aakhri faisla hai...
Sia:- Haan...
Vyas:- Achha thik hai. Sia wo uss waqt ki meri coffee thandi ho gayi thi. Ab itni dur aa gaye hain to ek cup coffee pi hi leta hun. Warna tumne bura lagega…
Asif aur Riaz ek sath... "Jab mangwa hi rahi ho to 2 cup aur mangwa lena..."
Sia:- Bhaiya 3 cup coffee disposal me le aana..
Aisf:- Baith kar to pi lene do...
Sia:- Ji nahi tum sab mujh se break up karke gaye the. Disposal me pini hai ya main manaa kar dun…
Asif:- Lekin main to...
Sia:- Maan liya maine tumhara bhi advance break up. Maan liya ki tumhe bhi koi deshi Megan Fox yaad aa gayi aur 1 minute pahle jaagi chahat se break up kar liya. Ab chup chap disposal uthao aur mere samne se hato...
Riaz:- Sia..
Sia:- Haan..
Riaz:- 100 rupya hai kya?
Sia:- Udhar maang rahe ho…
Vyas, chidhte huye... "Car se hume utha layi, paise bhi nahi hai, ab wapas kaise jayenge?"
Sia, apne bag se 50 ka note nikal kar deti... "Bahar share auto mil jayega, chauk tak ek aadmi ka 15 rupya kiraya lega. Bache 5 rupya se aish karna boys...
Asif:- Sia main kya kah raha tha 1000 rupya udhar milega kya? Abhi apni pocket bahut tight hai aur naya taza dono ka break up hua hai to doono littile-little le kar apna dard bhula lenge...
Sia:- Aur ye dono kya little-little lene wale hain..
Asif:- Aedi, break up ke baad ladke little-little daru hi piyenge na...
Sia:- Hat bevdon.. mere pass nahi hai paise..
Riaz:- Hai maine dekha tha..
Sia, Riaz ko aise ghuri mano kaccha chaba jayegi.… "Disposal uthao aur chalte bano"..
Kuchh der khamoshi chhayi rahi. Ussi khamosh ke bich three idiots ek dusre ko dekh rahe the... Najron ki sangoshthi me ek dusre se puchhne ki kosis kar rahe the... "Ab kya?".. Riaz "aieeee" sound ke sath jibh bahar nikal diya... Ye ishara tha, … "Apni kaun si sharm"…
Riaz ke iss silent reaction ke baad teeno ne najron se sahmati jata lee aur agale hi pal teeno Sia ke paun me. Itni teji me teeno niche baithe ki Sia uchhal kar dono paun upar kursi par rakhi... "Ab ye kya harkat hai?"…
Asif:- 1000 rupya udhar de do. Bahut killat chal rahi hai...
Sia, charo ore ka mahol dekhi. Apne sar par hath rakhti... "Ye tum log kya paglon wali harkat kar rahe ho? Jao yahan se.. kyun padesan kar rahe ho? Thoda to sharm karo teeno. Ander kuchh male ego waigrah hai ki nahi Vyas. Kitna akad kar gaye the. Apne baat par kayam raho na..
Vyas:- Mujh me bahut ego hai lekin maa ne sikhaya hai striyon ke charno me swarg hai...
Aisf:- Kaun sa wala...
Riaz, 1 thappad lagte... "Pahle thik se bhikh maang le."
Sia, 1000 rupya table par rakhti... "Drame band karo. Paise lo aur jao yahan se"…
Teeno paise aur apna apna coffee uthate wahan se nikal gaye. Jaise hi teeno bahar nikle, Sia teeno ki harkat ko yaad karte khud me hi hasne lagi. Hansi wo bhi khul kar aur poora khil-khila kar...
"Kya senior khud me hi hans rahi ho? Kisi khas ko yaad kiya ja raha hai kya?… Nisha, Sia ke pass baith'ti hui puchhne lagi…
Sia:- Bus yun hi...
Nisha:- Senior iss weekend ka kya plan hai.
Sia:- Kuchh plantation karna hai. School ka ek sweeto junior hai uss se milne ki planning bhi hai.
