• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Erotica Xossip to Xforum

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

14. PEEPAL

UPDATE 3


Kaise?
Kaun keh sakta hai. Aur vaise bhi ishq aur mushq chhupaye nahi chhupte. Aur vo toh phir bhi ek Rajkumari thi, kabhi na kabhi toh baat khulni hi thi. Kehte hain ke vo pooja ke baad 2-3 din mandir mein rukti thi, is bahane se ke vo Shiv ki bahut badi bhakt hai par asliyat ye thi ke yahan ruk kar vo Ajmal ke saath waqt guzarti thi.
Phir?
Phir ek din dono ko kisi ne saath dekh liya aur baat pahunch gayi Rajshri ke pita tak. Jisne bhi unhen dekha, vo Ajmal ko pehchan gaya ke vo mughal hai. Ye baat un dino ki hai jab Badshah Akbar ne Maharani Jodhabai se shaadi ki thi. Is baat ko lekar un dino Rajputon mein vaise hi kaafi aakrosh tha. Jab ye baat Rajshri ke pita par khuli, toh pehle se hi gusse mein betha Raja aur pagla gaya.
[Machis jalne ki aawaz]
Ek cigarette mujhe bhi dena saahib.
Haan lijiye
[Phir machis jalne ki aawaz]
Phir kya hua?
Ek poornima ki pooja ke 2 din baad ki baat thi. Rajshri phir bahana karke Pooja ke baad mandir mein hi ruki hui thi aur Ajmal bhi yahin tha. Un dono ko dekh liya gaya tha aur baat Rajshri ke pita tak pahunch chuki thi. Gusse se pagal Raja fauran apne kuchh aadmi lekar mandir pahunch gaya.
Usne maar diya dono ko?
Haan. Kehte hain ke vo raat ke waqt yahan pahuncha aur jab vo aaya toh vo dono premi yahahn ret ke teele par khule aasman ke neeche prem leela mein magan the. Raja aaya toh Ajmal ko maarne tha par Apni beti ko yun be-libaas ek mamuli sipahi ki baahon mein dekh kar vo apna aapa kho betha aur usi waqt usne Ajmal ke saath saath apni beti ko bhi maar dala.
Horrible. Phir?
Bas itni hi kahani hai sahib. Uske baad kya hua kisko pata. Waqt ke saath sab mit gaya. Vo rajwade bhi mit gaye aur vo mughal bhi mit gaye, bas reh gaya ye Peepal ka ped.
Peepal wali baat ab bhi samajh nahi aayi. Is poori kahani se is ped ka kya lena dena?
Jahan is ped ki jaden hain na saahib, vahin un dono premiyon ko khoon gira tha. Unke marne ke kuchh din baad jaane kaise yahan ret mein ye Peepal ka ped ug aaya.
Now thats an interesting story. Toh aapko lagta hai ke ye Peepal ka ped Akbar ke zamane se yahan hai?
Nahi. Ye wala toh mere saamne hi bada hua hai. Jab purana ped marne lagta hai toh bilkul uski bagal mein
ek naya ped ugta hai aur purani ped ki jagah le leta hai.
Toh yahan pehle ek doosra ped tha?
Ji haan. Jab main chhota tha tab. Mere saamne hi vo ped khatam hua aur jaise apne aap hi dheere dheere toot kar bikhar gaya. Aise jhada jaise mitti ka bana ho aur dheere dheere mitti gir rahi ho. Aur jaise jaise vo ped khatam hua, uski jagah ye naya ped ug aaya.
Peepal hi kyun? Koi doosra ped kyun nahi?
Kudrat ki baat hai sahab. Aur doosra ped bhi kyun, peepal kyun nahi? Agar bargad hota toh aap kehte the aam ka ped kyun nahi? Neem hota toh kehte ke seb ka ped kyun nahi? Ye toh kudrat ki baat hai sahab.
Toh gaon ke logon ka is ped ko lekar kya kehna hai?
Logon ka maanna hai ke jis tarah se ye registan ke beech hara bhara ped khada hai, usi tarah se ye logon ki mannat poori karta hai. Unki pareshani door karke unki sookhi zindagi ko phir hara bhara kar deta hai.
Aap maante hain?
Bilkul.
Toh matlab Rajshri aur Ajmal marne ke baad bhi logon ki murad poori kar rahe hain? Khud chale gaye aur pichhe chhod gaye ek peepal ka ped?
Chale gaye? [Hasne ki aawaz] Nahi sahab, vo toh ab bhi yahin hain.
[Tape-recorder girne ki aawaz]
Yahin hain matlab?
Har poornima ki raat vo dono yahan laut aate hain. Prem leela karte hain. Jahan dono zinda ek na ho sake, marne ke baad ek hote hain.
Wow [Hasne ki aawaz] Aur aap maante hain ye sab?
Bilkul
Aapne dekha un dono ko?
Nahi
Kisi aur ne dekha?
Jisne dekha vo zinda bacha nahi.
Matlab vo dono ab bhoot bankar logon ko maar rahe hain?
Aapko aapki biwi ke saath rati-kriya karte hue koi dekhe toh aap kya karenge? Unko us halat mein dekh kar maar diya gaya tha.....
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Casinar

