• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Erotica Xossip to Xforum

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,943
354
PAAP

5. DERA

UPDATE 5


"What do you think of the story?" Raat ko sote hue Sandhya ne mujhse sawal kiya
"Whats there to think of it. Bakwaas baaten hain" Maine jawab diya
"Hmmm" Sandhya ne haami bhari.
"I mean come on yaar. Simple sa logic hai. Hamare shareer mein bhi toh ek aatma hai toh aisa kaise ho sakta hai ke ek bahar ki aatma hamen maar de ya hamare shareer mein ghus jaaye? Hamari aatma us waqt kya tel lene gayi hoti hai? Why cant our own aatma defend its body?" Main bola.
"Maine kahin suna tha ke aatma mein bhi strong weak wala funda hota hai" Sandhya boli " Ke strong wali aatma weak wali aatma ko dabati hai"
"Come on yaar. Aadmi ko kya marte hi darane aur maarne ya khoon pine ki bimari ho jaati hai ke aatma bante hi he goes on a killing rampage?"
"Point" Sandhya boli "Vaise maine ye bhi suna hai ke bure logon ki aatma hi hoti hain jo doosro ko nuksaan pahunchati hain" Vo apne baalon mein kangha karti hui boli.
"Whatever. So jao ab aur mujhe bhi sone do. I need to go out for a early morning shoot"
"Ok. Good night" Sandya ne jawab diya.
Thodi hi der baad ham kamre ki lights off karke so chuke the. Mukesh bagal ke hi kamre mein already ghode bechkar so chuka tha. Main bhi poore din ka thaka hua tha isliye aankhen band karte hi neend aa gayi.
Mujhe waqt ka sahi andaza nahi tha par kisi aawaz par meri aankh khuli par neend poori nahi tooti. Neend ka khumaar tha aur kamre mein ghup andhera tha. Maine pal bhar ke liye aankh kholi aur phir karwat lekar aankhen band kar li.
Neend ke aagosh mein jaane se theek pehle mujhe Sandhya ki taraf se aawaz aati sunai di. Vo hindi mein ginti gin rahi thi.
"55, 56, 57, 58, 59, 60, 61, 62"
"Kya hua, neend nahi aa rahi? Maine puchha. Vo shayad so nahi pa rahi thi aur sone ki koshish mein ginti gin rahi thi, Par mere sawal ka usne koi jawab nahi diya aur main bhi jawab ka intezaar kiye bina phir so gaya.
Ek baar phir raat ko kisi aahat par meri aankh khuli. Kamre mein ab bhi ghup andhera tha. Main aankhen malta hua sidha hokar leta aur Sandhya ki taraf haath badhaya.
Vo bistar par apni jagah nahi thi. Bed par sirf main tha.
"Sandhya? Maine aawaz di aur jawab bhi ek baar mujhe phir ginti ginne ki aawaz sunai di.
"6786, 6787, 6788, 6789, 6790, 6791 ....."
"Kya kar rahi ho ab tak? Neend nahi aa rahi hai?" Kehta hue maine apni taraf table par rakha lamp on kiya aur meri aankhen phati ki phati reh gayi.
Night lamp ki roshni kaafi halki thi aur usmein jitna aur jo mujhe nazar aaya vo main bata nahi sakta. Kamre ke ek kone mein kuchh tha, kya tha main nahi janta.
Roshni uske sirf chehre par padi, agar use sirf chehra kaha ja sake toh.
Jis tarah se kisi phate purane kapde ko lekar ek chehre jaisa mask bana diya jaaye vaise hi chehra. Bedhangi naak, kahin se tight toh kahin se latke hue gaal, hadh se zyada lambi thodi (chin), aur in sabke beech ek ajeeb si line. Jaise in sab cheezon ko aapas mein rakh kar joda gaya ho kisi cheez se, ya sil diya gaya ho aur silai ka
nishan saaf dikh raha ho.
Aur tabhi mera dhyaan uski aankhon ki taraf gaya. Us halki si roshni mein bhi uski aankhon mein farak bataya ja sakta tha. Ek aankh thodi chhoti thi par doosri badi thi, bahut badi aur hadh se zyada laal. Jaise do alag alag logon ki aankhon ko saath mein rakh diya gaya ho.
Meri nazar us nazar se mili. Maine unhen aur un aankhon ne mujhe dekha. Phir jaane kya hua par main apne hosh kho betha aur kuchh yaad nahi raha.
Jab subah mujhe hosh aaya toh hotel mein hadkamp macha hua tha. Chaaro taraf police hi police thi. Main uthkar betha aur chaaro taraf dekha. Mukesh mere bed ke paas hi sar pakde betha tha.
"Mukesh" Maine uthte hue kaha "Sandhya kahan hain?"
Mujhe bataya gaya ke meri biwi ki kal raat bahut hi dard naak tarike se hatya kar di gayi thi.
"Maine aapko mana kiya tha na sahab, kaha tha ke Dere ki taraf mat jana" Caretaker paas hi khada ro raha tha. "Usne dekh liya aapki biwi ko aur le gayi jo use pasand aaya"
Mujhe ye bhi bataya gaya ke police ko meri biwi ke khoon mein kuchh pairon ke nishan mile hain aur daayen paon ka angutha gayab hai, sirf 4 anguliyon ke nishan hain.
Shinakht ke liye mujhe Sandhya ki laash dikhai gayi toh mera rona chhut pada. Uske sar ko kaat kar shareer se alag kar diya gaya tha. Hairat wali baat thi ke uske sar par ek bhi baal nahi tha. Poore sar par zakhm ke nishan bane hue the, jaise kisi ne baal noch noch kar nikale hon.
Aur tabhi mujhe raat ki sunai di vo ginti yaad aayi.
"6786, 6787, 6788, 6789, 6790, 6791 ....."
Jaise koi bade dhyaan se dheere dheere ek ek karke ek ek baal noch raha ho aur gin raha ho.


