- 268
- 762
- 93
Kya vo pata laga payegi? Dekhate hai...Ye kya hai,
Is ladake ke Saath Paridhi ka bachpan ka rishta hai.
Dekhate hai aage kya hota hai, kaise wo inka pata lagati hai.
Kya vo pata laga payegi? Dekhate hai...Ye kya hai,
Is ladake ke Saath Paridhi ka bachpan ka rishta hai.
Dekhate hai aage kya hota hai, kaise wo inka pata lagati hai.
Super fantastic updateUpdate - 16
Mai - "Nahi Aadi.... esa mat bol... tu mera bhai hai na..... aur me apne bhai ke liye sab kuch karunga..... mai na tera ilaz jaroor karvaunga.... tu phir se daude ga... dekh lena... tab na ham dono yaha se bhag jayenge.... aur tere iss ilaz ke liye agar muje bhagwan se bhi bhidna pade to me unse bhi lad lunga... muje kuch nahi chahiye aadi... muje sirf tu khush rahe... tera har sapana sahi ho yahi chahiye... aur tera khush rahena... muskurana meri uss bhukh ko bujata hai jiska mai bhuka hu... pyaar ki bhuk mitati hai meri.... aur iss ke liye duniya ki sari daulat me chod sakta hu... "
Ab aage....
Aadi muje gale lag gaya... lekin vo abhi bhi ro raha tha..... mai bhikh me aaye huye paiso me se kuch paise chupa deta tha aur pichle 2 saal se har roj kuch paise chupa diya karata tha..... muje Aadi ka bade se hospital me ilaz karvana hai na.... aakhir mere alawa uska iss duniya me hai bhi kon..... jese me pyaar ka bhuka hu vo bhi to usi pyaar bhukha hai na....
Aadi abhi bhi ro raha tha aur mai use chup kara raha tha... meri kohani se abhi bhi khoon nikal raha tha... tabhi muje pichhe se kisi ki aawaj sunai di... mene piche mud ke dekha...
Vo aek ladki thi... jo karib 10-12 saal ki hogi... usne aek bahut hi pyaara pink kalar ka frok pahena huva tha.... usme vo bahut hi khoobsoorat dikh rahi thi... bilkul Pari jesi... mene kabhi Pari ko dekha to nahi... lekin kitabo me unke bare me padha jaroor tha...
Aur ye ladki bhi bilkul Pari jesi dikh rahi thi... Muh pe aek nahut hi pyaari si muskan.... chaere pe subah ki paheli kirano se chalak rahi chamak use aur bhi sundar bana rahi thi.... nili aankhe thi... Hath me aek chota sa beg tha... aur doosre hath me kuch paise the..
Vo Aadi ko dekh rahi thi... aur uske pass aake boli - "Bhaiya ye lijiye..... mere pass na itne hi paise hai... aap ka ilaz karvana hai na... le lijiye.... muje meri mamma ne diye hai..."
Aadi ne uss ladki ko dekha... mai bhi uss ladki ke chahere ko hi dekh raha tha... bahut hi masoom sa chahera tha.... Phir hamne aaspass bhi dekha vo ladki akeli hi thi... uski maa aur papa koi sath nahi dikh raha tha door door tak nahi.... aur hath me itne sare paise the.. Mai aur Aadi samaj nahi paa rahe the ki kya kare?
Jab mene Aadi ki aur dekha to uski aankho pe kuch bund aanshu aa gaye the. mai samaj nahi paya ki esa kya huva ki Aadi bhavuk ho gaya... aaj tak kitne sare bachho ne hame paise diye hai... halaki unke sath unke mata-pita jarur hote the... Lekin kabhi bhi Aadi ko ese bhigi huyi aankho ke sath dekha nahi tha...
Lekin phir muje samaj aa gaya ki Aadi ki aankhe kyu bhar gayi... mene phir se uss ladki ke aek aek shabo ko yaad kiya jisme pahela vo labj tha jo ki sabse jyada mayane rakhata tha... pasio se bhi jyada... kisi chij se jyada...