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

14. PEEPAL

UPDATE 4

DAY 2 Recording
Ab tak maine yahan jo dekha suna hai, usse is ped ke haunted yaani bhootiya hone wali baat hi pata chalti hai. Kitna sach hai koi nahi janta aur jinse bhi maine baat ki unmein se kisi ne bhi bhooton ko dekha nahi hai par har koi 2 baaten maanta hai.
Ek toh ye ke agar sachche dil se kuchh maang kar ped par dhaga baandho toh murad poori hoti hai.
Doosra ye ke har poornima ki raat Rajshri and Ajmal return from the dead and they actually have sex under the tree. This might sound ridiculous and funny par yahan rehne wala har shaks ye baat dil se manta hai.
Ye log is baat ko is kadar maante hain ke har Poornima ki raat andhera hote hote gaon ka har insaan apne apne ghar mein chala jata hai aur khidki darwaze sab band kar leta hai. Vajah yahi hai ke vo 2 bhooton ko sex karte hue nahi dekhna chahte kyunki agar unhone dekh liya toh bhoot unko zinda nahi chhodenge.
I dont know what to believe or not par in sabki baat mein kitna dam hai ye jaane ke liye main aaj ki raat us ped ke neeche guzarne wala hoon. Aaj poornima ki raat hai aur agar logon ki baat sach hai toh main aaj bhooton aur meri kismat saath de gayi toh main aaj bhooton ko sex karte hue dekhunga.
[Hasne ki aawaz]
Aur agar aisa hua toh main duniya ka pehla insaan hoon jo ghost porn dekhega.
[Hasne ki aawaz]
Main bas ghar se nikal hi raha hoon. Andhera ho chuka hai aur gaon ke sab log apne apne gharon mein ghus chuke hain. Main dharamshala ke caretaker ko bina bataye chupke se niklunga kyunki main nahi chahta ke gaon ke log meri baat ka bura maanen. Kaise bhi ho, mera vahan jana unki maanyata ka mazak udana hi hai.
[Recording Stops]
Raat ke 10 bas chuke hain. Main is waqt ped ke neeche betha hoon aur chaaro taraf chaand ki roshni pheli hui hai. Bahut hi khoobsurat nazara hai. Chandni mein chamakte ret ke teele, thandi hawa, beech mein khada ek akela ped aur saath hi ek purana khandhar mandir.
[Recording Stops]
Raat ke 12 baj chuke hain. Din mein jitni garmi thi raat mein utni hi thandak hai and i wish ke main apni jacket saath laya hota. Ab tak aisa kuchh nahi dikha hai jisse aaj raat mujhe bhoot dekhne ka sapna poora hota lage.
[Recording Stops]
[Tez kadmon se chalne ki aawaz]
Main is waqt mandir ki taraf ja raha hoon. Pata nahi ye mera bharam hai ya haqeeqat par mujhe khandhar se kisi ke hasne ki aawaz sunai di hai. Ek ladki ke hasne ki aawaz.
[Recording Stops]
[Dheere se bolne ki aawaz]
Ye mera bharam nahi tha. Mera alawa koi aur bhi is waqt khandhar mein maujood hai. Koi ladki. Baar baar hasne ki aawaz mujhe sunai de rahi hai par samajh nahi aata ke kis taraf se aa rahi hai. Main aawaz ki direction mein jaane ki koshish karta hoon toh lagta hai jaise ke aawaz har taraf se aa rahi hai.
[Recording Stops]
[Dheere se bolne ki aawaz]
Hasne ki saath saath ab kisi ke chalne ki aawaz bhi sunai de rahi hai. Ye bilkul hindi films ki horror story jaisa lag raha hai. Ek ladki ke hasne ki aawaz aur chalte waqt payal bajne ki aawaz. Kyunki mandir kaafi purana aur bada hai, hasne ki aawaz goonj rahi hai jiski vajah se mujhe lag raha tha ke aawaz har taraf se aa rahi hai
[Recording Stops]
[Dheere se bolne ki aawaz]
Mujhe abhi abhi ek aadmi ke bolne ki aawaz bhi sunai di hai. Ladki akeli nahi hai, koi ladka bhi hai saath. Agar main gaon walo ki baat par yakeen kar loon toh ye Rajshri aur Ajmal hone chahiye. Jo bhi hai, thodi der mein pata chal jaayega.
[Recording Stops]....
 
