• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

Tiger 786

Well-Known Member
6,211
22,540
173
Update:-30




Asif ki baat sun kar pichhe se Vyas, "Asqa" ka naam le kar chillaya. Asqa jaise hi pichhe mudi.. Riaz aur Vyas ek sath laybadhh ho kar... "Tera break up hua to main patane ki kosis karunga"…


Vyas:- Haramiyon haandi chadhaye baithe ho. Dekh lena Sia ke to main kaan bhar dunga aur iss khajoor ko sari umr...


Vyas:- Chup ho ja bhai. Agle action ko taiyar rah…


Riaz:- Bsdk action ke sath mahangram jod. Mahasangram wala action hoga.


Asif:- Sale tere jija ki main maar lunga... Batao Kitu ko le kar aa rahe hai... Sala bacchi ke samne bejjat karega ab...


Vyas:- Ye aur iska jija sikke ke 2 pahlu hai... Nahi sudharne wale...


Gali ke ek chhod se Asif ki maa to dusre chhod se Riaz ka parivar chala aa raha tha. Riaz ke abbu ke hath me to bilkul patli khajoor ki chhadi thi. Jaise jaise najdik pahunch rahe the teeno advance me hi pichhe ghum gaye.


Bechare teeno ki charity me koi kami nahi kisi ne chhodi. Upar se bhari bejjati so alag. Bahar walon ka dukh na tha lekin closing ke waqt pandit ji ne jo rakh kar sunaya, bechara Vyas apni luti haalat me hall se utha hi nahi.


Subah ke waqt bhi Vyas hall me hi khoya baitha hua tha. Pandit ji school jate waqt bhi char baten suna kar chal diye. Subah ke 11 baj rahe the. Nirali, Vyas ko jaisa chhod kar college nikli thi laut kar aane ke baad bhi wahi haal tha... Maun, Gumsum sofe par hall me baitha hua tha….


Nirali, Vyas ka hath pakad kar usse hilati.… "Bhaiya... Bhaiya.. Bhaiya"..


Ye bawra to sudhh-budhh khoya tha. Nirali usse 3-4 bar awaj di lekin kuchh sune tab na. Bilkul ek tak deewar ko taak raha tha aur deewar ki jis jagah ko dekh raha tha wahan chhipkali thi... Nirali kabhi Vyas ka chehra dekhti to kabhi chhipkali ko... "Mera bhai pagal ho gaya hai, chhipkali se nain-matakka kar raha"


Nirali:- Bhaiya vetnari ke doctor to nahi ban rahe...


Vyas bina apni naren hataye bus haan me sar hila diya. Pichhe Jannat khadi thi, uski bilkul tej paglon wali hansi chhut gayi.


Oh situation thoda bata dun warna alag hi level ke fir sawal aane shuru ho jayenge. Jannat abhi achanak patila le kar dudh maangne aayi thi kya? Ya pahle se wahan Vyas ke ghar me thi? Jannat aur Nirali lagbhag hum umr 19-20 varshiya aakarshak yuvtiyan thi. Dono ka bachpan sath me bita tha isliye kafi close friend thi. Jaanat ki maa Zarina Sheikh subah 9 baje shopping mall nikal jati thi jo sidha apna shift khatm kar ke 7 baje wapas aati aur Jannat ko sath liye jati thi.


Waise Jannat aur Nirali civil preparation kar rahi thi. To jab kabhi kisi topic par interactive discussion chal raha hota, to dono ya to yahan ya wahan jahan marji ruka karte the.


Haan inke close friend kisse kuchh aage ayenge tukdon me. Jannat aur Nirali ki ek comman friend Namrta ka taanka pahle bhida tha Asif se fir baat inki dusri common friend Asqa par shift hui. In teeno lukhho ko lagta tha ki unki bahno ko kuchh pata nahi, lekin in ladkiyon ki bhi networking utni hi strong thi. Unke pass har kaand ki information kahin na kahin se mil hi jati thi.


So ab har baar batane ki jaroorat na pade ki Jannat uss ghar me kya kar rahi thi. Ye sab lagbhag ek hi parivar the, jinhe ek dusre ke ghar me aane jane ke liye kisi ki permission ki jaroorat na padti thi.


Haan to back to current situation. Bhai Vyas apna Baiju bawra bana. Bahan Nirali uske halat ki samikha karti aur pichhe se Jannat ki tej hansi phoot gayi. Bail Vyas, itni tej ladki ki aaawaj thi kabr me soya aadmi dar jaye. Alka Shastri ko apna tv serial chhod kar bedroom se chillana par gaya... "Bhago dono hall se. Dobara kaan me awaj aayi to juban kainchi se kaat dungi."


Itni baten ho gayi between hall to bedroom, chilla-chilla kar, lekin je bhai sahab ke dil me alag hi tadap machi thi. Babuji ne bejjat kar diya ye baat dil se lagaye baitha tha. Haalanki ye pahli baar nahi tha. Vyas ko uske papa ek limit se over daant dete the tab usse bahut bura type feel hone lagta tha... Haan lekin aaj se pahle itna deep nahi khoya...


Jannat, Nirali ka hath khinch kar kamre me lati.… "Bechare Vyas bhaiya. Ek ladki ke karan kya se kya haal ho gaya. Waise apne bich kaun bachi re jo Vyas bhaiya ko loot le gayi"…


Nirali aur Jannat thodi der dhyan se sochne ke baad.… Nirali aur Jannat lagbhag ek waqt bolne ke liye aage badhi. Nirali, Jannat ko rukne ka ishara karti... "Bachi to bahut hain, kis kamini par andaza laga de"…


Jannat:- Yasin...