"Bhaiya...."
Bhai... Bhai bas yahi vo labj tha jo sabse jyada mayane rakhata tha... bas yahi vo labj tha jisne Aadi ki aankho se aanshu baha diye the...
Aadi - "Nahi.... bahen aap rakhiye.... ye aapke paise hai... aur aapki mamma ne aapko kisi kaam ke liye diye hoge na..."
Ladki - "Na na bhaiya muje ye paise nahi chahiye... aap hi rakh le.... muje mamma ne nayi dress lene ke liye diye the.... mai baad me mamma pass aur paise mang lungi aur aek dress le lungi.... inn pasio ki jaroorat aap ko mujse jyada hai.... aapko apna ilaz karavana hai so bahut sare pasie lagenge... mere pass abhi bas itne hi pasie hai agar aur hote to vo bhi mai aapko de deti.."
Uss ladki ke chahere pe itnti masoomiyat ke bhav the ki kis shabdo mai use likhu... Jesa mai ne kitabo me padha tha... sab kuch uss Pariyo ke jesa hi tha.... nek dil... masoom... achhai... sab kuch hota tha unme....
Aur aaj mere samne vahi Pari khadi thi kitabo vali... bilkul saaf dil.... Aadi ne meri aur dekha mene usse aankho ke ishare se paise lene ko bola... Aadi ne jese hi paise liye... Uss Pari ka chahera khil gaya... vo bahut khush ho rahi thi... khushi se uchal rahi thi...
Aaj mene jana ki duniya me kyu bachhe bhagwan ka roop kahelate hai.... Aaj uss ladki ko mene bhagwan ke jese dekha.... Mera dil aaj paheli baar Aadi aur kitabo ke alawa kisi aur ke liye dhadka..... Vo khushi se uchal rahi thi.... aur uss Pari ko dekh mera dil bhi khushi se uchal raha tha... khusi se dhadak raha tha...
Usne Aadi ko 2000 rupiaye diye the... jo ki bahut sare the... aaj tak kisi ne bhi hame 10 rupiaye se jyada nahi diye the... aur vo 10 rupye dene wale log chahe kitni badi car me kyu na ghumta ho kitna bhi kya na amir ho.... vo log kabhi bhi 10 rupaiye se jyada kabhi nahi dete....
Lekin iss Pari jesi ladki ne 2000 rupaiye diye.... mera dil iss liye nahi khush tha ki usne hame itne rupaiye diye... lekin iss liye khush tha ki... Iss nark jesi duniya me koi jannat se Pari aayi thi.... jiska dil itna saaf tha... itna komal tha... ki usne itne sare paise Aadi ko de diye... Usne apne pass ke sare paise Aadi ko de diye... Usne aek baar bhi khud ke liye nahi socha ki use dress lena hai ya phir inn paiso ko kabhi use kar sakati hai...
Lekin mera dil inn sab se bhi jyada iss baat se dhadaka hai ki usne Aadi bhaiya bhi kaha.... Usne itne badbu bhare, kudedan jese lag rahe bachhe ko Bhai kaha tha.... jabki hame sab kitni gandi gandi gali hi dete the...
Yaha tak ki hame kabhi kabhi mandir ka koi pujari bhi gali deta tha.... aur hame mandir se bhaga deta tha... Uss bhagwan ke dwar se bhaga deta tha jo ki sab ke dukh door karta hai...
Muje hamnesha se bhagwan se sikhayat raheti thi ki kya aapke ye pujari ese hote hai.... jo roj aapko fool haar chadate hai... aur ham jese bachho ko gali dete the... kya ham bachhe uss bhagwan ka roop nahi the?....
Aur jese aaj bhagwan ne uss sikayat ka jawab iss Pari jesi ladki ko yaha bhej ke diya tha... ki sach me bachhe bhagwan ka hi roop hote hai...