  • Like
Reactions: Casinar

bhai01

New Member
7
4
3
yaar xossip ke kuch writer the... Raj_2012, rks80, 1001.rks, harshit1890 inke story me kuch khas bat tha ... inke story milenge kya? please reply agar kisi ne offline save kar ke rakhe ho ... waybackmachine se bhi kuch khas par nhi pa raha hu
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
yaar xossip ke kuch writer the... Raj_2012, rks80, 1001.rks, harshit1890 inke story me kuch khas bat tha ... inke story milenge kya? please reply agar kisi ne offline save kar ke rakhe ho ... waybackmachine se bhi kuch khas par nhi pa raha hu

harshit bhai ki ek story hai mere paas wo mai kuch time baad post krunga .
baki aap name btao story ka agar mere paas hui to post kar dunga .
 
  • Like
Reactions: bhai01

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

14. PEEPAL

UPDATE 5


[Dheere se bolne ki aawaz]
Mujhe samajh nahi aa raha ke koi mere saath mazak kar raha hai ya mujhe bharam ho raha hai par 3 aawazen baar baar sunai de rahi hain. Ek ladki ke hasne aur bolne ki aawaz, chalte hue uski payal ki aawaz aur teesri ek ladke ke hasne aur bolne ki aawaz. Main khandhar ke andar aawaz ka pichha karte hue chakkar laga raha hoon par ab tak nazar kuchh nahi aaya hai
[Recording Stops]
[Dheere se bolne ki aawaz]
Main is waqt ek deewar ke pichhe chhupa hua khada hoon aur mere saamne jo dikh raha hai main nahi janta ke main vo kaise bataoon. Saamne mandir ke beech bane ek talab ke kinare ek ladka khada hai. Takreeban 6 foot. Door hone aur raat ki vajah se main uska chehra toh nahi dekh pa raha par uski sabse khaas baat hai uska pehnava. Main nahi janta ke purane zamane mein log kaise kapde pehente the par jitna movies mein dekha hai aur kitabon mein padha hai, is ladke ka pehnava bilkul kisi mughal sipahi ke jaisa hai. Vo pool ke paas khada aas paas dekh raha hai, shayad us ladki ko dhoondh raha hai.
[Recording Stops]
[Dheere se bolne ki aawaz]
Agar ye mujhe darane ya dhokha dene ki koshish hai ya koi mere saath mazak kar raha hai toh ispar kaafi mehnat ki gayi hai. Main ab bhi chhupa hua khada hoon aur ab us ladke ke saath vo ladki bhi hai. Main khul kar un dono ko nahi dekh pa raha hoon kyunki main nahi janta ke mere saamne jo ho raha hai vo kya hai? Kya mujhe taali bajate hue bahar nikalna chahiye ya filhal jo jaisa chal raha hai chalne dena chahiye main nahi janta. Main un dono ka chehra ab bhi nahi dekh paya hoon. Chandni raat hone ki vajah se un dono ke kapde toh saaf dikhai de rahe hain par chehre chhupe hue hain. Ladki ne kisi purani rajkumari ke jaise kapde pehen rakhe hain aur itni jewellery daali hui hai ke chalte hue chhan chhan ki aawaz kar rahi hai.
[Recording Stops]
[Dari sehmi se bahut dheemi aawaz]
oH god, oh god. Jo main dekh raha hoon janta nahi ke usko sach maanun ya jhooth. Mujhe pehli baar us ladke ki shakal dikhai di. Chehra ab tak isliye saaf nahi tha kyunki uska chehra is tarah se safed tha jaisa white paint kar diya gaya ho. Chandni raat hone ki vajah se mujhe vo safed chehra theek se dikhai nahi de
raha tha.
[Recording Stops]
[Haafne ki aawaz]
Mujhe un dono ne dekh liya hai. Maine apne cell se unki tasveer lene ki koshish ki par flash off karna bhool gaya. Flash ki vajah se un dono ne mujhe dekh liya tha. Main mandir se nikalne ki koshish kar raha hoon.
[Chillane ki aawaz]
OH GOD !!!!!
[Tape recorder neeche girne ki aawaz]....
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Casinar