Nirali:- Na, uska taanka kisi aur se bhida hai...


Jannat, apni aankhen badi karti... "Wo haramjadi boyfriend ke naam par lecture dene wali, kisi se fansi hai. Kis se, bata na"..


Nirali:- Ab kya school ke har ladki ka deta likh kar rakhun. Gunja se baat hui thi to wahi bata rahi thi... Tu abhi current par focus karegi…


Jannat:- Yaar 12th baad to humare yahan koi aati-jati bhi nahi, aur ye three-idiots bahar kisi se milte ho to hume kaise pata chalega… Waise bhai ko dekh kar lagta hai Huma fir se uski life me aa gayi hai...


Huma ka naam jaise hi aaya dono ki hansi fir se nikal gayi. Koi idea na lagne par Nirali ne Asqa ko call laga diya... Headphone ka ek speaker Jannat ke kaan me aur dusra Nirali. Dono bed par leti Aqsa ko call lagati...


Aqsa:- Sorry wo kal main tum se mil nahi payi...


Nirali:- Bhag kamini natak karti hai.. Yahan tujhe main apne bhai ko santvana dene bulayi thi aur tu warning de kar bhag gayi...


Jannat:- Sali lesbo, tere muh se ye mithe bol achhe na lagte...


Aqsa, thodi mayus hoti.… "Tum dono aise mujh se baat nahi kiya karo.. hihh hihh"..


Bechari baat karte-karte rone lagi aur roti-roti hichkiyan lene lagi...


Nirali:- O maide si dikhne wali meri bhabhi. Sorry chup ho jao... Tumhara nikaah ka sara intzam to hume hi karwana hoga na..


Jannat:- Waise to kitni night bita di hogi lekin fir bhi dost hone ke nate first night ki tips to hum hi denge...


Aqsa bechari ke kato to khun na nikle. Ghar ki bandishon me pali, na jane kab Asif se dil laga baithi usse khud bhi pata nahi. Dono ki baat sun kar bhechari ke muh se bol hi na phoote...


Aqsa:- Nirali, Jannat, please aise nahi bolo. Kaleja itna tej upar niche ho raha ki shwans nahi le pa rahi...


Jannat:- Haan aise tourcher yadi nahi sun'ne ho to pata karo mere Vyas bhaiya kiske khyalon me the kal, jiske wajah se itna bada kaand ho gaya...


Nirali:- Aur dhyan rahe Asif bhaiya ke samne humara naam mat bak dena warna Namrta aur tumhara kiss viral ho jayenga..


Aqsa:- Had hai.. allah kasam main nahi thi uss ghatna me.. wo to.. wo to..


Jannat:- Chaku kharbuja par gide


Nirali:- Ya kharbuj chaku par...


Fir Jannat aur Nirali ek dusre ka muh dekhti... "Katna kharbuj ko padta hai"..


Jannat:- Waise Nirali is kahawat se dil me ek khyal aaya hai..


Aqsa:- Bus koi khyal nahi aur mujhe pareshan karna band karo..


Nirali:- Haan to pata lagaa kar bata jaldi...


Aqsa:- Abhi nahi sorry..


Jannat:- Dekh Asqa natak mat kar. Tu pata lagayegi ki nahi...


Aqsa:- Bilkul nahi… Subah Asif ka phone aaya tha. Break up bol di...


Nirali aur Jannat gusse me ek sath... "Kamini kahin ki"..


Nirali:- Ye tera har 2 mahine par rutne manane ka khel band nahi hoga...


Jannat:- Tu jaldi se pata lagayegi ya Maulana wala kissa bhi viral kar dun...


Aqsa:- Tum dono ko har baat kaise pata hoti hai. Kitna maza aata hai jab wo mujhe manane aate hai...


Nirali:- Hume bhi pata hai raat ko khidki se tere kamre me jata hai na manane...


Jannat:- Aaj raat bhi khidki khol kar rakhne wali thi na...


Fir Nirali aur Jannat ek sath.… "Kamini Suhaag raat aur ruthna manana fir kabhi. Abhi humara kaam kar jaldi..."


Aqsa:- Ek dum chup. Main puchh kar batati hun ki Vyas bhaijan ke sath hua kya tha?


Jannat:- Kamini bhai mera hai, Tera devar hua...


Nirali:- Kaahe explain kar rahi.. fagun me sab pata chal jayega…


Jannat:- Haaay tauba rang…


Nirali:- Chhod ab ye alag track par jayegi.. Aqsa Begum jara jaldi kijiyega warna mera bhai pata na chhipkali se hi kahin nain-matakka na kar le...


Aqsa call rakh kar Asif ko phone lagayi. Asif itna vyakul tha ki ek baar jo Aqsa ko pakda, chhodne ka naam hi nahi le raha tha. Asqa ander hi ander dono ko galiyan de rahi thi. Jo baat hath tham kar pyar aur takraar se bhade mahol me saamne baith kar hone wali thi, dono ke wajah se phone par ho rahi thi...


Baat chit ke dauran hi Aqsa ne indirectly Vyas aur Riaz ki charcha chhed di. Asif upar se ek line bataya aur fir Aqsa poore jor jabardasti par utaru ho gayi. Ek-ek detail collect karne ke baad wo kuchh der tak Asif se pyar bhari baaten ki aur phone rakh kar sidha call Nirali ko mila di.