THE END
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,943
354
PAAP

6. THE MAID

UPDATE 1



"Kya main ander aa sakta hoon?" Rachna ne darwaza khola toh main phool aage badhata hua bola
"Bahar mat khade raho andar aao, koi dekh lega" Usne meri shirt pakad kar mujhe andar khincha aur darwaza band kar liya.
"Arrey dekhne do, yahan tum logon ko janta hi kaun hai" Main andar aata hua bola
"Jaante filhal nahi hain toh iska matlab ye nahi ke kabhi nahi jaanenge. Baad mein Mom Dad se log baaten karenge toh batayenge nahi ke aapke pichhe aapki ladki raat ko ghar par ladke bulati hai"
Rachna apne maan baap ki eklauti ladki thi aur pichhle hafte hi unhone is naye ghar mein shift kiya tha.
Main pichhle 5 saal se use janta tha, usse pyaar karta tha aur sahi mauke ki talash mein tha ke baat ko gharwalo ki marzi se aage badhaya jaaye. Us raat uske Mom Dad kisi relative ke yahan ruke hue the toh usne mujhe phone karke bula liya.
Main apna coat utarta hua drawing room mein daakhil hua. Raat ke kareeb 11.30 baj rahe the. Bahar mausam thanda tha par ghar ke andar heater on hone ki vajah se kamre ka temparature garam tha. Drawing room mein hi unke ghar mein kaam karne wali ladki zameen par bethi TV dekh rahi thi.
"I thought you said you were alone?" Maine Rachna ki taraf dekhte hue kaha toh usne mujhe aankh maari aur palat kar fridge se kuchh khaane ko nikalne lagi.
Main sofe par aakar beth gaya aur TV dekhne laga. Us ladki ne ek baar meri taraf dekha. Main jawab mein muskuraya par vo ajeeb nazron se mujhe dekhti vahan se uthi aur ek kamre ke andar chali gayi.
"You wanna eat here or you wanna go to the bedroom?" Rachna ne mujhse puchha toh maine ishare se kaha ke bedroom mein chalte hain Haath mein khaane ki plates uthaye ham uske bedroom tak pahunche.
"Ghar toh bahut mast hai" Maine khaane ki plates table par rakhte hue kaha
"Aur kaafi saste mein mila hai Dad keh rahe the. He said it was a pretty good deal" Rachna jhuki hui khaana table par laga rahi thi.
Usne us waqt ek skirt aur top pehen rakha tha. Skirt ghutno tak tha aur aage ko jhuki hone ke karan top khinch kar uper ho gaya tha.
"I think pretty good deal toh ye hai jo mujhe mili hai" Maine aage badhkar uski kamar ko pakadte hue apna khada lund uski gaand par tika diya.
"Ouchhhh" Vo fauran aise khadi hui jaise Bichhu ne dank maar diya ho "Kya karte ho?"
"Tumhein pyaar" Maine fauran usko apni taraf ghumaya aur honth u ske honthon par rakh diye.
"Khana toh kha lo" Vo kiss ke beech mein boli
"Poori raat padi hai"
"Thanda ho jaayega"
"Garam kar lenge. Khaane ke saath saath zara ham dono bhi thande ho lein"
Vo achhi tarah jaanti thi ke filhal mujhse behas karne ka koi fayda nahi tha isliye bina aage kuchh bole mera saath dene lagi.
Ham dono uske bed ke paas khade hue the. Vo apne panjo par khadi mere honthon ko choos rahi thi aur mere haath uske top ke andar uski nangi kamar ko sehla rahe the.
"Kya irada hai?" Apne pet par kapdo ke uper se hi mere khade lund ko mehsoos karte hue vo boli
"Tumhein chodne ka" Main aankh maarte hue kaha aur aage ko jhuk kar uske gale ko choomne laga. Mere haath ab uski kamar se neeche sarak kar uski gaand tak pahunche.
"Oh love" Usne mujhse lipat-te hue ek thandi aah bhari. Maine dheere dheere uske skirt ko uper ki aur uthana shuru kar diya.
"Wait. Utaar hi do" Vo boli
Ham dono ek pal ke liye alag hue aur vo muskurati hui bed par chadh kar khadi ho gayi.
"Lets strip together"
Usne kaha toh ham dono ne ek doosre ke dekhte hue ek saath kapde utaarne shuru kar diye. Usne T-Shirt aur skirt ke neeche kuchh bhi nahi pehna hua tha. Agle hi pal vo nangi ho chuki thi.
"No undergarments?" Maine muskurate hue puchha aur poori tarah nanga hokar bistar par chadh gaya
"Pata tha ke tum aaoge toh vaise hi utarne padenge toh socha ke pehenke fayda hi kya"
Vo bistar par apni peeth par let gayi aur dono taange khol di. Main ishara samajh gaya. Pet par ulta let kar maine uski taango ko apne kandho par rakha. Uski choot kisi phool ki tarah khul chuki thi aur ras tapka rahi thi.
"You are soaking wet" Maine kaha aur aage badhkar apne honth uski jeebh par tika diye.
"Lick me" Usne oonchi aawaz mein sargoshi ki aur taang uper hawa mein utha di.
Jaise jaise meri jeebh uski choot ki gehraiyon mein utarti rahi, vaise vaise uski mere baalon par pakad aur mazboot hoti rahi. Neeche se vo kabhi bistar par apni gaand ko kabhi ragadne lagti toh kabhi ediyan neeche rakh kar apne chhot mere munh par dabane lagti.
"Suck me ... Lick it .... jeebh ghusao andar .... anguli daalo"
Jab vo is tarah se bolne lagti toh main samajh jata tha ke vo garam ho gayi thi.
"Lund chahiye?" Maine choot se munh hata kar puchha
"Haan"
"Choot mein ya pehle munh mein logi?"
"Fuck me first .... I will suck you later. Poori raat padi hai" Vo besabri hote hue boli aur mujhe apne uper khinchne lagi.
"Come on ... hurry up ... fuck me fast"
Main poora uske uper aa gaya toh usne khud hi haath ham dono ke beech le jaakar mera lund pakda aur apni choot ke munh par laga diya.
"Ghusao andar"
Maine halka sa dhakka maara aur lund uski geeli choot mein aise gaya jaise makkhan mein garam chhuri.
"Oh gosh ..... " Maine dhakke maarne shuru kiye toh usne phir sargoshi ki "You are fucking me so well ... so deep .... Poora ghusao na andar jaan ...."
"Maza aa raha hai?" Maine uski aankhon mein dekhte hue puchha
"Bahut ..... You are fucking my choot so well baby ...."
Uski dono taange meri kamar par lipti hui thi aur mere har dhakke ke saath uski badi badi chhatiyan aise hil rahi thi jaise andar paani bhara ho. Maine aage jhuk kar uska ek nipple apne munh mein liya.
"Suck them my love ... suck them"
Main baari baari uski dono chhatiyan choosta hua uski choot par dhakke maarta raha. Kamra vasna ke ek toofan se bhar gaya tha aur Rachna ki cheekhne chillane ki aawaz se goonj raha tha. Vo aisi thi thi, jab excited hoti toh zor zor se chillane lagti thi.
"You wanna change pose?" Maine puchha
"Np ... Dont take it out. Keep fucking. Lund andar hi rakho plsssss" Vo fauran boli
Ab mere har dhakke ke saath vo apni gaand bistar par patak rahi thi aur koshish kar rahi thi ke mera lund jitna andar ho sake le le. Ek baar phir use chodte hue main jhuka aur uske sooje hue nipples ko choosne laga, apni jeebh se uski chhatiyon ko chaatne laga.
"Daant se kaato" Usne khud kaha toh maine ek nipple par apne daant gadaye.
"Aah ... itni zor se nahi ... dheere"
Mere haath uske poore jism par ghoomte hue neeche uski gaand par aa tike. Maine apne dono haathon se neeche uske koolhon ko padka aur uper ki aur uthaya taaki lund aur andar tak ghusa sakun. Jawab mein usne bhi apni taangen meri kamar se uper sarka kar mere kandho par rakh di aur choot aur zyada hawa mein utha di.
"Chodo mujhe" Vo vasna se pagal hoti jaise rone hi wali thi "Zor se chodo na .... i am about to come"
Maine dhakko ki tezi aur badha di.
"Let me ride your cock" Kuchh der baad vo haanfte hue boli toh main uske uper se hatkar neeche aakar let gaya. Vo ek pal ke liye apni saans sambhalti hui uth kar beth gayi aur phir apni taangen mere dono taraf rakh kar beth gayi.
"Its dry ... ghusega nahi" Maine kaha toh vo ruki aur neeche jhuk kar lund thoda sa pane munh mein liya, jeebh ragad kar thook se geela kiya aur phir sidhi hokar apni choot par lagaya.
"Aaaahhhhhhhhh" Lund pakde vo neeche ko bethi toh is baar mere munh se bhi aah chhut padi. Apne dono haath meri chhati par rakh kar vo apni gaand uper neeche hilane lagi. Uske shareer ke saath uski chhatiyan aise hil rahi thi jaise papeete ke ped par latke do papeete hawa ke jhonke se hil rahe hon.
"I dont think i can hold any longer" Maine kaha aur uske dono chhatiyon ko apne haath mein jakad liya.
"Thats ok ... Mera bhi hone wala hai" Vo apne gaand tezi se hilate hue boli
"Jab main kahun toh uth jana. Nikalne wala hoga toh bata doonga"
"Nahi ... Choot mein hi nikalo ... Mujhe vo ek pill la dena ....." Usne kaha aur apni kamar ko aur tezi se hilane lagi.
"Khana thanda ho gaya" Jab vasna ka toofan utha toh maine khane ki taraf dekhta hua bola
"Haan hamare saath saath khane ko bhi thanda hona hi tha" Vo haste hue boli "Ruko main garam karke laati hoon"
"Nahi" Main uska matha chooma aur uthkar beth gaya "Aap aaram kijiye. Ghulam hai na sewa karne ke liye"
Main khaane ki plates uthaaye neeche kitchen mein aaya toh vo kaam karne wali ladki ab bhi vahin bethi TV dekh rahi thi aur tab mujhe dhyaan aaya ke kis tarah main aur Rachna dono hi poori tarah usko bhool chuke the.
Jitni zor zor se Rachna thodi der pehle shor macha rahi thi, mujhe poora yakeen tha ke usne neeche suna zaroor hoga. Uper se meri haalat aisi thi ke koi ek nazar dekh kar bata de ke main uper kya karke aa raha hoon.
Jab usne nazar bharke mujhe dekha toh jaane kyun par main sharminda ho gaya. Vo umar mein koi 18 saal ke aap-paas ki thi isliye main andaza nahi laga paya ke vo sex ke baare mein jaanti hai ke nahi. Kya use samajh aaya ke uper kya ho raha tha ya nahi. Meri nazar usse mili toh main khisiya kar muskuraya. Jawab mein vo mujhe vaise hi ghoor kar dekhti rahi aur phir uth kar kamre mein chali gayi..
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,943
354
PAAP

6. THE MAID

UPDATE 2



"Shit man " Maine apne aap se kaha aur khana garam karne laga. Kuchh der baad hi vo apne haath mein ek pillow aur chadar uthaye aayi aur basement ka darwaza khol kar seedhiyan utar kar neeche chali gayi.
"Chalo achha hai ke ye neeche Basement mein rehti hai. At least raat bhar hamari aawazen toh nahi sunegi" Maine dil hi dil mein socha aur khana garam karke phir Rachna ke room mein pahuncha.
"We were too loud yaar" Maine use kaha
"I know ... Bahut chillane lagti hoon na main?" Vo bhi sharminda si hoti meri taraf dekhne lagi
Main use batane hi wala tha ke neeche vo ladki sab sun rahi thi ke mujhse pehle Rachna bol padi.
"You didnt get the spoons?"
Tab maine dekha ke main spoons neeche hi chhod aaya tha.
"Hold on. Main le aati hoon. Haath bhi dhone hain mujhe" Kehkar vo bistar se uthi aur neeche chali gayi.
Main betha uska intezaar hi kar raha tha ke koi 10 minute baad ek bartan girne aur phir Rachna ke chillane ki aawaz aayi. Main fauran bistar se utra aur neeche ki taraf bhaga.
"You ok baby?" Kehta hua main neeche aaya aur Drawing room mein jo dekha, vo dekh kar meri saans uper ki uper aur neeche ki neeche reh gayi.
Rachna neeche zameen par ulti padi thi aur vo kaam karne wali ladki uski kamar par chadhi bethi thi. Ek haath se usne Rachna ke baal pakad rakhe the aur doosre haath se ek chaaku uski gardan par chala rahi thi, jaise koi bakra halal kar rahi ho.
Mere munh se cheekh nikal gayi.
Mere chillane ki aawaz sunkar vo meri taraf palti aur apne haatk ko ek jhatka diya. Agle hi pal Rachna ki gardan kat kar dhad se alag ho uske haath mein aa gayi.
Mere munh se phir cheekh nikal gayi.
"Hee hee hee hee !!" Is baar meri cheekh ke jawab mein vo hasti hui kata hua sar liye phir Basement ka darwaza khol kar neeche bhaag gayi.
Main kuchh der vahan khada Rachna ki sar kati laash dekhta raha. Tabhi Basement ka darwaza phir khula aur vo phir chaaku liye bahar nikli. Is baar maine bhaag kar apne aapko bathroom mein band kar liya aur tab tak vahin raha jab tak ke police walo ne darwaza tod nahi diya.
"Kya hua? What happened here?" Kuchh der baad ek policewala meri aankhon mein torch marta hua chilla kar mujhse puchh raha tha. Mere saamne hi Rachna ke mom dad bethe ro rahe the aur mujhe dekh rahe the.
"Your maid killed her. Us ladki ne maar dala use"
Vo dono hairat se meri taraf dekhne lage.
"What maid? Hamne is ghar mein filhal koi maid rakhi hi nahi hai. Dhoondh rahe hain ab tak" Uske baap ka jawab aaya
"Kya bakte ho?" Main lagbhag chilla pada "Toh vo kaun hai jo neeche basement mein rehti hai?"
Is baar Rachna ke mom dad ke saath policewale bhi mujhe hairat se dekhne lage.
"Kaun sa basement?" Ek policewala bola "Is ghar mein toh koi basement hai hi nahi"


THE END
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,943
354
PAAP

7. KHAUFF

UPDATE 1

Mujhe waqt ka koi andaza nahi tha.
Raat ke baare mein jo baat mere khyaal se sabse zyada qabil-e-gaur hai vo ye hai ke raat mein har chhoti se chhoti aawaz sunai deti hai. I mean din mein aapke padosi jitna bhi lade jhagde, chahe jitna chillayen aapko sunai nahi dega par raat mein har koi zara sambhal kar bolta hai kyunki yahan aawaz thodi oonchi hui nahi ke
poore mohalle ko pata chal jaayega ke aapke ghar mein ladai ho rahi hai.
Shayad isi vajah se gharelu jhagde zyadatar shayad din mein hi hote honge.
Par apne Mom Dad ko toh maine kabhi din mein bhi ladte nahi suna?
Shayad vo bahut halki aawaz mein jhagadte honge taake main sun na sakoon. Aur mera kamra bhi toh unke kamre se thoda hatke tha isliye ladte bhi honge toh unki aawaz mujhe kahan sunai deti hogi?
Par aaj raat toh di thi.
Haan toh aaj raat vo lad thode hi rahe the. Jo mujhe sunai di vo toh cheekhne ki aawaz thi.Meri maan ki cheekh.
Qabil-e-gaur baat ye bhi hai ke ye cheekh mere alawa aur kisi ne nahi suni. Raat ko aapke agle ghar mein koi aurat cheekhe aur aap uthkar dekhne na jaayen? Aisa kaise ho sakta hai.
Par aisa hua. Mera maan poore zor se chillayi thi par phir bhi ab tak koi aaya nahi tha.
Kya kisi ne cheekh suni nahi?
Nahi nahi aisa kaise ho sakta hai. Raat ke sannate mein shartiya vo cheekh toh poore mohalle mein sunai di hogi.
Toh koi aaya kyun nahi phir ab tak?
Cheekh kisi ne suni nahi ya koi sunna nahi chahta tha? Vaise bhi aajkal madad kisi ki karna kaun chahta hai? Vo toh purane zamane ki baaten hain ke padosi padosi ke kaam aata tha, har koi har kisi ke gham aur khushi mein shareek hota tha. Ab kaun aisa karta hai. Ab toh har kisi ke apne sar pe itni museebat padi rehti hai ke doosre
ki museebat ko dekh kar bhi andekha kar diya jata hai.
Kahan gayi insaaniyat?
Mujhe ab bhi waqt ka koi andaza nahi tha. Aankhen band kiye, saans roke main ek hi karwat par kabse pada tha main nahi janta tha. Raat ka sannata apne poore shabab par tha aur har baareek se baareek aawaz bhi sunai de rahi thi.
Ya shayad us waqt, us situation mein hone ki vajah se mere senses mujhe dhokha de rahe the.
Shayad mujhe hi us waqt har aawaz sunai de rahi thi. Jo bhi tha, us waqt toh aisa lag raha tha jaise apne dil ki dhadkan bhi ek shor hai.
Sala agar mujhe pata hota ke aaj raat aisa kuchh hone wala hai toh main Sunil ki baat maan leta. Kaha tha usne ke ruk ja aaj raat mere hi ghar par, maze karenge. Par nahi, mujhe toh apne hi ghar aana tha. Ab bhugto.
Kamre mein ab bhi mujhe sirf 4 aawazen sunai de rahi thi.
Ek apni saans ki aawaz, apne dil ki dhadkan, uski saans ki aawaz aur kuchh ragadne ya ghisatne jaisi aawaz.
Drawing room se hamari Baba Aadam ke zamane ki antique ghate ki tik tok tik tok ki aawaz sunai de rahi thi.
Mera koshish poori tarah se yahi thi ke main apni aankhon ko zyada na hilaaon. Aap kisi ki aankh dekh kar bata sakte hain ke vo so raha hai ya sone ka natak kar raha hai. I mean agar band palkon ke neeche putliyan hil rahi hon toh iska matlab ke insaas sirf sone ka natak kar raha hai kyunki jo insaas haqeeat mein so raha hoga uski putliyan aaram se ruki hogi, palkon ke neeche hil rahi nahi hongi.
Ya agar kisi ne apni palkon ko kas kar ya zyada zor se band kar rakha ho tab bhi aap dekh kar bata sakte hain ke vo sirf sone ka natak kar raha hai. Kyunki jo asal mein so raha hoga, uski palken aaram se band hogi. Uski aankhen ekdam shaant hogi jaise kisi shaant jheel ka thehra hua pani.
Isliye hi maine na toh apni palon ko zyada zor se band kar rakha tha na apni aankhon ko palkon ke neeche zyada hila raha tha taaki use aisa hi lage ke main so raha hoon.
Tabhi Drawing room se tan tan tan ki aawaz aayi. Antique ghante ne raat ke 3 bajaye.
Yaani mujhe saans thaame ek hi karwat par pade pade 2 ghante se zyada ho chuke the.....
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,943
354
PAAP

