• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Uff! Ye Mohabbat ! (completed)

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,287
304
Kayinmod aane ke baad... kuch khatti mithi nok jhok , mazak ke baad finally avi aur sanjana ki shaadi ho gayi....
ab bas suruaat karni hai to ek nayi khushnuma jindagi ki...
shaanadar kahani shaanadar lekhni shaanadar shabdon ka chayan....har shabd ek alag kahani bayaan kar raha tha mujhe har update padhte waqt.. aisa lage jaise likhe gaye har shabd jeevit ho uthe aur mujhe is kahani mein ghatit drishya dikha rahe hai....ek kahani ke pramukh kirdaar wo hote hai joh khud se pehle dusro ke bade mein soche . aur writer sahab ki kahaniyo ke lead characters sach mein ek nayak ya nayika ki soch rakhte hai.. Jaise aniket aur yash ya phir komal ..
Ek tarah dekha jaaye to avi aur sanjana ek karne in teeno ka yogdaan bahot aham hai...avi aur sanjana ke sapno ke duniya se andhkaar ko door karne wale roushni bhi ye teeno hi hai , jinka daaman pakad kar dono aaj ek ho paye hai..

chaahe kahani ho ya vastavik jivan mein sachi dosti sachmein anmol hoti hai. Ye baat har baar sabit kiya in teeno ne.... Specially aniket ne....
Aniket ke sath sath yash ne bhi jis tarah ko sambhaala har waqt avi ko , har bure ho ya achhe doud mein...aur sath hi dosti ko ek salam... :bow:

aur sabse aham baat ye ki insabhi pehlu ko itne kam shabdon mein jaise pesh ki hai.. is mamle mein ye kahani sarvashresth hai...

.. Romance ho ya friendship ....kahani ye mann ko tarotaaja hone ka ahasaas dilata hai aur sath hi kayi sikh bhi de gaye.. (Aniket ke jariye)
ek reader ke liye sab se badi khushi ki baat yahin hoti hai ki aise kahani padhne ko mile .. bahut bahut dhanyavaad aapko jo itna achha sundar aur dilchasp baaton se bharpur kahani ko ham sab pathakon ke madhya rakhe... mein is kahani ko 5 mein se 5 ank deti hoon..(aniket , komal aur yash ke best positive performances ke liye)
The writer has done commendable job in building the heart touching and maintaining it upto the last drop of the story .. The narration and the dialogues were perfect fit for the atmosphere of the story.
Also.. Adirshi has done remarkable job in building the character of aniket . Mere favorite characters ki list ek aur kirdaar add ho Chuka hai aur wo koi aur nahi balki ye lead kirdaar aniket hai... meri nazar mein hamesha ye kirdaar aniket ek sammanit kirdaar ke roop mein rahenge. ..

The end of the story delivers a big social message . A big :applause: :applause: for that....
ki aniket ,komal aur yash dost ho to samajh jaao ki tum luckiest person ho.. :smile:

Brilliant story line with awesome writing skills :yourock: :yourock:

meri nazar mein is kahani mein as a lead character aniket hi hai.... wo jaanta tha ki avi ke pehle pyar ke bare mein... Phir bhi chup raha..Kahi isske chalte avi ko thes na pahunche ya sharminda na hona pare.....apne dost ke dil ki baat bina bole jo samajh jaaye usse behtar sachha dost shayad hi koi aur ho...
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,287
304
मैं हैरत में था कि महिश भाई का कमेन्टस क्यों नहीं आ रहा है । आशा करता हूं जल्दी ही उनके कहानियों पर रेभो देखने को मिलेंगे ।

वैसे आप ने बहुत जल्दी स्टोरी समाप्त कर दी । कुछ दिन और चलने चाहिए था ।

आज तो काम पर जा नहीं पाया पर शायद नेक्स्ट तीन दिन मुझे समय नहीं मिले कुछ भी पढ़ने को । बाद में रेभो जरूर दूंगा ।
Ekdum garma garam Jagmag jagmag revo :D
 