Nirali aur Jannat ke pass poori detail aate hi... "Kya karen Jannat... Ladki hai hi-fi England return aur apna bhai local khiladi… jaisa Asqa bata rahi thi, kuchh to shaq sa ho raha hai mujhe...


Jannat:- Tujhe shaq hai aur mujhe pakka yakin. Apne dono bhai ladki ke liye aanshu to nahi hi dikha sakte. Vyas bhai ko chacha ki daant ka poora bahana mila hai... Lagta hai wo ladki solid aag lagane wali hogi isliye ye uski yaad me Devdas bana hua hai... Kya kare? Chhod de kya?..


Nirali:- Haan jane de... 4 din murjhaya rahega. 2 din pi kar aayega aur uske 4 din baad isse to fursat hi na hogi…


Jannat:- Haynnn ! Mujhe laga kahegi 4 din baad kisi aur ko ye line maarne jayega...


Nirali serious hoti.… "Line maarne chala to jata lekin wo Kavita didi aa rahi hai na"…


Jannat chaunkti hui... "Kya sach me?"


Nirali jaise hi haan me apna sar hilayi Jannat fir se tej chikh di. Us waqt Alka Mishra bhi bahar hall me Vyas ke pass baith kar kabhi mud kar apne bete ka chehra dekh rahi to kabhi samne deewar se chipki chhipkali ko, jo Vyas ke ore dekh kar ajib tarah se gardan hila rahi thi... "Mera beta pagal to na ho gaya. Kisi bhoot woot ka shaaya to nahi pakda"…


Itna sochti Vyas ki maa Alka, Nirali ke kamre me hi ja rahi thi puchhne… "Vyas ko hua kya hai?"… itne me hi Jannat ke chinkhne ki awaj aayi. Alka gusse me tamtamayi ghusi aur dono ke kaam madodti... "Itna tej gala kyon faad rahi ho dono?"..


Jaanat:- Chhachi.. chachi... Kavita didi aa rahi hai kya?


Alka:- Itna to khush main bhi na hoti thi jab Pandit ji kahin bahar se aate the. Tere sare purje to thik hai na..


Jannat:- Chhi chhi chachi, apni beti se aisi baat karte tumko sharm na aayi...


Alka:- Uth ja dono... Aur bahar ja kar dekh ki uss gadhe ko hua kya hai... Chhipkali ko aise na ghura hai gadhe ne ki ab to wo bhi gardan haan me hila rahi hai..


Nirali:- 4000 do to aapke gadhe ko abhi insan bana kar wapas le aaungi...


Alka:- Diye 4000 lekin yaad rakhna yadi insan ban kar nahi lauta to dono se agle 3 mahine tak kaam karwaungi...


Jannat:- Chachi paise to Nirali le rahi fir mujhe saza kyun…


Alka:- Ab chor ki bhagidar sahukar ko bhi beta saza bhugatni padti hai…


Jaanat:- Haan to thik hai hum yadi Vyas bhaiya ko insan bana kar le aaye to 2000 aur dene honge...


Alka:- Mere pitaji dahej me kuber ki sampaati de gaye the kya.. 2000 aur chahiye… chal nikal chup chap...


Jannat:- Haan eklauta beta hai na. Paglon ki tarah deewar par dekha to ek baar me 4000 nikal gaye. Maine 2000 maange to paise nahi hai...


Nirali:- Humari shadi karwa do. Ab to lagta hai apne hi ghar me bhikh maang rahi. Kam se kam pati se haq se paise to lenge..


Jannat:- Shadi, na na rahne de. 2000 ke liye shadi kaun kare..


Alka:- Dono apni jugalbandi band karo. Ye 4000 bhi to tum dono ko hi de rahi hun, kaun sa Vyas ko dee hun. Pandit ji ki salary aayegi tab dono ko liye chalungi shopping ke liye. Khush..


Nirali:- Kaun wo thele par ki fatichar bra dilwaogi. Kitni sharm lagti hai wahan khade hone me bhi...


Jannat:- Ek to ganda quality hota hai. Poora din adjust karte-karte chala jata hai. Upar se sale ye kutte launde. Aankhen jaise unki bahar aa jaye dekh kar.. aise ghurte hain..


Alka, apne haath jodti... "Kahe to dono ke paun par lun. Tane mat do. Ek baar galti ho gayi kyon har baar kosti ho. Mujhe sach me ander se bura lagta hai"..


Ek ore se Nirali, dusre ore se Jannat, Alka ke gaal khinchti... "Thik hai nahi kahti, lekin shopping pakki na. 3 mahine se hume dhoka mil raha hai dono ghar se"


Alka, bhi dono ke gaal khinchti... "Haan pakka aur dono ko iss baar budget se upar wali dress. Ab to khush na"…


Jannat aur Nirali dono ek sath…. "Bahut khush"…


Alka unke kamre se bahar nikalti.… "Ab jarra uss gadhe ko bhi dekh le warna Pandit ji wapas aa gaye na school se to iski khair nahi. Oh haan ek baat aur Kavita nahi aa rahi hai isliye jo bhi tum dono ke pagalpanthi ke plan ho usse drop kar dena..."


