Update 60
Vijay ne uss se haath milaya baghair uss se kahe ke yeh ‘Aisha’ naam usski zindagi ka ek ehem hissa hai. Naukri ka pehla din tha aur Vijay iss Aisha ko utna nahin jaanta tha to apne bare mein ziada kuch nahin bataya. Vijay ka din shuru huwa uss nayi imaarat mein aur woh Aisha ke bagal mein baitha kaam ke bare mein sikhta gaya aur apne taraf se jo ban pada kiya.
Yeh Aisha bahot hi modern thi aur ussne ek two piece pehni huwi thi upar se ek dark blue coat. Usski skirt thik ghutnon tak reach hota tha aur jab baithti thi to ghutne ke upri wala hissa nazar atey the aur woh bahot hi gori bhi thi. Usski baal sidhe lambe jeise chineese logon ke baal hotey hein weise the. Usski chehre par hamesha ek chota sa muskaan huwa karta tha aur bahot achchi thi woh. Usski awaaz narm, aur meethi thi…Vijay ko bahot achcha laga usski sanghat….. jab ke Vijay ko usske bilkool nazdeek baithkar apne aur usski PC par kaam karna tha to Vijay bahot hi kareeb tha uss Aisha se physically aur Vijay ki nazar har waqt usski ghutnon ke upar jata tha…. Magar hamara Vijay sirf apni Aisha ko sochta tha iss Aisha ki jism ko dekh kar…… ab jab ke kal raat Vijay Aisha se humbistar hone wala tha to jism ki aag tazaa tha aura iss Aisha ka jism Vijay ke saamne tha aur usski chaati bhi kabhi kabhi desk par jhukhne se Vijay ko disturb kar raha tha….
Vijay ne socha pehla hi din eisa hai to aguey kia hoga? Apna sar khujane laga Vijay aur lambi sensein lekar chorr raha tha tab Aisha ne poocha, “Kia huwa? Kuch disturbed lag rahe ho, any problem?” Vijay laal hogaya jab ussne weisa poocha to, magar Vijay ne kaha koyi problem nahin hai……. Yeh Aisha bahot khule mizaaj aur narm dil thi, aur Vijay eisi achchi ladki ke saath kaam kar raha tha ussko yakeen nahin ho raha tha ke usski kismat mein yeh sab bhi likha hoga……. Vijay apni ghar wale Aisha ke bare mein soch raha tha aur ek baar uss ne office wale Aisha se poocha, “Kia main personal email kar sakta hoon?” Iss Aisha ne kaha of course kar sakta hai……. Aur yeh bhi kaha ke office ke hi email address use kar sakta hai.
To Vijay ne apni Aisha ko ek chota sa email likha. Email mein apne nayi naukri ke bare mein kaha aur office ki logo aur banners ko present kiya Aisha ko uss email mein aur aakhir mein yeh likha, “Tum yahan bhi mera saath nahin chorti…agayi ho yahan bhi mera saath dene ke liye, mere bagal mein baithi ho, bahot khubsurat dikh rahi ho aur mera help kar rahi ho…….”
Office wale Aisha ne zara sa Vijay ke PC par nazar daali to usski nazar Vijay ki PC par usski ki email receipient par padi aur ussne dekha likha hai,
to yeh Office wali Aisha ko ajeeb laga aur Vijay ke chehre par thoda heyraan thodi khush nazar se dekhtey huwe poocha, “Hmmm, to Aisha ko email kiya ja raha hai? Tum bhi kissi Aisha ko jaante ho huh? Mujhe laga ke tumko mera email ID keise milgaya hehehe!” Vijay ne sirf sar jhukaye huwe ek chota sa muskuraahat di iss Aisha ko. To Aisha Vijay ke chehre ko dekhta raha kuch der tak, Vijay ne apne computer par nazar kiye huwe feel kiya ke Aisha ussko dekhey jaa raha hai…aur apni enkhon ko thoda sa teerchi karke dekha bhi to sach mein Aisha ussko dekhe hi jaa rahi thi lagaataar…… Ab shuru mein to main ne kaha hai ke Vijay bahot handsome, aur kaabil ladka hai….ekdum hero dikhta hai aur usski ek electric personality tha…woh physically achchah dikhta bhi tha aur uss mein kuch khaas tha jo kissi ko bhi ussko dekhne par majboor karta tha…. Ek electrifying presence tha Vijay mein….. jab woh uss office mein interview ke liye bhi enter huwa tha to woh adher lady aur sahab ne ek dusre ko dekha tha aur phir Vijay ko…kyunke Vijay mein kuch ajeeb dikhta tha, ya weisa ek presence tha uss mein jo kissi ko bhi apne taraf khinchta tha woh chahe ladki ho ya ladka…. Matlab Vijay ki personality mein ek kashish thi, jab woh khada hota tha kissi ke bhi saamne to pehley to saamne wale ko apna sar uthana padta tha ussko dekhne ke liye, aur jab nazar Vijay ke chehre par jata to wahan se hatta nahin, usski enkhon mein ek jadu tha, usski baal bahot achey the, usski muskaan bhi aur jab Vijay muskurata tha to usski dant bahot khub surat dikhtey the aur usski smile ko chaar chaand lagate the. Issi liye Aisha ussko kissi ladki se muskurane se mana kiya karti thi…..