Nisha:- Pub chalogi..
Sia:- Sorry Nisha...
Captain bhi ek chair Nisha ke pass lagate... "Kya yaar senior chalo bhi. Poora group hoga aur group ki humari senior bhi".
Sia unki baton ka bahut jyada respond nahi ki. Saaf manaa kar ke aaram se baithi rahi. Nisha aur Amrendar ki fir aapas ki baten aur halke fulke mithi takrar wali chhed-chhad shuru ho gayi.
Kuchh der baad anya medical class bhi over hui. Kayi sare students coffee ke liye pahunche. Unhi student ke bich pahuncha Sagar Chaturvedi. Abhi-abhi Joshi ke chember se aaya tha aur Joshi canteen ka cc-tv dikha kar bata diya ki yahi nayi ladki hai jo management ko ungli kar rahi.
Chaturvedi ji bade hi attitude aur robab me apne 6-7 chamche ke sath pahunche. Baki sab ladke uske pichhe khade the aur Chaturvedi thik Sia ke samne... Kursi laga kar baithne ke sath hi... "Hello sexy main Sagar hun.. Sagar Chaturvedi"
Jaise hi usne bolna shuru kiya. Nisha Captain ka hath jod se thamti upar najron se kuchh naa kahne ka ishara ki...
Sia:- Kaun si class Mister Sagar..
Sagar, apne dono paun round table par rakh kar juta thik teeno ke muh ke samne kiya aur cigerette ka 1 kas khinchte... "Medical 3rd year"
Sia ko yahan ke students aur mahol se bahut jyada matlab to tha nahi. Chup chap uth kar wahan se chal di. Jaise hi 2 kadam aage badhi 8-10 ladkiyan samne se Sia ka rasta rokti... "Hello kahan chali"..
Sia:- Rasta chhodo juniors..
Nisha:- Senior, ye medical second year ki students hai. Bahut dikkat ho to ragging shuru kar dena... Parivar to humara bhi netaon ka hai..
Iss baar Nisha, Sagar ko ghurti hui kahne lagi. Amrendra, Nisha ki baat par hanste... "Kya Chaturvedi, aaj apni memni girlfriend ko ek sherni ke shamne khada kar diya. Beta wo meri senior hai. Ragging lene lagi to hum bhi na kuchh kar payenge…"
Sagar ka ek chamcha, Rehan.… "Tu kya uss haramzadi ko.…"
Abhi haramzadi kaha hi tha usne, ki Amrendra ka ek kadada thappad chipka Rehan ko.... "Kyon Chaturvedi, apne chammach ko sikhaya nahi jab ladkiyan ho to apshabd nahi nikalte. Aur ye to ek ladki ko hi.. Khair...
Sia:- Thanks junior... Girls, main medical se nahi hun. Apna gange war aapas me samjho. Main bus coffee pine aayi thi…
Sia apni baat jaise hi khatm ki. Samne khadi ladki jise Captain, Chaturvedi ki girlfriend bata kar usse memni sambodhit kar diya tha. Wo khud ko dabang sabit karne ke liye Sia ko thappad marne ke liye hath badhyee.. Sia uske thappad ko rokti, itna kadad tamacha uske gaal par jari ki panch ungliyon ke nishan uske gaal par chhap gaye aur wo bechari ladkhada kar apne 1, 2 saheliyon par giri...
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Tino dosto ki funny harkte or daŗu party.Update:-29
Sia apni baat jaise hi khatm ki. Samne khadi ladki jise Captain, Chaturvedi ki girlfriend bata kar usse memni sambodhit kar diya tha. Wo khud ko dabang sabit karne ke liye Sia ko thappad marne ke liye hath badhyee.. Sia uske thappad ko rokti, itna kadad tamacha uske gaal par jari ki panch ungliyon ke nishan uske gaal par chhap gaye aur wo bechari ladkhada kar apne 1, 2 saheliyon par giri...
