Update 62
Vijay ka baap bahot disturbed aur ghusse mein tha halaan ke ussko pata tha Anna sab jhoot bol rahi hai. Vimal ko bahot baat sunni padi ke ussne keisi awrat ko ghar mein laya hai……. Vimal ne kaha Vijay ke ane par agar baat jhoot saabit huwi to Anna ki khair nahin…….
Pooja ke papa ne kaha, “Iss baat ko khatam karne ke liye ek hi raasta hai, aur woh hai Pooja ki jald se jald shaadi. Kissi achey ladke ko dekh kar usski shaadi kardeni hai ab, main aur kuch nahin sunna chahta.” Pooja yeh sunkar aur bhi rone lagi kyunke woh abhi shaadi nahin karna chahti thi. Uss ne Vijay se kaha tha woh Vijay ke shaadi hone ke baad shaadi karegi…..aur ab ek zabardasti ki shaadi se Pooja bahot udaas aur pareshan thi….. Woh pray kar rahi thi ke jaldi se Vijay aye aur koyi raasta dhunde iss baat ki.
Aakhir Rhanveer lane mein Vijay ki entry huwi, aur lane ki shuruwaat se Vijay ne dekh liya ke Anirud chacha aur chachi uss ke papa
ke saath terrace par khade hein, Vijay ka dil zor se dhadka ke kahin koyi ghatna na ghati ho ghar mein, jeise ke koyi bimaar ho ya kissi kisam ki accident….. Ussne apne kadmon ki raftaar ko tez karte huwe terrace tak gaya aur sawaali nazron se apne pita aur chacha ko dekh rahe the….. Anirud chacha ne muskurate huwe kaha, “Keisa hai mera hero?” Vijay kaafi tense tha par poocha, «Kia baat hai chacha koyi problem hai kia ?» Vijay ka baap ussko ghuse bhari nazron se dekh raha tha to Vijay ne uss se poocha, «Kia huwa ? kuch huwa kia ?» Yeh poochtey huwe ek nazar Vijay ne lounge ke andar dawdaye to dekha Pooja ki enkhen laal hai aur woh bhi Vijay ko ek ajeeb tarike se kuch darri huwi dekh rahi hai…..
Vijay andar gaya lounge mein tab Pooja zor se rote huwe Vijay ke paas aya aur kaha, «Bhai dekho yeh Anna kia keh rahi hai hum donon ke bare mein !» Vijay ne bahot heyrani se poocha, «Hum donon ke bare mein ?? Kia ? Kyun ro rahi ho tum, kab se ro rahi ho ke tumhari enkhen laal hai ?»
Aisha ko bhi Vijay ka intezaar tha aur jab ussko pata chala ke Vijay agaya hai to woh bhi apni maa ke saath Vijay ke yahan aayi. Jab Vijay ne dekha ke Aisha uss ke yahan aayi apni maa ke saath to khud ko pata nahin ke khush howe ya pareshaan…. Tab Vijay ne socha shayad uss raat ko Pooja ne jo help kiya tha Aisha ke yahan khirki se andar jane ke liye issi baat ka khulassa huwa hoga issi liye Pooja ko involve kiya gaya hai, uss ne socha agar yeh baat hogi to woh sab sambhaal lega….. Magar Aisha ne Vijay ko dekhtey hi kaha, «Mujhey Bhagwaan par utna vishwaas nahin jitna tum par hai Vijay, to jo bhi tum kahoge main Bhagwaan ki baat samajhkar yakeen karungi aur mujhe pata hai ke jo kuch bhi Anna ne kaha sab jhoot hai, be bunyaad hai.» Vijay ab tak heyraan tha aur chilla kar kaha, «Koyi mujhko batayega ke baat kia hai ? »
Anirud chacha aur Vijay ka baap andar aye aur Vijay ko baithne ko kaha. Anirud chacha ne baat ka khulasa kiya…… jab baat Vijay ko bataya gaya, To Vijay ghusse mein utha aur Vimal ke saamne Anna ke baalon ko khinctey huwe ek bahot zor ka thapad maarkar poocha, «What the bloody hell are you talking about? What the fucking rubbish words did you say ?» Anirud chacha jaldi se uthkar Vijay ke panjon se Anna ko churaya aur Anna zor zor se rote huwe kehti gayi, «han tumhari behen tumhara rakhel hai, tum sote ho raat ko apni behen ke saath, woh bina bra ke nighty mein tumhare saath soti hai to kitna enjoy karte ho tum donon ? Iss ghar mein sab andhe hein kissi ko kuch nahin dikhta magar mujhe pata hai sab!”