10,056
42,027
258
अनिकेत ने एक जिंदादिल इंसान की मिसाल कायम कर दी । मैच्योरिटी की इन्तहा दिखाई ।
कोई और शख्स होता तो वो अविनाश से अपने सारे रिश्ते नाते तोड़ लेता । शक के कीड़े कुलबुलाने लगते । ऐसे सब्जेक्ट पर अनेकों मूवी बन चुकी है और सभी में ऐसे हालात में दोस्तों के बीच मतभेद ही रहा था । पर अनिकेत ने परिपक्वता दिखाई और अपने दोस्त का घर ही नहीं बसाया बल्कि नौकरी भी अरेंजमेंट करवा दी ।
वह उसके दिल की बात समझा । उसकी मजबूरियां समझा । हर समय चुहलबाज़ी करने वाला लड़का अपने कर्म से सेन्सियरिटी दिखा गया ।

बहुत ही बेहतरीन स्टोरी थी । एक सच्चे दोस्त की पहचान उजागर करती हुई लाजबाव स्टोरी थी । हम भी एक समय सभी दोस्त एक खास ठिकाने पर शाम को मिला करते थे । एक अड्डा होता है दोस्तों का जब वो अपने सुख-दुख एक दूसरे से शेयर करते हैं । ऐसा ही इस कहानी में भी था । अविनाश , यश और अनिकेत का टिकड़ी में बैठना और वाइन पीते हुए सुख दुःख शेयर करना मुझे बहुत ही बढ़िया लगा ।

अपडेट नम्बर पैंतालीस मुझे कुछ ज्यादा ही भाया । संजना का बारिश से लगाव और अविनाश एवं संजना का बारिश में भीगते हुए हसीन पलों का आनंद उठाना एक वास्तविक प्रेमी युगल का एहसास दिला गया ।
मुझे विश्वास है शायद ही कोई प्रेमी युगल हो जिसे बारिश से लगाव न हो । यह दिन ही प्रेमियों का होता है ।

इस मौसम में प्रेमिका कुछ ज्यादा ही अपने प्रेमी को याद करती है । इसी पर एक गीत समर्पित करता हूं -
" हाय हाय ये मजबूरी , ये मौसम और ये दूरी ।
मुझे पल पल है तड़पाए ।
तेरी दो टकिया की नोकरी में , मेरे लाखों का सावन जाए । "
मनोज कुमार की बेहतरीन फिल्म " रोटी कपड़ा और मकान " का गीत है यह ।

दोनों का बारिश में भीगते हुए बाइक से जाना फिर एक झोपड़ी में पकौड़े और चाय का सेवन करना , इसके पहले संजना और उसकी मां के बीच आंखों आंखों से ही बातें करना सब कुछ दिल को स्पर्श कर गया ।

Congratulations for completed another lovely story.

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट Adirshi bhai.
जगमग जगमग अपडेट ।
 
Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,671
144
Update 24

Agle din avi wapis aane ke liye nikal gaya, safar me uska man bus se jyada gati se bhag raha tha waise dekha jaye to wo bas do din sanjana se dur tha par aisa lag raha tha mano bahut samay beet gaya ho use dekhe aur aaj wapis sanajan se mulakat hoti bas isi khayal se uska man jhum raha tha, wo man hi man sanjana ko yaad kar raha tha aur khush ho raha tha aur ab to use ye safar bada lamba lagne laga tha..

Pichle char paanch dino me uski jindagi me bhari utar chadhav aaye the, pehle komal fir aniket, do din pehle tak to wo ye manne ko bhi tayar nahi tha ke wo sanjana se pyaar karne laga hai aur ab usse milne ke liye bechain ho raha tha, komal aur aniket ne uska sara confusion dur kar diya tha, tekdi ki daru aur aniket ke ghar ka scene yaad karke wo muskura raha tha, in do dino me sanjana ne bhi use koi phone nahi kiya tha kyuki use bhi pata tha ke avi bahut dino baad apne ghar gaya hai aur use thoda space dena chahiye..

Avi apne ki khayalo me khoya hua tha par itni baat saaf thi ke jaisa aniket ke sath uska discussion hua tha wo har chiz ko parakh ke aage ka decision lene wala tha, wo pehle ye confirm karke dekhna chahta tha ke sanjana sach me usse pyaar karti hai ya ye bas ek attarction hai, waise to use bhi samajh nahi aaya tha ke use kaise maan liya tha ke wo bhi sanjana ko chahta hai, ye ek alag hi feeling thi, ek taraf to use ye bhi lag raha tha ke kah komal ka naam samne na aaye isliye to usne sanjana ke pyaar ko accept nahi kiya tha na ?