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

14. PEEPAL

UPDATE 6

Listen dude. I am sorry. Main aap dono ko nahi dekhna chahta tha. Please dont come near me. Stay away. I dont want trouble and i dont want to fight.
Aaaaaahh....huh huh huh huh huh .... no no
What are you? Your face ... your face .....
[Ladki ke hasne ki aawaz]
Hey Bhagwan !!!! Please .... jaane do, kuchh nahi dekha maine ....
[Rone ki aawaz]
Door raho mujhse. Mere kareeb mat aana.
[Kutte ke jaise gurrane ki aawaz]
Dont touch me ... stay away ... go away .... no, no , no ... Aaahhhhhhh
[Dam ghutne ki aawaz]
Please dont ... your hand ... so cold .. so cold ... dont touch me ... so cold .... your face, your eyes ...
[Rone ki aawaz]
Please ... let me go. Main kuchh nahi dekha... Please ... Oh god !!!!! Haaaaa ......
No no no
[Dheere dheere door hoti ghaseetne ki aawaz, ladki ke hasne ki aawaaz, payal ki aawaz, rone ki aawaz]
"Iske baad sab shaant hai sir. Recording hoti rahi aur tape khatam ho gayi par koi aawaz nahi hai" Constable Inspector ki taraf palat kar bola.
"Hmmmm" Inspector uthkar kareeb aaya.
"Uska mobile bhi mila. Us raat ki ye ek tasveer hai khandhar ki. Dekhiye"
Constable ne ek tasveer open karke mobile Inspector ko thamaya.
"Kuchh bhi toh nahi dikh raha"
"Vahan nahi sir. ye saamne talab ke paas dekhiye. Koi nahi khada par pani mein parchhai dekhiye. Ek ladka aur ek ladki. Bilkul vaise jaisa ki usne tape mein bataya hai"
"Tape kahan mila?" Inspector ne puchha
"Mandir mein gira mila sir. Aur uski laash Peepal ke ped ke neeche mili".

THE END.
 
  • Like
Reactions: Casinar

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

15. GUDIYA

UPDATE 1


.
"You wanna show me inside?" Mehra ne ghoom kar meri taraf dekha
"You know wat?I would rather stay out. I can give you the keys so you can go in and look" Maine jeb se chaabhi nikalte hue kaha
"Are you kidding me? Aap mujhe ye ghar bechna chahti hai aur khud mujhe ye keh rahi hai ke yahan bhoot rehte hain? You believe that shit about the house? Aapko seriously lagta hai ke ye ghar haunted hai?" Mehra hasta hua bola
"Bhoot or no bhoot, main is ghar ke andar nahi jana chahti" Maine chaabi uski aur badhayi.
Mehra ne chaabi mere haath se li aur haste hue gardan aise hilayi jaise tana maar raha ho.
30 saal se ye ghar meri property hai. Marne se pehle Dad ye mere naam kar gaye the par pichhle 30 saal se yahan koi nahi raha, ya yun keh lijiye ke maine rehne nahi diya. Mere pati ne kai baar koshish ki is ghar ko bech diya jaaye par ghar ki location aisi thi ke bahar ka koi kharidne mein interested nahi tha aur aas paas ke log toh is ghar ke naam se hi darte the, kharidna toh door ki baat thi.
Meri is ghar se darr aur nafrat ki vajah bas itni hi thi ke is ghar ki har cheez mujhe 30 saal pehle ki vo raat yaad dilati hai jab mere pariwar ki khushiyan is ghar ki kurbani chadh gayi thi. Us raat yahan jo kuchh hua tha uske baad meri Mummy ne apni baaki ki zindagi ek mental instituion mein guzari aur papa ne sharab ki bottle mein.
