• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Zaroori To Nahi...

Kya Aplog Story me Romantic/ Kisi bhi tarah ka Sex Scene padhna chahenge jo storyline ko strong kare

  • Haan, kaisa bhi chalega

    Votes: 8 38.1%
  • Haan but sirf Romantic

    Votes: 10 47.6%
  • No, Bilkul nahi

    Votes: 3 14.3%

  • Total voters
    21
Status
Not open for further replies.

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Last edited:

aalu

Well-Known Member
3,073
13,048
143
yeh batak jaisi chonch waali jyada samajhdar hain iss brand kee dukan se.... iss wakt smriti ko dr.. kee jaroorat hain na kee iske bahas kee... khair shoiab kahan watak liya... wo bhi ghayal tha itni jaldi theek bhi ho gaya... waise mata smriti coma se uthne ke baad bara adhyatmik ho gayee hain "ahimsa parmo dharmah"... prada aur iss chomu ko larte dekh ke bachhi se raha na gya lagta hain.... isliye lagta hain yahee pe dharmchakra parivartan karegi inka....

"Aye hero... Get up... Utho..." toh iss prada waali ko Sasha! mam ne bata diya hain kee yahee chomu hero hain...
yeh suman ne chonch khola toh bhaiya bhaiya nikla jabki didaji didaji nikalna chahiye tha... :D ...

iss brand factory ko jhelne wala bahadur kaun hain... yeh toh direct dhamkee deti hain shaadi cancel ka jaise ehsan kar rahi ho shaadi kar ke...:D
aur ga###d marwane jaisa adhunik kaam se bhi parichit hain.... bechara...

yeeh kaabir ne anubhav ko aankh maari badle mein anubhav ne usko jeebh dikhaya aur iss ghanghor sangram ka ant karne ke liye chhugandha mishra ko beech mein aana para...:D...

to yeh wo bahadur hain isiliye smriti ko ispe iss sugandha pe biswas tha,,, ab bhai kee maal thee toh itna toh banta hain... waise thora larne deti dono ko iss chomu kee doo daant tuuti aage waali aur thori aankh bhaingi ho jaati toh aur handsome dikhta...:crazy2:... bilkul iske tarah...

tab toh jaa ke smriti iske aage hulu hulu karti.....
 
10,045
41,976
258
जैसा कि मुझे लगा था वो दोनों उसी खुफिया फार्मेसी में जायेंगे , वही हुआ । चूंकि दुकान भी फार्मेसी का है तो स्मृति के दवा और इलाज में कोई असुविधा नहीं होगी ।
लेकिन शोयेब कहां रफूचक्कर हो गया ? इतनी जल्दी स्वस्थ कैसे हो गया ? और उसकी रिपोर्ट कबीर ने किसको , क्या और क्यों की ? ऐसा क्या किया शोयेब ने ?
स्मृति की हालत अभी भी नाजुक बनी हुई है । और इस घड़ी में उसका " अहिंसा परमो धर्म " कहना भी समझ में नहीं आया ।
एक और सवाल - सुगंधा कबीर को कहां और क्यों ले जाना चाहती है ? क्या आपने मंगेतर अनुभव से मिलवाने ? लेकिन क्यों ?

इस अपडेट में सवालों की झड़ी लग गई है ला मुजेर मैम । देखते है नेक्स्ट अपडेट में इन सवालों के क्या जबाव मिलते हैं ।

बहुत ही बेहतरीन और आउटस्टैंडिंग अपडेट मैम ।
 

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
Chapter 2: Wo ladki Kahan hai?


Update 11



"Kya ab hum log andar chal sakte hai... Ya sara drama yehi karna hai tum dono ko"

Sugandha ne chuppi todte huye kaha... Anubhav abhi bhi meri taraf utni hi khunnas se ghur raha tha... Aur uski ankhon ki nafrat ab mera bhi dimag kharab kar rahi thi...

Par hum dono me se kisi ne kuch nahi kaha... Aur hum log Sugandha ke sath upar chale gaye...

Sugandha ke pass flat ki chabi thi... Building ke teesre maale par ek bedroom ka flat tha... Flat me ghuste hi jis baat ne mera dhyan khicha wo ye tha ki flat me ek alarm system install kiya hua tha jo ki filhal disabled tha... Aesa lag raha tha maano is flat ki finishing jaldbazi me ki gayi hai... Flat ka darwaza khilte hi ek chota living room tha... Halanki wo itna chota tha ki room kehna mushkil hai... Baju me kitchen aur samne ek chota sa bedroom jisme ek kone me ek jane ke sone layak ek bistar rakha hua tha...

