• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Erotica Xossip to Xforum

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

9. KHWAB THA SHAYAD

UPDATE 1


"Chhod kyun nahi dete ye sab?" Vo pyaar se mere baal sehlati hui boli
"Kya chhod doon?" Main uske gale ko choomta hua apni kamar ko aur tezi se hilata hua bola
"Tum jaante ho main kis baare mein baat kar rahi hoon"
Vo hamesha yahi karti thi. Achhi tarah se jaanti thi ke sex ke waqt mujhe uska ye topic chhedna bilkul pasand nahi tha par phir bhi.
"Kya yaar tu bhi ....." Main uske uper se hatkar side mein let gaya "Sala har baar ek hi magaj maari. Aur koi waqt milta nahi hai tere ko? Jab main tere uper chadhta hoon tabhi tujhe dhyaan aata hai mujhe updesh sunana?"
"Haan" Usne chadar apne uper khinch kar apne nange shareer ko dhaka "Kyunki yahi ek aisa waqt hota hai jab tum meri sunte ho, baaki time toh koi tumhare saamne zara si aawaz bhi nikale toh tum us par bandook taan dete ho"
"Tere pe kab bandook taani maine?" Maine muskurate hue uski taraf karwat li "Saali jo dil mein aata hai mere ko bolti hai, kabhi palatke kuchh kaha main tujhe? Sala aawaz oonchi nahi karta main tere aage aur tu bandook nikalne ki baat kar rahi hai"
"Mere bolne ka koi fayda bhi toh ho magar ...."
"Haan fayda hai na" Main uske baalon mein haath phiraya "Pehle har koi kehta tha ke Bhai Sher Khan sirf naam ka hi sher nahi, jigar ka bhi sher hai. Ab har koi kehta hai ke Sher Khan sirf naam ka sher hai, ek aurat se darta hai"
Mere baat sunkar vo aise chehki jaise koi chhoti bachchi.
"Haan pata hai mujhe, kal vo Firoz bata raha tha. Mujhe toh bada maza aaya sunkar"
Uska yahi bachpana tha jiska main deewana tha. 5 saal pehle jab usko pehli baar mere kamre mein laya gaya tha to vo us sirf ek dari sehmi apni majboori ki maari pareshan si ladki thi aur main sharab ke nashe mein jhoom raha tha.
"Chal kapde utaar" Maine bistar par bethe bethe kaha.
Uske baal bikhre hue the jinko usne samet kar apne chehre se hataya aur mere aage haath jode.
"Mujhe jaane dijiye"
Main gusse mein uski taraf palta aur tab pehli baar maine uska chehra dekha tha. Badi badi aankhen, halki saawli rangat, lambe baal, teekhe nain naksh. Mujhe yaad bhi nahi tha ke apni poori zindagi mein main kitni auraton ke saath so chuka tha. Mamuli randi se lekar Bollywood ki khoobsurat actress, super models, sabko bhog chuka tha main par jaane kyun jab pehli baar uske chehre par nazar padi phir hati nahi.
"Naam kya hai tera?"
"Neelam" Vo haath jode kisi sookhe patte ki tarah kaanp rahi thi "Zabardasti uthakar laaye mujhe"
Uske baap ne naya dhandha shuru karne ke liye hamse paise udhar liye the. Dhandha toh chala nahi ulta buddha sala apni biwi beti par karza chhodkar train ke aage ja kooda. Mere aadmi paisa na milne par use utha laaye. Irada toh use kote par le jakar bethane ka tha par us raat ke baad vo sidhe mere dil mein aa bethi.
Maine kabhi koi zabardasti nahi ki uske saath. Izzat se use vaapis ghar bhijvaya, naya business shuru karaya, uska aur uski maan ka dhyaan rakhne ke liye apne kuchh aadmi lagaye aur badle mein usse kuchh nahi manga. Par dheere dheere kab vo meri zindagi mein aayi, mujhe khud bhi ehsaas nahi hua.
"Main ye isliye nahi kar rahi ke main tumhara ehsaan chukana chahti hoon. Balki isliye ke main dil-o-jaan se tumhein chahti hoon" Mere saath pehli baar sone se pehle usne kaha tha.
Main uski har maang, har baat poori karta tha. Sivaay ek ke. Ke main dhandha chhod kar ek shariff aadmi ki zindagi guzaroon. Ab koi ek sher se kahe ke vo shaka-haari ho jaaye toh aisa kabhi ho sakta hai bhala?
"Mujhe darr lagta hai" Vo aksar rokar mujhse kaha karti thi. "Saari duniya mein dushman hain tumhare. Kisi ne kuchh kar diya toh?"
"Chinta na kar" Main hamesha haskar uski baat taal deta tha "Sher Khan ko haath lagaye, vo sala abhi paida nahi hua"
Jab vo dekhti ke main darne walon mein se nahi hoon toh emotional atyachaar wala tarika apnati.
"Mere liye itna bhi nahi kar sakte kya?" Uske vahi ek ghisa pita dialogue hota tha
"Tere liye itna kiya maine. Tu mere liye ek itna sa kaam nahi kar sakti ke mere dhandhe ko bardasht kar le?" Mere vahi ghisa pita jawab hota tha.
Dil hi dil mein main janta tha ke uska yun darna vaajib bhi tha. 5 baar mujhpar hamla us waqt hua jabke main uske saath tha. Har baar laash hamla karne wale ki hi giri par shayad kahin ye baat main bhi janta tha ke bakre ki maan kab tak khair manayegi.....
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Casinar

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

9. KHWAB THA SHAYAD

UPDATE 2


Maine ek nazar uspar daali toh meri baahon mein simti, meri chhati par sar rakhe vo kabki neend ke aagosh mein ja chuki thi. Ghadi par nazar daali toh raat ke 2 baj rahe the.
Ye flat maine hi use lekar diya tha. Insaani sahooliyat ki har cheez is flat mein maujood thi. Usne jis cheez ki khwahish ki, jis cheez par anguli rakhi maine vo lakar use de di.
"Sab hota hai mere paas, ek sivaay tumhare" Vo aksar shikayat kiya karti thi.
Uski maan ko mare 2 saal ho gaye the aur uske baad se vo is flat mein akeli hi rehti thi. Uska door ka koi ek muhbola bhai bhi tha jisse main kabhi mila nahi tha. Mera toh vaise hi koi thikana nahi hota tha. Kabhi shehar se bahar toh kabhi desh se bahar. Sach kahun mera aadhe se zyada waqt dhandhe ke chakkar mein "bahar" hi guzarta tha par jab bhi shehar mein hota, toh uske yahan hi rukta tha.
"Ehsaan karte ho na bada mujhpe. Aur baaki raaten kaun hoti hai bistar par tumhare saath?" Aksar vo chidkar kaha karti thi.
Maine dheere se uska sar apni chhati se hataya aur neeche takiye par rakh diya. Vo bina koi kapde pehne bekhabar so rahi thi. Chadar khinch kar maine uske jism ko dhaka aur bistar se utha.
Mujhe cigarette ki talab uth rahi thi par bedroom mein cigarette ya sharah peene ki mujhe sakht manahi thi. Yun toh mere saath reh rehkar vo bhi thodi bahut peene lagi thi par jaane kyun bedroom mein cigarette ya sharab le jana use bilkul pasand nahi tha.
Bedroom se bahar nikal kar maine ek cigarette jalayi aur halke kadmon se kitchen ki taraf chala. Main us raat hi Dubai se India vaapis aaya tha aur airport se sidha uske paas aa gaya tha. Jaisa ki hamesha hota tha, vo mere intezaar mein bethi thi aur jis tarah ke kapde pehen kar bethi thi us halat mein usko dekh kar kisi namard ka bhi khada ho jata.
Aisa hi kuchh mere saath bhi hua tha.
Mere kamre mein ghuste hi ham ek doosre se bhid pade aur phir aise hi so gaye. Nateejatan mujhe us waqt bahut tez bhookh lagi thi.
Fridge khola toh usmein andar kuchh nahi tha, sivaay ek aadhe bache pizza ke.
Maine ek thandi aah bhari aur pizzar nikal kar oven mein rakha. Mujhe ye angrezi khaane kabhi pasand nahi aate the. Dil se main pakka Hindustani tha aur jab tak daal roti pet mein na jaaye, tasalli nahi hoti thi.
Par Daal roti us waqt maujood thi nahi toh pizza se hi kaam chalana pada.
Uske living room mein hi ham dono ne ek chhota sa Bar bana rakha tha jahan thodi bahut, par umda aur mehengi, sharab ki bottles rakhi hui thi. Garam pizzar ek plate mein utha kar main Bar counter par hi aa betha.
Ek 1958 wine nikal kar maine glass mein daali aur pizza khaate hue halke ghoonth lene laga.
Jab kamre mein lage bade se purane zamane ke antique ghante ne 4 bajaye toh jaise mera dhyaan sa toota.
Samajh mein nahi aaya ke main neend mein betha pi raha tha ya nashe mein betha so raha tha kyunki mere aage wine ki 2 khaali bottles rakhi hui thi. Main pichhle 2 ghante se akela betha pi raha tha aur 2 bottles gatak chuka tha.
"Wow" Maine apne aap se kaha aur khade hone ki soch hi raha tha ke 2 cheezon ka ehsaas ek saath hua.
Pehle toh ye ke maine bahut zyada pi rakhi thi.
Doosra ehsaas ya yun keh lijiye yakeen ye hua ke main kamre mein akela nahi hoon. Main jis angle par betha tha vahan se agar bedroom ka darwaza khulta toh sabse pehle mujhe dikhai deta yaani ke Neelam ab tak bedroom mein hi thi.
Matlab flat mein ham dono ke siwa koi aur teesra bhi tha.
Itne saal underworld mein rehne ke baad aur itni baar hamla hone ke baad jo ek cheez maine sikhi thi vo ye thi ke apni gun hamesha apne paas rakho, jab hagne mootne jaao tab bhi.
Us waqt bhi meri revolver mere saamne hi rakhi hui thi.
Kamre mein roshni ke naam par kone mein ek zero volt ka bulb jal raha tha isliye roshni na ke barabar hi thi. Khaas taur se bar mein toh takreeban poora andhera hi tha phir bhi saamne rakhi khaali sharab ki bottle mein maine gaur se dekha toh apne shak par yakeen ho gaya.
Kamre mein theek mere pichhe koi khada tha. Maine bahut zyada pi rakhi thi aur khud main ye baat janta tha isliye kahin dimag mein aisa bhi lag raha tha ke ye sab mera veham hai.
Vo jis jagah par khada tha vahan bhi poori tarah andhera hi tha isliye main kuchh dekh toh nahi paya par is baat ka yakeen ho gaya ke vo aadmi poori koshish kar raha tha ke main use dekh na sakun.
Maine apni saamne rakhi revolver uthayi aur anguliyan trigger par kas li. Nazar ab bhi saamne rakhi wine bottle par thi jismein main us aadmi ki harkat dekh sakta tha.
Meri samajh mein nahi aa raha tha ke kya karun. Ya palatkar khud vaar karun ya phir us shakhs ke vaar karne ka intezaar karun. Par intezaar karne mein ek khatra tha. Intezaar karne ka matlab tha usko aaram se nishana lagane ka waqt dena. Par agar uske paas bandook ki jagah chaaku ho toh? Tab toh vo door se vaar nahi kar sakta.
Aur jaise us insaan ne bhi meri dil ki baat sun si li. Vo achanak apni jagah se hilta hua meri taraf badha. Theek usi waqt maine apna revolver wala haath ghumaya aur kamre mein ek goli ki aawaz goonj uthi.....
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Casinar

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

9. KHWAB THA SHAYAD

UPDATE 3

Sote sote meri aankh achanak khul gayi. Haath laga kar dekha toh A.C. on ke bavajood maathe par paseene ki boonden thi. Main fauran uthkar bistar par sidha beth gaya.
Neelam apni jagah par maujood nahi thi.
Maine side wale drawer se ek cigarette nikali aur jalakar halke kash lagane laga. Yun toh bedroom mein cigarette ya sharah peene ki mujhe sakht manahi thi par phir bhi kabhi kabhi main pareshan hota toh Neelam ke mana karne ke bavajood ek cigarette jala hi leta tha.
Mere saath reh rehkar vo bhi thodi bahut peene lagi thi par jaane kyun bedroom mein cigarette ya sharab le jana use bilkul pasand nahi tha.
Cigarette peeta hua main apne khwaab ke baare mein sochne laga. Hairat ki baat thi ke khwaab maine abhi thodi der pehle hi dekha tha par mujhe kuchh bhi yaad nahi aa raha tha ke exactly hua kya tha.
Haan itna zaroor yaad tha ke aakhir mein ek goli chali thi jiske aawaz se ghabra kar meri need toot gayi thi. Goli chalne se pehle kya hua tha, mujhe kuchh yaad hi nahi aa raha tha.
Ek cigarette khatam hone ke baad main doosri jala hi raha tha toh mera dhyaan khaali pade bistar ki taraf gaya. Jab maine pehle Neelam ko bed par nahi paya toh mujhe laga ke vo bathroom mein hogi par bathroom ka darwaza khula hua tha aur andar light off thi matlab ke vo andar nahi thi.
"Shayad bahar hogi" Sochta hua main bed se utha aur doosri cigarette jalate hue bedroom se bahar nikla.
Living room mein poori tarah se andhera tha bas kone mein ek zero volt ka bulb jal raha tha. Roshni na ke barabar hi thi.
Living room ke hi ek kone mein ham logon ne ek chhota sa bar bana rakha tha tha jahan thodi bahut, par umda aur mehengi, sharab ki bottles hoti thi. Bar bedroom ke darwaze ki ekdam seedh mein tha isliye bahar nikalte hi sabse pehle nazar aata tha.
Bar ke counter par haath mein ek sharab ka glass liye Neelam bethi thi.
Main thodi der vahin khada use dekhta raha. Kamre ke us hisse mein kaafi andhera tha par bedroom ka darwaza khula hone ki vajah se roshni sidhi Neelam par pad rahi thi. Vo haath mein ek glass pakde bethi hui so rahi thi.
Mujhe samajh nahi aaya ke vo neend mein bethi pi rahi thi ya sharab ke nashe mein so rahi thi.
Bedroom se bahar aakar main sabse pehle bathroom ki taraf gaya aur jab faarig hokar bahar nikla toh vo tab bhi vaise hi glass pakde bethi so rahi thi.
"Ek waqt tha jab ye sharab cigarette ke bilkul khilaff thi aur aaj akeli bethi pi rahi hai" Dil hi dil mein sochkar main has pada.
Main us raat hi Dubai se India vaapis aaya tha aur airport se sidha uske paas aa gaya tha. Jaisa ki hamesha hota tha, vo mere intezaar mein bethi thi aur jis tarah ke kapde pehen kar bethi thi us halat mein usko dekh kar kisi namard ka bhi khada ho jata.
Aisa hi kuchh mere saath bhi hua tha.
Mere kamre mein ghuste hi ham ek doosre se bhid pade aur phir aise hi so gaye. Nateejatan mujhe us waqt bahut tez bhookh lagi thi.
Main fridge khola toh usmein andar kuchh nahi tha. Fridge poori tarah khaali tha. Thandi aah bhar kar maine darwaza band kar diya.
Tabhi kamre mein lage purane antique style bade se ghante ne 4 bajaye. Uski achanak aawaz se ek pal ke liye main thithak gaya aur Bar par bethi Neelam ke shareer mein bhi harkat hui.
"Khul gayi aankh" Main uski taraf dekh kar sochta hua muskuraya.
Maine kuchh bolne ke liye munh khola hi tha ke phir maine apna irada badal kar usko darane ki sochi. Main jis jagah par khada tha vahan poori tarah andhera tha aur Neelam ne ab tak mujhe dekha nahi tha. Matlab main chup chap pichhe se jakar use dara sakta tha.
Aisa karne ki ek vajah ye bhi thi ke vo aksar aisa mere saath karti thi. Kabhi bekhabar bethe hue, kabhi sote hue, kabhi khaate hue , achanak pichhe se aaati aur zor se chilla kar meri jaan nikal deti thi.
"Aaj meri baari hai jaaneman" Main socha aur bahut khamoshi se apna ek kadam aage badhaya.
Mujhe hairat tab hui Neelam tezi ke saath meri taraf palti. Jo aakhri cheez maine dekhi vo uske haath mein thami meri revolver thi.
Jo aakhri cheez maine suni vo ek goli ki aawaz thi.
Jo aakhri cheez maine mehsoos
ki vo meri chaati mein...

THE END.
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Casinar

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

10. NUA-LAKHHA

UPDATE 1.