7. KHAUFF

UPDATE 2


Khauff bhi ek ajeeb cheez hoti hai. Ek ajeeb sa emotion. Maine kahin pada tha ke 3 cheezen insaan ke andar ke janwar ko bahar le aati hain. Sex, Gussa aur Khauff yaani ke darr. Insaan apne asli chehre par chaahe kitne naqab laga le, kitna bhi dikhave ke chadar mein apni haqeeat ko chhupa le ye 3 cheezen uski haqeeat ko bahar le aati hain.
Bedroom mein kapde utarne ke baad insaan sirf bahari taur par nanga nahi hota. Vo asal mein nanga ho jata hai.
Sharam ke parde hatane ke baad jab do jism aapas mein vasna ka nanga naach khelte hain tab un kuchh pal ke liye chehre par koi naqab nahi hota. Vasna ke tapish mein tapte hua vo chehra asli hota hai. Vahan un kuchh palon ke bartav se aap insaan ki asliyat ka bahut hadh tak andaza laga sakte hain. Us waqt bahar aata hai andar ka janwar.
Aisa hi kuchh haal tab hota hai jab insaan ke sar par gussa sawar ho. Vinash kaale vipreet buddhi jisne bhi kaha hai sahi hai. Gusse mein sabse pehle dimag kaam karna band kar deta hai aur uske baad insaan jo kadam bina soche samjhe uthata hai vo uska asli chehra hota hai. Samajhdar, Darpok, Qayar, Buddhijeevi, Hatyara ya vo jo kuchh bhi ho, gusse mein vo bina soche samjhe apne prakratik vyavhaar yaani natural instincts ko hi follow karega.
Aur aisa hi kuchh mere saath hua tha. Bas farak itna tha ke main vasna ya gusse ke bajay teesri bhavna ka shikar tha. A victim of the third emotion. Khauff, Darr, Fear. Pichhle kuchh ghanto mein maine pehchana tha ke bahar se main jo kuchh bhi tha, chahe kitni bhi badi baaten karta tha par andar se ek darpok tha. Is waqt bistar par pade hue, aankhen band kiye mujhe apna asli chehra dikhayi de gaya tha, ek kaayar ka chehra.
Aur yahi tha mere andar ka janwar, ek darpok chooha jo halki si aahat par apni jaan bacha kar bhag leta hai.
Aisa nahi hai ke maine kuchh socha nahi tha. Maine bahut dimag lagaya tha ye sochte hue ke main kya karun, ya main kya kar sakta hoon par kuchh samajh aaya hi nahi. Aur vaise bhi aankhen band kiye pada, sone ka natak karta hua dara sehma insaan bina soche kar bhi kya sakta hai.
Aur ab mera sochna samajhna mere siva shayad aur kisi ke kaam aa bhi nahi sakta tha. Main ek darpok kayar hoon ye main samajh gaya tha. 3 ghante pehle jab main uthkar apne kamre se bahar nikla tha agar main us waqt kuchh karta toh main kaayar na hota par maine kuchh bhi nahi kiya tha.
Main raat mein kayi baar uthta tha. Ye mere bachpan ki aadat thi. Ek raat mein kam se kam 3 baar toh main peshab karne ke liye uthta hi tha. Kayi baar mujhe lagta tha ke ye ek bimari hai jiske liye mujhe doctor ko dikhana chahiye par phir socha toh samajh aaya ke bimari iski vajah nahi thi. Vajah thi mera hadh se zyada chaai pina. Ek zimmedar hindustani hote hue main bakhubhi ye farz nibhata tha ke har ghante mein kam se kam ek cup chaai toh pita hi tha.
Yaani mere din ke 12-13 cup toh pakke the. Aur hadh toh ye thi ke main raat ko sone se pehle bhi chaai pita tha balki bina chaai piye toh mujhe neend hi nahi aati thi. Hai na kamal ki baat? Jahan log jaagte rehne ke liye chaai coffee pite hain, mujhe sone ke liye ek cup chaai chahiye hota tha.
Doosri zaroori baat ye ke us raat mein cough syrup pikar soya tha. Sharab pine ki mujhe aadat nahi thi par cough syrup mujh par sharab jaisa kaam karta tha. Ek ghoonth cough syrup peene ke baad main ghanto tak aaram se so sakta tha. Aur agar 4-5 ghoont pi loon toh mujh par sokar uthne ke baad bhi aisa khumaar chhaya rehta tha jaise maine sone se pehle jam kar sharab pi ho.
Us raat mujhe khaansi chain se sone nahi de rahi thi isliye maine cough syrup ke lame lambe 5-6 ghoonth piye aur ghode bech kar so gaya....
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,943
354
PAAP