Kamra kuch dino se band tha shayad... Isliye ek dhul aur silan mili hui badboo hum sabko pareshan kar rahi thi... Living room me kuch chairs rakhe huye the... Jisme se ek par Sugandha baith gayi aur usne cigarate jalate huye hum dono ko bhi baith te huye kaha...

"Anubhav... Please... Apna gussa chhodo aur humari madad karo wo pendrive dhundne me... Kabir ne wo packet surakshit dhund liya hai... Aur hume un ladkiyon ka pata tabhi laga sakte hai jab hum un documents ke data ko decrypt kar lenge...

Dekho personal mamlo ko bhul jao... Is waqt tum dono ko sath me kaam karna hoga"

"Bullshit!!! Tumne mujhe ye sab kehne ke liye yaha bulaya hai Sugandha?"

Anubhav guuse se aag babula ho raha tha...

"Ye khuni hai... Aj Smriti ki ye halat isiki wajah se hai... He is a fucking murder"

"Smriti ki ye halat meri wajah se nahi... Blaki tumhari wajah se hai..."

Anubhav meri baat se ekdum jal utha aur apni chair se uth kar meri taraf badha... Mai abhi bhi shant baitha hua tha aur maine shant tarike se apni baat rakhi thi...

Par Anubhav apne gusse ko sambhal nahi paya aur mere upar hath uthane ki koshish ki... Mai palak jhapakte hi apni chair se utha... Uska nishana chuka to wo thoda lad khada gaya... Maine usika fayda uthate huye uspar ek mukkar jad diya...

"Kya ye sach nahi... Ke us party me kya ho sakta hai uska andaza pehle se tha?"

Wo mere mukke se ubhar nahi paya tha... Lekin meri baat use mukke se bhi jyada chotil kar gayi... Uska gussa palak jhapakte gayab ho gaya... Mai ab bhi shant tha... Lekin uske chere par kayi jasbaat... Dukh lachari bebasi ka toofan umar raha tha...

"Are you mad or what?"

Sugandha mujh par chekhte huye Anubhav ki taraf age badh gayi aur use uthne me madad karne lagi...

"Usdin kya tha tumhara resonse time Anubhav? 8 minute? 10 minute? Koi andaza hai tumhe..."

Sugandha aur Anubhav ab tak meri taraf hairani bhari nazron se dekh rahe the...

"6 minutes and 56 seconds... Maine count kiya hai... Har us pal ko jab Smriti ki jaan khatre me thi...

Tum ek executive officer ko ek dengerous situation me dalte ho... Aur jo officer uski hifazat ki duty par hai... Use situation kya ho sakti hai uski jankari bhi nahi dete?

Isliye aj jo Smriti mauth se jung lad rahi hai... Uske zimmedar tum ho... Balki mai nahi"

Maine apni baat khatam ki aur ulti taraf wali chair par jakar baith gaya... Anubhav ki ankein nam thi... Wo bhi ek chair par sir pakad kar baith gaya... Maine pass pari cigarate ki packet se ek cigarette li aur jala kar kash lene laga...

"Dekho Anubhav... Party me jo kuch bhi hua... Aur uski wajah se mujh par jo case chal raha hai... Usse ab tum mujhe nikaloge..."

Anubhav ne meri taraf dekha... Uski ankhon me gussa aur nafrat ke siwaye kuch nahi tha
..

"Ab sawal banta hai kyun... Kyun ki kal court me tumne mere paksh me gawahi nahi di... To mai shaam ko sabhi news channels me ek interview dunga... Usme in saare mamle ka dosh mai tum par aur Smriti par dalunga..."

Maine jaise hi Smriti ka naam liye wo gusse me fir meri taraf badha aur mera collar pakad liya...

"Abe ye... Smriti di ke baare me ek lafz bhi baka na... To teri halak se jeebh khinch kar bahar nikal lunga... Teri dhamkiyon se darta hun kya mai..."

"Darte to tum apne baap se bhi nahi hoge... Warna pata hota ki baron se kaise baat karte hai..."

Maine apne collar se uska hath jhatak diya...

"Akhir Smriti ki bhi to zimmedari banti hai... Mujhe batana ki wo kis situation me jaa rahi hai... Haan poori jankari confidential ho sakti hai... Par khatre ka abhas to hona chahiye mujhe... Ek wo... Aur ek wo Shoiab... Apni team ko ittela na karna... That's also a offence in our work you know!