Kehte hain ke British Raj ke dauran kisi British officer ne England vaapis jaane ke bajay India mein hi rehne ka irada kar yahan pahadon ke beech ek khoobsurat wadi mein ye ghar banaya tha. Logon ki maani jaaye toh ye us officer ki zindagi ki sabse badi galti thi. Kehte hain ke ghar banne ke kuchh arse baad hi ek subah us officer aur uske biwi bachchon ki laashen ghar ke bahar mili thi. Koi nahi janta ke unhen kisne mara tha par laashon ki halat dekh kar yahi andaza lagaya gaya ke ye kisi jungli janwar ka kaam tha.
Ghar ka doosra maalik bhi ek angrez hi tha. Ek mahina ghar mein rehne ke baad vo aur uski biwi aise gayab hue jaise gadhe ke sar se seeng. Bahut koshish ki gayi par un dono ka koi pata nahi chala, laashen tak haasil nahi hui. Ek baar phir ilzaam jungli janwaron par daal diya gaya.
Ghar ke teesra maalik ek Army major tha. Ghar kharidne ke ek mahine baad vo apne kamre ke phanke se jhoolta hua paya gaya. Suicide ki koi vajah saamne nahi aa paayi. Kehte hain ke Major apni zindagi se bahut khush tha aur apne aapko maarne ki uske paas koi vajah nahi thi. Usne aisa kyun kiya ye koi nahi bata paya par uske baad is ghar mein rehne ki kisi ne koshish nahi ki.
Mere pita kabhi bhoot pret mein yakeen nahi rakhte the. Unka maanna tha bhoot, shaitan jaise cheezen insaan ne sirf isliye banayi hain taaki uska vishwas bhagwan mein bana rahe. Ghar unhen kodiyon ke daam mil raha tha aur apna ek vacation home hone ka sapna poora karne ke liye unhone fauran kharid bhi liya. Jab meri maan ne unhen rokne ki koshish ki toh unhone haskar kaha tha,
"Houses dont kill people. People kill people"
Aur phir ek saal garmiyon ki chhuttiyan manane ham log pehli baar is ghar mein rehne aaye. Mere papa ne kaafi kharcha karke ghar ko renovate kiya tha aur us waqt dekhne se lagta hi nahi tha ke ye ghar itna purana tha.
"Saahib meri baat maan lijiye. Vo ghar manhoos hai, vahan jo raha zinda nahi bacha. Kyun aap apne pariwar ki zindagi khatre mein daal rahe hain?" Vo taxi driver jo hamen ghar tak chhodne ja raha tha raste mein bola tha
"Aisa kuchh nahi hota bahadur" Papa ne haskar uski baat taal di "Agar koi marta hai toh uski vajah hoti hai ek. Bevajah kisi ki jaan nahi jaati"
"Aur jo log yahan mare hain uski vajah ye ghar hai saahib. Is ghar mein jo kuchh bhi basta hai, vo nahi chahta ke uske siwa is ghar mein koi rahe" Bahadur ne hamen rokne ki ek aakhri koshish ki thi par Papa ka irada nahi badla.
Meri umar us waqt ** saal thi aur mere bhai ki **. Papa aur Bhai yahan aakar kaafi khush the aur Mummy jo pehle ghabra rahi thi ab Papa ki baaten sun sunkar kaafi hadh tak apne aapko sambhal chuki thi. Rahi meri baat toh ek ** saal ki bachchi ke liye yahi bahut hota hai ke vo apne pariwar ke saath chhuttiyan manane ja rahi hai jahan vo log bahut masti karne wale the. Ghar, bhoot pret in sab baaton se toh mujhe matlab hi nahi tha.
Aur ghar mein aane ke pehle hi din vo mujhe store room mein padi mili thi. Kareeb 2 ft ki vo gudiya jo us waqt meri kamar tak aati thi aur dekhne se hi bahut purani lagti thi. Uski ek aankh nahi thi aur ek taang tooti hui thi.
"What an ugly doll" Mere bhai ne mere haath mein vo gudiya dekhi toh kaha.
"I like it" Maine usko uthakar dhool jhaadte hue kaha aur lekar apne kamre mein chali gayi. Kaash mujhe khabar hoti ke aane wali kuchh raaton mein sab kuchh kis tarah se badal jaane wala tha.....
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