Kya kadada thappad ki awaj thi. Nisha aur uski dost thappad ki awaj sun kar hi hooting karti Sia ke pass pahunchi. Nisha ke sath uski 5-6 sathi aur thi. Ladkiyon ki 2 gange aamne-samne…
"In third year walon ne 2nd year walon ki ragging dhang se nahi lee thi kya?…. Nisha ki ek dost boli...
"Mujhe bhi aisa hi lagta hai. Kyun na aaj dhang se inki ragging le li jaye. Senior ko bolo jaye yahan se. Hum jarra in second year ki murgiyon ko dekhe. Chut ki khujli mitane wale se itna prem kee ye unke kahe humare samne gang bana kar khadi hai"… Nisha ki ek aur dost boli...
"Kyon re Chaturvedi, tu aa kar humare samne baitha isse itiffaq samjh lete. Bencho ye murgiyon ki gange bina kisi baat ke senior ka rasta kaise rok lee. Kyon be khujli wale kutte, in khujli wali ktuttiyon ke sath kya plan kar ke aaya tha idhar"?
Nisha:- Senior tum jao class me der ho rahi hogi. In namuno ko aaj achhe se sikhati hun ki koi student ko management ki baat par apne sathi student ko plan bana kar chhedne ka kya anjaam ho sakta hai...
Bechara Sagar aaya to tha Sia ko samjhane, lekin ladki VS ladki me mamla ulajh gaya. Upar se Nisha. Nisha ke ladkiyon kee gange bahut badi terror thi uss campus me. Haan bhale Sagar ke local hone se, wahan laundon ke group me dabdaba kafi tha, lekin ladkiyon ke matter me bechara ja nahi sakta tha...
Captain:- Sagar ye teri chhuyi-muyi to behosh ho gayi lagta hai. Tu chinta mat kar aaj Nisha baby achhe se inko gange banane ki traning de degi. Aakhir senior hoti kis liye hain. Kyon baby...
Nisha:- Kyun nahi Captain. Aaj to hum Chaturvedi ko bhi sikhayenge ki juniors ki ragging kaise lete hain... Chalo re murgiyon jarra murgi ban kar baang lagao. Warna na jane kyun mujhe aaj second year hostel jane ki ikchha ho rahi hai…
"Kuchh beer ki bottol bhi le lenge. Lagta hai ek special class junior doctor ki nahi lagi"
"Kaun si class re Mehula"
"Aree wahi re "Thandi beer chut ke ander"… Aaj raat juniors ko pine ka tarika sikhate hain"…
"Iske third year walon ko bhi lapet. Kamini ne juniors ki thik se ragging kyun na lee"…
"Haan ye sahi hai. Canteen me humare samne ye second year wali udti firti pahunche ki himmat, un third year walon kee naakami ka natija hai"…
Hostel ki sabhi ek se ek khunkhaar, last year senior batch ke hatthe chadh gayi ye titliyan. Baton se balatkaar ka daur to waise hi shuru ho chuka tha. Un sab ki baat sun kar hi second year ki hostel kee ladkiyan kaanpne lagi thi. Kitni bhi minnaten ki lekin Nisha aur uske doston ne bhi "Choice is yours" round khel hi diya. "Ya to murgi bano, ya fir beer ke maze lo"…
Bechara Sagar aur uske panter. Hostel ki ladkiyon ke samne bhi kaun jaye. Ek to muh phat upar se ladkiyon ke gange ko touch bhi kar liye, fir to inki naari shakti Sagar Chaturvedi ke baap ka carrier kha jaye. Upar se yahan aukaad kiski kam thi. Sabhi to carorpati ke bacche hi the.
Sia to nikal gayi thi, lekin Joshi ke chakkar me bechara Sagar ki girlfriend ko pahle to Sia ka kadada thappad jhelna pada aur uske baad gang bana kar aayi second year ki ladkiyon ka gang bang to last year students kar rahi thi.
Khair laundon ke group me shanti varta shuru ho gayi. Jo niyam medical college ke purvaj tay kar ke gaye the, ussi hisab se faisla hona tha. Haan lekin Nisha ke ragging ka faisla pahle aaya tha, isliye ye ragging shanti prastav ke bahar thi.