Kisi ne kaha hai ke auraton mein ameer gareeb, dharam ya samajh ka koi bhi aur farak nahi hota. Auraton ko ek doosre se juda karti hai toh sirf ek cheez, sundarta, khoobsurati. Sirf ek hi ranking system hota hai, sundar, aam aur badsoorat.
Ek ladki bhale ek jhopdi mein paida hui ho par agar vo bala ki khoobsurat hai
aur apni khoobsurati ka sahi istemaal jaanti hai toh jhopdi se mehal tak ka safar uske liye koi mushkil baat nahi.
Par ye baat shayad uske liye sahi saabit nahi hui. Vo bachpan se hi sabse juda thi, bahut khoobsurat. Itni khoobsurat ke pyaar se use har koi pari keh kar bulata tha. Aur yahi haal jawani mein bhi raha. Jab vo sadak par nikalti toh har nazar jaise bas uspar hi aakar thehar jaati.
Ek bada sa bungalow, bahut saare naukar, mehengi gaadiyan, aalishan kamre, makhmali chadaren aur parde, besh-keemti kapde aur zewar aur na jaane is tarah ke uske kitne aur sapne us din toot kar bikhar gaye jab uski shaadi ek sarkari daftar mein kaam karne wale babu se kara di gayi. Aur bachpan se hi ek mehel mein jakar rehne ki taiyyar karne wali ladki ek single bedroom flat mein shift ho gayi.
Uski aadaten aur tastes bahut hi simple the par iski vajah uski saadgi nahi uski gareebi thi. Simple aur saadi lifestyle se zyada vo kabhi efford kar hi nahi paayi thi aur yahi trend shaadi ke baad bhi kaayam raha. Kabhi kabhi jab vo apne pati ki taraf dekhti toh aisa lagta jaise usne apne standard se neeche shaadi kar li ho.
Shaadi ke baad uski majbooriyan jaise aur badh gayi thi aur zindagi ke har sahoolat ke liye vo aur bhi zyada tarasne lagi thi.
Vo apne ghar ki gareebi se pareshan thi, berang deewaron se pareshan thi, badrang
pardon se pareshan thi. Ye saari cheezen jo shayad jinse uske class yaani sundar class ki baaki ladkiyan anjaan thi usko din raat sataya karti thi, jaise uski be-izzati karti thi.
Uske ghar mein jo 18 saal ki ladki kaam karne aati thi, usko dekh dekh kar uska dil jaise aur beth jata tha.
Uske khwabon mein ab bhi aksar vo bade bade bungalow, aalishan kamre, badi badi gaayian aur beshkeemti kapde aate the. Ab bhi kabhi kabhi vo sapno mein apne mehal-numa ghar ke aake bade se hare lawn mein kursiyan daale apne saheliyon se baaten karti thi.
Jab vo us purani si table par jo ek purane se kapde se dhaki hui thi apne pati ke saath khaane betha karti aur jab uska pati saamne pateele mein rakhe khaane ko dekh kar khush hota aur kehta "Daal Chawal, vaah. Khushbu toh badi achhi aa rahi hai" toh uska dil karta ke table ko utha kar ulat de. Uski table par daal chawal nahi balki achhe swadisht khaane hone chahiye the. Saamne steel ke bartan nahi balki mehengi chaandi ke plate chammach hone chahiye the.
Kapdo aur zewaron ka toh jaise uske paas akaal sa pad gaya tha aur bas yahi vo cheezen thi jinse use be-intehan mohabbat thi. Jinki use dil-o-jaan se hasrat thi. Use lagta tha ke vo inhi cheezon ke liye bani hai. Hamesha se uski yahi khwahish thi ke vo ban thankar jahan bhi jaaye, har kisi ke dil mein bas ek usi ki chahat ho, uski ki tamanna ho.
Din raat vo apne gareebi aur majboori par rona jaise uski zindagi ban chuka tha. Mayusi aur bebasi mein vo is kadar kho gayi thi ke apni bachpan ki dost Pallavi se bhi usne milna julna band kar diya tha. Vajah thi ke Pallavi ek ameer ghar se thi aur vo usse milkar use ye apni gareebi ka ehsaas nahi dilana chahti thi....
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Casinar

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

10. NAU-LAKHHA

UPDATE 2


Phir ek shaam uske pati ne office se aate hi uske haath mein ek bada sa envelope thama diya.
"Kya hai ye?" Usne bedili se puchha
"Kholkar dekho" Muskurate hue uske pati ne jawab diya.
Usne lifafa phaad kar khola aur andar se ek invitation card nikla. Sawaliya nazar se usne apne pati ki taraf dekha.
"Office ki taraf se ek party rakhi ja rahi hai. Hamari office ke sab bade log party mein aayenge. Usi ka invitation hai"
Bajay khush hone ke, jiski uske pati ko bahut ummeed thi, usne vo invitation card kamre mein rakhi table par patak diya.
"Toh main kya karun iska?"
"Aisa kyun kehti ho. Mujhe laga tumhein khushi hogi. Tum kabhi kahin bahar nahi jaati aur ye ek bahut aalishan party hai. Sab bade bade log shaamil hote hain aur ye invitation bhi sabko nahi milta. Maine badi mushkil se haasil kiya hai"
Usne gusse bhari nazar se apne pati ko aise ghoora jaise abhi use kha jaayegi.
"Aur tumhein kya lagta hai ke itni badi party mein main kya pehenkar jaoongi?"
Uske pati ko ekdam jawab nahi soojha. Is baat ki taraf uska bilkul dhyaan nahi gaya tha.
"Pehen lo kuchh bhi" Vo haklate hue bola "Kaafi saare kapde hain toh tumhare paas aur unmein se kuchh ...."
Kehta kehta vo achanak ruk gaya. Saamne khadi uski biwi ab ro rahi thi. Badi badi aankhon se mote mote aansoo behkar uske gaal par ludhak rahe the.
"Kya hua?" Vo fauran uske kareeb aata hua bola
Jitni achanak se usne rona shuru kiya tha vaise hi vo achanak chup ho gayi aur apne chehre se aansoo ponchhte hui boli,
"Kuchh nahi. Mere paas pehenne ke liye dhang ka kuchh bhi nahi hai isli main is party mein nahi ja sakti. Ye invitation apne kisi dost ko de do jiski biwi ke paas dhang ka ek jodi kapda toh ho"
Shakal dekh kar hi maalum hota tha ke uski baat se uska pati ko kaafi dukh hua tha.
"Achha dil chhota mat karo" Vo uska haath pakadta hua bola "Kitne tak ki aa jaayegi ek dress jo tum aisi party mein pehen sako?"
Vo ek pal ke liye chup hokar sochne lagi. Uske dimag mein alag alag brand ke kapde daudne lage aur vo ek aisi keemat ka andaza lagane lagi jo itni kam na ho ke vo apne pasand ka kapda na le sake par itni zyada bhi na ho ke uska pati sunte hi inkaar kar de.
"4-5 hazar se kya kam hoga" Kuchh der sochne ke baad vo boli.
Keemat sunte hi patidev ki aankhen hairat se phel gayi aur chehra safed ho chala. Ek pal ke liye use laga ke vo zyada keemat bol gayi.
"Theek hai. Main 5 hazar deta hoon. Tum apne liye ek achhi si dress le aao"
Party ka din dheere dheere nazdeek aata ja raha tha aur uski bechaini badhti ja rahi thi. Vo apne liye apni pasand ki ek dress le aayi thi magar .....
"Kya baat hai?" Ek shaam uske pati ne kaha "Dekh raha hoon ke pichhle kuchh din se kaafi bechain si ho?"
"Main party mein nahi ja rahi?" Usne jawab diya
"Kyun?"
"Ek dhang ki jewellery nahi hai mere paas. Zewar ke naam par pehenne ko kuchh bhi nahi"...
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Casinar

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

10. NAU-LAKHHA

UPDATE 3.