Nirali aur Jannat dono 12.30 baje tak taiyar ho kar sidha chal di Asqa ko lene. Phone pahle ja chuka tha isliye Asqa taiyar ho kar pahle se gali ke bahar sadak par apne bhai ke sath khadi thi. Asqa ka thik upar ka bada bhai Danish, thoda harami type tha. Janti to Asqa bhi thi lekin apne bhai ke samne uski kabhi juban hi nahi khulti.… Upar se Danish ki Vyas aur Asif ke sath gahri dushmani...






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Lazwaab update
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

Tiger 786

Well-Known Member
6,211
22,540
173
Update:-31




Nirali aur Jannat dono 12.30 baje tak taiyar ho kar sidha chal di Asqa ko lene. Phone pahle ja chuka tha isliye Asqa taiyar ho kar pahle se gali ke bahar sadak par apne bhai ke sath khadi thi. Asqa ka thik upar ka bada bhai Danish, thoda harami type tha. Janti to Asqa bhi thi lekin apne bhai ke samne uski kabhi juban hi nahi khulti.… Upar se Danish ki Vyas aur Asif ke sath gahri dushmani...


Danish ke sath Asif aur Riaz ki bhayankar bahas ke baad maar-pit ho chuki thi cricket ground par. Aur tab Danish ne Jannat ka naam sare aam liya tha. Bus fir kya tha, Vyas aur Asif jab marna shuru kiye fir ruke hi nahi. Uss din ke baad Danish aur uske doston ke bich idhar Vyas, Asif aur uske doston ke bich cold war ka sitution bani rahti hai.


Jab bhi Asqa, Jannat aur Nirali ke sath kahin bahar jane wali hoti hai, Danish ka har baar ka yahi natak hota hai. Bolta to kuchh nahi hai lekin uski ghurti najar hamesa Nirali aur Jannat ki chhatoyon par hi rahti hai.


Baharhaal, in dono ne bhi Danish ko achha sabak sikhane ka tarika sikh liya tha. Asif ki gali me the Mahfooj bhai. Inhi ke pariwar ne bure waqt me Asif ki maa ki madad ki thi. Jab kabhi bhi Jannat ko aise bahar jana hota hai wo ek call kar deti aur Mahfooj bhai kisi auto wale ko bhej dete the.


Ab to ye har baar ka ho gaya tha. Jab bhi Asqa ko le kar jana hota, dono auto se jati. Auto sidha uske pass rukta aur Asqa ander. Aaj bhi aisa hi kuchh hua lekin Danish driver ki seat par aage baith gaya...


Auto driver:- O bhai jaan kya auto chalani hai..


Danish apna gardan thoda tedha kar ke pichhe Nirali aur Jannat ko ghurte auto wale se baat karne laga.… "Nahi mujhe aage tak chhod do"..


Auto driver:- O bhai jaan, baat mere se kar rahe to idhar dekho na. Pichhe sawari kyon ghur rahe ho?…


Danish:- Pichhe meri bahan baithi hai. Aur tu jyada hoshiyari na kar warna kahan gayab hoga pata bhi nahi chalega…


Auto driver:- Kyon hum jaise chhote logon ke muh lag rahe bhai. Jao apna kaam karo aur hume apna kaam karne do. Sawari full hai hum nahi le ja sakte...


Itne me hi Asqa ke abbu wahan pahunch gaye. Asqa ke aabu Muzib Khan ussi sarkari school me padhate the jahan Vyas ke papa padhate the. Dono ek dusre ki bahut izzat kiya karte the. Apne pita ko aate dekh Danish wahan se turant gayab ho gaya. Muzib ko dekh kar Nirali aur Jannat dono utar kar namaste karne lagi. Kuchh der ki baten hui aur fir teeno wahan se shopping karne nikli.


Auto rickshaw me bilkul khamosh sama tha. Asqa ki dharkan bechain thi aur, Jannat aur Nirali ander hi ander hansti bilkul chup chap ja rahi thi.


Nirali:- Samose khayegi Jannat...


Jannat:- Iss waqt kaun samose khata hai..


Asqa:- Hum akele hi ja rahe shopping karne kya?


Jaanat:- Naah, mere sath tum aur Nirali ho..


Nirali:- Mere sath bhi 2 log hai...


Fir Jannat aur Nirali ek sath…. "Kya bhabhi jaan tumhe kisi aur ke sath shopping karni hai kya?


Bechari Asqa, duppate ko apne ungliyon me fasakar, sharmati hui... "Please tum dono to meri dost ho na. Kyon satati ho?"


Jannat:- Yaar bula lete hain. Aaj waise bhi bahut chhed diya hai...


Nirali:- Haan chal thik hai...


Jannat, Asif ko call lagayi... "Haan Jaanat"..


Jannat:- Bhai hum shopping karne aaye hain. Aa rahe ho kya?


Asif:- Nahi...


Jannat, phone ko thoda kinare karti aapas me baat karne lagi.… "Asqa, Nirali, bhai ne aane se mana kar diya hai... Chhod ab wapas chalte hain. Asqa tu apne bhai ke sath kisi aur din shopping karne chali jana... Bhaiya jis din free honge uss din hum dono shopping chale jayenge"…


Call chalu hi raha. Udhar se Asif hello-hello kar raha tha aur dono (Nirali aur Jannat) aaram se phone se bahar aati dhimi awaj sun kar hans rahi thi. Udhar se Asif ne hi call disconnect kiya. Jaise hi phone kata Nirali aur Jannat ulti ginti shuru ki... 10, 9, 8…


Asif line ke dusri taraf jaise hi Asqa ka naam suna, to uchhal-uchhal kar baat badalne ki kosis me hello-hello karta raha lekin dono kyun respond kare. Asif call disconnect kar ke jhatpat wapas call laga diya. Unki poori baat sun'ne ke baad Asif ke mann ma emotion jaage the re... 4 ki ginti par hi ring hone laga... Nirali aur Jannat ke sath Asqa ki bhi khli si hansi chhut gayi.


Jannat apne bhai par atyachar karti 2 baar call pick-up hi nahi ki. Asqa, thoda chidhte hui... "Kyon pareshan kar rahi ho. Call utha lo na, pleaseeeee"


Asqa itne pyar se aur minnat karti hui kahne lagi ki Nirali ne teesra call receive kar liya. Jaise hi phone pick hua udhar se Asif... "Poori baat to sun liya kar. Nahi ke aage ye kahne wala tha ki abhi nahi kuchh der se pahunchunga Vyas ko le kar"


Nirali:- Thik hai bhaiya tum aao. Jab tak hum mall pahunchte hain…


Jaise hi Nirali ne phone rakha, teeno fir se hasne lagi. Idhar Asif fata-fati chakachak taiyar ho kar nikla. Sidha pahuncha Vyas ke pass. Vyas ab bhi hall me baitha tha. Haan deewar ko ghurna band tha lekin gumsum baitha tha…


Asif, Vyas ko khinchte... "Chal ghum kar aate hain"..


Vyas niras ho kar… "1, 2 din chhod de fir sab apne aap thik ho jayega"..


Asif:- Hosh to hoga nahi tujhe. Nirali aur Jannat shopping gayi hai. Sath me Asqa bhi hai.


Vyas:- Hmmm !!! 2 minute ruk main aaya...


Dono takriban sawa ek baje (1.15 pm) ke karib shopping mall pahunche. Asif hi jyadatar baat kar raha tha, Vyas lagbhag chup hi tha, kewal "haan aur hun" me jawab deta. Dono shopping mall ke second floor par pahunche jahan ye teeno intzar kar rahi thi.


Asqa aur Asif ki najar dur se hi mili. Aur kya najren mili thi ek dusre se hatne ka naam hi na le. Asif, Vyas ko thuski lagate... "Bhai tu Nirali aur Jannat ko please wahan se hata na. Kitna naraj ho kar gayi thi."


Asif ka chehra dekh kar bahut der ke baad Vyas ke chehre par bhi mushkaan aayi. Apni maun sahmati dete wo log chal diye..


Vyas:- Jannat, Nirali tum dono golgappe khane hain kya??


Asqa:- Vyas bhaijaan mujhe khane hai...


Jannat:- Thik hai to hum Asif bhaiya ke sath nikalte hai aap Asqa ko golgappe khila kar le aao...


Ufff kya shakl bani thi Asif ki. Aisa lag raha tha jaise Asif ke dono gaal tale golappe chale gaye ho aur poori aankhen hairani se bahar. Uski haalat dekh kar Asqa kya khul kar hansi thi. Waise hansi to sab ke chehre par bhi thi aur sath me Vyas ke chehre par bhi...


Asqa:- Nirali, Jannat pakad apne Vyas bhaiya ko. Aur Vyas bhai aap aise hi hanste raho. Ye dono bahut fikrmand rahti hai aap ke liye. Inse aapki udasi dekhi nahi jati...


Asif:- Aur mere liye..


Asqa:- Aap ke liye hum aaye hain janab, itni jokhim aur taklif utha kar. Aap bhi Jarra humare liye fikrmand ho lijiye... Iss umr me bhi sir takhti taang kar sadak par khade kar rahe hain...


Asif, thoda sa hichkichate... Kitni bhi thi to uske chhoti bahano ki saheli thi. Ab samne Asif miyan ki juban hi na khule jo kuchh counter deta...


Nirali:- Asif bhaiya, ab sankoch ko maro goli. Aap se jyada sankochi Asqa hai. Fir bhi aap ke liye yahan tak aayi hai. Aap jao jab tak hum inki (Vyas) khabar lete hain...


Nirali ki baat sun kar Asif chup chap aage nikal gaya aur pichhe-pichhe Asqa chal di. Wo dono apne raste aur ye dono, Nirali aur Jannat Vyas ko ghurti... "Kahin baith kar baaten kar len Shahstri"..


Dono ki laybadh ek sath awaj sun kar Vyas ke chehre ki muskaan fir se phail gayi.… "That's like a good boy"… Vyas ka muskurata chehra dekh kar fir se dono laybadh boli aur iss baar Vyas khul kar hanse bina nahi rah paya. Hanste huye usne dono sar par dhime se maarte… "Natkhat..."


Jannat:- Bhai, bhai... Ek baat jawab do na pahle..


Vyas:- Kya???


Jannat:- Chachi bol rahi thi aap ke lagatar ghurne ke karan chhipkali aapko line dene lagi thi, ye kaise kar liya?


Vyas:- Hat pagal, kuchh bhi bakti hai.… Dedh (1.5pm) to yahin baj gaye. Dono to nasta kar ke hi nikli hogi...


Nirali:- Ghar par hi khayenge bhaiya... Ab jab aap ka mood sahi hai thoda-thoda, to pahle chal kar shopping ki jaye...