Vo ladki khush thi... aur usse itna khush dekh ke ham dono bhi bahot hi khush the.... tabhi aek car vahi hamare pass aake ruki aur usme se aek aadmi bahar aaya usne Driver ki poshak pahene huyi thi... Aur vo Driver pass aake iss ladki ko bulate huve kaha...
Driver - "Choti malkin aap yaha kya kar rahi hai?... kab se aapko dundh raha tha... aap baar baar kyu bhag jati hai?... achha huva ki aap mil gayi.. varana Badi malkin meri jaan hi le leti.."
Uss ladki ne pichhe khade uss Driver ki aur dekha aur uss ladki ka chahera utar gaya... aur uska utara huva chahera dekh mera dil jese beth gaya... uss Pari jesi ladki ka udas chahera dekh mera bhi man aur dil udasi me bhar gaya...
Uss ladki ne aek najar uss Driver ki aur daali aur phir usne beman se kaha..
Ladki - "Thik hai... Driver uncle chaliye.."
Aur phir Aadi ki aur mudte huve kaha - "Bhaiya aap na bahut hi achha ilaz karvana.... dekh na aap phir se meri tarah khelne lagoge..... mai ab chalti hu... bye.."
Aadi - "Aapka bahut bahut dhanyawad bahen.... aap jesi ladki ko bhagwan nehi hamari madad ke liye bhega hoga.... aapko kabhi koi jindgi me dukh na mile... aur muj jese ladke ko aapne apna bhai kaha vo apni bahen ki khushi ke liye bhagwan se sada duva karunga ki use duniya ki sari khushi ya mile...."
Mai Aadi ke shabdo ko mahsoos kar sakta tha... ki uske dil me iss Pari jesi Ladki ne kesi jagah bana di thi... Aadi ka koi nahi tha iss duniya me mere alawa... aur aaj use aek ladki ne apna bhai kaha tha.... aur uske se muh se nikale har shabd me apni bahen ke liye pyaar aur duva hi jalak rahi thi...
Pata nahi ki ye ladki phir kabhi milegi bhi ya nahi lekin iss chote se shabd "Bhaiya" ne Aadi ko vo takat de di thi jo usse apni iss buji jindgi me nayi roshani dal di.
Vo ladki wapas jane ke liye mudi hi thi ki mene use kaha
Mai - "Jab hamare pass pasie aayenge na tab ham aapko aapke pasie vapas lauta denge"
Vo ladki pichhe meri taraf mudi aur uske chahere pe aek bahut hi pyaari... mithi muskan thi...
Ladki - "Nahi muje koi paise wapas nahi chahiye... vese bhi mene ye paise apne Bhai ko diye hai."
Aadi ki aankhe ab aur na sah saki vo rone laga... Vo Pari jesi ladki teji se Aadi ke pass aayi.. aur vahi Aadi ke pass ghutano pe beth gayi.. aur phir usne apne hatho se Aadi ki aankho se aanshu poch diye..
Ye itni jaldi huva ki me aur Aadi dono chaunk gaye... Aaj tak hame kisi ne chuva nahi tha... aakhir kisi kudedan jese lag rahe bachho ko kon chuyega...
Ladki - "Aap ese na roiye... dekhiye agar aap ese royenge phir muje bhi rona aa jayega... aur aap thik kese honge... dekhiye jab aap thik honge na tab ham sab aek sath khelenge... khelenge na?... aek sath khelenge kudenge..."
Uss Ladki ka chahera aur dil masoom tha ki meri bhi aankhe chalak uthi... kya soch thi uski.... jiss aankho ne kabhi dard ke alawa kuch nahi mila tha aaj inn ankho me paheli baar khushi ke aanshu the... aaj uss Pari ne mere dost ki aankho ke anshu apne hatho se poche the... hamare jese gande bachhe jo inn sadko ki dhul ki tarah hamare dil pe bhi jo dhul jama huyi thi.... aaj uss dil ko kisi saaf dil ne chuva tha.... mere dil pe jo dhul ki parat jami thi ki ye duniya sirf khudgarj logo se bhari padi huyi hai iss dhul ki parat ko iss Pari si ladki ne saaf kar di thi...