Waise ye bata bhi nakari nahi ja sakti thi, use khud samajh nahi aaya tha ke komal ka naam chupate chupate wo kab apna pyaar kabul kar baitha aur bahut sochne ke baad usne decide kiya ke abhi filhal shant rehna hi sahi hai

Avi shahar pahuch ke sidha college pahucha aur canteen me gayaaur waha sanjana ki raah dekhne laga, man to kar raha tha ke ek call kar le par fir baad me usne socha ke sanjana ko surprise de par wo ab tak aayi nahi thi, aur jaise jaise samay beet raha tha avi ka man vyakul ho raha tha aur fir achanak use apne aap par hi hasi aayi, wo is waqt itna nervous tha mano sanjana se pehli baar mil raha ho.. waise ye bhi sahi tha, ab tak wo dost ban ke usse milta tha par aajbaat alag thi aaj ek premi apni premika ki raah dekh raha tha,premika ki ek jhalak dekhne ko aatur tha, ek ek second mushkil se beet raha tha aur bechain hote huye avi ekdun se utha aur sanjana ke class ki or ek round laga ke aaya, shayad wo direct class me na chal gayi ho par wo waha bhi nahi thi, fir avi ko laga ke shayadwo library me hogi to wo bhag ke library ki taraf gaya par sanjana waha bhi nahi thi

Avi thoda naraj hote huye bhari kadmo se wapis canteen me aaya aur canteen ke gate par pahuchte hi wo ruka, saamne sanajan baithi huyi thi, thodi si udas aur apne hi khayalo me gum, ek pal ko avi ko laga ke sab bhul jaye, saara gyan saari baate bhut bhavishya sab aur jake samjana kogale laga le par ye bas ek khayal hi tha, hum kayi baar aisi najane kitni baate kar lete hai jo karna nahi chahte par wo nahi kar pate jise karne ki hamari prabal icha hoti hai, avi ke sath bhi aisa hi hua aur wo wahi ruk me sanjana ko dekhne laga

Sanjana ka is or jara bhi dhyan nahi tha, kaise rahega avi uska sukh chain apne sath ho le gaya tha, wo yaha nahi tha to sanjana ka kisi chiz me dhyan nahi lag raha tha, uski bahut icha ho rahi thi ke avi ko call kare usse baat kare par usne apne aap ko samjha liya tha, use ache se pata tha ke komal ne bahut thode samay me jaise uske dimag ne ujala kiya tha waise hi ab aniket aur komal mil ke avi ko aaisa jarur dikhayenge par kya hoga agar avi sach me usse pyaar na karta hoga to? Ye khayal dimag ne aata hi sanjana ka chehra utar gaya, use ye bhi pata tha ke aise kisi se jabardasti pyaar nahi karaya ja sakta

Sanjana ne ek lambi saas chhodi aur khud ko samjhane lagi, haay ye kismat, dil bhi aise insan par aaya jo kabhi uske man me kya chal raha hai pata nahi chalne deta.. aur man me gaana bajne laga

‘bairi piya…bada bedardi… dilka dard na jane saudai harjai zulmi..raamduhai…’

Gaana rto sanjana ne pehle bhi kayi baar suna tha par gaane ka matlab aaj samajh aa raha tha… wo kehte hai na hum khush hote hai tab sangeet sunayi deta hai aur dard me gaane ke bol samajh aate hai..

Aur akhir me sanjana ne avi ko call lagane ka socha..

Sanjana- hi avi.. kaise ho

Idhar avi ko bhi masti sujhi

Avi- mai ekdum mast tum batao phone kaise kar liya..koi khas baat

Sanjana- nahi khas to kuch nahi hai bas tumhari yaad aa rahi thi, tum waha gaye aur waha ke hi ho gaye… sahi hai jab bachpan ke dost mil jaye to hamari yaad kyu aayegi

Avi apni hasi control karte huye bola

Avi- aisa kuch nahi hai tumko to pata hai apne dost apni jaan hai, dosto ke liye mai kuch bhi kar sakta hu

Sanjana- acha ji aisa kya kya ? To fir mai aati hu kya us category me fir

Avi- arey ye bhi koi puchne ki baat hai kya, dost to tum bhi ho ek bhi khas wali

Sanjana- tum hamesha aisa hi karte ho, jara gussa nahi karne dene uske pehle hi mana lete ho..

Avi- aisa bhi hota hai kya par tum gussa thi kya

Sanjana- jaise tumhe to kuch pata hi nahi hai

Sanjana jhutha gussa dikhate huye boli aur avi bhi bhola bante huye aage bola

Avi- na, apne ko kuch nahi pata bata na kyu thi gussa

Sanjana- kucch nahi hamare building ka watchman has ke line maar raha tha mere pe isiliye gussa thi

Avi- aisa hai kya, fir tune bhi badle me aankh maar deni chahiye the hisab barabar ho jata :D

Sanjana- tum aao yaha patthar se swagat karti hi ache se

Avi- fir nahi aa raha mai

Sanjana- aisa mat bol na yaar avi jaldi aaja na bahut bore ho raha yaha

Avi- na, tu patthar maregi

Sanjana- nahi marungi jaldi aajao bas

Avi- pakka ?

Sanjana- ekdum pakka promise tu jaldi aaja bas

Avi- aisa hai to fir abhi adhe minute me aaya maj waha

Sanjana- saachh

Avi- arey ekdum...

Aur avi ekdum se sanjana ke saamne jake khada ho gaya.

Avi- dhantadannnn....

Sanjana ko apni aankho pae yakeen nahi ho raha tha wo bahut jyada khush ho gayi aur utsah se khadi huyi par agle hi pal uske dhyan me aa gaya ke avi ye pure samay yahi tha aur uski firki le raha tha aur ye baat dimag me strike hote hi sanjana ne ek mukka ghuma ke avi ne pet me mara

Sanjana- mere sath bhankas

Avi bhi apna pet pakad ke niche baitha aur bola

Avi- kya dusht hai be tu, nahi maregi aisa bola tha na

Sanjana- ha to patthar nahi marungi bola tha mukka maarne ke bare me koi baat hi nahi ki thi

Avi- ye sahi hai, dur raho to jaldo aao aur aagaya to direct maar peet

Sanjana- direct kaha aaye ho tum, ye to tumne phone par abhi nautanki ki hai na ye uska prasad hai

Sanjana ki baat sunkar dono hasne lage

Bas ek pal hi kafi hota hai sari mataji sari bechaini dur karne ke liye sirf koi apna banda apne paas chahiye

Sanjana- aniket aur komal kaise hai, kya bole wo

Avi- wo dono hamesha majeme hi hote hai bahut maja kiya humne do din, kafi samay baad jo mile the..

Sanjana- aniket mujhse naraj to nahi hai na maine usss jhuth bola tha isliye

Avi- arey anya hai wo, aisi chhoti chhoti baato ki taraf to wo dekhte bhi nahi Uske bare me sochna to dur ki baat hai

Sanjana- Thank God, par kuch bhi bolo wo dono hai ek number ke awli mujhe bade pasand aaye dono

Avi- aur mai ?

Sanjana- tum to meri jaan ho sweetheart bas tumhe hi meri kadar nahi hai..

Sanjana ke muh se sweetheart sunte hi avi ke man me guitar bajne lagi thi fir bhi dil ki baat dil me hi rakhte huye wo bola

Avi- aisa kuch nahi hai tumhari kadar hai isiliye to bhagye huye bas tumse milne pahucha hu

Aur sanjana avi ki aankho me dekhte huye boli

Sanjana- sach ?........

Avi pyaar me khuch jyada hi dub gaya hai. Akhir na na karte karte vichre ka dil guitar 🎸 ban prem dhun baja raha hai. Sanjana to do kadm aur aage bad gaya gaya lekin bandi ki soch 💯 rupya kg bechane wala hai. Kisi ko javrdasti pyaar nehi karba skte ye soch raha hai sath hi avi ko yad bhi kar raha hai.

Adbhut atulniya aur man prem sagar me dubakar pyaar na karne ki salah dene wala update 😁
 
Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,671
144
Update 25

Sanjana- tu to jaan hai meri sweetheart bas tujhe hi kadar nahi hai meri..

Sanjana ke aisa bolne par avi bola

Avi- aisa kuch nahi hai, teri kadar hai isiliye bhag kar aaya hu tumse milne ko

Sanjana bhi avi ki aankho me aankhe daalte huye boli

Sanjana- sach ?