Vyas:- Pagal.. chal jo karna hai wo kar... Aur Asif ke pass paise the na. Pata chala interval me popcorn tak na kharid paya…


Oppsss !!! Juban fisli. Ye kya bol gaya bolte-bolte. Dono hi Vyas ko ghurne lagi. Vyas bhi apne dono kandhe upar utha kar mano isharon me hi kah raha ho... "Chhod bhi ab jane de"


Minnat se bhara chehra aur aankhon se ek chhota sa mafinama. Vyas ke haav bhav dekh kar Nirali aur Jannat khil'khila kar hans di. Dono Vyas ka hanth pakde, khinch kar sports shoe kharidwane le aayi. Thodi bahut jhijhak. Dono ladkiyan khud ke liye maange kapdon ke paise se jute dilwane le aayi. Na maani aur na hi ruki dono.


Asif aur Vyas ke liye dono ne mil kar college jane ka poora intzam kar diya tha. 2 jodi jeans t-shirt, sport shoe aur kul 10000 dono milkar kharch kar aayi 3 ghante ki shopping me. Vyas aascharya se puchh diya, itne paise aaye kahan se. Pata chala 7000 dono ghar (Vyas aur Asif ke ghar) se mila kar layi thi aur 3000 inke khud ke jama paise the.


Vyas dono ko dhyan se dekhte... "Mujh se galti ho gayi. Mujhe coaching nahi band karni chahiye thi. Ab to paise maangne pad jate hain"..









<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Behtreen update
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

Tiger 786

Well-Known Member
6,211
22,540
173
Update:-32





Jaanat:- Aise mayus kyon hote ho? Jitna hai utne me khush hain. Haan lekin aap ne galat kiya hai...


Vyas:- Kya galat kar diya?


Nirali:- Khoye the kisi aur ke wajah se aur bekar me baba bhi iss waqt school me soch rahe honge ki kuchh jyada to nahi daant diya..


Vyas:- Areee main na to baba ke wajah se aur na hi kisi aur vajah se khoya tha. Bus khyal aaya ki, medical ke badle kisi aur competition ki tayari...


Nirali aur Jannat dono bich me hi baat kaat'ti... "Shut up"..


Jannat:- Drame dekh Nirali... Ab saal ginwayega ki kitne saal baad ye kamane layak hoga..


Nirali:- Nahi sudharne wale hain dono. Agle 20 saal bhi na paise kamaoge to baba sab dekh lenge... Jyada overactive na karo.


Jannat:- Aur ye paise udhar kis liye lete ho wo bhi pata hai. Pina chhod do to paise maangne ki jaroorat na padegi… Bulao uss majnu ko, chala jaye.


Mazal tha Asif ya Vyas ka, jo dono ko kuchh bol sakta tha. Pyar apni jagah lekin Jannat aur Nirali, Vyas aur Asif ko aisa rakh kar sunati thi ki dono hath jod lete the. Khair charo wapas aa gaye.


Ravivar ki subah thi. Pandit ji subah uth chuke the. Chay waigrah pine ke baad apne bete ko khelte dekhne apni patni Alka Shastri ke sath sidha ground par hi chale gaye. Dono dampatti dur baithe khel dekh rahe the.


Tabhi ground me maujood har kisi ki najar dono dampatti par gayi. Jaise hi pata chala Pandit ji aaj ground par aaye hain, wahan chillana aur ek dusre ko gaali de kar pookarana to jaise band hi ho gaya tha. Sabhi students anusasan me aa gaye the.


Kuchh der baad Vyas apne maa baba ke pass baitha tha. Pandit ji Vyas ko dekh kar hanste huye puchhne lage…. "Suna hai chhipkali ko pata liye"


Kuchh der baad Vyas apne maa baba ke pass baitha tha. Pandit ji Vyas ko dekh kar hanste huye puchhne lage…. "Suna hai chhipkali ko pata liye"

Vyas:- Kya baba? In logon ne sab bak diya kya?


Pandit ji:- Haan sab bata diya. Pahle mujhe laga ki aisi kya baat ho gayi jo ye ladka poori raat aakhon me kaat liya. Fir teri maa ne bataya beta ab bada ho gaya hai. Fir ehsaas hua ki haan shayad beta bada ho gaya hai...


Vyas:- Baba main 23 ka hun. 28 me mabbs complete hoga. 2 sal Md ya Ms karne me lagega. 30, 31 ya 32 ki umr aise ho jayegi. Yadi padhai me dimag laga raha to kuchh soch rakha hai aage specialist ke course ki. Fir kuchh sal practice jamane me lag jayega. 40 ki umr aise ho jayegi.

"Raat bhar ek hi khyal aata raha, bachpan me kabhi padhaya gaya tha, paun utna hi failana chahiye jitni chadar ho. Wahan ye nahi bataya gaya tha ki iss kahawat wali chadar aur paun ko maapte kaise hain. Taki koi idea to rahe mere pass kitni lambi chadar hai aur ye paun ko kitna niche tak failana tha... Shayad maine galat profession chun liya hai"..


Alka:- To tu ladki ke bare me nahi soch raha tha.