Mera dil bhar gaya.... Mai bhi sache dil se bhagawan ko duva karunga ki kabhi iss Ladki ko koi dukh na de... kabhi iss saaf aur komal dil ki ladki ko iss duniya ki burai se samana na karna pade... iss ladki ki jindagi khushiyo se bhar de...
Aadi ke shabd uske dil ke bhav ko nahi bata paa rahe the - "Mai ab nahi rounga bahen..... aur jab mai thik hounga na to ham sab aek sath khelenge.. me wada karta hu..."
Vo ladki bahut khush ho gayi....
Driver - "Chaliye choti Malkin... hame der ho rahi hai...."
Vo ladki khadi huyi aur pichhe mudi hi thi ki mene usse rokate huve
Mai - "Aap apna naam to bata dijiye... Jab hamare pass paise aayenge to hum aapko de denge.. aap mana nahi kar sakati... aapne mere dost ko bhai kaha hai... aur bhai kabhi apni bahen ke pass pasie nahi leta."
Uss ladki ne meri aur dekha vahi pyaari si mithi si muskan uske chahere pe khel rahi thi...
Ladki - "Nahi mai pasie hargij vapis nahi lungi... aur rahi baat mere naam ki to Mera naam Paridhi hai."
Mai to jese chuank gaya... Paridhi... kitna achha aur pyaara naam tha... aur iss naam me hi Pari shabd aata hai.... man gaye bhagwan ko aaj... jesa naam diya vese hi gun bhi diye...
Paridhi aage kuch na boli aur jald se pichhe mudi... aur teji se Car me beth gayi... meri najar abhi bhi us pe hi thi... uss ne Car ki khidki se hamari aur dekhi aek smile di aur apna hath hilake hame bye kahene lagi... aur ander beth gayi...
Meri najar Car ke piche padi... vaha kuch likha huva tha.... mene choti ankho se uss likhavat ko padh ne ki kosish ki... Ab muje uss Car ke piche jo likha tha vo ab padh paa raha tha...
"Chauhan Empire Private ltd."
~ Gabbar is Back
Nice update bhaiUpdate - 17
Meri najar Car ke piche padi... vaha kuch likha huva tha.... mene choti ankho se uss likhavat ko padh ne ki kosish ki... Ab muje uss Car ke piche jo likha tha vo ab padh paa raha tha...
"Chauhan Empire Private ltd."
Present Date - 25/11/2015
Paridhi....
Ha ye wahi thi.... uss din vo hi Aadi aur Pavan se mili thi... aur Aadi ko bhaiya kahakar bulaya tha.... Ha ye wahi Paridhi Chauhan thi.....
Waqt... ke panno se aek raaj khula tha... Paridhi aut Pavan aek doosre ko mil chuke the vo bhi 11 saal ki umr me...
Paridhi ka dimag sunn pada huva tha..... Uski soch hi gayab ho gayi thi vo Dyari ko bina palake japakaye baar baar padh rahi thi...
Ladki - "Nahi mai pasie hargij vapis nahi lungi... aur rahi baat mere naam ki to Mera naam Paridhi hai."
Meri najar Car ke piche padi... vaha kuch likha huva tha.... mene choti ankho se uss likhavat ko padh ne ki kosish ki... Ab muje uss Car ke piche jo likha tha vo ab padh paa raha tha...
"Chauhan Empire Private ltd."
Paridhi apne dimag pe jor daal rahi thi aakhir vo Aadi aur Pavan se kab mili thi... Usne Aadi ko kab bhai kaha tha... 11 saal ki umr... Paridhi apne tej dimag pe aur jor dalane lagi... Aur phir use kuch yaad aane laga.. sab kuch bahot hi dundhala sa dikh raha tha jiss se chahere saaf nahi yaad aa rahe the... Bas itna yaad aa raha tha ki usne kisi do bachho ki madad jarur ki thi.... Uss Waqt unn sab ke bich huyi baate to yaad nahi aa rahi thi.. lekin ye ahesaas use ho raha tha ki uss Waqt unn dono bachho ko milake use bachut khushi huyi thi... kuch to esa tha ki vo unn dono bachho ki taraf khinchi chali gayi thi...