To Office wale Aisha jab ke Vijay ko ghurr rahi thi Vijay ko disturbance huwi aur woh mudkar usski taraf sawaali nazron se dekha to Aisha muskuraayi aur sirf kaha,«okay carry on»…Jab Vijay ne mail send kar diya tab Aisha ne baat ki, «Kaun hai yeh yeh Aisha jissko pehle hi din tum Mail karne ko impatient ho gaye itna ? hmm ? Girlfriend hai ?» Vijay hichkicha raha tha batane ko magar phir bhi kehdiya, «Hmmm meri zindagi ka ek bahot ehem hissa hai yeh !» To iss Aisha ne apna kaam rok kar phir se Vijay ko dekhne lagi usske chehre par kuch sochtey huwe…aur Vijay ne phir ussko dekha sawaal karte huwe nazron se tab Aisha ne kaha, «Kia tum shaadi shuda ho Vijay ?» Vijay ne hanskar jawaab diya, «Oh no!! nahin nahin abhi tak to nahin….” Phir Aisha ne mazaakiya style mein kaha, “Hmm to phir mera chance hai kyun ke main bhi kunwari hoon!” Aur donon hansne lagey……
Yeh office wali Aisha umar mein Vijay se do saal badi thi magar dekhney mein Vijay se bahot choti lagti thi aur jawaan bhi, ladki jo thehri…. Aur isski zindagi mein bhi ishk ka toofaan aya aur bahot kuch ujaar kar chale gaye iss liye yeh Aisha bhi muhabat ke naam se darti hai….. pichley 5 saalon se apne aap ko ishk ke bhanwar se nikaal kar bade mushkil se apne aap ko sambhala huwa hai aur ab saahil par ponchi hai zindagi ki…… To Vijay se baatein karte waqt Office wale Aisha ki enkhen bhar aayi apne ishk ko yaad karke kuch seconds ke liye, aur Vijay ko woh dikh gaya aur heyraani main Vijay ne poocha, “Kia huwa? You are crying?” Aur Aisha ne yunhi sar hilaatey huwe uthke office se nikal gayi….. of course rone gayi kissi bathroom ke kone mein apne pyar ki yaad mein….. Vijay udaas hogaya aur jab Aisha wapas ayi to Vijay ne zid ki ke woh ussko batayein ke kia baat ho gayi…..
To Vijay ka pehla hi din office mein eisa guzra ke jiss ke saath kaam karna shuru kiya kareebi dosti ho gayi aur ek jazbaati rishta bhi kaayam huwa is Office wale Aisha aur Vijay ke beech kyun ke jab Vijay ne poocha kyun woh ro rahi thi to dubara rote huwe Aisha ne bataya ke woh ek ladke se pyar karti thi, behad pyar aur panch saalon tak woh donon ek saath the aur thik jab shaadi ka din kareeb aya to ek accident mein woh ladka mara gaya!!.....Aisha yeh kehte kehte itna royi, ke Vijay ko ussko apne baahon mein lekar usska sar sehlana pada aur khud Vijay ke ensoo nikal pade kismat ke iss nirday faisley aur maar par…… Aisha apne beete huwe dinon ko yaad kar kar ke, Vijay ko sab samjhata gaya aur uss ke enkhon se ensoo nahin ruk rahe the….. to koyi ek ghante tak donon ne personal baatein ki, aur iss tarah Vijay ne apne bare mein aur Vinod chacha aur Aisha ke bare mein bhi bataya….. to donon ki dosti gehri ho gayi aur office se nikalte waqt donon ne ek dusre ko hug kiya aur gaalon par kiss bhi….. yeh dosti wala kiss woh wala nahin….. Vijay bahot khush ghar wapas aya bus Office wali Aisha ke liye ek chota sa gham tha dil mein par usska pehla din bahot achchah guzra ek achchi naukri bhi mili aur Aisha ke roop mein ek bahot achah saathi bhi…..
To be continued…………………
Last edited by a moderator: