PAAP
7. KHAUFF
UPDATE 7
Meri maan ko usne kamre ke beech lakar vahin chhod diya. Un dono ke shareer se ab bhi khoon beh raha tha aur ghasitne ke laal rang ke nishan darwaze par saaf bane hue the. Meri maan ko kamre ke beech chhod usne mere dad ko dono haathon se pakad kar uthaya aur mere bed ke nazdeek ghasita.
Main is kadar dar chuka tha ke meri itni bhi himmat nahi padi ke apni aankhen band kar loon. Kisi putle ki tarah apni jagah pada main bas chup chap dekh raha tha.
Main samajh nahi pa raha tha ke mere papa zinda hain ya mar gaye. Unke aankhen poori tarah khuli hui thi par kya un aankhon mein zindagi baaki thi ya nahi, ye ek bahut bada sawal tha.
Vo mere papa ko khinch kar mere bistar ke kareeb mere pairon ke paas laya aur unko mere bed ke sahare betha diya.
Vo kuchh is tarah se bethe the ke unki thodi, chin, mere bistar ke uper tiki hui thi aur poora shareer neeche. Ek pal ko dekh kar aisa lagta tha jaise vo thodi bistar par tikaye mujhe dekhte hue mujhse bahut zaroori baat kar rahe hon.
Phir vo meri maan ke kareeb gaya aur unko uthakar mere kamre mein rakhi chair par betha diya. Kursi ka rukh bhi meri taraf tha aur aisa lagta tha jaise maan kursi par dono paon uper kiye bethi meri taraf dekh rahi ho, mujhse bahut zaroori baat kar rahi ho. Unki bhi dono aankhen khuli hui thi par zinda ya murda, ye keh pana mushkil tha.
Kamre ki setting aisi thi jaise main bistar par leta hoon, bistar ke paas neeche papa bethe meri taraf dekh rahe ho aur maan kursi par bethi ham dono ki taraf dekh rahi ho.Jaise ek family saath bethi kuchh baat kar rahi ho.
Vo kamre ki deewar ke paas khada tha jaise kamre ki setting ka jaayza le raha ho. Jaise koi painter apni painting banane ke baad kuchh door khada ye soch raha ho ke painting kaisi bani. Theek bani ya galat? Achhi bani ya buri?
Kahin kuchh kami toh nahi reh gayi?
Vo bhi aise hi khada hamen dekh raha tha. Apni painting ko dekh raha tha. Us
painting ko jismein ek beta apne kamre mein bed par leta tha, baap neeche betha tha aur maan kursi par.
Main ab bhi kamre ke kone mein andhere ki taraf tha aur kyunki usne aisi koi harkat nahi ki thi, main sirf andaza laga raha tha ke vo ye soch raha hai ke main ab bhi so raha hoon. Saans thaame main chup chap halki si aankh khole pada raha.
Mere maan baap dono ke hi shareer se khoon beh kar neeche zameen par gir raha tha. Vo kuchh pal vaise hi khade rehne ke baad aage badha aur unke khoon ko apne haathon mein uthaya. Nahi uthaya nahi, balki apne haathon ko unke khoon mein is tarah dubaya jaise koi painter apne brush ko color mein dalta hai.
Laal rang ka khoon ne uske haathon ko brush bana diya jinhen aage badhkar vo deewar par ghisatne laga. Main samajh nahi pa raha tha ke vo kya kar raha hai par kar usi andaz mein raha tha jaise koi painting bana raha ho.
Uska master piece. Uski is kamre ki painting ki aakhri kadi.....