Phir thoda aur jor dalane se yaad aaya ki Paridhi Uss din apni dress lene ke liye jaa rahi thi... aur tabhi usne mall ke bahar Pavan ko kisi Car ke samne hath jodke khada dekha tha..... aur vo kuch bol bhi raha tha.... aur baar baar vahi thodi door bethe Aadi ki aur ishara bhi kar raha tha... Paridhi ko samaj me aaya ki Pavan apne dost ke liye paise mang raha tha...
Aur phir Paridhi ne dekha ki uss car me bethi aurat ne Car ke darawaja khol ke Pavan ko door fenk kar chot pahunchayi thi... Paridhi ko uss Waqt uss Aurat pe bahut gussa bhi aaya tha... Lekin uski najar Pavan pe hi tiki huyi thi...
Vo jese hi Pavan ko utha ne ki liye pass aayi usne dekha ki Aadi upni jagah se rengta huva pass aa raha tha... aur Aadi ko ese rengta dekh Pavan jald se uth jata hai... aur Aadi ke pass jake usse uthane lagata hai... Pavan apni chot bhul chuka tha... bas usse sirf Aadi ki hi chinta thi...
Paridhi ne pura najara dekha... Pavan apne dost ke prati itna lagav uske dil ko chu gaya tha... Paridhi ne Pavan ka saaf dil dekh liya...
Paridhi dono ke pass aake khadi ho gayi thi lekin dono me se kisi ka dhyan Paridhi pe nahi tha... aur dono aapas me baat kar rahe the... Paridhi ne Aadi aur Pavan ki bate suni aur uska dil ro utha tha... Aur Pavan ki sadagi... aur pyaar dekh uska dil bhar gaya...
Bhale hi aaj Paridhi ko sab kuch yaad nahi tha ki lekin vo ahesaas Waqt ke saath ese jud gata tha ki iss Waqt vo uss Waqt ke ahesaas ko saaf saaf anubhav kar paa rahi thi... Dono dosto ki bich ki itni gahera pyaar dekh kar uska dil apne aap hi unn dono ke pass khincha chala gaya tha.. Lekin iss ahesaas me aur bhi kuch tha jo uske dil ko aur bhi chu gaya tha ki Pavan ka vo saaf dil jisme usne apni parwah na karate huve use apne dost ki sabse jyada parawah thi aur Paridhi ke paiso ko wapas lauta dena chahata tha jab ki vo inn paiso se kuch bhi kar sakate the... Uss din pata nahi lekin Paridhi ka dil teji se dhadak raha tha jiska ahesaas use abhi bhi ho raha tha... Pavan.... Pavan jise dekh paridhi ka dil dhadaka tha...
Aur isi ahesas me dub ke usne apni dress ke liye jo paise mamma ne use diye the usne vo Aadi ko diye the... Usne aek baar phir se Dyari ko padh liya.... Jiss se use ye malum huva ki.... usne Aadi ko bhaiya kaha tha... lekin Pavan ko.... Pavan ko usne bhaiya nahi kaha... Paridhi ko bhi uss Waqt pata nahi tha ki uss din use kya ho raha tha.... Lekin uska dil jese Pavan ko dekh uchal raha tha... aur vaha se jane ke baad bhi vo iss ahesaaas ko hi baar baar yaad kar raha tha... Paridhi ne apna naam to bataya tha lekin khud un dono ka naam puchana bhul gayi thi.....
Lekin Waqt ke badalte Paridhi ye yaade bhul gayi thi... Pavan ka chahera bhul chuki... Aadi ko bhul chuki.... Sab kuch bhul gayi thi... ki 11 saal ki umr me uske sath kya huva tha... yaad aaya sirf ahesaas aur kuch nahi...
