• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Uff! Ye Mohabbat ! (completed)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,132
53,701
304
अनिकेत ने एक जिंदादिल इंसान की मिसाल कायम कर दी । मैच्योरिटी की इन्तहा दिखाई ।
कोई और शख्स होता तो वो अविनाश से अपने सारे रिश्ते नाते तोड़ लेता । शक के कीड़े कुलबुलाने लगते । ऐसे सब्जेक्ट पर अनेकों मूवी बन चुकी है और सभी में ऐसे हालात में दोस्तों के बीच मतभेद ही रहा था । पर अनिकेत ने परिपक्वता दिखाई और अपने दोस्त का घर ही नहीं बसाया बल्कि नौकरी भी अरेंजमेंट करवा दी ।
वह उसके दिल की बात समझा । उसकी मजबूरियां समझा । हर समय चुहलबाज़ी करने वाला लड़का अपने कर्म से सेन्सियरिटी दिखा गया ।
Aniket mere khud ke personal favourite characters me se ek hai bhai
बहुत ही बेहतरीन स्टोरी थी । एक सच्चे दोस्त की पहचान उजागर करती हुई लाजबाव स्टोरी थी । हम भी एक समय सभी दोस्त एक खास ठिकाने पर शाम को मिला करते थे । एक अड्डा होता है दोस्तों का जब वो अपने सुख-दुख एक दूसरे से शेयर करते हैं । ऐसा ही इस कहानी में भी था । अविनाश , यश और अनिकेत का टिकड़ी में बैठना और वाइन पीते हुए सुख दुःख शेयर करना मुझे बहुत ही बढ़िया लगा ।
well tab to aap keh sakte hai ke wo scenes inspired by true events the :D
अपडेट नम्बर पैंतालीस मुझे कुछ ज्यादा ही भाया । संजना का बारिश से लगाव और अविनाश एवं संजना का बारिश में भीगते हुए हसीन पलों का आनंद उठाना एक वास्तविक प्रेमी युगल का एहसास दिला गया ।
मुझे विश्वास है शायद ही कोई प्रेमी युगल हो जिसे बारिश से लगाव न हो । यह दिन ही प्रेमियों का होता है ।

इस मौसम में प्रेमिका कुछ ज्यादा ही अपने प्रेमी को याद करती है । इसी पर एक गीत समर्पित करता हूं -
" हाय हाय ये मजबूरी , ये मौसम और ये दूरी ।
मुझे पल पल है तड़पाए ।
तेरी दो टकिया की नोकरी में , मेरे लाखों का सावन जाए । "
मनोज कुमार की बेहतरीन फिल्म " रोटी कपड़ा और मकान " का गीत है यह ।

दोनों का बारिश में भीगते हुए बाइक से जाना फिर एक झोपड़ी में पकौड़े और चाय का सेवन करना , इसके पहले संजना और उसकी मां के बीच आंखों आंखों से ही बातें करना सब कुछ दिल को स्पर्श कर गया ।
waah, abhi ye gaana dobara sununga :thanx:
Congratulations for completed another lovely story.

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट Adirshi bhai.
जगमग जगमग अपडेट ।
Aapka is behtarin review ke liye tahe dil se bahut bahut shukriya bhai :thanks:
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,132
53,701
304
Avi pyaar me khuch jyada hi dub gaya hai. Akhir na na karte karte vichre ka dil guitar 🎸 ban prem dhun baja raha hai. Sanjana to do kadm aur aage bad gaya gaya lekin bandi ki soch 💯 rupya kg bechane wala hai. Kisi ko javrdasti pyaar nehi karba skte ye soch raha hai sath hi avi ko yad bhi kar raha hai.

Adbhut atulniya aur man prem sagar me dubakar pyaar na karne ki salah dene wala update 😁
Aapka is behtarin review ke liye tahe dil se bahut bahut shukriya bhai :thanks:
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,132
53,701
304
Yahan to pyaar taruju me tola ja raha kabhi ek padrla bhari to kabhi dusra pardla bhari aur isi upar niche niche upar me avi ko sar dard de gaya. Abhi abhi avi ke dil me sanjana ke parti pyaar panpna suru hi kiya tha ki sanjana ne kud hi us bij ke mul ko nasht kar diya. Avi ka socha bhi sahi hai pakle pyaar ko itni jaldi to bhulaya nehi ja sakta.

Adbhut dil tutkar chakna chur hone ka aisas karane wala update tha.
Aapka is behtarin review ke liye tahe dil se bahut bahut shukriya bhai :thanks:
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,132
53,701
304
Yahan to pyaar taruju me tola ja raha kabhi ek padrla bhari to kabhi dusra pardla bhari aur isi upar niche niche upar me avi ko sar dard de gaya. Abhi abhi avi ke dil me sanjana ke parti pyaar panpna suru hi kiya tha ki sanjana ne kud hi us bij ke mul ko nasht kar diya. Avi ka socha bhi sahi hai pakle pyaar ko itni jaldi to bhulaya nehi ja sakta.

Adbhut dil tutkar chakna chur hone ka aisas karane wala update tha.
Aapka is behtarin review ke liye tahe dil se bahut bahut shukriya bhai :thanks:
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,132
53,701
304
Well sabse pehle to mai aap sabhi se bahut bahut maafi mangta hu ke mai itna late sabko reply kar raha hu, karib ek mahina ho chuka hai, kuch kaam kuch idhar udhar ki baate, kuch behtarin stories ko padhna, nayi kahani, contest aur kuch mera aalas in sab me ye baate dimag se nikal hi gayi thi, and yes mai apni galti kabool karta hu aur ab iske liye aap sab mujhe beshak gali bhi de sakte hai coz I deserve it, and thank you to SANJU ( V. R. ) bhai, aapne mujhe meri galti yaad dilayi aur bas aise hi aage bhi aise hi apne chote bhai ko sambhal lena bhai, thank you once again aap sabhi ko is kahani ko itna pyaar dene ke liye, and yes nayi kahani par kaam chal raha hai tab tak mauj katiye XF par, akkha XF aapka hai fir chahe wo Lounge ho ya SS, and yes jald himulakat hogi kayi kahani ke sath tab tak ke liye
:ciao:
And SORRY once again...
(please maaf kar dena :pray: )
 
Last edited:
10,051
42,011
258
Aniket mere khud ke personal favourite characters me se ek hai bhai

well tab to aap keh sakte hai ke wo scenes inspired by true events the :D

waah, abhi ye gaana dobara sununga :thanx:

Aapka is behtarin review ke liye tahe dil se bahut bahut shukriya bhai :thanks:
ये लगता है साधारण लेकिन ये जरिया है एक दूसरे को समझने का और एक दूसरे के दिल में अपना स्थान बनाने का ।
छोटी छोटी चीजें बहुत ज्यादा मायने रखती है । वो कहते है न कि " एक किल की वजह से राज्य खो जाता है "।
शायद सच्चिदानंद हीरानंद वात्स्यायन अज्ञेय की कविता थी । पुरा याद नहीं आ रहा है । :D
 
  • Love
Reactions: Adirshi and Destiny

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,132
53,701
304
ये लगता है साधारण लेकिन ये जरिया है एक दूसरे को समझने का और एक दूसरे के दिल में अपना स्थान बनाने का ।
छोटी छोटी चीजें बहुत ज्यादा मायने रखती है । वो कहते है न कि " एक किल की वजह से राज्य खो जाता है "।
शायद सच्चिदानंद हीरानंद वात्स्यायन अज्ञेय की कविता थी । पुरा याद नहीं आ रहा है । :D
Totally agree with you :shakehands:
 