15. GUDIYA

UPDATE 2


Agle takreeb ek hafte tak sab kuchh normal raha. Aisa kuchh nahi hua jiska meri maan ko darr tha. Vo har raat sone se pehle kuchh padhkar hamare uper phoonk maara karti thi. Baad mein mujhe pata chala tha ke vo kisi peer baba ki batayi hui dua tha jisko padhkar phoonk maar dene se bhoot pret ya koi gair-insani koi nuksaan nahi pahuncha sakti thi. Vo pehli kuchh raaton mein mere sone tak mere kamre mein rehti aur raat mein bhi kai baaar aakar dekhti ke sab theek toh tha.
Unhein kya khabar thi ke jis museebat se mujhe bachane ke liye vo itna kuchh kar rahi thi, us museebat ko toh main apne apni bagal mein hi lekar soti thi.
Us gudiya ko dekhne se hi maalum hota tha ke vo kaafi purani thi. Jis tarh ki gudiya aaj kal banayi jaati hain, vo us tarah ki nahi thi. Baal bhi kisi purani zamane ki film ki heroine ki tarah banaye hue the.
Vo kam se kam 2 foot oonchi thi ar us waqt badi aasani se meri kamar tak aati thi. Chehre par kai jagah se ghisi hui thi aur un sab jagahon par kaale rang ke dhabbe bane hue the. Right hand ki 2 anguliyan is tarah se kati hui jaise chaaku se kaati gayi hon.
Pyaar se maine uska naam rakha Guddo.
Maine ghar mein kaafi dhoondhne ki koshish ki thi par us gudiya ki ek aankh mujhe mili nahi. Jab Papa ne dekha ke mujhe vo gudiya kuchh zyada hi pasand hai toh unhone aankh ki jagah ek button chipka diya jo uski doosri aankh se kaafi milta julta tha. Plastic ki uski taang kaafi buri tarah se tooti hui thi par phir bhi unhone use bhi koshish karke kaafi hadh tak theek kar diya.
Ek tarah se kaha jaaye toh vo gudiya kaafi badsurat thi jise shayad koi bachcha apne paas na rakhna chahe par na jaane kyun maine rakha aur har raat bistar mein apne saath hi lekar soti thi.
Hamein aaye ghar mein ek hafta ho chuka tha. Us raat bhi hamesha ki tarah main bistar mein gudiya ke saath leti, meri maan ne kuch padhkar mere uper phoonka aur mera matha choom kar apne kamre mein chali gayi.
Unke jaate hi maine gudiya ko khinch kar apne se sataya aur usse lipat kar so gayi.
Der raat ek aahat se meri aankh khuli. Keh nahi sakti ke aawaz kya thi par ek pal ke liye aisa laga jaise koi hasa ho. Main aadhi neend mein thi isliye aawaz par dhyaan na dekar phir se sone ke liye aankhen band kar li aur phir gudiya ke saath lipat gayi.
Doosri baar jab meri aankh khuli toh mujhe poora yakeen tha ke maine kisi ke bolne ki aawaz suni thi. Main fauran apne bistar par uthkar beth gayi aur night bulb ki roshni mein aas paas dekhne ki koshish karne lagi.
Kamra kaafi thanda ho rakha tha aur thand se main kaanp rahi thi. Kuchh pal baad jab meri aankhen halki roshni ki aadi hui toh mera dhyaan kamre ki khidki ki taraf gaya jo ki poori tarah khuli hui thi. Mujhe achhi tarah yaad tha ke jaane se pehle maan khidki band karke gayi thi kyunki pahadi ilaka hone ke karan raat ko sardi kaafi badh jaati thi aur thandi hawa chalne lagti thi jabki us waqt na ki sirf khidki khuli
hui thi balki parda bhi poora ek taraf khiskaya hua tha.
Main uthkar bistar se utri aur khidki tak pahunchi. Vo ghar kaafi purana tha isliye purane zamane ke ghar ki tarah hi us kamre ki khidki bhi kaafi badi aur thodi oonchai par thi. Height mein chhoti hone ki vajah se mere haath khidki tak nahi pahunch rahe the. 2-3 baar maine uchhal kar khidki tak pahunchne ki koshish ki magar kar na saki.
Haar kar maine apne chaaro taraf dekha. Kamre mein bed ke paas ek chhota sa stool rakha tha. Maine andaza lagaya toh uspar khade hokar mere haath bahut aasani se khidki tak pahunch sakte the. Main stool uthane ke liye bistar ki taraf badhi hi thi tabhi mera dhyaan apne bistar ki taraf gaya.
Sote waqt jo gudiya mere saath mere bistar par thi vo ab vahan se gayab thi.
Maine ek nazar neeche zameen par daali ke shayad vo sote hue mere haath lagne se neeche gir gayi ho par gudiya ka neeche bhi koi nishan nahi tha. Main apne ghutno ke bal neeche bethi aur bistar ke neeche dekhne lagi.
Gudiya toh nahi mili par tabhi mere kamre ke darwaze par halki si aahat hui jaise koi darwaza kholne ki koshish kar raha ho. Us ghar ke darwaze kaafi bade aur bhaari thi, itne ke kabhi kabhi toh mujhe bhi koi darwaza kholne mein pareshani hoti thi. Darwaza kamre ke andar ki taraf khulta tha aur Us waqt aa rahi aawaz ko sunkar aisa lagta tha jaise koi darwaze ke us paar khada kholne ki koshish kar raha ho.
Ek pal ke liye meri jaise jaan hi nikal gayi aur par phir agle pal dhyaan aaya ke vo shayad meri Mummy thi jo aadat ke hisab se raat ko kai baar mere kamre mein mujhe dekhne aati thi. Main rahat ki saans li aur khisak kar bistar ke neeche se nikal hi rahi thi ke darwaza ek jhatke se poora gaya.
Main ab bhi bistar ke neeche hi thi jab maine darwaze ki taraf dekha. Darwaza poora nahi khula tha, sirf thoda sa jitna ke andar dekhne ke liye kaafi ho. Aur darwaze ke pichhe se ek jana pehchana chehra kamre ke andar jhaank raha tha. Guddo ko chehra. Jaise vo kamre ke andar jhaank kar ye tasalli kar rahi ho ke main ab tak so rahi hoon.
Mujhe achhi tarah yaad hai ke vo poori raat maine yun hi bistar ke neeche rote hue guzari thi aur agli subah mujhe sardi se bukhar chadh gaya tha.....
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

15. GUDIYA

UPDATE 3


Agle din maine puchha toh mujhe bataya gaya ke gudiya neeche ke kamre mein sofe par bethi hui mili.
Drawing room mein TV on tha jiske liye Papa uske lakh inkar karne par bhi mere bhai aur Mummy ko hi zimmedar maan rahe the.
"Raat ko 9 baje ke baad koi TV nahi aur jaane se pehle TV band karke jaya karo" Maine Papa ko Bhai par chillate hue suna.
Doctor aaya aur mujhe dawai dekar chala gaya. Bukhar kaafi tez tha aur main poori subah apne kamre mein bistar par hi rahi.
"Aur ye hai meri pyaar gudiya ki guddo" Kehte hue Papa gudiya haath mein liye mere kamre mein daakhil hui.
Aur us gudiya ko dekhte hi fauran mere dimag mein kal raat ki yaad taza ho gayi ke kis tarah vo darwaze ke pichhe khadi mere kamre mein jhaank rahi thi. Darr ke maare mere munh se cheekh nikal padi aur main paas bethi Mummy se lipat gayi.
"Arrey kya hua?" Kehte hue Papa fauran haath mein thaame meri taraf badhe aur main is tarah se cheekhne lagi jaise vo koi saanp haath mein la rahe ho aur munh mummy ke pallu mein chhupa liya.
Thodi der ke liye kisi ko kuchh samajh nahi aaya par mera bartav dekh kar Mummy samajh gayi aur papa ko ishare se gudiya door karne ko kaha.
"Kya hua beta? I thought you liked it" Papa ke jaane ke baad unhone pyaar se mere sar par haath pherte hue kaha.
"She is alive" Maine subakte hue kaha "I saw her walking last night"Aur uske baad maine kal raat ki poori baat unhein batayi. Ke kis tarah mere kamre ki khidki khuli hui thi, aur kaise vo gudiya darwaza khol kar kamre se bahar nikal gayi thi.
"TV usne on chhoda tha mummy" Maine unhein samjhana chaha "Vo mere kamre se nikal kar bahar gayi aur TV on karke khud TV dekh rahi thi. Aur kamre ki khidki bhi usne kholi thi"
Meri baat sun kar maan has padi.
"Aisa kaise ho sakta hai bachche? Vo chhoti si gudiya itni badi khidki kaise kholegi? Us khidki tak toh aapna haath bhi nahi pahunchega"
"Toh khidki kaise khuli?" Maine puchha
"Main bhool gayi thi khidki band karna. Aise hi apne kamre mein chali gayi aur meri pyaar bachchi bimar pad gayi. Aur vo Gudiya TV dekh kar kya karegi?" Unhone haste hue kaha par main jaanti thi ke vo mujhe behlane ke liye jhooth bol rahi hain.
Thodi der baad Papa mere kamre mein aaye aur unhone bataya ke vo Gudiya ko ghar se bahut door phenk kar aa gaye hain.
"Ab aapko darne ki koi zaroorat nahi"
"Vo vaapis aa gayi toh?" Maine phir bhi darte hue puchha
"Ham use vahan door khaayi mein phenk kar aaye hain" Papa ne kaha "Aur vo gudiya toh vaise bhi langdi hai, Chahe bhi toh itna door nahi chal sakti. Aur phir aapke kamra bhi toh 1st floor par hai na. Aapke kamre ki sidhiyan vo langdi gudiya kaise chadhegi bhala?"
Main unki baat sunkar has di par phir bhi dil ko jaise tasalli nahi hui.
"Maine aapke saath so jaoon please?" Maine unse puchha
"Mummy yahan aapke kamre mein aapke saath soyegi" Mummy ne bed par mujhe apne kareeb khinchte hue kaha
"Aur vaise bhi toh aapki tabiat kharab hai na bachche. Ham aapko akela kaise sone de sakte hain?"
Poora din mere bukhar mein koi tabdeeli nahi aayi jiska nateeja ye hua ke main bistar se uth hi nahi paayi. Dawaiyan khaaye main bed par padi poora din soti rahi.
"Aap aaj mere saath soyengi na?" Maine dinner table par maan se puchha. Shaam hote hote mera bukhar kaafi kam ho chuka tha isliye raat ke dinner ke liye Papa mujhe uthakar niche hi le aaye the. Mujhe darr tha ke kahin ye soch kar ke mera bukhar utar gaya hai, Mummy mere saath sone ka apna irada badal na den.
"Haan ji beta" Maan ne jawab diya "Mummy aapke saath hi soyegi"
Aur aisa hua bhi. Us raat jab main soyi, toh mera sar maan ki bagal mein tha. Main poora din soyi thi isliye maan ke sone ke baad bhi kaafi der tak jaagti rahi thi. Aur jab soyi, toh aisi kachchi neend ke halki si aahat par bhi meri aankh khul jaati thi. Aur jaise hi meri aankh khulti, main sabse pehle Mummy ko dekh kar ye tasalli karti ke vo ab bhi mere saathi hi hain aur uske baad doosri tasalli ye karti ke
darwaza khula hua nahi hai.
"Vo langdi guidya bhala kaise aapke kamre ki sidhiyan chadhegi?" Mujhe papa ki kahi baat yaad aati toh thoda hausla aur mil jata.
Raat yun hi aankhon aankhon mein aur jaagne sone ka khel karte hue guzar rahi thi.....
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,000
42,941
354
PAAP

15. GUDIYA

UPDATE 4.