Avi- ekdum sach 😌

Ab sanjana bhi thoda maja lete huye boli

Sanjana- itna bhag ke aane ke liye aisa kya tha yaha..

Avi-tum to ho..

Sanjana- acha, aur mujhpar itni meharbani kyu..

Avi- kyuki tu dost hai meri..

Bas avi ke muh se dost sunte hi sanjana ne apne sar par hath maar liya

Sanjana- hey bhagwan! Ye kya mand buddhi bana ke bheja hai tumne, mujhme hi akal nahi thi wo mai isse pyaar kar baithi..

Avi sanjana ka frustration dekh raha tha par kuch bol nahi raha tha aur ab sanjana chidh gayi

Sanjana- bas tum yahi karo yaha baith ke haste raho bas aur fir hoga ye keek na ek din mereghar wale mere liye koi ladka dekh lenge aur fir mai uske sath chali jaungi waise bhi maa ne to warning di hi thi ke padhai khatam hote hi mera band bajwa degi..

Avi ekdum serious ho gaya aur thode bhari awaj me bola

Avi- shadi karke jane se pehle mera ek kaam karogi ?

Sanjana ko ashcharya hua, wo boli

Sanjana- kaisa kaam ?

Avi- meko bata teri shadi me veg khana rahega ke non veg ?

Aur avi ke itna puchte hi sanjana ke utsah par pani fir gaya aur wo chidh kar boli

Sanjana- tumko kya karna hai

Avi- wo kaam aisa tha ke agar khana nonveg hua to us catering wale se meri pehchan kara dena bas.. jindagi bahut khubsurat hai bas catering wala pehchan ka chahiye.. kya khane me dikkat nahi hogi fir

Itna bol ke avi jor jor se hasne laga aur sanjana bhadakne lagi aur avi ke hath par jor se maarte huye boli

Sanjana- mand buddhi kahi ka, sharam aati hai kuch, mujhe yaha meri life ka tension hai aur tumko nonveg ki padi hai.. jake kisi restaurant ke malik ke beti se shadi karna fir aur ache se nonveg khana

Avi- oye sanjana sun na

Sanjana- mujhe nahi sunna kuch bhi jake apni non veg wali ko sunana

Sanjana ne gusse se apna muh dusri taraf kar liya aur dusri taraf dekhne lagi aur avi usko samjhate huye bola

Avi- sanjuu… oye sanju, le kaan pakadta hu, sorry mai to bas majak kar raha tha..

Par sanjana to sanjana thi wo kaha gusse me kisi ki baat sunti thi

Sanjana- khadde me gaya tumhara sorry mujhe nahi karni tumse baat

Avi- bas thodi si bata kar le

Sanjana- ek shabd ki bhi baat nahi karni hai tumse, tumne dil dukhaya hai mera, mai hi pagal thi jo patthar par apna sar patak ne chali aayi

Avi- sanju sorry bola na, chahiye to patthar bhi la deta hu maar de mere sar me

Sanjana- nahi uski koi jarurat nahi hai, waise bhi mai hoti kaun hu tumhe kuch bolne wali

Avi- arey kuch bhi kya sanjana, dost hai tu meri

Ab tak sanjana bas thode gusse me thi aur ab wapis dist sunkar wo ekdum aagbabula ho gayi

Sanjana- mujhe nahi banna tumhari dost, pareshan ho gayi hu mai dost dost dost, tum samajhte kyu nahi pyaar karti hu mai tumse

Avi kuch nahi bola aur isse sanjana aur bhadak gayi aur uth kar khadi huyi

Sanjana- tum aise hi baithe raho, bura to lag raha hai mujhe par ab aur koi upay nahi hai isiliye keh rahi hu, hamare beech jo bhi tha sab khatam

Avi par mano bijli giri ho, wo sanjana ko samjhate huye bola

Avi- kya..? niche baitho pehle aur ye kya laga rakha hai, kaha ki baat kaha leke ja rahi ho, kya bachpana hai ye

Sanjana ko kya hua pata nahi par wo kuch sunne ko tayar hi nahi thi

Sanjana- bas ho gaya ab, tum mujhe batao tum mujhse pyaar karte ho ya nahi?