Yeh sunkar Vijay ka muh khula reh gaya aur ek nazar Aisha ko dekha phir Pooja ko dekha aur sofe par baith gaya apne peshaani ko haathon mein liye! Vimal ne Anna ko khinch ke do zor ke thappad mare aur woh apni kamre mein chali gayi……
Vijay ne chillaate huwe kaha, “Main apni maa baap ke kassam khakar kehta hoon ke mere aur meri behen ke beech eisa kuch nahin hai, woh meri laadli behen hai bahot pyar karta hoon uss se, meri humraaz hai woh….. “ Vijay yeh itne kehtey huwe rone laga, usske awaaz tut gayi aur enkhon se ensoo jaari hogae… Phir ussi haalat mein Vijay ne Aisha ko dekhtey huwe kaha, “Tum to mera yakeen karti ho nah Aisha, yeh sab jhoot hai, meri Pooja pavitra hai, uss masoom par eisi ghinawni ilzaam kyun? Hum bhai behen ke pavitra rishte par eisa pahaar kyun toot pada aaj, ari oh Pooja kia hogaya ri?” Vijay bahot ro raha tha aur Aisha jaldi se Vijay ke paas aayi aur usske sar ko apni baahon mein lekar sehlaayi aur sab logon se zor se kaha, “Main ne kaha na ke agar Bhagwaan kuch kehta to shayad main utna yakeen nahin karta jitna yakeen mujhko Vijay ki baton par hai… Vijay nirdosh hai aur Pooja bhi…. Baaki aap log decide karein!” Pooja bhi Vijay ki baahon main agayi aur Anirud chacha aur Vijay ka baap khaamosh dekhte rahe……
Vimal ne sab dekha aur suna, aur uss ne kaha, “To ab aap log mera faisla sun lijiye sab! Main Anna ko chor raha hoon nahhin chahiye eisi awrat iss ghar mein jo hamare pyar ke rishte par ilzaam lagaye, i am divorcing her right now…. » Yeh keh kar Vimal apne kamre mein gaya aur thodi hi der baad Anna ko ghasittey huwe ek haath mein ek suitcase liye jissmein Anna ke saamaan the kamre se nikal raha tha… bade buzurgon ne ussko rokne ki koshish ki magar Vimal ne ensoowon ke saath kaha, “Iss ne mere chote bhai Vijay aur choti pyari behen par jhooti ghinawni ilzaam lagaya, Vijay kabhi jhoot nahin bolta, ussko bachpan se jaanta hoon woh kabhi ghalat ho hi nahin sakta to kyun iss kuttiya ne eisi gandi baat kahi inn donon masoomon ke bare mein? Nahin chahiye eisi awrat mujhko, bhaar mein jaye ye main issko uss ke maa baap ke paas chor kar ata hoon aur kissi ko kaq nahin mujhe rokne ko kehdeta hoon han!!”
Yeh kehkar Vimal chala gaya iss fasaad ki jar ko ukhaar pheikne ke liye. Magar Vijay ke papa ne kaha, “Sunon Vijay chalo thik hai hum sab ko pata tha pehle hi se ke woh jhoot bol rahi hai, magar ab iss liye ke yeh baat ussne pata nahin kitne logon se keh diya hai, raah chalte logon ko rok rok kar raaste mein yeh baat pheylaati thi…tumhare Anirud chacha ne dekha suna… aur logon ne Anirud chacha se poocha ke kia yeh baat sahi hai?? To iss liye mera yeh rae hein ke ab Poja ki shaadi jitna jaldi ho sake kardeni chahiye iss se pehle ke yeh baat aur logon tak ponhchey….”
Vijay iss baat ko sunkar apne sar ko zameen ke taraf jhukaye baith gaya ….kuch der baad sar uthakar Pooja ko dekha aur woh roti ja rahi thi….. Phir Vijay ke papa ne kaha ,“Hai ek ladka meri nazron mein kal usske maa baap se baat karta hoon, tab Anirud chacha ne bhi kaha, “Mere nazar mein bhi ek ladka hai, kaho to wahan baat chalawun?” Vijay kuch der soch mein par gaya phir achaanak khada huwa apne mobile par koyi number talaash raha tha aur apne papa aur chacha se kaha, “theherye aap log ek minute abhi main aap logon ko jawaab deta hoon……” ek number dial kiya Vijay ne terrace par gaya baat karne, yeh kehte huwe sunayi di andar jo Vijay keh raha tha mobile par, «Han yaar, acha abhi tak nahin mili ? Ghar par hai abhi? Abhi ata hoon mera wait kar please.”
Vijay wapas lounge mein gaya aur apne chacha aur papa se kaha, “Koyi ladka dekhne ki zaroorat nahin, ladka milgaya, main thodi der mein ussko lekar ata hoon, Pooja ko tayyar karo jaldi se, woh ussko dekhne araha hai mere saath»
To sabhi ko yaad hoga Vijay ka ek lecturer hai Anand jissko ek ladki ki talaash hai shaadi ke liye …. Ussko ek eisi ladki chahiye thi jo ziada padhi likhi nah ho, jo naukhri nahin karna chahe balke jo ghar ko sambhaale aur bachon ki dekh bhaal kare…. Vijay ne ussi Anand ko phone kiya aur poocha kia ussko ladki mil gayi aur uss ne kaha nahin, to Vijay ne uss se kaha usska wait kare woh uss ko lene araha hai ladki dikhane ke liye…….
To be continued………………………………