• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Waqt.....

Are you enjoy the story?

  • Best

    Votes: 15 68.2%
  • Good

    Votes: 8 36.4%
  • Thik

    Votes: 0 0.0%
  • Bad

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    22

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,055
188
Super fantastic update bhai
 

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,801
31,019
304
Lazwaab update bhai,,, ab akash aur paridhi dost ban gye to kya pawan ka patta kat gya :hinthint:
 
  • Like
Reactions: GaBBaR is BacK
268
762
93
Update - 20


Paridhi ne aaj kafi Waqt ke baad kisi ladke ka hath thama tha... aur ye shabd jo abhi uske hotho se nikalane wale the use to aaj tak kisine bhi Paridhi ke muh se kisi ladke liye nahi suna hoga.. khud Paridhi ne bhi nahi...


Paridhi aek bahut hi pyaari smile dete huve - "Friends."


Ab aage....


Sab log ne pura din bahut achhi tarah se enjoy kiya... Sumitaji aur Rahulji bhi bahut khush the.. Avinash aur Paridhi ko sath dekh... aur vo dono aankho ke ishare mehi kuch bate kar rahe the...


Waqt... Waqt ne aaj aek aur naya mod la diya Paridhi ke jiavn me... koi esa insan ko uss ke jivan me lake khada kar diya tha.. jo usse samaj sakata tha... jo uss ke dard ko smajata tha... jo uski madad karna chahata tha.. jiss ne Paridhi ke dil me ab apni jagah bana di thi...


Pata nahi lekin lagata tha ki ab bhi kafi kuch esa tha jisse Waqt ne apne kagaj ke panno me daba ke rakha tha... Jaha Waqt bhi intezar kar raha tha sahi Waqt ke aane ka....


Present Date - 09/12/2015


Kal sara din sath gumne ke baad Paridhi rest karna chahti thi... isliye aaj subah ki aek bahut jaroori meeting ke baad vo wapas ghar aa gayi thi..... Kal ke baad se jese Paridhi me kafi badlaw bhi aa gaya.... aaj meeting me usne Avinash se aek bahut achhe dost jese bartav kiya...


Office se nikale Waqt vo kuch der apni cabin me kuch papers pe sign kar rahi thi... aur jese hi usne sab papers rakhne ke liye apna drawer khola...


Drawer me Pavan ki vo Dyari jese hi uske najaro ke samane aayi uske hath hava me hi thum gaye... Usne papers ko side me rakhate huve uss Dyari ko bahut dhire se apne hatho me tham liya aur use dekhane lagi... lekin abhi iss Waqt Paridhi ki najar vo nahi thi jo kuch dino pahele thi... Uska dil wapas se tej dhadakane laga... Uska chahera khil gaya... Use Dyari ke prati khinchav sa ho raha tha..... Pata nahi kyu? Paridhi ko ye ahesaas bahut hi achha lag raha tha...


Paridhi ne Dyari apne sath le li.. aur apne ghar ki aur chal di.... ghar pahunch kar jald se fresh ho kar apne kamre me bed se tik kar beth gayi...


Uske hatho me Pavan ki Dyari thi lekin dekhane se esa lagta tha jese Paridhi ne diamond se bhi mahengi chij ko apne hatho me thama tha..


Paridhi ne Dyari ke pahela page khola jaha bahut hi sunder akshro me vahi likha tha jo usne padha tha...



"Waqt....."


Lekin iss baar me padhne ka tarika hi badal gaya Paridhi ka... uske ke jahen me kafi der ye Waqt shabd ghumta raha... aur chahere pe aek bahut hi pyaari aut mithi muskan...


Paridhi ne wo page khola jaha usne padhna band kiya tha..


Ladki - "Nahi mai pasie hargij vapis nahi lungi... aur rahi baat mere naam ki to Mera naam Paridhi hai."


Mai to jese chuank gaya... Paridhi... kitna achha aur pyaara naam tha... aur iss naam me hi Pari shabd aata hai.... man gaye bhagwan ko aaj... jesa naam diya vese hi gun bhi diye...


Paridhi aage kuch na boli aur jald se pichhe mudi... aur teji se Car me beth gayi... meri najar abhi bhi us pe hi thi... uss ne Car ki khidki se hamari aur dekhi aek smile di aur apna hath hilake hame bye kahene lagi... aur ander beth gayi...


Meri najar Car ke piche padi... vaha kuch likha huva tha.... mene choti ankho se uss likhavat ko padh ne ki kosish ki... Ab muje uss Car ke piche jo likha tha vo ab padh paa raha tha...



"Chauhan Empire Private ltd."