7. KHAUFF

UPDATE 3


Khair, aadat ke mutaabik is raat bhi jab main utha toh mujhe laga ke meri aankh kisi aawaz ki vajah se khuli na ki peshab karne ki zaroorat ki vajah se. Par raat ka 1 baj raha tha aur main neend mein dooba hua tha. Peshab karne ke liye main apne kamre se bahar nikal kar aankhen aadhi band kiye deewar ke sahare ladkhadata hua bathroom ki taraf chala.
Aur bathroom ke darwaze ke bahar mujhe phir vahi aawaz sunai di. Kahin kuchh zameen par girne ki aawaz. Aawaz bahut dheemi si thi par saaf thi. Maine apni aankhen poori kholi aur bathroom ke darwaze par ek pal ke liye ruka.
Tabhi aawaz phir se aayi. Is baar aawaz girne ki nahi thi. Ek ajeeb si aawaz tha. Yun laga jaise kisi tez dhaar wali cheez se kahin koi kuchh khurach raha hoon. Jaise kisi chaaku ya keel ko agar sheeshe par ghisa jaaye vaisi aawaz.
Aawaz mere mom dad ke kamre ki taraf se aayi thi jo ki bahut ajeeb baat thi. Mere mom aur dad dono ki hi aadat thi ke jaldi so jaaya karte the aur jaldi uthkar park mein walk ke liye jaate the. Mujhe TV ki aawaz kam rakhne ki hidayat dete hue Raat ke 10 baje tak unke room ki lights off ho jaaya karti jiska matlab tha ke raat ke 1 baje tak vo dono hi bahut gehri neend mein hote the.
Par us raat aisa nahi tha. Unke kamre ki light jali hui thi aur andar se vo ajeeb aawazen aa rahi thi. Ek pal ke liye main bathroom ka darwaza chhod kar unke kamre ki taraf badha aur kaash ke maine aisa kiya bhi hota.
Kaash main unke kamre mein jata, dekhta ke andar kya ho raha hai. Uske baad jo kuchh bhi hota vo meri filhal ki situation se toh behtar hi hota. Par maine aisa kiya nahi.
Unke kamre mein jakar dekhne ke bajay maine pehla bathroom jana zaroori samjha. Ye sochkar ke pehle bathroom ho aata hoon uske baad dekh loonga, main unke kamre ki taraf jata jata phir se palta aur bathroom mein daakhil ho gaya.
Aur ek baar mujhe phir vahi aawaz sunai di. Is baar bhi vahi kuchh khurachne jaisi aawaz par uske baad ek aur aawaz aayi jisne mera dhyaan sabse zyada apni aur khincha. Kisi ke munh ko haath rakh kar band kar diya jaaye toh kaisi goon goon ki aawaz nikalti hai, vaisi hi aawaz. Main jaldi se apna kaam niptaya aur bathroom se bahar nikal kar apne parents ke room ki taraf badha.
Unke kamre ka darwaza aadha khula hua tha par andar ka kuchh nazar nahi aa raha tha. Main abhi darwaze se zara door hi tha ke mujhe white marble floor par laal rang nazar aaya. Laal rang jo behta hua dheere dheere darwaze ki taraf badh raha tha.
Bahut pehle ek kahani suni thi. Akbar ke darbar mein kisi ne kaha ke maan baap ko apne bachche ki jaan zyada pyaari hoti hai. Sab log is baat se sehmat ho gaye sivaay Birbal ke. Uska kehna tha ke har kisi ko apne jaan sabse zyada pyaari hoti hai aur uske baad kisi aur ki. Lambi chaudi behar ke baad Baadshah akbar ne Birbal ko apni baat saabit karne ko kaha.
Birbal ne sipahiyon ko ek aisi bandariya pakad kar laane ko kaha jiske paas chhota sa bachcha ho. Jab sipahi bandariya pakad laaye toh bandariya ko ek pani ke sookhe tank mein uske bachche ke saath baandh diya gaya. Phir Birbal ne sipahiyon ko tank mein pani bharne ko kaha....
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,943
354
PAAP