Vyas:- Main raat bhar kisi ek panne ke bare me soch raha tha jis par Alka Shashtri ne likha tha, kisi din mere darvaje par bhi car khadi hogi aur mera beta kahega, maa chal mausi ke pass chalte hain. Fir ussi ke niche Pandit Ram Swaroop Shashtri ne likha tha, retirement ke baad ek family tour par jayenge. Koi kaam nahi bus apne poore parivar ke sath ghumna aur duniya dekhna... Koi dream match khel rahe the aap aur ek dusre ke dream influenced na ho isliye panno par likha tha…

"Yaad aaya to akhad gaya ye medical me admission lena. Shayad paise kamane ki jaroorat pahle kabhi itni nahi mehsus hui jitni raat bhar har second hote rahe. Maa ne Nirali aur Jannat ko unki shopping ke liye 4000 diye the. Chachi (Asif ki maa) se unhone 3000 liye the shopping ke liye, lekin un dono ne sare paise ikattha kar ke mujh par aur Asif par kharch kar diye. Dekh kar akhad gaya ki itna kam me jine wali dono ne apne paise bhi hum par kharch kar diye..."

"Bahut se khyal the dimag me aur ander sirf ek hi baat thi, doctor ban'ne ki ikchha me kahin maine jaroorar se jyada to paun nahi faila diya."


Pandit ji:- Ladka bada ho raha hai...


Alka:- Pandit ji bada na ho raha hai. Thukai lagi to akl khulna kahte hain.… Inki tikri kabhi na sudhri thi aur na sudhregi... Wo to kah do jo kahne aaye ho...


Pandit ji:- Vyas, ye nashe ki gandi lat chhod do varna mujh se bura koi na hoga. Achha nahi lagta itne bade ladke ko sadak par khada karna isliye jitni jaldi ho sake lat chhod do...


Dono dampatti Vyas ko sunne ke baad uski baat par koi bhavnatmak pratikriya na dete huye bus isharon me kah gaye, sab chakachak hai… Apni galat harkat band kare.


Vyas:- Sorry baba...


Pandit ji:- Ye jhuka sar aur sorry main kayi baar sun chuka hun. Iss baar shikayat aayi to sab ko bol dunga video viral kar do, samjh gaya na...


Maa baba jaise hi gaye, poora ground hi gali dene pahunch gaya Vyas ko. Sabhi wahan ke local ladke the aur sab ki padhai ladbhag ussi sarkari school se hui thi. Pandit ji matlab baap se jitni nahi phat'ti utne apne high school ke iss teacher se fat jaati thi.


Match to sab ne bich me khatm kar diya aur laut gaye ghar. 4 log kul wahan bache the. Vyas, Asif, Riaz aur Sagar... Sagar ke call par hi teeno ruke the. Sagar ne fir canteen me huye Captain ke sath shanti varta ka jikr karte huye kahne laga...


"Jahan tum teeno admission lene ja rahe wahan dabdaba ussi ka hota hai jo cricket match jit'ta hai. Ragging se le kar medical college ke student ki har policy wahi dicide karte hain. 2nd year se le kar 5th year tak har batch ki 2 cricket team hoti hai. First year admission ke baad humara 1 hafte ka internal tournament shuru hota hai aur tournament jo team jita wo raja..."


Riaz:- Haan wo "Jo jita wahi shikander" aur "student of the" year ki khani bhi chenp de Chaturvedi…


Vyas:- Dhanywad wahan ka culture batane ke liye. 1 sal hai humare pass, ek team hum bhi bana lenge. Aur kuchh...


Sagar:- Abe first year wale participate nahi karenge isliye teeno meri team se khelo...


Asif:- Hum apne team se rahenge. Teri 3rd year ki team me kyun jaye fir...


Vyas:- Chaturvedi tumhare karj ka ehsaan hai. Lekin hum wahan khelne nahi ja rahe. Log ragging lenge, ragging de denge. Wahan college ke jhagde se hume koi lena nahi.


Sagar:- Kamino aaj tak kabhi dost samjha hai mujhe. Yahi nukkad ke tea party gange hoti fir to tum dono assembly ke pass dharna dene pahunch jate...


Vyas:- Abe college ke bich me tea party gange kyun ghused raha hai. Wahan ki baat alag hoti hai. Wahan hum sirf bhid lagane jate hain. Bus..


Sagar:- Bataun tere uss bhid aur tere leader Sunil awasthi ki kahani…


Vyas:- Tu politics discuss karega Chaturvedi to shauk se kar. Fir jab jhhant sulgegi tab hume kuchh mat kahna...


Riaz:- Abe kyun aapas me bahas kar rahe. Chaturvedi wahan kaun raja kaun mantri hoga uss se hume nahi lena dena. First year cricket team na hai to tere ore se khel lenge. Baat khatm kar...


Sagar:- Sale tum dono ke muh har baat par utar kyun jata hai.


Asif:- Chaturvedi tera har kaam pahle apne level par fansta hai. Usme tu hum sab ko involve karta hai aur jab mamla bich me rahta hai to tujhe tere pitaji yaad aa jate hai. Fir gundai aur netaon ki takat bich me aa jati hai...


Vyas:- Hum kisi ko mare ya maar khaye to 2 logon ke bich ki ladai lagti hai, lekin tu jo netaji ko bich me le aata hai to filmon ka scene ho jata hai. Jis se man karo ulajh jao.. aur fir gundai ke jor par ghutne tekne par majboor kar do..


Sagar:- Chinta mat kar, medical college me sab aukaad wale hain. Mere local hone se unhe ghbrahat to hoti hai, lekin mere baap ke naam se bilkul nahi darte. Kyonki unke baap bhi utne hi capable hain. Isliye college ke matter me mera baap padta hi nahi hai... Kahta hai wahin samjho, tumhare vajah se har kisi se nahi ulajhta rahunga"…


Vyas:- Hmmm !!! Thik hai samjh gaya...