  • Love
Reactions: SANJU ( V. R. )

vmvish

Banned
290
369
63
Update 1



Sir Parshuram Patil College aka SPP college ke auditorium ka hall students se bhara hua tha aaj college ke convocation ka program tha, toppers ko principal sahab khud degree dene wale the aur sare college ke samne unka sanman hone wala tha, ab tak principal sahab se 4 logo ko degree pradan kar di thi aura b bari thi us shaks ki jise degree ke sath sath gold medal se bhi sammanit kiya jane wala tha uske academics me shandaar pradarshan ke liye

Host ne jab us shaks ka naam pukara to ek khubsurat ladki apni jagah se uth kar manch ki taraf jane lagi, pura hall taaliyo ki awaj se gunj raha tha aur jaise hi principal sahab us ladki ko gold medal pehnanane wale the tabhi achanak se us auditorium me pani ki ek jordar lehar aayi mano tsunami aa gayi ho aur isi ke sath wo ladki neend se jag gayi

“utho maharani, college nahi jana kya ke sara din sone ka irada hai, pehle hi din late hona chahti ho”

“kya yaar maa yaar ye koi tarika hai kya kisi ko neend se jagane ka, kitna acha sapna dekh rahi thi mai, university me top kiya tha maine, principal bas gold medal pehnane hi waha tha ki aapne pani fer diya uspe, aisa karta hai kya koi :roll:

“beta ye to sapna hi hai tere liye bhi aur hamare liye bhi, hamare aise naseeb kaha ki hamari beti padhai me gold medal laye”

“uda lo majak, eklauti beti ki kadar hi nahi hai kisi ko is ghar me.. huh :roll:

Jiske baad wo ladki bathroom me chali gayi aur uski maa haste huye wapis apne kaam me lag gayi

Par abhi introduction to reh hi gaya ke ye hai kaun, to inse milo ye hai Sanjana Sangram Mohite-Patil aka Sanju(khali gharwalo ke liye, ab aisa kyu ye aage malum padega) aka SMP..

Ek khubsurat aur dilkhol kar jine wali ladki, jiski bas ek najar ki kafi hai ladko ko ghayal karne ke liye.. lambe baal, paini nigahe, rang aisa gora ki makeup ki jarurat hi na pade, aurjab maem tayar hoke nikalti hai to mohalle ke ladke raah me dil bichaye rehte hai..

Sanjana ko propose karne walo ki kami nahi thi ladko kiline lagi padi thi par kisi ko ghas daalna to dur sanjana ek baarpalat kar bhi nahi dekhti thi..

Jitni najuk jitni sunder utni hi khatarnaak… jisne bhi sanjana ko chheda ya uske sath apni baat manwane ki jabardasti ki snajana ke use aise khich ke tamacha jada ki samne wale ka jabda hil gaya.. martial arts ki training lene se wo apni suraksha karne me saksham thi.. par uski maa shakuntala ko uski hamesha chinta rehti thi ke iska kya hoga

Shakuntala- sanju teri harkate agar aisi hi rahi to hame teri saas ki baate sunni padegi,

Jispar sanju ne kaha

Sanjana- arey matashri aap chinta na kare dekho pehle mai meri saas ko pyaar se samjhaungi ki mai aisi hi hu aur mujhe na chhede ab fir bhi won a pani to usko pani ke drum me dubo kar pankhe par sukhne daal dungi aur pankha shuru kar dungi, simple…

Sanjana ki baat sunkar uski maa ne apne par hath maar liya

Shakuntala- ye bhagwan, ab tum hi deko kya karna hai iska, ye pya piece bana diya hai

Sanjana-piece nahi master piece, aur ek raaz ki baat batau mujhe banana ke baad na bhagwaan ne paanch minute dekha kuch socha aur fir wo sacha hi tod diya ki aisa bas ek hi piece kafi hai isiliye to unique hu mai :coo:

Shakuntala-bhagwan iske liye iske jaisa hi unique piece bhejna bas, aisa item humse nahi dhundha jayega