7. KHAUFF

UPDATE 4

Jaisa ke hona tha, bandariya ghabra gayi par uske uske paon zanjeer se bandhe hue the isliye bhaag nahi sakti thi. Pani dheere dheere tank mein bharne laga aur bandariya ne apne bachche ko apne haathon mein utha liya. Pani jab aur uper aaya toh usne apne bachche ko apne sar par betha liya. Sipahi pani daalte rahe aur bahut jald pani bandariya ke sar ke uper chala gaya.
Thodi der tak toh vo apne bachche ko apne haathon mein sar ke uper uthaye khadi rahi taaki bachcha pani se bahar rahe. Par kuchh pal baad jab uska dam ghuta toh usne fauran bachce ko ek taraf phenka aur haath paon maarte hue apne aapko Pani ke uper rakhne ki koshish karne lagi. Us waqt apne bachche ka jo ki pani mein doob raha tha use koi khyaal nahi tha.
Theek vahi haal mera bhi hua. Apne maan baap ke kamre ki taraf badhta badhta main achanak ruk gaya aur unke kamre se zameen par behta hua darwaze se bahar aata khoon dekhne laga. Mujhe samajh nahi aaya ke kya karun. Main janta tha ke kamre mein sirf mere maan baap toh ye khoon bhi sirf unhi ka ho sakta hai. Vahan khada main sirf neeche khoon ki taraf dekh raha tha.
Mere paon jaise ek jagah par jam gaye the, saans uper ki uper neeche ki neeche reh gayi thi aur dil ki dhadkan tez ho chali thi.
Isse pehle ke main kuchh soch ya samajh pata, poore ghar mein meri maan ki cheekh goonj uthi. Ek dard bhari cheekh jisko sunkar hi andaza ho gaye ke cheekh maarne wali bahut takleef mein hai aur madad ke liye pukaar rahi hai.
Aur us cheekh ne meri soch ko ek disha de di. Vahan khada jo main pehle samajh nahi pa raha tha ke kya karun ab janta tha ke kya karna hai. Khauff mere poore shareer mein daud gaya, dil ki dhadkan tez ho gayi, shareer ke baal khade ho gaye aur andar ka janwar bahar aa gaya.
Main us waqt bhi aadhi neend mein tha. Cough Syrup ka nasha ab tak mere zehan par sawar tha.
Main palat kar apne kamre ki taraf bhaga aur andar aakar sidha apne bistar mein ja ghusa. Kisi chhote bachche ki tarah maine chadar apne uper khinchi aur deewar ki taraf karwat lekar let gaya. Aankhen maine kas kar band kar li thi.
Aap sochenge ye aisa toh koi 10 saal ka chhota bachcha karega. Ismein aapka kasoor nahi hai. Aap aisa isliye soch rahe hain kyunki kabhi aap ki jaan par bani nahi. Kabhi aapke saath aisa hua nahi jabke aapke maan baap ke kamre se khoon beh kar bahar aa raha ho, jab aapki maan ki cheekh ghar mein goonji ho, jabke aap jaante hon ke ye jis kisi ne bhi kiya hai vo abhi ghar mein hi hai aur jab ke aap jaante ho ke aapki ek halki si galti, ek halki si aahat aapki jaan le sakti hai.
Aur yakeen maniye, aap ye sunkar hasenge par yakeen maniye aisa hua ke bistar par let kar maine apni aankhen band ki aur apne aapko ye samjhane laga ke maine abhi abhi koi sapna dekha hai. Ke main abhi abhi neend se jaga hoon aur aisa kuchh nahi hua hai.
Aur isse zyada hasi ki baat ye hai ke jo abhi abhi dekha tha, usse jhatka khaye mere dimag ne meri baat maan bhi li. Maine khud apne aapko behlaya aur main ye jaante hue ke main hi apne aapko behla raha hoon, behal bhi gaya.
Hai na kamal ki baat? Par aisa hota hai. Jab insaan gehre sadme mein ho, bahut bada jhatka khaya ho, jab kuchh aisa hua ho jo kabhi pehle nahi hua tha, jab apni jaan par ban aayi ho toh kya dekha tha, kya suna tha, kya sahi tha aur kya galat tha, iska faisla karna bahut mushkil ho jata hai......
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,943
354
PAAP

7. KHAUFF

UPDATE 5


Aur shayad meri aankh lag bhi jaati, shayad main har baat se anjaan hokar so bhi jata agar meri darwaze par aahat na hui hoti.
Mere kamre mein poori tarah andhera tha aur bahar drawing room mein jal rahe night bulb ki halki si light aa rahi thi. Aahar par maine apni aankhen kholi toh mujhe 4 baaton ka ehsaas ek saath hua.
Pehli toh ye kere mere kamre ke darwaze par koi khada tha jisko main andhera hone ki vajah se dekh nahi paya. Bas andhere mein ek saya nazar aa raha tha.
Doosri baat ye ke jo kuchh bhi main apne aapko ek sapna, ek khwaab, ek khyaal bata raha tha, sab sach tha. Main sach mein khoon dekha tha aur bahut mumkin tha ke doosre kamre mein ab tak mere maan baap mar chuke hon.
Teesri baat ye ke main aaya toh deewar ki taraf karwat lekar leta tha par ab meri karwat darwaze ki taraf thi. Ye kab hua tha mujhe yaad nahi tha matlab ke main sach mein apne aapko sapne ka bahana dekar so gaya tha. Shayad iski vajah cough syrup tha jise pine ke baad main bin piye sharabi ho jata tha aur neend mein toolta rehta tha.
Aur chauthi sabse zaroori baat ye ke shayad ab meri jaan bhi khatre mein thi.
Vo jo koi bhi tha ab mere kamre mein tha. Uske kadmon ke chalne ki aawaz se main andaza laga raha tha ke vo mere kamre mein idhar udhar chal raha tha. Main zehni taur par apne aapko is baat ke liye taiyyar kar raha tha ke kisi bhi pal mujhe bistar se neeche khinch kar gira diya jaayega, mara pita jaayega ya aawaz dekar jagaya jaayega.
Dimag ne ek baar phir kabaddi khelni shuru kar di thi. Mujhe samajh nahi aa raha tha ke kya karun. Kya uthkar ekdam se bahar darwaze ke taraf daud laga doon ya uthkar zor zor se chillana shuru kar doon.
Chillana, cheekh aur tabhi mujhe dhyaan aaya ke meri maan ne bhi toh zor se cheekh maari thi. Vo kaafi zor se chillayi thi toh ab tak koi sun kar aaya kyun nahi tha? Mujhe ek ek karke apne padosiyon ke naam yaad aa rahe the. Apne ghar ke bagal mein rehne walo ko yaad kar raha tha aur ummeed kar raha tha ke koi toh uthega, koi toh aayega.
Mujhe cheekh par itna dhyaan isliye bhi tha kyunki is par meri jaan tiki hui thi. Mujhe bahut ummeed thi ke koi sunega aur aayega. Aur mujhe bachayega.
Par meri soch galat saabit ho rahi thi. Na toh kisi ke aane ki aawaz sunai de rahi thi aur na hi mujhe aawaz dekar uthaya gaya ya bistar se neeche khincha gaya. Bas uski aahat ki aawaz aa rahi thi. Main janta tha ke vo mere kamre mein hai, kuchh kar raha hai par kya, ye samajh nahi aa raha tha.
Vo mujhe kyun nahi kuchh keh ya kar raha tha, ye samajh nahi aa raha tha.
Aur phir jaise ek ek pal bhaari padne laga. Har lamha jaise ek sadi ke saman ho gaya. Shadeed Darr, Aseemit Khauff, Intense fear ka ye mera pehla mauka tha aur jaise mera dimag short circuit sa kar gaya tha. Koi bhi soch, koi bhi vichar, koi bhi thought process saaf nahi tha. Jaise mera dimag achanak ek saath har disha mein bhaagne ki koshish kar raha tha.
Gala sookhne laga tha aur mujhe phir peshab aane laga tha.
OH NO !!!! I NEED TO GO TO THE BATHROOM, AGAIN ....
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,003
42,943
354
PAAP