Lekin Pavan ne Waqt ko maat dete huve pure prasang ko apni Dyari me likh diya tha... jo use kabhi ye bhul ne nahi dega ki 11 saal ki umr me uske sath kya huva tha...
Paridhi ka dil abhi fir se teji se dhadkne laga... uske dil ke kisi kone se baar baar Pavan ka hi naam samane aa raha tha.. Vo baar baar Dyari ke panne ko ultate huve baar baar pura prasang padh rahi thi....
Har baar baar padhate padhate uska dil aur teji se dhadak raha tha.... Uska vo 12 saal purana ahesaas ab uske pure rooh me cha raha tha...
Paridhi ki aankho se bus apne aap hi aanshu ko do bund chalak kar gir gayi aur uske pichhe aanshuo ki line lagane lagi... nam aankho aur pyaar bhare hatho se vo baar Dyari ko apne hatho se sahela rahi thi
Tabhi Paridhi ke cabin ka darwaje pe kisine dastak di.... Paridhi hosh me hi nahi thi.... aur doosri baar dastak huyi... lekin Paridhi ko ab bhi hosh na tha.... Aur ab tisri baar tej se darawaje pe dastk huyi...
Iss se Paridhi hosh me aayi.. vo teji se apni jagah uthi..
Paridhi tej bolte huve - "One minute ..."
Aur Paridhi ne jald se Dyari apne desk ke drawer me rakh di.... Aur apna chahera jald se washroom jakar saaf kiya... aur wapas aakar apni chair pe aake beth gayi.... apni saanso pe kabu karne lagi...
Paridhi - "Come in..."
Cabin ka darwaja khula aur ander Naina aa gayi.... Naina ko dekh Paridhi ne chain ki saans li... Naina ke hatho me tiffin tha... aur chahere pe thoda gussa...
Naina - "Kya tu bhi kitni der laga di.... meri hi bhul thi... jo darawaja khatkhataya sidhe ander ghus aana chahiye tha... me bhi kya soch rahi thi... ki ab Paridhi yaha ki malkin hai aur sab use Madam bulate hai... to muje bhi aek baar ye madam wala nushkha try karna tha... lekin ab kabhi nahi karungi... bata rahi hu tuje..."
Naina bolte bolte sofe pe beth gayi... Paridhi ke chahere pe hansi rook nahi rahi thi..... Vo bhi uth ke Naina ke pass aake beth gayi... vo abhi bhi has rahi thi... lekin Naina ka pura dhyan wahi table pe khana nikalne me tha...
Naina khana lagate huve - "Me bhi bewkoof hu... jo itni der bahar khadi rahi... aur muje bahar khada rakhne ke liye tuje saja jaroor milegi.."
Naina kahte kahte Paridhi ki aur mudi...
Paridhi - "Meri maa ab chup ho jaa... kitna bolegi tu.... aur mene tuje kaha tha ki tu esi bewkoofi kar.... bewkoofi tune ki thi.. to me bhala kyu saja bhuktu.... Nainu kya huva?"
Naina ka dhyan Paridhi ki bato se hathkar Paridhi ke chahere pe kendrit ho gayi.. Jese ki use kuch vaha pe dikh gaya ho... vo bas apni aankhe badi badi kar ke Paridhi ke chahere ko dekh rahi thi...
Naina chaunki huyi thi - "Pari... tu ro rahi thi?..."
Paridhi bhi shocked ho gayi .. aakhir Naina ko pata kese chala.. uski awaj ladkhadane lagi
Paridhi - "Ma... Mai...kaha... ro... ra... rahi thi.."
Naina abhi bhi Paridhi ke chahere ko padh ne ki kosish kar rahi thi.... usne Paridhi ke hatho ko bade pyaar se apne hatho me lete huve
Naina - "Bahen jesi hai tu meri... bachapan se sath kheli hu... sath padhi hu... sab kuch dekha hai iss ankho ne tera hasna.... jidd karna... masti karna... aur rona bhi... tu chahe kitna bhi kyu na chipa le mujse nahi chipega.."