Bechare Sagar ko jo hi thukai uski girlfriend ne kiya. Exactly 1 ghante tak non-stop wo bolti hi rahi aur jate-jate apne thappad ka hisab barabar karti, ek jordar thappad Sagar ke gaal par chipkati hui gusse me kahti gayi.… "Bencho aaj ke baad apne faltu ke matter me khicha to pichhe danda kar ke sidha kar dungi"…
Picche se Sagar ne rokne ki kosis ki. Wo itne gusse me thi ki apna sandel utar kar uske muh par maarti.… "Mujh se baat karne ki kosis bhi kiye to dekh lena Chaturvedi"…
Idhar ye three idiot break up ke baad 1000 rupye le kar pine ka plan bana rahe the. Aaj amiron ki tarah pine ka mood tha, isliye kuchh chillar aur batore, aur 2 khambe ke sath sabhi Vyas ke ghar pahunche. Din ka waqt tha. Mata ji Alka Shahstri aaram se apne bedroom me saas bahu aur unke bich ki sajis ko enjoy kar rahi thi. Bahan Nirali aur Bahan Jannat dono roj ki tarah apne kamre me group study me lagi hui thi. Haal me dhama-chaukdi ki aawaj se pahle Nirali aur Jannat ko khalal hui, dono ne bhi apna kitab band kiya aur sath chillayi…. "Tum three idiots ko koi kaam nahi hai kya? Kyon pareshan kar rahe ho?"…
Asif:- Kuchh nahi bus college ko le kar baaten kar rahe the...
Jannat:- Bhago sab hall se, upar chhat wale kamre me jao...
Riaz:- Bahut nahi bol rahi ho...
Alka Mishra apne kamre se chillayi.… "Teri juban jyada chal rahi kya? Wo dono to bol rahi hai. Main uth kar aa gayi to tabiyat se ilaj kar dungi. Bhago teeno hall se"…
Alka Mishra jaise hi action me aayi. Teeno bhag kar chhat par pahunche lekin tab bhi ek ghante tak upar niche karte rahe. Vyas ko pata tha bahar bomb bhi phoot jaye to uski maa bina serial khatm kiye niklegi nahi aur dono bahano ne kaand karte dekh liya to kisi tarah manaa lenge.
Teeno issi baat ka fayda utha kar poora kaand kar rahe the. Teeno kitchen me ghuse huye the. Asif aur Riaz kerosine wale chulhe par mast murga masala fry kar raha tha. Ghar me Nirali aur Pandit ji ko chhod baki sabhi maanshari the.
Unke aise bhojan pakane ki alag se vyavstha thi. Uska chulha bartan sab alag tha. Pakane ke liye ghar ke pichhe bagicha me ek chhota sa hissa bana tha pakane ke liye. Kitchen ka darvaja khole, saamaan utha kar le jao aur pakao…
Wo dono chiken pakane me lage huye the. Idhar Vyas paneer pakode aur pyaj pakode tal raha tha. Jaise-jaise item taiyar ho raha tha, upar chhat par parcel ho raha tha. Pata to teeno (Alka Shashtri, Nirali aur Jannat) ko bhi tha ki ye teeno koi kaand kar rahe hain, lekin kaun bistar se uth kar jaye.
Poore amiron wala chakhna le kar teeno chhat wale kamre me aaram se aasan lagaye. Aaj stock me koi kami nahi thi. 2 poora khamba. Amiron ki tarah variety wala chakhna. Bahut dino baad aisa mahol tha.
Pahla jaam uthaane ke sath hi ghamashan group discussion shuru ho gaya. Tay ye hua ki abhi kuchh din Sia ko space diya jaye taki ye na lage ki usse pareshan kiya ja raha hai. Baki 3 din ke baad, aane wale Sunday ke baad jo Sunday aayega uss din Sia ke yahan pahunch kar pahle manaya jayega ki... 'Unse milna na chhode".