"Tumhari shaadi ke kuchh gehne hain toh. Vahi daal lo"
Usne gusse mein apne pati ko ghoora.
"Main party mein ja rahi hoon, phir se shaadi karne nahi ja rahi"
"Toh aise hi chal lo" Uske pati ne dheere se kaha
"Vahan kitni ameer ameer auraten hongi. Unke beech tumhari biwi aise bina kisi zewar ke achhi lagegi?"
Kuchh der ke liye kamre mein khamoshi ho gayi.
"Tumhari vo dost hai na" Kuchh der baad uska pati bola "Pallavi jiske baare mein tum hamesha batati ho. Usse le aao ek raat ke liye kuchh"
Uske chehre par achanak khushi ki lehar daud gayi.
"Haan ye toh maine socha hi nahi tha" Pallavi uski kaafi kareebi dost thi aur vo jaanti thi ke vo use mana nahi karegi.
Agle din hi vo pallavi se milne pahunch gayi aur apna dukhda uske saamne roya.
Uski baat sunkar Pallavi usko apne kamre mein le gayi aur apne saare gehne uske saamne rakh diye.
"Tujhe jo pasand ho utha le"
Pehle usne kuchh bracelets dekhe, phir kuchh sone ki chains, phir kuchh ear rings. Baari baari vo sab kuchh pehen kar apne aapko sheeshe mein dekhti aur har baar uska dil yahi karta ke jo usne pehen rakaha hai use na utaare. Par phir bhari dil se vo utaar kar Pallavi ko vaapis de deti aur kuchh aur pehen kar dekhti.
Achanak uski nazar ek kaale rang ke jewellery case par padi. Kholkar dekha toh andar ek heeron ka haar tha. Us haar par ek nazar padte hi uske dil ki dhadkan tez ho gayi. Dibbe se usne haar nikal kar apne gale ki taraf badhaya toh uske haath kaanp rahe the. Usne haar pehen kar dekha toh vo uski dress ke saath bilkul match kar gaya. Us haar aur dress mein apne aap ko dekh kar vo khud hi ithlane lagi.
"Main ye le loon?"
"Haan haan le ja" Pallavi ne fauran jawab diya.
Vo khushi ke maare aage badhkar Pallavi se lipat gayi aur thodi der baad haar lekar apne ghar aa gayi.
Party wale din vo jaise mehfil ki jaan thi. Vo vahan maujood sab auraton mein sabse zyada khoobsurat thi. Uska rang roop, uske andaaz, uski hasi vahan har kisi se alag tha. Party mein maujood har mard ki nazar uspar thi.
Har koi usse baat karna chahta tha, uska naam puchhna chahta tha, uske saath dance karna chahta tha. Har kisi ki zubaan par us shaam bas usi ka naam tha.
Us raat vo bahut der tak naachti rahi. Kuchh party mein maujood log baar baar use dance ke liye puchhte rahe aur kuchh khud uska bhi rukne ka dil nahi kiya. Us shaam vo ek alag hi duniya mein thi jahan uski gareebi aur uski majboori usse koson door thi.
Subah ke 3 baje vo log party se nikle. Poori party mein uska pati apne boss ke saath sharab peeta raha aur vo naachti rahi thi isliye dono hi kaafi thake hue the. Bahar se unhone ek taxi ki jisne thodi der baad unhen unke ghar ke aage lakar chhod diya.
Ghar pahunch kar usne lights on ki aur sidhi apne kamre mein lage full size mirror ke aage aa khadi hui taaki apne aapko nihaar sake. Saamne jo nazar aaya vo dekh kar uske munh se cheekh nikal gayi.
Heeron ka vo haar jo poori raat uske gale ki shaan bana hua tha ab uske gale se gayab tha.....
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Casinar

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

10. NAU-LAKHHA

UPDATE 4


"Chilla kyun rahi ho?" Nashe mein uska pati badbadaya.
Vo apne munh par haath rakhe uski taraf palti.
"Haar kho gaya"
"Kya?"
"Pallavi ka heeron wala haar" Vo haklate hue boli "Kho gaya"
Ek jhatke mein uske pati ka saar nasha gul ho gaya.
"Kho gaya matlab?? Aise kaise kho gaya?"
Unhen milkar apna poora ghan chhan mara. Uski dress ko utaar kar jhaada, coat mein check kiya, uske bag ko ulat kar dekha par haar ka kahin koi nishan nahi tha.
"Tumhein yakeen hai ke jab tum party mein se nikli thi toh haar gale mein tha?"
"Haan mujhe pata hai ke haar tha. Mrs. Malhotra ne bahar jaate jaate bhi haar ko dekh kar uski tareef ki thi"
"Par agar bahar kahin sadak par gira hota toh tumhein aawaz toh aati"
"Haan baat toh sahi hai. Ek min, vo taxi. Uska number yaad hai?" Vo achanak boli
"Nahi maine dhyaan nahi diya. Tumne dekha?"
"Nahi" Usne bhi inkaar mein gardan hila di.
Kuchh der tak vo dono aise hi bethe ek doosre ko dekhte rahe. Kuchh der baad uske pati ne uth kar phir se kapde pehne.
"Main dekh kar aata hoon. Shayad kahin gira mil jaaye"
Par aisa hua nahi. Vo jaakar har us jagah par dekh aaya jahan vo dono ek second ke liye bhi khade hue the par haar nahi mila.
"Ab main Pallavi ko kya jawab doongi?" Vo rote hue boli
"Use phone karke bolo ke haar ko hook tooh gaya hai aur tum theek karvake vaapis dogi. Thoda sochne ka time mil jaayega"
Aur apne pati ke kehne par usne aisa hi kiya.
Agle kuchh din tak vo dono kari baar party wali jagah par gaye, party mein aaye logon se puchha par haar ka kuchh pata nahi chala.
"Naya lekar dena padega, vaisa hi jaisa ke vo haar tha" Uske pati ne thak haar kar kaha.
Agle din vo haar ke dibbe par likha address dekh kar jewellery showroom pahunche.
"Ji haan hamare yahan se hi bika hai" Showroom mein dibba dekh kar johri ne kaha "Ye Nau-lakkha hamari speciality hai"
"Aisa hi ek banvana hai"
"Ji ban jaayega. 9 lakh mein se aadhe aapko advance dene honge aur baaki aadhe delivery par"
Keemat sun kar dono ki aankhen hairat se khuli ki khuli reh gayi par aur koi rasta tha bhi nahi. Unke agle kuchh din yahi sochne mein nikle ke 9 lakh ka intezaam kahan se karen. Uski shaadi ke gehne, pati ka provident fund, motorcycle sab cheezon ko jodkar dekha gaya par phir aakhir mein unhen apna ghar hi girvi
rakha pada.
4.5 lakh advance dete waqt usne haar mein lagne wale heeron aur baaki cheezon ko khud dekh kar ye tasallli ki thi ke haar bilkul vaisa hi dikhe jaisa ki Pallavi ke paas tha.
Ek mahine baad jab vo haar lautane gayi toh pehli baar Pallavi ne use dekh kar munh banaya.
"Mujhe beech mein zaroorat padi thi haar ki. Time pe vaapis karti yaar"
Par Pallavi ne dibba khol kar haar dekha nahi jiska use bahut dar tha. Haar hubahu Pallavi ke haar jaisa hi dikhta tha par vo kehte hain na ka chor ki daadhi mein tinka. Use lag raha tha ke Pallavi dibba khol kar dekhegi aur pehchan jaayegi ke ye haar uska nahi hai par aisa hua nahi.....
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Casinar