Paridhi bhut bhavuk ho gayi... Naina ka itna pyaar dekh kar... aakhir vo bhi to Naina ko apni bahen hi samajti thi... Uska baandh fir se tut gaya... vo Naina ko lipat gayi aur aankho se phir se aanshu apne aap hu bahne lage
Naina ab aur chaunk gayi... vo dar gayi... kyuki abhi bhi Paridhi ro rahi thi... yaani baat badi thi...
Usne darte huve puchha - "Pari bata na baat kya hai?... dekh muje dar lag raha hai... tu bata muje kya huva meri bahen ke sath... dekh tu bata to sahi yu ro mat... muje bata kya huva?.."
Paridhi abhi bhi ro rahi thi Naina ke gale lage huve... Naina uske sir pe hath rakh use shant kar rahi thi..
Paridhi - "Abhi mat puch kya huva... aur tuje meri kasam agar kisiko kuch bataya yaa phir mujse pucha to... bas aaj muje ese hi ro lene de..."
Naina Paridhi ki kasam vali baat se aur dar gayi.. lekin ab vo puch bhi nahi sakti.. isiliye... usne ab himmat se kaam lena sahi samaja... aur Paridhi ke sir ko sahalate huve use rone di....
Kaafi der ese rone ke baad Paridhi shant huyi... aur jab usse hosh aaya ki vo Naina ke samen ese royi thi vo bhi dar gayi... kyuki vo nahi chahti thi ki Naina uski vajah se dukhi ho....
Paridhi - "Sorry Nainu... tu dukhi mat ho... vo mena kafi Waqt se ro ke dil ka halka karna chahati thi... vo kahete hai na rone se sab kuch halka ho jata hai... isiliye wahi kar rahi thi... "
Naina man me - "Mai janti hu Pari ki tu kuch chupa rahi hai... lekin me tuje yu akele nahi tootne dungi..."
Naina - "Pari... mai dukhi nahi hu... lekin aek dard jaroor rahega ki tune muje batane layak nahi samaja..."
Paridhi - "Nainu esi koi baat nahi.. lekin tu wada kar ki tu kisi aur ko nahi batayegi... "
Naina - "Me wada karti hu... Pari.. tuje pata hai na mai tera rona nahi dekh sakati.."
Paridhi - "Aur mai bhi tuje ese nahi dekh sakti.."
Aur phir Paridhi naina ko sari baat batati hai... Uss raat se jab aek ladke ne aek ladki ko bachaya tha aur vo bhi vaha thi... uss Waqt uss ke pass se Dyari milna.. aur Paridhi ka Dyari pad na sab kuch.... aur phir jo aaj Paridhi ko mahesoos huva sab kuch usne Naina ko bata diya..
Naina pahele dhyan se sab sunn rahi thi.. lekin jab Paridhi ne apni baat puri ki Naina ko kuch kuch samaj aa raha tha
Naina - "Pari muje lagata hai ki vo ladka jo bhi tha bahut dukhi tha aur use dekh tu bhi ab dukhi mat ho...."
Paridhi - "Lekin baat sirf itni kaha hai Naina.... Vo ahesaas muje ab bhi mehesoos ho raha hai... Kuch to tha uss din jo aaj bhi mere dil ki dhadkan ko tej kar diya..."
Naina - "Muje lagata hai ki iske do matalab ho sakate hai... Pahela ye ki tumhe unn lachar bachho ke sath hamdardi ke karan ye sab ho raha hai yaa phir ye uss Pavan ka saaf dil dekh tere dil me uske liye feeling jag gayi ho.. tu samaj rahi hai na me kya kahane ki koshish kar rahi hu?... Love at First Sight.."
Paridhi - "Yaar... tu bhi ye sab kuch bhi bol rahi thi... tuje pata hai na muje ladko se kitni nafarat hai.. phir bhi kuch bhi bole ja rahi hai?."
Naina - "Are meri zansi ki rani... Tere dil ka yu uss ahesaas me dub jaana aur uske saath bah rahe ye aanshu... bas me to predict kar rahi hu.."