Sawal jawab hona shuru huye ki Sia ye baat manegi ya nahi? Anth me fir wahi aaya, apni kaun si sharm paun pakad lenge, maani to thik na mani to paun khinch kar gira denge. Kamar tootegi to hospital me itminan se uske bed ke niche baithe honge...
Bich me hi Riaz break lagaate... "Jahilon, kamar todne se fayda nahi hai. Paun tod do"
Vyas aur Asif dono utsukta hai... "Paun todne ke fayde ginwa"..
Fir sapne sajne lage... "Paun tootega to Vyas kandhon ka sahara dega"….. "Aaa haaa haaa nek vichar"
"Paun tootega to Vyas Sia ko college tak chhodne jayega"….. " "Aaa haaa haaa nek vichar"
"Paun tootega to college se pick up karne jayega"….. " "Aaa haaa haaa nek vichar"
"Vyas, Sia ka paun ban jayega aur usse har jagah le jayega, aur wapas ghar tak layega"….. " "Aaa haaa haaa nek vichar"
"Vyas, Sia ko 3-4 mahine sahara de de kar uske besahara zindgi ka sahara banega"…. " "Aaa haaa haaa nek vichar"
Teeno peg par peg khinch rahe the aur nek vicharon ki suchi bana rahe the. Pichhe se udta hua ek chappal Riaz ke muh par pada aur waqt bhi na laga tha ki dusra chappal Vyas ke muh par...
"Kaun hai sala khali 2 chappal maar kar ruk gaya. Yahan teesra aadmi bhi baitha hua hai. Dum hai to usse bhi chappal maro"… Riaz chappal ko kinare kar ke Asif ki taraf dekh kar bol raha tha aur idhar Vyas aur Asif ki hawa tight...
Riaz:- Abeee aankhen kaahe faad rahe. Bhoot dekh liya kya?
Vyas, Riaz ke baal pakad kar chehra darwaje par ghumaya… Samne Pandit ji, Alka, Nirali. Jannat sab khade the...
Pandit ji Asif aur Vyas ke baal ko poore mutthi me daboch kar gasit'te huye.… "Alka uss teesre ko baal pakad kar thappad maarti hui niche lao. Bahut idea dene ka shuak hai na"…
Nirali:- Baba wo abhi inka medical me admission hua hai to thoda sa party mana rahe honge. Ghar par hi the na....
Papa ki padi ne muh khola... Pandit ji dono ko chhod kar Nirali ke pass pahunche aur ek chamet lagaate huye... "Nasha karega ghar par, aur tumhe sharm nahi aati un harmkhor ki vakalat karte huye... 3 takhti banao ja kar dono"
Thoda sa action Nirali ko dikhane ke baad fir se chillate huye… "Alka mujhe thappad ki awaj nahi aa rahi"..
Alka:- Aap unko le kar badhiye pandit ji. Main isse le kar aa rahi...
Na chahte huye bhi Alka Shahtri ko Riaz ke gaal bajate huye niche tak le kar jaana pada. Pandit ji teeno ko ghar ki boundry se baahar la kar, pahle Riaz fir Asif aur anth me Vyas ke baal ko pakad kar, gardan 360⁰ ghuma kar.. le thappad par thappad.
Teeno ka chehra laal tamatar jaisa ho gaya tha. Bhar pet thappad maarne ke baad teeno ki t-shirt aur baniyan utarwaye. Teeno sadak kinare upar poora nanga. Teeno ke gale me takhti tangi, jispar bold akshron me pandit ji ne likh diya.…
"Hum wo nalayak hai jo apne ghar me daru pite hain. Sadak par ladkiyon ko chhrte hain aur kisi ne naa kah diya to uske taang todne ki planning bhi karte hain. Kripya hume aas-pass dekhe to humse 10 fit ki duri bana le. Hum yadi aap ke ghar ke darvaje par khade ho to chappal maar kar bhaga de"…
Teeno ko lagbhag 4 pm baje khada karke pandit ji nikalne lage. Jane se pahle ki warming shuru thi.… Yadi mere aane tak yahan se gayab huye to teeno ki khal khinch lunga. Rajni... Rajni...