7. KHAUFF

UPDATE 6


Ye khyaal aate hi maine apne pet ko andar ki taraf khincha aur apne taange sikod kar apne aap par kaabu paya.
Aur phir aayi kuchh ghisatne ki aawaz. Bahar drawing room mein kisi cheez ko ghasita ja raha tha. Meri aankhen ab bhi band thi aur mujhe samajh nahi aa raha tha ke kya karun. Kya aankhen khol kar dekhun? Par agar usne dekh liya toh?
Dil hi dil mein main kahin janta tha ke der sawer vo lamha aayega jab mujhe us anjaan ka samna karna padega. Jab mera sone ka natak khatam hota aur mera saath jo hona hai vo hoga. Par yun sone ka natak karte hue shayad main us pal ko taal raha tha. Ya ye ummeed kar raha tha ke kyunki main so raha hoon toh mujhe chhod diya jaayega.
Kyunki main toh so raha tha, maine toh kuchh dekha hi nahi.
Theek us chidiya ki tarah jo neeche mitti mein apna sar chhupa kar ye ummeed karti hai ke koi use nahi dekh raha.
Main bhi yun aankhen band kiye us andhere mein pada pada ye ummeed kar raha tha ke mujhe andekha kar diya jaayega.
Andhera.
Aur phir mujhe khyaal aaya ke kamre mein jis jagah mera bistar hai vahan toh bilkul andhera hai. Toh agar main apni aankhen zara si khol loon toh bahar se kisi ko dikhayi nahi dega ke main jaag raha hoon. Aur apne dil ko aisi hi hazaron dilasayen dete hue maine zara si apni aankh kholi.
Vo darwaze par saamne hi khada tha. Night bulb ki halki halki roshni us par pad rahi thi aur ek pal ke liye toh mujhe samajh hi nahi aaya ke main dekh kya raha hoon. Sahi mein kuchh dekh raha hoon ya mera dimag mujhe dhokha de raha hai.
Vo insaan nahi tha. Haan insaan jaisa tha par insaan nahi tha, ho hi nahi sakta tha. Sabse pehli cheez jispar mera dhyaan gaya vo ye thi ke uske jism par koi kapda nahi tha. Vo sar se paon tak poora nanga tha. Ganja tha.
Nahi asal mein uske poore shareer par hi baal nahi the. Sar se paon tak kahin koi baal nahi. Sirf chamdi jo laal rang ki roshni mein laal hi lag rahi thi. Vo kad mein mere se kaafi lamba tha par bahut jhuk kar chal raha tha jiski vajah se mere barabar hi chal raha tha.
Aur phir mujhe uske jhuke hone ki vajah dikhai di. Vo kubda tha. Vo kamar se thoda muda hua tha aur kisi oont, camel, ki tarah uski kandho ke neeche kamar kar ek gumbad jaisa kuchh utha hua tha.
Aur ek khaas baat. Uski haath kaafi bade bade the jinmein pakde vo kuchh ghasit kar mere kamre mein la raha tha.
Vo kuchh mere maan baap the jinke haath apne haathon mein pakad kar vo ghasit raha tha. Mere mom dad dono hi umar ke hisaab se kaafi mote the, khaas taur par meri mummy, par phir bhi vo bina kisi takleef ke bade aaram se dono ke haathon ko pakad kar aise ghaseet raha tha jaise vo rabad ke gudde hon.
Un dono ko dheere dheere ghasit kar vo mere kamre mein le aaya, Main ab bhi apni aankhen halki si khole hue pada tha. Meri aankhen ab andhere ki aadi ho gayi thi isliye kamre ki halki roshni mein mujhe thoda behtar dikhai dena laga tha.
Main ab bhi samajh nahi pa raha tha ke vo insaan tha ya nahi ya vo kya karna chah raha tha....
 
Last edited:

Alex123

Active Member
1,003
1,286
123
Kamal k writer ho bhai
 
  • Like
Reactions: The Immortal
Top