Insaan jeevan kaal mein kayi mahatvapoorn rishte judte dusre logo se...
kisi insaan ke jeevan mein dosti sabase mulyavaan rishta hai. agar jindagi mein dost ki kami hai, to samajh lijiye ye jivan hi santusht purn nahi hai. Bilkul fiki si ho jaye ye jindagi... har kisi ko bure ya achchhe jeevan ki ghatanaon ko saajha karane, sukhad palo ka aanand lene aur jeevan ki Memorable ghatanaon ko saajha karane ke liye ek achhe aur sachhe dost ki aavashyakata hoti hai.
Sachha dost woh hai, jise koi bhi hamesha ke liye dil ki gehrayi se pasand kar sakate hai, bharosa kar sakte hai. Dost wo jo koi nahi kar sakta ,wo ek dost kar dikhata hai.....
ghum ka mahol, koi dukh ho ya tragedy... in sab paristithiyo se bahar nikalne mein kisi apne se zyada ek dost zyada kargar sabit hota hai.... to kabhi prerna banke hume apni jindagi mein har muskil ko paar kar aage badhne ko encourage karta hai......
" koi na hai sath tera... door hai manjil.... par ye fikar kyun, jab ye dost sath hai tere..."
Jaise aniket aur yash hai avi ke liye......
uska hath thamne ke liye, is muskil ghadi mein sath dene ke liye...
ek sikh bhi de diya un dono ne ushe ki muskil se koi cheej mile to uski ahmiyat zyada hoti hai... insaan kadar zyada katne lag jaata hai....
aur main bhi is baat se sure hun ki ab avi Training mein focus ke sath sath job mein hi zyada ekagrata ke sath mehnat karega ......
Khair..... kaafi dilchasp aur emotions bharpur update tha
Brilliant update with awesome writing skills
Adirshi