Sanjana- dhundhna bhi mat, tum dekhna wo khud aayega.. mere liye :love:

Shakuntala- sanju, bete ab tak kyu nahi aaya fir wo, pata nahi kaha hai, tum buddhi ho isse pehle aa jaye bas :laughing:

Sanjana-maa abhi to chhoti hu na mai buddhi hone me to time hai abhi :shy:

Shakuntala-beta tumhari sirf height nahi badhi hai uske sath umra bhi badhi hai, post graduation ke second year me hai tu ab tak koi dhang ka ladka nahi mila tujhe ?

Sanjana- wo kya hai na maa aapki beti college queen hai :cool: kayi ladko ne propose kiya hai par jise dekh ke dil me ghanti baje aisa koi nahi mila abhi tak

Shakuntala-aur jinhone propose kiya tha unme kya bura tha

Sanjana-acha wo, wo to bas is khubsurti ke piche pagal the mujhe aisa koi chahiye jo mere piche pagal ho

Shakuntala- kaunse sapno ki duniya mai hai pata nahi par ek baat sun lo jab tak college chal raha hai tab tak theek hai uske baad mai tumhari kuch nahi suningi

Sanjana- ha meri mother india kar lena ko karna hai abhi jau mai ab warna tumhare lecture me college ka lecture chhut jayega

Itna bol kar sanjana apni gadi leke college ke liye nikal gayi, waise dekha jaye to college ka pehla hi din tha aaj par college ke lecture se sanjana ko jyada akarshan tha ragging lene ka, uske sath pichle saal huyi ragging ka badlawo is saal apne juniors se lene wali thi

Sanjana college me pahuchi thi uske dost jyoti aur Rahul uski raah dekhte parking me hi khade the uske gaadi park ki aur apne dosto ke paas gayi

Sanjana-hi Rahul! Hi jyoti, kya haal chal kaisa hai naya maal

Jyoti- bakwaas :sigh: kuch khas nahi hai :sigh: college me pair rakhte hi fati padi hai sakbi, kuch bhi bolo mundi hila kar karne lagte hai

Sanjana-matlab aisa koi majbut mai ka laal nahi aaya hai batch me

Itne me ek sadharan ka ladka college ke gate seander aate huye Rahul ko dikha to Rahul bola

Rahul-aye sanju wo dekh hero heralaal..

Par idhar sanjana ko Rahul ka use sanu bolna pasand nahi aaya tha

Sanjana-rahul, bhadkhau jyada masti chadh gayi hai kya, jyada laad me mat aa tu

Rahul-maine kya kiya ba mere pe kyu chidh rahi hai

Jispar sanjana ne uski collor pakad li

Sanjana- mujhe sanju bolne ke liye mai teri gf nahi hu na tu meri maa ha to aukat me rehne ka ya sidha futne ka, dobada sanju bola na to daat tod ke hath me de dungi samjha

Rahul-ok sorry SMP aur tere jaisi girlfriend bana kar marna thodi hai mujhe

Sanjana- good boy aage bhi dhyan me rakhna aur cha lab dekhte hai is ladke ko..

Wo ek sidha sadha ladka tha sadhi jeans aur shirt pehne pith par bag latkaye college dekhne me busy tha tab Rahul ne use awaj di

Rahul-Oye Pappu!

Us ladke Rahul kiawaj ko ne suna ansuna kar diya jispar jyoti aur sanjana dono hasne lage aur uska hasna Rahul ko itna khatka ke wo bhag ke us ladke ke paas gaya aur uska rasta rok liya

Rahul- kyu hero awaj sunai nahi di kya :roll:

Itne me jyoti aur sanjana bhi waha aa gaye the

Ladka-aapko lagta hai koi galatfehmi huyi hai aap jis pappu ko awaj de rahe hai wo mai nahi hu

Sanjana- pata haiab jyada hoshiyari mat dikha, naam kya hai tera

Us ladke ne koi jawab nahi diya aur has kar aage jane laga jispar ab Rahul ko gussa aa gaya

Rahul-bahut ho gaya tera ab, is college me rehna hai to senior se ache se baat karne ka

Jispar ko ladka bagair ghabraye bola

Ladka- to ye ache se baat karne wala niyam sirf juniors par lagu hota hai kya?