Play ground samajh rakha hai kya tumne aur Smriti ne... Jaha chahoge jab chahoge jaisa chahoge waisa karoge... My foot... Agar mera career dubega to mai tumhara aur Smriti ka bhi ghasit lunga aur sath me us Aditya ka bhi... Kuch bigad paun ya na paun... Chhabi to kharab kar hi sakta hoon... Thodi bohot"

Sugandha mujhe gusse me koi bada sa lecture dene wali thi ki tabhi maine Anubhav se chhupa kar use ankh mari... Wo samajh gayi ki mai aesa kuch nahi karunga...

Mai Rajastha ke ek madhyam bargiya pariwaar se hoon... Pita mere police me the aur maa grihini... Sach kahun to hamesha se hi pariwarik politics ka shikar raha hoon... Bohot sangharsh karke bada hua hoon...

Ek sarkari naukri karne wale ke ghar paida hone ke bawajood mai abhav me jiya hoon... Mere pita ke pass apni maa yani meri dadi aur mere chachaon ke dene ke liye paise to the par humari parwarish ke liye nahi...

Maa unse humari kisi bhi cheez ke liye paise mangti to apne pariwar ko dene wale paise kam par jane ke karan bachpan se hi unhone apne police wale jooton se peeta hai... Uski maar khate khate aur taane sunte sunte kab meri chamdi moti ho gayi mujhe pata bhi nahi chala...

Thoda bada hua to bhai paida hua... Wo mere papa ki tarah dikhta hai isliye aur choti choti baat par ro deta hai isliye... Papa uspar hath nahi uthate hai... Mere chacha tau jo din raat mera .manobal todte ki mai kabhi 10th pass hi hi nahi lar paunga...

Ye sirf mai aur baad me Smriti hi jante hai ki 10th meri Angrezi ki pariksha kharab hone ke karan maine apni jaan lene ki koshish ki... Par mai pass ho gaya aur acche numberon se pass hua... Tabse sabka mooh band hogaya...

Par mere papa khush nahi the... Mai Science padhna chahta tha... Unhe pata tha... Bohot kharcha hoga... Aur wo paise dene ko raazi nahi the... Mere chachaon ne meri bharti KV me nahi hone di jab ki mere pass quota tha...

Mai aur meri maa 7 din tak bhke pyase baithe rahe... Jab log sawal uthane lage tab mere papa ne lok laj ke dar se paise de diye...

Mai hi janta hun ki mai kitni mar seh kar pala bara hun... Pehle school me kuch ladkein pit te the... Mai wahan bhi maar khata tha... Par 10th pass karte hi mai ekdum se lamba ho gaya.. wahi bacche mujhse darne lage... maine bhi unhe khub pita... Zindegi ka sara gussa utar diya...

Chacha tau ke ladke jo mera mazak udate the sab sale bhosdike piche reh gaye... Maine mehnat ki aur mai Delhi aya... Sath ayi meri logon ko manipulate karne ki techniques jisse maine najane kitno ka manobal toda... Aur aj jab Anubhav mere upar hawi ho raha tha maine usika issemal kiya...

Mai Smriti ka nam in sab me nahi ghasitna chahta tha... Ye baat sirf mai janta hoon ki Smriti ke baare me maine aj Anubhav se jo bhi kuch kaha uske liye mai khud ko kabhi maaf nahi kar paunga... Par aj mai majboor hoon... Kyunki Anubhav hi hai jo mujhe is dal dal se nikal sakta hai!!!
 
Last edited:

Sasha!

The woman with spirits ✨
Staff member
Divine
Sectional Moderator
12,581
10,491
214
aditya dusman bhi ho sakta hai aur bahut si baten hain jo yahan nai likh raha hun filhaal isko mai kalpnik kahani maan kar padh raha hun lekin bahut se sawaal hain jinka jabaab agar last update tak na mila tab mai punchunga ok :D

Ye kahani poori tarah se kalpanik hai Rahul... Thodi bohot prerna maine idhar udhar se li hai... Par ye sirf meri kalpana ki upach hai aur kuch nahi...

Aur rahi baat sawalon ki to wo mera farz hai as a writer ki apko kahani ke sabhi sawalon ke jawab mile... Asha hai ap kahani se jude rahenge 😊
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,286
304
Status
Not open for further replies.
Top