Date - 14/07/2003


Mai uss car ko tab tak dekhta raha jab tak vo car najro se door nahi chali gayi... uske baad bhi meri najar ussi raste pe thi jaha se vo car gayi thi..... mere dil ki dhadkan jese kam hone lagi thi...


Tabhi Aadi ne muje jese hosh me laya.. aur muje hilaya... mene uski aur dekha.. Aadi ke aankho me aanshu the...


Aadi - "Aaj sach me muje uss bhagwan pe bharosa hone laga hai.. ki iss beraham duniya me usne mere liye koi... jisne mai apna kah saku usse bhej diya..."


Maine chahere pe muskan late huve - "Sahi kaha tune Aadi.. iss duniya me bhagwan ne aek jannat se Pari bhej hi di...


Aadi - "Ab iss paise ka kya kare?..."


Mai - "Abhi ise chipa dete hai.. aur yaad rakhna mere bhai.. tera ilaz jaroor hoga.. Ab tuje kisine bhai kaha hai... Aur jab tera iss duniya me koi hai phir tuje teri bahen ke liye thik hona hi hoga... mere liye thik hona hi hoga..... himmat mat harana...."


Aadi ki aankhe pyaar se bhar gayi sath me aek chamak thi - "Haa... ab mai jaroor thik hounga... bhai tera bada ahesan hai muj per jo tu mere liye ye sab kar rah ahai... pata nahi tera ye karj kese utar paunga?.."


Maine apana chahera banate huve - "Kya tum bhi.. aek taraf bhai bolte ho... aur ahesan ki baat karte ho... yaar doosri baar esa kabhi mat bolna.. bhai tere liye mai sari duniya se lad jaunga.... tuje pata hai na muje duniya ki koi bhi daulat tumse juda nahi kar sakati.."


Aadi apne kaan pakdte huve - "Sorry mere bhai galti ho gayi... chalo ab...."


Maine Aadi ko uthaya... aur apni khas jagah pe paise chipa diye... aur iske baad ham phir apni jagah wapas aa gaye..


Aaj pura din bus ese hi chahekata raha khila khila raha.... aaj jo bhi huva iss ke baad muje esa lagane laga hai ki iss duniya me acchai jarur hai aur iss achhai ke liye jina hi mera maksad ban gaya... aaj kisi ne mere dil pe gaheri chap chod di thi... Aur issi chap ne muje iss duniya ki achhai ke liye jine ka makasad de diya.


lekin aek baat esi thi jo muje bhi samaj nahi aa rahi hai aa jo bhi huva uske baad uss Pari jese ladki Paridhi ka chahera baar baar aankho ke samane aa raha tha.. Pura din uske chahere ki muskan mere chahere pe muskan lati rahi. Kuch to tha jo baar baar uss Paridhi ka chahera yaad karke mere dil ki dhadakane tej ho jati..


Aakhir esa kyu ho raha tha?... kyu mera dil baar baar ussi ladaki ka chahera apne samane dikhala raha tha?


Aur aaj sham ko iss char diwari me lautane ke baad mene apne sabse achhe dost kitabo me dundhne laga ki ye muje kya ho raha hai?.... lekin kahi muje padhne nahi mila... jiss mera dil hi beth gaya... aakhir ye muje ho kya raha hai...


Uss jannat ki Pari ka ahesaas mere dil ko Waqt ke her pal ke sath kyu uss se jod raha tha? Aaj muje nind hi nahi aa rahi... baar baar aankho ke samne vahi chahera aa raha hai... chand se bhi sunder... taro se bhi jyada roshan.... gulab sa komal.... kya esa bhi koi ho sakata hai jiska dil itna saaf ho?


Iss 9 saalo mai inn ankho ne kitne dard ke anshu bahaye the... har raat kitni dard me gujari thi.. lekin aaj jese koi dard muje chu nahi raha tha... uss chahere pe khili her aek muskan jese kah rahi thi ki koi esa bhi hai jo doosro ke dard mita sakta hai... bhagwan ke ghar me der hai andher nahi...


Maine kitabo me padha tha ki Kamal hamensha kichad me hi khilte hai... aur muje bada aacharya hota tha ki esa kyu hota hai?... lekin aaj jese muje jawab mil gaya... Paridhi esa fool thi jo iss duniya ke kichad me bhi apne saaf dil se sab pe apni khushbu faila rahi thi....



"Paridhi.... Jannat se aayi Pari..."


~ Gabbar is Back:cowboy2:
 
Last edited:

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,801
31,019
304
Bhot hi bdiya update mitar,,, ye kahani aise hai ki review dene ke liye koi shabd nahi milte, isiliye chota sa review dete h,,,,, lekin kahani bhot hi umda h mitar
 
  • Like
Reactions: GaBBaR is BacK
Top