Avi- ab ye jyada ho raha hai sanjana, tum aise jabardasti nahi kar sakti

Sanjana- mai jabardasti karungi, abhi ke abhi, ha ya nahi

Avi- styop it, ye kya laga rakha hai

Sanjana jhatke se khadi huyi aur boli

Sanjana- mujhe mera jawab mil gaya I think its time to say good bye, hamare beech jo bhi tha sab khatam, ab tumhare raste alag aur mere alag..

Itna bol ke sanjana waha se chali gayi avi ne use rokne ki bahut koshish ki par wo kuch sunne ko tayar hi nahi thi aur avi apna sar pakad ke baith gaya

Avi man hi an bol raha tha, kya sala life hai mera, pura rollar coaster kabhi upar kabhi nicheaur ye sanjana ko achanak kya hua ? kuch sunne ko tayar hi nahi hai.. ise kaise samjhau samajh nahi aa raha aur ye kya tarika hua ki samne wale ko talwar ki nok par pakad kar pucho pyaar hai ya nahi, ye ladki samajh se pare hai bc, kabhi kabhi ekdum samajhdar to kabhi ekdum balish, kabhi kabhi lagta hai iske jitna mujhe koi nahi chah sakta to kabhi lagta hai ki kya ye sach me wo ladki hai…

Kabhi kabhi gusse me hum chhoti chhoti baato ko pakad kar baith jate hai aur wo baat kab hamare ego tak pahuchti hai pata hi nahi chalta aur fir hum hamara ego satisfy karne ke chakkar me hamara hi nuksan kar lete hai, aur ye baat kisi ke samjhane se samajh nahi aati ye baat samjhata hai samay, samay hame bata deta hai ke humse galti kaha huyi par tak tak time nikal chuka hota hai aur fir bachta hai to sirf pachtava

Fir avi ne socha ke chalo baad me gussa shant ho jayega fi baat karenge par is baar sanjana bahut jyada gusse me thi aur avi ne najane kitni baar usse baat karne ki koshish ki par wo kuch sunne ko tayar h nahi thi aur akhir me ek din avi ne uska rasta roka

Avi- sanjana ba jane bhi do kaunsi baat leke baith gayi ho

Par sanjana bagair kuch bole wala se jane lagi to avi ne uska hath pakad liya to wo aur bhadak gayi

Sanjana- mera hath chhodo AK

Avi- shabas! Avi se sidha AK, mujhe baat karni hai tumse

Sanjana- ha AK, aur mera aur tumhara koi sambandh nahi hai aur mujhe tumse koi baat nahi karni, aisa samjho ke mere sar par pyaar ka bhoot chadh gaya tha jo ab utar chuka hai to ab aainda mera hath pakda ya mera rasta roka to acha nahi hoga

Pyaar ka bhoot sunte hi avi shock ho gaya fir bhi wo bola

Avi- par mujhe wo bolna hai jo tum sunna chahti thi, mai bhi…..

Avi aage kuch bolta isse pehle hi sanjana garji

Sanjana- mujhe kuch nahi sunna hai, its over , I hate you

Ye sunte hi avi ekdum sunn ho gaya, sanjana ka hath uske hath se chhut gaya aur sanjana waha se pair patakte huye nikal gayi aur wo jati huyi sanjana ko dekhta raha par ab wo use dikhai nahi de rahi thi kyuki aankhe aansuo se bhar gayi thi aur avi usi or dekhe ja raha tha jidhar sanjana gayi thi…

Pair jamin par jam gaye the aur dimag sunn ho gaya tha, usne abhi abhi jo suna uspar use yakin nahi ho raha tha aur kaano me bas teen shabd ghum rahe the, I hate you. Aur ye teen shabd uske dimag me hatode jaise baras rahe the aur ek pal aisa aaya jab usse ye bardasht nahi hua, aur ab ye sab uski sahanshakti ke aage nikal gaya aur avi ne apne dono hatho se apna sar jor se pakad liya

Badi mushkil se avi ne apne aap par kabu paya aur bhari kadmi ko ashrupurit nayno se wo hostel ki taraf nikal gaya

Room ne avi akela ki baith ke soch raha tha ke ye sab achanak kya ho gaya ?

Dil keh raha tha ke “ye sab teri hi galti hai, isko tu hi jimmedar hai, wo jab samne se aake keh rahi thi ki wo tere se pyaar karti hai tab tu hi nakhre kar raha tha wo bhi kya karegi kab tak raah dekhegi “

Fir jald hi dimag bola “ par ye kaisa pyaar tha jo hafta bhar bhi nahi tika, itna asan hota hai kya pehle pyar ko bhul kar kisi aur se pyar karna, fir bhi aniket ne pyaar ka ehsas dilaya tha, aur itna asan hota hai kya kisi ko propose karna fir bhi wo bata raha tha par sanjana kuch sunna hi nahi chahti thi”

Fir dil bola “tune baat ko jarurat se jyada khincha hai”

Fir jhat se dimag bola “ chalo ek tarah se acha hi hua kam se kam ye to pata chal gaya ke uska pyaar bas akarshan tha aur aaj uska gussa itna bada ho gaya ke use jo sunna tha wo sunna hi nahi chahti hai”

Sab khatam ho gaya tha, sanjana ka pyaar bhi aur dosti bhi…
Yahan to pyaar taruju me tola ja raha kabhi ek padrla bhari to kabhi dusra pardla bhari aur isi upar niche niche upar me avi ko sar dard de gaya. Abhi abhi avi ke dil me sanjana ke parti pyaar panpna suru hi kiya tha ki sanjana ne kud hi us bij ke mul ko nasht kar diya. Avi ka socha bhi sahi hai pakle pyaar ko itni jaldi to bhulaya nehi ja sakta.

Adbhut dil tutkar chakna chur hone ka aisas karane wala update tha.
 
  • Like
Reactions: Adirshi

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,137
53,714
304
lovely update ..sanjana ko to naukri mil gayi par avi ko dar dar ki thokre hi khane ko mili jisse wo udaas ho gaya tha .
aniket tekdi par leke gaya aur baadme yash bhi aa gaya aur dono maja lene lag gaye avi ka 🤣..
avi ke naukri ka bandobast pehle hi kar rakha tha yash ke sasur ki company me par usko bataya nahi .
kaam ki baat sunke avi bahut jyada khush ho gaya .

1 month ki training ke baad dono mile aur barish ka maja lete huye long drive par bhi gaye ..
avi ne sanjana ko pyar se chai pilayi aur pakode bhi khilaye apne haatho se 😍..
aur avi ne aaj tekdi bhi dikha di sanjana ko jaha jakar avi ne shadi ke liye propose kar diya 😍..
Aapka is behtarin review ke liye tahe dil se bahut bahut shukriya bhai :thanks:
 
Last edited:

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,137
53,714
304
lovely aur zabardast ending huyi kahani ki 😍😍..
sanjana ne tekdi par maje liye avi ke ye kehkar ki wo shadishuda hai 🤣🤣.. waise baat to sahi hi thi ki wo shadishuda hai .

avi ki maa sab samajh gayi jab wo maska laga raha tha 🤣.
aniket bhi nautanki karne lag gaya tha avi ke saath jaane ko lekar 🤣.

aniket ne saari jimmedari nibhayi avi ke shadi ki jisme yash bhi shamil tha aur avi ke saare dost bhi .
shadi ka mahaul bada hi romantic raha avi ke liye .
aur sabne khoob enjoy bhi ki avi ki shadi .

yash ke saamne aakhir sach bol hi diya aniket ne ki usko pata hai avi ka pehla pyar kaun hai .par wo is baat ko avi ko nahi batana chahta kyunki usse avi dur ho jayega .

wakai avi aur aniket ki dosti ki koi barabari nahi kar sakta .

aur ab aakhir me avi aur sanjana ki shadi ho hi gayi aur unke life ki nayi shuruwat bhi ho gayi 😍😍..
Aapka is behtarin review ke liye tahe dil se bahut bahut shukriya bhai :thanks:
 
Last edited:

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,137
53,714
304
Thanks for an Amazing story Adirshi bhai.finally reveal ho gaya Aniket avi komal ko pyar karta tha jan gaya.sanjana aur Avi ek ho gaye apni life ki gaadi ko aage le gaye.Aniket aur komal bhi happy hain.waiting for yash's love story..
Aapka is behtarin review ke liye tahe dil se bahut bahut shukriya bhai :thanks:
 
Last edited:
  • Love
Reactions: Sauravb
Top