Sadak ke uss paar wale ghar se Rajni naam ki ek mahila sar par ghunghat odhe nikli... "Ji babu ji"..
Pandit ji:- Rajni staff ko bol kar aage ka camera teeno par focus karwao. Main aunga to poora video dekhunga.…
Pandit ji Cc tv ki baat kar rahe the. Ye poorana mohalla tha isliye ek poori gali hi Shastriyon ki thi. 4-5 generation poorv koi Shashtri gaanv se yahan aa kar basa tha aur bhaiyon me bantwara hote-hote poori colony bas gayi thi. Yahan basne wale sabhi bhai-bhatije hi the blood wale.
Rajni samne ke ghar me beauti parlour chalati thi. Apne ek staff ko awaj laga kar Rajni ne bahar ke camera ko adjust karwa diya. Jaise hi pandit ji gali ke bahar nikle, Rajni apne phone ke camera ka recording on karti, kisi press reporter ki tarah sawal ki...
"To bataeye barshat ke mausam me yun nange badan bahar khade hona kaisa lag raha hai"…
"To aaj ka case hai ladki ko chhedna aur uski taange todne ki planning karna. Itne mahan idea ki upaj kya pine ke kaaran aati hai ya dimag me aise khurafaat hosh me bhi rahta hai?"
Rajni bhabhi poore maje leti aur teeno nashe me halke hilte-dulte khade the. Dhire-dhire baat aag ki tarah fail gayi... Master sahab ne saja di hai. Poore mohalle ki ladke ladkiyan, bade bujurg sab aa kar dekhte aur hanste huye ja rahe the.
Karib 4 baje se 6 baje tak teeno bahar hi rahe aur jab tak pandit ji laut'te Asif ki maa Zarin Sheikh aur Riaz ke poore khandan ko ikatala kar chuke the. Jannat bhi kisi bahane se Asif ki girlfriend Asqa ko bula lee.
Sabse pahle Asqa hi dur gali se najar aayi. Dur se hi utsuk logon ki baat bhi usne suni jo hasnte huye kahte ja rahe the…. Bechare teeno, master sahab ne jarra bhi raham na kiya. Un logon ki baten aur Asqa ne dur se hi dekh liya najara. Ufff gusse me kya lag rahi thi. Tikhe nain-naksh aur uspar ye gussa...
Vyas ki najar Asqa par gayi. Bade hi dhime se... "Kaleja majboot kar le. Dono (Nirali aur Jannat) me se kisi ne teri wali ko bula liya"…
Asif gardan ghuma kar dekha aur fir samne dekhte.… "Lag gaye apne. Bhai ye Sia panauti hai bhul ja."
Asqa jab tak teeno ke pass pahunch chuki thi. Teeno muh niche jhukaye khade the. Asqa, Asif ke thik samne khadi ho kar, gusse me poora ghurti.… "Tumhari kartoot takhti par latki hai aur muh se gatar ki baas. Kal phone karo".
Asqa aayi apne gusse ka izhar ki aur wapas chalte bani. Asif roni si soorat banate... "Kal kahin break up na kar le"…
Asif ki baat sun kar pichhe se Vyas, "Asqa" ka naam le kar chillaya. Asqa jaise hi pichhe mudi.. Riaz aur Vyas ek sath laybadhh ho kar... "Tera break up hua to main patane ki kosis karunga"…
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
nain11ster Bhai,50 kya 80 updated likha tha... Lekin pasand nahi aaya isliye unhe post nahi kiya .. ab bhi likha para hua hai... 18000 words type hain to kisi me 8000 to kisi me 12000... Ab khud achha nahi laga isliye nahi post kiya... Aise kayi kahaniyon me ho chuka hai... Example ke liye screenshot deta hun..
Haan lekin aadarsh ji aapke comment ke ye pahle darshan ho rahe hai... Main 60-70 update ko cancel kar ke bhi apne naye update chhap raha hun... Lekin itna story padhne ke baad bhi aap to bus kewal shikayat hi karne aa gaye...