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

10. NAU-LAKHHA

UPDATE 5


Aur phir zindagi ne ek ajeeb sa mod le liye. Jis cheez se usko sakht nafrat thi vo ab aur zyada badh gayi thi yaani ke majboori.
Ghar mein kaam karne wali ladki ko hata diya gaya, uske shaadi ke gehne bech diye gaye, Patidev motorcycle bech kar bus mein safar karne lage. Dono ke dimag mein bas ek hi khyaal tha ke sar se kisi bhi tarah karz utaar kar apna ghar chhuda len isse pehle ke sadak par aane ki naubat aaye.
Aur phir usne bhi apni khyaali duniya chhod kar ghar sambhalna seekh liya. Bartan dhona, jhaadu pocha lagana, kapde dhona, khana pakana ye saare vo kaam the jo ek gareeb ghar mein paida hone ki vajah se use bahut pehle kar lene chahiye the par usne ab kiye. In sabse alag usne bhi ek office mein secretary ki naukri kar li.
Zyada padhi likhi vo thi nahi isliye us chhoti si naukri se jo bhi paise milte, sab bank ka karz chukane mein chale jaate.
Uske pati ne overtime karna shuru kar diya tha. Raat ko der se ghar aana aur subah hote hi office chale jana ab ek aadat si ban gayi thi. Aksar commission lekar vo kuchh bade bade accounts ka kaam ghar le aata aur poora Sunday usi mein guzaar deta.
Aur agle 10 saal tak unka yahi lifestyle raha.
10 saal poore hone tak unhone poora loan chuka diya tha aur unka ghar ek baar phir unka apna tha.
Vo ab umar mein kaafi badi lagne lagi thi. Ab vo ek khyaali duniya mein rehne wali khoobsurat ladki nahi thi. Ab vo ek gharelu aurat thi jo zindagi ke mushkil andaaz kaafi kareeb se dekh chuki thi aur unse ladna bhi seekh gayi thi.
Vo ab middle class gharo ki un auraton ki tarah ho chuki thi jo gareebi mein bhi ghar
chalana bakhubi jaanti hain.
Ghar par uske baal ab bikhre rehte the. Banna sawarna usne bahut pehle chhod diya tha. Pehle jo waqt ghar par T.V. dekhne aur khyaali pulaav banane mein nikalta tha ab vahi waqt jhaadu lagane ya khana banane mein guzarta tha. Par ab kabhi kabhi jab uska pati ghar par nahi hota tha toh vo akeli beth kar us shaam ke
baare mein socha karti thi jabki vo mehfil ki jaan thi.
Agar usne vo haar khoya hi nahi hota toh kya hota? Pichhle 10 saal kaise guzarte? Aaj unki zindagi kis tarah hoti? Vo aksar ye beth kar sochti par jawab kabhi milta nahi tha.
Ek shaam jab vo paidal apne ghar ki taraf aa rahi thi toh usko ek chhote bachche ke saath sadak ke kinare khadi Pallavi dikhi.
Pallavi ko usne aakhri baar tabhi dekha tha jab vo haar lautane gayi thi. Uske baad vo aaj use dekh rahi thi. Achanak use samajh nahi aaya ke kya kare par phir kuchh soch kar usne aawaz lagayi.
Jab vo kareeb pahunchi toh Pallavi ne use ek nazar uper se neeche tak dekha.
"Aap? Maaf kijiyega maine pehchana nahi"
"Arrey main hoon, Pooja. Bhool gayi?"
Pallavi ke munh se jaise cheekh si nikal gayi.
"Pooja" Vo apne munh par haath rakhte hue boli "Tujhe ye kya ho gaya?"
"Haan. Zindagi badal gayi aur saath mein badal diya mujhe bhi. Sab teri hi meharbani hai"
"Meri meharbani? Matlab?"
"vo heeron ka haar yaad hai jo main tujhse le gayi thi?"
"Haan"
"Vo kho diya tha maine"
"Kho diya tha matlab? Tu to mujhe haar vaapis dekar gayi thi"
"Nahi vo maine naya khareed kar diya tha" Usne muskurate hue jawab diya "9 lakh ka karz lekar naya haar kharidna pada kyun itni hamari aukaat thi nahi. Aur pichhle 10 saal se apne aapko ghis ghis kar vo 9 lakh ka karz utara hai"
Pallavi use aise dekh rahi thi jaise koi bhoot dekh liya ho.
"Tune mere haar kho diya tha?
"Haan"
"Aur uske badle ek naya haar lekar diya tha?"
"Haan. Tujhe farak pata nahi chala kabhi? Bilkul tere naulakkhe jaisa hi tha. Keemat bhi utni hi thi, 9 lakh"
Pallavi ne aage badhkar uska haath pakad liya.
"Pooja mere haar asli naulakkha nahi tha. Vo toh nakal tha. Artificial jewellery. Ek hazar ka liya tha maine".