Paridhi - "Yaar... ab bas bhi kar.. muje kabhi pyaar nahi ho sakta ladko se."
Naina - "Tuje ladako se nafarat kyu hai muje pata hai lekin 11 saal ki umr me hi tumko ladko se nafarat thi kya?"
Paridhi - "Yaar tu to piche pad gayi hai... ab tu bata... 11 saal ki umr me jaha khud ki achhai burai ko parakhane ki samaj nahi hoti uss Waqt kaha ye sab khabhi nahi ho sakata... Shyad uss Waqt halat ke chalate apne samane jo huva use dekhake muje thodi feelings huyi ho.... lekin uss se jyada kuch nahi ho sakata... aur vese bhi Waqt ki aek choti si mulakat kuch mayane nahi rakhati.."
Naina aek lambi saans li - "Pari.... aek choti si mulkat bhi kafi hai dil ko samne wale ke dil ko pahechan ne ke liye..."
Naina aek saans leti huyi - "suss din bhale hi tu paheli baar mili thi Pavan se... lekin uss din tere dil ne Pavan ke dil ko taras liya... pahechan liya.. ki ye dil khud ke liye nahi doosro ke liye jita hai... usse khud ke liye kuch nahi chahiye... use na Car chahiye... na phone.. na ghar... na kuch aur.... usse sirf Pariwar chahiye jaha uski har tanhai dur ho sake... tere Dil ne Pavan ke Dil ko pahechan liya ki... jab baat apno ki ho... apne pariwar ki ho.... vo khud apen sare dard... gum bhul jayega... aur unka dard.. gum... dukh.. sab khud per le lega... aur unke liye hi jiyega jinse usse pyaar hai... jo uska apna hai... tere dil ne Pavan ke dil ko pahechan liya ki... uss dil ke samne chahe kitna bhi paisa rakh lo...shan o chukat rakh lo... kitna bhi maan paan kyu na rakh lo.... vo use chuega bhi nahi... vo apno ke liye duniya ki sari dault bhi chod sakata hai..."
Naina ne jese hi apna bolana bandh kiya ki Paridhi ko vo yaad aa gaya jo Pavan ne apni Dyari me likha tha...
Mai - "Nahi Aadi.... esa mat bol... tu mera bhai hai na..... aur me apne bhai ke liye sab kuch karunga..... mai na tera ilaz jaroor karvaunga.... tu phir se daude ga... dekh lena... tab na ham dono yaha se bhag jayenge.... aur tere iss ilaz ke liye agar muje bhagwan se bhi bhidna pade to me unse bhi lad lunga... muje kuch nahi chahiye aadi... muje sirf tu khush rahe... tera har sapana sahi ho yahi chahiye... aur tera khush rahena... muskurana meri uss bhukh ko bujata hai jiska mai bhuka hu... pyaar ki bhuk mitati hai meri.... aur iss ke liye duniya ki sari daulat me chod sakta hu... "
Ab Paridhi ke dil me tufan mach gaya... Aakhir kya dil itna sab kuch kese padh leta hai?... Kya sach me muje uss din Pavan ke liye apne dil me koi feelings jagi thi?... Uss din ahesaas Paridhi saaf saaf mahesoos kar rahi thi lekin uske dil me kabhi ladko ke liye koi feelings nahi ho sakati use esa pura vishwas tha kyu ki vo itna nafarat karati thi ladako se... Aur abhi bhi uska dimag sirf yahi mana raha tha ki sabhi ladke aek jese hi hote hai... vasana ke bhukhe aur unse sirf nafarat hi karani chahiye.. Aur ab iss Dil ki aur Dimag ki jang me kon jitega ye sirf Waqt hi to bata sakata hai....
~ Gabbar is Back
Thnaks...Awesome fabulous update
Dono update main bhot bada Raj khula h ki paridhi Pawan se mil chuki h lakin wo apne feeling ko pahchan nahi pa rahi h ab dekhna ye h ki Pawan ka Kya hua aur paridhi ab Kya karegi
Keep posting