Rahul- bahut masti hai na tere se ruk abhi batata hu tujhe

Itna bol kar Rahul ne ek jordaar punch us ladke ko mara par wo use lagta usse pehle hi wo ladka thoda baju hata aur usne Rahul ka hath pakad ke mod ke uski pich ke piche kar diya aur piche se uski gardan pakad kar bola

Ladka- college tere baap ka nahi hai samjha na, aur sun ye pehli baar tha isiliye chhod raha hu dobara hath uthaya to tera baap bhi tereko pehchan nahi payega, mere kapdo pe mat ja tu, in kapdo ke ander aisa gunda hai jot ere jaise teen laundo ko 10 baar dhul chata de, to dobara ye galti mat kariyo.

Aur usne dhakka dete huye Rahul ko chhod diya jisse ko muh ke bal girte girte bacha, par ab sanjana ko gussa aane laga thaw o us ladke se boli

Sanjana-galat panga le liya tune

Itna bolte huye sanjana se us ladke ko martial art ka ek jordar punch lagaya par wo usse bhi bach gaya aur achanak niche baith gaya, aur uske baad usne jo kiya wo kisi ne nahi socha tha, us ladke ne sanjana ke pair pakad liye aur jor se roti awaj me bolne laga

Ladka- plese maaf kar do mujhe, mera pehla din hai college me… mat maro please aap jo bologe karunga mai..

Is harkat se sanjana Rahul jyoti teeno shocked, abhi kuch samay pehle jisne Rahul ko mara tha wo ab sanjana ke pair me gir ke ro raha tha.. sanjana ke chehre par jeetne ka samadhan tha par wo jyada samay tak nahi tika

Tabhi piche se ek awaj aaya

“ye sab kya ho raha hai yaha”

Sanjana Rahul aur jyoti piche palte to piche principal sahab khade the

Principal- sharam nahi aati juniors ki ragging lete huye, mai iske liye tum teeno ko rusticate kar sakta hu

Ab teeno ki halat kharab

Rahul-par sir ye achanak….

Principal- shut up! Maine sab apni aankho se dekha hai

Wo ladka ab bhi niche baith kar apni aankhe poch raha tha, principal use samjhate huye bole

Principal- utho bete, aur bilkul daro mat koi kuch nahi bolega aur agar kisi ne ragging ki to sidha mere paas aakar complaint karna utho aur jao ab first year ke class me, aur tum teeno, tum mere office me chalo abhi aur mujhe batao ki mai kyu tumpar action na lu..

Principal sahab aage chalne lage aur baki charo unke piche the tabhi wo ladka halke se Rahul ke kaan me bola

Ladka- aisa hai munna ye jo kandhe par sar hai na wo sirf helmet lagan eke liye nahi hai kabhi kabhi use kar lena chahiye uska aur ye aise dhandho me na mai tumhara baap hu ye dhyan me rakhna

Us ladke ne ye baat itnin dheere se boli thi ke principal na sun par kar Rahul aur sanjana ne barabar suna tha


First year ye class aate hi wo vijayi muskan ke sath apne class ki taraf nikal gaya aur sanjana ke bhi dhyan me aa gaya tha ke ye jaisa dikhta hai waisa hai nahi…..
Ekdam dhansu beginning hai ye toh Adirshi Bhai

Aap na college life ke bare me kafi badhiya tarike se varnan karte ho. Bilkul hi realistic sa lagta hai.

Thanks !!
 
  • Like
Reactions: Adirshi
Top