THE END .
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Casinar

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

11. KUCHH BHI NAHIN ....

UPDATE 1


Dil mein ab dard-e-mohabbat ke siwa kuchh bhi nahi,
Zindagi meri ab teri chahat ke siwa kuchh bhi nahi.........
Dulhan ke jode mein saji vo bala ki khoobsurat lag rahi hai. Aur sach kahun toh mera ye kehna hi jaise ek gunah jaisa hai, uske saath meri na-insafi hai. Kehna toh ye chahiye ke uske tann par saj kar vo Dulhan ka joda bahut khoobsurat lag raha hai. Ek mamuli laal rang ka kapda aaj uska perhan bankar besh-keemti ho gaya hai.
Ab toh jaise yaad bhi ke main kabse use chahta hoon, kabse use paane ki tamanna dil mein liye hue hoon.
Jahan tak yaad ki had jaati hai, vahan tak bas ek uski hi soorat nazar aati hai. Zindagi shuru uske daman se hoti hai is khwahish ke saath ke aakhri hichki bhi uske baahon mein aaye aur kafan bhi uska daman bane.
"Tum hamesha mere saath kyun khelte ho?"
Bachpan mein jab vo masoomiyat se ye sawal kiya karti thi toh mujhse jawab dete nahi banta tha. Sach toh ye tha ke uske sawal ka jawab mere paas tha hi nahi. Us chhote se masoom ladke ko khud hi ye kahan pata tha ke vo kyun har pal us masoom chehre ko takta rehta hai.
Kyun be-ikhteyaar us masoom si gudiya ke paas chala aata hai aur kyun uske gudde gudiya ke khel mein shaamil rehta hai.
"Tu ladki ho gaya hai, gudiya se khelta hai. Ham tere saath nahi khelenge"
Doston ke mazak banane ka silsila bachpan mein hi shuru ho gaya tha. Aur vo silsila jo shuru hua toh phir kabhi khatam hua hi nahi, chalta hi raha aur uske saath chalta raha meri deewangi ka silsila. Bachpan jawani mein tabdeel hua toh ye samajh to aa gaya ke main kyun har pal uske saath ki khwahish, uski nazdeeki ki talab rakhta hoon par dil se vo kasak kabhi gayi nahi.
Uski chahat rag rag mein lahoo bankar daudti rahi aur uski shakal ek tasveer
bankar mere kamre ki deewar ke saath meri nazron se hoti meri rooh mein ja basi.
"Jab ham bade honge to main tumse shaadi kar loonga phir ham hamesha saath mein gudiya se khela karenge"
** saal ki umar mein mere lab se nikle vo alfaaz kab ek khwaab bankar aankhon mein ja base jaise khabar hi nahi hui. Gudde gudiya ka khel toh khatam ho gaya par us waqt kahe gaye chand alfaaz ek wada bankar ham dono ko jod gaye, hamare dilon ko jod gaye, dhadkan ko jod gaye.
Main teri barah-gah-e-naaz mein kya pesh karun,
Meri jholi mein mohabbat ke siwaa kuchh bhi nahin ......
"Kya kar sakte ho mere liye?"
Usne masoomiyat se ek baar jo sawal kiya toh lafz jaise kam pad gaye ye batane ke liye ke main uske liye kya kuchh karna chahta hoon. Samajh hi nahi aaya ke kahan se shuru karun aur kahan khatam. Kaise un cheezon ki fehrist banaoon jo main uske supurd karna chahta hoon.
Kabhi haath uth gaye falak ki taraf ye ishara karte hue ke vo kahe toh aaftab ki roshni uske gaalon mein bhar doon, Mehtaab ki chandni uske aanchal mein samet laoon, siyaah raat ki siyahi uski aankhon ke dore bana doon aur laal sehar ki laali uske labon par saja doon. Toh kabhi yun khwahish hui ke seena cheer kar dil uske
hawale kar doon.
Kabhi chaha ke uske pairon tale har phool saja doon toh kabhi khud phool banar uski kadam-bosi kar loon.
Teri mehfil se jo uthoon toh bata phir kahan jaoon,
Mera kaam teri ibadat ke siwa kuchh bhi nahin ......
Bas adde ke paas Kallu ki chaai ki dukaan aaj bhi vahin hain. Vo 2 kursiyan aur ek mez usi saleeke se rakhi hui hai jis saleeke se vo kabhi hamare intezaar mein hoti thi.
"Pareshaan karne ko bulaya hai mujhe yahan? chhed rahe ho, bhaag jao ....."
Ada se ithlake vo uska mujhse vo shikayat karna aur us gile shikve mein chhupi vo masoomiyat baar baar mujhe is baat ke liye majboor karti ke main aage badhkar uska matha choom loon, uske haath thaam loon aur phir bayan karun, bataoon use, ke main kis qadar use ishq mein fana hoon. Bataoon ke main kyunkar be- ikhtiyaar sa uski ek jhalak paane ko dil thaame uski raah mein mutazir rehta hoon.
Samjhaoon use ke uske vajood se mera vajood qayam hai aur jo vo nahi toh meri shakhsiyat ka koi matlab nahi. Ke meri har sehar uske tazkire se shuru hoti hai aur shaam tak ka mera safar uski aawaz sunne ki beqarari mein guzarta hai...
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Casinar