Aisi hi ek aahat par meri aankh phir khuli. Har baat ki tarah is baar bhi sabse pehle maine mummy aur phir darwaza band hone ki tasalli ki. Phir mera dhyaan us aawaz ki taraf gaya jiski vajah se meri aankh khuli thi.
Aawaz darwaze ki taraf se aa rahi thi. Main darr se seham gayi aur Mummy ka haath thaam liya. Aahat ek baar phir hui toh mujhe yakeen ho gaya ke aawaz darwaze ki bahar se aa rahi thi.
"Ek ......"
Aawaz phir aayi toh is baar mujhe saaf sunai di. Badi ajeeb si aawaz thi jaise koi haanfta hua bol raha ho.
"Do ......"
Aawaz ke saath saath saans ki aawaz bhi saaf sunai de rahi thi jaise koi bahut bhaag kar aaya ho aur badi mushkil se chal pa raha ho.
"Teen ......."
Aur iske saath hi Papa ki kahi baat bhi jaise ek baar phir mere kaan mein goonj uthi.
"Ham use bahut door phenk kar aaye hain beta ..... aur vaise bhi, langdi gudiya aapke kamre ki seedhiyan kaise chadhegi?"
"vo MERE KAMRE KI SEEDHIYAN CHADH RAHI HAI .... VO VAAPIS AA GAYI HAI !!!!!" Mere dimag mein jaise bomb sa phata.
"Chaar ......"
Aur iske saaath hi maine bagal mein leti apni maan ke kandhe ko pakad kar zor zor se hilana shuru kar diya.
Thodi der baad hi subah ki halki halki roshni chaaro taraf phel gayi par hamare ghar mein sab log jaag chuke the.
"Maine kaha tha na ke yahan mat aao. Kuchh hai is ghar mein" Bahar Mummy Papa ke saath jhagda kar rahi thi.
"Oh come on !!!" Papa ne jawab diya "Tum bhi kya bachcho ki baaton mein aa gayi. Vo ek chhoti bachchi hai aur dari hui hai"
"Jo bhi hai par kya tumne nahi dekha ke darr ke maare us bechari ki halat kaisi ho rakhi hai? Bukhar mein kaanp rahi hai vo. Darr ke maare uska gala beth gaya hai. She can barely speak"
"Doctor ko bula bheja hai maine" Papa ne jawab diya
"Baat Doctor ki nahi hai. I dont wanna stay in this house anymore. Lets go back"
"And ruined our vacation?"
"Is your vacation worth the life of your daughter?"
Is baat ka shayad Papa ke paas bhi koi jawab nahi tha. Kuchh pal ke liye khamoshi chha gayi.
"All right, we will head back tomorrow" Unhone Mummy ki zid ke aage hathyaar daalte hue kaha.
Main badi mushki se apne bed se uthi aur darwaze tak aayi. Darwaza kholkar maine apne kamre ke bahar ki seedhiyan gini. Poori 11 seedhiyan.
Raat ki aawaz ki taraf maine phir se dhyaan diya. Seedhiyon par koi nishan toh nahi the par mujhe yakeen tha ke vo aawaz us gudiya ke ghisatne ki thi. Vo langdi thi aur apne ek paon ko khinchte hue seedhiyan chadh rahi thi.
Maine fauran darwaza band kiya aur aakar bed par let gayi.
"We will head back tomorrow" Papa ki kahi baat ne mujhe tasalli toh di thi par ek bada sawal ab bhi baaki tha. Aaj ki raat kuchh hua toh?
"By the way, vo gudiya hai kahan?" Mummy ki bahar se phir aawaz aayi
"I threw it in the basement"
Vo ab bhi ghar mein hai? Vo phir aayi toh? Vo basement se nikal aayi toh? Papa ne toh kaha tha ke phenk aaye use? Isliye vo kal raat mere kamre mein aana chah rahi thi kyunki vo ghar mein hi hai?
Mere dimag ne jaise hazaro sawal utha diye aur mujhe Papa par gussa aane laga....
 
Last edited:
Top