Sagar:- Agle Sunday ko pub me party hai. Kewal hum charo. Apni-apni wali ko le aana...


Asif:- Main nahi jaunga...


Vyas:- Main bhi..


Riaz:- Thik hi to Chaturvedi kahta hai ki uski baat par tum dono hamesa naa kah dete ho...


Asif:- Bsdk, kuchh din pahle kaha tha mount abu jayega. Puchh uss se Sunday ko wo hai kya Lucknow me. Sala Klpd karwayega. Hum isse phone karenge aur ye bahar...


Sagar:- Aree yaar dimag se hi rah gaya... Party udhar rahi doton...


Asif:- Mc udhar vudhar baad me karna. Chup chap paise diye ja... Ye invitation ke baad hum na rukne wale...


Sagar:- Haan thik hai tu bol kahan party karega... Udhar phone chala jayega..


Riaz:- Apna adda rasili baar jayenge.. kyun?


Asif:- Naah re... Wahan matter ho jayega... Udhar Danish aur uska panter baith'ta hai..


Sagar:- Un fuddu ki chinta tum sab ko kab se hone lagi…


Vyas:- Thik hai rasili me hi phone kar dena.. aur haan AC cabin bolna dene...


Sach hi Alka Shashtri kah kar gayi thi. Shayad inke rag-rag se wakiff the. Khair laundon ne poora jugad to pahle se laga liya tha. Saturday Sunday Asif ki ammi uske nanihaal ja rahi thi. Jannat hoti Nirali ke sath aur poora ghar khali. Aane wale Sunday ka poora dhamaal teeno ke dimag me chhapa hua tha.



Aisa kyun hota hai

Tere jaane ke baad

Lagta hai haathon mein

Reh gaye tere haath



Tu shaamil hai mere

Hansne mein, rone mein

Hai kya koyi kami

Mere paagal hone mein



Mainu ishq tera lae dooba

Haan ishq tera lae dooba


Masoom sa chehra, aur chehre ki chamak itni pyari ki mann moh jaye. Rang kanval ke phul saman bilkul ujla jispar halki laalima chhayi rahe. Dubli patli si ek ladki, berth ke aakhri me apne dono paun seat par mod'kar puri tarah sikud'kar, kambal se khud ko puri tarah dhake baithi hui thi.


Upar white shirt pahne, niche strechble balck jeans, kaan me white colour ka head phone lagayi, aankhen mund'kar gaane sunti hui chali ja rahi thi.


Liza-Soberano-Beautiful-Face

"Abhi tum bacchi ho, apni padhai par dhyan do. Doctor ki digree lo aur life me aage badho"…….


Head phone se bajte gaane ke bich tikhi mirchi ki tarah ye khyal dil jala gaya, aur ladki bekhyali me, tej awaj me kahne lagi.… "Main koi bacchi nahi"..


"Kya hua beta"…. "Koi bura sapna dekhi kya"…. Kuchh milansar logon ne apni pratikriya dee.


Apne khinche se chehre par wo ladki fiki si muskaan laate ek baar sabko dekhi. Samne uska bada bhai gussail laal aankhon se ghurne laga. Meera wapas se dubak kar kambal se apna muh dhak lee... Dil ke sofware me jaise wah dialogue virus ban'kar utar gaya ho, poore raste uss ladki ko mirchi lagti hi rahi...


Shaam ke takriban 8.30 baje train Lucknow junction par ruki. Kandhe se koi usse hila raha tha... Ladki nind ki gahraeyon se jaise hi aakhen kholi.….. hadbada'kar uthti… "Sorry bhaiya aankh lag gayi thi"…


Nikku, thoda chidhte... "Chal chup chap. Harihar kaka saman le lo."


Bade-bade luggage aur 3 logo ke sath nav-yovan, masoom si shoorat, hansmukh swabhav aur apni baton se mahol ko bilkul halka kar dene wali Meera, Lucknow station ke bahar gahri shwans leti, mayusi me khud se hi kahne lagi.… "Kismat shayad tum sang nahi thi. Apni kahi baton me ulajh gayi, par apna kiya wada nubhaungi."…


Bada bhai Nikku, apni bahan ko Lucknow drop karne aaya tha. Dekhne se to bahut bhadka hua tha. Wahin Meera ki dekh-rekh ke liye uske ghar ke 2 purane mulajim Harihar aur uski patni Soni dono pahunche huye the. Meera ko iss tarah se akele gumsum khade dekh...


Harihar:- Kuku bitiya, itna kyun sochti ho...


Meera, apne khyalon se bahar aati... "Kis bare me kaka?"


Harihar:- Nikku naraj hai issi baat se meri bitiya udas hai na...


Harihar kaka ki samiksha sun kar Meera ke chehre par muskan aa gayi.… "Chalo kaka warna khadus fir chillayega."..


"Hasrat nahi thi kabhi aur naa hi kabhi sapno me bhi socha tha ki main kabhi yahan bhi ho sakti hun. Jis sahar ka naam kewal rajya aur rajdhani me rati thi, aaj wahan khadi hun. Thanks zindgi...".... Apne khyalon ke sath Meera taxi me sawar ho kar apne aage ka safar tay karne nikal padi...






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Awesome update
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )
Top