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

11. KUCHH BHI NAHIN......

UPDATE 2


Aey khuda mujhse na le mere gunahon ka hisaab,
mere paas ashq-e-nadamat ke sivaa kuchh bhi nahi ....
Har taraf rang birange kapde pehne, saje dhaje log khushiyan mana rahe the. Kuchh uske apne the aur kuchh yun hi bulaave par uski khushi mein shaamil hone aa gaye the.
Aaj uski shaadi thi aur dulhan bani kisi gudiya ki tarah saji hui vo majlis ke theek beech mein bethi thi. Log aa rahe the aur uske saamne apna laya tohfa rakh kar uski us mubarak din ki mubarakbaad de rahe the aur uski aane wali zindagi ke liye dua.
Aaj usko dekh kar ye ehsaas hua ke laal rang uspar bahut fabta tha. Jaane kaise itne lambe arse mein is baat se main poori tarah gaafil raha. Kya is liye ke usne kabhi mere saath mere saamne laal rang pehna nahi ya isliye ke mujhe har rang mein vo is qadar haseen lagti thi ke har rang ki rangat meri nazar se poshida rahi, be-asar rahi.
Aur phir ehsaas hua ke laal rang uspar kitna fab raha hai. Kya isliye ke is laal rang mein kuchh khwabon ka khoon shaamil hai, ke ye laal rang kuchh bekaar ummeedon ki ashqon mein bheega hua hai, ke ye laal rang apne aap mein kuchh wadon ka ka janaza samete hue hai.
Haath mein phoolon ka ek guldasta liye main khamoshi se uski taraf badha. Meri shakhsiyat se vahan har koi anjaan tha. Us logon ke hujoom mein jaisa mera hona ya na hona ek barabar hi tha.
"Tu chahe bhi toh kya de sakta hai usko yaar. Kya hai kya tere paas"
Mere ek dost ne ek baar mujhe samjhane ki koshish ki thi. Aur naseeb ka khel dekhiye, aaj uski zindagi ke sabse bade din bhi mere paas use dene ko kuchh bhi nahi. Aaj main uski khushi mein shareek hone ko aaya bhi toh haath mein kuchh subah ke murjhaye phool liye.
Khuda se kahun, tujhse kahun ya khud hi dil ko samjha loon,
Lab pe mere ab ek shikayat ke siwa kuchh bhi nahi ......
Kamal ki baat hai. Jab bhi main uske kareeb hota tha toh dil ki dhadkan jaane kyun apne aap badh jaati thi. Uske chehre ki ek jhalak, uski saans ki garmi, uske jism ki khushbu aur uske haathon ki narmi, kuch aisi kashish, kuchh aisi taaseer thi uski ke dil bekaabu hokar deewanagar sa dhadakne lagta tha.
Aaj phir vaisa hi kuchh aalam hai. Ab is nadan dil ko kaise samjhaoon ke aaj vo meri nahi, ke aaj vo kisi aur ki aur ho rahi hai. Kaise is deewane se kahun ke aaj yun phir tezi se dhadak kar kuchh haasil nahi hoga. Ke aaj toh ise dhadkan se kinara kar lena chahiye aur mujhse is bekaar zindagi se nijaat dila deni hahiye.
Haath mein guldasta lekar main uske kareeb aaya aur use dene ke liye aage ko jhuka. Nazar utha kar usne shukriya kehne ke liye meri taraf dekha toh khabar hui ke door se nazar aati uski vo khoobsurati toh mehaz ek bharam thi. Us shaam pehli baar mujh par uski aankhon ki veerani, uske chehre ki vehshat zaahir hui.
Khabar hui ke vo toh aaj phir vahi gudde gudiya ka khel khel rahi hai bas aaj gudiya ki jagah usne khud ko betha liya. Jism hai, rangat hai, perhan hai, zevar hai par kisi gudiya ki tarah hi ye sab hone ke baad bhi kuchh nahi hai kyunki jism mein jaan nahi hai.
Haan, uski aankhon ne mujh par zaahir kiya ke vo toh bas ek murda laash ki tarah vahan bethi nakli hasi has rahi thi, muskura rahi thi.
Main aaj phir khada hoon tere huzoor mein tera mureed hokar,
Mere aankhon mein is haqeeat ke siwa kuchh bhi nahi ......
Lakh mere chehre par naqab sahi, nakli daadi moonchh sahi. Lakh maine koshish ki thi bhes badalne ki taaki uski shaadi mein mujhe koi pehchan na sake par uski nazar dhokha kaise kha sakti thi. Uski nazar meri nazar se mili aur ek pal mein ye pegham mujh tak pahunch gaya ke usne mujhe pehchan liya hai.
Aaj phir mujhe saamne dekh kar vo muskurayi aur mujhe laga jaise mera sab kuchh lut gaya ho. Kahan gayi vo muskurahat, vo hasi jise pakar main kabhi ithlata phirta tha. Kahan gayi vo hasi jo kabhi mujhe poora karti thi. Kahan gayi vo hasi jise pakar main sab kuchh pa leta tha. Vo hasi jiske baad mujhe kisi aur cheez ki zaroorat hi nahi padti thi.
Apne honthon par aap is pakeeza hasi ko yun hi sajaye rakhna,
Meri daulat is muskurahat ke siwa kuchh bhi nahi ......
Aur phir mere haath mein thame phool chhut kar uski jholi mein ja gire aur numaya hui un phoolon ke pichhe chhupi revolver. Vo revolver jis mein sirf 2 hi goliyan maujood thi. Vo revolver jise main phoolon ki aad mein ab tak apne aath mein thaame hue tha.
Ham dono par ab bhi kisi ki nazar nahi hai. Sab apne aap mein magan hain aur ham dono jaise un sabse bekhabar, duniya se paraye hokar ek doosre ki nazar mein nazar daale ek doosre ko dekh rahe hain. Vo kabhi meri taraf toh kabhi mere haath mein thami revolver ki taraf dekh rahi hai. Aur haan vo ab muskura rahi hai.
Phir vahi muskurahat jo main dekhna chahta tha. Uski hasi ab phir laut aayi hai.
Usne muskura kar apni aankhen moond li jaise aaj phir ek baar apne aapko mere supurd kar rahi ho. Maine apne haath mein thami revolver par ek nazar daali aur phir ek nazar usko dekha.
Uske munh se kuchh safed cheez si nikal rahi hai, ek safed jhaag. Uski rangat jo ab tak peeli thi, ab safed hoti ja rahi hai.
Aur phir neeche bethi bethi vo ek taraf nidhal hokar gir padi.
Vo to aaj mar kar hamein mil hi gayi raahat varana,
Zindagi ranj-o-museebat ke sivaa kuchh bhi nahin.......
Sab log ab uske chaaron taraf khade hue hain. Khushi ka aalam ab cheekh pukaar mein tabdeel ho gaya hai.
Kisi ka dhyaan ab bhi meri taraf nahi hai aur na hi meri nazar un par. Main toh apne haath mein thaami us revolver ko dekh raha hoon jiska rukh meri taraf hai. Jis mein ab bhi 2 goliyaan maujood hain par zaroorat ab sirf ek ki hai.
Dil mein ab dard-e-mohabbat ke siwa kuchh bhi nahi,
Zindagi meri ab teri chahat ke siwa kuchh bhi nahi..........

THE END.
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Casinar
Top