PAAP
27. HAFIZ KHUDA
UPDATE 1
Aur phir ek din jaise kisi ne keh diya "Lights Out"
Aur har taraf ek andehra sa chha gaya. Ek aisa andhera jiska koi aakhir na tha. Saari qaynat roshni se nikal kar ek kaale badal mein simat gayi, ek andha kuan ban gayi. Ek aisi gehri surang jiske chhor par koi roshni nahi thi.
Raat aur din ka farak simat kar sirf shor mein seemit ho gaya tha. Jab shor tha toh din tha, jab sannata tha toh raat thi. Jab aawaz thi toh mehfil thi, jab khamoshi thi toh tanhai thi.
Zindagi bhi ek ajeeb shay hai. Apne aap mein ek ajooba. Aur usse bhi badi ajeeb cheez hai is zindagi ke pehlu jo har jagah alag hote hain, har pal alag hote hain. Kabhi kabhi koshish ke baad bhi nahi badalte aur kabhi is qadar badalte hain ke kadam mila pana mushkil ho jata hai. Kabhi zindagi har pehlu ko apne saath rakhti hai aur kabhi kabhi zindagi ko pehlu ke saath hona padta hai.
Ek janwar ki zindagi ke shayad do hi pehlu hote hain. Pet bhar kar khana aur mausam aane par prajanan karna, apne qism ko aage badhana.
Toh sawal ye hai ke insaan ko janwar kyun kaha jata hai? Insaan ki zindagi mein sirf ye do pehlu kahan hote hain?
Paida hote hain toh pata hi nahi hota ke kya ho raha hai? Jab hosh aata hai toh zindagi ki bhaag daud shuru ho jaati hai. Ek aisi daud jo har pal, har din ek naya pehlu dikhati hai aur phir aakhri pehlu maut ka hota hai.
Vo bhi isi daud ka ek hissa tha aur maqsad bhi uska bhi vahi tha jo har bhaagne wale ka hota hai, daud jeetna.
Sabse aage nikal jana. Pehla number lekar sabko pichhe chhod dena. Vahan jakar khade hona jahan sab use izzat bhari nazar se dekhen, jahan vo apni har zaroorat ko chutki mein poora kar sake. Jahan use jeb mein haath daalte hue ye na sochna pade ke kitne paise bache hain, jahan use menu card dekh kar sabse sasti dish na dhhondhni pade, jahan use cheez kharidne se pehle price tag na dekhna pade. Kuchh lene ke liye pasand hi ek shart ho aur keemat apna vajood kho de.
Aur kuchh waqt pehle tak vo is daud mein aage hi toh chal raha tha. School mein topper, har subject mein sabse behtar, sports mein awwal. Zindagi ka sirf ek hi maqsad tha. Apne aapko gareebi ki galiyon se nikal kar ameeri ke mohalle tak pahunchana. Aur is maqsad ko haasil karne ke liye vo sab kuchh qurbaan karne ko taiyyar tha, aur kiya bhi tha.
Jab bachpan mein bachche khelne ke liye bahana dhoondhte hain, kitaabon se bachkar nikalte haain, us umar mein uski duniya school bag ke andar thi. Har teacher ka vo pasandeeda student tha kyunki vo kabhi school se chhutti nahi leta tha, koi period bunk nahi karta tha. College mein vo har ladke ladki ka idol tha. Har koi yahi samajhta tha ke sabse bright future usi ka hone wala tha.
Kisi ko kya khabar thi ke uske future ki brightness sirf college ke deewaron tak hi seemit ho gayi thi.
Final year pass out karne ke kuchh din baad hi ek din jab vo apni bike par ghar se nikla toh sidha hospital ke bistar par aakar gira.
Uske bade bhai ne bataya ke vo 2 hafte se coma mein raha tha. Sar par bahut gehri chot thi jiski vajah se vo behoshi se bahar nahi aa pa raha tha aur jab aaya toh duniya andheri ho chuki thi. Aankh khuli toh sahi par kuchh dikhai nahi diya.
Aur zindagi ke drama director ne keh diya "Lights Out".
Bhagwan mein uska bahut gehra vishwas tha. Mandir se masjid tha, church se gurudware tak, har jagah vo maatha tika kar aaya tha. Langar mein sewa mein hamesha haath batata, mandir mein ek din safai ka zimma uske sar tha, masjid mein har friday namaz ki line mein khada ho jata aur Sunday ko church. Ye uska schedule tha jo kabhi miss nahi hota tha.
Aur use yakeen bhi tha ke bhagwan uski mehnat ka sila use de raha tha. Mauka bhagwan use deta tha aur apni mehnat se us mauke ko nateeje mein vo badal leta tha.
Par ab sab badal gaya tha. Bhagwan mein jo kabhi vishwas tha vo ab sirf shikayat mein badal kar reh gaya tha.
Jab kabhi tanha hota toh yahi sochta ke aakhir usne kisi ka kya bigada tha jo use ye saza mili. Kahan galti hui jiska jurmana use apni aankho ki roshni se bharna pada. Kal tak jo kabhi doosro ka sahara banta tha, aaj kyun use bathroom tak jaane ke liye bhi kisi ka haath pakadna padta tha.
Aur akele mein vo roya bhi bahut. Kabhi apni kismat par toh kabhi bhagwan ki na-insafi par. Shikayat bhi bahut thi. Kabhi khud se, kabhi zindagi se aur kabhi uperwale se par badla kuchh bhi nahi. Thak haar kar ek baar use phir zindagi se samjhauta karna pada par is baat us samjhaute mein bhagwan jaise shabd ko usne hata diya tha.
Agar ab zindagi bhar bina kuchh dekhe use khud hi ladna tha toh kaahe ka bhagwan. Uske khuda ko hi khuda haafiz keh diya tha.....